Naag Pasha
Member
- 130
- 578
- 108
Bohat hi zabardast update par yaar mansi se akash ki itni closness yeh nahi hona chahiye tha khair ap writer ho behtar jante hoge story ko kiss taraf le jana hai me bas itna kahonga ki aapki writing wakai hi lajawab hai
Chapter 2 - The Journey
Update 25
Mega Update
Word Count: 6501
Estimated Reading Time: 00:35:00
Subah 9 baje ke kareeb Aksh ki aakh khul jati he, is waqt Mansi Aksh se lipte chain ki nind so rahi thi. Aksh pyaar se Mansi ke gaal puskar kar uske mathe par kiss kar deta he. Aksh uthkar pehle Mansi ke upar chadar daal deta he, or khud t-shirt pehen kar apna mobile dekhta he, or tabhi use yaad aya ke kal raat kisi ka call aya tha, tabb usne call list check kari to paya call Sakshi ka tha. Lekin use yaad tha ke Mansi ne to call kaat diya tha, lekin waha to kuch or hi masla tha, Aksh dekhta he ke call pick hua tha.
Aksh (mann me): Sakshi ka call, wo bhi itni raat ko? Or Mansi ne to call cut kar diya tha, shayad galati se call pick ho gaya hoga... Ahhh... Shit, agar Sakshi ne kuch suna hoga to.... To wo kya soch rahi hogi.... Yaar, ye kya ho gaya.... Chalo pehle use hi call kar deta hu...
Fir Aksh Sakshi ke mobile par call kar deta he, lekin uska phone switch off tha, tabb usne Radha ko call kar diya.
Radha: ha Aksh beta bol.....
Aksh: Aai Sakshi jagi he kya?
Radha: nahi wo to so rahi he... Kyu kya hua?
Aksh: darasal raat ko uska call aya tha, lekin me utha nahi paya, abhi call kiya use to uska phone band he...
Radha: pata nahi, koi zaruri kaam he to jaga du use?
Aksh: nahi nahi Aai.... Use sone do, bass use bata dena call karne ke liye....
Radha: thik he beta, bata dungi....
Aksh: okay....
Fir Aksh call kaat kar fresh hone chala jata, jab wo naha kar bahar aya to Mansi ab bhi so rahi thi, usne Mansi ko jagana thik nahi samjha or kitchen me ja kar Breakfast ki tayari me lagg gaya. Jabtak Aksh kitchen me tha, tabb Mansi ki bhi aakh khul jati he, wo bahar akar Aksh ke paas chali jati he.
Mansi: Good Aksh....
Wo Aksh ko piche se Hug karte hue kehti he.
Aksh: Good Morning meri jaan..... Kyu uth gayi? Thodi der so leti....
Wo piche mud kar Mansi ka matha chumte hue kehta he.
Mansi: nahi ab mujhe meri sari adate badalni padegi na....
Aksh: or wo kyu?
Mansi: are pagal, warna tumhari Aai kahengi ke kitni Aalsi bahu ghar le kar agaya mera beta....
Aksh: aisi koi bhi baat nahi he.... Koi adate badalne ki zarurat nahi he tumhe.... Tum jesi ho, mujhe waise hi pasand ho.....
Wo Mansi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, Mansi bass muskurate hue uski baat me hami bharti he, or apne pero se thoda upar uth kar Aksh ko kiss kar deti he.
Aksh: ab kya Subah Subah shuru hona he tumhe? Jao, jakar fresh ho jao, me bass Breakfast le kar aya....
Mansi: Okay....
Fit Mansi ja kar fresh ho jati he.
Kuch der baad Aksh or Mansi apne Backyard me bethkar Breakfast kar rahe the.
Aksh: waise Mansi tumhe pata he kal raat kiska call aya tha mere phone par?
Mansi: nahi to.... Kyu kiska tha?
Aksh: pagal wo Sakshi ka call tha... Or tumne call disconnect karne ke bajaye call pick kar liya tha....
Mansi: ohh... Wo mene jaldi jaldi me galati kar di....
Aksh: ab humari awaze to usne zarur sunn li hogi, pata nahi wo kya soch rahi hogi mere bare me....
Mansi: c'mon Aksh.... Just Relax, Sakshi bacchi nahi he jo wo ye sab nahi samajh paye....
Aksh: i know but still.....
Mansi: bass ab chup chap Breakfast kar lo, fir hume ghar bhi to jana he, Mom ne bulaya he tumhe...
Aksh: Okay....
Waha Radha Sakshi ko jagane ke liye uske kamre me chali jati he.
Radha: Sakshi.... Beta uth ja, kitna soyegi? Time dekh, suraj sar pe ane laga he....
Uski awaz sunkar Sakshi ki kacchi nind tut jati he, lekin uska sar to mano dard ke mare fate ja raha tha, wo bed par uthkar beth jati he or apna sar pakad leti he.
Radha: kya hua Sakshi?
Sakshi: Aai..... Me.... Mera, Mera Sar bahot dard kar raha he.....
Wo Radha ki god me apna sar rakh kar kehti he or zoro se rone lagti he, use is tarah se rota dekh kar Radha kafi ghabra gayi thi.
Radha: Sakshi tu ro kyu rahi he...
Sakshi: mera Sar bahot dard kar raha he Aai, bahot hi zyada.....
Ab wo Radha ko kese bataye ke jitna dard uske sar me he, us se anginat dard uske dil me he.
Radha: Ruk me abhi Doctor ko call kar ke bula leti hu....
Sakshi: Aai please Tum to matt jao mujhe akela chhod kar.....
Wo Radha ka haath kas kar pakadte hue kehti he.
Radha: Bavlat, me kaha ja rahi hu tujhe chhod kar? Me bass Doctor ko call kar ke bula rahi hu....
Fir Radha bahar akar Doctor ko call kar deti he. Or ja kr Sakshi ka sar dabane lagti he. Kuch der baad waha Doctor bhi ajata he. Doctor Sakshi ko check kar raha tha, or use dekhte hi Doctor samajh jata he ke Sakshi kitni kamzor ho gayi he.
Doctor: tumne kal se khana khaya bhi he ya nahi? Agar aise khana skip karogi to tabiyat bigad hi jayegi na?
Fir Doctor Sakshi ko Clinic le jane ke liye kehta he, kyu ke Sakshi me zyada takat nahi thi, to use waha ja kar saline chadhani thi. Fir Radha or Sakshi Doctor ki hi gadi me Hospital nikal jate he.
Waha Aksh sirf Sakshi ke call ka intezar kar raha tha, usme firse Sakshi ke phone par call kiya to wo ab bhi band hi tha, to wo Radha ko call kar deta he. Is waqt Radha hospital bed par Sakshi ke paas bethi hui thi.
Radha: ha Aksh.....
Aksh: Aai Sakshi abtak jagi nahi?
Radha: beta darasal me abhi Sakshi ko le kar hospital ayi hu....
Uske muh se Hospital ka naam sunkar Aksh ki to dhadkane hi tez ho jati he.
Aksh: Hospital? Kyu, k..... Kya hua Sakshi ko?
Radha: darasal uska sar bahot zyada dard kar raha tha, to mene doctor ko bula liya... To unhone kaha ke ise kamzori dur karne ke liye saline lagani padegi....
Aksh: aise kese tabiyat kharab ho gayi uski.... Me... Me thodi der me araha hu waha.....
Radha: Aksh tu kyu pareshan ho raha, yaha ane ki zarurat nahi he.... Sakshi ko ab kuch hadd takk thik lagg raha he.... Or....
Wo is se aage kuch bolti ke Sakshi Radha ke haath se phone le leti he.
Sakshi: Aksh meri baat sunn.... Me ab thik mehsus kar rahi hu....
Aksh: lekin Sakshi ye kya? Tu aise suddenly.....
Sakshi: are wo kal me apni Dosto ke saath gayi thi, or kal mujhe kafi thakan lagg rahi thi, shayad usi wajah se ye sab hua he... Lekin tu chinta matt kar.... Me ab kafi accha feel kar rahi hu....
Aksh: lekin tujhe mere waha ane se koi dikkat he kya?
Sakshi: aisi baat nahi he.... Lekin tu kyu apna sab kaam chhod kar yaha ana chahta he?
Aksh: yaar kaam zaruri nahi he.... Or....
Sakshi: Aksh tujhe meri kasam he, tu chup chap wahi ruk ja.... Yaha ane ki zarurat nahi he... Aai he na yaha par, or waise bhi me ab kafi hadd takk thik ho gayi hu....
Aksh: yaar Sakshi tu..... Or tune kal raat call kyu kiya tha?
Ab kal raat ki baat yaad ate hi Sakshi ke samne bass kuch manzar ane lagte he.
Aksh: hello.... Sakshi...
Sakshi: ha.... Ha.... Wo to mene bass aise hi call kiya tha, lekin jese hi mene tujhe call lagayi to mera phone niche gir kar tut hi gaya....
Aksh: accha thik he.... Or apna khayal rakhna.... Me firse call karta hu tujhe....
Sakshi: Okay.....
Or uske baad Aksh call kaat deta he. Lekin ab usma mood bilkul off ho chuka tha.
Mansi: kya hua Aksh? Sakshi thik he na?
Aksh: ha wo bass uska sar dard kar raha tha, or weakness ayi hui thi....
Mansi: okay.... Lekin tumhe kya ho gaya? Chehra kyu latka liya tumne?
Aksh: kuch nahi.... Bass Sakshi ki fikar ho rahi thi....
Mansi: don't worry..... Wo jald hi thik ho jayegi.... And i think Sakshi jabtak puri tarah se thik nahi ho jati, use Uncle Aunty ke paas hi rehne dena chahiye.... What you think?
Aksh: thik kaha tumne.... Me badme Aai se baat kar lunga...
Mansi: to ab chale?
Aksh: chalo....
Fir wo dono milkar Mansi ke ghar chale jate he. Waha ja kar Kiran, Mansi or Aksh saath Beth kar baate kar rahe the. Or tabhi Kiran ko Aksh ke haath par Nakhun ke nishan dikhayi dete he.
Kiran: Aksh ye tumhare haath par Nakhun ke nishan.....
Uski baat sunkar Aksh or Mansi, dono ke tote udd jate he, kyu ke kal raat josh josh me Mansi ne Aksh ke pure sharir par Nakhun dhasa diye the.
Aksh: na..... Nahi.... Wo to.... Wo to... Ahh... Wo macchar ne kaat liya he.....
Kiran: kya? Matlab 3-4 Macchar aise bilkul shape me aye the kaatne?
Aksh: actually....
Wo is se aage kuch kehta ke tabhi Aksh ko ek zaruri call ajata he.
Aksh: Aunty ab mujhe jana hoga... Actually aaj ek important kaam he mujhe....
Kiran: okay Aksh, or ha.... Jabtak Sakshi nahi ati, tum Breakfast, Lunch, Dinner... Sab yahi karoge....
Aksh: iski kya....
Kiran: mene kaha na...
Aksh: accha thik he.... Me chalta hu....
Fir Aksh waha se apne Facility par chala jata he.
Kiran: Btw Mansi, mujhe laga nahi tha tum aise sahi salamat chalti ghar aaogi....
Wo shararati lehze me Mansi ko aakh marte hue kehti he, lekin uski baat se Mansi ka muh khula ka khula reh gaya tha.
Mansi: Mom.... Ye kya....
Kiran: kuch galat keh diya kya mene? Ab tumne Aksh ko chott di to mujhe laga......
Mansi: me ja rahi hu.... aap kuch bhi bolti rehti ho.... Bye...
Or wo ye kehte hue upar apne kamre me bhagne lagti he.
Kiran: are Mansi..... ruko to....
Aise hi hasi mazak ka mahol yaha bana hua tha.
Waha Aksh apni Facility par pahoch gaya tha, aaj is System ka naya batch bann kar tayar ho gaya tha. Aksh un sabko Trucks me Load karwa kar rawana kar deta he, or khud agli flight pakad kar Surat pahoch jata he.
Abhinav: waqayi Aksh.... Tumhara ye idea behadd kamal kar raha he.... Bass kuch hi dino me hume kafi sara Data mil gaya he... Bass is week jab sari Transport Vehicles me ye system fit ho jayega, to next month hum in sab Smugglers par Raid kar denge....
Aksh: sir mujhe ek baat nahi samajh rahi he.... Data ke hisab se kuch Transport Vehicles aise logo ke he, jo ke kafi izzat daar Business man bhi he....
Abhinav: actually baat ye he Aksh ke ye jo Smugglers hote he, wo directly kabhi kaam nahi karte.... Wo bass aise bade bade logo ke through apna kaam nipta lete he, or isi liye mene tumse is System me GPS lagane ke liye kaha tha, kyu ke wo maal akhir kaha utar raha he wo bhi to pata chale....
Aksh: Matlab in Smugglers ko dhund na mushkil kaam he... Kyu ke ye log maal utar kar kaha jate he iska pata hume nahi he...
Abhinav: sahi kaha... Or uske aage Maal le jane ke liye zaruri nahi he wo log koi Transport Vehicles hi istimal kare... Wo to apni Private gadiyo me ise le jate honge....
Aksh: koi baat nahi sir.... Mujhe yakeen he ke ye sab log jald hi aapki pakad me ajayenge....
Abhinav: wo to ek na ek din zarur ayenge....
Fir wo dono apas me bass yaha waha ki baate karte he. Abhinav ke saath free hone ke baaf Aksh sabse pehle Radha ko call kar deta he. Lekin is waqt Radha Sakshi ke liye khana banane ke liye ghar agayi thi, or uska mobile Sakshi ke paas hi tha.
Sakshi (mann me): Aksh.... Ab is se kese baat karu? Pata nahi baat baat me kya bol du me.... Lekin call ka jawab nahi diya to wo pareshan ho jayega.... Deva....
Kuch soch vichar karne ke baad Sakshi call pick kar hi leti he.
Sakshi: H.... Ha... Aksh bol.....
Aksh: ab thik he na Sakshi tu?
Sakshi: ha... Me... Me to ab bilkul thik mehsus kar rahi hu... tu... Tu chinta matt kar....
Aksh: kya chinta matt kar? Agar mere saath hi wapis ajati to aisi Hospital bed par nahi sone deta tujhe....
Sakshi: to kaha sulata?
Aksh: are meri Sakshi ko apni baho me chupa kar uspar ane wali har musibat ko jhel jau me... Or tere hawale bass mithi nind de du....
Uski baat sunkar ek pal ko to Sakshi ke mann me bahar ajati he. Lekin agle hi pal Mansi ka khayal use fir se udas kar deta he.
Sakshi: lekin ab wo jagah meri nahi rahi.....
Wo kafi nirasha se kehti he.
Aksh: kya kaha?
Sakshi ki awaz kafi kam thi, jis wajah se Aksh uski baat sunn nahi paya.
Sakshi: n.... Nahi... Nahi... Kuch nahi....
Aksh: Sakshi, ye jhuta natak band kar de yaar..... Tujhe koi samajh paye ya na paye... Lekin me tujhe acchi tarah se samajhta hu.... Teri awaz se saaf samajh pa raha hu me tera haal....
Sakshi: Aksh aisi baat nahi he.... Wo to....
Aksh: Sakshi me Mansi ko bol de raha hu ke hum dono ke bich koi rishte ki gunjaish nahi he.... Mansi ka pyaar paa kar me teri narazgi ko apne saath le kar kabhi nahi jee paunga....
Sakshi: nahi nahi Aksh.... Please aisa matt karna... Agar tune Mansi se ye sab kaha to wo... To wo puri tarah se tut jayegi....
Sakshi ab apna andha pyaar ek side rakh kar, Mansi ki best friend bann kar keh rahi thi.
Aksh: to or kya karu Sakshi? Jabse mene tujhe Mansi ke bare me bataya he, tabse tera ravayya bilkul badal chuka he... Sakshi tujhe yaad he? Ek baar mene tujhse kya kaha tha ke agar bhagwaan mujhe 2 choice de, ek taraf is duniya ki sari khushiya, naam shohrat.... Or dusri taraf meri Sakshi... To me bina soche sirf or sirf meri Sakshi ko choose karunga.... Sakshi mujhe tere siwaye or kuch nahi chahiye.... kyu ke bhagwaan ne behen ke roop me zindagi ka sabse nayab tofa mujhe diya he.... me kese tujhe ehsas dilau? Me sachme adhura hu tere bina....
Ab Aksh apne dil me Sakshi ki narazgi ke bojh ko ro kar halka karne lagta he, lekin Aksh ko rulana ye to Sakshi ke liye kisi paap se kam nahi tha. Pichle kuch salo me Aksh ki aakho me Sakshi ki wajah se sirf khushiyo ke aasu the, lekin aaj kisi arse baad Aksh dukh ke aasu ro raha tha, jis se Sakshi ke mann ko kafi thes pahochti he. Or fir use bhi rona ajata he.
Sakshi: Aksh me janti hu tu mere liye kuch bhi kar sakta he, please mujhe maaf kar de... Lekin Aksh me kya karti? Meri bhi life me tere siwaye koi nahi he jise me apna sabkuch manti hu, me bass isi darr me thi ke kahi tu Mansi ke ane se mujhe kam importance na dene lagg jaye..... I'm sorry Aksh..... I'm Really Sorry.....
Aksh: aisa kabhi nahi ho sakta Sakshi, mene to Mansi ko pehle hi keh diya tha ke mere liye Sakshi se important koi bhi nahi he, khud Mansi bhi nahi... Fir tu kese ye soch rahi he ke me tujhe kam importance dunga?
Sakshi: I'm Sorry Aksh, lekin please tu.... Tu Mansi se aisi koi baat nahi karega jis se uske dil ko thes pahoche.....
Aksh: nahi Sakshi me.....
Sakshi: Aksh mene keh diya na ke tu Mansi ko dukh nahi pahochayega.... Mujhse Promise kar....
Aksh: okay.....
Ab kahi ja kat Aksh ke dil se ye bojh halka ho gaya tha, lekin Sakshi ke dil k bojh or bhi zyada badh gaya, kyu ke ek taraf Aksh ka uske liye Unconditional Love dekh kar Sakshi ko darr lagne laga tha, ke agar Sacchayi samne ayi to Aksh ko is baat se kitni thes pahoch sakti he. Or dusri taraf apni aakho ke samne apne pyaar ko kisi or ke saath dekhna, ye bhi to Sakshi ke liye kisi saza se kam nahi tha.
Aksh: waise Sakshi tu kuch din or Aai Baba ke saath hi reh le.... Puri tarah se thik hone ke baad hi yaha ajana....
Sakshi: thik he.....
Aksh: accha me badme firse call karunga tujhe.... Thik he?
Sakshi: Okay....
Fir Aksh call kaat deta he, call cut hote hi Sakshi apna muh daba kar rone lagti he.
Sakshi (mann me): kyu? Kyu meri aisi pariksha le rahe ho bhagwaan? Is se accha to mera marr jana thik he.... Aise pal pal tadap kar marne se accha ek hi baar me meri jaan nikal jaye... Or meri itni himmat bhi nahi he ke me khud suicide kar lu... Agar mene aisa kiya to Aksh.... Aksh to puri tarah se bikhar jayega.... Or me kese Aksh ke bikharne ki wajah bann sakti hu? Please bhagwaan, please meri jaan le lo, lekin aise mujhe matt tadpao..... Please.....
Kafi der takk rone ke baad Sakshi dawai ke asar so gehri nind me chali jati he. Waha Aksh pura din kafi busy rehta he. Or sidha Raat ko Mansi ke ghar Dinner ke liye chala jata he.
Aise hi 2 din nikal gaye the, Sakshi ko same day par hi Discharge mil chuka tha, lekin Aksh ne use 3-4 din takk wahi rukne ke liye keh diya. Or ab Sakshi Aksh ko bahot miss kar rahi thi. Use bass bechaini si hone lagti jab bhi wo Aksh ke bare me sochti. Wo bass chahti thi ke is waqt wo Aksh ki baho me ho, lekin uski baho me jane me liye Sakshi ko 2 din or intezar karna tha.
Subah ke 10 baje hue the, Aman kal late night ghar aya hue tha, or is waqt sab Breakfast kar rahe the, Aksh aaj yaha nahi apaya tha, kyu ke ab uske system ko fit karne ke akhri Charam the. To use zyada se zyada waqt apne kaam par bitana pad raha tha.
Kiran: waise Aman, Mansi tumhe kuch batana chahti he....
Aman: kya batana he Mansi?
Mansi: me.... Me kaha.... Kuch.... Batane wali thi?
Use Aman ko sari baat batane me kafi sharm arahi thi jis wajah se uski awaz ladkhane lagg gayi.
Aman: tumhari shakal dekh kar samajh raha he ke koi baat zarur he.... Chalo jaldi se bata do....
Ispar Mansi bass Naa me apni gardan hila deti he.
Kiran: ye to Sharmate hi rahegi... Me hi batati hu. Darasal tumhari beti ko pyaar ho gaya he....
Aman: subah se koi mila nahi tumhe? Pagal samajhti ho mujhe?
Kiran ki baat ka yakeen Aman ko bilkul bhi nahi ho raha tha. Lekin Mansi ko aise sharmate hue dekh kar use bhi ye baat sach lagne lagti he.
Kiran: dekh lo kese sharma rahi he ye..... Pehle to mujhe bhi yakeen nahi ho raha tha... Lekin ye sach he Aman...
Aman: kya? Mansi tum sachme kisi se pyaar karne lagi? Bhai ye kon ladka nikala, jisne Mansi ki soch hi badal di?
Wo Mansi ki halat par maze lete hue kehta he.
Aman: ab kon he wo bata bhi do Mansi.....
Mansi: Dad... Wo.... Wo Aksh he.....
Ab Aksh ka naam sunte hu Aman ke chehre ka sara rang hi udd gaya tha, jis baat ka darr Aman ko tha, akhir wahi hua. Use dekh kar Kiran samajh gayi ke shayad Aman ko ye pasand nahi aya. Wo bass Aman ko ishara karte hue normal rehne ko bolti he.
Aman: ohh..... Accha.... Aksh....
Wo kafi ladkhadati awaz me kehta he. Ab Mansi Aman ka chehra dekhti he to Aman ke chehre ki sari hasi kahi gayab ho chuki thi.
Mansi: kya hua Dad?
Aman: ha.... Nahi... Kuch nahi... Kuch bhi to nahi....
Mansi: Dad aap khush nahi ho kya?
Aman: are nahi to... Mene aisa kab kaha? Wo to... Wo to me bass soch raha tha ke kese tum....
Mansi: aap baat ko taal rahe ho Dad.... Please agar aisa he to aap keh dijiye.... Me aapke faisle ke khilaf nahi jaungi....
Aman: Mansi.... Ye kya keh rahi ho tum? Me kabhi tumhare decision ke khilaf ho sakta hu?
Wo uthkar Mansi ke paas ja kar uske sar pe haath ferte hue kehta he.
Mansi: No Dad.... Wo to aapka pyaar he, jiski wajah se aap meri har baat mante ho, lekin iska Matlab ye nahi ke me humesha apni mann maani karungi... Or aapke chehre se saaf nazar araha he ke aap is baat se khush nahi ho....
Aman: Mansi tum galat samajh rahi ho, mujhe sach me yakeen nahi ho raha ke....
Mansi: Don't Lie to me Dad.... Me apni khushi ki khatir aapke dil ko kese thes pahocha sakti hu? Me abhi Aksh se ye sab clear kar deti hu....
Wo nirasha bhare swaro me kehti he, or bina kisi ki baat sune upar apne kamre me chalu jati he.
Kiran: What's Wrong with you Aman? Kya tumhe Aksh bura ladka lagta he?
Aman: Kiran aisi baat nahi he.... Tum to samajho.... me bass soch raha hu ke... Ke Aksh ka or humara culture bilkul different he... Kya Mansi usme dhal bhi payegi?
Wo asli baat ko taalte hue Kiran se kehta he.
Kiran: oh c'mon Aman.... Mansi Samajhdar he, wo janti he kis mahol me kese dhalna chahiye.... Tum ye kya faltu ki baate sochne lage?
Aman: thik he Kiran....
Kiran: ab jaldi Mansi ko manaye, kahi wo Aksh ko call kar ke kuch bol na de...
Aman: ha me abhi jata hu....
Or fir Aman tezi se Mansi ke kamre ki taraf chala jata he, or waha Mansi balcony me nirash si khadi thi. Aman andar akar Mansi ka haath pakad kar use bed par bitha deta he.
Aman: beta mene kabhi tumhare liye bura socha he? Nahi na? Jaha tum khush ho, me bhi wahi khush hu.... Beta me to bass yahi soch raha tha ke wo ladki jo humesha in sab kaamo ko waste of time samajhti thi, aaj wahi is pyaar me padd gayi? Lekin tum mujhe bina samjhe upar chali ayi.... Mansi i have no problem with your and Aksh's Relationship....
Wo Pyaar se muskurate hue Mansi se kehta he, jis se Mansi ko bhi yakeen ho jata he ke Aman ko is se koi problem nahi he.
Mansi: Really Dad?
Aman: kabhi jhut kaha he mene?
Ispar Mansi apni gardan Naa me hila deti he.
Aman: naraz to nahi ho na mujhse?
Mansi: me kyu Naraz houngi aapse? I Love You So Much.....
Wo uthkar Aman ko kas kar Hug karte hue kehti he. Kuch der takk Aman Mansi ke saath wahi bethkar mazak bhari baate karne lagta he.
Ab yaha Aman ne to manzuri de di thi, lekin uske mann me darr tha ke aage kya hoga. Use sirf Mansi ki hi nahi, balki Aksh or Sakshi ki bhi chinta thi.
Aise hi chinta, or darr me Aman ke din nikal rahe the, lekin Aksh or Mansi ki zindagi to mano puri tarah se badal gayi thi. Har din dono ka pyaar ek dusre ke liye badhta ja raha tha. Or is pyaar ki khas baat he ke isme waqt kab nikal jata he ye baat samajh hi nahi ati. Agle 3 din Aksh or Mansi ke liye bass kuch seconds ki tarah nikal gaye the. Lekin inki pyaar ka aakhri anjam kya he? Ye to khud Aksh or Mansi bhi nahi jante the.
Sach kahe to Aman ko bhi Aksh or Mansi ke pyaar se koi problem nahi thi, bass use future ka darr tha. Lekin Mansi ki khushi ke khatir wo sab bhul kar is rishte ko accept kar leta he.
Ab Sakshi ki halat bilkul thik ho chuki thi, or wo aaj Surat wapis arahi thi, Sakshi ne in dino Aksh ko beinteha miss kiya tha. Wo pure safar me Aksh se milne ko behadd hi utsuk thi. Kuch der ke baad plane Surat Airport land ho gaya. Sakshi tezi se bahar ajati he, uski nazre Aksh ko dhund rahi thi, or tabhi uski nigaho ko chain mil jata he, kyu ke samne Sakshi ki duniya, Sakshi ka pyaar khada tha. Sakshi chehre par badi si muskurahat le kar Aksh ki taraf daud padti he. Aksh bhi Sakshi ko itne dino baad dekh kar bahot khush tha. Wo bhi aage akar apni bahe khol deta he, Sakshi bhi bina der kiya kas kar Aksh ki baho me simat jati he.
Aksh: kesi he ab Sakshi tu?
Sakshi: me..... Me... Thik... Thik hu.....
Wo rote hue Aksh ko jawab deti he.
Aksh: oye... Tu ro rahi he?
Sakshi: Aksh.... Me.... Mene tujhe bahot miss kiya....
Wo Aksh ko or zor se kaste hue kehti he.
Aksh: yaar mene bhi to kitna miss kiya tujhe.... Bilkul mann nahi lagg raha tha mera to....
Wo Sakshi ke mathe ko chumte hue kehta he.
Aksh: kya yaar Sakshi? Ye kesi halat bana li tune apni... Chehra dekh tera... bilkul murjha sa gaya he...
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he.
Sakshi: ab firse khil jayega....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he. Uski muskurahat dekh kar to Aksh ka mann kar raha tha wo bass puri zindagi aise hi Sakshi ki khushi, uski muskurahat dekhta rahe.
Khair, dono ek dusre ka haath thamkar Airport se bahar ajate he, or gadi me bethkar ghar chale jate he. Waha bhi Sakshi kafi khush thi, kyu ke Aksh ko itne dino baad dekh kar uska dukh kuch palo ke liye gayab ho chuka tha. Or kuch palo ke liye is wajah se ke tabhi waha Mansi ajati he. Use dekh kar firse Sakshi pehle ke rup me ajati he. Mansi akar sidha Sakshi ko hug kar leti he.
Mansi: How are you Hottie......
Sakshi: me..... Me thik hu....
Wo jhuti muskurahat ke saath Mansi se kehti he.
Mansi: yaar waha ja kar to tum mere calls hi pick karna bhul gayi....
Sakshi: nahi... Aisi baat nahi he... Wo to me apna Zyadatar waqt Aai baba, or mere friends ke saath spend kar rahi thi to..... Anyway tum batao kesi ho?
Mansi: sach kahu to jabse Aksh ki Girlfriend bani hu, tabse kuch zyada hi khush hu me....
Wo Sakshi ke kaano me kafi dhimi awaz me kehti he. Lekin ye sunkar Sakshi ko bahot dukh pahochta he.
Khair.... kafi der takk tino baate karte beth jate he, waise to Sakshi Mansi se kafi acchi tarah se pesh arahi thi, lekin andar se use lagg raha tha ke yaha bass Aksh or wo khud hi ho. Kuch der baat karne ke baad Sakshi aram karne ke liye kehkar apne kamre me chali jati he, fir Mansi bhi apne ghar chali gayi. Aksh akar Sakshi ke saath wahi let jata he.
2 din beet chuke the, Aksh apne cabin ne beth kar apne computer me sare drugs supply karne wali Vehicles ko track kar raha tha. Lekin tabhi Aksh ko bahot hi bada jhatka lagta he, jo kuch uske samne tha, wi dekh kar Aksh ispar yakeen nahi kar pa raha tha. Darasal uske samne jo data tha, usme ye show ho raha tha ke in sab me Aman ka bhi haath he, uski bhi Tr. vehicles se Drugs supply ho raha tha.
Aksh: nahi.... Ye nahi ho sakta, uncle in sabme..... Nahi ye zarur kisi ki sazish hogi unhe fasani ki.... Me abhi ja kar uncle se baat karta hu...
Fir Aksh turant Aman se milne chala jata he, Aman or Aksh is waqt uske cabin me bethe hue the.
Aman: kya hua Aksh.... Tum itne pareshan kyu ho?
Aksh: darasal baat hi kuch waise he....
Aman: kya baat he?
Aksh: aapko pata hi he ke Gujrat me sari Transport Vehicles me ek System lagaya gaya he....
Aman: ha pata he, wahi na jo company tracking me kaam ata he?
Aksh: actually wo System meri company hi banati he, or wo system ka ek hi maksad he, ke Transportation se jo Drugs supply hota he, unhe pakadna...
Aman to Aksh ki baat sunkar bilkul heran reh gaya tha. Wo bhi samajh gaya ke uska bhanda samne agaya he.
Aksh: or sabse badi problem ye he ke, mujhe pata chala he ke aapke Transportation se bhi Drugs Supply hota he....
Ab Aman ke paas koi jawab nahi tha, wo bass khamoshi se betha raha, uski khamoshi Aksh ki pareshani or badha rahi thi.
Aksh: uncle me janta hu aap ye sab nahi kar sakte... Aap please mujhe bataye ke asli baat kya he? Ho sakta he ke me aapki help kar pau....
Aman: Aksh.... Darasal baat ye he ke......
Fir Aman Aksh ko sari sacchayi bata deta he, ke kis tarah wo mantri Aman par zabardasti zor dalta tha. Ye sab sunkar Aksh ke bhi hosh udd gaye the.
Aman: lekin me janta tha ke ek na ek din ye sab samne aa hi jayega, or uske liye Mene us Mantri ki batchit ki recording apne paas rakhi he....
Aksh: ye bahot hi acchi baat he.... Me abhi Abhinav Sir ko call karta hu....
Aman: Abhinav..... Aksh kahi tum DGP Abhinav ke bare me to baat nahi kar rahe ho?
Aksh: thik kaha aapne.... Darasal meri Company CBI ke saath milkar hi ye kaam kar rahi he...
Fir Aksh Abhinav ko call kar ke sari baat bata deta he, Abhinav turant Aksh or Aman ko milne ke liye bula leta he. Kuch ghanto baad Abhinav, Aman or Aksh CBI Headquarter me Abhinav ke cabin me bethe hue the.
Abhinav: to Mr. Aman, aap bhi shamil he is kaand me...
Aman: aisi baat nahi he... Mene apni zindagi megalat tarike se paisa nahi kamaya he...
Abhinav: ek gunehgar ki madat karna bhi gunah hi hota he....
Aman: me janta hu.... Lekin me in sab logo ka khel samne lana chahta tha, isliye mene inka saath diya... Burayi ko harane ke liye burayi apnani padi mujhe...
Abhinav: me kuch samjha nahi....
Aman: actually mene us mantri ki sari baate record kar rakhi he... Uske saath saath wo jab bhi ata, uski bhi sari footage mere paas he..
Abhinav: to fir ye sab aapne pehle police ko kyu nahi inform kiya? Ya fir ise bass aise hi kisi moment ke liye rakha tha ke jab aap faso to iske sahare bach jao....
Aman: bilkul bhi nahi.... Me ye baat acche se janta hu, ke us Mantri ke piche bhi kisi bade gang ka haath shamil he, or un logo ki pehchan kafi badi he, agar me ye sab kisi police ko de deta to wo log sirf sabut hi nahi, mujhe bhi khatam kar dete.... Isliye me bass ek moka dhund raha tha ke mujhe koi aisa insan mile jo ke in logo se bina dare inpar karwahi kare....
Ab Abhinav ka itne salo ka anubhav use yahi keh raha tha ke Aman bilkul sach keh raha he.
Aksh: Sir.... Please try to understand, uncle sach keh rahe he.... Wo aisa galat kaam nahi kar sakte....
Abhinav: me samajh gaya hu ke Aap sach keh rahe ho, lekin karwahi aap par bhi karni padegi...
Aksh: lekin sir....
Abhinav: listen Aksh.... Ye sab me inke protection ke liye hi Kar raha hu, agar humne aap par koi karwahi nahi ki, to un logo ko pata lagg jayega ke aap pehle se unke khilaf sajish kar rahe the, or tabb aapke, or aapki family ko kafi khatra ho sakta he...
Ab Abhinav ki baat bhi bilkul thik thi, Aksh or Aman ko bhi yahi thik lagg raha tha, Aman ne sari recordings or video Footage Abhinav ke hawale kar di thi. Ab CBI kafi mazbut ban chuki thi is drugs supply ko rokne me. Bass kuch waqt me ye sab samne ane wala tha. Or ye baat Aman ne Kiran or Mansi ko bhi bata di thi.
Din par din hafte par hafte nikal rahe the, jaha Aksh or Mansi ek dusre ke nazdeek ate ja rahe the, wahi Sakshi to khud apne aap se hi dur hoti ja rahi thi. Anjane me hi Sakshi ne apne aap ko Mansi or Aksh se thoda dur kar liya tha. Or use lagg raha tha ke Aksh hi use kam ehmiyat de raha he, halaki Aksh to din ba din Sakshi ko pichle waqt se zyada pyaar karta raha tha.
Ek din Sakshi, Aksh or Mansi apne ghar pe bethe hue the, Mansi Sakshi se baate kare ja rahi thi, lekin Sakshi ab kafi chid chidi ho gayi thi, use andar hi andar kafi gussa araha tha. Or akhir kaar uske sabr ka baan tut hi gaya.
Sakshi: Now enough Mansi..... Kabse bass bole hi ja rahi ho tum.... Me nahi baat karna chahti tumse.... Or kyu karu me tumse baat? Khush ho gayi na Aksh ko chinn kar? Aksh ne kabhi mujhe aisa nahi lagne diya ke...... Lekin jabse tumne Aksh ko fasaya he tabse Aksh badal gaya.... Sab tumhari wajah se hua he Mansi, me kabhi maaf nahi karungi tumhe.... Kabhi bhi nahi....
Sakshi kafi gusse me chillakar kar Mansi ko khari khoti suna rahi thi, lekin ye sab sunkar Mansi ki aakho me asu ajate he. Lekin tabhi Sakshi ghar se bahar nikal jati he, Aksh use rokne ki koshish kar raha tha, lekin Sakshi bina kuch sune ghar se nikal jati he. Aksh Sakshi ke piche araha tha, lekin tabhi Sakshi ek auto me beth kar nikal jati he. Aksh tezi se ghar ki taraf ajata he, jaha Mansi rote hue bethi thi.
Aksh: Mansi.... Mansi please tum ro matt, tum bhi to Sakshi ko janti ho na, wo aisi nahi he... Shayad usne frustration me akar ye sab keh diya... Galati meri he, shayad me hi Sakshi par kam dhyan de raha tha, jis se use akela sa lagne laga he... I'm Really Sorry Mansi....
Wo Mansi ke samne bethkar uske aasu pochte hue kehta he. Mansi bhi janti thi ke Sakshi dil se bilkul saaf he, lekin kayi baar situation hi aisi ho jati he ke jaha hum apne aap par control nahi kar pate.
Aksh: Mansi please Sakshi ki taraf se me maafi mangta hu tumse... Please wo....
Mansi: nahi, tumhe maafi mangne ki zarurat nahi he..... Me Sakshi ki halat bilkul samajh sakti hu, kyu ke jab Rishi Bhaiya mujhe akela chhod kar Kriti se milne jate to me bhi bahot zyada gussa ho jati thi...
Aksh: nahi Mansi, Sakshi pata nahi kafi waqt se aise kyu behave karne lagi he... meri kuch samajh nahi araha.... Sakshi ko aisa nahi karna chahiye tha... Me us se baat karunga....
Mansi: ab chhod bhi do na Aksh.... Aisi choti moti baate hoti rehti he... Or tum chinta matt karo, me Sakshi ko mana lungi.... Wo meri dost he, or hum dono apas me settlement kar lenge....
Aksh: pata nahi kaha chali gayi ye ladki?
Fir Aksh Sakshi ko call laga deta he, Sakshi ab bhi kafi gusse me thi.
Sakshi: dekh Aksh mera bilkul mood nahi he baat karne ka, or me thodi der baad ghar ajaungi....
Or wo Aksh ki baat sune bina phone kaat deti he.
Aksh: Sakshi... Hello.... Kaat diya isne phone...
Sakshi ko gaye kuch der ho chuki thi Aksh kafi gehri soch me duba hua tha, use Sakshi ka kya kare kuch samajh nahi araha tha. Or ye sab Mansi dekh leti he, tabb wo Aksh ka dhyan in sab se hatane ke liye Aksh ke haath samne se hatakar uski godd me beth jati he.
Aksh: Mansi please......
Wo is se aage kuch kehta ke Mansi apni ungli Aksh ke honto par rakh kar use bolne se rok deti he.
Mansi: Shhhhh......
Fir Mansi dhire dhire Aksh ke honto chumne lagti he, kuch der takk Aksh bass bemann se wahi betha rehta he, lekin ab uska dhyan Sakshi ki baato se hatt gaya tha. Mansi ne Aksh ko dhakka de kar sofe par gira diya or khud uske upar let kar kiss karne lagi, kafi der takk dono ka milaw chal raha tha, or waha Sakshi ka gussa ab bhi kuch kam nahi hua tha, ulta wo to kuch soch kar ghar wapis agayi or darwaze ke taraf badhne lagi, jese hi usne darwaza khola to Samane Aksh or Mansi ka khel dekh kar uska gussa or bhi zyada badh gaya, use dekh kar Aksh bhi hadbada kar Mansi ko apne se alag kar deta he. Sakshi bina kuch kahe apne kamre me chali jati he.
Mansi: Sakshi.... Sakshi ruko.....
Wo Sakshi ko rokte hue uske piche jane lagti he, lekin tabhi Aksh use pakad kar rok deta he.
Aksh: Mansi abhi uska gussa utra nahi he... Tum abhi us se kuch matt kaho....
Mansi: okay... To me chalti hu, kal Sakshi se college me baat kar lungi....
Aksh: Okay....
Fir Mansi apne ghar jane ke liye nikal jati he.
Aksh ko Sakshi se kuch baat karni thi, isliye wo sidha Sakshi ke kamre me chala gaya, lekin waha ja kar uske hosh udd gaye. Kyu ke Sakshi apna sara saman pack kar rahi thi. Aksh tezi se Sakshi ke paas akar use rok deta he.
Aksh: Sakshi.... Ye kya kar rahi he tu?
Uski baat ka Sakshi koi jawab nahi deti, or apne haath Aksh se chudda kar fir se saman pack karne me lagg jati he. Ab Aksh ko kafi gussa ajata he, wo Sakshi ke haath se bag khich kar dur fek deta he.
Aksh: kya ho gaya he Sakshi tujhe? Kyu kar rahi he tu ye sab? Kafi waqt se dekh raha hu tujhe, akhir baat kya he Sakshi?
Wo kafi gusse me unchi awaz me Sakshi se puch raha tha, or tabb Sakshi ka bhi sayyam tut chuka tha.
Sakshi: Aksh me nahi dekh sakti tujhe kisi or ladki ke saath, mujhe jalan hoti he jab bhi tujhe Mansi ke saath dekhti hu to, kyu ke me tujhse pyaar karne lagi hu...
To Be Continued........
To Dosto ye tha aaj ka Update, ab dekhte he aage kya hoga, Aksh ke dil me Sakshi ke liye beinteha, niswarth pyaar, Sakshi ke dil me Aksh ke liye ek bhai se badhkar ubhre jazbat, or ab sacchayi ka samne ana. Ye sab milkar inki zindagi me kya mod late he ab sacchayi jaan ne ke baad Aksh ke kya reaction honge? ye to dekhna interesting hoga.
Guys Next Update is Chapter ka last update hone wala he, uske baad Chapter 3 "Qaatil" shuru hoga. Uske liye bilkul tayar rehna. Next week ke mid me Chapter 3 start hoga.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Waah Maza Aagaya...!!!!Kya mod liya hai is kahani ne sakshi confession wo bhi is tarah ab pata nahi is anjam kya hota hai...?Chapter 2 - The Journey

Plzzzz bro update jaldi kr do ab sabar nahi ho raha haiBohat hi zabardast update par yaar mansi se akash ki itni closness yeh nahi hona chahiye tha khair ap writer ho behtar jante hoge story ko kiss taraf le jana hai me bas itna kahonga ki aapki writing wakai hi lajawab hai
Bawal ho gaya bhai bawal....Chapter 2 - The Journey
Update 24
Mega Update
Word Count: 5415
Estimated Reading Time: 00:27:00
Aaj Sunday ka din tha, Subah ke 8 baje Mansi Mansi apni mithi nind se bahar ajati he. Or wo sabse pehle apna mobile le kar Aksh ko call kar deti he. Waha Aksh kabka jaag chuka tha, Mansi ka call dekh kar wo bhi khush ho jata he.
Aksh: Good Morning Mansi.....
Mansi: Good Morning......
Aksh: kya baat he? Itni subah subah call?
Mansi: hmm..... Wo to bass mera mann kiya ke ek baar tumhari awaz sunn lu....
Aksh: accha? To kesi lagi awaz?
Mansi: bahot hi bekar.....
Aksh: kya?
Mansi: or nahi to? Mene to socha ke Aksh mujhse pyaar se baate karega... Lekin tum to sirf meri baat ka jawab de rahe ho....
Aksh: ohhh.... Chalo to ye narazgi wala silsila shuru ho hi gaya.....
Mansi: ha.... Me hu naraz tumse....
Aksh: to fir batao kese dur karu tumhari narazgi?
Mansi: hmm.... Waise to meri narazgi yu dur nahi hoti, lekin ek chance deti hu tumhe....
Aksh: badi meherbani ji aapki.... Batao kya karu tumhare liye...
Mansi: aaj tum mujhe Date par le chaloge....
Aksh: I'm Sorry Mansi... Lekin me to kisi or ke saath ja raha hu pure din ki Date par.....
Mansi: what...... Kon he wo?
Aksh ki baat sunkar wo kafi gussa ho jati he.
Aksh: Sakshi...... Me aaj Sakshi ke saath ja raha hu, socha use Mumbai le kar jau...
Mansi: ohh... Lekin aise suddenly... Koi problem ho gayi kya?
Aksh: nahi aisi baat nahi he... Wo to bass Sakshi ko bhi time dena important he na....
Mansi: okay... Lekin ye galat baat he...
Aksh: kya galat he?
Mansi: nayi nayi Girlfriend bani he tumhari, use ghumane ke bajaye tum khud gayab hone lage....
Aksh: Mansi ek baat kahu, bura to nahi manogi?
Mansi: nahi me kyu bura maan ne lagi, kaho na....
Aksh: Mansi is duniya me mere liye Sakshi se badhkar or koi bhi nahi he.... Sach kahu to tum bhi nahi..... Lekin iska Matlab ye nahi ke me tumse kam pyaar karta hu, lekin mere liye First Priority humesha Sakshi hi rahegi, kyu ke meri success me sabse ehem kirdar Sakshi ka hi he... Bass itna samajh lo ke Sakshi mere sharir me basa Dil he, or tum us dil ki dhadkan.....
Aksh ki kahi baate sunkar Mansi ka chehra to kisi gulab ki tarah khil uth ta he. Wo aage kuch bol hi nahi pati.
Aksh: hello.... Mansi kya tumhe bura laga jo kuch mene kaha?
Mansi: bilkul bhi nahi.... Infact me apne aap ko bahot hi khushnaseeb samajh rahi hu jo me tumse pyaar kar rahi hu, or Aksh.... Thanks, mujhe apne dil me ek jagah dene ke liye....
Aksh: Thanks To Understand Me.... Or i promise kal ka pura din me tumhare saath spend karunga....
Mansi: okay.....
Aksh: Bye....
Fir Aksh call cut kar ke kitchen me ja kar Breakfast banane lagta he. Kuch der baad Aksh Breakfast le kar Sakshi ke kamre me chala jata he, Sakshi is waqt so rahi thi, or uske chehre par udasi saaf saaf dikhayi de rahi thi. Aksh ja kar Sakshi ko uthane lagta he.
Aksh: Sakshi.... Oye uth ja na jaldi, kabtak soyegi?
Wo Sakshi ke chehre par bikhre balo ko hata kar Sakshi ke gaal sehlate hue kehta he. Aksh ki awaz se Sakshi ki nind turan tut jati he, or jese hi use apne samne Aksh ka hasta chehra dikhayi diya, to uske chehra bhi hasi se khil jata he, jo dekh kar Aksh ko bhi accha lagta he, lekin agle hi pal Sakshi ko yaad agaya ke ab Aksh kisi or ka ho chuka he, or ye baat sochkar uski hasi firse udasi me tabdil ho gayi. Or wo bed par uthkar beth gayi.
Aksh: kya hua Sakshi? Teri tabiyat kharab he kya? Itni der soyi hui thi tu?
Wo pyaar se Sakshi ke sar pe haath ferte hue puchta he. Sakshi to Aksh ko samajh nahi pa rahi thi, ek pal Sakshi ko Aksh ka yahi swabhav accha lagta, to agle hi pal use Aksh ke kisi or se pyaar karne par gussa ajata.
Aksh: kya hua Sakshi? Tabiyat thik he na teri?
Sakshi: ha.... Ha me bilkul thik hu....
Aksh: chal ab Breakfast kar le.... Hume aaj Mumbai jana he...
Sakshi: Mumbai..... Kyu?
Aksh: bass aise hi....
Sakshi: thik he....
Fir Aksh use Breakfast kara deta he, Aksh purr waqt Sakshi se baat kiye ja raha tha, lekin Sakshi ki nigahe sirf Aksh ke chehre ko taak rahi thi. Jese kal ki baat se Sakshi ka pyaar Aksh ke liye tutne ke bajaye, or bhi zyada mazbut ho gaya ho. Or is baat ko khud Sakshi bhi nahi samajh pa rahi thi.
Aksh: chal ab jaldi se ready ho ja, fir nikalte he hum...
Or ye kehkar Aksh Sakshi ke kamre se bahar jane lagta he. Lekin tabhi Sakshi use awaz de kar rok leti he.
Sakshi: Aksh....
Uski awaz sunkar Aksh ruk kar piche mud jata he.
Aksh: ha.....
Fir Sakshi bed se uthkar Aksh ke nazdeek ane lagti he, or fir kass kar Aksh ko hug kar leti he.
Sakshi: I'm Sorry Aksh.....
Aksh: Sorry? Or wo kis liye?
Sakshi: mene kal tujhse pata nahi kesi kesi betuki baate kar li, I'm Sorry Aksh....
Aksh: oye Bavlat.... Ye kya choti choti baato ko le kar beth gayi tu?
Wo Sakshi ke sar pe haath ferte hue kehta he.
Sakshi: nahi Aksh... I'm sorry, lekin mujhe bass yahi darr he ke kahi tu.....
Aksh: Sakshi me teri kasam kha kar kehta hu, apni aakhri saas takk me kabhi bhi tujhe akela nahi mehsus hone dunga.... Ye mera wada he tujhse....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he. Ispar Sakshi bass halka sa muskura deti he. Fir Aksh uske kamre me ajata he, or Sakshi Mumbai jane ke liye tayar hone lagti he. Kuch der baad dono gadi me beth kar Airport nikal jate he.
Sakshi (mann me): me janti hu Aksh, tu apne wade par humesha kayam rahega, lekin jab Sacchayi samne ayegi, tabb tu apni baat se mukar gaya to? Tabb to me jee te jee marr jaungi.... Lekin ab aage kya? Me jitna is bare me soch rahi hu, utni frustration ho rahi he mujhe..... Kya me 2 din Mumbai me hi reh lu? Shayad Aai Baba ke saath rehkar Aksh ne diya dukh kam ho jaye... ha ye thik rahega....
Kuch der baad dono Airport pahoch gaye the, Sakshi Aksh ke samne kuch hadd tak normal behave karne ki koshish kar rahi thi, or usne Gadi se utarte hi Aksh ka haath kass kar pakad liya or aage badhne lagi. Aksh ko bhi relief mil jata he ke Sakshi ab bhi uske saath pehle ki tarah hi pesh arahi he. Lekin wo Sakshi ke dil me is waqt kitna dard tha, ye nahi dekh pa raha tha.
Khair dono Flight me beth kar Mumbai ke liye rawana ho jata he, flight me beth te hi Sakshi apna sar Aksh ke kandhe par rakh deti he, jaha Aksh ise Normal samajh raha tha, wahi Sakshi ne to is liye aisa kiya kyu ke wo Aksh ko apna chehra nahi dikhana chahti thi, kyu ke har kuch der baad Sakshi ko Mansi or Aksh ke bare me khayal ate, or tabb Sakshi ka chehra bilkul udas ho jata.
Waha badalo ke bich me se Aksh or Sakshi Mumbai ja rahe the, lekin yaha Mansi apne kamre me Aksh ke hi sapno me khoyi hui thi, use to ab bechaini si ho rahi thi. Tabb wo uthkar apne kamre me yaha se waha chakkar kaat ne lagti he, or is waqt wo apne or Aksh ke ane wale kal ke sapno ko boon rahi thi, or ye sab sochte hue uske chehre par sharm saaf saaf nazar arahi thi. Or tabhi waha Kiran ajati he, usne 3-4 baar Mansi ko pukara tha, lekin Mansi to apni hi duniya me mashruf thi. Kiran ne paya ke Mansi to pagalo ki tarah apne aap se badbadaye ja rahi thi, tabb wo Mansi ke samne khade ho jati he, or Mansi tabb hosh me ajati he, jab wo samne khadi Kiran se takrati he.
Mansi: m..... Mom.... G.... Good... Good Morning....
Wo apne aap ko sambhalte hue Kiran se kehti he.
Kiran: What Good Morning? Kis se baate kare ja rahi thi tum?
Mansi: me? Nahi to....
Kiran: kya nahi to? Mene tumhe itni awaz lagayi, lekin tum to sunn ne ko tayar nahi thi, or jabb upar ayi to dekha tum to akele hi yaha se waha chakkar lagaye badbadaye ja rahi ho....
Mansi: no... No Mom.... Wo to me bass... Aise hi....
Kiran: Sach sach batao Mansi.... Kya baat he? Kya chupa rahi ho mujhse?
Mansi: nahi Mom me kyu kuch chupane lagi aapse?
Wo Kiran se apni nazre chura kar, piche mudte hue kehti he. Ab Kiran samajh gayi ke koi na koi baat zarur he jo Mansi us se chupa rahi he.
Kiran: thik he.... Matt batao, ab to tum badi ho gayi ho na... ab Apni Maa se thodi na baate share karogi, ab to sabkuch apni Friends ke saath share karogi.... ab to mujhe ummid lagana hi chhod dena chahiye ke tum mujhse apni baate share kiya karogi.... Koi baat nahi, bacche bade ho kar aise hi Maa Baap ko kam ehmiyat dene lagte he... Me to ja rahi hu, bahot thes pahochayi he Mansi tumne aaj....
Wo kafi nirasha bhare swaro me kehti he, or kamre se bahar jane lagti he, lekin Kiran ki ye chaal kaam agayi, kyu ke Mansi jhatt se Kiran ka haath pakad kar rok leti he.
Mansi: Are ye kaha ki baat kaha le gayi Mom aap bhi? Thik he me batati hu....
Uski baat sunkar Kiran mann hi mann hass padti he.
Kiran: to jaldi se batao kya baat he?
Mansi: lekin pehle aap promise karo ke aap mujhe is baat par baar baar pareshan nahi karogi....
Kiran: ha baba nahi karungi, tum pehle baat to batao....
Mansi: wo.... Mom.... Actually me.....
Ab Mansi ko sach batane me bahot sharm arahi thi, or uska chehra sharm ke mare pura laal ho chuka tha, Mansi ko is tarah sharmate dekh Kiran samajh gayi ke daal me zarur kuch kala he.
Kiran: Mansi tum aise Sharma kyu rahi ho? Ek minute...... Kahi tumhe kisi se pyaar to nahi ho gaya?
Wo aakhe chhodi karti hue Mansi se puchti he, ab uski baat par Mansi or bhi zyada sharma jati he, or sharm se apna chehra niche kar leti he.
Kiran: My God..... How it's Possible? Tum thik to hona Mansi? Jo ladki humesha is pyaar ko, uun bechare couples ko taane marti firti thi, aaj wahi ladki is me shamil ho gayi?
Ab Mansi se or bardasht nahi ho raha tha, wo jhatt se bed pe ulti let kar apna chehra takiye me chupa leti he.
Kiran: are ab chehra kyu chupane lagi tum? Pehle bata to do wo ladka kon he?
Wo bed par bethkar Mansi ko uthate hue kehti he.
Mansi: wo..... A..... Aksh he.....
Kiran: kya? Aksh..... bapre Mansi, tum to chupi rustam nikli, humesha pyaar ka mazak udati firti thi na? Ab kese ye chamatkar ho gaya?
Mansi: Mom ab bass karo.... Aapne kaha tha ke aap mujhe aise pareshan nahi karogi....
Wo roti si Shakal bana kar kehti he.
Kiran: accha ro matt.... Warna Aksh ko bura lagega ki uski Girlfriend ki Mom na use rulaya....
Mansi: Mom now enough.....
Kiran: okay Sorry.... Waise accha hua, ab me or tumhare Dad befikar hp gaye..... Waise bhi, Aksh is Good Boy.... Btw apne Dad ko bhi bata dena ye baat.....
Mansi: no..... Me nahi bataungi Dad ko....
Kiran: kyu?
Mansi: wo fir mera mazak udana shuru kar denge.... Me to ja rahi isi waqt bahar, aap khud bata dena unhe....
Kiran: are are ruko.... Sabse pehli baat to tumhare Dad subah hi 2 din ke liye bahar gaye he, or dusri baat, ke is bare me Aman ko tum khud hi bataogi....
Mansi: Mom ye kya baat hui?
Kiran: yahi baat he.... Tum khud apne muh se bataogi.... Or ab jaldi se niche ajao... Apne sapno me matt khoyi rehna....
Wo Mansi ke room se bahar jate hue kehti he. Fir Mansi bhi bass muskurate hue uthkar fresh ho jati he.
Waha plane Mumbai me land kar chuka tha, Sakshi is waqt Aksh ke kandhe par sar rakh kar so rahi thi.
Aksh: oye Sakshi... Uthja..
Sakshi: ahh.... Sone de na shanti se....
Wo Aksh ko or zor se kaste hue kehti he.
Aksh: are pagal, ye Plane humare Baba ne nahi kharida... Uthja jaldi....
Fir Sakshi bemann se uth jati he. Kuch der baad dono apne ghar pahoch gaye the, aaj Sunday hone se Santosh bhi ghar par hi paper padh raha tha, utne me ghar ki door bell bajti he.
Santosh: Radha.... Dekho darwaze pe koi he....
Wo Kitchen me kaam kar rahi Radha se kehta he.
Radha: thoda kaam bhi kar liya karo.....
Wo haath me belan liye Kitchen se bahar ate hue Santosh ke samne khade hoke uska paper hata kar gusse me kehti he.
Santosh: a.... Accha... Tum, tum jao kitchen me... Me dekh leta hu...
Wo Radha ke haath me belan dekh kar darte hue kehta he.
Radha: rehne do.... Dekh rahi hu me....
Fir Radha ja kar darwaza kholti he or samne Sakshi or Aksh khada dekh kar uski khushi ka koi thikana nahi rehta. Or wo jaldi se dono ko gale laga leti he.
Radha: Aksh, Sakshi.... Tum dono.... Are pehle bata to dete ane wale ho....
Aksh: andar to ane de nahi rahi ho Aai tum.....
Radha: are ha me bhi na, ajao andar...... Aaho paha Aksh ani Sakshi aali aahe (dekhiye Aksh or Sakshi aye he)
Santosh bhi dono ko dekh kar kafi khush ho jata he, fir sab akar ek saath beth jate he.
Santosh: aise achanak kese ana hua? Sab thik he na?
Aksh: Ho Baba.... Wo to bass aap dono se milne agaye...
Radha: chalo accha kiya.... Ab aye ho to kuch din yahi ruk jana....
Aksh: nahi Aai.... Hum to aaj raat ko hi wapis chale jayenge.... Mera kaam is waqt apne ehem charan par he... Mera waha hona bahot zaruri he... To filhal yaha nahi reh paunga....
Sakshi: Aai.... Me 2 din ke liye yahi ruk rahi hu...
Uski baat sunkar Aksh ko accha nahi lagta.
Aksh: or tera College?
Sakshi: to... 2 din chutti le lungi... Usme konsi badi baat ho jayegi....
Radha: sahi kaha.... Sakshi, ek hafte takk ruk jana yaha...
Sakshi: nahi Aai.... Wo exams bhi ane wale he, to itne waqt takk nahi ruk paunga, bass 2 din baad fir se jana hoga....
Radha: accha? chalo Thik he....
Santosh: ab aye ho to chalo kahi ghum kar ate he...
Aksh: okay, aap tayar ho jayiye.... Me bass Karim Chacha se milkar Ata hu....
Santosh: thik he....
Fir Aksh apni bike le kar Karim ke paas chala jata he. Waha Karim apne kaam me laga hua tha, or piche se Aksh apni bike laga kar andar ajata he.
Aksh: kitna kaam karoge chacha? Thoda aram bhi kar liya karo.....
Uski awaz sunkar Karim piche mudkar dekhta he, or Aksh ko waha dekh kar use kafi khushi hoti he.
Karim: are Aksh..... Tu kab aya?
Wo Aksh ko gale se laga kar puchta he.
Aksh: bass abhi abhi aya hu chacha... Aap kese he?
Karim: upar wale ka shukar.... Haath pair bilkul sahi salamat he.... Tu bata, tera kaam kesa chal raha he?
Aksh: bahot hi badhiya....
Karim: wo to chalega hi na.... Upar wale ka haath he tere sar pe... Or is wajah se tera yaha ka business bhi bass badhta hi ja raha he....
Aksh: chacha yaha ka business mere akele ka nahi he... Uska sara credit sirf or sirf aap ko hi jata he...
Karim: are kya tu.... To kabtak he tu yaha?
Aksh: bass aaj raat nikal jaunga.... Mera waha hona bhi bahot zaruri he...
Karim: chal koi baat nahi....
Aksh: ek minute.... Aapke liye kuch laya tha me.... Ye lijiye....
Wo apni jeb se ek box nikal kar Karim ko dete hue kehta he.
Karim: ye kya he Aksh?
Aksh: khol kar dekh lijiye.....
Fir Karim us box ko khol deta he, or us box me ek Gold plated Watch thi.
Karim: abe, ye kya?
Aksh: pasand ayi?
Karim: beta ye bahot hi mehengi lagg rahi he...
Aksh: yaar aap uski chinta matt karo...
Karim: lekin....
Aksh: chacha jab aapne mujhe wo bike di thi, kya tabb mene mana kiya? Ab aap bhi mana matt kijiye, or ye rakh lijiye....
Karim: sach me.... Bada ho gaya Aksh tu....
Wo ek badi si muskurahat ke saath Aksh ke sar pe haath ferte hue kehta he.
Aksh: or ye lijiye.... Isme Chachi ke liye locket he...
Karim: ab ye....
Aksh: please rakh lijiye na.... Lekin iske badle mujhe kuch chahiye....
Karim: kya?
Aksh: chachi ke haath ki biryani.... Raat ko Surat jane se pehle Biryani kha kar hi jana chahta hu....
Karim: are zarur.....
Fir dono Karim ke ghar chale jate he or wo kuch der takk yaha ke business ke bare me bhi bate karte he, yaha par business zyada badh gaya tha, jis se Karim par kafi load tha, lekin Karim apne pure mann se kaam karta tha, jab Aksh ko ye baat Karim ki patni se pata chali ke kaam ke chakkar me Karim kafi thak jata, der der takk kaam par laga rehta to Aksh yaha kuch logo ko appoint kar deta he, jis se sabkuch thik se chal paye. Kuch der baad Aksh ko ghar se phone ajata he, or wo sab milkar bahar chale jate he.
Sakshi pura waqt Radha or Santosh ke hi saath thi, kyu ke tabhi uske dil ko thoda sukoon milta. Warna to Aksh ko dekh kar wo bass udas ho jati.
Khair, sham ko sab ghar pe agaye the, Sakshi or Aksh is waqt apne ghar ki chatt par bethe hue the.
Aksh: accha Sakshi, 2 din baad me ajaunga tujhe lene ke liye....
Sakshi: Aksh humare paas paisa he iska Matlab ye nahi ke use bass udana hi chahiye.... Kyu bewajah ka kharcha karna chahta he tu? Me ajaungi akele....
Aksh: Lekin....
Sakshi: mene kaha na me ajaungi.... Tu bass apne kaam par dhyan de....
Aksh: thik he....
Aksh Sakshi se kuch kehna chahta tha, lekin tabhi use Mansi ka call ajata he, wo jaldi se call pick kar ke Sakshi se alag ho kar baat karne lagta he, Sakshi samajh gayi ke Aksh is waqt Mansi se hi baat kar raha he, tabb Sakshi uthkar niche chali gayi, or Radha ko bata kar ke wo Neha se milne ja rahi he ghar se bahar chali gayi. Kareeb 6 baje Aksh Karim ke ghar chala jata he, uski flight 8 baje thi, isliye wo Karim ke ghar se khana kha kar apne ghar chala jata he sabse milne. Lekin waha Sakshi abtak ghar nahi ayi thi, to Aksh use call kar deta he.
Sakshi: Ha Aksh bol na...
Aksh: kya bolna? Kaha he tu?
Sakshi: wo me.... Ah... Me apne dosto se milne ayi thi....
Aksh: Sakshi mujhe abhi nikalna he, or tu yaha honi chahiye thi....
Sakshi: tu.... Tune batana chahiye tha na teri flight kitne baje he...
Aksh: ab chhod wo sab, jaldi se ghar aja.... Me Tujhse mile bagair nahi jane wala....
Sakshi: ye kya keh raha he Aksh tu? Ab me to apne friends ke saath kafi dur agayi hu, mujhe ane me kitna waqt lagg jayega, fir teri flight bhi miss ho jayegi....
Aksh: koi baat nahi.... Tu aja...
Sakshi: ab Maaf kar dena Aksh.... Mujhe agar pata hota ke tujhe is waqt jana he to me ghar pe hi ruk jati na....
Aksh: Sakshi ye sachme galat baat he...
Sakshi: Sorry Aksh.... Waise bhi me.. me 2 din baad ajaungi na....
Uski baat sunkar Aksh ka mood bilkul ukhad gaya tha, usne bina kuch kahe call disconnect kar diya.
Aksh: Aai, Baba.... Me nikal raha hu....
Radha: thik he beta Aram se jana....
Aksh: ho Aai....
Santosh: kya hua Aksh? Tu udas kyu lagg raha he?
Aksh: nahi wo to bass, me rukna chahta tha... Lekin kaam ki wajah se nahi ruk pa raha hu to....
Radha: chal ab koi baat nahi, agli bar pure hafte ka intezam kar ke hi ana...
Aksh: thik he..... Chalta hu.....
Fir Aksh bemann se Airport chala jata he, or Flight me beth kar rawana ho jata he Surat ke liye.
Lekin waha Sakshi ka kuch or hi haal tha. Darasal Sakshi is waqt pahadi ilake me akeli bethi hui thi, jese hi Aksh ne gusse me call kaat diya to Sakshi rona shuru kar deti he.
Sakshi: me kya karu Aksh? Me nahi jatana chahti ke mujhe tere or Mansi ke rishte se kitni takleef ho rahi he.... Kese batau mera dil kitna dukhta he ye sab soch kar.... kese......
Kafi der takk Sakshi waha akele beth kar roti rehti he, or kisi tarah apne aap ko sambhal leti he. Use ghar pahochte pahochte kareeb 9 baj gaye the. Wo ghar ja kar khana khaye bina hi sone ki koshish me lagg jati he, lekin kya kare? Jab dil tut ta he to nind pata nahi kaha gum si jati he. Kuch yahi haal is waqt Sakshi ka tha. Wo bass karvate hi badal rahi thi.
Waha Aksh 9:30 ke kareeb apne ghar pahoch gaya tha, usne jate hi Mansi ko call kar diya. Waha Mansi ne Aksh ke liye kuch socha tha.
Mansi: chalo, Aksh ko surprise deti hu....
Wo apne mann me sochte hue muskurane lagti he, or ja kar kapde change kar leti he.
Mansi change kar ke Kiran ke paas ajati he.
Mansi: Mom.... Me.... Me Diksha ke paas ja rahi hu....
Kiran: itni raat ko?
Mansi: h..... Ha.... Wo.... Wo hum sab friends aaj raat... Uske ghar hi rukne wali he....
Uski baat sunkar Kiran ko yakeen ho gaya ke Mansi jhut bol rahi he. Tabb wo Mansi ki thodi firki lene ka sochti he.
Kiran: thik he.... Chali jao....
Mansi: thanks Mom.....
Fir wo Kiran ke kamre se Khushi khushi bahar jane lagti he, lekin tabhi Kiran use rok deti he.
Kiran: Are Mansi, yaha ana jara.....
Mansi: ha Mom....
Kiran: Aksh or Sakshi Mumbai gaye hue he na? To wapis kab ane wale he?
Mansi: Mom..... Wo to.... Wo to 2 din wahi rehne wale he...
Kiran: accha? Ek minute.....
Or ye kehte hue wo apna phone nikal kar Aksh ko call kar deti he. Or speaker loud kar deti he.
Aksh: Hello....
Mobile me Aksh ki awaz sun kar Mansi ki saas hi atak gayi thi.
Kiran: ha Aksh.... Tum Mumbai se kab arahe ho?
Aksh: Aunty.... Me to bass kuch der pehle hi agaya...
Kiran: accha? Mansi to keh rahi thi tum 2 din wahi rehne wale ho....
Aksh: actually Sakshi 2 din ke liye wahi ruk gayi he... Me apne kaam ki wajah se wapis agaya....
Mansi(mann me): Aksh..... babuchak, tum me dimag hi nahi he.... Budbak...
Kiran: chalo thik he beta.... Waise jaldi ghar ajao Dinner ke liye...
Aksh: Aunty mene Dinner kar liya he.... Thanks...
Kiran: Okay beta....
Fir Kiran call kaat deti he, or uthkar Mansi ke nazdeek ajati he.
Kiran: Diksha se puchu call kar ke?
Ab Mansi puri tarah se Sharminda mehsus karne lag jati he, jo Kiran bhi dekh leti he. Lekin Kiran bass Mansi ko pareshan kar rahi thi, na ke use Sharminda kar rahi thi.
Kiran: are Mansi tumhe kya ho gaya? Me to bass tumhe pareshan kar rahi thi... Bata deti ke Aksh se milne ja rahi ho, me thodi na rokti tumhe.... I Know My Mansi very well..... She is very Mature.....
Wo Mansi ke sar pe haath ferte hue kehti he. Lekin ab bhi Mansi ke andar Hesitation thi.
Kiran: Mansi.... Go..... Or ha kal ana, to Aksh ko saath le kar ana...... Jao ab....
Wo Mansi ka chehra upar karte hue kehti he. Fir Mansi kass kar Kiran ko Hug lar leti he.
Mansi: Love You Mom.....
Kiran: Love You Too Beta.....
Fir Mansi gadi le kar nikal jati he Aksh ke ghar. Kuch der me wo Aksh ke ghar pahoch gayi thi, Aksh ne jab Darwaza khola to Samne Mansi ko dekh kar heran ho gaya, lekin Mansi ne gusse me Aksh ka gala pakad kar daba diya.
Mansi: Babuchak..... Ek number ke Babuchak ho Aksh tum..... Sahi kehti he Sakshi..... Pagal.....
Aksh: are mene kya kiya wo to batao....
Mansi: kya kiya? Mujhe kitna Sharminda karwaya pata bhi he tumhe?
Aksh: accha.... Pehle... Pehle shanti se puri baat to batao mujhe Manu.....
Uske muh se apne liye ek naya naam sunkar Mansi ka sara gussa kahi kho sa jata he. Or uski pakad bhi is wajah se dhili pad gayi. Aksh ne pehle use ghar ke andar kiya, or Darwaza band kar ke use sofe par bitha diya.
Aksh: ab batao... Kya kiya mene?
Mansi: pagal.... Tumhe pata he, mene socha ke me aaj tumhare saath hi rahungi, or mene Mom se jhut kaha ke me Diksha ke ghar ja rahi hu, Mom ne tumhe call kiya to tum to sabkuch batate hi chale gaye.... Pagal...
Aksh: ohh.... I'm Really Sorry Mansi.... Lekin mujhe batana chahiye tha na....
Mansi: me to tumhe surprise dena chahti thi....
Wo masum sa chehra bana kar Aksh se kehti he.
Aksh: mujhe bahot pasand aya tumhara Surprise....
Wo Mansi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, or pyaar se uske mathe par chum leta he. Fir kuch der takk dono pyaar bhari baate karte hue beth jate he, or kareeb 11 baje wo uthkar Aksh ke bedroom me chale jate he.
Aksh: mere saath hi sona pasand karogi ya alag?
Mansi: hmm.... Ab to humesha ke liye ek ho hi gaye he na hum.... To fir alag alag sone me kya rakha he...
Wo apni bahe Aksh ke kandhe par dalte hue kehti he.
Aksh: thik he... To Sakshi ke kamre me ja kar uske kapde pehen lo....
Mansi: thik he...
Fir Mansi Sakshi ke Closet se uski ek crop T-shirt or shorts pehen kar Aksh ke kamre me wapis ajati he.
Dono is waqt bed par lete hue apas me bate kiye ja rahe the, lekin ab dono ke chehre ek dusre ke kafi nazdeek the. Dono hi ek dusre ki garm chalti saaso ko mehsus kar pa rahe the. Tabb Mansi apne ek haath Aksh ke chehre par rakh deti he. Mansi ke haath bhi jese koyle ki aag me jal rahe the, Aksh apna ek haath Mansi ki kamar par rakh deta he. Aksh ka sparsh hote hue Mansi ek lambi si saas bhar kar apni aakhe band kar leti he. Aksh dhire dhire Mansi ke honto ki taraf badhe ja raha tha, or fir dono ke hont ek dusre se mil jate he, kuch der takk bass ek dusre ke honto ko chumte rehne ke baad Mansi Kiss tod kar Aksh ke upar let jati he, or firse Aksh ko kiss karne lagti he, lekin is baar is kiss me kuch zyada hi takat thi. Dono ab kafi zor zor se haaf rahe the. Mansi ne apni ungliyo se Aksh ka T-shirt pakad kar upar kar diya, or use nikal kar niche fek diya. Aksh ke badan ki garmi me Mansi ka moum jesa sharir pighalne laga tha. Or wahi haal Aksh ka bhi tha, wo bhi ab Mansi ka T-shirt pakad kar use nikal fekta he, is waqt Mansi ka makhmali badan Aksh ki aakho ke samne tha. Aksh Mansi ko gardan ke piche se pakad kar use fir se kiss karne lagta he, or fir use apne niche la kar Mansi ke neck par humla kar deta he, jese hi Aksh ke hont Mansi ke gale ko chhute he, to Mansi ke liye ye waqt jese tham sa jata he. Use to ab kisi baat ka hosh nahi tha. Aksh ab Mansi ke pure badan ko chum raha tha, or Mansi ko bilkul saha nahi ja raha tha, bass kuch hi palo me uska sharir akadne laga or wo zor zor se haanfte hue apna sharir dhila chhod deti he. Aksh bhi Mansi ko Normal feel hone takk ruk jata he. Or bass Mansi ke upar let jata he.
Mansi: kya hua Aksh?
Aksh: kuch nahi.... Mansi me bass tumse jaan na chahta hu ke tum sachme in sab ke liye tayar ho?
Wo Mansi ka chehra apne haatho me thamkar puchta he.
Mansi: Aksh, i trust you more than anything.... Tumhe jo thik lagega, I'm agree with your decision....
Aksh: Mansi tumne Aunty ko to bata diya... Lekin uncle ko ye baat nahi pata he na?
Mansi: Dad 2 din baad ayenge, tabb me unhe bata dungi....
Aksh: Mansi i think abhi ye sab karna jaldbazi hogi... Because mene bhi abtak Aai Baba se tumhari baat nahi ki he.... If you don't mind agar hum filhal ke liye is se aage na badhe to?
Uski baat sunkar Mansi ke chehre par muskurahat cha jati he, kyu ke wo samajh gayi thi ke Aksh bahot sensible he. Or is baat se Mansi ke dil me Aksh ke liye pyaar or bhi zyada badh gaya.
Mansi: I Agree With You.... But ek chiz me nahi rok sakti.....
Aksh: what?
Mansi: This.....
Or ye kehkar wo Aksh ko zor dar kiss karne lagti he, Aksh bhi bass Mansi ka saath de raha tha.
Raat ke 12 baj chuke the, Waha Sakshi sone ki koshish karte karte thak chuki thi, isliye wo chatt par ja kar beth jati he. Use bahot mann kar raha tha Aksh se baat karne ka, tabb wo Aksh ko call kar hi deti he. Waha jese hi Aksh ka phone baja, Mansi ne Aksh ke phone lene se pehle hi call dekhe bina kaat diya, or phone ko table par rakh diya. Lekin us se ek galati ho gayi, usne galati se call pick kar liya tha. Sakshi ko bass waha Mansi ki Moaning ki awaz arahi thi, or wo itni bhi bewakuf nahi he, ke is se wo samajh na paye ke waha kya ho raha he. Ye sab sunkar Sakshi ki duniya to jese kisi tinke ki tarah bikharne lagg gayi thi. Or uski aakho se tezi se aasu ane lage, Sakshi gusse me apna phone zameen par patak kar tod deti he. Or wahi beth kar rona shuru kar deti he.
Sakshi (mann me): kyu ho raha he ye sab mere saath hi? Kya gunah kar diya mene Aksh se pyaar kar ke? Kyu itni buri saza mil rahi he mujhe mere pyaar ki? Mansi.... Tumne hi china he mere Aksh ko mujhse.... Me kabhi maaf nahi kar sakti tumhe... Kabhi nahi..... Ek hi to baar manga tha bhagwaan se kuch.... Wo bhi chinn liya mujhse.... Wo bhi chinn liya....
Yaha Sakshi raat ke 3 baje takk chatt par hi roti rehti he, pure waqt Sakshi ki aakho se aasu thamne ka naam nahi le rahe the. Or akhir kaar raat ke 3 baje uski himmat jawab de jati he, or wo bass jese tese zindagi kaatne ke bare me sochne lagti he.
Wahi dusri taraf aaj Aksh ki baho me Sakshi ki jagah Mansi ne le li thi, wo to Aksh ki baho me itna sukoon mehsus kar rahi thi ke use kabhi is tarah ka sukoon milne hi nahi wala. Wahi Aksh bhi is naye rishte se khush tha, uski zindagi me bhi Mansi khushiyo ki bahar le kar ayi thi.
Ek taraf khushiya to dusri taraf sirf or sirf dard, kya Aksh sach me Sakshi ka dard nahi dekh pa raha tha? Ya fir Mansi ke pyaar me use Sakshi ka dukh bhi kam lagne laga tha? Wahi Sakshi ne to jese haar maan li thi, par use Mansi ka samna to karna hi tha, kya wo apni jalan Mansi se chupa payegi? Kya Mansi jo Sakshi ko apni best friend manti he, wo Sakshi ka dard samajh payegi? Ab jo bhi hoga, ane wale Updates me pata chal hi jayega.