- 2,217
- 13,472
- 159
Yes.... Aaj raat post kar dunga Update ummid he accha likha hoIntazar rahega bhai update ka mind divert bhi ho jayega dhire dhire
Stay Tuned And Keep Supporting
Yes.... Aaj raat post kar dunga Update ummid he accha likha hoIntazar rahega bhai update ka mind divert bhi ho jayega dhire dhire
Bhai unki kami to khud bhagwan bhi aa kr nhi puri kr skta bs aapne aap thodi koshish krni pade gi k jindgi shuru ho phir sai ..baki hum aapke sath hai stay strong nd rest in peace ur mother nd grandma ..Pata nahi kese Shuruwat karu, lekin karni to hogi. Darasal is kahani ko, is forum ko or apne Readers ko chhod kar jane ki wajah ye thi ke corona ke chalte I Lost my Mummy and Grandma. Bass un dono ke bina zindagi bikhar gayi he. Lekin shayad ab sab shuru se sametna hoga.
Or yaha akar ye sab is liye bataya kyu ke bate bass dil me dabi hui he, me kabhi kisi ke samne apne Emotions zahir nahi hone deta, lekin dil kuch zyada hi bhar aya tha, to laga Xf par akar apni dil ki baat sabko bata du. Ab bhi dukh dur nahi hua he, bass har roz dukh kam karne ke naye naye bahane dhund raha hu. Waqt ke saath firse jina sikh hi lunga.
Chalo ab or zyada bhari baate nahi karte, accha laga apni dil ki baat ka izhar kar ke.
Intazar rahega bhai update ka mind divert bhi ho jayega dhire dhire
Story ko fir se write karne ke liye thank you so much...God bless you...waiting your amazing update
Bhai unki kami to khud bhagwan bhi aa kr nhi puri kr skta bs aapne aap thodi koshish krni pade gi k jindgi shuru ho phir sai ..baki hum aapke sath hai stay strong nd rest in peace ur mother nd grandma ..
Bahut shandar update. Mere paas shabd kam pad gaye he tarif k liye. Bhale hi aapne thoda fast story dikhayi par har patra k sath barabar nyay kiya. Emotions love trejady ka bhandar tha. Bhai aapne ek punch line sakshi k dwara di he ki har khubsurat kahani to adhuri hi rahti he par me bhai aapse request karta hu ki aapki itani khubsurat rachna ko adhuri mat chhod dena. Nice update brother. Vese next update kab aayega.
sahi kaha bhai.
Thank you bhai...ye story bahat hi jyda achchha hai...waiting your next update...
Bhaiya mn apki khani ka silent reader hoon apki dosri khani b parhi boht achi thi full of emotions pr apki ic khani k start mn Jo seen dikhya gya osy soch k dr b lagta hy k ghoom phir k khani mn wo moor too aana hi hy ici liay kamoshi sy khani Read kr rha tha pr aaj socha itni achi khani ki tareef nh karna boht zyadti hogi
Pr kuch swal heen
Mansi k bhai ko marny k baad dosri larki ka zikar aaya too wo larki khee Sakshi too nhi q k mansi too pehly sy onki nazro mn thi oor osy dhondny ki baat samjh nhi aatiap ki khani ki hr update ka besabri sy intyzar rehta hy
Sunday tak sabhi reviews clear
badhiya update bhai ji
KYA BAAT KYA BAAT
Qatil sir ur story is best this story is one of my favourite stories i love it & i eagerly waiting for your new update
Waiting bhai log..
Baught badhia update h bhai
Waiting
Wo ishq hai tumse mera favorite story hai aur hamesha favorite hi rahega...aur mujhe lagta hao ye story bhi bahat hi achchha hai
Ye storie main ne bookmark me save ki thi parhne ke liye jab ye shuru huwi thi lekin phir yaad he nahi raha aj bookmarks khole to saamne ye storie aa gayi sach me kabile tareef storie hai parhte parhte main ne socha ke iss ko pehle kiu nahi parha lekin ab lag raha hai is ko abhi parh ker galti ker di ab intezar he jan le ga iss ke ek update parhne ke baad dusra update kholne me jitna time lag raha tha wo waqt he mujhe zehar lag raha tha Ab to samjho intezar ho ga he nahi Main itna acha review de nahi sakta jitne ki ye storie haqdar hai bus ye kahu ga speechless har kirdar bohat ache tareeke se paish kia hai ap ne har feeling ubhar ke saamne ayi hai ek ek scene dil ko chune wala tha bohat arse baad aisi storie parhne ko mili hai sab updates parh liye hai iss liye hai ye ek naya reader jur gaya hai ab ap ke saath jaldi jaldi update do waiting for next update
Waiting Qaatil sir
Ok bhai
Nice update
Waiting
Mast update hai
Nice introduction.......
Jhakaasssss
Super
Next update Qaatil sir aap kab de rho ho
Awesome update
lajwaab update bro
Fantastic update. There seems to be only love between the siblings. Agar lust bhi hota toh aur bhi maza aata.
But please continue as per your story.
I am enjoying it. Thanks
Next part
aapke update ka intzaar rahega bhai...aap sach mein ek behatrin writer ho...aapki likhne ki shaili bahut achhi hai...waiting for your next update
sure @Qatil99 bhai aapki story hi itni interesting hai ke banda khud ba khud juda rehta hai...keep writing bro...we readers will definitely support you.
Super update
Ye turning update h
Keep posting
Very good starting and nice script
Full paisa wasool performance.
Waiting for the next update.
Nice update waiting for next
Atulniya Update sirji
Most beautiful scene of this Update ❤
N
Nice start bro
Super se bhi uper update
shandar update
𝐰𝐞𝐥𝐜𝐨𝐦𝐞 𝐛𝐚𝐜𝐤 𝐛𝐡𝐚𝐢
𝐚𝐧𝐝 𝐧𝐢𝐜𝐞 𝐬𝐭𝐚𝐫𝐭𝐢𝐧𝐠
𝐛𝐫𝐨
Lajawab update
Nice
Superb Starting bro keep it up
Ohhh sirf poster be hi mera lund kada kiya
Awesome update
Super
Bahut badhiya update bhai
Good name of story.
Me janta hu ke me bht late hu but Congratulations for the story, or kasam se bht hi shandar likh rhe ho, agle update ka intezar he.
Superb update bhai......
Fantastic update..bhai
nice update .waise santosh ne zabardasti science me daal diya aksh ko ..
aur teacher to wakai me ghatiya type tha ,pehle hi din hausla badhane ki jagah taane maarne laga aur maa baap se complain bhi kar di ..
ab aksh class change karna chahta hai isse sakshi naraj ho gayi par aksh ko ghar aane se bura kyu lagta hai .
Bdiya update bhai ji
Update padte padte kab khtm ho jata h pta nhi chalta
Bhai mere hisab se do updates ikathe diya karo to story padne me bhi dilchaspi rhegi chahe do din ke baad update do
Age apki marzi
Nice update..
Aksh does not want to study but he wants to be a successful man, that's a good thing. I have said this before and now I am saying here again that there is no fault of anyone, just need to understand each other and it is not good to have controversy again and again. Sakshi is intelligent and good, taking everyone along and caring. Send that teacher to me, I teach him. If someone says something wrong to Aksh, Sakshi does not like it, reflect her love in anger.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
Shandar Dumdar UpdateAksh Kahin per Bhi galat nahi hai, maa baap ko apne faisle kuch had tak apne baccho per thopna kam kar dene chayiye unhe apne baccho ko moivate karna chayiye saath dene chayiye agar bacche bhatag bhi jaye tho unhe sahi raaste mein lane ka kartawya bhi maa baap ka hai jo ki santosh aur radha mein nahi dekha de rahi hai aur ek taraf yeh zalim zamana to kisis ko bhi chain se zene nahi dete aksar school life mein college life mein, humhe demotivate karna aam baath hogayi log puchthe unhi ko hai zo intelegent, smart, hota hai. Aksh ke saath bhi wahi ho raha hai.
Dekthe hai Aksh ke behaviour mein kya changes aate hai....
Kya aksh apni manzil per pouch payega ya fir yunhi batag tha rahe ga.???
dekthe aage kya hota.....
Waiting for next.....
Shandar Bhai
Khubsurat Update Qaatil bhai ❤
Pyar, dard, kuch karne ka junun sabka kamal combination tha, Next Update ka intezar rahega bhai ❤
For completed 25k views on your story thread.....
hum mera manna hai baap login ko bete ki bhi sunni chahiye wo kya chahta hai kuch usko uske hisaab se bhi aage badhne dena chahiye jabardasti har baat thopna nai chahiye uspar lekin kuch mamle me jaise study me wo kya chahta hai karna kaam kya pasand usko koi bhi subject chota nai hota ok..ab aate hain nibbi par to nibbi na wo chutiya hota hai sayad
Waiting For Next Update
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb
Waiting bro
Intazar rahega bhai
Or kya chapter 2 me inke pyar ki Shuruwat hogi?
Waiting
Tu hi hai meri jeene ki ummid ,
tujhse judi hai dil ki preet.
Tu hasen to bahare gulzar ho,
Aur roye to jeena hi duswar ho.
Ho sakta hai bhavishya me akash ko kafi muskilo ka samna karna pade lekin jab tak sakshi ka hath sath fir darne ki kya baat hai.
jaise kahani ka title hai us hisab se akash aur sakshi ka rishta aage kya karwat lega ye to bhavishya ki gart me chhupa hai.
Ab kahta hu ek bhai ke point of view se ki bachpan se abtak ke jeevan ke safar me sakshi ne akas ke liye ek bahan se badhakar maa aur best friend ka hak ada kiya hai.
vaise dono bhai bahan ka prem hai adbhut.
Hum kahani aur lekhak mahodaya ke achchhe bhavishya ki kamna karte hai.
Love you dear brother
Waiting for the next update.
Superb update bro
Fabulous update bro
Good story
Bohot hi badiya update bhai muje laga sakshi Akash se apne pyar ka Izhaar kar degi par nahi kia ab age dekhte h kya hota h
Waiting bro
नमस्कार सर जी।
कहानी का पहला भाग आज पढ़ा।
कहानी की शुरुआत देखकर लगता है कि आकाश और साक्षी के माता पिता राधा और संतोष की किसी ने हत्या कर दी है।
अच्छा साक्षी और आकाश के जन्म में बस एक मिनट का अंतर है और दोनों बड़े शरारती है।
पूरा घर सिर पर उठा रखा है दोनों ने।
लेकिन दोनों भाई बहन में बहुत प्यार भी है।।
कहानी की शुरुआत बहुत अच्छी है।
बहुत जल्द पूरी कहानी पढूंगी।
behatrin story bro....................
mene aapki 1st story read ki thi....kafi acchi story thi
but iss story ka to level hi alag h 1st story se kafi improvement kiya h aapne............
hero k emotions uski feelings or life ke sangharsh ke sath sath uski apne sapne ko pura krne ki lalak ko kafi acche se describe kiya h aapne............
sat hi villen ki darindgi or samaj m jahar gholte drugs k bare m kafi acche se likha h .................
whi ek successful businessman ke roop m aman ko bhut acche se prastut kiya h jisme uska ground se juda hona bhi dikhaya h .......
sath hi apni 1st deal pura nhi hone jo ese ldke ne mna kiya tha jiska ye startup tha usse hone wali becheni or life k prati uski najariya ko bdlne wale pal bhi kafi khubsurat the.......................
overall outstanding story till continued update................
next update ka intzar rahega bro.....................
Bhai next update kab ayega?
Waiting for the update qaatil bhaai please post the next update soon.....
Waiting
Zabardast update bht hi kamal ki story writing. Mansi or Sakshi twins hain or dono aksh ki sisters hain agr ye twist hay to bhai bht bara dhamaka honay wala hay, eagerly waiting for next update bhai keep up the fantabolous work
Baught hi shaandaar update h
❤
Umda
Romance is oozing in this story.
Waiting
the story maker
Nice story keep it bhai
Waiting for update....
Bhai thoda fast update do na...waiting nahi ho raha...bahat hi interesting story hai bhai
Qaatil sir apke 25-30 minutes pure ho gye ab to update de do abhi tak ankhe bhi nhi nichi ja rhi jaldi kro bhai
Jabardast update..bhai
Chapter 3 - The Qaatil
Update 2
Mega Update
Word Count: 5100
Estimated Reading Time: 00:25:00
Gujrat Ki sham ke waqt suhani behti hawaye, dubta hue suraj ka khushnuma nazara or ek dusre ki baho me lipat kar bethe hue Aksh or Mansi, is waqt Mansi Aksh ki Godd me sukoon se bethi hui thi, Aksh ka ek haath Mansi ke pet par tha, or dusra haath uske baalo me tha.
Mansi: Aksh..... Mene kabhi socha nahi tha me apni zindagi me kisi ko apni jaan se bhi zyada chahne lagungi....
Aksh: isi ko to zindagi kehte he na..... Jo hum sochte he, zindagi har bar us se dus kadam aage ki sochkar bethi hoti he.
Mansi: lekin zindagi ki meri tumse milane ki soch sabse Khubsurat soch thi.... or me uski humesha shukar guzar rahungi....
Aksh: accha? Itna pyaar ho gaya mujhse?
Mansi: karna to nahi chahti thi.... Humesha sochti thi ke me is pyaar se dur hi rahungi lekin kismat ko shayad ye manzur nahi tha.....
Aksh: kehte he na, jo hota he acche ke liye hota he...
Mansi: lekin kabhi mere saath kuch bura hua to?
Aksh: tum par koi aach nahi ane dunga me Mansi.... Ye mera wada he....
Wo piche se Mansi ko or zor se apni baho me kaste hue kehta he. Mansi ki saase kafi bhari hone lagi thi, wo bass apni aakhe band kar deti he, or is lamhe ko jine lagti he. Aksh ne apne hont Mansi ke gale par chuye hi the ki uski garam chalti saaso se Mansi sihar uth ti he.
"Aksh...... Aksh......"
Aksh ke dimag me Mansi or uski sari suhani yaade arahi thi lekin tabhi use Mansi ke chillane ki, dard se karhate hue use pukarte waqt ki awaze ane lagti he. Jis se Aksh apna sar pakad kar uth jata he, Aksh ne chillate hue apne kamre ka shisha ek hi mukke me chakna chur kar diya, or niche bethkar zor zor se hafne laga. Aksh jab apne haath par nazar dalta he, jaha se khun risne laga tha, to Aksh ko wo sara nazara apne samne dikhayi dene laga.
Aksh: Ma.... Mansi, me...... Me apna... Wada nahi nibha paya..... Meri aakho ke samne tum.... tum roti rahi, chillati rahi lekin.... Lekin me kuch nahi kar paya..... me kuch nahi kar paya..... Aai, Baba.... Sab... Sab mere samne tadap rahe the, lekin me.... Me lachar tha....
Or ye sab kehte hue Aksh zor zor se rone lagta he. Kuch der yuhi rone ke baad Aksh uthkar drawer se ek tasveer nikal leta he. Lekin us tasveer ko dekh kar Aksh ke chehre par koi bhav nahi dikhayi de rahe the. darasal wo tasveer Sakshi ki thi, Aksh firse us tasveer ko drawer me rakh deta he. Or ja kar kadi exercise karne lagta he. Pichle kuch dino me Aksh ne itni sari lashe gira di thi ke koi bhi ek aise ladke ke bare me jankar darr jata, jiska background ek decent family se tha or aaj wo ek darinda bann chuka he. Pure Gujarat me is Qaatil naam ke Darinde ka khuaf cha chuka tha, har roz News Channel me Qaatil dwara hui Darindagi bhari ghatnaye dikhayi ja rahi thi. Koi soch nahi sakta tha ke is Darindagi bhare kaam ke piche ek sadharan pariwar ka ladka tha. Qaatil ki ek nishani thi, wo jaha par bhi apne kaam ko anjam deta waha lasho ki aakhe gayab hoti thi, or yahi Qaatil ki Pehchan bann chuki thi, Waha Rana ye sab dekh kar gusse me aag babula ho raha tha, kyu ke Qaatil ka nishana to sirf Rana ke aadmi hi ho rahe the.
Rana: Abdul.... Ye kya ho raha he? Is Aksh ka pata abtak kyu nahi laga?
Abdul: Boss, Aksh akela he..... Uske piche na koi 100 logo ki gang he, na uska koi thikana he.... Isliye usko dhund na mushkil ho raha he.... Wo akela ata he, or apna kaam kar ke chala jata he.
Rana: mujhe har kimat par Aksh mere samne chahiye, or wo bhi zinda halat me.....
Abdul: aisa hi hoga Boss.... Wo aapke samne khada hoga, or wo bhi Zinda.....
Wo Rana ki aakho me aakhe dalkar kehta he.
Dusri taraf wo jagah, jo pehle Virani Industries ke Business ko handle karti thi, aaj us jagah par ek factory thi, jaha Shakkar banane ka kaam ho raha tha, lekin asliyat to kuch or thi, Shakkar ki aad me yaha par beshumar tadaat me Drugs ki Smuggling ho rahi thi, CBI ne Smuggling kabu karne ke liye sare hatkande apna liye the, lekin jab se Aksh ki Company band padi thi, tabse CBI ki Drugs ko track karne ki shamta kho gayi thi, unhone lakh koshish kar li thi Aksh ke banaye System ka replica banane ki, lekin har bar usme koi issue ajata tha, koi company is tarike ka system banane me puri tarah kamyab nahi ho pa rahi thi. Or yahi wajah thi ke kuch waqt tak kabu me aya wo Drug Smuggling ka daur ab khatam ho chuka tha.
Anant: sana, kya hua? Sakshi ke bare me kuch....
Is wanqt Anant CBI ki secret agent or is mission ke dusre Officer ke saath apne cabin me betha hua tha. Darasal Anant ne apne Officer ko bolker Sakshi ki details nikalne ko kaha tha. Or ye kaam Sana ki zimmedari thi, jo ki CBI or Abhinav ki sabse kabil Secret Agent thi.
Sana: sir, Sakshi is waqt Banglore me ek Software company me job kar rahi he... But sir use dekh kar aisa lagta he jese... Jese she is Dying.... Aap ko sachme lagta he ke is mission me Sakshi kaam ayegi?
Anant: is waqt Sakshi ke paas jine ka koi maksad nahi he, hume bass use wo maksad dena he, fir is mission ko hum asani se complete kar sakte he....
Officer: to sir aap Sakshi ko.....
Anant: thik kaha.... Sakshi ko ab CBI join karna hoga.....
Anant kafi gehri soch me kehta he, is waqt mission ko lead karne wala Anant hi tha, usne Abhinav ke saath milkar kayi sare case solve kiye the, usne humesha ek chiz notice ki thi ke Abhinav sirf Force ke balbute hi nahi, balki apne dimag ke balbute sare case solve karta tha, or Anant bhi is mission ko Abhinav ki soch ke hisab se solve karna chahta tha. Ab Anant ke dimag me akhir kya tha ye to khud wahi jane.
Agar Sakshi ki baat ho hi rahi he to ek nazar Sakshi par bhi daal li jaye.
Is waqt Sakshi Surat me thi, wo kafi der se Surat ki High Security Jail ke bahar khadi thi, Lekin use koi andar jane nahi de raha tha. Tabhi ek Inspector ki nazar mannate mangti hui Sakshi par padti he. Wo akar Sakshi ke paas khada ho jata he, use dekh kar baki police Salute karte he.
Inspector: kya baat he? Ye kya ho raha he yaha?
Wo kafi sakht lehze me puchta he.
Sakshi: Sir..... Please, mujhe..... Mujhe mere bhai se milna he, me har baar yaha ati hu, lekin... Lekin koi mujhe us se milne nahi deta.... Please....
Wo apne haath jodkar Inspector ke samne gid gida kar keh rahi thi.
Inspector: naam kya he tumhare bhai ka?
Sakshi: ji.... Aksh... Aksh Joshi.....
Inspector: ohh.... Aksh, tumhe us se milna he? Fir to mujhe maaf karna... Tum us se nahi mil sakti....
Or ye kehkar wo aage jane laga, lekin tabhi Sakshi uske samne akar uska rasta rok deti he.
Sakshi: me janti hu aap sab mujhe kyu us se milne nahi dete, kyu ke wo Jail me he hi nahi....
Inspector: Aksh ko Gujrat ki kisi bhi Jail me rakh sakte the, Lekin pata he use yaha kyu rakha he? Kyu ke tumhara bhai ek bahot bada criminal he..... Wo Qaatil he ek CBI Head ka, Wo ek Qaatil he apne hi Maa Baap ka......
Sakshi: Aksh ne kisi ko nahi mara...... Kisi ko nahi..... Ye sab... Ye sab use fasane ke liye kiya gaya tha....
Wo Inspector ki baat bich me katkar gusse me chillate hue kehti he.
Inspector: accha? He koi saboot? He koi saboot jo use begunah sabit kar sake? He to do.....
Uski baat par Sakshi rote hue waha se nikal kar kahi chali gayi, Inspector ne is baat ki khabar Anant ko dena sahi samjha.
Inspector: Hello, Sir wo Aksh ko behen.... Wo yaha ayi thi....
Anant: kya wo pehli baar yaha ayi thi?
Inspector: no sir... Usne kaha ke wo kayi baar yaha akar gayi he... Lekin Aksh ko high Security Cell me rakha gaya tha, or Court ke adesho ke mutabik kisi ko Aksh se milne ki permission nahi thi, to uski behen us se nahi mil payi.... Mene aapko isliye batana zaruri samjha kyu ke abhi abhi aapne Aksh ko bahar nikalwaya he, upar se uski behen ko yakeen he ke Aksh Jail me nahi he....
Anant: thik he.... Ab aage me janta hu kya karna he...
Inspector: okay sir....
Fir Anant ne call kaat kar Court ke Judge ko call kar diya. Or use kuch baate bata di.
Anant: Sana.... Jaldi se jao, Sakshi Is waqt Surat me hi he, use lekar ajao.....
Sana: okay sir....
Fit Sana waha se rawana ho gayi.
Waha Sakshi bass apne asu bahate hue aage badh rahi thi.
Sakshi (mann me): me janti hu Aksh ke khilaf ye sab sazish ho rahi he..... Wo Jail me he hi nahi, agar hota to mujhe us se ek baar milne ka moka zarur milta.... Aksh.... Kaha he tu? Dar dar ki thokre kha rahi hu tujhe dhundh ne ke liye....
Jabtak Sakshi apne dil se baate kare ja rahi thi, tabhi uske samne ek car akar ruk jati he, or usme se Sana nikalti he.
Sana: Sakshi?
Sakshi: ji.... Kahiye?
Sana: please aapko mere saath ana hoga....
Sakshi: kaha? Or aap... Aap he kon?
Fir Sana ne apni ID Sakshi ke samne kar di, CBI ki ID dekh kar Sakshi darr gayi thi.
Sana: please cooperate karke mere saath chaliye....
Sakshi ko kuch samajh nahi rah tha, wo bass Sana ke saath chali jati he. Sakshi kafi nervous thi, lekin Sana use bass kuch zaruri kaam se le ja rahe he aisa keh deti he. Thodi der me Sana Sakshi ko lekar pahoch gayi thi, is waqt cabin me Sakshi ke alawa Anant, is mission ka ek or Officer Neel or Sana mojud the. Kyu ke Sakshi Anant ko janti nahi thi, usne ek baar Aksh ke saath Anant ko dekha tha, lekin is baat ko kafi waqt ho chuka tha.
Sakshi: mujhe yaha kyu...... Or aap sab....
Anant: Sakshi me Anant..... Abhinav Sir, Aksh or mene saath kaam kiya he.
Sakshi: Matlab aap Aksh ko jante ho?
Aksh: acche se janta hu.....
Sakshi: to fir..... Aap... Aap jante hoge ke jo ilzam Aksh par lage he wo sab jhut he...... Aksh kabhi aisa kaam nahi kar sakta or.....
Anant: is waqt sare saboot Aksh ke khilaf he..... Or use saza isi sabooto ko madhya nazar rakhte hue milegi.
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue sakht lehze me kehta he.
Sakshi: kese saboot? Sare saboot jhute he..... Jhut he ye sab.... Aksh ko fasaya ja raha he.....
Wo apni chair se uthkar kafi gusse me kehti he.
Anant: sahi kaha tumne..... Aksh ko fasaya ja raha he....
Uski baat sunkar Sakshi shock ho gayi.
Sakshi: to fir kyu Aksh ko begunah sabit nahi karwate aap?
Anant: humare paas koi pakka saboot nahi he, or Court ke adesho ke khilaf hum nahi ja sakte....
Sakshi: konse aadesh? Koi adesh sacchayi se bada nahi hota.... Or sacchayi ye he ke Aksh ne kuch nahi kiya...
Anant: lekin court in sab bato me nahi manta, jo kuch saboot court ke paas he, wo sab Aksh ko Gunehgar dikha rahe he, or koi bhi sacchayi Court ke adesho ke upar nahi ho sakti.....
Sakshi: lekin....
Anant: Sakshi mene tumhe yaha kisi or maksad se laya he.....
Wo Sakshi ke bolne se pehle hi uski baat kaat deta he. Jis se Sakshi chup ho jati he.
Anant: Sakshi.... Me chahta hu ke..... Ke tum CBI Join karo.....
Uski baat sunkar Sakshi ke honto par hasi agyi.
Sakshi: Agar aap mere begunah Aksh ko nahi bacha pa rahe, to aapko kya lagta he? Me aise logo ka saath kabhi dungi? To aapko galat fehmi ho rahi he....
Wo kursi se uthkar khade hote hue kehti he, or piche mudkar bahar jane lagti he.
Anant: ruko Sakshi.....
Uski awaz ne Sakshi ko rok liya, Sakshi piche mudkar Anant ki taraf dekh rahi thi, tabhi Anant ne TV on kar ke News Channel chala diya.
TV: agli khabar Surat sheher se.... Surat ki sabse kadi Jail me se ek khunkar apradhi jiska naam Aksh Joshi he, khabhar mili he ke aaj hi ye apradhi Jail se bhagne me kamyab ho gaya he, kuch dino baad Aksh ki Court me akhri peshi honi thi, or us se pehle hi apradhi ka Jail se bhag jana kayi sare sawal khade karta he. Abhi abhi mili jankari ke anusar Court ne Aksh ke khilaf Shoot At Sight ke order jari kar diye he......
Ab ye sab sunkar to Sakshi ke hosh ud gaye, or Aksh ko Shoot At Sight ke order sunkar to Sakshi ki aakho se asu ane lage the, wo to chakkar kha kar girne hi wali thi ke Anant or Sana use sambhal kar chair par bitha kar pani pila dete he.
Sakshi: ye sab..... Ye sab kya ho raha he? Aksh..... Mujhe Aksh se.....
Wo rote hue kuch bole ja rahi thi ke tabhi Anant bich me bol padta he.
Anant: Aksh se milne ka tumhare paas ek hi rasta he.....
Sakshi: konsa rasta?
Anant: tumne Qaatil ka naam suna he?
Sakshi: Qaatil......
Anant: ha kuch dino se pure sheher me is Qaatil naam ke criminal ne khauf ka mahol bana diya he....
Sakshi: lekin iska Aksh se kya......
Anant: lena dena he.....
Wo Sakshi ki baat kaat te hue kehta he.
Anant: lena dena he Sakshi..... Yahi tumhare Maa Baap ka Qaatil he..... Yahi Mansi or uske Maa Baap ka Qaatil he.....
Uski baat Sakshi ke samajh nahi arahi thi, akhir ye sab chal kya raha tha Sakshi kuch samajh nahi pati.
Anant: dekho Sakshi hume pura yakeen he, ke us raat jo kuch hua, uska asli Qaatil Aksh nahi balki yahi he.... Humare paas saboot na hone se hum Aksh ko begunah sabit nahi kar paye.... Or ab ye.... Tum batao akhir ye Court ke akhri sunwahi ke pehle hi Aksh ka Jail se bhaag jana, jabki Aksh ko to in sabki khabar takk nahi thi.... In sabke piche Qaatil ka hi haath he.... Lekin ye akhri moka he Sakshi..... Or ye kaam sirf tum hi kar sakti ho.... Or ho sakta he is Qaatil ko pakad kar tum Aksh ko bhi paa lo.....
Anant ki ye sari baate sunkar Sakshi bhi ab soch me padd gayi, lekin Aksh se wapis milne ki baat sunkar Sakshi gehri soch me chali jati he, or kuch hi der me Sakshi ki aakho me Badle ki aag dikhayi dene lagi, jo dekh kar Anant samajh gaya ke ab uska kaam ho jayega.
Sakshi: m...... Me.... Me tayar hu, me kuch bhi kar ke mere.... Mere Aai Baba or A..... Aksh ke Qaatil ko saza dilwaungi....
Uski baat sunkar Anant chain ki saas leta he.
Anant: very good Sakshi.... Mujhe tumse yahi ummid thi.....
Wo Sakshi ke kandhe par haath rakhte hue kehta he. Kuch der Sakshi se baat karne ke baad Anant use Driver se kehkar Airport chhod deta he. Lekin Sakshi ke jane ke baad Sana or Neel sawalo bhari nazro se Anant ko dekh rahe the.
Anant: me janta hu tum dono ke mann me kayi sare sawal uth rahe honge....
Sana: obviously sir.... Ye jante hue bhi ke ye sheher me Qaatil naam se jo khauf macha raha he wo or koi nahi balki Aksh hi he, fir bhi aap Sakshi ko uske Khilaf.....
Anant: mene bahot soch samajh kar ye faisla kiya he.... Dekho hum jante he ke us raat jo kuch hua, wo Rana ne kiya he.... Lekin usko pakadna humare bass ka nahi raha... Hum Rana ko pakadne ke liye bade se bada plan bana sakte he, lekin usme ek kami hogi... Or wo kami he badla.... Or ye kami sirf Aksh dur kar sakta he, uska maksad sirf or sirf badla he.... Lekin iske chalte wo kisi ki bhi jaan le sakta he, Agar use hum roke to wo hume bhi zinda nahi chhodega.... isliye mene Sakshi ko mohra banaya, jis se Aksh par humesha dabaw bana rahega.
Neel: aap bilkul sahi keh rahe he.... Lekin sir Sakshi ye zimmedari utha payegi? I mean Physically She is not well.....
Anant: Neel agar kisi ke dimag par junoon sawar ho jaye to uske liye ye Physical Health or kuch mayne nahi rakhta.... Sakshi ko apne bhai ko pana he, uske liye wo kuch bhi kar guzar jayegi.... Or baat rahi uski Physical Health ke bare me to jese hi Sakshi yaha ayegi, uski training shuru karwa dena....
Neel: okay sir....
Anant: or ha, Sakshi ka fir se yaha ane ka, or rehne ka intezam kar dena....
Neel: okay sir...
Fir Neel or Sana apne apne kamo me lagg gaye.
Waha Sakshi pure raste ek positive soch ke saath thi, ke wo ab Aksh ko bacha payegi. Saal bhar se zyada ho chuka tha, lekin Sakshi ne Aksh ko dekha nahi tha, or use firse pane ki Aas ne Sakshi ke andar ek ummid ki kiran jala di thi. Kuch der baad Sakshi Banglore agayi or apne sare kaam nipta kar Suhas ke ghar ja kar unhe sari baat bata di. Jis se unhone bhi Sakshi ko jane diya.
Waha Rana apne kamre me bethkar Hookah ke maze le raha tha ke tabhi uske Mobile par call agaya lekin uspar koi number show nahi ho raha tha, tabb Rana call pick kar deta he.
Rana: kon he Matharchod.......
Dusri taraf: 20 minute.....
Uski awaz Rana ko kuch jani pehchani lagg rahi thi.
Rana: tu he kon Matharchod.....
Wo gusse me gurrate hue kehta he.
Dusri taraf: itni jaldi bhul gaya? Tera dost..... Aksh...
Aksh ka naam sunkar Rana ke kaan khade ho gaye.
Rana: bhosdike tu......
Aksh: chup chap meri baat sunn..... 20 minute he tere paas.....
Rana: kese 20 minute Matharchod..... Jaan gawani he kya tujhe.....
Wo gusse me Hookah zameen par fekte hue kehta he.
Aksh: gussa matt kar..... 20 minute isliye kaha mene kyu ke tujhe waha se yaha tere Baap ke paas ane me 20 minutes lagte he na?
Ab apne Baap ka naam sunkar Rana ke pasine chutt gaye.
Rana: kya laga rakha he tune? Tujhe andaza bhi he ke agar tu mere haath agaya to tera kya haal karunga me?
Aksh: wo to baad ki baat he na? Is waqt to tera baap mere haath me he.... Kya karu uske saath?
Rana: chutiya samjha he mujhe? Tu kahega or me.....
Aksh: saboot dekhna he to aja jaldi tere baap ke paas.... 20 minutes me....
Rana: sunn....
Wo aage kuch bolne wala hota he ke tabhi Aksh ne call cut kar diya. Lekin ab Rana gusse me tilmilane laga tha. Wo jaldi se kamre ke bahar ajata he or Abdul ko awaz laga deta he.
Abdul: kya hua Boss.... Aap...
Rana: us Matharchod Aksh ka call tha....
Uski baat sunkar Abdul samajh gaya aage kya hone wala he.
Rana: wo is waqt ba..... Bauji ke paas he aisa keh raha tha....
Abdul: kya? Ye kese..... Me abhi dekhta hu ja kar....
Rana: nahi, sab admiyo ko saath lo.... Aaj us Aksh ko pakadna hi he.... Chalo....
Wo kafi gusse me kehkar aage badh gaya. Uske piche sablog chal padte he. Bahar ek ke baad ek gadiya aage badhne lagi thi.
Yaha Aksh Rana ke Baap M.P. Rana ke samne haath me dhardar khanjar lekar betha hua tha.
Aksh: tu or tera beta Rana..... Tum logo ko tumhare kiye ki bahot buri maut milne wali he....
Wo MP Rana ke paas akar bahot hi gusse me kehta he, lekin use dekh kar MP Rana muskurane lagta he.
MP Rana: haha..... S.... Suna he... Suna he tere Maa Baap ko bahot buri tarah mara mere bete ne....
Wo bina Aksh se dare muskurate hue kehta he. Jis se Aksh ko or bhi zyada gussa agaya.
Aksh: has le.... Akhri baar hass le, kyu ke ab tujhe tere kiye ki saza milne ja rahi he....
Wo puri takat se MP Rana ka gala dabate hue kehta he. Or fir uska gala chhod khada ho jata he. MP Rana apna gala pakad kar khaas raha tha ke tabhi Aksh ne uska per pakad kar use bed se niche gira diya. MP Rana dard me karhane laga, lekin Aksh ko uspar tinka bhar bhi taras nahi araha tha. Aksh ne aage akar apna ek Per MP Rana ke chaati par rakh diya, MP Rana Aksh ka per pakad kar apni chaati se hatane ki nakam koshish kar raha tha, lekin tabhi Aksh zor se uski chati par laat maar deta he, uski laat se to jese MP Rana ne apni aadhi jaan hi chhod di thi. Lekin Aksh use aise ek jhatke me thodi marne deta, Aksh ne niche jhuk kar MP Rana ke baal pakad liye or uska sar thoda upar utha diya. Aksh ki aakho me is waqt itna gussa mojud tha ke kisi ki himmat nahi hoti uske samne khade hone ki, Aksh ne apne Khanjar se ek gehra vaar MP Rana ke chehre par kar diya. Us kamre me sirf MP Rana ki chike sunayi de rahi thi, Aksh ne use tadapta hua zameen par chhod diya or apne saath layi rassi nikalkar MP Rana ke haath, per or badan ke kuch hisse bandh diye. Or fir sabse pehle Aksh ne uske haath katna shuru kar diya, MP Rana dard me karha raha tha lekin Aksh ke sar pe to jese shaitan hawi ho gaya tha, use bilkul ehsas nahi tha ke akhir wo kar kya raha he. Jese hi Aksh ne MP Rana ka haath kaat kar alag kar diya, usne uthkar wo rassi se bandha, kata hua haath ghar ki chatt se bandh di, tabtak MP Rana ro raha tha, chilla raha tha, Aksh se apni jaan baksh dene ki bhik mang raha tha, lekin Aksh uski bina sune apne kaam ko anjam dene lagta he, or ek ek kar ke Aksh ne MP Rana ke haath, per or uska gala kaat kar alag kar diya, or jagah jagah chatt par use bandh diya. Ye sab hone ke baad Aksh pagalo ki tarah hasne laga or apne khun se sane haath saaf kar ke waha se nikal gaya.
Dusri taraf Rana yaha pahoch chuka tha, wo gadi se utar kar ghar ki taraf jane laga, lekin tabhi use darwaze ki chokhath me se khun behta dikhayi diya, jo dekh kar Rana ka darr yakeen me badal gaya. Rana ne jese hi darwaza khola to usko apni aakho par yakeen kar pana mushkil ho chuka tha, kyu ke darwaze ke samne hi MP Rana ka kata hua sir bina aakho ke chatt se latka hua tha, Rana ki nazar apne Baap ke sharir ke alag alag hisso par pad rahi thi, or aaj ye sab dekh kar Rana ke aakho me asu agaye the. Abdul ko bhi Aksh se ye ummid nahi thi. Lekin ab sar par badle ka junoon sawar tha, or wo junoon Aksh se har wo namumkin chiz karwane wala tha.
Khair, Sham ke waqt Sakshi firse Surat achuki thi, us waqt wo Anant ke saath cabin me bethi hui thi.
Anant: Sakshi, abse tumhe apni sehat par dhyan dena hoga.... Kyu ke is particular mission ko tum lead karogi. Kuch dino takk tumhari training hogi uske baad tum apne mission par jane ke liye tayar ho jaogi.
Sakshi: lekin sir aaj News me jo kuch aya tha, or Police Aksh ko.....
Wo apni chinta zahir karte hue Kehti he.
Anant: koi kuch nahi kar payega.... Me Court se special permission le lunga ke Aksh ke khilaf Shoot at Sight ke order wapis le le...
Uski baat sunkar Sakshi ko thodi rahat mil gayi.
Anant: sabse badi baat ye he ke Aksh us Qaatil ke hawale me hi hoga....
Ab ye baat sunkar Sakshi heran reh gayi.
Sakshi: kya? Lekin....
Anant: me sure nahi hu, lekin iski puri sambhavna he.... Kyu ke Aksh ki halat aisi nahi thi ke wo chal kar yaha se waha bhi ja paye....
Aksh ke bare me ye sunkar Sakshi ki aakhe num ho gayi thi.
Sakshi (mann me): Aksh..... Me... Me tujhe kuch nahi hone dungi, in sabke asli Qaatil ko pakadne ke baad, hum dono kahi chale jayenge... Jaha humare bitee kal ki parchayi bhi hum par na pade.....
Anant: Sakshi..... Sakshi....
Wo Sakshi ko kandhe se hila kar apne khayalo se bahar lata he.
Sakshi: ji.... Ji....
Anant: tum chinta matt karo.... Aksh ko kuch nahi hoga, tum ja kar aram karo, mene tumhare rehne ka intezam kar liya he or....
Sakshi: sir meri aapse ek request he....
Anant: kesi request?
Sakshi: mujhe humare ghar hi rehna he....
Anant: lekin wo ghar to.....
Sakshi: sir please.....
Fir Anant kuch soch kar maan gaya, or usne kuch der me Aksh ke ghar ki chabiya, jo ki Police station me jama thi unhe Sakshi ko de diya. Sakshi itne waqt baad us ghar me lauti thi, lekin jab usne ghar ka darwaza khola to manzar kafi khaufnaak tha. Pure ghar me jagah jagah khun ke thode thode nishan dikhayi de rahe the, ghar puri tarah se ujad sa gaya tha, diwaro par Goliya lagne ke nishan, ye sab dekh kar Sakshi ro padti he. Kuch der baad usne khudko sambhal kar ghar ki halat thodi thik kar di thi, uske baad Sakshi Aksh ke kamre me chali gayi, wo kamra dekh kar Sakshi ke zakhm firse hare ho gaye. Usne andar akar Aksh ka closet open kiya jisme Aksh ke sare kapde the. Usne Aksh ka ek shirt nikal kar apne sine se laga liya or fut fut kar rone lagi.
Sakshi: kaash..... Kaash me us raat yaha hoti.... Ye sab... Ye Sab meri zidd ki wajah se hua he, mere pyaar ki wajah se hua he.... Aai Baba..... Meri wajah se hi......
Yaha Sakshi baar baar in sab situation ke liye apne aap ko kose ja rahi thi, kafi der takk asu bahane ke baad wo sambhal gayi, kyu ke ab uska ek hi maksad tha, Aksh ko dhund na.
Suraj kabka dhal chuka tha, Rana apne Baap ka antim Sanskar kar ke wapis laut aya, aaj uski aakho me asu dekh kar pata chal gaya tha ke Aksh ne use kitni badi chot pahocha di he, Lekin iska anjam kya hona tha ye koi nahi janta.
Khair, wapis akar Rana apne kamre me beth gaya or sharab ki bottle le kar beth gaya, lekin tabhi uska phone bajne lagta he, phone ki awaz sunkar Rana bahot gussa ho gaya, usne phone uthakar patakna chaha, lekin uspar koi number nahi tha, isliye wo samajh gaya ke call Aksh ka he, usne jaldi se Call pick kar liya.
Aksh:
"mere dushman tu meri dosti ko tarase,
Mujhe Gum dene wale tu khushi ko tarse....
Tu ful bane patjhad ka, tujhpe bahar na aye kabhi,
Meri hi tarah tu tadpe, tujhe karar na aye kabhi,
Jiye tu is tarah ke Zindagi ko tarase......
Rana ke call pick karte hi Aksh ye gana gane laga, jise sunkar Rana ka khun khaul utha.
Aksh: agaya apne Baap ka antim Sanskar kar ke? Mushkil hui hogi na? Mera Matlab ke sharir ke itne hisso ka antim Sanskar karna asan nahi raha hoga tere liye.....
Rana: itne chote chote tukde karunga na tere, ke antim Sanskar bhi nahi ho payega tera.....
Wo gusse me apne daat piste hue kehta he.
Aksh: kya hua Rana? Itna gussa kyu he tu? Accha kisi apne ko kho diya? Jis tarah mene khoya tha?
Rana: galati kar raha he tu.... Us raat to bach gaya tu, lekin ab.... Ab kese bachega? Or teri behen.... Wo bhi to zinda he na abtak?
Aksh: galati? Galati tune kar di Rana..... Or is galati ki choti si saza aaj tujhe mil gayi, baki saza dhire dhire mil jayegi.....
Rana: milegi..... Maut milegi tujhe apne kiye ki....
Aksh: maut se darr hota to tere khilaf khada hi na hota... Lekin maza to bahot ayega is khel me....
Rana: khel samajh raha he tu ise? Thik he.... Khel hi samajh le, kyu ke maut ka khel Rana se behtar koi nahi khel sakta.....
Aksh: maut ko bahot nazdeek se dekh chuka hu me Rana.... Itne nazdeek se dekha he ke is khel ko kab palat du tu soch nahi payega.... Har din tujhe ehsas dilaunga, ke ye khel asani se nahi khatm hone wala....
Rana: Matharchod......
Wo gusse me chillakar apna Mobile fek kar tod deta he. Or sharab ki bottle ko apne muh se laga kar sharab apne gale se niche utarne lagta he.
Waha Aksh call kaat kar apne Workout me lagg gaya, wo janta tha ke Rana se bidhna katayi asan nahi he, isliye wo apne aap ko tayar kar raha tha.
Wahi Sakshi in sabse bekhabar Aksh ke khilaf ladne ke liye tayar ho rahi thi, wo nahi janti thi ke jisko wo apni tabahi ka kasurwar samjh rahi thi, wo or koi nahi, Aksh hi he.
Khair ye dekhna interesting hoga ke dono samne akar kya karte he, ye jante hue bhi ke Rana ka agla shikar Sakshi hone wali he, Aksh ne Sakshi ke liye abtak koi khas chinta nahi jatayi thi. Kyu usne Sakshi ko dhundh na bhi sahi nahi samjha? Kyu Sakshi se mulakat karne ka khayal Aksh ke dil me bhi nahi aya? Aise hi kayi sawalo se parda waqt ane par uth jayega, tabtak ke liye padhte rahiye.
Dosto, firse maafi chahta hu lekin jo kuch hua us se mene to jine ki aas hi chhod di thi, lekin waqt ke saath sambhal gaya hu, or aaj itne waqt baad kuch likha he, pata nahi accha he bura he, jo bhi hoga comments me apni raay zarur dena.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Nice and superb update..

superbb shandaar jabardast update bro