• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER](Completed)

andyking302

Well-Known Member
6,076
14,329
174
Story Line

Word Count - 1133

To dosto sidha aate he story par, to Laal Ishq me aapko Incest, Action, Thriller or Romance ka ek tagda Rectangle milega jispe Emotions ka ek zhonk bhi padega, ye kahani he Mumbai ke rehne wale Ek bhai behen ki, dosto Inka pariwar koi amir background se nahi he, kehte he na insan ko survive karne ke liye 3 chize chahiye hoti he "Roti, Kapda or Makan" or ye tino chize inke paas thi, or jesa ke hume pata he, Zyadatar middle class family apne baccho ko bas padhana likhana chahte he, use bas ek 9-5 job ke liye prepare karwate he. Is pariwar me bhi kuch aisa hi mahol tha. Maa baap apne bete beti ko acchese padha likha na chahte the. Lekin Character to apne dil o dimag me kuch or hi sapne lekar betha hua tha.

Ab Aap sochiye, Ek tuta dil, khali jeb or bade sapne milkar kya kar sakte he? Ye sab milkar puri zindagi me tufan la sakte he. To bas is tufan me shamil ho jayiye, or dekhte he ye tufan kesa keher dhata he. Jab ye tufan thamega tab uska after impact kya hota he?



CHARACTERS INTRODUCTION:


1) Aksh Joshi(Main Character):
Aksh is story ka pehla ehem kirdar he..... Aksh dikhne me koi hero to nahi he, lekin smart zarur he. To hum Aksh ke bare me kuch bate jaan lete he. Aksh ki soch ek middle class ladke se kuch alag he. Usne 12th ke baad apni padhayi rok di thi, kyu ke use padhai me bilkul intereste nahi tha. Uske marks humesha se hi kam rahe the, use bas kisi tarah ek safal business man bann na he, lekin ye itna asaan to katayi nahi tha. Or is wajah se uske parents uske is decision se bilkul khush nahi the. Lekin sirf ek hi insaan tha is pariwar me jo Aksh ko har mamlo me support karta. Wo insaan or koi nahi Aksh ki behen thi. Usne Aksh ko har mamle me support kiya tha. Aksh ek introvert ladka he, use kisi se zyada baat karna pasand nahi he, wo bas apne me hi khoya rehta. Lekin ye apni behen ko apni sar aakho par bitha ta he, hala ke wo Aksh se thoda darr ke rehti he.

2) Sakshi Joshi(Main Character):
to ye he Aksh ki ek lauti behen Sakshi. Or is kahani ki sabse ehem kirdar. Iska janm Aksh ke kuch der baad hi hua tha. Ye dikhne me bahot pyaari or masum he. Sakshi Abhi Second Year B.cs kar rahi he, Sakshi padhai me kafi hoshiyaar he, humesha se school me top karte ayi thi or ab college me bhi top karti he. Sakshi ke bas kuch gine chune dost he, Sakshi ladko se kam hi baat karti he. Ye Aksh ko humesha har baat me Support karti ayi he. Sakshi ke liye apne pariwar se badh kar kuch bhi nahi he. Waise to Aksh or Sakshi ki acchi jamti he, lekin Aksh me jo badlav aye the use dekh kar to kabhi kabhi to Sakshi bhi darr jati thi.

3) Radha Joshi:
Ye he Aksh or Sakshi ki maa Radha, ye koi padhi likhi aurat nahi he, lekin Radha bas chahti he ke is samaj me uske dono baccho ka naam ho, lekin Radha Aksh ke liye bahot pareshan rehti he. Radha chahti he ke Aksh padhai kar ke ek acchi si naukri kare. Lekin Aksh to iske ulta hi soch kar betha he, jis wajah se Aksh or uske parents ke bich ek tanav bana rehta he.

4) Santosh Joshi:
ye he Aksh or Sakshi ke Pita... Ye ek mehnati or imandar insaan he, ye ek company me chote se level ka kaam karte he. inhone bhi apna bachpan is Middle class soch me hi guzara he, or ye bhi chahte he ke Aksh padh likh kar ek accha insaan bane. Or inka bhi Aksh ke saath tanav bana hi rehta he.



5) Mansi Virani(Main Character):

Mansi dikhne me bahot hi Khubsurat ladki he, apne maa baap ki ek lauti santaan. Mansi apne family ke saath Surat me rehti he. Mansi kafi shararati ladki he, masti mazak karna Mansi ki fitrat he. Lekin ye dil ki bahot hi saaf ladki he. Mansi First Year B.ba kar rahi he ise apne Papa ka Business sambhalne me kafi dilchaspi he. Or aage ja kar Mansi ko hi Uske Papa ka Business sambhalna he.

6) Aman Virani:
Surat ke safal business man, Virani Industries ke malik. ye apni fitness par bahot dhyan dete he. India ke shayad har naamchin logo se inki pehchan he, Apni ek lauti beti se jaan se zyada pyaar karte he. Inki or Mansi ki kafi jamti he. Doni humesha ek dost ki tarah rehte he.

7) Kiran Virani:
ye Mansi ki Maa he, Kiran ek khule mijaz ki Aurat he, sabse ghul mil kar baat karti he. Kiran Mansi ke liye humesha se overprotective Rahi he, or Kiran ek Housewife he.

8) D.G.P. Abhinav Roy:
Abhinav 50 Saal ke ek hatte katte or tandarust Officer he, jab baat dimag se kaam lene ki ho to inke samne shayad hi koi tik sakta he, or inka Intro mene is liye diya kyu ke story me inka bhi ek ehem role hone wala he.


To dosto ye the kuch characters jinke aspas ye kahani chalegi, or kuch bahot hi interesting characters he jo aapko aage kahani me pata chal hi jayenge. Agar intro accha laga ho to like karna or Comment kar ke batana ke Intro kesa laga.

Dusri baat, dosto mujhe yaha story likh kar koi sona chandi to nahi milta, or wo mujhe nahi chahiye, me bas aap sab se ek hi chiz mangta hu, or apne pure dil se mangta he, or wo he aapke comments… please dosto har Update me apna review zarur diya kijiye, me ye nahi keh raha hu ke sirf tarifo ke phool bandhiye, jo aapko lagta he wo mere saath zarur share kare, ke is Update me ye accha laga, is update me ye kami thi… ise is tarah se sudhara ja sakta tha etc…. jis se me apne aap ko or zyada correct kar pau, Or ha.... Is Story ka pehla Update 2nd December 12 P.M. ko Post ho jayega. Or dosto me week me 3-4 Update dunga… i know ye zyada nahi he, lekin kya karu, ab sab kuch back to normal life achuka he, apne kaam waam bhi dekhna hota he, jese hi time milta he likhne beth jata hu, or har Update 2500-4000 words ka hoga, agar me update kam de raha hu to har Update ki Length to acchi khasi rakh hi sakta hu na to bas Stay Tuned And Keep Supporting ❤❤
शानदार intro bhai
 

andyking302

Well-Known Member
6,076
14,329
174

Chapter 1 - The Early Life


Update 1


Word Count - 3885
Estimated Reading Time: 00:18:00

Kaali andheri raat, khaufnaam Mosam or jungle ke bicho bich bana ek lauta ghar jisme Aksh dard ke mare niche beth kar karah raha tha, or Sakshi use dekh kar apne asu rok nahi paati or Aksh ko sahara dete hue niche beth kar use sambhal leti he.
Sakshi: Aksh hum ek dusre ko humesha se jante hai, mene tujhe Hasta hua dekha hai, khush dekha hai, Tujhe Rota dekha Hai, Akela dekha hai…. Lekin…. Lekin ye sab……ye sab kya hai Aksh?
Wo rote hue Aksh ka chehra apne haatho me thamkar puchti he. Lekin Aksh bina Sakshi se nazre milaye koi jawab nahi deta.
Sakshi: chup kyu ho mujhe jawab do Aksh….. warna…. Warna..
Ye kehte hue Sakshi niche padi Gun ko utha leti he or apne mathe par point kar deti hai. Usne trigger par apni ungli hi rakhi thi ke Aksh apni dayi taraf ki diwar ko dekhne lagta he, Sakshi uski nazro ka picha karte hue us diwar ko dekhti he lekin jese hi Sakshi ki nazar us diwar par gayi to uske hosh ud gaye the. Uski wajah thi ke diwar pe bahot se logo ki tasveer lagi hui thi lekin center me Aksh, Sakshi, Santosh or Radha ki tasveer thi. Santosh, Radha or bahot si tasveero par red marker se cross bana hua tha.
Sakshi sawalo se bhari nazro se Aksh ko dekh rahi thi, Aksh dhire dhire apne pero par khada ho jata he or jese jese Aksh Sakshi ko apni baat bata raha tha waise waise Sakshi ki akho se Aansu tez behne lage the, Sakshi ke haath se Gun niche gir gayi thi. Lekin suddenly waha Goliya chalne lagti he, or is bich Sakshi ki chink nikalti he jise dekh kar Aksh ki dhadkane ruk si gayi thi.

Aksh: Sakshi………






















Hospital ke bed par ek Aurat bade hi dard me thi, lekin use is dard ki koi parwah nahi thi kyu ke us dard ki wajah thi ke wo kisi nanhi si jaan ko janm dene wali thi, kuch hi der me us Aurat ne ek ladke ko janm diya, or uske kuch hi der baad ek pyaari si ladki ko.... Us Aurat ki halat kafi kharab ho chuki thi, Doctor ne dono baccho ko ek towel me lapet kar Aurat ke samne kar diya, un rote hue baccho ko dekh kar Aurat ka sara dard ek pal me hawa ho jata he, uske aakho se asu behne lage the, un baccho ki awaaz to jese uske kaano me shehed si ghul rahi thi, kehte he ke koi maa apne baccho ko rota nahi dekh sakti lekin aise waqt pe un baccho ka rona dekh kar ek maa ke liye wo to jese puri duniya ki kushi hoti he, usne bade hi pyaar se dono baccho ko chuma. Doctor waha se bahar ajati he jaha Aurat ka pati bahot hi bechain halat me yaha se waha chakkar laga raha tha, doctor ko dekh kar wo aadmi uski taraf ajata he.

Aadmi: Doctor.... K...kya hua... Radha....Radha thik he na?
Wo kafi Ghabrahat bhari awaaz me puchta he.
Abtak to aap samaj gaye honge ke, wo aadmi Santosh or wo Aurat Radha thi.
Doctor: dekhiye sab kuch thik he, aapki patni bhi Normal he or unhone do baccho ko janm diya he....
Wo Santosh ke kandhe par haath rakh kar kehti he, uski baat se Santosh ko to mano puri duniya ki khushi mil gayi thi.
Santosh: kya? Th...thank you... Thank You Doctor.. kya me use mil sakta hu?
Doctor: ji zarur....

Doctor ki permission milte hi Santosh andar dod patda he, samne Radha bed par apne baccho ko liye leti thi, Santosh ko dekh kar Radha ke chehre par ek bahot hi pyaari hasi ajati he, Santosh uske nazdeek ata he or apne baccho ka chehra dekh uska rona ruk nahi pata. Wo pehle Radha ke sar pe haath ferta he or uske mathe ko chum kar dono baccho ko apne haath me le leta he. Is waqt is puri duniya ki khushi Santosh ke haatho me thi, use dekh kar Santosh ki aakhe bhar ati he.

Ek din baad Radha ko discharge kiya jata he, Santosh or Radha apne baccho ko le kar apne ghar ajate he. Ghar akar Santosh Radha ko Aaram se bed par lita deta he, or khud uske paas beth jata he apne baccho ke saath. Ab inka ghar koi alishan mehel nahi tha, lekin jitni mehnat se Santosh ne ise banaya tha uske or Radha ke liye to is ghar ke samne alishan mehel bhi fika lage, or is ghar me 3 average size ke bedroom the, ek hall or us se hi juda kitchen tha, or upar bas chatt bani hui thi jaha ane jane ke liye andar se hi sidhi banayi hui thi.

Santosh: aaj sahi mayno me ye ghar khushnuma ho gaya, aaj humara pariwar ban gaya Radha....
Wo muskurate hue Radha se kehta he.
Radha: Sahi kaha aapne... Deva(bhagwaan) bas aise hi humari zindagi me khushi bani rahe.....
Usne haath jodkar bhagwaan se prarthana karte hue kaha.
Radha: waise inka naam waise hi rakhna he na jo humne socha tha?
Santosh: are ha.... Wahi jo humne tay kiya tha, ke ladki hui to Sakshi or ladka hua to Aksh... lekin dekho to Bhagwaan ne dono hi de diye hume....
Wo apne Baccho par pyaar bhari nazar dalkar kehta he. Dono pati patni bas in baccho me hi khoye hue the.

Aise hi din nikalte gaye, dono baccho ka naamkaran bhi ho gaya tha, dono pati patni apne baccho ke saath apni zindagi bahot hi khushi se ji rahe the. Santosh ko to apne job par jane ka bhi dil nahi karta tha, wo to apna mann marke chala jata, lekin waha ja kar wo bas suraj dhalne ka intezar karta ke jab ye suraj dube or me apne baccho se milu. Santosh or Radha ne apne dono baccho ko ek tarike ka hi pyaar diya, dono bacche bhi humesha haste rehte the.

Din par din, or saal par saal kis tarah guzar gaye kisi ko pata hi nahi chala, ab dono bhai behen bade ho gaye the or ab wo 5th class me chale gaye the, wo dono ek saath apne school jate the. Aksh or Sakshi ki jodi pure school me famous thi, Wajah unki pyaar bhari nok jhok thi.



Subah ke 7 baje hue the, Sakshi nind se uth kar apni aakhe mal rahi thi, usne apne side me dekha to Aksh gehri nind me soya hua tha. Use dekh kar Sakshi ko ek shararat sujhti he or uske chehre par hasi ajati he.

Sakshi jaldi se uthkar kamre se bahar jhakti he to Radha kitchen me kaam kar rahi thi, Sakshi dabe paav ghar ke bahar baramde me jati he jaha kapde sukh rahe the Sakshi ne waha rakhe stool par khade ho ke kapde sukhane ke liye jo clip lagate he wo nikal li or jaldi se andar apne kamre me agayi. Sakshi ne us clip ko Aksh ke naak par laga diya, ab Aksh saas lene ke liye apna muh khol leta he, uska muh pura khula hua tha jise dekh kar Sakshi ke chehre par hasi ajati he or wo apni hasi dabaye Aksh ko dekh rahi thi, ab Aksh ko muh se saas lene me dikkat ho rahi thi uski nind tut chuki thi, wo apni naak se clip hata deta he or dekhta he ke samne Sakshi zor zor se uspar has rahi thi.

Aksh: Sakhsi tu bahot pitegi mujhse aaj.... Rukja....
Wo bed se uth kar Sakshi ko marne ke liye aage badhta he lekin tabtak Sakshi kamre se nikal kar apni Maa ke paas bhag jati he.

Sakshi: Aai(Maa) bachao... Ye dekho Aksh mujhe bina wajah tang kar raha he.
Wo Radha ke piche chup kar kehti he.
Aksh: Jhuti..... Jhuti..... Khud mujhe pareshan karti he ye.... Aai tum hatt jao, me aaj is chipkali ko nahi chhodunga....
Wo Radha ke piche chupi Sakshi ko pakadne ki koshish karte hue kehta he.
Radha: Deva(Bhagwaan)...... Pareshan ho gayi hu me tum dono se.... Roz kutte billi ki tarah shuru ho jate ho, din accha nahi guzarta kya tumhara lade bina?
Radha dono ke kaan pakad kar puchti he.
Aksh: ahhh…. Aai, me so raha tha, ye chipkali ne mere naak pe clip laga di thi....
Uski baat se Radha Aksh ka kaan azaad karti he or Sakshi ko halka sa thappad mar deti he.
Radha: kyu karti rehti ho aise harkate? Ha bolo?
Uski halki si thappad se hi Sakshi ki aakho me asu agaye the, tabhi Santosh hall me akar beth jata he.
Santosh: kya hua meri beti ko kisne rulaya subah subah?
Wo roti hui Sakshi ko dekh kar puchta he, Santosh ko dekh kar Sakshi tezi se bhag kar uske gale lag rona shuru kar deti he.

Sakshi: Baba(Papa)..... Aai ne mara..... Mujhe Thappad mara.....
Wo apna gaal sehlate hue sisak kar rote hue kehti he.
Santosh: accha? Abhi Aai ki khabar leta hu me ruko....
Ye kehkar wo Radha ko pukarta he.
Santosh: kyu mara tumne Radha meri beti ko?.
Radha: aapki beti din ba din badmash hoti ja rahi he, or marungi use me.....
Wo kitchen se hi unchi awaaz me jawab deti he, jise sun kar Aksh Sakshi ke samne akar zor zor se hasne lagte he. Use dekh kar Sakshi ko bahot hi zyada gussa ajata he.

Sakshi: bandar..... Aaj ke baad kabhi baat mat karna....
Wo chillakar Aksh se kehti he or apne kamre me bhaag jati he. Uske jane ke baad Santosh Aksh ka kaan pakad leta he.
Santosh: tu kyu pareshan karta rehta he use? Ha?
Aksh: ahh... Baba mene kuch nahi kiya tha, wo chipkali roz roz mujhe nind se jagane ke naye tarike dhund ti rehti he...
Wo apna kaan ko azaad karne ki koshish me kehta he.
Santosh: ab jaldi se tayar ho jao, school jana he...
Wo Aksh ka kaan chhod kar kehta he. Aksh chala jata he tayar hone Aksh or Sakshi ek hi room me the, Radha ne bhi Sakshi ko tayar kar diya tha or wo dono ke liye nashta banane chali gayi, Sakshi ko ab apne jute ki lace bandh ni thi jo use nahi ata tha, Radha to apne kaam me lag chuki thi or yaha sirf Aksh ko hi jute ki lace bandh na ata tha, Aksh apna school bag check kar raha tha, Sakshi uske piche khadi thi.

Sakshi: Aksh......
Uski awaaz sunkar Aksh ansuna kar deta he.
Sakshi: Aksh.... Sunn na....
Is baar Aksh uski taraf mudkar dekhta he.
Sakshi: meri jute ki lace bandh do na please......
Wo bade hi pyaar se apne bhai ko kehti he.
Aksh: kyu tu to mujhse baat nahi karne wali thi na?
Wo Sakshi ko kuch der pehle ki baad yaad dilate hue kehta he.
Sakshi: h... Wo....me to....
Aksh: chal ab pehle sorry bol mujhe.... Tabhi help karunga Teri....
Sakshi: sorry dada(bhai).......
Wo apne kaan pakad kar bahot hi pyaar se kehti he. Fir Aksh uske lace bandh ne ke liye tayar ho jata he. Sakshi bed par beth jati he or Aksh apne chote chote ungliyo se lace pakad kar bandhne lagta he, Sakshi Aksh ko dekh kar has rahi thi.
Aksh: ho gaya....
Sakshi: thank You Aksh..... Kutta..... Kutta.... Kutta.....
Pehle wo pyaar se Aksh ko bolti he or use dhakka de kar kutta bol ke apna school bag utha kar bhaag jati he.
Aksh: chipkali..... Chipkali... Tu..... Ab fir kabhi madat nahi karunga teri....
Fir wo bhi apna bag utha kar ghar ke bahar ajata he, jaha Sakshi Santosh ki bike par aage tanki ke paas bethi hui thi, wo Aksh ko ata dekh kar use chidane lagti he. Aksh to use Santosh ke samne kuch nahi kar sakta tha, isliye usne ishare se hi use kaha ki badme dekh lunga. Or wo akar bike ke piche ki seat par beth jata he, darasal Sakshi humesha aage beth kar tez chalti hawao ke maze leti thi.

Radha: aaj tum dono ko me pehle hi bata de rahi hu, School se sidha ghar ana, warna bahot pitoge dono....
Wo dono ko ungli dikhate hue kehti he.
Sakshi: Aai, me to is bandar ko kehti hu ghar chal to ye humesha apne dost ke ghar se ho kar hi jata he.
Aksh: jhuti chipkali..... Aai... Baba hume jate hue jo paise dete he na ye chipkali school chutne ke baad uska gola khane ke liye mujhe bhi apne saath le jati he.
Sakshi: to tum bhi to khate ho na.... Bandar.....
Dono bas ek dusre par galati dal rahe the, dono humesha aise hi ladte rehte the.
Santosh: are bas karo..... Ghar me to kabhi shant nahi rehte, bahar jate waqt to chup raha karo....
Uski baat se dono apna muh fulaye chup ho jate he.
Santosh: thik he Radha, me chalta hu.... Shaam ko ajaunga.
Radha: sambhal kar jana....
Wo muskurate hue Santosh se kehti he, Santosh dono ko school drop karne ke liye nikal jata he.

Radha andar akar apne kaamo me lag jati he, wahi Santosh dono ke school pahoch jata he, unka school dur nahi tha, Santosh apne kaam par jate hue dono ko drop kar deta, or wo dono school ki chutti ke baad saath ghar jate the.

Dono bike se utar jate he, or Sakshi Santosh ko ek tak dekhe ja rahi thi. Aksh bhi wahi ruk gaya.

Santosh: kya hua? Aise kyu dekh rahi ho?
Ispar Sakshi bas apna haath aage badha deti he. Santosh us se tali bajata he. Jis se Sakshi ka muh ful jata he.
Sakshi: tali nahi.... Paise do....
Santosh: ohhhh... To ye baat he, nahi.... Aaj to me tum dono ko pese nahi dunga, tum dono school se late jate ho na ghar? Ab sidha ghar pe jana... Shaam ko milta hu...
Or itna kehkar Santosh aage badh jata he, lekin Sakshi or Aksh ka chehra udas ho gaya tha.

Sakshi: sab teri wajah se hua, bandar kahi ka....
Wo gusse me Aksh ko apne nazuk se hatho se marte hue kehti he.
Aksh: mene kya kiya? Mujhe bhi kaha pese mile?
Sakshi: kya zarurat thi Aai ko batane ki school ke baad gola khane jate he?
Aksh: to fir tune kyu mera naam liya tha?
Ab wo dono school ke gate par hi jhagad ne lage the. Tabhi Sakshi ki dost Neha waha ajati he. Or wo dono ko andar le jati he, Aksh waise zyada kisi se baat nahi karta tha, siwaye Sakshi ke. Recess ke waqt Aksh uthkar apne dost ke saath beth jata he, Sakshi ko is se bura laga. Aksh or uska dost tiffin nikal kar khane lagte he, Neha piche ke bench se uthkar Sakshi ke paas ajati he. Wo dono bhi apna tiffin open kar ke khana shuru kar dete he. Aaj Sakshi ke tiffin me ek chocolate bhi thi, Radha dono ko kabhi kabhi hi chocolate deti thi, Sakshi wo chocolate dekh kar khush ho jati he, ek chocolate hone ki wajah se wo aadhi chocolate Neha ko bhi de deti he. Lekin use or chocolate kahni thi, Aksh ko ye baat pata thi to usne apne hisse ki chocolate bacha kar rakh di. Jab sab logo ka khana ho jata he to Neha apne bench par chali jati he, Aksh akar Sakshi ke saath beth jata he.

Aksh: oye chipkali...... Ye le.....
Wo Sakshi ko apni chocolate dete hue kehta he.
Sakshi: tune kyu nahi khayi?
Aksh: mujhe teri tarah apne daat nahi kharab karne he.... Ye le....
Fir Sakshi us se chocolate chin leti he or khushi khushi kha leti he. Aise hi kuch ghanto baad school ki chutti ho jati he, dono saath me ghar jane ke liye nikalte he. Raste me Sakshi ka chehra us gole wale ko dekh kar utar jata he. Kyu ke aaj to Santosh ne un dono ko paise diye hi nahi the. Aksh ne uska udas chehra dekh liya tha.

Aksh: oye chipkali.... Gola khana he tujhe?
Wo apna chalte chalte ruk kar kehta he.
Sakshi: Baba ne paise kaha diye he?
Wo narazgi se apna muh fula kar kehti he.
Aksh: mere paas thode paise he na... Me tere jese sare pese kharch nahi karta samjhi chipkali....
Sakshi: sacchi?
Wo kafi khush ho kar kehti he. Fir Aksh 1 gola le leta he kyu ke uske paas ek gole ke pese hi the, usne Gola sirf Sakshi ke liye liya tha lekin Sakshi use bhi khane ko kehti he, dono ek gola hi apas me share kar ke kha lete he or jaldi se ghar ki taraf badhte he. Aaj bhi dono ko ghar pahoch ne me late ho gaya tha. Radha ghar ke darwaze par hi ruki hui thi, dono dur se hi Radha ko dekh lete he, dono samajh gaye ke aaj to unki kher nahi. Dono ghar ke paas ajate he or jese hi wo darwaze ke paas aye to wo dono apna muh niche kiye ruke the.

Radha: kitni baar kaha he tum dono se ke school se sidha ghar ajaya karo, ha?
Dono hi chup chaap apna muh niche kiye ruke the.
Radha: bolo...
Wo unchi awaaz me kehti he.
Aksh: Sorry Aai.... Wo.....
Radha: tum dono aise nahi manoge na? Thik he aaj khana khane ke baad tum dono shaam tak padhai karte rahoge, Shaam tak TV bhi nahi dekhoge or agar padhai nahi ki to dono ko maar padegi....
Ye saza sunkar dono ka chehra udas ho jata he. Wo dono andar ajate he or kapde badal kar khana kha lete he or ja kar padhai karne lagte he.

Sakshi: aye Aksh....
Kuch der padhai karne ke baad Sakshi use awaaz deti he.
Aksh: bol?
Sakshi: Aksh koi rasta dhund na, kese hum roz Gola bhi kha sake or ghar ane me late bhi na ho....
Aksh: me to roz kehta hu na, chalte hue gola khaya kar, tu kaha manti he.
Sakshi: are buddhu... Agar itni dhup me chalte hue gola khaye to wo pighal jata he, mujhe waha ped ke niche beth kar gola khane me hi maza ata he.
Aksh: ab ye gola khana bhul ja, me roz roz itni der nahi padh sakta....
Sakshi: ha... Hum Kal se school me se jaldi hi nikal jayenge, fir aram se gola kha kar ghar waqt par aya karenge....
Aksh: akele hi kar tu, me nahi karne wala ye sab.....
Sakshi: are lekin.....
Aksh: mujhe nahi karna bas.....
Sakshi: thik he, mat kar.... Huhhhh...
Or wo gusse se firse apni padhai me lag jati he.

Shaam ko Unki padhai ho gayi tab wo log hall me akar cartoon dekhne lage, kuch der baad Santosh ghar ajata he, lekin uske haath me ek bag bhi thi.
Sakshi: Baba.... Ye kya laye ho?
Wo bahot utsukta ke saath bhaag kar darwaze par ja kar Santosh ke haath se wo bag le leti he.
Santosh: tum dono ke liye hi laya hu, khud dekho...
Aksh or Sakshi kafi khush the, wo dono dekhte he ke bag me kaala khatta or kuch syrups ki bottle thi.
Santosh: roz tum raste me ruk kar hi gola khate ho na? Ab se ghar time se aao or jitna marzi utna kha lo….
Wo andar sofe pe beth kar kehta he, Radha uske liye pani le kar ati he. Sakshi or Aksh dono Santosh ko gale laga lete he, kyu ke unhe ye gift kafi pasand aya.
Aksh: thank You Baba....
Sakshi: ha Baba thank you, ab hum time se ghar ajayenge.
Wo Santosh ke galo par kiss karte hue kehti he.

Radha: aap bhi na.... Ab ye roz roz barf khayenge to bimar pad jayenge...
Wo Santosh ke bagal me beth te hue kehti he, Aksh or Sakshi to bas khushi se apne me hi lage the.
Santosh: are koi baat nahi Radha.... Kuch nahi hoga.....

Fir aise hi din nikal jata he, Raat ko charo milkar niche zameen par beth kar khana kha rahe the, lekin Aksh or Sakshi kafi tezi se khana kha rahe the.

Radha: itni kya ghayi he tum dono ko? Aram se khao...
Sakshi: hmm..... Aai..... hume Gola bhi khana he na...
Wo apne chote se muh me bada sa niwala bharte hue apne fule gaalo se kehti he.
Santosh: nahi.... Raat ko nahi, sirf tum school se aaoge tab hi Milega... Or ha Radha, agar ye dono late aye to Gola bana kar mat dena inhe...
Radha: gola nahi dungi, saza dungi... Pata he na saza?
Ispar dono thoda udas ho jate he. Khane ke baad Aksh or Sakshi Cartoon dekh rahe the, kafi der baad Radha ne dono ko sone ke liye bhej diya.

Sakshi bed par let te hi so gayi, Aksh use dekh kar subah ka badla lene ka plan banata he.

Aksh: chipkali.... Mujhe satati he na? Ab dekh kese rulata hu tujhe....
Or itna kehkar wo uthkar apne parents ke kamre me chala jata he, uske jane ke kuch hi minutes baad Sakshi ki aakh khulti he or wo apne aap ko kamre me akela pa kar ghabra jati he.

Sakshi: Aksh.... Aai..... Baba.....
Wo zor zor se chillate hue rone lagti he, or kamre se bahar ajati he. Darasal Sakshi ko raat me akele sone se dar lagta tha, isliye Aksh or wo ek saath sote the. Uski awaaz sunkar Aksh or uske Parents bahar ajate he.

Radha: Sakshi chup ho ja... Me hu na yahi...
Wo Sakshi ko apne sine se laga kar chup karane lagti he.
Sakshi: bandar.... Kutta.... Janbujh ke gaye na room se?
Wo rote hue gusse se Aksh ko puchti he. Lekin Aksh ko uspar hasi arahi thi, tab Santosh uska kaan pakad kar use daant deta he, ab Sakshi or Aksh wapis apne kamre me agaye the.

Sakshi: bahot ganda he tu.... Kutta....
Wo andar ake Aksh ko gusse me kehti he.
Aksh: thik he, so tu fir yaha akeli...
Or ye kehkar wo bahar jane lagta he, lekin Sakshi use piche se pakad leti he.
Sakshi: sone do na mujhe....
Wo roni si shakal banate hue kehti he.
Aksh: to bol, mujhe nahi satayegi ab se...
Sakshi: nahi sataungi... Please mat jao....
Wo apni bhigi palko ke saath kehti he.
Aksh: thik he so ja....
Or wo dono bed par akar let jate he, Sakshi Aksh ka haath zor se pakadkar kar leti hui thi ke kahi Aksh fir se use akela chhod kar na chala jaye.

Fir dono apni gehri nind me chale jate he or is tarah inka aaj ka din nikal jata he. Thodi si masti, dher sara pyaar or ane wale kal ki khabar liye bina ye sab apni zindagi hasi khushi bita rahe the. Lekin ye sab kabtak chalna tha? Iska jawab to aage mil hi jayega.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
शानदार जबरदस्त भाई
 

andyking302

Well-Known Member
6,076
14,329
174

Chapter 1 - The Early Life

Update 2

Mega Update


Word Count: 3112
Estimated Reading Time: 00:15:00



Subah ke 7 baje hue the, Aksh besudh sa, ulta soya hua tha or Sakshi uske upar apne haath per dale soyi thi. Radha apna kaam adhura chhod kar dono ko jagane ke liye ajati he. Lekin wo dono to uthne ka naam hi nahi le rahe the. Radha ne akhir kar dono ko nind se jaga diya Aksh to uth kar beth gaya lekin Sakshi bethe bethe hi apni aakhe band kare soyi thi.


Radha: Deva.... kitni badi aalsi ladki he dekho ye? Bethe bethe bhi sone lagi? Sakshi..... Jaldi uthja.....
Wo Sakshi ko hila kar uski nind todte hue kehti he.
Sakshi: ahhh.. mujhe nahi jana School.....
Wo roti hui shakal bana kar kehti he or itna kehkar wo apne upar firse chadar odh kar so jati he.
Radha: hmm..... To fir Gola Akele Aksh ko hi milega tujhe nahi.....
Wo Aksh ke sar pe haath fer kar kehti he. Or uski baat ka asar Sakshi par ho jata he or wo jhat se uthkar beth jati he.
Sakshi: nahi... nahi... Mujhe bhi chahiye..... Mujhe bhi chahiye.....
Wo bed par khadi ho kar gusse me uchalte hue kehti he.
Radha: hmm to ab utho jaldi....
Fir dono fresh ho jate he, Aksh ne kapde pehen liye the or Radha Sakshi ki choti bana rahi thi, Aksh Sakshi ke samne use dekhte hue khada ho jata he, Sakshi apna muh banate hue use chidha rahi thi.

Aksh: Aai..... Ye chipkali Choti me kitni acchi dikhti he na?
Usne kafi pyaar se ye baat kahi jis se Radha or Sakshi ke chehre par muskurahat ajati he.
Radha: accha? To fir chipkali kyu bulata he ise humesha?
Aksh: kyu ke wo chipkali he... Lekin kabhi kabhi acchi dikhti he.
Sakshi: accha? To me bhi tujhe Bandar or kutta isliye hi bolti hu ke tu to har waqt waisa hi dikhta he.
Radha: bas bas.... Ab subah subah shuru mat ho jao tum dono.... Chalo ho gaya ab nashta karo or School jao... Or yaad hena late hue to...
Wo dono ko ungli dikhate hue warn karti he. Fir dono breakfast kar ke Santosh ke saath School ke liye nikal jate he. Santosh dono ko school ke gate tak chhod deta he or dono ko kuch paise de kar chala jata he. Dono bhai behen bhi khushi khushi apni class me chale jate he, kuch period ke baad ab inka khelne ka waqt agaya tha, sare bacche School ground me chale aye. Aksh, Sakshi, Neha or Soham ek taraf pakdam pakdayi khelne lage the. Sakshi baki tino ko pakad rahi thi, or ye tino us se bach kar bhaag rahe the, tabhi waha khel raha ek ladka bhagti hui Sakshi ke samne ajata he, Sakshi us se takra kar gir jati he or uske ghutne par kafi chott ajati he. Sakshi ab rone lagi Aksh ye dekh kar ruk gaya or Sakshi ke paas bhagte hue ajata he, jis ladke ki wajah se Sakshi giri thi wo un sab se 2-3 saal bada tha. Aksh jaldi se akar Sakshi ke ghutne se khun saaf karne lagta he.


Ladka: aye.... pagal ladki Tu dekh kar nahi bhaag sakti, agar mujhe lag jata to bahot pita hota tujhe mene..

Wo unchi awaaz me Sakshi ko dekh kar kehta he, lekin uski baat se Aksh ka gussa satve asman par chala jata he or wo uth kar us ladke ki collar pakad leta he or uske muh par ek do ghuse maar deta he lekin Aksh is ladke se 2-3 saal Chota tha, to us ladke ne Aksh ko ek dhakke me niche gira diya or uske upar ake Aksh ko marne laga, ab ye sab dekh kar Sakshi uth jati he or piche se us ladke ke baal pakad kar piche khinch kar gira deti he, tabtak Aksh uth kar use marne lagta he ab Sakshi or Aksh milkar us ladke ki tagdi dhulayi karne lage the. Tabhi ek teacher waha ajati he or wo unka jhagda rok deti he.


Is waqt Aksh or Sakshi ke kapdo ki halat kharab ho chuki thi. Wo log apna muh niche kar ke teacher ke samne khade the.


Teacher: kya chal raha he ye sab? Ha? Tum dono milkar use kyu maar rahe ho?
Wo gusse se Aksh or Sakshi ko puchti he.
Aksh: ma'am isne Sakshi ko dhakka diya tha or us se ulti baat bhi ki....
Teacher: to fir tum dono koi gunde ho kya jo is tarah kisi ko marne pitne lag jao.
Sakshi: lekin isne Aksh ko mara tha to....
Teacher: kyu jhut bol rahi ho? Mene dekha yaha tum dono use buri tarah se maar rahe the.
Aksh: ma'am....
Teacher: basss.... Tum is hi waqt ghar jaoge.... Or ha... Kal apne parents ko le kar hi ana school... Jao ab...
Wo bahot hi gusse me kehti he fir Aksh or Sakshi ghar jane ke liye nikal jate he. Raste me dono dare hue the kyu ke ab ghar pe Radha dono ki buri halat karne wali thi. Aise hi chalte hue wo dono us Gole wale ke yaha se guzarte he, use dekh Sakshi achanak se wahi ruk jati he.

Aksh: kyu ruk gayi?
Wo piche mud kar Sakshi se puchta he.
Sakshi: Gola kha kar jate he na....
Usne kafi masumiyat se kaha lekin Uski baat se Aksh use ek tak dekhne lagta he.
Aksh: ghar jane ke baad Aai kitna dantegi hume, me wo soch raha hu, or tujhe gola khana he?
Sakshi: ha to.... Ab Aai to hume ghar pe gola dene nahi wali yahi kha kar jate he na...
Wo roti hui shakal bana kar Aksh se kehti he.
Aksh: tu pagal....
Wo is se aage kuch kehta ke Sakshi uska haath pakad leti he or use khinch kar Gola khane le jati he. Sakshi ke haath me Gola ate hi uske chehre par wo khushi, wo pyari hasi wapis ajati he, lekin Aksh to Radha ki dant se darr raha tha, tabhi Aksh ki nazar Sakshi par padti he jo bina kisi darr, khushi khushi Gola khane me lagi thi, use dekh kar Pata nahi kyu lekin Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat ajati he, or wo bhi Gole ki chuskiya lene lagta he, Gola khatam hote hi dono firse apne raste chal padte he.


Ghar pe Radha ke sab kaam ho chuke the, or wo aram se TV dekhte hue bethi thi. Tabhi darwaze se Aksh or Sakshi dare, sehme se andar apni gardan niche kiye ajate he. Dono ko itni jaldi ghar ate or unki halat dekh kar Radha thodi heran thi.


Radha: tum dono itni jaldi.... Or ye... Ye kya halat bana li he?
Lekin Aksh or Sakshi uski baat ka koi jawaab nahi dete.
Radha: Bolo..... Or ye kya Sakshi.... Tumhare ghutne par chot kese lagi?
Wo Sakshi ke ghutno ki chot dekh kar chintit lehze me puchti he.
Aksh: Aai, wo.... Ma'am ne Kal tumhe... Bulaya he...
Wo ladkhadate hue kehta he.
Radha: zarur kuch karname kar ke aye ho tum dono.... Jaldi se batao warna....
Wo dono ko ungli dikha kar gusse me kehti he.
Sakshi: Aai, humari galati nahi he.... Wo ladka hi mujhse takraya tha or sorry bolne ki jagah mujhpar gussa kiya usne, to Aksh ne or mene milkar use pitt diya.. ..
Wo apna muh fula kar kafi gusse se kehti he.
Radha: wahhh... Matlab To ab gunda gardi karne lage tum dono... Teacher ko nahi bata sakti thi?
Aksh/Sakshi: Sorry Aai....
Wo dono apna muh niche karte hue kehte he.
Radha: Sorry? Din ba din shaitaniya badh rahi he tum dono ki, ab jao andar or kapde badal kar khana khane aajao....
Wo dono ko andar room me janeka ishara karte hue gusse me kehti he. Dono jaldi se andar ajate he.

Aksh: ohh... Bach gaye aaj to.....
Wo andar bed par beth kar chain ki saas lete hue kehta he. Lekin Sakshi to abtak udas lag rahi thi.
Aksh: kya hua chipkali?
Uski baat par Sakshi bas use gusse se dekhti he.
Aksh: kya hua bata na....
Sakshi: ab Aai se Gola kese mange? Wo nahi dene wali hume Gola....
Wo apni school bag niche dalte hue udasi se kehti he.
Aksh: oye pagal ladki..... Abhi to khaya na humne, or ab firse chahiye tujhe?
Sakshi: ha wo to bahar khaya tha, mujhe ghar pe bhi khana he...
Wo roti hui shakal bana kar Aksh ke bagal me beth jati he, tabhi Aksh ki nazar uski chot par chali jati he.
Aksh: Sakshi tujhe dard nahi ho raha na?
Sakshi: kya nahi ho raha? Kitni jalan ho rahi he mujhe...
Wo bahot hi masumiyat se kehti he, tabb Aksh uske samne niche zameen pe apne ghutno par beth jata he or Sakshi ki chot par fook lagane lagta he.

Aksh: ab thik he?
Wo fook marte hue Sakshi se puchta he.
Sakshi: ha thoda thik lag raha he....
Tabhi Radha Sakshi ke chot par lagane ke liye Dawai le kar andar ajati he.
Radha: Aksh tum kapde badal lo jaldi....
Fir Aksh uthkar washroom chala jata he, or Radha Sakshi ki chot par dawai lagane lagti he.

Kuch der baad Tino milkar khana shuru kar dete he, bich bich me Sakshi Aksh ko ishara kar rahi thi ke Aai se Gola maang, lekin Aksh use mana kar raha tha.

Radha: kya ishare bazi chal rahi he tum dono ki?
Wo dono ko ishare se baat karta dekh kar puchti he. Radha ki baat sunkar dono thoda hadbada jate he.
Aksh: n...... nahi Aai... Kuch nahi....
Sakshi: Aai.... Wo Aksh na mujhe Tumse Gola mang ne ko keh raha tha...
Wo apna ilzaam Aksh par dalte hue kehti he, lekin uski baat se Aksh ka muh khula ka khula reh jata he.
Aksh: kitna jhut bolti he chipkali...... Khud kabse mujhe keh rahi he ke Aai se Gola maang... or ab....
Wo gusse me Sakshi ko kehta he.
Radha: koi Gola nahi milne wala dono ko, pehle to School me gunda gardi kar ke aye ho or chahte ho ke tumhe gola du? Bilkul bhi nahi milega.... Khana khao chup chap...

Wo sakht lehze me dono se kehti he. Dono hi chup chap khana khane lagte he, khane ke baad Aksh or Sakshi Cartoon dekh rahe the lekin dono hi udas the, Radha dono ko dekh leti he or fridge me se Barf nikal kar use crush kar ke uspe kal Santosh ne laye syrups daal kar gola bana deti or use le kar dono ke paas ajati he.


Radha: ye lo.....
Wo dono ke samne gola dete hue kehti he. Aksh or Sakshi ki to jese lottery lag gayi. Dono khushi khushi Radha ke haath se Gola le kar khane lagte he. Radha bhi unke bagal me beth jati he.
Radha: dekho aaj maaf kar diya mene dono ko, lekin agli baar aisi harkat nahi honi chahiye... Thik he?
Aksh/Sakshi: thik he Aai....
Or wo dono apna Gola khane me busy ho gaye, kuch der baad Santosh ghar agaya tha uski aaj jald hi chutti ho chuki thi.

Sham ke kareeb 6 baje hue the, puri Joshi family saath bethe baate kar rahi thi.
Radha: kal aap dono ke teacher se mil lena me to nahi jane wali, mujhe pata he ye dono fir se kuch na kuch gadbad karenge school me.
Santosh: tum chinta mat karo me jaunga kal, bacche he shaitani to karte hi rahenge na....
Wo Aksh or Sakshi ki side lete hue kehta he. Tabhi Sakshi akar uske gale laga leti he.
Sakshi: Baba, Thank You aapne humari problem door kar di....
Wo Santosh ke gale lag kar uchalte hue kehti he.
Santosh: konsi problem?
Wo Sakshi ko apne se alag kar ke herani se puchta he
Sakshi: are... ab roz roz bahar Gola nahi khayege, ghar pe akar dher sara gola khate rahenge wo bhi free....
Wo bahot khushi se kehti he.
Santosh: accha? To fir me kal se tum dono ko paise nahi dunga....
Sakshi: kyu nahi doge paise?
Wo kafi chintit lehze me puchti he.
Santosh: are bhai jab tum dono ka kaam ghar me hi ho jata he, to fir paise ki kya zarurat he?
Sakshi: nahi... nahi.... Hume paise bhi chahiye.... Agar kabhi Aai ne hume Gola dene se mana kiya to?
Santosh: Aai kyu mana karegi Gola dene se?
Sakshi: mujhe kuch nahi pata, roz paise bhi dene padenge matlab dene padenge....
Wo gusse me apne per patakte hue kehti he.
Santosh: are.... Thik he, thik he... dunga paise bhi..... bas?
Sakshi: thank you baba....
Wo Santosh ko kas ke gale lagate hue Kehti he.
Santosh: accha chalo park me khelne jana he?
Aksh/Sakshi: ha.... Jana he....
Fir wo charo milkar paas hi ke park me chale jate he. Waha ja kar Santosh or Radha ek bench par beth gaye, Sakshi or Aksh dono waha khelne lage. Kuch der ke baad waha par Aksh ki hi umar ka ek ladka aya jiske paas ek choti cycle thi. Wo ladka us cycle ko kafi khushi ke saath chala raha tha, ab Aksh ko bahot iccha hui ke uske paas bhi waisi cycle honi chahiye thi. Wo bas ek jagah khada ho kar us cycle ko dekh raha tha. lekin Sakshi aage baag chuki thi, jab wo piche mudkar dekhti he to pati he ke Aksh waha khada he.

Sakshi: kya hua Aksh?
Wo Aksh ke paas akar puchti he, Lekin Aksh uski baat ka jawab diye bina apne parents ki taraf bhaag jata he, Sakshi bhi uske piche chali ati he.
Aksh: Baba.... Baba...
Wo chillate hue bhaag kar Santosh ke paas akar kehta he.
Santosh: Kya hua beta?
Aksh: Baba, mujhe bhi waisi cycle chahiye....
Wo us ladke ki cycle ki taraf ungli karte hue kehta he.
Santosh: waisi cycle? Lekin Tumhe kaha ati he cycle beta?
Aksh: Baba me kuch nahi janta, mujhe bhi waisi cycle chahiye....
Wo gusse me apne per patakte hue kehta he.
Radha: beta meri baat....
Aksh: mujhe chahiye wo cycle bas.....
Wo Radha ki baat kaat te hue kehta he.
Santosh: accha... Thik he dila dunga.....
Aksh: sach Baba?
Wo kafi khush hokar kehta he.
Santosh: ha lekin tumhe uske liye agle mahine tak intezar karna hoga.
Aksh: nahi.... Mujhe kal hi wo cycle chahiye....
Santosh: beta kal ke kal cycle nahi mil sakti, mene kaha na me agle mahine tumhare liye waisi cycle le aunga....
Aksh: Baba......
Radha: Aksh..... Bas ho gaya.....
Wo kafi gusse me akar unchi awaaz me kehti he.
Radha: ek baar kaha samajh nahi ata? Or koi cycle nahi milegi....
Wo bahot hi gusse me kehti he jis se Aksh ke akho me asu ajate he.
Santosh: Radha, gussa kyu kar rahi ho? Beta me me tumhe jald se jald waisi cycle la kar de dunga... Thik he?
Wo Aksh ke asu saaf karte hue kehta he. Lekin Aksh apne kadam tez chalate hue waha se nikal jata he. Fir tino bhi uske piche piche hi ghar ajate he. Ghar ane ke baad Aksh sidha andar ke kamre me ja kar bed par let kar rone lagta he. Santosh or Radha apne kamre me chale jate he, Sakshi jese hi andar ati to usne dekha ke Aksh bed par lete hue Ro raha he. Wo Aksh ke paas ja kar beth jati he.

Sakshi: Dada kya hua?
Aksh: kuch nahi hua... Ja yaha se....
Wo kafi gusse me Sakshi se kehta he.
Sakshi: Baba ne kaha na ke wo Cycle le kar denge, to fir ab kyu ro rahe ho?
Aksh: mujhe tujhse baat nahi karni.... ja yaha se...
Sakshi: dekhna fir kabhi baat nahi karungi me....
Aksh: ha to mat kar.....
Sakshi: Sachme nahi karungi....
Lekin Aksh koi jawab nahi deta tab Sakshi uski pith ke upar chad ke uski kamar me gudgudi karne lagti he. Sakshi ke aisa karne se kuch hi seconds me Rota hua Aksh hasne lagta he.

Aksh: Chipkali.....
Jab Sakshi us se alag ho kar side me beth jati he to Aksh us se kehta he.
Sakshi: Bandar......

Or fir wo dono aise hi bethe hue baate karte he, thodi der baad dinner ka time ho gaya tha, Charo saath milkar khana kha rahe the, Aksh ab bhi thoda udas tha khane ke baad wo apne kamre me chala jata he Sakshi bhi kuch der TV dekhne ke baad kamre me ja kar so jati he.


Radha apna sara kaam khatam kar ke Santosh ke saath hall me beth jati he.

Radha: dekha na Aksh ko? Kitna ziddi ho gaya he?
Santosh: Radha wo baccha he, zidd to karega hi na?
Radha: or aap kya mana nahi kar sakte use? Hum log koi Ambani ke pariwar se nahi he jo uski sari farmayishe puri kar sake...
Santosh: Radha use ye baat kese samjhegi? Wo thodi na janta he ke aaj ke samay me ye paisa akhir kitni badi chiz he. Jab wo Bada hoga tab samajh jayega... Or tum chinta mat karo, me bank me jo saving he usme se kuch paise nikal kar uske liye cycle la dunga....
Radha: jesa aap thik samjhe....
Fir wo dono bhi apne kamre me chale jate he, lekin un dono ki baate Aksh ne sun li thi, darasal jab wo washroom jane ke liye waha aya to dono ki baate usne sun li.

Aksh(man me): Aai Baba to bahot pareshan lagg rahe the, matlab paise bahot mushkil se ate he? To fir me Baba ko bol dunga ke mujhe cycle nahi chahiye... Ha.. ye thik he... lekin ye Ambani kon he? Or Aai ne kyu aisa kaha ke hum Ambani ke pariwar se nahi he?

Wo apne mann me kayi sare swal le kar washroom chala jata he or fir bed par akar so jata he


Or is tarah aaj ka din nikal jata he, jaha baccho ki zidd ke samne ek baap har wo chiz karne ke liye tayar he jis se uske bacche ke chehre par khushi aye.


To doato ye tha is story ka pehla mega Update jaha se hum ye ke sakte he ki ab Aksh ki zindagi me change ane ki Shuruwat ho chuki he, kyu ke is masum se bacche ke dil me ek bahot bada sawal paida ho chuka tha ke Akhir life me paise ki importance itni zyada kyu he. Ab bas is sawal ka jawab Aksh ko kis tarah milta he ye dekhna interesting hoga.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊😊
शानदार bhai
 

Naag Pasha

Member
130
578
108
Chapter 3 - Qaatil

Update 8

Mega Update



Word Count: 3160
Estimated Reading Time: 00:15:00




Raat ke kareeb 2 baje hue the, or Aksh ki aakho ke samne sirf or sirf Sakshi ka chehra dikhayi de raha tha, jab bhi wo aakhe band kar ke sone ki koshish karta, bass Sakshi ki yaade use sata rahi thi.

"Dada..... Dada..... Dada uth bhi ja na ab.... Teri wajah se Hume ghumne jane me late ho jayega..... Dada....."
Yaha Sakshi subah subah chain se soye Aksh ki pith par beth kar use jagane ki koshish me lagi thi, lekin Aksh to sabkuch bhulkar ghode beche soya tha. Ab Sakshi ko bahot gussa ane laga tha, wo bhagte hue kamre se bahar agayi, or dusre kamre me rakha danda lekar firse apne kamre me agayi. Usne ek or baar Aksh ko uthne ka moka diya, lekin wo nahi mana. Ab Sakshi ne danda zor se Aksh ki pith me maar diya, jis se Aksh ki nind turant tut gayi. Wo dard me chillate hue bed par uthkar beth gaya, or samne Gusse me khadi Sakshi ko dekh liya.
Aksh: aye Chipkali..... Ye kya kar rahi he tu?
Sakshi: itni der se tujhe utha rahi hu lekin tu to uthne ka naam nahi le raha tha, Baba aaj hume ghumane le jane wale he.... Bhul gaya....
Wo bahot hi gusse me chillakar kehti he.
Aksh: to isme marne ki kya zarurat thi.... Chipkali.....
Uski baat sunkar Sakshi or zyada gussa ho gayi, or dande se Aksh ko marne ke liye aage badh gayi, lekin Aksh jaldi se us kamre se bahar bhaag jata he.

Aksh: Aai.... Baba..... Aai dekho ye ladki pagal ho gayi he.....
Wo bhagte hue bahar kaam kar rahi Radha ke piche chupte hue kehta he. Jese hi Radha ki nazar samne se gusse me arahi Sakshi par padi to wo bhi chok gayi.

Radha: Sakshi.... Kya kar rahi he tu?
Sakshi: Aai, ye bandar mujhe humesha chipkali bulata he.... Aaj is bandar ko dande se maar maar kar chup karwa dungi.....
Radha: accha? Beta wo danda bhi tujhse zyada lamba he.... Thik se pakad to sahi use.....
Wo Sakshi ka mazak banate hue kehti he. Jo sunkar Sakshi ko muh gusse se ful gaya. Wo danda wahi fek kar kamre me bhag gayi.
Radha: beta zyada waqt matt lagana, ghumne jana he na?
Wo Aksh ko apne samne lakar kehti he.
Aksh: Ho Aai.....
Fir Aksh kamre ke paas akar dhire se kamre me jhak kar dekhne lagta he. Jaha Sakshi gusse me bed par leti hui thi. Aksh dara sehma andar agaya.

Aksh: k.... Kya hua Sakshi.....
Sakshi: kuch nahi hua..... Bandar......
Wo kisi sher ki tarah dahadte hue kehti he. Aksh bhi us se kuch na kehne me hi apni bhalayi samajhta he. Radha ne akar use kapde nikal kar de diye. Or apna kaam karne chali gayi. Aksh ne jab apni t-shirt nikali tabb Sakshi ne dekha ke uski pith par nishan bann gaya he. Sakshi bed se uthkar Aksh ke piche akar khadi ho gayi, or uske nishan par apna haath fer diya, jis se Aksh ko thoda dard ho gaya, or wo Sakshi ki taraf mud gaya.
Sakshi: ye kya hua teri pith par Aksh.....
Aksh: huhhhh..... Khud dande se mujhe marti he, or fir puchti he ye kya hua..... Chipkali......
Itna kehkar wo aage bathroom ki taraf badh jata he, lekin ye sunkar Sakshi ki aakhe bhar ayi, Aksh ne jab mudkar use dekha to paya Sakshi rone lagg gayi he.
Aksh: are..... Tu rone kyu lagg gayi Sakshi?
Wo aage akar apne chote chote haatho se Sakshi ke aasu saaf karte hue kehta he.
Sakshi: tujhe meri wajah se chott lagg gayi na.....
Aksh: are me to bilkul thik hu.... Dekh, me kaha ro raha hu?
Sakshi: to fir teri pith par chot ka Nishan kese aya?
Aksh: are wo to.... Ahhh... Wo.... Ab tu ye sab chhod na, hume ghumne bhi jana he na?
Wo baat ko sambhalte hue kehta he, ab Sakshi bhi apna rona band kar ke muskurane lagg gayi. Aksh wapis bathroom me jane laga, lekin tabhi Sakshi ne aage akar use piche se hi rok diya. Or Aksh ki chot par halke se chum liya.
Aksh: kya kar rahi he Sakshi?
Wo Piche mudkar Sakshi se pichta he.
Sakshi: are Bavlat..... Chot par aise karne se dard gayab ho jata he....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he.


Pata nahi kyu lekin ye sari yaade Aksh ka chain chine ja rahi thi, Aksh gusse me upar chatt par agaya, or waha akar kafi gusse me apna workout karne lagg gaya. Kuch der baad Shahid aise hi upar chala ata he, or usne Aksh ko dekhte hi samajh liya ke wo kafi frustrated he.

Shahid: Aksh..... Itni raat ko yaha kya kar rahe ho?
Wo Aksh ke piche khada hokar puchta he, lekin Aksh uski baat ka koi jawab nahi deta.
Shahid: waise Aksh..... Tum Sakshi kyu milna nahi chahte?
Uski baat sunkar Aksh ko or bhi zyada gussa agaya, usne gusse me Shahid ko ghura or firse niche jane laga. Lekin tabhi Shahid ne use rok liya.
Shahid: Aksh.... Kya baat he? Jis Sakshi ke liye tum mujhe jaan se marne ke liye tayar the.... Aaj usi Sakshi ka naam sunkar aakho me itna gussa? Kyu Aksh?
Aksh: tumhe ye sab jaan ne ki koi zarurat nahi he.... Mera hamdard bann ne koshish matt karo.... Mene pehli hi kaha tha, mujhe apna badla pura karne me kisi ki zarurat nahi he.... Na tumhari na Abdul ki....
Wo gusse me Shahid ko dhakka marte hue kehta he. Or waha se chala jata he. Shahid bhi uthkar niche chala gaya.

Wahi dusri taraf Sakshi ki aakho se bhi nind koso dur thi, wo bass baar baar karvate badal badal kar sone ki koshish me lagi thi. Lekin jab use nind nahi ati to wo Aksh ki tasveer apne haatho me lekar us se baate karne lagti he.

Sakshi (mann me): Aksh kya tu mujhe maaf karega? Kyu ke aaj jo kuch halaat he, uski zimmedari kahi na kahi me bhi hu.... Please Aksh, teri Sakshi ko maaf kar dena.... Jo kuch tune khoya he, wo mene bhi to khoya he na? Please maaf kar dena apni Sakshi ko please.......
Wo Aksh ki tasveer ko apne sine se lagaye ro ro kar apna mann halka kar rahi thi, or aise hi rote rote der raat uski aaakh lagg jati he.


Agle din sabkuch as it is ho raha tha, waha Shahid akela bethkar sari Guns saaf kar raha tha tabhi Aksh uske paas akar beth jata he, or Guns saaf karne me lagg jata he.

Aksh: Shahid, Mujhe.... Mujhe maaf karna.....
Wo Shahid se nazre milaye bina kehta he.
Shahid: maaf.... Kis baat ke liye maafi mang rahe ho?
Wo herani se Aksh ki taraf dekhte hue puchta he.
Aksh: wo.... Kal raat.... Kal raat mujhe....
Shahid: koi baat nahi Aksh.... Me to bhul bhi gaya us baat ko... Tum bhi bhul jao....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue uske kandhe par haath rakh kar kehta he.

Shahid: waise tumhe ek free ki salah zarur dena chahunga me...... Aksh kya he na, agar zindagi me apno ka saath na ho to zindagi kisi kaam ki nahi rehti... Tum jante ho me or Mamu jab kisi begunah ladke ladkiyo ko drugs ke nashe me dalkar use Rana ke hawale kar dete he, to hum Guilty feel nahi karte.... Ab to hum Shayad yaha se kabhi bahar bhi nahi apayenge..... Or iski wajah apno ke saath ki kami he.... Me tumhe bass yahi samjhana chahta hu ke tumhari zindagi me koi he, jiski saase tumhare liye hi chal rahi he... Or mano ya na mano, lekin tumhare dil me Sakshi ke liye aaj bhi utna hi pyaar, utni hi chinta he jitni pehle thi.... Bass tumhari aakho me uske liye thoda sa gussa he.... Me nahi janta ye gussa kyu he, lekin aap gussa bhi sirf us se ho sakte ho jis se pyaar karte ho.....

Itna kehkar Shahid saaf hui Guns uthkar dusre kamre me chala jata he. Lekin uski baato ne Aksh ko soch ne me majbur kar diya. Lekin Aksh ke sar par ye badle ki aag is kadar chadi hui thi ke use sirf apna Badla sabse upar lagg raha tha.


Ye to thi Aksh ki kahani, lekin yaha Rana subah subah apni saline wagairah nikal kat kamre ke bahar agaya, tabhi Abdul ne use dekh liya.

Abdul: Boss..... Aapne Saline kyu nikal di? Kuch chahiye tha to mujhe bata dete....
Rana: ha... Gadi ki chabi chahiye.....
Abdul: gadi? Kyu Boss?
Rana: Abdul, kuch waqt ke liye is shor sharabe se dur jana chahta hu.....
Abdul: lekin is halat me.....
Rana: Abdul.....
Wo Abdul ki baat bich me kaat te hue use chup kara deta he.
Rana: bass kuch baad Rana firse apne purane roop ke saath lautega.... Chabi do.....
Uski baat par Abdul gadi ki chabi Rana ko de deta he. Rana bhi turant waha se nikal gaya. Abdul bilkul heran tha, ke Aksh ke karnamo ne Rana ko is kadar tod diya he.

Khair, sabki dopehar bilkul shanti me guzar rahi thi, waha Sakshi bass soch rahi thi, ke Qaatil takk kese pahocha jaye, kyu ke ab use ye kaam akele karna tha, kyu ke Anant ne koi bhi thos kadam uthane se pehle Uski raay lene ke liye kaha tha, or agar Sakshi is waqt Qaatil ke bate me kuch kehti to Anant use kuch bhi karne se mana kar deta.

Raat ko Abdul bhi Aksh se milne agaya tha, is waqt Aksh, Abdul or Shahid chatt par bethe hue the, or baki tino kuch zaruri saman lene ke liye bahar gaye hue the.

Abdul: waise Aksh, tumne bahot buri tarah se tod diya Rana ko.....
Aksh: ye to bass Shuruwat he, itni battar maut dunga use, ki usne kabhi sapne me bhi nahi socha hoga.....
Abdul: lekin ek dikkat he....
Uski baat sunkar Aksh Abdul ko ek takk dekhne lagta he.
Abdul: Rana kahi chala gaya he....
Aksh: chala gaya? Kaha Chala gaya?
Abdul: wo to nahi pata.... Lekin yaad rakhna Aksh, wo jab bhi wapsi karega, to keher Mach sakta he....
Aksh: bahot se keher dekh chuka hu me zindagi me..... Apne pariwar ko aakho ke samne marta dekhne se bada keher koi nahi hota.... To ye Rana kya kar lega ab mera?

Kuch der takk sab bass aise hi bethe rahe, tabhi Aksh Abdul se sawal puchna chahta tha.

Aksh: tumne mujhe Rana ke atit ke bare me kuch kyu nahi bataya.....
Uske sidhe sawal se Abdul ko laga kahi Aksh ko Rana ke atit ke bare me pata chal gaya ho.
Abdul: kesa Atit Aksh.... me Rana ke atit ke bare me kuch nahi janta.....
Aksh: aisa kyu? Agar Rana ki choti se choti baat tum jante ho to fir ye sab........
Abdul: Aksh, Mera or Rana ka koi khun ka rishta nahi he, jo wo apne sare dukh dard mujhse baate.....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kafi Sakht lehze me kehta he. Fir kuch der ke liye waha aise hi sannata cha gaya. Waha mojud har insan ke dimag me apne apne plan chal rahe the. Kuch der baad Abdul bhi waha se nikal gaya.


12 ghante ke safar ke baad Rana Bhopal pahoch gaya tha, usne gadi aisi jagah le li, jo ek khadi ki tarah thi. Waha dur dur takk koi insan mojud nahi tha. Thodi der ki drive ke baad Rana ek ped ke samne pahoch gaya. Rana ne jese hi gadi roki, waha zor dar barish shuru ho gayi. Rana door open kar ke gadi ke bahar akar khada ho gaya. Kuch hi Seconds me Rana puri tarah se bhig chuka tha, or tabhi waha zordar bijli kadakti he, jis se wo ilaka kuch Seconds ke liye saaf saaf nazar ane laga tha, or tabhi Rana ko wo ped ke paas ka kissa yaad agaya.


Flashback:


Year 1982 Bhopal, India.



Raat ke ghane andhere me tez barasti barish ke bich, gaon ke log is ped ke samne haatho me lantern liye khade the. Waha 2 logo ko ped se latkaya hua tha, kuch log ye dekh kar khush the, or latkaye gaye logo ke pariwar wale gid gida kar unki jaan Baksh dene ki bhik maang rahe the. Tabhi ek baccha samne khade aadmi ke paas rote hue ajata he.

Baccha: Kaka.... Kaka aap Maa ko utarte kyu nahi? Kaka.... Kuch boliye na..... Kaka Bauji kaha he?
Wo baccha Darasal or koi nahi, Deep, yani ke Rana tha. Wo Joshi Kaka se ped par bandhe apni Maa ko niche utarne ke liye keh raha tha, lekin Joshi bass apna sar jhukaye waha khada raha. Ped par latke log Rana ki Maa, or Gaon ke sabse izzatdar vyaktiyo me se ek Rehmat Ali the. Pure bhopal me Rehmat Ali ko bahot izzat di jati thi, unka swabhav unki baate yaha ke har logo ke dil me jagah banati thi, lekin aaj mahol bilkul ulta tha. Waha Rana ped par latki apni Maa ke per pakad kar ro raha tha. Or Rehmat Ali ki Biwi jo ke pet se thi, use logo ne pakad kar rok rakha tha. Uski halat bhi ro ro kar bilkul tut gayi thi.

In sabke bich waha khade ek aadmi, Shantilal Virani aage akar Rana ki Maa ke paas jane lagta he, lekin sablog unhe chillane lagte he, Shantilal mudkar ek nazar Joshi Kaka par dalte he, lekin Joshi unse apni nazar chura kar nichi kar lete he. Shantilal Rana ko pakad kar piche karne lagte he.

Shantilal: beta.... Beta ruko..... Kya kar rahe ho tum?
Rana: Mama Ji, Mama ji.... Maa ko niche utar dijiye na....
Wo Shantilal ke Haath apne hatho me thamkar kehta he.
Shantilal: beta me kya kar sakta hu? Ye sab to sirf tumhare Joshi Kaka hi kar sakte he.... Mere haath bandhe hue he beta....
Wo Rana ka chehra apne hatho me thamkar kehta he. Uski baat sunkar Rana daud kar jata he, or sidha Joshi Kaka ke pero me gir kar rone lagta he.
Rana: Kaka..... Aap Maa ko utarne ke liye kahiye na.... Meri Maa marr jayegi Kaka, Maa marr jayegi......
Wo Joshi Kaka ke pero me gid gidate hue keh raha tha, Joshi Rana ko apne pero se hata kar khud uske samne ghutno par beth jate he, or Rana ka chehra apne haatho me tham lete he.
Joshi: beta... Beta.... Me kuch nahi kar sakta.... Mujhe maaf kar dijiye....
Ye sab kehte hue unki aakho me dard, Chehre par Sharmindagi ye sab dikh raha tha, lekin Rana abhi ye sare hav bhav samajhne ke liye bahot chota tha.
Rana: kyu kuch nahi kar sakte? Aapki baat sablog mante he.... Fir aap kyu kuch nahi kar sakte.... kahiye na Kaka.....
Uski baat par Joshi ki nazar Rehmat Ali, or uski biwi par chali jati he. Or Joshi apni nazre jhuka lete he. Lekin tabhi waha sab log zor zor se chillane lagte he, kyu ke ped par latke dono logo ne apni jaan chhod di thi. Ek aadmi aage akar Rana ki Maa or Rehmat Ali ko niche utar deta he, jese unhe niche utara gaya, Rana or Rehmat Ali ki biwi waha daud padte he. Ye chotasa baccha Rana apni Maa ko jagane ki koshish kar raha tha, lekin Rehmat Ali ki biwi ko pata tha ke uska pati ab is duniya me nahi raha, isliye wo Rehmat Ali ke sine par sar rakh kar roye ja rahi thi.
Rana: Maa..... Maa utho na.... Maa apni aakhe kholo.... Maa.....
Wo apni Maa ka chehra haatho me thamkar use jagane ki koshish kar raha tha lekin Ab Rana ko bhi ehsas ho gaya ke uski Maa is duniya me nahi rahi. Or wo bhi apni Maa ke sine me sar rakh kar rone laga. Ab waha se sablog dhire dhire jane lage, waha is waqt sirf Rehmat Ali ki Biwi, Shantilal, Rana or Joshi the. Shantilal aage akar Rana ko sambhalne ki koshish kar raha tha, lekin Rana kisi ki sunn ne walo me se nahi tha. Ye dekh kar Joshi Kaka aage agaye, or Rana ko pakad kar piche kar diya, Rana bhi unse lipat kar rone laga.


Present:


Ye sab yaad kar ke Rana rone lagta he, barish ki wajah se uske aasu to chup gaye the, lekin wo dard, wo chot chup nahi sakti thi. Rana aage akar usi jagah beth gaya, jaha akhri baar usne apni Maa ko dekha tha. Rana us zameen par apne haath fer raha tha or roye ja raha tha, ye sochkar ke aaj bhi uske Maa ki aatma wahi par leti hui he.



Khair, puri raat waha guzarne ke baad jab Subah ka ujala dikhne laga, Rana gadi lekar kahi chala jata he. Dopeher ke waqt Rana ne Abdul ko call kar diya. Abdul is waqt Aksh ke saath mojud tha. Kuch zaruri baate karne ke baad Rana call cut karne laga lekin.....

Shahid: kya keh raha tha Rana?
Abdul: ab itna nuksan hua he, to kahi na kahi use bharna he na, to usi ke bare me baat chal rahi thi.....
Aksh: bhar le Rana, jitna ho sake apna nuksan bhar le.... Ek ke baad ek vaar karta jaunga tujhpar, jabtak ke tu khud mujhse apni Maut na maang le.....
Wo bahot hi gusse me apne daat piste hue kehta he.

Lekin waha gadbad ye ho gayi ke Abdul call cut karna bhul gaya, or Rana ne call cut karne ke liye mobile apne kaan se niche hi kiya tha ke use unki baate sunayi deti he. Or ye sab sunkar Rana sadme me chala jata he.

Rana: Abdul.......






Jab Abdul Aksh se milkar wapis laut raha tha, tabb use Rana ka call agaya, or usne Abdul ko jald se jald milne ke liye Bhopal ke bahar bula liya.


Der raat Abdul Rana ki batayi jagah par pahoch gaya, Rana ne use kamre me bitha kar ek box kholne ke liye de diya. Or khud uthkar uske piche khada ho gaya. Abdul ne jese hi box open kiya, usme se Rukhsar ki tasveer nikli, jo dekh kar Abdul charo khane chitt ho gaya. Lekin tabhi use ek or jhatka lagta he, jab use apne sir ke piche Gun point hone ka ehsas hua.


To Be Continued.......

To Guys Ye tha aaj ka Update, i know length zyada nahi he, lekin bass kuch bato ko focus karna tha is Update me. And next Update Chapter 3 ka last or dhamake dar Update hoga, then is kahani ke 4th Chapter "Frozen Romance" ki Shuruwat hogi. To saath bane rahe.

agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling 😊 😊
aksh aur shakshi ek dusre ki yaad mein tadap rahe hai par ye kaisi uljhan hai jo kisi ek v apne jaan se v jada pyare insan se milne se rok raha hai khair ye to bhawisya hi bataega lekin ek baat to tay hai ki aksh aur shakshi ki ka pyar ek dusre ke liye aur v gahra hote jaa raha hai idhar rana apne poorani yaado se jujh raha hai wo joshi ko apni maa ke maut ka jimmedar manta hai par kyo kya karan tha uske maa ke marne ka ye v janne ke liye hame intazar karna hoga idhar rana ko abdul ke bare mein para chal gaya hai ab dekhna hai aage kya hota hai great update bro🙏
 

Sanju

Well-Known Member
4,363
7,853
158
Mast update bhai ab akash ki bhi loss hoga ab tak rana ki right hand uski informer thi sayad ab nahi rahega dekhte hai aage aur rahmat aur rana ki ma ko fansi par latkaya kyu gaya tha ye kon batayega?
 
15,610
32,144
259
nice update ..aksh apne bachpan ke dino ko yaad kar raha tha ki kaise sakshi ne uske pith par danda maara aur jab wo ghaw dekha to rone lag gayi ..
dono ke bich ek ghehra pyar tha 😍..
sakshi bhi ab aksh ko dhundne ke liye qaatil se akele nipatna chahti hai bina kisi ko bataye ..

rana bhopal chala gaya jaha uski maa ko ped se latkakar maar diya tha logo ne aur joshi kaka ,aur virani kuch nahi kar paaye .
rana ke paas bhi badle ki wajah hai jisko nakara nahi jaa sakta ,
apni maa ko marte huye dekha hai rana ne bachpan me .

rana ne jab abdul ko call kiya to aksh ke saath tha abdul aur call cut karna bhul gaya ,itni gair jimmedarana harkat kaise kar di abdul ne aur usse rana ko unki baate sunayi di .
ab rana ne abdul ko akele me bulakar maarne ka plan bana liya aur abdul uske gunpoint saamne hai .
 

parkas

Well-Known Member
28,392
62,680
303
Chapter 3 - Qaatil

Update 8

Mega Update



Word Count: 3160
Estimated Reading Time: 00:15:00




Raat ke kareeb 2 baje hue the, or Aksh ki aakho ke samne sirf or sirf Sakshi ka chehra dikhayi de raha tha, jab bhi wo aakhe band kar ke sone ki koshish karta, bass Sakshi ki yaade use sata rahi thi.

"Dada..... Dada..... Dada uth bhi ja na ab.... Teri wajah se Hume ghumne jane me late ho jayega..... Dada....."
Yaha Sakshi subah subah chain se soye Aksh ki pith par beth kar use jagane ki koshish me lagi thi, lekin Aksh to sabkuch bhulkar ghode beche soya tha. Ab Sakshi ko bahot gussa ane laga tha, wo bhagte hue kamre se bahar agayi, or dusre kamre me rakha danda lekar firse apne kamre me agayi. Usne ek or baar Aksh ko uthne ka moka diya, lekin wo nahi mana. Ab Sakshi ne danda zor se Aksh ki pith me maar diya, jis se Aksh ki nind turant tut gayi. Wo dard me chillate hue bed par uthkar beth gaya, or samne Gusse me khadi Sakshi ko dekh liya.
Aksh: aye Chipkali..... Ye kya kar rahi he tu?
Sakshi: itni der se tujhe utha rahi hu lekin tu to uthne ka naam nahi le raha tha, Baba aaj hume ghumane le jane wale he.... Bhul gaya....
Wo bahot hi gusse me chillakar kehti he.
Aksh: to isme marne ki kya zarurat thi.... Chipkali.....
Uski baat sunkar Sakshi or zyada gussa ho gayi, or dande se Aksh ko marne ke liye aage badh gayi, lekin Aksh jaldi se us kamre se bahar bhaag jata he.

Aksh: Aai.... Baba..... Aai dekho ye ladki pagal ho gayi he.....
Wo bhagte hue bahar kaam kar rahi Radha ke piche chupte hue kehta he. Jese hi Radha ki nazar samne se gusse me arahi Sakshi par padi to wo bhi chok gayi.

Radha: Sakshi.... Kya kar rahi he tu?
Sakshi: Aai, ye bandar mujhe humesha chipkali bulata he.... Aaj is bandar ko dande se maar maar kar chup karwa dungi.....
Radha: accha? Beta wo danda bhi tujhse zyada lamba he.... Thik se pakad to sahi use.....
Wo Sakshi ka mazak banate hue kehti he. Jo sunkar Sakshi ko muh gusse se ful gaya. Wo danda wahi fek kar kamre me bhag gayi.
Radha: beta zyada waqt matt lagana, ghumne jana he na?
Wo Aksh ko apne samne lakar kehti he.
Aksh: Ho Aai.....
Fir Aksh kamre ke paas akar dhire se kamre me jhak kar dekhne lagta he. Jaha Sakshi gusse me bed par leti hui thi. Aksh dara sehma andar agaya.

Aksh: k.... Kya hua Sakshi.....
Sakshi: kuch nahi hua..... Bandar......
Wo kisi sher ki tarah dahadte hue kehti he. Aksh bhi us se kuch na kehne me hi apni bhalayi samajhta he. Radha ne akar use kapde nikal kar de diye. Or apna kaam karne chali gayi. Aksh ne jab apni t-shirt nikali tabb Sakshi ne dekha ke uski pith par nishan bann gaya he. Sakshi bed se uthkar Aksh ke piche akar khadi ho gayi, or uske nishan par apna haath fer diya, jis se Aksh ko thoda dard ho gaya, or wo Sakshi ki taraf mud gaya.
Sakshi: ye kya hua teri pith par Aksh.....
Aksh: huhhhh..... Khud dande se mujhe marti he, or fir puchti he ye kya hua..... Chipkali......
Itna kehkar wo aage bathroom ki taraf badh jata he, lekin ye sunkar Sakshi ki aakhe bhar ayi, Aksh ne jab mudkar use dekha to paya Sakshi rone lagg gayi he.
Aksh: are..... Tu rone kyu lagg gayi Sakshi?
Wo aage akar apne chote chote haatho se Sakshi ke aasu saaf karte hue kehta he.
Sakshi: tujhe meri wajah se chott lagg gayi na.....
Aksh: are me to bilkul thik hu.... Dekh, me kaha ro raha hu?
Sakshi: to fir teri pith par chot ka Nishan kese aya?
Aksh: are wo to.... Ahhh... Wo.... Ab tu ye sab chhod na, hume ghumne bhi jana he na?
Wo baat ko sambhalte hue kehta he, ab Sakshi bhi apna rona band kar ke muskurane lagg gayi. Aksh wapis bathroom me jane laga, lekin tabhi Sakshi ne aage akar use piche se hi rok diya. Or Aksh ki chot par halke se chum liya.
Aksh: kya kar rahi he Sakshi?
Wo Piche mudkar Sakshi se pichta he.
Sakshi: are Bavlat..... Chot par aise karne se dard gayab ho jata he....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he.


Pata nahi kyu lekin ye sari yaade Aksh ka chain chine ja rahi thi, Aksh gusse me upar chatt par agaya, or waha akar kafi gusse me apna workout karne lagg gaya. Kuch der baad Shahid aise hi upar chala ata he, or usne Aksh ko dekhte hi samajh liya ke wo kafi frustrated he.

Shahid: Aksh..... Itni raat ko yaha kya kar rahe ho?
Wo Aksh ke piche khada hokar puchta he, lekin Aksh uski baat ka koi jawab nahi deta.
Shahid: waise Aksh..... Tum Sakshi kyu milna nahi chahte?
Uski baat sunkar Aksh ko or bhi zyada gussa agaya, usne gusse me Shahid ko ghura or firse niche jane laga. Lekin tabhi Shahid ne use rok liya.
Shahid: Aksh.... Kya baat he? Jis Sakshi ke liye tum mujhe jaan se marne ke liye tayar the.... Aaj usi Sakshi ka naam sunkar aakho me itna gussa? Kyu Aksh?
Aksh: tumhe ye sab jaan ne ki koi zarurat nahi he.... Mera hamdard bann ne koshish matt karo.... Mene pehli hi kaha tha, mujhe apna badla pura karne me kisi ki zarurat nahi he.... Na tumhari na Abdul ki....
Wo gusse me Shahid ko dhakka marte hue kehta he. Or waha se chala jata he. Shahid bhi uthkar niche chala gaya.

Wahi dusri taraf Sakshi ki aakho se bhi nind koso dur thi, wo bass baar baar karvate badal badal kar sone ki koshish me lagi thi. Lekin jab use nind nahi ati to wo Aksh ki tasveer apne haatho me lekar us se baate karne lagti he.

Sakshi (mann me): Aksh kya tu mujhe maaf karega? Kyu ke aaj jo kuch halaat he, uski zimmedari kahi na kahi me bhi hu.... Please Aksh, teri Sakshi ko maaf kar dena.... Jo kuch tune khoya he, wo mene bhi to khoya he na? Please maaf kar dena apni Sakshi ko please.......
Wo Aksh ki tasveer ko apne sine se lagaye ro ro kar apna mann halka kar rahi thi, or aise hi rote rote der raat uski aaakh lagg jati he.


Agle din sabkuch as it is ho raha tha, waha Shahid akela bethkar sari Guns saaf kar raha tha tabhi Aksh uske paas akar beth jata he, or Guns saaf karne me lagg jata he.

Aksh: Shahid, Mujhe.... Mujhe maaf karna.....
Wo Shahid se nazre milaye bina kehta he.
Shahid: maaf.... Kis baat ke liye maafi mang rahe ho?
Wo herani se Aksh ki taraf dekhte hue puchta he.
Aksh: wo.... Kal raat.... Kal raat mujhe....
Shahid: koi baat nahi Aksh.... Me to bhul bhi gaya us baat ko... Tum bhi bhul jao....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue uske kandhe par haath rakh kar kehta he.

Shahid: waise tumhe ek free ki salah zarur dena chahunga me...... Aksh kya he na, agar zindagi me apno ka saath na ho to zindagi kisi kaam ki nahi rehti... Tum jante ho me or Mamu jab kisi begunah ladke ladkiyo ko drugs ke nashe me dalkar use Rana ke hawale kar dete he, to hum Guilty feel nahi karte.... Ab to hum Shayad yaha se kabhi bahar bhi nahi apayenge..... Or iski wajah apno ke saath ki kami he.... Me tumhe bass yahi samjhana chahta hu ke tumhari zindagi me koi he, jiski saase tumhare liye hi chal rahi he... Or mano ya na mano, lekin tumhare dil me Sakshi ke liye aaj bhi utna hi pyaar, utni hi chinta he jitni pehle thi.... Bass tumhari aakho me uske liye thoda sa gussa he.... Me nahi janta ye gussa kyu he, lekin aap gussa bhi sirf us se ho sakte ho jis se pyaar karte ho.....

Itna kehkar Shahid saaf hui Guns uthkar dusre kamre me chala jata he. Lekin uski baato ne Aksh ko soch ne me majbur kar diya. Lekin Aksh ke sar par ye badle ki aag is kadar chadi hui thi ke use sirf apna Badla sabse upar lagg raha tha.


Ye to thi Aksh ki kahani, lekin yaha Rana subah subah apni saline wagairah nikal kat kamre ke bahar agaya, tabhi Abdul ne use dekh liya.

Abdul: Boss..... Aapne Saline kyu nikal di? Kuch chahiye tha to mujhe bata dete....
Rana: ha... Gadi ki chabi chahiye.....
Abdul: gadi? Kyu Boss?
Rana: Abdul, kuch waqt ke liye is shor sharabe se dur jana chahta hu.....
Abdul: lekin is halat me.....
Rana: Abdul.....
Wo Abdul ki baat bich me kaat te hue use chup kara deta he.
Rana: bass kuch baad Rana firse apne purane roop ke saath lautega.... Chabi do.....
Uski baat par Abdul gadi ki chabi Rana ko de deta he. Rana bhi turant waha se nikal gaya. Abdul bilkul heran tha, ke Aksh ke karnamo ne Rana ko is kadar tod diya he.

Khair, sabki dopehar bilkul shanti me guzar rahi thi, waha Sakshi bass soch rahi thi, ke Qaatil takk kese pahocha jaye, kyu ke ab use ye kaam akele karna tha, kyu ke Anant ne koi bhi thos kadam uthane se pehle Uski raay lene ke liye kaha tha, or agar Sakshi is waqt Qaatil ke bate me kuch kehti to Anant use kuch bhi karne se mana kar deta.

Raat ko Abdul bhi Aksh se milne agaya tha, is waqt Aksh, Abdul or Shahid chatt par bethe hue the, or baki tino kuch zaruri saman lene ke liye bahar gaye hue the.

Abdul: waise Aksh, tumne bahot buri tarah se tod diya Rana ko.....
Aksh: ye to bass Shuruwat he, itni battar maut dunga use, ki usne kabhi sapne me bhi nahi socha hoga.....
Abdul: lekin ek dikkat he....
Uski baat sunkar Aksh Abdul ko ek takk dekhne lagta he.
Abdul: Rana kahi chala gaya he....
Aksh: chala gaya? Kaha Chala gaya?
Abdul: wo to nahi pata.... Lekin yaad rakhna Aksh, wo jab bhi wapsi karega, to keher Mach sakta he....
Aksh: bahot se keher dekh chuka hu me zindagi me..... Apne pariwar ko aakho ke samne marta dekhne se bada keher koi nahi hota.... To ye Rana kya kar lega ab mera?

Kuch der takk sab bass aise hi bethe rahe, tabhi Aksh Abdul se sawal puchna chahta tha.

Aksh: tumne mujhe Rana ke atit ke bare me kuch kyu nahi bataya.....
Uske sidhe sawal se Abdul ko laga kahi Aksh ko Rana ke atit ke bare me pata chal gaya ho.
Abdul: kesa Atit Aksh.... me Rana ke atit ke bare me kuch nahi janta.....
Aksh: aisa kyu? Agar Rana ki choti se choti baat tum jante ho to fir ye sab........
Abdul: Aksh, Mera or Rana ka koi khun ka rishta nahi he, jo wo apne sare dukh dard mujhse baate.....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kafi Sakht lehze me kehta he. Fir kuch der ke liye waha aise hi sannata cha gaya. Waha mojud har insan ke dimag me apne apne plan chal rahe the. Kuch der baad Abdul bhi waha se nikal gaya.


12 ghante ke safar ke baad Rana Bhopal pahoch gaya tha, usne gadi aisi jagah le li, jo ek khadi ki tarah thi. Waha dur dur takk koi insan mojud nahi tha. Thodi der ki drive ke baad Rana ek ped ke samne pahoch gaya. Rana ne jese hi gadi roki, waha zor dar barish shuru ho gayi. Rana door open kar ke gadi ke bahar akar khada ho gaya. Kuch hi Seconds me Rana puri tarah se bhig chuka tha, or tabhi waha zordar bijli kadakti he, jis se wo ilaka kuch Seconds ke liye saaf saaf nazar ane laga tha, or tabhi Rana ko wo ped ke paas ka kissa yaad agaya.


Flashback:


Year 1982 Bhopal, India.



Raat ke ghane andhere me tez barasti barish ke bich, gaon ke log is ped ke samne haatho me lantern liye khade the. Waha 2 logo ko ped se latkaya hua tha, kuch log ye dekh kar khush the, or latkaye gaye logo ke pariwar wale gid gida kar unki jaan Baksh dene ki bhik maang rahe the. Tabhi ek baccha samne khade aadmi ke paas rote hue ajata he.

Baccha: Kaka.... Kaka aap Maa ko utarte kyu nahi? Kaka.... Kuch boliye na..... Kaka Bauji kaha he?
Wo baccha Darasal or koi nahi, Deep, yani ke Rana tha. Wo Joshi Kaka se ped par bandhe apni Maa ko niche utarne ke liye keh raha tha, lekin Joshi bass apna sar jhukaye waha khada raha. Ped par latke log Rana ki Maa, or Gaon ke sabse izzatdar vyaktiyo me se ek Rehmat Ali the. Pure bhopal me Rehmat Ali ko bahot izzat di jati thi, unka swabhav unki baate yaha ke har logo ke dil me jagah banati thi, lekin aaj mahol bilkul ulta tha. Waha Rana ped par latki apni Maa ke per pakad kar ro raha tha. Or Rehmat Ali ki Biwi jo ke pet se thi, use logo ne pakad kar rok rakha tha. Uski halat bhi ro ro kar bilkul tut gayi thi.

In sabke bich waha khade ek aadmi, Shantilal Virani aage akar Rana ki Maa ke paas jane lagta he, lekin sablog unhe chillane lagte he, Shantilal mudkar ek nazar Joshi Kaka par dalte he, lekin Joshi unse apni nazar chura kar nichi kar lete he. Shantilal Rana ko pakad kar piche karne lagte he.

Shantilal: beta.... Beta ruko..... Kya kar rahe ho tum?
Rana: Mama Ji, Mama ji.... Maa ko niche utar dijiye na....
Wo Shantilal ke Haath apne hatho me thamkar kehta he.
Shantilal: beta me kya kar sakta hu? Ye sab to sirf tumhare Joshi Kaka hi kar sakte he.... Mere haath bandhe hue he beta....
Wo Rana ka chehra apne hatho me thamkar kehta he. Uski baat sunkar Rana daud kar jata he, or sidha Joshi Kaka ke pero me gir kar rone lagta he.
Rana: Kaka..... Aap Maa ko utarne ke liye kahiye na.... Meri Maa marr jayegi Kaka, Maa marr jayegi......
Wo Joshi Kaka ke pero me gid gidate hue keh raha tha, Joshi Rana ko apne pero se hata kar khud uske samne ghutno par beth jate he, or Rana ka chehra apne haatho me tham lete he.
Joshi: beta... Beta.... Me kuch nahi kar sakta.... Mujhe maaf kar dijiye....
Ye sab kehte hue unki aakho me dard, Chehre par Sharmindagi ye sab dikh raha tha, lekin Rana abhi ye sare hav bhav samajhne ke liye bahot chota tha.
Rana: kyu kuch nahi kar sakte? Aapki baat sablog mante he.... Fir aap kyu kuch nahi kar sakte.... kahiye na Kaka.....
Uski baat par Joshi ki nazar Rehmat Ali, or uski biwi par chali jati he. Or Joshi apni nazre jhuka lete he. Lekin tabhi waha sab log zor zor se chillane lagte he, kyu ke ped par latke dono logo ne apni jaan chhod di thi. Ek aadmi aage akar Rana ki Maa or Rehmat Ali ko niche utar deta he, jese unhe niche utara gaya, Rana or Rehmat Ali ki biwi waha daud padte he. Ye chotasa baccha Rana apni Maa ko jagane ki koshish kar raha tha, lekin Rehmat Ali ki biwi ko pata tha ke uska pati ab is duniya me nahi raha, isliye wo Rehmat Ali ke sine par sar rakh kar roye ja rahi thi.
Rana: Maa..... Maa utho na.... Maa apni aakhe kholo.... Maa.....
Wo apni Maa ka chehra haatho me thamkar use jagane ki koshish kar raha tha lekin Ab Rana ko bhi ehsas ho gaya ke uski Maa is duniya me nahi rahi. Or wo bhi apni Maa ke sine me sar rakh kar rone laga. Ab waha se sablog dhire dhire jane lage, waha is waqt sirf Rehmat Ali ki Biwi, Shantilal, Rana or Joshi the. Shantilal aage akar Rana ko sambhalne ki koshish kar raha tha, lekin Rana kisi ki sunn ne walo me se nahi tha. Ye dekh kar Joshi Kaka aage agaye, or Rana ko pakad kar piche kar diya, Rana bhi unse lipat kar rone laga.


Present:


Ye sab yaad kar ke Rana rone lagta he, barish ki wajah se uske aasu to chup gaye the, lekin wo dard, wo chot chup nahi sakti thi. Rana aage akar usi jagah beth gaya, jaha akhri baar usne apni Maa ko dekha tha. Rana us zameen par apne haath fer raha tha or roye ja raha tha, ye sochkar ke aaj bhi uske Maa ki aatma wahi par leti hui he.



Khair, puri raat waha guzarne ke baad jab Subah ka ujala dikhne laga, Rana gadi lekar kahi chala jata he. Dopeher ke waqt Rana ne Abdul ko call kar diya. Abdul is waqt Aksh ke saath mojud tha. Kuch zaruri baate karne ke baad Rana call cut karne laga lekin.....

Shahid: kya keh raha tha Rana?
Abdul: ab itna nuksan hua he, to kahi na kahi use bharna he na, to usi ke bare me baat chal rahi thi.....
Aksh: bhar le Rana, jitna ho sake apna nuksan bhar le.... Ek ke baad ek vaar karta jaunga tujhpar, jabtak ke tu khud mujhse apni Maut na maang le.....
Wo bahot hi gusse me apne daat piste hue kehta he.

Lekin waha gadbad ye ho gayi ke Abdul call cut karna bhul gaya, or Rana ne call cut karne ke liye mobile apne kaan se niche hi kiya tha ke use unki baate sunayi deti he. Or ye sab sunkar Rana sadme me chala jata he.

Rana: Abdul.......






Jab Abdul Aksh se milkar wapis laut raha tha, tabb use Rana ka call agaya, or usne Abdul ko jald se jald milne ke liye Bhopal ke bahar bula liya.


Der raat Abdul Rana ki batayi jagah par pahoch gaya, Rana ne use kamre me bitha kar ek box kholne ke liye de diya. Or khud uthkar uske piche khada ho gaya. Abdul ne jese hi box open kiya, usme se Rukhsar ki tasveer nikli, jo dekh kar Abdul charo khane chitt ho gaya. Lekin tabhi use ek or jhatka lagta he, jab use apne sir ke piche Gun point hone ka ehsas hua.


To Be Continued.......

To Guys Ye tha aaj ka Update, i know length zyada nahi he, lekin bass kuch bato ko focus karna tha is Update me. And next Update Chapter 3 ka last or dhamake dar Update hoga, then is kahani ke 4th Chapter "Frozen Romance" ki Shuruwat hogi. To saath bane rahe.

agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling 😊 😊
Bahut hi shaandar update diya hai bhai..
Nice and awesome update..
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,685
29,072
218
Chapter 3 - Qaatil

Update 3


Word Count: 2315
Estimated Reading Time: 00:12:00


Raat ke kareeb 2 baje hue the, ek taraf Aksh itni raat ko bhi apni exercise kar raha tha, wahi dusri taraf Rana apne kamre me bethkar sharab ki ek ke baad ek bottle khali kiye ja raha tha.


Rana (mann me): Aksh..... galati kar di tune, agar ye galati na karta, to itni battar maut nahi deta tujhe, jo jald hi tujhe milne wali he... Bass tu, or teri behen bachi he, uske baad sara hisab chukta ho jayega....

Rana is waqt bahot zyada gusse me tha, Rana ne uthkar apne drawer se ek tasveer nikal li, jise dekh kar Rana ki aakhe khun si laal ho gayi.

Rana: Joshi Kaka..... Apne bete or bahu se to mil liye na? Ab jald hi aapki jama punji, Aksh or Sakshi bhi aapke paas ajayenge, fir sab chain se jina saath milkar....

Wo Joshi Kaka ki tasveer ko mutthi me dubate hue kehta he. Or firse sharan ki bottle khali karne me lagg jata he.

Waha in sab se bekhabar Sakshi subah subah jaag gayi, or ghar ka kuch kaam nipta kar subah 7 baje ke kareeb Anant ki batayi jagah par pahoch gayi. Waha use Sana or Neel pehle se mojud mil gaye.

Sana: Good Morning Sakshi..... To training ke liye tayar?
Sakshi: bilkul....
Neel: okay... So Gun chalani aati he?
Sakshi: ha.... Thodi bahot handle kar leti hu....
Darasal Aksh ne use pehle hi apni safety ke liye Gun chalana sikha diya tha.
Neel: Good....
Fir Sakshi ki Training shuru ho gayi, is waqt Sana or Neel ko Sakshi ki Physical Training par zyada dhyan dena tha, isliye wo Sakshi se kadi Training karane lagte he. Sakshi bass kuch hi der me thakan se chakna chur ho gayi, lekin Aksh ke khayal ne use firse uthne par majbur kar diya. Sakshi ka ye jazba dekh kar Neel or Sana samajh gaye ke Sakshi asani se haar nahi manegi.

Khair, Sakshi ki Training 3 ghante takk bina ruke chalti rahi, or Break me Anant bhi waha achuka tha.

Anant: so... How's Going?
Sana: Sir Better than expected.... agar isi tarah chalta raha to Sakshi jald hi tayar ho kar Field par ja sakti he.
Anant: very Good.....

Anant Sakshi ki Training dekh kar kafi khush ho gaya, kyu ke usne jitna Expect kiya tha, Sakshi ne us se kayi zyada accha kar dikhaya. Anant bhi pura din wahi rehkar Sakshi ki training par nazar rakh raha tha.

Wahi Rana ne Abdul or Bakshi (Rana ka dusra paltu) ko apne kamre me bula liya.

Rana: Bakshi..... Ye chamiya tumhara agla target he....
Wo Sakshi ki tasveer Bakshi ke samne table par fekte hue kehta he. Jise dekh kar Abdul pareshan ho gaya.
Bakshi: thik he Boss..... battar maut dunga ise....
Rana: nahi.... Tu nahi.... Me dunga ise Maut.... Tu bass ise mere samne le kar aja....
Abdul: B..... Boss.... Ye... Ye kaam me kar dunga....
Rana: nahi Abdul, tumhara pura dhyan is waqt Aksh par hona chahiye.... Is kaam ko Bakshi karega.
Abdul: thik he Boss...
Rana: or ha Bakshi..... Ise bilkul takleef nahi honi chahiye.... Samjh gaye....
Wo haiwaniyat bhari nazro se kehta he.
Bakshi: me samajh gaya Boss aap kya kehna chahte he....
Wo muskurate hue jawab de kar waha se chala gaya.
Rana: Abdul is baar Aksh ko dhund ne me koi laparwahi nahi honi chahiye....
Abdul: me use jald se jald pakadne ki puri koshish karunga Boss....

Fir Abdul bhi waha se nikal kar kahi chala jata he.
Dusri taraf Aksh us Jungle me bane ek laute ghar ki chatt par apna shirt nikal kar kadi exercise kar raha tha, Aksh apna din Zyadatar Exercise me hi lag raha tha, or tabhi waha Abdul agaya. Use dekh Aksh apni Exercise rok kar Abdul ke samne khada ho gaya.

Abdul: bahot bada jhatka de diya Aksh tumne Rana ko.... Kal raat se wo apne kamre me hi pada tha....
Aksh: ye to bass Shuruwat thi.... Aage jo karunga, usko Rana ne kabhi sapne me bhi nahi socha hoga.....
Wo aage akar Abdul ki taraf pith kar ke kafi gusse me kehta he.
Abdul: Aksh Rana ka agla nishana Sakshi he.....
Uski baat sunkar Aksh ki aakhe gusse me laal ho chuki thi, Aksh bina kuch kahe tezi me waha se jane lagta he, lekin tabhi Abdul ne use rok liya.
Abdul: kaha ja rahe ho?
Aksh: Rana ko kya lagta he, Wo S...... S.. Sakshi ko nuksan pahocha payega.... To uski galat fehmi dur karne ja raha hu....
Wo Abdul se apna haath chhuda kar aage badhte hue kehta he.
Abdul: ruko Aksh..... Sakshi ko kuch nahi hoga.... Ye meri zimmedari he....
Uski baat sunkar Aksh wahi ruk jata he.
Rana: or waise bhi, Sakshi ne firse Surat ane ki galati kar di he....
Sakshi ki Surat me hone ki baat sunkar Aksh ko jhatka lagg gaya.
Aksh: kya? Wo.... Wo yaha kyu?
Abdul: wo to nahi pata...... Lekin is waqt wo tumhare usi ghar me reh rahi he....
Ab ye sari baate sunkar Aksh ka dimag kaam karna band kar gaya.
Aksh: to ab aage....
Abdul: tum chinta matt karo.... Sakshi par me dhyan rakhunga, tum bass apne lakshya par dhyan do....
Uski baat par Aksh bass apna sar haa me hila deta he.
Rana: waise Aksh, aage ka safar or bhi chunotiyo se bhara hone wala he.... Isliye me tumhari har pal madat ke liye kisi ko.....
Aksh: mujhe kisi ki zarurat nahi he.... Tumhari bhi nahi, me akele hi apna badla pura kar sakta hu.....
Wo gusse me Abdul ke nazdeek akar uski aakho me aakhe dalkar kehta he.
Abdul: nahi kar paoge.... Akele kuch nahi kar paoge, Aksh Rana koi rah chalta gunda nahi he... Isliye behtar hoga ke tum meri baat maan jao.... isi me hum dono ki bhalayi he...... Me sham ko unhe le kar ajaunga.....
Or itna kehkar Abdul waha se chala jata he

Shaam ke 6 baje hue the, waha Training Camp me Sakshi ka aaj ka din pura ho chuka tha. Anant ne Sakshi ko Aksh ki car wapis lakar de di, Anant janbujh kar Sakshi ko yaad dila raha tha ke use Aksh ko begunah sabit karna he. Sakshi ka bhi dhyan Aksh ki sari chize dekh kar bilkul dugmaga nahi sakta tha.

Khair, Sakshi ne Car chalana Banglore me rehte hi sikh li thi. Or is waqt wo Aksh ki car se hi ghar laut ayi. Pure din ki thakan ki wajah se Sakshi turant Aksh ke kamre me uske bed par let jati he. Lekin Aksh ki yaade use bilkul akela nahi chhod rahi thi. Or is waqt Sakshi ko apne or Aksh ke wo Khubsurat lamhe yaad ane lage.

Wahi Aksh bhi pure din exercise kar ke thakk chuka tha, or isliye wo akar bed par let gaya, lekin uski aakho me Sakshi or uske saath bitaye Khubsurat pal samne ane lage, or tajjub ki baat ye thi ke Aksh or Sakshi, dono is waqt ek hi pal yaad kar rahe the

"Mumbai me sakht garmi padi hu thi, Sakshi ghar ki chatt par sukhe kapde jama karne me lagi thi, din bhar kaam karne se Sakshi pehle hi thakk chuki thi, usme Mumbai ki taptapati garmi se Sakshi pasine se tar badar ho gayi thi. Usi waqt Aksh Sakshi ko dhund te hue upar agaya.

Aksh: yaar tu kaam kar ke thakk nahi jati?
Wo Aage akar Sakshi ki madat karte hue kehta he.
Sakshi: ghat ke kaam karne me konsi thakan hone lagi?
Aksh: accha to fir ye pasine se bhig kyu gayi?
Wo Sakshi ke dupatte se uske chere se pasina saaf karte hue kehta he, or kapdo ki tokri lekar aage badh jata he.
Sakshi: are Aksh.... Rehne de, me kar rahi hu na....
Wo Aksh ko rokte hue kehti he.
Aksh: chup kar tu.... Or niche ja kar tayar ho ja....
Sakshi: tayar ho jau? Kis liye?
Aksh: bahar jana he... Or kis liye....
Sakshi: bahar? Nahi is waqt nahi ja sakte.... Mujhe abhi khana bhi banana he....
Aksh: wo to Aai ne banana shuru kar bhi diya....
Sakshi: kya? Aai bhi na, mene kaha tha me bana rahi hu khana.....
Wo narazgi me kehte hue niche jane lagti he, lekin tabhi Aksh uska haath pakd kar use rok deta he.
Aksh: are banane de na Aai ko khana, waise bhi kaha tu Aai ko kaam karne ka moka deti he?
Sakshi: are lekin.....
Aksh: karne de na Aai ko kuch kaam.... Pata chala Aai aalsi or moti bann gayi.....
Sakshi: Bavlat.... Kuch bhi bolta he....
Aksh ki baat par Sakshi use marte hue kehti he.
Aksh: ab chal ja jaldi tayar ho ja....
Fir Sakshi apne kamre me ja kar fresh ho gayi, or Aksh ke saath uski Bike par chal padi.

Kuch der baad Aksh Sakshi ko usi Gole wale ke paas le ata he jaha wo dono bachpan me School se ate waqt gola khate the. Ye jagah dekh Sakshi to bilkul khush ho gayi. Dono wahi ped ke niche bethkar Gole ki chuskiya le rahe the, lekin Aksh ki nazre bass Sakshi par hi tiki hui thi. Sakshi ne Aksh ko apni taraf ghurte hue dekh liya.
Sakshi: kya dekh raha he? Gola kha, warna pighal jayega...
Aksh: dekh raha tha ke itne saalo baad bhi teri Gole ke liye ye khushi, ye hasi badli hi nahi.... Aaj bhi chehre par bachpan jesi wo pyari hasi mojud he....
Wo Sakshi ki aakho me dekhte hue bade hi pyaar se kehta he, lekin uski baat sunkar Sakshi sharma gayi."

Lekin ye Sab yaad kar ke Sakshi kafi bhavuk ho gayi. Or uski aakho ne asu bahana shuru kar diya.

Sakshi: kitne khush the hum pehle.... Sab meri galati he, Aksh se pyaar kar bethne ki galati. Agar me apne aap ko kabu me kar pati to shayad.... Shayad Aksh, me Aai Baba sab khushi khushi apni zindagi guzar rahe hote... lekin me.... Me bass apni zindagi ke bare me sochne lagi thi, bhagwaan bhi mujhe maaf nahi karenge... Or shayad usi ki saza bhi mujhe mil gayi...

Yaha Sakshi ilzam apne upar lete hue apne aap ko kose ja rahi thi, or waha Aksh ko in sab khayalo se bahar darwaza khat khatane ki awaz laya. Aksh hosh me akar apne aap ko sambhal kar uth gaya, or Gun le kar Darwaza khola to samne Abdul or Shahid tha. Shahid ko waha dekh kar Aksh ko kafi gussa araha tha.

Aksh: ye.... Ye yaha kya kar raha he?
Wo gusse me Abdul se puchta he. Abdul Aksh ko pehle Andar le jata he.
Abdul: ye mera Bhanja he.... Shahid. Or ab se Shahid tumhara saath dega.....
Aksh: bilkul nahi..... Iska saath? Mera bass chale to me ise abhi....
Ye kehte hue Aksh ne kafi gusse me Shahid par Gun Point kar di. Lekin Abdul ne use rok liya.
Abdul: dekho Aksh.... Purani baato ko bhul jao, sach to ye tha ke Shahid ko tumhare or Sakshi ke bare me kuch nahi pata tha, jis din Shahid ne mujhe Sakshi ke saath kiye bartav ke bare me bataya tha, usdin pehli baar mene ispar haath uthaya.
Uski baat sunkar Aksh apni Gun ko table par rakh deta he.
Abdul: ab me nikalta hu, kal kuch or logo ko lekar aaunga....
Fir Abdul waha se chala jata he. Aksh ko Shahid ka apne saath kaam karna bilkul pasand nahi aya tha. Lekin ab use bhi to Abdul ka saath chahiye tha, isliye wo bhi chup raha, or apne kamre me chala gaya. Shahid uske piche hi uske kamre me agaya.

Shahid: dekho Aksh.... Me tumse firse us din ke liye maafi mangta hu.
Wo Aksh ke aage khade hokar apne haath jodte hue kehta he, fir Aksh bhi samajh gaya, or usne Shahid ke haath niche kar diye.
Shahid: Aksh, me janta hu ke tum mujhe ghatiya insan samajhte ho, jo kaam me or Mamu karte he, wo bahot galat he. Begunah logo ko is drugs ki adat lagana, kisi Maa Baap se uski santan chin lena... Lekin hum Rana ke marne takk ye kaam nahi chhod sakte, ab ise tum majburi samjho ya kuch or....
Aksh: aisi baat nahi he.... Me sab Samjhta hu, Rana ko bass apna kaam pura hota hua dikhna chahiye. Warna to wo na hi Abdul ko maaf karega, na hi kisi or ko....
Shahid: sahi kaha... Or Bhagwaan ne ye sab rokne ke liye hi tumhe chuna he...
Wo Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehta he. Kuch der takk Shahid or Aksh aage kya or kese karna he is bare me baate karne lage, or dono ja kar aram karne lage, lekin kuch der ke aram ke baad Aksh uthkar firse apni Exercise karne laga.

Waha Abdul ne Bakshi se Contact banaye rakha tha, use Bakshi ke har kadam ki jankari thi, isliye wo Sakshi ko lekar zyada chintit nahi tha.

Khair, Agle din sabki zindagi ka ek or naya din shuru ho gaya. Waha Sakshi apni Training me lagg gayi. Abdul ne Aksh ke liye 3 or log bulwa liye the, jinke Nickname the Jack, Steph or Karl. Or aaj Aksh un sabke saath bethkar ek planning kar rah tha.

Aksh: aaj raat me ek or khel ke liye sab tayar rehna. Rana ko har pal meri mojudgi ka Ehsaas dilana he.....

To Be Continued.....

To bass yahi tha aaj ke Update me, is Update ko chota rakhne ka karan tha ke kuch chize thi jise Short Summary ki tarah pesh kiya jaye, kyu ke agla Update apne khudke Context me chale. Jald hi milta hu agle Update ke saath.


Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
बेहद ही शानदार व जबरदस्त भाग बन्धु.
खूब लिखा आपने.
 

Guri006

Back door 🚪 Secrets
4,209
12,871
143
keep writing ✍
 
Top