Arv313
Active Member
- 850
- 3,147
- 123
Very good starting and nice script
Full paisa wasool performance.
Waiting for the next update.
Full paisa wasool performance.
Waiting for the next update.
Waiting........
Update Jald hi post kar dunga... Stay Tuned And Keep Supportingwaiting
Thank You So Much BhaiFor completed 10k views on your story thread.....
Pehle to aapka meri story par swagat he, or bahot shukriya tarif ke liye, agla Update jaldhi ayega Stay Tuned And Keep SupportingVery good starting and nice script
Full paisa wasool performance.
Waiting for the next update.
No words to describe this update.... Pure emotions se bhara update tha bhai, or mujhe esa lag raha he ke is story ko Sakshi lead karne wali he kyu ke jese hum abhi se dekh rahe he ke Sakshi Aksh ko bahut support kar rahi he or uske actions se ye dikh raha he.... Dekhte he me galat bhi ho sakta hu, jo bhi ho maza to bahut ayega Bhai, eagerly waiting for your next UpdateChapter 1 - The Early Life
Update 3
Word Count: 2501
Estimated Reading Time: 00:12:00
Ek chehekti subah me is matlabi duniya se bekhabar Aksh Or Sakshi besud se apni sapno ki duniya me gum the, lekin unki nind todne ke liye waha Radha ajati he. Kafi mashakkat karne ke baad akhir kaar Radha dono ko nind se jaga hi deti he. Dono jaldi se ready ho jate he, aaj Santosh ko dono ke teacher se milna tha, to wo tino ghar se nikal jate he.
School pahoch kar Santosh teacher se milta he, Staff Room me is waqt Teacher, Santosh, Aksh or Sakshi the.
Teacher: dekhiye mujhe in dono se padhai ke mamle me koi pareshani nahi he, kyu ke dono padhai me acche he, lekin ye mar pitai acchi baat nahi he, baki dono bahot hi samjhdar he.
Santosh: ji me firse aapse maafi chahta hu, bacche he galtiya to karte hi he.
Teacher: hmm.... Aksh Sakshi..... Is baar maaf kar rahi hu, agli baar aisa kuch nahi hona chahiye, Okay?
Wo dono ko warn karte hue kehti he.
Aksh/Sakshi: okay ma'am....
Fir tino staff room se bahar ajate he. Aksh to kal se bas kahi gum sa tha.
Santosh: chalo me chalta hu, shaam ko milenge
Wo dono ke sar pe haath ferte hue kehta he.
Sakshi: Aise kese jaoge? Paise kon dega?
Santosh: are haa... Ye lo.... Tumhare paise...
Wo dono ko kuch paise de deta he or waha se apne kaam par jane ke liye nikla hi tha ke piche se Aksh use rok deta he.
Santosh: kya baat he Aksh?
Aksh: Wo....wo Baba mujhe cycle nahi chahiye.....
Santosh: kya? Lekin kyu?
Aksh: bas... Mujhe nahi chahiye.... Aap mere liye cycle mat lana.
Santosh: beta mene kaha na me tumhare liye cycle jald se jald le aunga....
Wo niche jhuk kar Aksh ka chehra apne hatho me thamkar kehta he.
Aksh: nahi Baba... Mujhe sachme cycle nahi chahiye...
Santosh: lekin.....
Aksh: please Baba..... Jab mujhe chahiye hogi tab me aapse maang lunga.....
Santosh: accha thik he.... To ab me jau?
Aksh ha me sar hila deta he, fir Santosh waha se apne kaam par chala jata he. Aksh or Sakshi bhi apni class attend karne ke liye chal padte he.
Sakshi: Aksh Tune kyu mana kar diya cycle lene se?
Aksh: bas mujhe nahi chahiye thi cycle....
Sakshi: jhute kahi ke... Sach kyu nahi bata rahe ho?
Aksh: or kya sach batau? Mujhe nahi chahiye cycle bas.. Or ab tu chup chap chal class me..
Or fir dono apni class Tak pahoch jate he. Aksh aaj pure waqt bas kuch khayalo me duba hua tha. Kuch period khatam ho gaye the, lekin Aksh ab bhi Radha or Santosh ki kal raat ki baate yaad kar raha tha, or Teacher ne Aksh ko dekh liya.
Teacher: Aksh.... Aksh.....
Wo thodi unchi awaaz me kehta he tab ja kar Aksh apni khayalo ki duniya se bahar ajata he or uth kar khada ho jata he.
Teacher: chalo batao mene abhi kya padhaya?
Uske sawal par Aksh hadbada jata he or koi jawab nahi de pata.
Teacher: kaha dhyan tha tumhara? Ha?
Aksh: S.. sorry sir....
Wo apna sar niche jhuka kar kehta he.
Teacher: koi sorry nahi... Chalo class ke bahar jao or murga ban kar khade ho jao...
Wo kafi sakht lehze me kehta he. Jis se Aksh turant bahar ajata he lekin wo murga nahi bana tha bas aise hi apni sapno ki duniya me duba khada tha. Kuch der baad teacher sabko kuch likhne ko kehta he or ek baar Aksh ko dekhne ke liye bahar ajata he to waha Aksh khade khade kuch soch raha tha.
Teacher: are..... Tumhe murga ban ne ke liye kaha tha na mene?
Wo Aksh ke samne ate hue kehta he.
Aksh: Sorry Sir...
Wo apni soch se bahar akar Ghabrate hue kehta he.
Teacher: aaj kya ho gaya he Aksh tumhe?
Aksh: sir wo...... wo Ambani kon he?
Uska sawal sunkar teacher kuch samajh nahi pata.
Teacher: kyu? tumhe kyu jaan na he?
Aksh: nahi sir mene to bas aise hi pucha..
Teacher: hmmm.... to Ambani India ke sabse paise wale insaan he...
Aksh: kya? Sabse paise wale? To itne paise unke paas kese kya aye?
Wo kafi heran sa rehkar teacher se puchta he.
Teacher: kyu ke wo ek kabil business man he, unka bahot hi bada karobaar he.
Aksh: kya? To fir me bhi Ambani jese hi banunga.... or ek kabil business man banunga...
Wo teacher ka jawab sunkar kafi khush ho jata he.
Teacher: thik he bann jana, lekin abhi murga bano, thik he.....
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehta he. Fir Aksh murga bann jata he, or Teacher firse class ke andar chala jata he, kuch der me Class khatam hone ke baad Teacher bahar Aksh ke paas ajata he.
Teacher: Aksh ab bas, jao andar class me..
Aksh: okay sir...
Wo sidha khada hote hue kehta he. Or class me jane lagta he lekin tabhi Teacher use rok deta he, Aksh uski taraf mudkar ruk jata he.
Teacher: waise Aksh ek baat yaad rakhna, Ambani bann na katayi asaan nahi hota, uske liye tumhe bahot mehnat karni hogi.. paisa kamane ke liye kafi mehnat lagti he or sirf mehnat hi nahi tumhe bahot hoshiyaari se kaam bhi lena padega, tab kahi jaa kar tum Ambani ki tarah ban paoge...
Wo thoda niche jhuk kar Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: ha sir me bahot mehnat karunga... Or ek din Ambani ki tarah ban kar dikhaunga....
Wo kafi josh ke saath jawab deta he, Teacher uski baat par muskurate hue waha se chala jata he.
Recess ke waqt sablog milkar khana kha rahe the. Lekin Aksh to ab bhi apne sapne ki duniya me khoya tha.
Sakshi: Aye bandar.... subah se Kya soch raha he?
Wo Aksh ko ek gehri soch me duba dekh kar puchti he.
Aksh: chup chap khana kha.... Chipkali....
Wo gusse me Sakshi se kehta he, lekin is se Sakshi ka chehra hi utar jata he.
Sakshi: to itna kyu gussa kar rahe ho? Bas aise hi puch liya na mene...
Wo muh fula kar apna sar jhuka ke Aksh se kehti he. Aksh ko kafi hurt hota he ke uski wajah se Sakshi udas ho gayi.
Aksh: Sorry.... Sorry.... Sakshi...
Wo apne kaan pakad kar Sakshi ke gaal par kiss karte hue kehta he, jis se Sakshi ke Chehre par ek pyari si muskurahat wapis ajati he.
Sakshi: to bata, kya soch rahe the?
Aksh: thik he, lekin pehle mujhe promise kar ke tu meri ye baat kisi ko nahi batayegi, Aai Baba ko bhi nahi...
Sakshi: are promise kisi ko nahi bataungi...
Aksh: to sunn... Me na bada ho kar Ambani ki tarah banunga or....
Sakshi: Ambani.... Ye kon he?
Wo Aksh ki baat adhe me hi kaat te hue puchti he.
Aksh: are Ambani humari country ke sabse paise wale insaan he, me bhi unki tarah banunga or fir humare paas bhi bahot sara paisa hoga jis se hum jo chahe wo kharid sakte he na....
Sakshi: sacchi? Hum Jo chahe wo kharid sakte he?
Wo kafi utsukta ke saath puchti he.
Aksh: ha.... Lekin ye baat kisi se mat kehna thik he?
Sakshi: nahi Dada..... Me kisi ko bhi nahi bataungi...
Aksh: hmm, to ab khana kha...
Or fir dono hi khushi khushi khana kha lete he.
Dopehar ko School ki chutti hote hi Aksh or Sakshi apne raste jane lagte he. Ghar akar Aksh sabse pehle apne kamre me rakha ek gullak nikal leta he jispar kafi dhul padi thi, kyu ke Aksh humesha apni jeb me hi kuch paise bacha kar rakhta tha. lekin pata nahi kyu aaj se usne apne sare paise gullak me jama karne ka faisla liya. Jab wo gullak me paise daal raha tha to Sakshi ne use dekh liya.
Sakshi: kya hua Aksh? Tu apne paise gullak me kyu daal raha he?
Piche se Sakshi ki awaz sunn kar Aksh hadbada jata he.
Aksh: ha... ha wo... me wo... ab se me apne sare paise is gullak me jama karunga... or ek din in paiso se hi apne liye cycle kharid lunga....
Uski baat Sakshi bilkul nahi samajh pati, Aksh to gullak rakh kar washroom chala jata he, lekin Sakshi wahi khade ho kar us gullak ko dekh rahi thi, or aise hi dekhte hue wo aage badhti he or apne paise nikal kar us gullak me daal deti he or aisa karne se Sakshi ke chehre par ek pyaari si muskurahat ajati he. Fir wo bhi fresh ho jate he or Radha ke saath milkar lunch kar lete he, uske baad Tino saath milkar gola kha lete he, Aksh or Sakshi kuch der TV dekh rahe the. Kuch der TV dekhne ke baad wo dono apna homework Complete karne me lag jate he. Homework Complete karne ke baad Sakshi turant So jati he, lekin Aksh ki aakho se nind koso dur thi, wo to bas Sakshi ke bagal me leta tha, achanak Uski nazar soti hui Sakshi par padti he, uska masum sa chehra or uspar bikhre baal use Kisi pari jesi Khubsurati de rahe the, use dekh kar Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat ajati he, or wo apne haatho se Sakshi ke Chehre se baalo ko hata deta he.
Aksh(man me): chipkali..... Jab jagi hoti he to kitna satati he mujhe.... Or ab itni bholi lag rahi he......
Wo Sakshi ko dekhte hue apne man me soche ja raha tha or aise hi sochte hue uski bhi aakh lag gayi. Shaam ke waqt Radha ne dono ko badi hi mushkil se jagaya, Santosh kuch der baad ghar agaya tha, Sakshi or Aksh baramde me khel rahe the, Santosh or Radha Andar hall me bethe hue the.
Santosh: waise Radha tum keh rahi thi na Aksh kafi ziddi he, aaj usne School me mujhse kaha ke use cycle nahi chahiye...
Radha: kya? Aisa kyu kaha usne?
Wo badi herani se puchti he.
Santosh: pata nahi.... lekin me fir bhi use Cycle le kar dunga...
Radha: dekhiye me use cycle le kar dene se mana nahi kar rahi hu, lekin ab wo cycle nahi lene ke liye bhi maan gaya he to aap thode thode paise bacha kar uske liye cycle le ayiye... Apne saving se kyu paise nikal rahe ho? Ye sab saving to hum un dono ke ane wale kal ke liye hi bacha rahe he na?
Wo Santosh ke haath pe apna haath rakhte hue kehti he.
Santosh: thik kaha tumne... Hum to zyada padh nahi paye... Bas me chahta hu ke ye dono acche se padh likh kar samaj me apna naam kamaye.....
Radha: sahi kaha aapne.... Me Bas chahti hu ke jo mushkilo se hum guzre he, waisi mushkile in dono ki zindagi me kabhi na aye..
Is baat ko kehte hue Radha ki aakhe num ho jati he, Santosh Mahol ko bhari hota dekh uska dhyan bhatkane ki sochta he or uthkar Radha ka haath pakad kar use Room me le jane lagta he.
Radha: kya hua? Aise andar kyu le jane lage?
Santosh: are chalo bhi, bacche bahar khel rahe he, hum apna kaam kar lete he na...
Wo Radha ke ekdum nazdeek akar aakh marte hue kehta he.
Radha: besharam... Hato.... Na waqt na kuch.... kahi bhi kuch bhi bolte rehte ho...
Wo apna haath Santosh se chuddate hue kehti he.
Santosh: yaar kisne kaha ke pyaar karne ka waqt hota he? Chalo bhi ab...
Wo Radha ki kamar ko pakad kar kehta he.
Radha: hato..... Mujhe bahot se kaam pade he...
Wo Santosh ke changul se azad ho kar kitchen ki taraf jate hue kehti he.
Santosh: ek kaam karta hu na, Sadhu hi ban jata hu me....
Radha: jo bann na he bano, mujhe kaam karne do chup chaap....
Aise hi hasi mazak karte hue raat ho jati he, Sab milkar khana kha lete he or TV dekhne lagte he.
Raat ke kareeb 9 baje hue the, Kal Sunday tha isliye Aksh or Sakshi ko School me chutti thi.
Radha: Baccho ab jao sone.. kafi der ho gayi he...
Sakshi: Aai dekhne do na TV thodi der, kal to chutti he na hume....
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Radha: chutti he to kya puri raat TV dekhte rahoge? Chalo jao jaldi....
Or wo uthkar TV band kar deti he, ab Sakshi or Aksh majburan apne kamre me ajate he. Dono apne bed par lete hue the lekin dono ko nind nahi arahi thi.
Sakshi: waise Aksh, Baba to tujhe cycle le kar de rahe the na... To tune mana kyu kar diya?
Wo Aksh ku taraf mudkar puchti he.
Aksh: are Paise kamane ke liye bahot mehnat karni padti he or mene kal raat Aai Baba ko is bare me baat karte hue bhi suna tha, to mene aaj isi liye baba se cycle lane se mana kar diya.... Or jo paise Baba mujhe roz dete he me usi se cycle kharidunga, Baba ko meri cycle lane ke liye zyada mehnat nahi karni padegi
Sakshi: accha.... Ye baat he...
Aksh: ha... Or ab tu bhi meri baat sun.... Ab se tu bhi Baba ke paas koi bhi chiz lene ki zidd nahi karegi siwaye baba jo hume school jate hue paise dete he uske.. samjhi?
Sakshi: are ye kya baat hui? To Fir mujhe khilone or baki sab kon laa kar dega?
Wo apna muh fula kar Aksh se puchti he.
Aksh: are pagal me bada hokar bahot sare paise kamaunga.... Fir tujhe jo chahiye me tujhe la kar dunga... Lekin baba ko pareshan nahi karna....
Sakshi: sachme jo me kahungi wo laa kar doge na mujhe?
Wo Aksh ko ungli dikhate hue puchti he.
Aksh: are ha tu jo kahegi wo la kar dunga me tujhe....
Sakshi: to thik he... Abse me Kisi bhi chiz ke liye Baba se zidd nahi karungi....
Aksh: ye hui na baat...
Or aise hi dono kuch der tak baate karne lagte he or fir gehri nind ke agosh me chale jate he.
Is tarah inka ye din nikal jata he, humne dekha ke Aksh ko apne sawal ka jawab to mil gaya, or ab usne mann hi mann than liya tha ke use aage jakar kuch bahot bada karna he, wahi humne Sakshi ka ek bahot hi Kindness se bhara Act dekha jab usne apne paise bhi Aksh ke Gullak me daal diye the, jis se pata nahi kyu lekin use kafi khushi hui, jaha Aksh ke dil or dimag me ye Paisa naam ki chiz enter kar chuki thi, Ab ye aage ja kar Aksh or baki logo ki zindagi me kya baldav lane wali thi ye to waqt ane par pata chal hi jayega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Thank You So Much Bhai, baki sahi kaha ke Sakshi bahot hi supportive he.... Or aapka andaza sahi hota he ya galat wo to jald hi pata chal jayega.... Till Then Stay Tuned And Keep SupportingNo words to describe this update.... Pure emotions se bhara update tha bhai, or mujhe esa lag raha he ke is story ko Sakshi lead karne wali he kyu ke jese hum abhi se dekh rahe he ke Sakshi Aksh ko bahut support kar rahi he or uske actions se ye dikh raha he.... Dekhte he me galat bhi ho sakta hu, jo bhi ho maza to bahut ayega Bhai, eagerly waiting for your next Update
Bahut badhiya @qaatil bhai... Middle class pariwar ki ek acchi rekha samne rakhi he apne, great job bhai
Chapter 1 - The Early Life
Update 2
Mega Update
Word Count: 3112
Estimated Reading Time: 00:15:00
Subah ke 7 baje hue the, Aksh besudh sa, ulta soya hua tha or Sakshi uske upar apne haath per dale soyi thi. Radha apna kaam adhura chhod kar dono ko jagane ke liye ajati he. Lekin wo dono to uthne ka naam hi nahi le rahe the. Radha ne akhir kar dono ko nind se jaga diya Aksh to uth kar beth gaya lekin Sakshi bethe bethe hi apni aakhe band kare soyi thi.
Radha: Deva.... kitni badi aalsi ladki he dekho ye? Bethe bethe bhi sone lagi? Sakshi..... Jaldi uthja.....
Wo Sakshi ko hila kar uski nind todte hue kehti he.
Sakshi: ahhh.. mujhe nahi jana School.....
Wo roti hui shakal bana kar kehti he or itna kehkar wo apne upar firse chadar odh kar so jati he.
Radha: hmm..... To fir Gola Akele Aksh ko hi milega tujhe nahi.....
Wo Aksh ke sar pe haath fer kar kehti he. Or uski baat ka asar Sakshi par ho jata he or wo jhat se uthkar beth jati he.
Sakshi: nahi... nahi... Mujhe bhi chahiye..... Mujhe bhi chahiye.....
Wo bed par khadi ho kar gusse me uchalte hue kehti he.
Radha: hmm to ab utho jaldi....
Fir dono fresh ho jate he, Aksh ne kapde pehen liye the or Radha Sakshi ki choti bana rahi thi, Aksh Sakshi ke samne use dekhte hue khada ho jata he, Sakshi apna muh banate hue use chidha rahi thi.
Aksh: Aai..... Ye chipkali Choti me kitni acchi dikhti he na?
Usne kafi pyaar se ye baat kahi jis se Radha or Sakshi ke chehre par muskurahat ajati he.
Radha: accha? To fir chipkali kyu bulata he ise humesha?
Aksh: kyu ke wo chipkali he... Lekin kabhi kabhi acchi dikhti he.
Sakshi: accha? To me bhi tujhe Bandar or kutta isliye hi bolti hu ke tu to har waqt waisa hi dikhta he.
Radha: bas bas.... Ab subah subah shuru mat ho jao tum dono.... Chalo ho gaya ab nashta karo or School jao... Or yaad hena late hue to...
Wo dono ko ungli dikhate hue warn karti he. Fir dono breakfast kar ke Santosh ke saath School ke liye nikal jate he. Santosh dono ko school ke gate tak chhod deta he or dono ko kuch paise de kar chala jata he. Dono bhai behen bhi khushi khushi apni class me chale jate he, kuch period ke baad ab inka khelne ka waqt agaya tha, sare bacche School ground me chale aye. Aksh, Sakshi, Neha or Soham ek taraf pakdam pakdayi khelne lage the. Sakshi baki tino ko pakad rahi thi, or ye tino us se bach kar bhaag rahe the, tabhi waha khel raha ek ladka bhagti hui Sakshi ke samne ajata he, Sakshi us se takra kar gir jati he or uske ghutne par kafi chott ajati he. Sakshi ab rone lagi Aksh ye dekh kar ruk gaya or Sakshi ke paas bhagte hue ajata he, jis ladke ki wajah se Sakshi giri thi wo un sab se 2-3 saal bada tha. Aksh jaldi se akar Sakshi ke ghutne se khun saaf karne lagta he.
Ladka: aye.... pagal ladki Tu dekh kar nahi bhaag sakti, agar mujhe lag jata to bahot pita hota tujhe mene..
Wo unchi awaaz me Sakshi ko dekh kar kehta he, lekin uski baat se Aksh ka gussa satve asman par chala jata he or wo uth kar us ladke ki collar pakad leta he or uske muh par ek do ghuse maar deta he lekin Aksh is ladke se 2-3 saal Chota tha, to us ladke ne Aksh ko ek dhakke me niche gira diya or uske upar ake Aksh ko marne laga, ab ye sab dekh kar Sakshi uth jati he or piche se us ladke ke baal pakad kar piche khinch kar gira deti he, tabtak Aksh uth kar use marne lagta he ab Sakshi or Aksh milkar us ladke ki tagdi dhulayi karne lage the. Tabhi ek teacher waha ajati he or wo unka jhagda rok deti he.
Is waqt Aksh or Sakshi ke kapdo ki halat kharab ho chuki thi. Wo log apna muh niche kar ke teacher ke samne khade the.
Teacher: kya chal raha he ye sab? Ha? Tum dono milkar use kyu maar rahe ho?
Wo gusse se Aksh or Sakshi ko puchti he.
Aksh: ma'am isne Sakshi ko dhakka diya tha or us se ulti baat bhi ki....
Teacher: to fir tum dono koi gunde ho kya jo is tarah kisi ko marne pitne lag jao.
Sakshi: lekin isne Aksh ko mara tha to....
Teacher: kyu jhut bol rahi ho? Mene dekha yaha tum dono use buri tarah se maar rahe the.
Aksh: ma'am....
Teacher: basss.... Tum is hi waqt ghar jaoge.... Or ha... Kal apne parents ko le kar hi ana school... Jao ab...
Wo bahot hi gusse me kehti he fir Aksh or Sakshi ghar jane ke liye nikal jate he. Raste me dono dare hue the kyu ke ab ghar pe Radha dono ki buri halat karne wali thi. Aise hi chalte hue wo dono us Gole wale ke yaha se guzarte he, use dekh Sakshi achanak se wahi ruk jati he.
Aksh: kyu ruk gayi?
Wo piche mud kar Sakshi se puchta he.
Sakshi: Gola kha kar jate he na....
Usne kafi masumiyat se kaha lekin Uski baat se Aksh use ek tak dekhne lagta he.
Aksh: ghar jane ke baad Aai kitna dantegi hume, me wo soch raha hu, or tujhe gola khana he?
Sakshi: ha to.... Ab Aai to hume ghar pe gola dene nahi wali yahi kha kar jate he na...
Wo roti hui shakal bana kar Aksh se kehti he.
Aksh: tu pagal....
Wo is se aage kuch kehta ke Sakshi uska haath pakad leti he or use khinch kar Gola khane le jati he. Sakshi ke haath me Gola ate hi uske chehre par wo khushi, wo pyari hasi wapis ajati he, lekin Aksh to Radha ki dant se darr raha tha, tabhi Aksh ki nazar Sakshi par padti he jo bina kisi darr, khushi khushi Gola khane me lagi thi, use dekh kar Pata nahi kyu lekin Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat ajati he, or wo bhi Gole ki chuskiya lene lagta he, Gola khatam hote hi dono firse apne raste chal padte he.
Ghar pe Radha ke sab kaam ho chuke the, or wo aram se TV dekhte hue bethi thi. Tabhi darwaze se Aksh or Sakshi dare, sehme se andar apni gardan niche kiye ajate he. Dono ko itni jaldi ghar ate or unki halat dekh kar Radha thodi heran thi.
Radha: tum dono itni jaldi.... Or ye... Ye kya halat bana li he?
Lekin Aksh or Sakshi uski baat ka koi jawaab nahi dete.
Radha: Bolo..... Or ye kya Sakshi.... Tumhare ghutne par chot kese lagi?
Wo Sakshi ke ghutno ki chot dekh kar chintit lehze me puchti he.
Aksh: Aai, wo.... Ma'am ne Kal tumhe... Bulaya he...
Wo ladkhadate hue kehta he.
Radha: zarur kuch karname kar ke aye ho tum dono.... Jaldi se batao warna....
Wo dono ko ungli dikha kar gusse me kehti he.
Sakshi: Aai, humari galati nahi he.... Wo ladka hi mujhse takraya tha or sorry bolne ki jagah mujhpar gussa kiya usne, to Aksh ne or mene milkar use pitt diya.. ..
Wo apna muh fula kar kafi gusse se kehti he.
Radha: wahhh... Matlab To ab gunda gardi karne lage tum dono... Teacher ko nahi bata sakti thi?
Aksh/Sakshi: Sorry Aai....
Wo dono apna muh niche karte hue kehte he.
Radha: Sorry? Din ba din shaitaniya badh rahi he tum dono ki, ab jao andar or kapde badal kar khana khane aajao....
Wo dono ko andar room me janeka ishara karte hue gusse me kehti he. Dono jaldi se andar ajate he.
Aksh: ohh... Bach gaye aaj to.....
Wo andar bed par beth kar chain ki saas lete hue kehta he. Lekin Sakshi to abtak udas lag rahi thi.
Aksh: kya hua chipkali?
Uski baat par Sakshi bas use gusse se dekhti he.
Aksh: kya hua bata na....
Sakshi: ab Aai se Gola kese mange? Wo nahi dene wali hume Gola....
Wo apni school bag niche dalte hue udasi se kehti he.
Aksh: oye pagal ladki..... Abhi to khaya na humne, or ab firse chahiye tujhe?
Sakshi: ha wo to bahar khaya tha, mujhe ghar pe bhi khana he...
Wo roti hui shakal bana kar Aksh ke bagal me beth jati he, tabhi Aksh ki nazar uski chot par chali jati he.
Aksh: Sakshi tujhe dard nahi ho raha na?
Sakshi: kya nahi ho raha? Kitni jalan ho rahi he mujhe...
Wo bahot hi masumiyat se kehti he, tabb Aksh uske samne niche zameen pe apne ghutno par beth jata he or Sakshi ki chot par fook lagane lagta he.
Aksh: ab thik he?
Wo fook marte hue Sakshi se puchta he.
Sakshi: ha thoda thik lag raha he....
Tabhi Radha Sakshi ke chot par lagane ke liye Dawai le kar andar ajati he.
Radha: Aksh tum kapde badal lo jaldi....
Fir Aksh uthkar washroom chala jata he, or Radha Sakshi ki chot par dawai lagane lagti he.
Kuch der baad Tino milkar khana shuru kar dete he, bich bich me Sakshi Aksh ko ishara kar rahi thi ke Aai se Gola maang, lekin Aksh use mana kar raha tha.
Radha: kya ishare bazi chal rahi he tum dono ki?
Wo dono ko ishare se baat karta dekh kar puchti he. Radha ki baat sunkar dono thoda hadbada jate he.
Aksh: n...... nahi Aai... Kuch nahi....
Sakshi: Aai.... Wo Aksh na mujhe Tumse Gola mang ne ko keh raha tha...
Wo apna ilzaam Aksh par dalte hue kehti he, lekin uski baat se Aksh ka muh khula ka khula reh jata he.
Aksh: kitna jhut bolti he chipkali...... Khud kabse mujhe keh rahi he ke Aai se Gola maang... or ab....
Wo gusse me Sakshi ko kehta he.
Radha: koi Gola nahi milne wala dono ko, pehle to School me gunda gardi kar ke aye ho or chahte ho ke tumhe gola du? Bilkul bhi nahi milega.... Khana khao chup chap...
Wo sakht lehze me dono se kehti he. Dono hi chup chap khana khane lagte he, khane ke baad Aksh or Sakshi Cartoon dekh rahe the lekin dono hi udas the, Radha dono ko dekh leti he or fridge me se Barf nikal kar use crush kar ke uspe kal Santosh ne laye syrups daal kar gola bana deti or use le kar dono ke paas ajati he.
Radha: ye lo.....
Wo dono ke samne gola dete hue kehti he. Aksh or Sakshi ki to jese lottery lag gayi. Dono khushi khushi Radha ke haath se Gola le kar khane lagte he. Radha bhi unke bagal me beth jati he.
Radha: dekho aaj maaf kar diya mene dono ko, lekin agli baar aisi harkat nahi honi chahiye... Thik he?
Aksh/Sakshi: thik he Aai....
Or wo dono apna Gola khane me busy ho gaye, kuch der baad Santosh ghar agaya tha uski aaj jald hi chutti ho chuki thi.
Sham ke kareeb 6 baje hue the, puri Joshi family saath bethe baate kar rahi thi.
Radha: kal aap dono ke teacher se mil lena me to nahi jane wali, mujhe pata he ye dono fir se kuch na kuch gadbad karenge school me.
Santosh: tum chinta mat karo me jaunga kal, bacche he shaitani to karte hi rahenge na....
Wo Aksh or Sakshi ki side lete hue kehta he. Tabhi Sakshi akar uske gale laga leti he.
Sakshi: Baba, Thank You aapne humari problem door kar di....
Wo Santosh ke gale lag kar uchalte hue kehti he.
Santosh: konsi problem?
Wo Sakshi ko apne se alag kar ke herani se puchta he
Sakshi: are... ab roz roz bahar Gola nahi khayege, ghar pe akar dher sara gola khate rahenge wo bhi free....
Wo bahot khushi se kehti he.
Santosh: accha? To fir me kal se tum dono ko paise nahi dunga....
Sakshi: kyu nahi doge paise?
Wo kafi chintit lehze me puchti he.
Santosh: are bhai jab tum dono ka kaam ghar me hi ho jata he, to fir paise ki kya zarurat he?
Sakshi: nahi... nahi.... Hume paise bhi chahiye.... Agar kabhi Aai ne hume Gola dene se mana kiya to?
Santosh: Aai kyu mana karegi Gola dene se?
Sakshi: mujhe kuch nahi pata, roz paise bhi dene padenge matlab dene padenge....
Wo gusse me apne per patakte hue kehti he.
Santosh: are.... Thik he, thik he... dunga paise bhi..... bas?
Sakshi: thank you baba....
Wo Santosh ko kas ke gale lagate hue Kehti he.
Santosh: accha chalo park me khelne jana he?
Aksh/Sakshi: ha.... Jana he....
Fir wo charo milkar paas hi ke park me chale jate he. Waha ja kar Santosh or Radha ek bench par beth gaye, Sakshi or Aksh dono waha khelne lage. Kuch der ke baad waha par Aksh ki hi umar ka ek ladka aya jiske paas ek choti cycle thi. Wo ladka us cycle ko kafi khushi ke saath chala raha tha, ab Aksh ko bahot iccha hui ke uske paas bhi waisi cycle honi chahiye thi. Wo bas ek jagah khada ho kar us cycle ko dekh raha tha. lekin Sakshi aage baag chuki thi, jab wo piche mudkar dekhti he to pati he ke Aksh waha khada he.
Sakshi: kya hua Aksh?
Wo Aksh ke paas akar puchti he, Lekin Aksh uski baat ka jawab diye bina apne parents ki taraf bhaag jata he, Sakshi bhi uske piche chali ati he.
Aksh: Baba.... Baba...
Wo chillate hue bhaag kar Santosh ke paas akar kehta he.
Santosh: Kya hua beta?
Aksh: Baba, mujhe bhi waisi cycle chahiye....
Wo us ladke ki cycle ki taraf ungli karte hue kehta he.
Santosh: waisi cycle? Lekin Tumhe kaha ati he cycle beta?
Aksh: Baba me kuch nahi janta, mujhe bhi waisi cycle chahiye....
Wo gusse me apne per patakte hue kehta he.
Radha: beta meri baat....
Aksh: mujhe chahiye wo cycle bas.....
Wo Radha ki baat kaat te hue kehta he.
Santosh: accha... Thik he dila dunga.....
Aksh: sach Baba?
Wo kafi khush hokar kehta he.
Santosh: ha lekin tumhe uske liye agle mahine tak intezar karna hoga.
Aksh: nahi.... Mujhe kal hi wo cycle chahiye....
Santosh: beta kal ke kal cycle nahi mil sakti, mene kaha na me agle mahine tumhare liye waisi cycle le aunga....
Aksh: Baba......
Radha: Aksh..... Bas ho gaya.....
Wo kafi gusse me akar unchi awaaz me kehti he.
Radha: ek baar kaha samajh nahi ata? Or koi cycle nahi milegi....
Wo bahot hi gusse me kehti he jis se Aksh ke akho me asu ajate he.
Santosh: Radha, gussa kyu kar rahi ho? Beta me me tumhe jald se jald waisi cycle la kar de dunga... Thik he?
Wo Aksh ke asu saaf karte hue kehta he. Lekin Aksh apne kadam tez chalate hue waha se nikal jata he. Fir tino bhi uske piche piche hi ghar ajate he. Ghar ane ke baad Aksh sidha andar ke kamre me ja kar bed par let kar rone lagta he. Santosh or Radha apne kamre me chale jate he, Sakshi jese hi andar ati to usne dekha ke Aksh bed par lete hue Ro raha he. Wo Aksh ke paas ja kar beth jati he.
Sakshi: Dada kya hua?
Aksh: kuch nahi hua... Ja yaha se....
Wo kafi gusse me Sakshi se kehta he.
Sakshi: Baba ne kaha na ke wo Cycle le kar denge, to fir ab kyu ro rahe ho?
Aksh: mujhe tujhse baat nahi karni.... ja yaha se...
Sakshi: dekhna fir kabhi baat nahi karungi me....
Aksh: ha to mat kar.....
Sakshi: Sachme nahi karungi....
Lekin Aksh koi jawab nahi deta tab Sakshi uski pith ke upar chad ke uski kamar me gudgudi karne lagti he. Sakshi ke aisa karne se kuch hi seconds me Rota hua Aksh hasne lagta he.
Aksh: Chipkali.....
Jab Sakshi us se alag ho kar side me beth jati he to Aksh us se kehta he.
Sakshi: Bandar......
Or fir wo dono aise hi bethe hue baate karte he, thodi der baad dinner ka time ho gaya tha, Charo saath milkar khana kha rahe the, Aksh ab bhi thoda udas tha khane ke baad wo apne kamre me chala jata he Sakshi bhi kuch der TV dekhne ke baad kamre me ja kar so jati he.
Radha apna sara kaam khatam kar ke Santosh ke saath hall me beth jati he.
Radha: dekha na Aksh ko? Kitna ziddi ho gaya he?
Santosh: Radha wo baccha he, zidd to karega hi na?
Radha: or aap kya mana nahi kar sakte use? Hum log koi Ambani ke pariwar se nahi he jo uski sari farmayishe puri kar sake...
Santosh: Radha use ye baat kese samjhegi? Wo thodi na janta he ke aaj ke samay me ye paisa akhir kitni badi chiz he. Jab wo Bada hoga tab samajh jayega... Or tum chinta mat karo, me bank me jo saving he usme se kuch paise nikal kar uske liye cycle la dunga....
Radha: jesa aap thik samjhe....
Fir wo dono bhi apne kamre me chale jate he, lekin un dono ki baate Aksh ne sun li thi, darasal jab wo washroom jane ke liye waha aya to dono ki baate usne sun li.
Aksh(man me): Aai Baba to bahot pareshan lagg rahe the, matlab paise bahot mushkil se ate he? To fir me Baba ko bol dunga ke mujhe cycle nahi chahiye... Ha.. ye thik he... lekin ye Ambani kon he? Or Aai ne kyu aisa kaha ke hum Ambani ke pariwar se nahi he?
Wo apne mann me kayi sare swal le kar washroom chala jata he or fir bed par akar so jata he
Or is tarah aaj ka din nikal jata he, jaha baccho ki zidd ke samne ek baap har wo chiz karne ke liye tayar he jis se uske bacche ke chehre par khushi aye.
To doato ye tha is story ka pehla mega Update jaha se hum ye ke sakte he ki ab Aksh ki zindagi me change ane ki Shuruwat ho chuki he, kyu ke is masum se bacche ke dil me ek bahot bada sawal paida ho chuka tha ke Akhir life me paise ki importance itni zyada kyu he. Ab bas is sawal ka jawab Aksh ko kis tarah milta he ye dekhna interesting hoga.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Great job bhai ji.... Maza agaya dono ka pyaar dekh kar, ab to aksh ne sakshi se wada kar diya he ke wo uski sari wish puri karega. Dekhte he aage bhai, waiting for next UpdateChapter 1 - The Early Life