If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
IncestLAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER](Completed)
Aaj ka din har students ke liye bahot hi bhari din hota he, kyu ke aaj 10th ke results ane the, Sakshi or Aksh ke bhi aaj haal bura tha, Ek Taraf Sakshi soch rahi thi ke use kitne percentage milenge, wahi Aksh to soch raha tha ke wo pass bhi hoga ya nahi....
Sakshi or Aksh is waqt Aksh ke kamre me the.
Sakshi: mujhe bahot hi darr lag raha he Aksh.... Kitne percentage milenge mujhe?
Wo kamre me yaha se waha chakkar lagate hue Aksh se puchti he.
Aksh: ye sahi he..... tujhe percentage ki chinta ho rahi he, yaha pe mere pass hone ke Chance nahi he....
Sakshi: pura saal to kehti rahi na me tujhse padh le padh le... Lekin nahi... Baat kaha manega tu?
Wo Aksh ke samne gusse me apne kamar pe dono haath rakh kar kehti he.
Aksh: ab chhod bhi ye baat.... Or waise bhi mene soch liya he ke me ab aage padhai nahi karne wala...
Or wo uthkar samne ki table ki taraf chala jata he or table par rakhi bahot si books me se ek book nikal kar use padhne lagta he. Ab yaha Aksh ko padhai me bilkul mann nahi lagta tha, lekin use Self Development, Inspirational, Spiritual Books padhna pasand tha.
Uski baat sunkar Sakshi heran si reh jati he.
Sakshi: mere samne bol diya tune wo thik he, galati se Aai Baba ke samne mat bol dena.. bewajah pitt jayega nahi to tu...
Aksh: to usme konsi badi baat he.... Zindagi to waise bhi pitt hi rahi he, Aai Baba bhi haath saaf kar lenge....
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh tu kyu aisi baate karta rehta he?
Wo aage badhkar Aksh ke kandhe par haath rakh kar kehti he.
Aksh: yaar mera bilkul mann nahi karta padhai karne ka.... Ghutan si hoti he mujhe school ki kitabe padhne se....
Wo apne haath me jo book thi use table par rakh kar badi hi frustration me akar kehta he.
Sakshi: accha? To ye kitabe to kitni shok se padhta he tu....
Aksh: in dono kitabo me zameen asmaan ka fark he Sakshi.... Teri wali kitabe sirf or sirf padhai tak hi simit he, lekin ye... Ye wali kitabe zindagi ke daav pej sikhati he....
Sakshi: Deva.... Tu or teri baate....
Wo apne mathe par haath marte hue kehti he.
Sakshi: ab ye sab chhod or college me to acche se padhai kar lena...
Aksh: dekhte he....
Or aise hi kuch der tak dono wahi bethe rahe, kuch der baad Results ka time ho gaya tha, sab log bahar hall me jama the, Sakshi apni sari details daal kar page load hone ka intezar apne haath jodkar kar rahi thi, jese hi page load hua, to sabke chehre par khushi ajati he, wajah sirf ye nahi thi ke wo pass ho gati, balki use 94% mile the. Aksh bhi uske liye bahot khush tha lekin ab baari Aksh ki hi thi, jese hi Page load hota he to sabke chehre par jo khushi thi wo ek pal me hawa ho jati he or sab kafi nirash se khade the. Darasal Aksh pass to ho gaya tha lekin use sirf 38% mile hue the.
Santosh: Are.... Tum sab udaas kyu ho gaye? Bhai sahab ne passing mark se pure 3% zyada number laye he...
Wo Aksh ko taana marte hue kehta he.
Sakshi: Baba....
Santosh: Bolu De Mala (Mujhe bolne Do)
Wo Sakshi ko haath dikhate hue kehta he. Jis se Sakshi bhi chup ho jati he. Aksh to bas apna sar jhukaye khada tha, or Santosh uske paas ajata he.
Santosh: Pata nahi konsi konsi kitabe padhta rehta he din bhar.... Beta agar thodi si padhai kar li hoti to kam se kam muh dikhane layak number to ajate tere.....
Aksh: Baba ye School wali kitabe to bas insaan ko khacchar bann na sikhati he, bas ye sikhati he ke ek accha khacchar kese bane... Me jo kitabe padhta hu na wo ye samjhati he ke in khaccharo ki race se alag kese ho...
Wo Santosh ki akho me akhe dale bina dare apni baat samne rakhta he.
Santosh: jin logo ki kitabe padhta he na tu... Wo bass kahaniya he, asli Zindagi nahi....
Aksh: sahi kaha aapne... Or wahi log ye bhi batate he ke apni khud ki kahani kese likhe....
Santosh: beta is kahani ko chalaye rakhne ke liye society ke saath chalna hota he.... Warna use log Pagal ghoshit kar dete he.
Aksh: huhhh... Society.... Baba jab me is society par nazar dalta hu na, to mujhe apne charo taraf jhut dikhta he, sab nakli he, sablog acting karte he, ek natak chal raha he, ek script he jo kayi saal pehle koi likh kar chala gaya, wo darr ki script, wo maze marne ki script, sirf paise ke piche bhagne ki script... Or jab me unki script ke hisab se nahi chalta to ye log mujhe Pagal kehte he, me inki script ke hisab ss nahi chalunga, meri kahani, meri script me khud likhunga....
Santosh: huhh.... Pagal ho gaya he tu....
Wo apni gardan ko hilate hue kehta he.
Aksh: haha.... Ek junoon he, ek sukoon he, ek Ishq he, ek Muhabbat he... Jise aap sab pagalpan keh rahe ho, or sirf aap hi nahi agar ye puri duniya ke 700crore log akar bhi mujhe kahenge na ke tu pagal ho gaya he, me fir bhi apne Pagal pan ko khatam nahi hone dunga...
Is baar Santosh ko bahot gussa ajata he, lekin Aksh us se ek or aisi baat karne wala tha jis se Shayad Santosh apna aapa kho bethe...
Aksh: or waise bhi mene soch liya he ke mujhe ab padhai nahi karni.....
Uski baat sunte hi Santosh use kas kar thappad laga deta he, aaj pehli baar ye din agaya tha jab Santosh ko apne baccho par haath uthana pada.
Uske thappad marte hi Radha aage akar Santosh ko rok deti he or use thoda piche karti he, Aksh apna sar jhukaye khada tha Sakshi uske paas akar Aksh ka haath tham leti he.
Santosh: Suna..... Suna kya keh raha he ye? Padhai nahi karni? To kya karna he tujhe? Bata?
Wo bahot hi gusse me unchi awaz me Aksh se puchta he.
Radha: aap shant ho jayiye....
Santosh: are kese shant ho jau? Kese? Aye din ye ladka bigadne laga he....
Radha: aap chup ho jayiye me samjhati hu use.... Aap chaliye andar...
Fir Wo Santosh ko andar kamre me le jati he.
Sakshi: Aksh tujhe kaha tha na mene Aai Baba ke samne ye baat mat kar fir kyu tune meri baat nahi suni?
Aksh: jane bhi de na Sakshi.... Thappad hi to khaya he..
Wo ek Sarcastic hasi ke saath kehta he.
Sakshi: Aksh meri.....
Radha: Sakshi zara Pani le kar ana.....
Wo andar se hi Sakshi ko awaaz lagati he.
Sakshi: tu ja andar kamre me... Me bas abhi ayi....
Or wo kitchen se pani ka glass le kar Apne parents ke kamre me chali jati he. Lekin tabhi Aksh ghar ke bahar chala jata he.
Sakshi or Radha ne Santosh ko shant kar diya tha, fir Sakshi Aksh se baat karne ka sochti he, or kamre se bahar ajati he, lekin Aksh waha nahi tha to Sakshi uske kamre me dekhti he to Aksh waha bhi nahi tha. Ab Sakshi ke paas uska wait karne ke siwaye koi rasta nahi tha.
Yaha Aksh apne ghar se nikal kar Soham ke ghar chala jata he, waha Soham ki mummy ne door open kiya.
S. Mummy: are Aksh.... Aao andar ajao....
Wo Aksh ko ghar me bulate hue kehti he.
S. Mummy: to kitne percentage mile tumhe?
Aksh: kya Aunty aap bhi.... Ye puchna chahiye ke paas bhi hua ya fail... Aap to percentage par agayi....
Wo andar sofe par beth te hue kehta he.
S. Mummy: are aise kese.... Mera beta bahot hoshiyar he...
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehti he, tabhi Soham apne kamre se bahar ajata he.
Soham: or bata bhai.... Fail ho gaya?
Wo piche se akar Aksh ke khande par thapki marte hue puchta he.
Aksh: dekha Aunty... Ye hota he tarika puchne ka....
S. Mummy: bakwas mat kar... Kitne percentage mile wo bata...
Aksh: pure 38%
S. Mummy: ohhh... Koi baat nahi ab College me Dil laga kar padhai karna, thik he?
Aksh: dekhte he....
S. Mummy: tum betho me dono ke liye sharbat le kar ati hu.....
Or wo Kitchen me dono ke liye sharbat banane chali jati he.
Soham: yaar chal tension na le.... Games khelte he...
Aksh: me kyu tension lunga... Chal...
Or wo dono beth kar Games khelne lagte he.
Ghar pe sab log khana khane ke liye Aksh ka intezar kar rahe the. Lekin uska koi ata pata hi nahi tha.
Radha: Pata nahi kaha chala gaya ab ye ladka?
Sakshi: Aai, wo zarur Soham ke ghar gaya hoga... Tum call kar ke pucho na...
Radha: Sahi kaha.... Kabhi bata kar to jata nahi he ladka...
Wo kafi pareshani se kehti he, or Soham ke ghar pe call kar deti he.
Is waqt Soham ki Mummy kitchen me khana banane me lagi thi or Soham, Aksh hall me games khel rahe the, tabhi Soham dekhta he ke Radha ka call aya he.
Soham: Oye... Teri Aai ka call aya he.....
Aksh: are yaar..... Tu bolde ki me ghar ane ke liye nikal gaya hu...
Soham: me jhut kyu bolu bhai?
Aksh: accha?
Or itna kehkar Aksh ghar se bahar chala jata he.
Aksh: ab bata dena sach....
Soham: Are Aksh.... Abe sunn to....
Wo darwaze par ja kar Aksh ko awaaz lagate hue bolta he, lekin tabtak to Aksh dur nikal gaya tha. Soham call pick kar ke Radha ko bata deta he ke Aksh ghar chala gaya.
Yaha Aksh ghar jane ki bajaye dusre raste chal padta he, kuch der me hi wo ek Garage par pahoch jata he, jaha Ek aadmi car ki marammat kar raha tha.
Aksh: Salam Karim chcha.....
Karim: are Aksh.... Salam.. Salam.... Aja andar....
Wo piche Aksh ki taraf mudkar kehta he.
Karim: are aaj to tere Results the na? Kya hua?
Aksh: kya hona tha, pass ho gaya or Gift ke rup me Baba ka Thappad bhi mil gaya....
Wo andar akar ek car ke bonnet par beth the hue kehta he.
Karim: Thappad? Or wo kis liye?
Aksh: wo mene pure 38% marks laye is liye....
Karim: hmm... To tu Santosh se naraz ho kar ghar se chala aya?
Wo Aksh me paas akar uske kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: n... Nahi... To... Me kyu naraz hounga....
Wo Karim ke sawal ka hadbadate hue jawab deta he.
Karim: wahh... Dekh Aksh bhale hi humara koi khun ka rishta nahi he, lekin tereko bachpan se janta hu me...... Dekh Aksh... Santosh ki isme koi galati nahi he, are me janta hu na yaar usne kitni mehnat ki he bachpan se... Are wo to chahta he ke tu or Sakshi ek sukoon bhari zindagi jiyo.... Is liye wo kabhi kabhi Sakth ho jata he....
Aksh: Chacha me Baba se naraz nahi hu, me to apne aap se naraz hu, samajh hi nahi ata kya hoga aage... Apne sapno par kaam karu, lekin dusri taraf dekhta hu to ye duniya to kisi alag hi disha me dod rahi he....
Uski baat par Karim use halke se sar pe marta he.
Karim: abe tu itna bhi bada nahi hua he jo duniya or iski baate kare...
Aksh: kya chacha aap bhi... Kuch saal or nahi karunga is duniya ki baate, lekin parents to bachpan me hi apne baccho ko is chuho ki daud me daal dete he na.... Yahi se to Shuruwat hoti he in sab ki....
Wo Karim ki Akho me akhe daal kar kehta he.
Karim: yaar tu itni badi badi baate kar kese leta he be?
Wo Aksh ke paas se uthkar thoda aage ki taraf khade hote hue puchta he. Jis par Aksh halka sa muskura deta he.
Karim: dekh beta.... Padhai likhayi par dhyan de, or ek accha insaan bann...
Aksh: kyu chacha... Jo log padhe likhe nahi hote kya wo acche insaan nahi he.... Aap hi dekh lo.... Aapne kaha padhai ki he, lekin aap to kitne acche insaan ho....
Karim: are bhai tu rehne de.... Tere saath kabhi behes nahi kar sakta me mere baap....
Wo piche mudkar Aksh ke samne haath jodte hue kehta he. Or firse apne kaam me lagg jata he.
Aksh: waise ek baat puchu chacha?
Kuch der baad Aksh ke dimag koi baat ajati he jise wo Karim se puchna tha.
Karim: ha puch na....
Wo apna kaam jaari rakhte hue kehta he.
Aksh: kya aap mujhe apne paas kaam par rakhoge?
Uska sawal sun kar Karim apna kaam rok deta he or Aksh ki taraf dekhne lagta he.
Karim: ab ye kya naya natak he tera?
Aksh: natak? Nahi.. nahi... Me to sach me ye kaam sikhna chahta hu....
Karim: are tereko to business karna he na to ye kya he?
Aksh: Aap please bataye na.... Kya mujhe aap yaha kaam par rakhoge?
Karim: are Aksh... Ye tera hi garage he or apne hi garage me koi nokri karta he kya?
Aksh: thik he... To aap nokri par mat rakhna... Lekin please aap mujhe ye kaam to sikha hi sakte ho na...
Karim: beta....
Aksh: please chacha.....
Karim: chal thik he.... Sikha dunga tujhe ye kaam...
Uska jawab sunkar Aksh bahot hi zyada khush ho jata he.
Karim: waise tune khana khaya ya nahi?
Aksh: ahhh... Ha... Ha mene kha liya...
Wo haklate hue Jawab deta he.
Karim: huhh... Jhut bhi bolne laga tu to? Chal ab... Ghar ja kar khana kha lete he... Teri chachi ne Biryani banayi he aaj.... Pasand he na tujhe?
Wo Aksh ke nazdeek akar uske sar pe haath ferte hue kehta he. Fir wo dono Karim ke ghar jane ke liye nikal jate he, Karim ne Santosh ko call kar ke bata diya tha ke Aksh uske saath hi he, or wo khana kha kar ayega.
Suraj ab dhire dhire dhalne laga tha, Aksh Karim ke saath khana kha kar Garage par kaam sikh raha tha, Dusri taraf ghar pe Sakshi or uski dost Neha apne ghar ki chatt par bethi hui thi.
Neha: yaar Sakshi.... College me ja kar kitna maza ayega na?
Wo bahot hi utsukta ke saath Sakshi se kehti he.
Sakshi: hmmm... Sahi kaha.. waha ab school se alag hi mahol hoga...
Neha: wahi to.... School me to kitne strict rules hote he... Lekin ab College me aisa kuch nahi hoga... Na kisi ki rok tok... Ab jab chahe class bunk karenge or....
Sakshi: kya kaha? Class bunk... Huhh.. wo tu akeli hi karna... Me nahi karne wali koi class bunk wunk...
Wo Neha ki baat ko bich me kaat te hue kehti he.
Neha: yaar kya Sakshi tu bhi... Kitni boaring he tu...
Wo apna muh fulakar Sakshi ko dhakka dete hue kehti he.
Sakshi: are... Isme boaring ki kya baat he? College me padhai karne jate he, na ke class bunk karne...
Wo Halke se Neha ke sar me thapki marte hue kehti he.
Neha: yaar Sakshi masti karne ke yahi to lamhe hote he.... Ek baar bade ho gaye to sab matang me badal jata he...
Sakshi: accha? Or wo kese?
Neha: are baba.... Bade ho jane ke baad fir job karo.... Uske baad shadi... Or....
Sakshi: ek.. ek... Minute... Tu itni dur shadi tak kaha chali gayi.... Wapis aa... Pagal...
Neha: kya dur.... Dekhna jese hi padhai khatam hogi na to gharwale shadi ke piche pad jayenge.... Huhhh...
Wo apna muh fulate hue kehti he.
Neha: Waise Sakshi tujhe kesa husband chahiye?
Uske sawal par Sakshi bahot sharma jati he.
Sakshi: ye...ye kya baate le kar beth gayi tu... Chup kar...
Wo Gusse se Neha ko aakhe dikhate hue kehti he.
Neha: bata bhi de na yaar Sakshi....
Wo Sakshi ko kohni marte hue kehti he. Ispar Sakshi apne chehre par bikhre balo ko apni ungliyo se kaan ke piche le jati he. Or wo kafi sharma gayi thi.
Sakshi: m...mujhe nahi pata....
Neha: hayee... Dekho to kese sharma rahi he...
Wo Sakshi ko dhakka marte hue kehti he jis par Sakshi ke chehre par hasi ajati he.
Neha: waise mujhe na.... Mujhe na..... Aksh husband ke roop me chahiye.....
Wo khudko hi apni baho me bharte hue kehti he. Lekin is se Sakshi Gussa ho jati he.
Sakshi: chup.... Ye kya keh rahi he tu?
Wo gusse me Neha se puchti he.
Neha: tu gussa kyu ho rahi he?
Sakshi: kuch nahi... Bas chup kar tu....
Wo narazgi se kehti he.
Neha: accha sorry baba.... Kyu gussa hoti he... Has bhi de jaldi se....
Or wo Sakshi ki kamar me gudgudi karne lagti he, jis se Naraz bethi Sakshi khil khila kar hasne lagti he.
Neha: waise Sakshi... Kya me itni buri hu jo Aksh ki wife nahi ban sakti?
Kuch der baad wo Sakshi se puchti he.
Sakshi: are pagal.... tu buri nahi he... Wo ladka hi alag he.. use samajh pana har kisi ke bass ki nahi he... Pata nahi kab kya kar de...
Neha: aisa nahi he.. Aksh bahot accha ladka he...
Sakshi: to mene kab kaha ke wo bura he... In fact us se accha insan to mene apni zindagi me nahi dekha... Bas tu use kabhi samajh nahi payegi...
Neha: accha? To Aksh ko samajhne wali kabhi milegi bhi?
Sakshi: zarur milegi... Zarur milegi......
Wo bahot hi gehri soch me akar kehti he. Kuch der dono chup si wahi bethi rehti he. Tabhi Radha un dono ko niche bula leti he, niche kuch nashta karne ke baad Neha apne ghar chali jati he.
Is waqt raat ke khane ka waqt ho raha tha, waha Karim pure din Karim ki zidd karte hue bhi Aksh ghar nahi gaya, ab Karim Garage band hone ka waqt tha, Karim use apne saath khane ke liye kehta he lekin Aksh mana kar deta he or apne ghar ke raste chal padta he. Or yaha Ghar pe sab uska intezar kar rahe the, Santosh ab uspe thoda gussa ho gaya tha, Sakshi darwaze par ruk kar Aksh ki raah dekh rahi thi, wo janti thi ke Santosh Aksh par gussa karne wala he to wo mahol ko sambhalne ke liye tayar thi, tabhi use Raste se Aksh ata dikhayi deta he. Aksh baramde me agaya tha Sakshi use gusse se dekh rahi thi.
Aksh: aise kyu dekh rahi he?
Wo ghar ke darwaze ke bahar hi baramde me ruk kar puchta he.
Sakshi: ye kya waqt he Aksh ghar ane ka? Firse Baba ko gussa dila diya na?
Wo bahot hi dhimi awaaz me Aksh se kehti he.
Aksh: Baba ka mujhpar gussa karna koi nayi baat thode na he.... Ab hatt samne se....
Wo Sakshi ko Darwaze se hatate hue kehta he or ghar ke andar ajata he.
Santosh: bahot jaldi agaye laat sahab aap to?
Lekin Aksh bas uski baat khatam hone tak waha rukta he or sidha apne kamre me chala jata he.
Santosh: dekha.... He koi sharm... Jawab diye bina hi chala gaya....
Wo gusse me Radha se kehta he.
Radha: aap jane dijiye na.... Wo pehle se pareshan he or aap he ki...
Wo Santosh ko shant karate hue kehti he.
Radha: Sakshi ja use khane ke liye bula la....
Sakshi: ha abhi bulati hu....
Or ye kehkar wo Aksh ke kamre me chali jati he jaha Aksh bed par leta hua tha.
Sakshi: oh hero... Kaha ghum raha tha din bhar tu?
Wo andar akar Aksh ke bagal me beth te hue Aksh se puchti he.
Aksh: Karim chacha ke yaha tha pata nahi kya tujhe?
Sakshi: accha? Pura din kya kar raha tha waha?
Aksh: kuch nahi... Bas aise hi time pass kar raha tha...
Sakshi: tu itna thaka hua kyu lag raha he?
Aksh: thodi thakan to lagg rahi he....
Sakshi: chal pehle khana kha le... Badme me tere haath per daba dungi....
Aksh; are nahi mujhe bhuk nahi he tum log kha lo....
Ispar Sakshi Aksh ka haath pakad leti he or use sidha bitha deti he.
Sakshi: Aksh.... Kabtak Baba se naraz rahega tu? Wo tera bura thodi na chahte he...
Aksh: are yaar tu na.... Mujhe sachme bhuk nahi lagi he... Mene Karim chacha ke ghar pe hi Biryani kha li thi... Ye ghas pus tu kha.... or tujhe pata he na mujhe non veg khane se firse bhuk nahi lagti...
Sakshi: sach keh raha he na?
Aksh: to jhut kyu bolunga... Puchle chacha ko call kar ke...
Sakshi: chal ab tu keh raha he to maan leti hu.
Or fir Sakshi bahar akar Radha or Santosh ko ye baat bata deti he fir tino milkar khana kha lete he, khane ke baad Sakshi Radha ke kaam me haath bata rahi thi, kaam khatam hone ke baad wo Aksh ke kamre me us se kuch baat karne ajati he lekin dekhti he ke Aksh to kafi gehri nind me tha. To Sakshi apne kamre me ja kar so jati he.
Or is tarah inka ye din nikal jata he, jaha Aksh or Santosh ke bich kafi gehma gehmi ho gayi thi, aaj humne dekh ke Aksh kis tarah se apni baate bina dare samne rakhta he, lekin ab uski ye adat bakiyo ke liye kesi hogi ye to ane wala kal hi batayega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Ek or chehekti subah, adha ugta hua suraj is duniya me laali faila raha tha, ek bahot Khubsurat nazara pesh kar raha tha, or is Khubsurat nazare ko Aksh apne ghar ki chatt par khada dekh raha tha. Uske dimag me is waqt kafi baate chal rahi thi, ab wo kya soch raha tha ye to Aksh khud jane.
Wahi Sakshi subah subah naha kar tayar ho chuki thi. Din chuttiyo ke ho ya fir normal days, Sakshi humesha se jaldi uthkar tayar ho jati, or sabse pehla uska jo kaam hota wo Bhagwaan ke samne haath jodkar prarthana karna.
Sakshi(mann me): Deva... Aapki Krupa drushti aise hi hum sab par banaye rakhna... Or Aksh ko thodi sadbuddhi dena... Humesha bewajah sabse behes karta rehta he... Please use samjhana Deva....
Wo apni aakhe band kare apne pure dil se Bhagwaan ke samne haath jode khadi thi, uski har roz ki prarthana me Aksh ka naam zarur hota tha, kuch der baad Sakshi bhi upar chatt par jane ka sochti he, wo jese hi upar pahochi to usne dekha ke Aksh badi gehri soch me waha suraj ki taraf dekh raha tha. Sakshi aage akar Aksh ke kandhe par haath rakh deti he.
Aksh: kuch nahi.... Bas accha lagg raha he yaha par to ruk gaya me....
Jese hi use apne kandhe par Sakshi ka haath mehsus hua usne bol diya.
Sakshi: hmm... lekin mene to kuch pucha hi nahi...
Wo Aksh ke bagal me khade ho kar Aksh se kehti he.
Aksh: kyu? Yahi to puchne wali thi na tu?
Wo Sakshi ki akho me dekhte hue kehta he.
Sakshi: Bavlat(Pagal).....
Wo muskurate hue Aksh ke sar me marte hue kehti he.
Kuch der tak dono bas Suraj ki ugti kirano ko nihar rahe the, thodi der baad Sakshi ko Aksh se baat karne ka ye sahi waqt laga to wo Aksh se baat karne ka sochti he.
Sakshi: Aksh meri ek baat manega tu?
Wo bina Aksh ko dekhe hi puchti he.
Aksh: konsi baat?
Fir Sakshi Aksh ki taraf dekhne lagti he.
Sakshi: dekh Aksh me janti hu ke tujhe ye padhai wadhai me bilkul intereste nahi he lekin.....
Aksh: yaar Sakshi please ab tu subah subah shuru mat ho jana....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Sakshi: Dada meri baat to sunn na pehle... Mujhe ek baat bata, tujhe padhai nahi karni to tu kya karega tabtak?
Aksh: pata nahi... lekin kabhi na kabhi kuch zarur karunga...
Sakshi: to fir tabtak padhai kar le na.... Abhi teri koi umar bhi nahi he jo tu kuch kar sake... Ek baar tu 18 ka ho gaya to jo tera dil kare waisa hi karna... Me humesha tera saath dungi.... Or agar tab bhi Aai Baba tere faisle ke khilaf honge to me fir bhi tera hi saath dungi... Lekin please tabtak padhai kar lena....
Wo Aksh ke samne khade ho kar uske haath thamkar kehti he, ab Aksh bhi sochne par majbur ho gaya ke akhir wo padhai chhod kar kya karega...
Sakshi: bolna Dada meri itni si baat manega na?
Ab Aksh kafi gehri soch me tha. Or shayad usko apne sawal ka jawab bhi mil gaya.
Aksh: thik he....
Uske jawab se Sakshi bahot hi khush ho jati he, or kas kar Aksh ko gale laga leti he.
Sakshi: thank you Aksh meri baat maan ne ke liye...
Aksh: ha... is baar teri baat maan li mene, Lekin ye mat samajh lena ke har baar teri mann mani chalegi...
Wo Sakshi ko apne se alag kar ke use ungli dikhate hue kehta he.
Sakshi: thik he..... Matt maan na meri baat, lekin ab se acche se padhai karna, thik he?
Uski baat ka jawab Aksh bas apni gardan ha me hila kar deta he.
Fir wo dono kuch der tak upar chatt par hi bate karte hue beth jate he.
Santosh apne kaam par janeke liye tayar ho chuka tha.
Santosh: Radha... Aksh ko bulao... Mujhe us se baat karni he.
Radha: dekhiye subah subah shuru mat ho jana ab aap, kya baat karni he?
Santosh: us se akhri baar puchunga ke padhai karni he ya nahi... Warna...
Sakshi: Baba aap chinta mat kijiye.... Aksh to bas aise hi bol raha tha ke use padhai nahi karni...
Santosh: chalo thik he.... Me chalta hu...
Or wo apne kaam par chala jata he. Tabhi Aksh apne kamre se bahar ajata he or sidha ghar ke bahar jane lagta he.
Radha: Aksh kaha ja raha he t subah subah?
Wo Aksh ko darwaze par hi rokte hue puchti he.
Aksh: Karim chacha ke yaha ja raha hu or me sham ko 4 baje aunga ghar pe...
Or ye kehkar wo bahar chala jata he
Radha: 4 baje? Lekin... Aksh... Aksh... Sunn to...
Wo piche se Aksh ko pukarti he lekin tabtak to wo nikal gaya tha.
Radha: pata nahi kab sudhrega ye ladka?
Sakshi: kya Aai tum bhi... Aksh kaha bigda hua he jo sudharne ki baat kar rahi ho...
Wo aage akar Radha ke gale me bahe dalte hue kehti he.
Radha: ha... Tu to bas humesha uski hi tarafdari karti reh..... Dada chi ladki (Bhai ki ladli)
Wo narazgi se Sakshi se alag hote hue kehti he.
Sakshi: isme tarafdari ki kya baat agayi Aai? Uski soch thodi alag si he, or mujhe usme koi galat baat nahi lagti or me uski kisi bhi galat baat me saath nahi deti....
Radha: Rahude Rahude (Rehne do).... Bahot bolne lagi he ab tu bhi...
Wo Sakshi ke sar pe halke se thapki marte hue kehti he.
Aise hi dono masti mazak me ghar ke kaam nipta dete he, waha Aksh Garage par pahoch gaya tha. Karim use chote mote kaam sikha raha tha or Aksh bhi mann laga kar kaam sikh raha tha, lekin jab Karim apne customers se baat karta to Aksh kafi bariki se unki baate sunta tha, kyu ke Karim ke sare customer us se bahot hi friendly tarike se baat karte the, Karim ne apne customers ko shikayat ka mauka kabhi bhi nahi diya tha or isi wajah se har koi Karim se kafi acche se baat karte, or is area me Karim ka hi ek lauta garage tha kisi me itni himmat nahi thi ke wo yaha par ek Garage open kare, kyu ke log humesha Karim se hi apni gadiyo ki marammat karwate the. Aise hi waqt nikalta gaya, dopehar ko khane ka samay ho gaya tha, Karim Aksh ko apne saath ghar le gaya jaha wo log khana kha kar firse garage agaye.
Karim: Aksh bahot der ho gayi he, ab chala ja tu ghar pe.
Aksh: nahi chacha me shaam ko chala jaunga....
Karim: are Aksh tu thak gaya he, ghar ja aram kar le....
Aksh: chacha me nahi thaka hu, chaliye kaam par lagg jate he.
Or wo aage badh kar apna adhura kaam pura karne me lagg jata he.
Karim(mann me): ise samajh pana namunkin he... Yaa Khuda... Iski humesha madat karte rehna, ye ladka kuch alag hi he... Lekin dil ka kafi saaf he....
Or fir Karim bhi apne kaam me lagg jata he. Shaam ke 4 baje hue the Karim Aksh ko ghar jane ko kehta he, Aksh ka dil ghar jane ke liye nahi kar raha tha, lekin Karim ki zidd par wo ghar chala jata he, Raste me jate hue Aksh ko usi Showroom me ek Supercar dikhit he, jaha bachpan me do admiyo ne uska mazak udaya tha, us car ko dekh kar Aksh ke chehre par hasi ajati he.
Aksh(mann me): bahot jald tu mere paas bhi hogi... Thoda sabr kar.. huhhh
Or wo apne mann me apne ane wale future ko plan karte hue ghar ke raste chala gaya. Ghar akar wo fresh ho jata he, kuch der baad ghar pe Soham or Neha bhi aye hue the, charo milkar upar apni chatt par bethe dhalte suraj ka Khubsurat nazara dekh rahe the.
Neha: yaar me to College jane ke liye bahot hi exited hu, kitna maza ayega....
Wo bahot hi khushi se kehti he lekin Soham usi khilli udane ki sochta he.
Soham: accha? Me janta hu tu kyu exited he... Dekh itna exite hone ki koi zarurat nahi he... Kyu ke teri shakal Bandariya jesi he, or Bandariya ko koi ladka ghaas bhi nahi dalta... Samji...
Uski baat se Sakshi zor zor se hasne lagti he lekin Neha bahot gusse me ajati he or sidha Soham ka collar pakad leti he.
Neha: kutte.. kya kaha tune.... Me Bandariya.... khud to joker lagta he, or mujhe Bandariya bol raha he..
Wo zor zor se Soham ka collar pakad kar use age piche karte hue bol rahi thi, Sakshi in dono ki masti par hass rahi thi lekin Aksh to bas dhalte suraj ko ek takk dekhe ja raha tha. Or Sakshi use is tarah se dekh leti he.
Soham: kya soch raha he Aksh tu?
Aksh: kuch nahi..... Bas dekh raha hu ke jese ye suraj dhal raha he, waise hi meri life bhi dhalte ja rahi he...
Uski baat se wah ka sara mahol hi badal jata he, lekin Sakshi ko is baat par kafi gussa ajata he lekin wo bina gussa dikhaye Aksh ke bagal me beth jati he.
Sakshi: to tu apne aap ko is suraj ki jagah dekh raha he na?
Wo samne dhalte Suraj ko dekhte hue Aksh se puchti he, Aksh uske sawal par sirf Sakshi ko dekh raha tha.
Sakshi: jawab de na Aksh
Aksh: ha.....
Sakshi: to fir tujhe ye sacchayi kyu nahi dikhayi deti ke Yahi Suraj dhalte hue bhi is puri duniya ko kitna Khubsurat bana deta he, khud jal kar dusro ki zindagi me sawera lata he... Aksh tu kyu humesha aisi ulti sidhi bate karta rehta he? Me... Me....
Or wo apni baat puri kiye bina hi waha se niche chali jati he, Soham or Neha use samjhane ke liye uske piche hi chale ate he, Lekin Aksh Sakshi ko naraz kar ke kafi bura mehsus kar raha tha, Aksh kuch der wahi betha rehta he.
Kuch der baad Soham or Neha bhi apne ghat chale gaye the, Aksh ko Sakshi se baat karni thi lekin Sakshi us se Naraz lagg rahi thi or wo bas ghar ke kaam karne me lagg jati he, Aksh ko us se baat karne ka mauka nahi milta.
Raat ko sab log milkar khana kha lete he, khane ke baad Sakshi Radha ka kaam me haath batane lagti he, Aksh tabtak bahar walk ke liye chala jata he, jab wo ghar aya to Radha or Santosh TV dekh rahe the, Sakshi ko waha na dekh kar Aksh us se baat karne uske kamre me chala jata he. Jaha Sakshi bed par badi hi gehri soch me leti hui thi, Uske kamre ka darwaza khula hua tha Sakshi ko pata nahi chalta ke Aksh waha aya he tab Aksh darwaze ko knock karta he jis se Sakshi hosh me ajati he or Darwaze par Aksh ko khada dekh uthkar beth jati he. Aksh andar akar pehle darwaza lock kar deta he or ja kar Sakshi ke samne niche apne ghutno par beth kar uske haath thaam leta he.
Aksh: sorry Sakshi..... Me janta hu tu meri kahi baat se naraz he, or tera naraz hona sahi bhi he, lekin.... lekin me kya karu, me nahi janta ke kyu me aisi baate karta hu... Samajh hi nahi araha ke me kyu aisa banta ja raha hu, kabhi kabhi me apne aap se nafrat karne lagta hu... Kya karu Sakshi me tu hi bata....
Sakshi: You find peace not by rearranging the circumstances of your life, but by realizing who you are at the deepest level, Eckhart Tolle...... Jin Authors ki kitabe padhta he tu, unki hi bate he ye...
Wo halki si num akhi se kehti he, jis se Aksh ke chehre par ek hasi ajati he.
Aksh: sahi kaha... Lekin kayi baar Practicality in sari baato par kese na kese haawi ho hi jati he... Or us waqt bahot dard hota he... Sabse zyada to tab, jab humare pyaar karne wale log humse naraz ho jaye...
Sakshi: me koi naraz nahi hu tujh par....
Wo Aksh se nazre ferte hue kehti he.
Aksh: to fir aise nazre kyu fer rahi he..... Ab maaf bhi kar de.... Aage se kabhi aisi baate nahi karunga..
Wo Sakshi ke haath kaste hue kehta he lekin wo koi response nahi deti.
Aksh: ab maan bhi jana... Oye chipkali....
Bas Aksh ke muh se ye nikla ke Sakshi ka gussa satve asman par chala jata he, or wo Aksh se apne haath chhuda kar uska collar pakad leti he.
Sakshi: tujhe kitni baar kaha he ue mat bola kar mujhe.... Samajh nahi ata tere....
Wo bahot hi gusse me usko dhakke dete hue kehti he. Uska gussa dekh Aksh has padta he or fir Sakshi bhi uska collar chhod deti he.
Sakshi: please Aksh age se aisi utpatang baate mat kiya kar...
Aksh: ha nahi karunga.... Ab so ja.. mujhe bhi bahot nind arahi he.
Sakshi: okay...
Or fir Aksh waha se apne kamre me chala ata he, aaj pura din kaam karne se wo kafi thak chuka tha isliye bed par let te hi uski aakh lagg jati he.
Or is tarah inka ye din nikal jata he, jaha humne dekha ke wo Aksh jo kisi ki nahi manta use Sakshi ne bas kuch palo me apni baat manva li, or wo Apni padhai continue karne ke liye razi ho gaya, jaha Aksh mann laga kar Karim se kaam sikh raha tha, lekin jab bhi Karin apne customers se baat karta to Aksh unko kafi note karta tha. Wahi Sakshi ki apne bhai se narazgi, jo jayaz thi, use Aksh ne dur kar hi diya. Ab inki life ne aage kya mod ate he ye dekhna interesting hoga.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Kehte he na ke jab akho me bade sapne hote he to nind kahi dur bhaag jati he, jab dil me kuch karne ka jasba ho to har ek pal katna muskil sa ho jata he, kuch aisa hi Aksh ka haal tha. Jagti raate mushkil se kat te din, ye sab Aksh ko andar hi andar ek behtar insan banane ki koshish me the, isi tarah din nikalte ja rahe the, Aksh har roz Karim ke Garage par jata, waha mann laga kar apna kaam karta, Karim ki logo se baat karne ki style ko bade gaur se dekhta.
Aise hi kuch mahine beet gaye the, ab bari thi college admissions ki, Sakshi ne science stream me admission liya tha, Lekin Aksh Commerce lena chahta tha lekin Santosh or Radha ne use Science stream choon ne ko kaha, wo dono chahte the ke Aksh aage ja kar engineering ki padhai kare, Sakshi ke samjhane par Aksh maan gaya dono ko admission ek hi college, ek hi class me hua tha. Wahi Neha bhi Science me dono ke saath hi thi, lekin Soham ne Commerce stream chuni thi.
Kuch waqt aise hi guzar jata he, 4-5 dino baad sabke College start hone wake the. Ek din Aksh raat ko kareeb 8 baje Garage se ghar ata he, wo aaj kafi thak chuka tha, jese hi wo ghar ke andar aya to Santosh samne hi betha hua tha, Aksh sidha apne kamre me jane ke liye aage badhta he ke Santosh use rok leta he, tabhi waha Sakshi bhi ajati he.
Santosh: Aksh sunn... Kal hum sab 2-3 din ke liye tumhare Mama ke ghar ja rahe he, apna saman pack kar lena...
Aksh: Baba mujhe nahi jana kahi....
Wo rukhe swar me Santosh se kehta he, uske jawab se Santosh thoda gussa ho jata he. lekin Sakshi samajh jati he ke ab mahol bigadne wala he.
Santosh: Kyu nahi jana?
Aksh: bass mujhe nahi jana....
Santosh: Aksh dekh apni mann mani karna band kar de me bata raha hu....
Wo gusse me Aksh ko ungli dikhate hue kehta he.
Aksh: mann mani? Konsi mann mani karne di aapne mujhe? Are yaha tak ke padhai bhi apni marzi se karne ka moka nahi diya mujhe aapne... Or keh rahe he ke mann mani mat kar.... Mann mani to aap log kar rahe ho mujhpar.
Wo thodi unchi awaaz me Frustrate hokar kehta he, uski awaz se Radha bhi bahar ajati he, Santosh uski baat se kafi gussa ho gaya tha, wo Aksh ko thappad marne ke liye aage badha hi tha ke Sakshi or Radha bich me akar use rok lete he.
Radha: aap shant ho jayiye na....
Santosh: kese shant ho jau? Dekha nahi kese baat kar raha he ye ladka.... Are tere acche ke liye kehta hu me...
Aksh: aap jo kehte he wo acche ke liye, or jo me kehta hu wo mann mani? Huhhh....
Wo Santosh ki akho me dekhte hue kehta he, or waha se apne kamre me chala jata he.
Radha: aap chaliye... Andar...
Santosh: are kya chaliye..... Dushman nahi hu me uska...
Radha: ha aap baadme shanti se baat kar lena us se.... Abhi chaliye andar...
Or wo Santosh ko apne kamre me le jati he.
Ab Sakshi jaldi se Aksh ke kamre me jati he jaha Aksh kafi gusse me betha hua tha. Sakshi andar akar uske paas beth jati he.
Sakshi: Aksh tu na bewajah behes karta rehta he sabse...
Sakshi: Baba ne bas yahi kaha na ke hume Mama ke yaha jana he, to fir mana karne ki kya zarurat thi tujhe?
Ispar Aksh sirf Sakshi ko udasi se dekhne lagta he.
Sakshi: ab kya dekh raha he aise?
Aksh: tu bhi palat gayi na....
Sakshi: kya matlab?
Aksh: kya kaha tha tune mujhe? Humesha mera saath degi? Or ab...
Sakshi: ek minute... Ha Mene kaha tha ke me humesha tera saath dungi lekin galat baato me kabhi nahi....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Aksh: accha matlab me hi galat hu? Sabko bas me hi galat lagta hu....
Is baat ko kehte waqt Aksh ke akho me Aansu ajate he, jise dekh kar Sakshi puri tarah sehem si jati he.
Sakshi: A....Aksh... Tu..... tu ro kyu raha he?
Wo Aksh ka chehra apne haatho me thamkar uske Aansu saaf karte hue puchti he
Aksh: to kya karu? Koi nahi samajhta mujhe.... Koi nahi.... bas jo wo chahte he waisa hi mujhe karne ko bola jata he... Kya kabhi Aai Baba ne ye jaan ne ki koshish bhi ki he ke me kya chahta hu? Kabhi unhone mujhe pucha ke mujhe aage ja kar kya karna he? Kabhi mere dil ki baat jaan ne ki koshish ki dono ne? Nahi na.... Jo wo kehte aye he bas wahi kar raha hu na me? Kya mujhme koi feeling nahi he? Humesha apni haar baat apne dil tak hi rakhta hu na me, kis se share karu?
Wo rote hue Sakshi se kehta he, use rota dekh Sakshi ki bhi aakhe num ho jati he.
Sakshi: Aksh Aai Baba tera accha hi chahte he na... Lekin unki soch alag he, jesa tu sochta he waisa wo log nahi samajhte... Lekin Aai Baba bhi to apni jagah sahi he na...
Wo Aksh ke behte Aansu saaf karte hue kehti he.
Sakshi: or tujhe kon kehta he apni baate mujhse share na kiya kar? Me to dil se chahti hu ke tu apni sari baate mujhse share kiya kar... Lekin ye tu he.. jo bada introvert bana firta he..
Wo Halke se Aksh ke sar me thapki marte hue kehti he.
Sakshi: Or ek baat humesha yaad rakhna Aksh... Me kabhi tere khilaf nahi khadi ho sakti... Kabhi nahi....
Wo Aksh ke haath thamkar uski Aakho me dekh kar kehti he. Jis se Aksh ko kafi sukoon milta he.
Sakshi: chal ab ye rona band kar... Or khana kha le...
Wo Aksh ki num aakhe pochte hue kehti he.
Aksh: mujhe bhook nahi he...
Sakshi: Lekin....
Aksh: mene keh diya na mujhe bhook nahi he...
Sakshi: thik he.... Or ha me Aai Baba ko bol deti hu ke me bhi kal Mama ke ghar nahi arahi...
Aksh: kuch bolne ki zarurat nahi he... Araha hu me kal...
Sakshi: Aksh tujhe samajhna na sachme mushkil he..
Or Fir wo Aksh ke kamre se bahar ajati he.
kuch der me khane ka waqt ho jata he.
Santosh: ab use khana bhi nahi khana kya?
Wo Aksh ko waha na dekh kar puchta he.
Radha: me abhi bulati hu use...
Wo Aksh ke kamre ki taraf badhte hue kehti he
Sakshi: Aai... Mene pucha tha use.. wo mana kar raha he, Tum please abhi kuch mat kaho us se.. baad me kha lega wo....
Wo Radha ko bich me rokte hue kehti he, fir Radha bhi yahi thik samajhti he or khana parosne ke liye ajati he, lekin Sakshi use bethne ko kehti he.
Sakshi: Aai, tum beth jao... Me parosti hu aapko...
Radha: kyu tujhe nahi khana?
Sakhsi: n..nahi Aai me badme kha lungi...
Radha: are Lekin...
Sakshi: Aai tum beth jao...
Wo Radha ki baat kaat te hue kehti he, fir Santosh or Radha ko khana parosti he, khane ke baad Radha or Sakshi sara kaam nipta dete he, kuch der TV dekhne ke baad Santosh or Radha apne kamre me chale jate he, tab Sakshi uthkar Kitchen me ajati he or ek thali me khana paros kar Aksh ke kamre me chali jati he.
Waha Aksh bed par lete hue koi Book padhne ki koshish kar raha tha lekin aaj uska kisi bhi chiz me mann nahi lagg raha tha, tabhi Sakshi andar ajati he, use dekh kar Aksh uthkar beth jata he.
Sakshi: chal ab bahot padh liya tune, khana khale jaldi se. ..
Wo bed par Aksh ke bagal me beth te hue kehti he.
Aksh: mujhe bhuk nahi lagi...
Wo bina Sakshi ko dekhe hi jawab deta he. Tab Sakshi khane ki plate ko side me rakh kar Aksh ke hath par apna haath rakh deti he.
Sakshi: to kabtak bhuka rehna he tujhe? Aisi situations to life me ati rahengi... To Kya humesha ke liye khana chhod dega?
Aksh: aisi baat nahi he... Wo bass mera mann nahi kar raha...
Sakshi: mann to tera padhai karne ka bhi nahi tha.... Chal ab jaldi se kha le...
Wo plate apne haath me le kar ek niwala Aksh ki taraf badhate hue kehti he. Ab Aksh bhi phre din kaam kar ke thaka hua, bhuka tha, to usne bhi Sakshi ke haath se niwala kha liya.
Aksh: tune khaya?
Sakshi: me badme kha lungi...
Wo plate me dekh usme se roti todte hue kehti he. Tabb Aksh uske haath se Plate le leta he, or ek niwala bana kar Sakshi ke samne karta he, Sakshi muskurate hue uske haath se niwala kha leti he. Fir dono hi milkar khana kha lete he, kuch der tak bate karne ke baad Sakshi apne kamre akar so jati he. Dusre din sab log milkar apne Mama ke ghar chale jate he, waha do din rehkar wo log wapis apne ghar ajate he.
Aaj inke College ka first Day tha, Sakshi or Aksh college jane ke liye bilkul tayar the, Santosh or Radha se ijazat le kar dono ghar se bahar nikal jate he, Soham or Neha unhe adhe raste me mil jate he or ye charo milkar apni nayi Zindagi jine ke liye chal padte he, kuch der me wo sab unke college ke samne pahoch gaye the, college ki chehel pehel, waha ka mahol dekh kar Sakshi, Neha or Soham ke chehre par muskurahat ajati he lekin Aksh ke reaction kuch khas nahi the.
Neha: wow.... Kitna accha lagg raha he na.. mujhe to puri raat nind nahi ayi pata he...
Soham: sahi kaha... Or ab raat ko jagne ki adat daal hu de tu..
Sakshi: wo kyu?
Soham: are... Ab security Guard ki naukri karne ke liye raag ko jagna bhi to ana chahiye na.... Lekin Neha.. tu bahot acchi Security Guard banegi...
Wo Neha ke khande par haath rakh kar kehta he uski baat se Sakshi hasne lagti he lekin Neha ka gussa satve asman par chala jata he.
Neha: kutte.... Tu na... Ruk... Rukja...
Or Wo Soham marne ke liye uske piche dod padti he.
Dono ko dekh kar Sakshi kafi has rahi thi lekin Aksh bas college ki taraf dekh raha tha.
Sakshi: kya hua Aksh?
Aksh: kuch bhi to nahi...
Sakshi: to chal ab andar....
Or wo dono college gate ke andar chal padte he. Andar akar charo ek saath ruk jate he, Soham Commerce me tha or uski Building dusri taraf thi to wo tino ko bye bol kar apni class me chala jata he, yaha tino bhi apni class me ajate he, class me sari ladkiya ek taraf bethi hui thi, or sare ladke ek taraf... Sakshi or Neha first bench par hi beth gaye lekin Aksh ja kar second last bechn par beth jata he.
Kuch hi der me unka class teacher waha ajata he, sab students use Good Morning wish karte he or apni jagah par beth jate he.
Teacher: to Student.... Welcome to your class, and I'm your class teacher.
Wo apni books table par rakhte hue kehta he.
Teacher: to dekho... Me waise koi sakht teacher nahi hu, lekin jab baat padhai ki ati he to.....
Wo apne haath apas me masalte hue kehta he, uski baat sare students samajh jate he. Fir sab students apna introduction dete he, yaha par Sakshi class topper thi, jis se teacher khush ho jata he. Ab bari ladko ke introduction ki thi, bari bari sablog apna introduction dete he ab Bari Aksh ki thi, Aksh apni jagah par hi uthkar khada ho jata he.
Teacher: to... Kya naam he tumhara?
Aksh: Aksh... Aksh Joshi....
Teacher: ohh... Matlab to ye tumhara Bhai he?
Wo Sakshi ki taraf dekhte hue puchta he. Sakshi bhi muskurate hue use Haa me jawab de deti he.
Teacher: kya baat he... Meri class me to 2 topper agaye... To kitne percentage mile tumhe Aksh?
Aksh: sir... 38%
Uska jawab sun kar Teacher ki hasi chutt jati he.
Teacher: kitne? 38%.. hahaha... Kyu Sakshi.. tumne isko thik se padhaya nahi kya? Hahaha..
Wo haste hue Sakshi se puchta he, lekin is se Sakshi ko bahot zyada gussa ajata he.
Sakshi: to kya ho gaya agar use kam percentage mile he to?
Wo rukhe swar me apni jagah par uthkar puchti he.
Teacher: are ab chhodo bhi... Is baar shayad... I mean pakka koi ek Fail hone wala he.
Wo Aksh ki taraf dekhte hue kehta he.
Sakshi: matlab kisi student ke marks kam hote he to wo padhai me accha nahi hota?
Teacher: agar padhai me accha hota to marks itne kam na hote na...
Sakshi: waise ek Acche Teacher kabhi apne Students me koi bhed bhaav nahi karte.. balki unka hausla badha kar un students par zyada dhyan dete he..
Wo Teacher ko tana marte hue kehti he.
Teacher: accha? To tumhara matlab ye he ki me accha Teacher nahi hu?
Sakshi: ab......
Aksh: sir aap chinta mat kijiye... Aapke class ka results 100% ayega...
Wo Sakshi ki baat puri hone se pehle hi bol padta he.
Teacher: accha? Or wo kese?
Aksh: aapko kal pata chal jayega sir...
Teacher: dekhte he... To chalo class shuru karte he..
Fir wo apni class shuru kar deta he. Sakshi ka mood thoda kharab ho chuka tha, aise hi ek ke baad ek period hote gaye.
Lunch break me Aksh ko Sakshi se baat karni thi, lekin Sakshi apne class ki topper thi to uski ek hi din me kafi sari saheliya bann gayi thi, or wo sab milkar canteen me bethe hue the, tabb Aksh Soham ke paas janeka sochta he or adhe raste me hi use Soham bhi mil jata he, dono Canteen me ek taraf bethe hue the, break khatam hone ke baad sablog firse apni apni class me agaye.
Dopeher ke waqt College ki chutti ho jati he, Sakshi or Neha ke saath 2 ladkiya or thi jo unke ghar ke raste me hi rehti thi, to wo bhi unke saath hi chal padti he, Soham or Aksh unke piche piche hi baate karte chal rahe the. Kuch duri par Neha or Soham apne raste chale jate he or Sakshi, Aksh or ek ladki saath chal dete he.
Jab Sakshi or Aksh ghar pahoche to dekha ke Santosh or Radha unka hi intezar kar rahe the, or wo dono hi kafi naraz se lagg rahe the.
Sakshi: kya hua?
Wo dono ka gambhir chehra dekh kar puchti he.
Santosh: kya zarurat thi Teacher ke saath behes karne ki?
Wo sakht lehze me puchta he, darasal Us Teacher ne apni class khatam karte hi dono ke Parents ko call kar ke aaj ki baat bata di thi.
Radha: Sakshi tujhse aisi ummid bilkul nahi karte hum...
Sakshi: kya galat keh diya mene? Wo acche teacher nahi he to nahi he... Agar hote to Aksh se is tarah baat nahi karte wo.... Or agar unho ne firse Aksh se aisi baat ki to me bhi unse isi tarah se baat karungi...
Wo bahot hi gusse me kehti he or bina kisi ki baat sune apne kamre me chali jati he.
Santosh: bass yahi baki tha... Iski hawa lagg gayi Sakshi ko bhi....
Wo Aksh ki taraf ungli karte hue Radha se kehta he. Aksh bhi waha se nikal jate he or Sakshi ke kamre me ajata he, jaha Sakshi bahot gusse me apna muh fulaye bethi thi. Aksh aage akar uske bagal me beth jata he.
Aksh: yaar kya Sakshi tu bhi... Gussa mujhe ana chahiye tha jo kuch aaj hua us se.. lekin tu kyu itna ubal rahi he?
Sakshi: dekh Aksh mujhe is bare me koi baat nahi karni he...
Aksh: are yaar jane bhi de na ab... Kal se koi gadbad nahi hogi..
Sakshi: tu kya keh raha tha Sir se ke kal pata chal jayega? Kya soch raha he tu?
Wo sawalo se bhari nazro se Aksh ko dekhte hue puchti he.
Aksh: are wahi batane ke liye tujhse baat karna chahta tha lekin koi mauka hi nahi mila... Khair.. to me kal apni Division change kar dunga or dusri class me chala jaunga jis se....
Sakshi: kya kaha? Aise thappad laga dungi tujhe samjha?
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue thappad marne ka ishara karte hue kehti he.
Aksh: are yaar.. meri baat to sunn...
Sakshi: kuch nahi sunn na mujhe... Or tu koi class change nahi karne wala....
Wo Aksh ko ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: ab meri baat sunn... Dekh Sakshi mujhe padhai nahi karni thi lekin mene teri baat maan kar padhai karne ka faisla kiya, mujhe science me admission nahi lena tha lekin tabb bhi mene teri baat maani, ab tujhe meri baat maan ni padegi...
Sakshi: lekin.....
Aksh: ab tere paas do option he.. ek to me class change kar du... Ya me padhai chhod du?
Wo Sakshi ki baat ko kaat te hue kehta he.
Sakshi: aisa kuch nahi hone wala... Tu padhai bhi karta rahega or class bhi change nahi karega... Bass..
Or wo uthkar washroom ki taraf jane lagti he. Lekin Aksh use piche se rok deta he.
Aksh: Sakshi tu janti he agar me Zidd karne laga to kisi ki nahi sunta... To ab choice teri he....
Sakshi: thik he.. jo tujhe karna he kar...
Wo kafi gusse me kehti he.
Aksh: yaar Sakshi is me itna gussa karne jesi kya baat he... Me bass dusri class me hi to ja raha hu na... or wo bhi isliye ke pata nahi kal ko meri or Sir ki kaha suni ho gayi to... Mujhe ek to gussa jaldi ajata he, or pata nahi gusse me me unko kya keh du...
Wo aage akar Sakshi ke haath apne hatho me thamkar kehta he.
Sakshi: lekin ye kya baat hui Aksh...
Wo royi si shakal bana kar puchti he.
Aksh: please Sakshi... Maan bhi ja ab.... Mene teri tini baate mani, or tu meri ek baat bhi nahi maan rahi he..
Ab Sakshi kafi majbur ho gayi thi, kyu ke wo janti thi ke Aksh kitna ziddi he.
Sakshi: thik he...
Uski haami milte hi Aksh khush ho jata he, or fir wo bhi apne kamre me akar change kar ke khane ke liye beth jata he.
Khana khate hi wo nikal jata he Karim ke Garage par. Waha ja kar roz ki tarah Aksh mann laga kar kaam karne lagta he. Ab Aksh kafi hadd Tak gadiyo ka kaam sikh chuka tha. Pure din kaam karne ke baad raat ko 7 baje Karim use ghar jane ko kehta he, apna mann maar kar Aksh apne ghar ajata he or fresh ho kar book padhna shuru kar deta he thodi der baad Radha use khane ke liye bulati he or sab log milkar khana kha lete he or badme apne apne kamre me ja kar so jate he.
Or is tarah aaj ka din nikal jata he, Update ki Shuruwat me humne dekha ke Aksh or uske parents ke bich tanav kese banta rehta he. Jaha Aksh puri tarah se tuta hua dikhayi de raha tha, lekin use sawarne ka kaam Sakshi ne bakubhi kiya.
Wahi College ke pehle din hi Teacher or Aksh ki kaha suni ho gayi thi, or ab Aksh ne class change karne ka bhi decision le liya tha. Ab dekhna interesting hoga ke aage kya hota he.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Class change karna hi sahi hua .mere sath bi aisa hi hua gaanv ke school mein padte the jab science stream mein admission lia to sabb dimag ke uppar se gujar ta tha .
Ek or nayi sunheri subah ka agman ho chuka tha, Aaj Aksh or Sakshi ke college life ka dusra din tha, aaj Aksh apni class change karne wala tha, jiske liye Sakshi ne bhi sehmati de di thi.
Sab College me chale gaye the, Aksh ne principal se kehkar apni class change karwa li thi, Sakshi uske decision se ab bhi zyada khush nahi thi, lekin uske zidd ke aage Sakshi bhi haar maan gayi thi. Aise hi sab padhai me lagg jate he.
Tabtak hum Bharat ke ek Khubsurat sheher Surat me nazar daal lete he.
Surat me ek bahot hi shandar company bani hui thi, jese ke ek puri city ho. Or company ke andar ek bade se hall me kafi sare log bethe hue kisi ka intezar kar rahe the. Tabhi waha kafi chust Durust aadmi ajata he jise dekh kar chair par bethe sab log apni jagah par se uth kar khade ho jate he. Or ye insan or koi nahi, Virani Industries ke Malik Aman Virani the.
Aman: I Am Really Sorry Everyone.... I'm bit late...
Wo sabse Mafi mang kar apni baat shuru kar deta he.
Aman: So Guys as you all know, from last 10 Years we are the leading Business Industry In Gujrat... Or is saal bhi Virani Industries Gujrat ki Number 1 Industry bani hui he. So big applause for all of you guys.....
Or uski baat par sab log taliya bajane lagte he.
Aman: yes guys... Without you Virani Industries is nothing, a big big Thanks to all of you... each and every person working in Virani Industries...
Or aise hi kuch der Aman sabko protsahit karta he.
Kareeb 1 ghante baad wo free hota he, jab wo us room se bahar araha hota he to Aman ki secretary Suhana uske paas ajati he.
Suhana: sir... Mansi kafi der se aapka Wait kar rahi he.
Aman: are ha.... ye to me bhul hi gaya tha, By the way kaha he wo?
Suhana: wo aapke cabin me bethi hui he.
Aman: okay..
Or fir wo apne cabin ki taraf badh jata he. Cabin ka door open hote hi wo dekhta he ke Mansi samne Aman ki Chair par bade hi gusse me bethi hui thi.
Aman: kya me andar aa sakta hu?
Wo dari sehmi si awaz me puchta he.
Mansi: ye konsa waqt he ane ka? 9 baje jana he bolkar 10 baje arahe ho aap yaha?
Wo table par rakhe crystal ball ko apni mutthi me band karte hue gusse ke bhav me kehti he.
Aman: ahhhh... Wo.... Ab maaf kar dijiye ma'am... Ho gayi galati humse....
Mansi: hmm... To ek shart par maafi milegi....
Aman: or wo shart kya he?
Wo andar akar Samne padi chair par beth te hue puchta he.
Mansi: shart ye he ke Mom ko lene ke liye hum Mumbai Plain se nahi balki Car se jayenge....
Aman: ye kesi shart hui?
Mansi: wo me nahi janti, shart yahi hogi warna mafi bhi nahi milegi...
Wo zidd karte hue Aman se kehti he.
Aman: beta Car se Mumbai jane ke liye 4 ghante lagg jayenge... Or aap khud thak jaogi itne lambe safar me.
Mansi: nahi Dad me nahi thakungi.... Please... Please Car se chalte he na Please.....
Wo roti shakal bana kar kehti he. Ab Aman to kya, koi bhi insan Mansi ki zidd ke aage nahi jit sakta tha.
Aman: Okay... Okay... Car se hi jayenge...
Wo Mansi ko shant karate hue kehta he.
Mansi: Thanks Dad.....
Wo Aman ko gale lagate hue Kehti he.
Aman: tum or tumhara Gadiyo se pyaar... Kya kare iska?
Wo Mansi ko alag karte hue kehta he.
Mansi: Dad, Mujhe to Cars bahot pasand he.... Infact jab Suhana Di mujhe pick karne ayi thi to mene bhi kuch duri tak car chalayi...
Wo bahot hi khushi se kehti he lekin uski baat sunkar Suhana darr jati he or Aman heran sa reh jata he.
Aman: kya kaha.... Tumne Road par Car drive ki?
Ab ja kar Mansi ko ehsas hua ke wo josh josh me zyada hi bol gayi.
Aman: Suhana... Ye to bacchi he, tumhe samajhna chahiye na ke ise Road par Car drive nahi karni deni chahiye....
Wo Sakht lehze me Suhana se kehta he.
Suhana: I'm Sorry sir... Wo...
Mansi: Are.. are... Suhana Di ko kyu dant rahe ho Dad... Wo to mene hi unhe dhamki di thi...
Aman: kya? dhamki?
Mansi: ha... Wo to mujhe nahi Drive karne de rahi thi, lekin mene kaha ke aage ja kar is Company ki CEO Ms. Mansi Virani hi bann ne wali he, or aapko apne Future CEO ki baate maan ni hi hogi.... warna aap ke liye thik nahi hoga.... tabb ja kar wo maani...
Wo bade hi taav ke saath Aman ki chair par beth te hue kehti he.
Aman: ohh... To Ms. CEO ab Sabko aap Blackmail karogi? Or me aapko ek baat bata du, me aise Blackmail karne wale logo ko is company ka CEO to kya ek employee bhi nahi banane wala...
Mansi: ohh... Sorry Dad... Sorry... Me aage se aisa nahi karungi....
Wo apne Taav se sidha rone ko ayi thi.
Aman: good... Aage se aisa nahi karna... Road par or ghar ke samne Drive karne me fark hota he.
Mansi: Sorry Again Dad....
Or wo aage Suhana ki taraf ajati he.
Mansi: Sorry Di....
Wo apne kaan pakad kar Suhana se mafi mangti he. Bhale hi in logo ke paas beshumar Paisa tha, lekin Aman or Kiran ne Mansi ko humesha humble or Kind rehna sikhaya tha. Ha wo baat alag he ke Mansi ke andar Shararat thus thus ke bhari hui thi.
Suhana: are ye aap kya kar rahi he... It's okay... Sorry ki kya baat he.....
Wo Mansi ke haath pakad kar use kano se hata te hue kehti he.
Aman: accha Suhana... Hum nikal rahe he, Pehle Flight cancel kar dena, or koi important kaam ho to call karna..
Suhana: okay Sir....
Or fir Aman Mansi ko le kar Company ke parking area me chala jata he, jaha ek kone me ek se ek shandar Cars park hui thi. Or un sari cars ka color White tha.
Aman: hmm... To bataye Maharani Sahiba.. kis sawari me jana chahogi aap?
Wo cars ke samne khade ho kar Mansi se puchta he, Mansi apni ungli dato me dabate hue koi car choose kar rahi thi.
Mansi: hmmm... Nahi... Ahh.... Haa... hum Maserati Levante Trofeo me jayenge....
Fir Aman Driver ko bula leta he or wo log Mumbai jane ke liye rawana ho jate he.
Darasal Mansi ko cars bahot pasand thi, Aman ne sab cars sirf or sirf Mansi ki pasand ki hi li thi. Or Mansi ko sirf White color me hi cars pasand ati thi. Or ye log 2 din ke liye Mumbai ja rahe the jaha Mansi ki Maa Kiran apne mayke gayi thi. Ab inhe Mumbai jane ke liye lagne wale the pure 4 ghante se zyada. Tabtak hum dekhte he ke Mumbai me Aksh or Sakshi ka kya haal chal raha he.
Aksh or Sakshi ghar laut aye the, ghar akar Aksh or Sakshi khana kha lete he, khana kha kar Aksh turant uthkar bahar jane lagta he. Lekin tabhi Sakshi use rok leti he.
Sakshi: Aksh... Rukja... Kaha ja raha he?
Aksh: Karim Chacha ke Garage....
Sakshi: are tu thodi padhai bhi kar lena.... Tune apni padhai ki kitabe kholi bhi he ya nahi?
Aksh: huhhh... Mujhe to ye bhi nahi pata ke Science me subject kitne he... Class me bas me ye intezar karta hu ke period kab khatam hoga...
Sakshi: Bavlat(Pagal)...... Isi wajah se Aai Baba ki daant khata he tu...
Wo Aksh ke sar me halke se marte hue kehti he.
Aksh: ab jane de mujhe late ho raha he...
Wo darwaze se bahar jane ko hota he ke Sakshi uska haath pakad leti he.
Sakshi: pehle meri baat sunn.... Ghar jaldi ajana or mere saath padhai karne beth jana
Aksh: ha thik he... Ab chhod mujhe...
Or wo apna haath Sakshi se chhuda kar tezi se bahar chala jata he.
Sakshi(mann me): Deva(Bhagwaan)..... Ye ladka na.... Mujhe to nahi lagta is baar ye Pass hone wala he... Matt ho.. is baar Baba ki dant se nahi bachane wali me tujhe dekh le na...
Or fir Sakshi andar ja kar ghar ke kuch kaam karti he or baadme padhai karne beth jati he.
Dopeher ke kareeb 2:30 baje hue the, Aksh Garage par pahoch jata he, Karim apna kaam rok kar ghar hi ja raha tha khana khane ke liye.
Aksh: Kya hua Chacha? Aap ne abtak khana nahi khaya?
Karim: are bass abhi ja hi raha tha, kaam thoda zyada tha to time dekha hi nahi mene... khair, chal saath jate he...
Wo Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: me to bass abhi khana kha kar hi aya hu, aap jayiye... Me yaha kaam dekh lunga...
Karim: are chal ghar pe... Saath me hi ate he wapis..
Aksh: aap jayiye... Me dekh lunga sab....
Karim: chal thik he... Me bass ata hu...
Or wo apne ghar chala jata he, uska ghar Garage se bass 5 minutes ki duri par tha. Or kayi baar Aksh akela Garage ka dhyan takhta tha, or ab to use kaam bhi ane laga tha, to Karim ko kabhi koi chinta karne ki zarurat nahi padi. Aksh ko jo kaam ata tha wo us kaam me lagg jata he.
Dusri taraf Aman or Mansi Mumbai pahoch chuke the, lekin pata nahi kyu unki car me baar baar dikkat arahi thi, Driver 2-3 baar car se utar kar check karta he lekin use gadbad samajh nahi ati. Tabb wo kisi se Garage ka pata puch leta he, or jesa ke hum jante he ke is Area me Karim ka ek lauta Garage tha, to wo Aadmi unko Karim ke Garage ka Address bata deta he, tabb Driver us raste car chalane lagta he. Kuch hi minutes me wo log us jagah pahoch jate he, tabhi kaam me masruf Aksh ko bahar se ek car ke Exhaust ki zabardast awaz ati he, Aksh jaldi se apna kaam rok kar bahar ata he to usne dekha ke samne se ek Maserati ki car gurrate hue arahi he. Us car ko Aksh ek takk dekhne lagta he.
Aksh(mann me): Yaar.... Kya Gadi he.... Awaz to kya hi bolu....
Wo apne mann me soche ja raha tha ke wo car Aksh ki taraf hi badh rahi thi, or Car akar uske samne ruk jati he, lekin Aksh ki nazar us car se hatne ka naam nahi le rahi thi, tabhi Driver car se utar jata he or Aksh ke paas ajata he.
Driver: are bhai koi he kya yaha car ko dekhne ke liye?
Aksh: ji kahiye.... Kya hua....
Wo Driver ke nazdeek ja kar puchta he,
Driver: tumhe ye kaam ata he?
wo Aksh ko gor se dekhta he or uski umar dekhte hue puchta he.
Aksh: ha mujhe ata he...
Fir Driver use problem bata deta he, Aksh age akar Bonnet open karta he or Driver ko car band karne ko kehta he, Driver ke car band karne se andar ke AC bhi band ho chuke the, or us wajah se Mansi ko garmi lagne lagti he. Or upar se ye thi Mumbai ki garmi. Mansi turant car se bahar ajati he or Aman bhi car se utar jata he. Aksh engine ko check kar raha hota he ke tabhi Mansi aage Bonnet ke paas ajati he, Aksh ki nazar jese hi Mansi par padi to wo bass use hi dekhne laga, or us chakkar me uska haath tapte hue engine par chala gaya or uski chink si nikal gayi.
Aksh: ahhh...
Wo jhatt se apna haath piche kar leta he.
Mansi: Garage ka kaam karte ho or itna bhi pata nahi ke Engine Garam hota he? Huhhh
Wo Aksh ko uksate hue kehti he or piche mud jati he.
Aksh(mann me): iski to....
Aman: kuch gadbadi mili?
Aksh: n..nahi wahi dekh raha hu....
Or wo apne kaam me lagg jata he, baki tino wahi khade the, Mansi Garmi se kafi pareshan ho rahi thi, tabhi Aksh ki nazar uspar padti he, Mansi apne haatho se hi apne aap ko hawa laga rahi thi. Aksh apna kaam rok kar andar ki taraf ata he or andar ka pankha chalu kar deta he.
Aksh: aap log tabtak yaha ajaye....
Wo sabko andar pankhe ke paas rukne ko kehta he, tabb sablog andar akar hawa lene lagte he, Mansi ko ab ja kar kuch rahat mehsus ho rahi thi.
Kuch der me Aksh ko gadbad samajh agayi thi.
Aman: are bhai kya tum bata sakte ho ke ise thik karne me kitna waqt lagega?
Wo andar se hi Samne kaam kar rahe Aksh se puchta he.
Aksh: sahab... Ise thik hone me adha ghanta lagg jayega...
Mansi: ughhhh... Adha ghanta? Thoda jaldi karo na thik....
Wo pareshani ki halat me Aksh se kehti he.
Aksh: ab jitna waqt lagega utna hi bataya mene...
Ye kehkar wo firse apne kaam me lagg jata he.
Aman: kyu ye to tumhara hi idea tha na Mansi.... Ab maza araha he na?
Mansi: kya maza? Kitni garmi lagg rahi he Dad...
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Aksh(mann me): Kaam karna to dur ki baat ise dekh kar to lagta he ke ise khana khilane ke liye bhi log chahiye honge... Huhhh...
Wo mann hi mann Mansi ki halat dekh hass raha tha.
Kareeb 35 minutes baad Aksh car ko start karta he or dekhta he ke sabkuch thik se kaam kar raha he ya nahi. Jab use lagta he ke sabkuch thik ho chuka he to wo aage Aman ki taraf badh jata he.
Aman: ye lijiye.... Gaadi ab bilkul thik ho chuki he...
Wo Aman ko car ki chabi dete hue kehta he.
Aman: thanks.... Waise naam kya he tumhara?
Aksh: ji mera naam Aksh he....
Aman: hmm Aksh nice name, padhai bhi karte ho ya nahi?
Aksh: ji abhi 11th me hu me... College khatam ho kar yaha ajata hu...
Aman: very good.... Khair paise kitne hue?
Aksh: 300rs
Mansi: kya? Tumne sachme car thik ki he na?
Wo itne kam kharcha sunkat heran ho jati he, kyu ke in cars ke Showroom me to aisi choti moti chizo ke liye wo log hazaro ka kharcha kar dete he.
Aksh: ye lo card.... Agar kabhi bhi koi problem hua to batana, free me kar dunga...
Wo apne pakke kaam par bharosa karte hue kehta he. Mansi us se Card le leti he, Aman Aksh ko 2000rs thama deta he.
Aksh: iske to 300rs hue he, ye 2000?
Aman: ye tumhare liye... Accha kaam karte ho, Keep Going...
Wo Aksh ke pith par thap thapa kar use shabbashi dete hue kehta he. Aksh zyada paise lene se mana karta he lekin Aman use razi kar deta he or fir wo log apne Raste chal padte he. Mansi car me beth te hue ek baar Aksh par nazar dalti he Aksh bhi use ek nazar dekhta he. Or wo andar beth kar window up kar leti he or waha se chale jate he.
Aksh(mann me): waise ye ladki thi Khubsurat....
Wo halka sa muskurate hue apne aap se kehta he. Tabhi Karim waha ajata he. Aksh use sare paise de deta he.
Karim: kis chiz ke he paise?
Aksh: kuch nahi abhi ek car ayi thi, thoda sa kaam tha usme, 300rs hue the unhone 2000rs de diye...
Karim: accha?
Or wo un paiso me se 300rs nikal kar baki ke paise Aksh ko thama deta he.
Aksh: ye kya?
Karim: are tereko mile he ye paise.... Mujhse to kabhi paise leta nahi tu...
Aksh: nahi mujhe nahi....
Karim: mene kaha na rakh....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Or fir wo dono firse apne kaam par lagg jate he.
Kareeb 45 minutes ke baad Aman or Mansi ek bahot hi shandar Villa me pahoch jate he, Aman or Mansi utar kar ghar ke andar ajate he, jaha kafi sare nokar the, Mansi jaldi se ja kar samne ke kamre me ghus jati he, tabhi sidhiyo se ek Khubsurat Aurat niche ane lagti he, use dekh kar Aman ka chehra khil uth ta he, ye Aurat or koi nahi Aman ki patni or Mansi ki maa Kiran thi, wo apni maa ke saath niche arahi hoti he, lekin uski nazre Mansi ko dhund rahi hoti he.
Kiran: Aman... Tum akele? Mansi kaha he?
Wo Aman ke samne khade ho kar puchti he.
Aman: Darasal uski tabyat suddenly kharab ho gayi to wo nahi ayi.....
Kiran: kya? To fir mujhe bataya kyu nahi? Or use akela chhod kar chale aye... Pagal kahi ke, tumhe samajh.....
Wo bahot hi gusse me Aman ko keh rahi thi ke tabhi piche ke room se Mansi daud kar ati he or Kiran ko piche se tightly hug kar leti he.
Mansi: Mom.... Kyu itna dant rahi ho Dad ko?
Wo piche se Kiran ke Gaal par kiss karte hue kehti he.
Kiran: Mansi.... Tumhari ye mazak karne ki adat kab jayegi?
Or wo piche mudkar Mansi ko kas kar gale laga leti he.
Nani: kesi he meri Pari?
Wo Mansi ke gaal pakad kar puchti he.
Mansi: me bilkul thik hu Nani, aap kesi ho?
Wo Apni Nani ke gale lagg kar kehti he.
Or aise hi inka ye pyar bhara milaw chalta he, wo sab 2 din baad firse Surat jane wale the.
sham ke waqt Aksh ghar laut raha hota he, pata nahi kyu lekin uske dimag me baar baar Mansi ka chehra nazar araha tha. Aksh ne kayi baar use nazar andaz karne ki koshish ki lekin kuch na ho saka.
Aksh(mann me): ye kya ho raha he? Us khadus ladki ka chehra kyu baar baar samne araha he? Kya kaha mujhe? Tumne car thik ki bhi ya nahi? Huhhhh... Aksh ka kaam adhura nahi hota... Khadus kahi ki....
Aise hi sochte hue wo market se guzarta he, chalte hue use ek dress shop me ek bahot hi Khubsurat dress dikhayi deta he. Use dekh kar Aksh wahi ruk sa jata he. Or wo bina kuch soche sidha andar ja kar us dress ko kharid leta he, Aksh ke paas 1700rs the, usne 1000rs ka wo dress le liya or use le kar ghar chala gaya.
Ghar pahochane ke baad Door Sakshi open karti he.
Aksh: Aai Baba kaha he?
Wo ghar me dono ko na dekh kar puchta he.
Sakshi: wo to market gaye he, or tu ye kya le kar aya he?
Wo Aksh ke haath me bag dekh kar puch leti he.
Aksh: are ha.... Ye le.... Tere liye hi laya hu....
Wo bag Sakshi ko dete hue kehta he.
Sakshi: mere liye?
Or wo bag ke andar se wo dress nikal leti he, dress dekh kar wo bahot hi zyada kush ho jati he. Aksh Sakshi ke chehre par ayi hasi dekh kar bahot hi khush ho jata he.
Sakshi: tu ye mere liye laya?
Aksh bas ha me gardan hilata he.
Aksh: tujhe pasand aya?
Sakshi: bahot zyada pasand aya...
Wo bahot hi khushi se kehti he.
Sakshi: lekin tere paas paise kaha se aye?
Fir Aksh use aaj ki sari baat bata deta he.
Sakshi: waise Aksh tu karna kuch chahta he, or kar raha he ye gadiyo ka kaam? Kyu?
Aksh: are wo to bass aise hi, koi na koi kala bhi to honi chahiye na insan me...
Sakshi: accha? Chal khana kha le....
Aksh: are nahi mujhe bas thodi si chay pila de...
Wo hall me sofe ke ek kone me beth te hue kehta he. Sakshi pehle use pani la kar deti he, Aksh ne jese hi Pani lene ke liye apna haath age kiya to Sakshi ki nazar Aksh ke haath par padti he, jaha Car thik karte waqt uska haath thoda jal gaya tha.
Sakshi: Aksh.... Ye kya hua tere haath ko?
Wo Aksh ka ek haath thamkar chintit lehze me puchti he.
Aksh: kuch nahi... Bas engine thoda garam tha to haath lagg gaya waha...
Wo pani ka ek ghut pite hue kehta he.
Sakshi: dhyan kaha rehta he tera? Dekh kar karna chahiye na... Kab sudhrega pata nahi, ruk me murham le kar ati hu.
Wo gusse me Aksh se kehti he.
Aksh: are kuch bhi to nahi hua....
Sakshi: chup kar tu....
Wo gusse me Aksh ko chup karati he or murham la kar Aksh ke bagal me beth jati he or uska haath le kar uspe murham lagane lagti he. Aksh bas use ektak dekhe ja raha tha. Murham lagane ke baad Sakshi ki nazar Aksh par padti he to Aksh use dekh muskuraye ja raha tha.
Sakshi: aise kyu has raha he?
Aksh: jis waqt mera haath jala tab us ladki ne mujhe tana mara, or tu....
Sakshi: aye Bavlat.... Wo ladki kon he jo teri fikar karegi? Chal ab ja haath muh dho le, me chay bana deti hu, fir kuch der padhai karna mere saath....
Aksh: thik he...
Or wo andar fresh hone chala jata he, badme dono milkar chay pi lete he, kuch der baad unke parents bhi ghar agye the, badme Sakshi Aksh ko zabardasti apne saath padhai karne bitha leti he.
Or aise hi inka ye din nikal jata he. Jaha Mansi or Aksh ki pehli mulakat kuch khas nahi rehti, jaha Aksh use Khadus samajh betha tha, Aksh ka Sakshi ko gift dena, jis se Sakshi bhi bahot khush ho jati he. Jaha Aksh ki choti si chot ka Sakshi ke dil ko thes pahochana, or shayad isi ko unconditional love kehte he.
Aise hi din par din nikalte gaye, Mansi apne Mom Dad ke saath firse Surat chali gayi thi. Har din Aksh apne kaam par jata, or waha dil laga kar apna kaam karta, ghar ane ke baad Sakshi use Roz padhai karne ke liye apne saath bitha deti thi, jis se ab Aksh bhi padhai me sudhar raha tha, exam me Aksh ke acche marks aye the, Lekin zindagi ki exam me Aksh koi alag hi raste par chal raha tha, kyu ke jese jese waqt beet raha tha, waise waise Aksh or zyada gussa karne laga tha, hala ke usne abtak Sakshi se gusse me baat nahi ki thi, lekin uske behavior me aise changes dekh kar kahi na kahi Sakshi ke dil me thoda darr sa beth gaya tha. Aksh or Sakshi 11th bhi pass ho gaye the, or 12th bhi, is baar Aksh ne padhai chhodne ka faisla le liya tha, jis se uske parents or usme tanav bann gaya tha lekin jese Sakshi ne us se wada kiya tha ke wo jab 18 saal ka hoga to jo wo karna chahta he usme Sakshi uska saath degi. Sakshi ne uske Parents ko bhi kafi mushkil se is baat ke liye mana liya tha. Wahi Aksh ab apna business start karne ke liye mashakkat kar raha tha, lekin uske dimag me koi idea nahi aya. Usne Karim ke saath Garage me reh kar jabtak kaam kiya tabtak usne Karim se koi paise nahi liye, lekin Karin ne use 12th pass hone ki khushi me ek bike gift kar di, Aksh ne bhi use le liya tha. Sakshi ne First Year, Computer Science me admission le liya tha.
Ek taraf Aksh apna ek Start Up shuru karne ke liye idea soche ja raha tha dusri taraf Sakshi padhai me din ba din behtar bante ja rahi thi. Kuch mahino baad uske Final exams ane wake the or ye saath saath Aksh ki life me bhi ek bada turn ane wala tha, ab dekhte he wo turn kitna tikha hota he.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Mumbai ki taptapti garmiya shuru ho chuki thi, suraj apne pure josh me tha. Subah ke kareeb 7 baje hue the, Sakshi bass naha kar ayi thi or apne gile baal ek taraf kar ke unhe sukha rahi thi. Uske chehre par ab bhi pani ki kuch bunde bikhri hui thi, Sakshi jaldi jaldi tayar ho jati he, Sakshi apne masum se chehre par makeup nahi lagati thi. Bhagwaan ne Sakshi ko zyada Khubsurat to nahi banaya tha, lekin use dekh kar koi bhi insaan Sakshi ko nazar andaaz nahi kar sakta tha. Nahane ke baad sabse pehla kaam Sakshi karti thi wo tha bhagwaan ke samne prarthana karna.
Sakshi(mann me): Deva(Bhagwaan) humesha ki tarah aaj ka din bhi teri krupa se accha jaye aisa karna, or ha.... Please Aksh ko ab zyada pareshan mat karo, jaldi se uski mushkile dur kardo... Or jesa wo chahta he waise hi sabkuch hota jaye....
Sakshi Haath jod kar apni aakhe band kiye pure dil se bhagwaan ke samne prarthana kar rahi thi. Har din uski prarthana me Aksh ka naam hota hi tha.
Radha: Sakshi jaldi kar.... Time dekh kya hua he, college nahi jana tujhe?
Wo Sakshi ke kamre me akar use yaad dilate hue kehti he.
Sakshi: ha... Ha Aai.... Bas aa rahi hu....
Or wo apni ungli se mathe par chota sa tika kar ke bahar hall me ajati he, jaha Aksh Sofe ke kone me badi hi gehri soch me haath me nashte ki plate le kar betha hua tha. Sakshi akar Aksh ke bagal me beth jati he. Radha uske liye bhi nashta le ati he.
Sakshi ne ghadi par nazar dodayi to usne paya ke aaj wo humesha se late he, or wo jaldi jaldi me apna nashta khatam kar leti he.
Sakshi: Aksh.... Kya tu free he?
Apna nashta khatam karne ke baad Sakshi Aksh se puchti he.
Radha: are Sakshi ye kya sawal puch liya tune? Use konsa kaam hota he?
Wo kitchen me se kaam karte hue Aksh ko tana marte hue kehti he, jis se Sakshi ko bahot bura lagta he.
Aksh: ha me free hi hu, bol kya baat he?
Sakshi: mujhe aaj college jane ke liye kafi late ho gaya he, kya tu mujhe college tak chhod dega?
Wo Radha ki baat ko nazar andaz karte hue bade pyaar se Puchti he.
Aksh: thik he....
Or fir Sakshi Aksh ke saath uski bike par beth kar apne raste nikal jati he.
Sakshi: I am Really Sorry Aksh....
Kuch duri par ane ke baad wo Aksh se kehti he.
Aksh: kis liye?
Sakshi: mene sab kuch jante hue bhi Aai ke samne tujhse sawal kar diya or Aai ne....
Aksh: ab chhod bhi de yaar Sakshi.... Huhh.. iski to ab Adat si ho gayi he mujhe...
Wo ek Sarcastic smile ke saath kehta he.
Sakshi: waise kya hua? Koi start up idea mila ya nahi tujhe?
Aksh: abtak to nahi mila, or lagta bhi nahi he ke kuch hoga....
Wo kafi nirash ho kar kehta he.
Sakshi: Aisa kyu keh raha he Aksh tu? Dekhna, ek din tera start-up bahot bade business me badal jayega, itna successful hoga ke koi soch bhi nahi sakta....
Wo Aksh ko hosla dete hue kehti he, jis se Aksh halka sa smile kar deta he, lekin andar se use bahot accha lagta jab bhi Sakshi use hosla deti.
Kuch der baad dono Sakshi ke college pahoch gaye the, Sakshi bike se utar kar Aksh ko bye keh kar aage badh hi rahi thi ke Aksh use rok deta he.
Aksh: college chutne ke waqt lene ajaunga me tujhe...
Sakshi: tu pareshan kyu ho raha he, me....
Aksh: me ajaunga lene... Chali mat jana...
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he or waha se chala jata he. Fir Sakshi bhi college gate ke andar ajati he, wo samne dekhti he ke waha Neha apna muh fulaye khadi thi.
Sakshi: ab tu kyu apna muh fulaye khadi he?
Wo Neha ke paas akar puchti he.
Neha: jese tujhe kuch pata hi nahi he....
Wo gusse me Sakshi se kehti he.
Sakshi: Ahhh.... firse wahi baat.... Yaar neha ab tu subah subah shuru mat ho ja....
Wo aage badhte hue kehti he lekin Neha jaldi se Sakshi ka haath piche se pakad kar use rok leti he.
Neha: please na Sakshi.... Bas ek baar tu baat karna Aksh se... Usne mujhse to baat karna hi band kar diya he, jese mujhe janta hi nahi ho...
Wo roti hui shakal bana kar Sakshi se kehti he.
Sakshi: Deva...... ab ye me tujhe hazar baar bata chuki hu ke Aksh ko nahi pasand kisi se bhi baat karna... Wo nahi manega....
Wo apna ek haath apne mathe pe marte hue kehti he.
Neha: thik he... Mat kar meri help... Me khud hi baat kar lungi Aksh se...
Wo gusse me apne per patakte hue kehti he.
Sakshi: accha? Agar to Aksh ne thappad wappad laga diya to sambhal lena...
Wo Neha ko warn karte hue kehti he.
Neha: yaar kitni buri he Sakshi tu.... Me to bass baat karne ke liye keh rahi hu na....
Wo udas sa chehra banate hue kehti he.
Sakshi: Neha me Aksh ko bahot acchi tarah se janti hu, pichle kuch salo me uska behavior kafi change ho chuka he, wo zyada social rehna pasand nahi karta, Aksh alag hi level ka Introvert bann gaya he... Or uske gusse se me acchi tarah waqif hu, mujhe bhi kafi darr lagta he uske gusse se...
Wo Neha ke haath apne haatho me thamkar use samjhate hue kehti he. Lekin is se Neha kafi udas ho jati he.
Sakshi: yaar please ab aise udas na ho tu?
Neha: kyu na hu udas? Ek to Aksh jese dost milna bahot mushkil he, or usme is ladke ne baat karna hi band kar diya he... Huhhh...
Wo apna muh fulate hue kehti he.
Sakshi: Neha... Kahi tu Aksh se pyaar vyaar to nahi karne lagg gayi?
Wo apni aakhe chodi karte hue Neha se puchti he, jis se Neha bhokla jati he.
Neha: n.... Nahi... Nahi... Ye k.. kya keh rahi he tu?
Wo hadbadate hue Sakshi se kehti he.
Sakshi: hmm... good... Or iske bare me sochna bhi mat.... Aksh ko sirf me samajh sakti hu, ye kaam tere bass ka nahi he...
Wo haste hue Neha se kehti he, or aage badh jati he.
Neha: accha? To fir Aksh to humesha Single hi rahega....
Wo bhi aage badhkar Sakshi ke saath chalte hue kehti he.
Sakshi: nahi.... Uske liye koi bahot hi spacial ladki milegi... Jo use samajh sake, jo uske sapno ko samajh sake, jo uska humesha saath de sake....
Wo kisi khayalo me kho kar kehti he or ye baat kehte waqt wo apni jagah par tham jati he. Lekin tabhi samne se Soham ajata he.
Soham: Good Morning Sakshi, Neha.....
Uski awaz sunkar Sakshi hosh me ati he.
Sakshi/Neha: Good Morning.....
Sakshi: ab chalo jaldi se... Pehle se hi late ho gaye he aaj....
Soham: are kya yaar.... Chalo aaj class bunk karte he....
Neha: sahi kaha.... Me to ye roz roz ki class se boar ho chuki hu....
Sakshi: tum dono hi jao.... Me to chali apni class me...
Ye kehkar wo aage badhne lagti he ke Neha uska haath pakad kar use rok leti he.
Neha: yaar Sakshi tu na humesha har baat ke liye mana kar deti he... Kya ho jayega agar aaj class bunk kar li to?
Soham: sahi kaha.... Kabhi kabar dosto ke saath bhi time spend karna chahiye.....
Sakshi: tum log jao... Me nahi arahi....
Neha: thik he... Agar tu nahi ayegi, to mujhse kabhi baat mat karna...
Wo Sakshi ka haath azad karte hue kehti he.
Sakshi: ye kya baccho jesi zidd kar rahi he Neha tu?
Neha: me nahi tu Baccho ki tarah kar rahi he... Tu bass bata arahi he bunk karne ya mujhse baat band karegi?
Wo Sakshi ko ungli dikhate hue puchti he. Ab Sakshi soch me pad jati he, Neha or Soham ke kehne par akhir kar wo class bunk karne ke liye maan hi jati he.
Neha apni class ki ek or saheli ko bula leti he jiske paas scooty thi, Ab Soham or Sakshi Soham ki bike pe the or Neha apni dost ke saath scooty par thi. Wo log aise hi kuch der ghumte ghumte thodi der baad movie dekhne chale jate he, Sakshi laakh mana kar rahi thi lekin wo Neha ki zidd ke aage kuch nahi bol payi.
Wahi Dusri taraf Aksh Sakshi ko college chhod kar sidha Garage chala jata he, waise to garage itni jaldi nahi khulta tha, lekin Aksh ko kuch kaam pura karna tha isliye wo jaldi hi chala jata he, Garage ki ek chabi Aksh ke paas bhi thi, Aksh ja kar Garage open kar deta he or apne kaam me lagg jata he, kuch der baad Karim bhi waha ajata he, kareeb 12 baje uska kaam pura ho gaya tha. Wo Karim ko bolkar waha se nikal jata he or ek restaurant me kaam ki talash me pahoch jata he.
Ab Aksh Garage me kaam karta tha, Karim ne use uske kaam ke paise bhi dene laga tha, lekin Aksh ko pata tha ke aage ja kar jab use koi Start Up shuru karna hoga to usme kafi paisa lagega, isliye Aksh ek or kaam karne ka faisla leta he. Or use pata tha ke garage ke kaam me zyada paisa nahi milta isliye wo sirf Karim ke yahi kaam karta tha.
Aadmi: are agaye tum...
Ek Aadmi Aksh waha aya dekh uske paas ja kar kehta he.
Aksh: ji sir....
Aadmi: kal me busy tha isliye baat nahi kar paya, batao kya keh rahe the tum?
Aksh: darasal sir Mujhe nokri chahiye... Kafi koshish kar li kahi nokri mil nahi rahi he...
Aadmi: hmmm.... To kis tarah ki nokri chahiye tumhe?
Aksh: sir Kaam kaam hota he, jesa bhi ho, me karne ke liye tayar hu.
Aadmi: filhal to yaha ek Waiter ki sakht zarurat he, kya tum kar paoge ye kaam?
Aksh: ji zarur karunga....
Aadmi: thik he... English to ati he na tumhe?
Aksh: ji nahi sir... Bas tuti futi English hi bol leta hu me.
Aadmi: yaar fir to gadbad he.... kafi sare Customers ate he yaha jo sirf English bolte he... Tabb?
Aksh: dekhiye sir mujhe kaam ki saksht zarurat he, please mujhe koi kaam de dijiye...
Wo us Aadmi se request karte hue kehta he.
Aadmi: me samajh sakta hu, lekin...... Ha ek kaam he.... Magar wo tumhare liye accha nahi hoga....
Aksh: aap bataye na... Me koi bhi kaam kar lunga....
Aadmi: dekho Aksh.... Wo kaam tumhare liye thik nahi he...
Aksh: kaam to sare apni jagah par sahi hote he na.... Wo to hum hote he jo use sahi ya galat tarike se karte he.
Aadmi: darasal wo kaam Housekeeping ka he.....
Aksh: thik he sir me kar lunga....
Aadmi: dekho Aksh ye sare kaam wo log karte he jisne apni zindagi me koi padhai nahi ki, or us base par unhe or koi nokri nahi milti, isliye unke paas aise kaam karne ka hi rasta bach jata he...
Aksh: rasta to mere paas bhi wahi bacha he.... Dar dar ki thokre kha li kaam dhund ne ke liye, lekin..... Khair me ye kaam karne ko tayar hu....
Aadmi: thik he.... Jesi tumhari marzi....
Fir wo aadmi Aksh ko sara kaam bata deta he or usko 10,000 payment dene tay karta he, or use kaam ka time bhi bata deta he. Aksh ki shift sham ko 4 baje se raat ke 1 baje tak thi Aksh apna kaam samajh kar Sakshi ko pick karne ke liye nikal jata he.
dusri taraf Jab movie khatam hui tab kareeb 2 baj gaye the yane ke college ki bhi is waqt chutti ho gayi thi. Wo charo movie hall ke bahar ajate he, tabhi Sakshi ko Aksh ka call ajata he. Sakshi humesha Aksh se thoda dar ke rehti thi, to wo sab se alag ho kar call pick kar leti he.
Sakshi: H.... Hello....
Aksh: ha Sakshi me bas raste me hi hu, 10 minutes me pahoch jaunga... Tu chali mat jana....
Sakshi: Aksh.... Wo... Wo... Ha... Soham mujhe ghar drop kar raha he, me nikal hi rahi hu... Tu pareshan mat ho....
Aksh: accha thik he....
Or wo call cut kar deta he. Ab ja kar Sakshi chain ki saas leti he, sablog ghar jane ke liye nikalte he, Neha ko uski dost ghar drop karti he, or Sakshi Soham ko kehti he ke use ghar chhod de.
Darasal Sakshi, Neha or Soham ke ghar ek dusre se thode dur dur the, Neha ko uske Papa kaam par jate waqt college drop karte the, or Sakshi bus se college jati thi.
Kuch der baad Soham Sakshi ke ghar ke paas pahoch jata he, Sakshi use bye bolkar apne ghar ki taraf ja rahi hoti he, usne door bell bajayi hi thi ke piche se Aksh bhi ajata he, jabtak Aksh bike laga raha tha Radha ne Door open kar diya. Uske chehre ke haw bhaw khuch thik nahi lagg rahe the, Sakshi ghar ke andar ajati he.
Sakshi: Kya hua Aai?
Radha: kaha thi Sakshi tu? Teacher ka call aya tha mujhe unho ne kaha ke tum to college ayi hi nahi?
Uske sidhe sawal se Sakshi darr jati he.
Sakshi: Aai.... Me.... wo... Darasal....
Aksh: Aai me Sakshi ko apne saath le gaya tha, Raste me mujhe ek zaruri kaam yaad agaya tha, to me Sakshi ko apne saath le gaya....
Wo Sakshi ki baat ko bich me hi kaat te hue kehta he. Sakshi heran si uske taraf dekhne lagti he.
Radha: khud to padhai chhod di.... Ab kya Sakshi ko bhi waisa hi banana chahta he tu?
Wo gusse me Aksh se kehti he.
Aksh: Sorry Aai.... Aisa fir se nahi hoga.....
Itna kehkar wo apne kamre me chala jata he.
Radha: beta humari sari ummide sirf tujhse hi he, ye ladka to pata nahi kya karna chahta he, tu to dhang se padhai kar le....
Sakshi: S..... Sorry Aai...
Fir Radha apne kaam me lagg jati he, Sakshi Aksh ke kamre me akar dekhti he to wo washroom me tha, tabb Sakshi apne kamre me chali jati he.
Sakshi(mann me): ahhh.... Aaj meri wajah se Do baar Aksh ko Aai ki baate sunn ni padi.... pehle to Aksh se baat kar leti hu.
Or fir wo fresh ho kar Aksh ke kamre me chali jati he, jaha Aksh bed par lete lete koi kitab padh raha tha. Sakshi ko dekh kar Aksh apni kitab side me rakh uth kar beth jata he.
Sakshi: Aksh i am Sorry....
Wo apna sar jhuka kar Aksh se keh rahi hoti he ke Aksh uski baat bich me kaat deta he.
Aksh: tujhe kitni baar batana padega ye Sorry mat bola kar.....
Uski baat par Sakshi sehmi si wahi khadi ho jati he.
Aksh: waise kaha gayi thi class Bunk kar ke?
Sakshi: wo..... Mene bahot mana kiya lekin Neha or Soham maane hi nahi to me....
Wo Sharminda sa mehsus karte hue kehti he.
Aksh: koi baat nahi.... lekin mujhe bata to diya hota, Tujhe pata he na Aai teri padhai ko le kar kesi he?
Sakshi: me aage se dhyan rakhungi....
Aksh: bass mujhe bata diya kar...
Sakshi: chal ab khana khane ke liye....
Aksh: ha... Waise Sakshi mujhe tujhe kuch batana he.
Sakshi: ha bolna....
Aksh: wo me aaj se kaam par jane wala hu....
Sakshi: kaam? Garage par hi na?
Aksh: waha to Dopeher tak karunga, uske baad dusri jagah par bhi job mil gayi he mujhe...
Uski baat sunkar Sakshi kuch samajh nahi pati.
Sakshi: kesi job mili he?
Aksh: wo.... Wo... Ek Restaurant me Cashier ke taur par job mili ge mujhe... To mene ha kardi...
Wo Sakshi se sach chupana sahi samajhta he, kyu ke agar wo Sakshi ko sacchayi bata deta to Sakshi use kabhi wo kaam nahi karne deti.
Sakshi: lekin suddenly ye job or sab.... Mujhe kuch samjha nahi...
Aksh: isme na samajhne wali konsi baat he? Ab aage ja kar jab mujhe koi Start Up shuru karna hoga to uske liye paise lagenge hi na? To usi liye ye job kar raha hu me....
Sakshi: Aksh......
Wo jese hi Aksh ko kuch bolne jati he ke tabhi Radha dono ko khane ke liye bulane ajati he.
Radha: tum dono ko khana nahi khana kya? Chali jaldi ajao....
Fir wo tino milkar khana kha lete he, Aksh Radha ko bhi apni job je bare me bata deta he, jis se Radha thoda khush ho jati he ke akhir kar Aksh koi job karne laga he. Kareeb 3 baje Aksh apne kaam par chala jata he, pata nahi kyu lekin Sakshi ko uska aise kaam karna thik nahi lagg raha tha.
Raste me jate waqt Aksh ko Soham ka call ajata he. Aksh bike side me rok kar call pick kar leta he.
Aksh: bolna Soham...
Soham: kya bolu bhai.... Tu to kabhi khud se call karne se raha, mene socha me hi call kar lu tujhe...
Aksh: aisi baat nahi he yaar.... Wo to garage me kaam zyada tha to usme hi uljha hua tha. Khair bata tu kesa he?
Soham: me to bilkul thik hu, aja yaar ghar pe....
Aksh: are nahi me nahi asakta, aaj hi meri job lagi he. Bass wahi ja raha hu.
Soham: kya job or tu? Bhai tu thik to he na?
Aksh: are bhai me bilkul thik hu, accha me tujhe badme call karta hu aaj pehla din he or late ho jayega... Or ha Sunday ko milte he.
Soham: chal thik he, or koi zarurat ho to call karna... Bye...
Aksh: bye...
Or wo call cut kar deta he or apne raste firse chal padta he.
Aksh kuch der baad us Restaurant me pahoch jata he, Aksh ke saath ek or ladka tha jo kafi samay se ye kaam kar raha tha, wo ladka bharat ke dusre prant se yaha kaam karne ke liye aya tha. Wo ladka Aksh ko sare kaam bata deta he ke unhe kis tarah karna he.
Un dono ka kaam kuch is tarah se the.
Restaurant ka time tha 11am to 3pm uske baad 6pm to 1am or Aksh ki shift is bich je gap me shuru hoti, sabse pehla uska kaam tha ke jab restaurant 3pm ko band hoga tabb sare restaurant ki sagayi, ek kitchen jo baju me hi tha uski safayi or ek main kitchen jo upar tha uski safayi.
Or dusra kaam jab bhi koi gandagi dikhegi tabb use saaf karna, passage ko saaf rakhna, or closing ke waqt bhi pura Restaurant, kitchen or main kitchen saaf karna.
Aise hi waqt beet ta gaya, Aksh or wo ladka milkar kaam karne lagte he, lekin jab bari ati he main kitchen saaf karne ki tabb Aksh ko rona ajata he, kyu ke bhale hi ye ek shandar restaurant tha, lekin andar main kitchen ki halat bahot hi zyada gandi thi. Us gandagi ko saaf karte hue Aksh to jese apne sapno ko bhul sa gaya. Lekin apne dil me jalti chingari ne use tikaye rakha tha, raat ko 7 baje khane ki chutti ho gayi thi, wo ladka or Aksh upar tarace par agaye the khane ke liye, waha staff ke liye Daal, chawal or roti khane ke liye thi. Aksh kaam kar ke kafi zyada thak chuka tha.
Ladka: dost mujhe nahi lagta tu ye kaam kar payega....
Wo Aksh ki halat dekh kar kehta he.
Aksh: aisa kyu?
Ladka: are bhai me to padha likha nahi hu, humare yaha aise kaam ke liye to naa ke barabar paise milte he.. me to bas apna pet bharne ke liye ye kaam kar raha hu.
Aksh: me bhi to pet bharne ke liye kaam kar raha hu yaar.... Or me bhi koi zyada padha likha nahi hu.
Ladka: lekin tum ek acche ghar se lagte ho, or yahi ke rehne wale bhi ho to ye kaam kyu?
Aksh: kya karu? Bahot koshish ki lekin koi kaam hi nahi mil raha tha. Khair....
Or wo khana khane me lagg jata he, unhe sirf 20 minutes ka break milta.
pura din kaam kar ke Aksh kafi thak chuka tha, raat ke kareeb 1:30 baje Aksh or us ladke ne sara kaam khatam kar liya tha, wo ladka piche hi ek kamra kiraye par le kar rehta tha. Aksh bike par apne ghar ke liye nikal jata he. 15 minutes ke baad Aksh ghar pahoch gaya tha, uske paas ghar ki ek chabi thi jis se wo ghar ka darwaza khol deta he or andar ajata he. Aksh ab kafi bhuka tha, wo lights on karta he or Kitchen ki taraf badha hi tha ke piche se Sakshi use pukarti he.
Aksh: Sakshi.... Tu abtak Soyi kyu nahi?
Wo piche mudkar Sakshi ko jaga hua dekh kar puchta he.
Sakshi: nahi bass mujhe nind nahi arahi thi, tujhe bhuk lagi hogi na? Chal tu beth ja me khana garam kar ke deti hu...
Wo aage badhkar apne baal bandhte hue kehti he. Aksh akar Sofe par beth jata he, Sakshi kitchen se Aksh ko dekh leti he or uska chehra dekh kar Sakshi samajh jati he ke Aksh kafi pareshan he. Or samajhti bhi kese nahi agar Aksh ko sabse zyada koi samajhne wala he to pehle number par Sakshi he. Wo khana garam karne ke liye rakh deti he or ja kar Aksh ke bagal me beth jati he. Dono hi is waqt chup the, Sakshi apna haath Aksh ke haath par rakh deti he or apna sar Aksh ke kandhe par. Sakshi ke aisa karne se Aksh thoda heran ho jata he.
Sakshi: Aksh me janti hu ke tu bahot pareshan he.... Lekin tu chinta mat kar... Zindagi me aisi situation ati rehti he, aise me bass humesha apna dimag thanda rakh kar koi bhi decision lena... Or ek baat humesha yaad rakhna, bhale hi koi tere saath ho ya na ho, lekin me humesha se tere saath thi, or aage humesha tere saath hi rahungi....
Wo num akho ke saath Aksh ko hosla dete hue kehti he, Aksh ka mann uski baat sunkar kafi bhar aya tha, lekin wo apne emotions ko apne andar hi dabaye rakhta he, or apne dusra haath Sakshi ke haath par kas deta he.
Aksh: me samajh raha hu tu kya kehna chah rahi he, lekin itna jaan le, ke Aksh itna Buzdil nahi he jo koi galat kadam utha le. Bass tu humesha mera saath dena, fir dekh, ek din tujhe bhi meri behen hone par Garv hoga....
Uski baat par Sakshi bahot khush ho jati he, or uski aakh se ek asu tapak kar Aksh ke shirt par gir jata he. Wo dono hi ek dusre se alaga nahi hona chahte the, lekin tabhi Sakshi ko yaad ata he ke usne gas par khana garam hone ke liye rakha he. Wo jaldi se uthkar kitchen me chali jati he or ek thali me khana paros kar Aksh ke paas akar beth jati he. Aksh aaj kaam kar ke kafi thak chuka tha, or wo bahot hi zyada bhuka tha, to wo jaldi jaldi khana khane lagta he, Sakshi to bas use Niharne me lagi thi.
Sakshi(mann me): Deva.... Aksh par kabhi koi musibat mat ane dena, mujhe apne liye kuch nahi chahiye, bas mere Aksh ko humesha khush rakhna...
Wo bas Aksh ko dekhte hue apne mann me uske liye bhagwaan se prarthana kar rahi thi. Kuch der me Aksh apna khana pura kar leta he, fir wo dono hi apne apne kamre me ja kar so jate he, Aksh din bhar ka thaka hone se turant so jata he.
Or is tarah se inka aaj ka din nikal jata he, aaj humne dekha ke kis tarah Aksh ne Sakshi ki bunk wali baat Radha ko pata nahi chalne di or ilzam apne upar le liya, jaha humne dekha kis tarah Aksh ek aisa kaam karne ke liye razi ho gaya jisko koi bhi insan nahi karna chahega, jis tarah Sakshi ka Aksh ke liye beinteha pyaar, khud se zyada uske liye chahna, ye jatata he ke Sakshi kabhi bhi use akela nahi hone degi. Ab aage dekhna interesting hoga ke Aksh ke faisle kis hadd tak sahi rehte he.
Or ha ek nayi story bhi post kar di he, wo ek short story hogi, bas kuch dino me Complete kar dunga, thoda sa pyaar use bhi dena
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Subah subah Sakshi tayar ho kar College jane ke liye nikal rahi thi, roz ki tarah hi aaj bhi Sakshi bhagwaan se prarthana kar rahi thi, or akar bahar hall me beth jati he, Radha nashta bana kar Sakshi ko de deti he.
Sakshi: Aai, Aksh soya he kya abtak?
Wo Aksh ko waha par na dekh kar puch leti he.
Aai: ha sone do.... Der se aya tha na wo raat me?
Sakshi: ha.... Lekin wo kafi thak chuka tha...
Santosh: chalo der se hi sahi use samajh to ane laga ke jo wo soch raha he hum logo ke liye waisa karna namumkin he.
Wo apne kaam par jane ke liye nikla tha ke Radha or Sakshi ki baat sun kar wahi ruk kar kehta he.
Sakshi: kya Baba aap bhi? Aap ko sach me lagta he ke Aksh itni jaldi haar manega? Wo to bass aage ke liye Saving kar raha he.
Wo haste hue Santosh se kehti he.
Santosh: tu to kuch bol hi mat.... Use samjhane ke bajaye humesha uski tarafdari karti rehti he....
Sakshi: Baba agar wo kuch galat karega to thodi na me uski side lungi.... Aksh apni jagah par bilkul sahi he....
Radha: are aap kis se behes karne lage... Bhuliye mat ye Aksh ki hi behen he, Aksh ki sari adate isme bhi thus thus kar bhari hui he.....
Wo kitchen me se kaam karte hue Santosh se kehti he.
Santosh: sahi kaha.... Waise padhai kesi chal rahi Sakshi?
Sakshi: ekdum badhiya chal rahi he...
Santosh: Exam ki dates agayi ya nahi?
Sakshi: ha... Agle mahine se Exams hone he...
Santosh: chalo thik he, padhai par dhyan dena, or chalo me tujhe college chhod deta hu...
Sakshi: nahi Baba aap jayiye... Mujhe thodi der he College jane me...
Santosh: thik he... Me chalta hu...
Or fir Santosh apne kaam par chala jata he.
Sakshi bhi kuch der baad apne college jane ke liye nikal jati he. Jab wo bus me bethi thi tab use Neha ka call ajata he, Sakshi jaldi se call pick kar leti he.
Sakshi: ha Neha Bolo....
Neha: Sakshi me kuch din college nahi ane wali thik he?
Sakshi: kya? Lekin kyu?
Neha: are wo meri Nani ki tabiyat khafi kharab he, to hum sab abhi unke paas jane ke liye nikal rahe he...
Sakshi: ohh.... Accha thik he, sambhal kar jana...
Neha: okay.. bye..
Sakshi: bye...
Or fir wo call cut kar deti he, kuch der baad Sakshi college pahoch gayi. Class shuru hone me thoda waqt tha to Sakshi ja kar Library me beth jati he.
Waha counter par ek ladka kaam kar raha tha, or Sakshi uske kuch duri par beth kar kitab padh rahi thi. Us ladke ki nazar Sakshi par jati he or wo apne daat dikhaye Sakshi ko dekh muskuraye ja raha tha. Sakshi ki nazar achanak us ladke par padti he to wo ek pal ke liye darr si jati he.
Sakshi(mann me): Deva..... Ye Bavlat(pagal) kon he? Kitni buri tarike se dekh raha he....
Lekin wo ladka to baaz ane ko razi nahi tha.
Sakshi(mann me): iski to..... Kese ghur raha he ye, or daat to aise dikha raha he jese kisi toothpaste ki ad kar raha ho...
Wo apne mann me soch rahi hoti he or ye sochte hue Sakshi ki hasi chutt jati he. Or Sakshi ki hasi us ladke ne dekh li.
Ladka(mann me): are bhaiya..... Ye to muskura rahi he, haye... Matlab line clear he beta....
Wo Sakshi ko ek tak dekhe soche ja raha tha, ab Sakshi ko waha or betha nahi ja raha tha, to wo uthkar book shelf ke paas chali jati he or waha koi book dhund ne lagti he. Tabhi wo ladka Sakshi ke paas ajata he.
Sakshi(mann me): ahhh yaar ye Joker yaha kyu agaya?
Ladka: h...... Hi ji......
Wo bina Sakshi ko dekhe kehta he, Sakshi ka mann to use thappad lagane ka kar raha tha. Sakshi bas use gusse se dekhti he or apni book dhun ne me lagg jati he.
Ladka: mene kaha Hi ji.....
Wo Sakshi ke nazdeek ja kar dhire se kehta he.
Sakshi: tere Hi ki aisi ki taisi.... kya ghure ja raha he tu mujhe?
Wo gusse me thodi unchi awaz me us se puchti he. Lekin shayad ye ladka sar ke bal gira tha, kyu ke wo ab bhi bas hase hi ja raha tha.
Sakshi: tu pagal he? Muh band kar apna....
Uske kehne par akhir kar wo ladka apna bhayanak Hasna rok deta he.
Ladka: ji aap gusse me bahot Khubsurat dikhti ho...
Sakshi: accha? Haath me chappal le kar tujhe marte hue us se bhi zyada Khubsurat lagungi, dekhna he?
Wo apne daat piste hue kehti he.
Ladka: aap to bahdak gayi.... Hum to bas baat karne aye the...
Sakshi: baat..... Iske aage apna chehra dikhaya na to baat karne ke layak nahi chhodungi, samjha...
Wo gusse me us se kehti he or ek kitab uske sar me maar ke waha se bahar ajati he.
Ladka: ye to garam mijaz ki he.... Lekin Badi cute he....
Wo apna sar sehlate hue khud se kehta he. Or ja kar apne kaam me lagg jata he.
Sakshi(mann me): Bavlat..... Shakal dekhi he ayne me? Hasta he to kisi Joker se kam nahi lagta, Huhhh....
Wo apna muh fulaye mann me sochte hue class ki taraf ja rahi thi. Aise hi classes shuru ho jati he, or Sakshi apni padhai me lagg jati he.
Surat me ek CBI inspector jiska naam Khan tha wo apni car se kisi mission ki tayari karne ja raha hota he. Uske kaan me Bluetooth earphones lage the jis se wo CBI head Abhinav Roy se baat kar raha tha.
Khan: hello Sir....
Abhinav: Ha Khan bolo...
Khan: sir mujhe us Rana ke bare me kuch Sensitive information mili he....
Abhinav: kya?
Wo Khan ki baat sunkar heran reh jata he, kyu ke jiske bare me wo baat kar raha tha uski koi information milna next to impossible hota tha.
Khan: yes sir.... Is se hume Rana ko pakadne me asani hogi...
Abhinav: very good Khan... Tum abhi kaha ho?
Wo kafi khushi se kehta he.
Khan: Sir me abhi Office hi araha hu....
Abhinav: thik he, me tumhara intezar kar raha hu, jaldi aao...
Khan: okay sir....
Or fir wo call cut kar deta he. Khan ke Gaadi ki raftar thodi tez thi, lekin tabhi uske samne crossing se ek bada sa truck ajata he, Raftar tez hone se Khan car ko control nahi kar pata, or ja kar truck se takra jata he. Takkar itni tez hui thi ke Khan behosh ho gaya.
•
•
•
•
•
•
Khan dhire dhire hosh me araha tha, uski akhe dhire dhire khul rahi thi, jese hi wo hosh me aya to uske pero tale se zameen hi khisak gayi. Kyu ke uske samne kam se kam 40-50 log haatho me gun liye khade the, or Khan waha lachar sa zameen par gira hua tha. Tabhi Khan ke piche se ek Aadmi apne Ek haath me jalti hui cigarette, or dusre haath me dhar daar Talvar le kar samne ajata he. Wo aadmi or koi nahi balki Rana tha.
Rana Khan ke samne khada tha, tabhi ek admi Rana ke liye chair la kar rakh deta he, Rana cigarette ki ek kush lete hue chair par beth jata he. Khan use kafi gusse se dekh raha tha. Rana Talwar ka aage ka nukila hissa le ja kar Khan ke gale par rakh deta he. Khan ke haath per bandhe hone se wo kuch kar nahi pa raha tha, or agar uske haath per khule bhi hote to bhi wo kuch nahi kar sakta tha.
Rana: Khan.... Huhh... Jis se Gujrat ke bade bade logo ki Gaand fat jati he, or wo bechara mere samne lachar sa pada he. Hahaha
Wo ek shaitani hasi ke saath kehta he. Uski talwar itni dhar daar thi ke sirf Khan ke gale par rakh kar bhi waha khun araha tha.
Khan: M.... Matharchod.... Mere haath to azad kar... Fir teri bhi Gaand na fadi to mera naam bhi Khan nahi....
Wo gurrate hue Rana ki akho me akhe daal kar kehta he. Or apne ghutno par beth jata he.
Rana: accha? Dekh apni baat se mukarna nahi....
Or ye kehkar Rana khada hota he, or ja kar Khan ke piche ruk jata he. Uske sare admi samajh gaye the ke ab yaha kya hone wala he, tabhi waha Khan ki zordar chink nikal jati he.
Khan: ahhhhhh..... Ahhhhh.... Uhhhh...
Khan tadapte hue apne muh ke bal gir ke chilla raha tha, kyu ke Rana ne uska ek haath kaat kar alag kar diya. Kisi ko tadapta hua dekh kar Rana ko bahot khushi hoti thi. Khan apne dusre haath ke zariye uthne ki koshish kar raha tha Ke tabhi Rana ne ulte gire hue Khan ki pith par apna per rakh diya.
Rana: samne itne sare admi Guns le kar khade he, lekin me tujhe maar raha hu talwar se.... Kya he na, mera jo bhi dushman mere zyada paas chala ata he na, to usko aise hi tadapta hua dekh kar mera dil khush ho jata he. Hahahaha.....
Or fir Rana niche jhuk kar Khan ke baal pakad leta he or uska sar upar utha ta he.
Rana: Mr. Khan..... Abhinav se hi milne ja raha tha na tu? Khair.... Tu Abhinav ke paas to zarur pahochega, lekin tu us se baat nahi kar payega.... Pata he kyu?
Ye kehte hue wo Khan ka sar chhod deta he, or apni talwar se Khan ka dusra haath bhi kaat deta he.
Khan: ahhhhhhh......... Uhhhh.... N....... Na..... Nahi.... Ba.... bachega...... kabhi na..... Kabhi.... To.... Ahhhhh
Wo apni dard bhari tuti awaz me Rana se keh raha tha, lekin tabhi Rana apni Talwar sidhi Khan ke sar ke piche se ghusa deta he, jis se ab Dhire dhire khan ki saase tham rahi thi. Lekin Khan ki akhri saas lene se pehle Rana uska Gala hi alag kar deta he. Is tarah Rana ke haath se ek or jabaz jisne Rana ke khilaf jane ki koshish ki mara gaya. Or uske saath saath wo sabut bhi.
Rana: Huhhh.... Ab jayega tu Abhinav ke paas..... Abhinav.... Tu tere jabaz mujhe dhund ne me laga te ja, or me unko aisi hi dard naak maut deta jaunga.. hahahaha.....
Wo zor zor se haste hue kehta he, fir ek aadmi Rana ko cigarette de deta he, or Rana maze me apni cigarette pine lagta he.
Yaha CBI Headquarters me Abhinav apne cabin me besabri se Khan ka intezar kar rah tha. Lekin tabhi ek inspector bhagte hue Abhinav ke cabin me ajata he.
Inspector: Boss..... Boss......
Abhinav: kya hua?
Inspector: Boss.... K...... Khan Sir......
Abhinav: kya hua? Khan kya?
Inspector: sir Parking me.... Khan sir ki gadi buri halat me mili, or usme Sir.... Ki.... Laash tukdo me thi....
Uski baat sunkar Abhinav hakka bakka reh jata he, or dono jaldi se Parking area me chale jate he. Abhinav Khan ki laash ke tukde dekh kar apne Asu rok na paya, kyu ke Khan jese jabaz Inspector ko khona CBI ke liye badi dukh ki baat thi.
Abhinav: Rana..... Ye sab tera hi khel he na? Lekin bass tu dekh.... Khan ki Qurbani zaya nahi jayegi.... Katayi nahi jayegi....
Subah ke kareeb 11 baje hue the, Aman subah hi kuch Meeting ke liye ghar se bahar chala gaya tha, Kiran upar Mansi ke kamre me chali jati he. is waqt Mansi apne kamre me, ya ye kehna galat nahi hoga ke kisi mehel jese uske kamre me soyi hui thi. Kal uska 18th birthday tha or kal party ki wajah se Mansi der raat soyi thi. Kiran Mansi ke paas ja kar beth jati he.
Kiran: Mansi..... Beta utho.... Kab tak sona he tumhe?
Wo Mansi ke mathe par pyaar se haath ferte hue kehti he. Apni Maa ke sparsh se Mansi turant jaag jati he. Or Jaldi se Kiran ko kaskar hug karti he.
Mansi: Good Morning Mom.....
Kiran: konsi Good Morning he ye? Time dekho....
Mansi jaldi se ghadi par nazar dalti he to uske chehre ke haaw bhaw hi badal jate he.
Mansi: ohh No.... Mom aapne mujhe jagaya kyu nahi, mujhe Dad ke saath jana tha Vadodara....
Wo roti hui shakal banate hue apne haath per patak kar Kiran se kehti he.
Kiran: Are are.... Me to ek baar ayi thi tumhe jagane, lekin tum to jagi hi nahi, tumhare Dad bhi aye the, lekin tumhe sone se fursat mile tabb na....
Wo Mansi ko shant karate hue kehti he, Mansi chup to ho gayi lekin wo kafi udas si lagg rahi thi.
Kiran: Ab aise mujhse ruth kar mere din ki Shuruwat karogi Mansi tum?
Wo Mansi ke gaal kinch te hue puchti he.
Mansi: me aapse gussa nahi hu...
Kiran: to fir?
Mansi: me Dad se gussa hu.... Pichle tin dino se keh rahi thi na me ke mujhe bhi unke saath jana he, or wo akele hi chale gaye. Ab ane do unhe....
Wo apna muh fulate hue bade hi gusse me kehti he.
Kiran: accha baba.... Ab ye gussa chhodo or jaldi se fresh ho kar niche ajao....
Mansi: okay....
Or fir Kiran niche chali jati he. Mansi uth kar fresh ho jati he or kapde pehen kar niche Breakfast karne chali jati he. Aaj Mansi ko dekh kar to koi bhi apna kaleja nikal kar uske samne rakh deta.
Mansi ne is waqt half Sleeve, Cropped T-shirt or blue jeans pehni thi, jisme wo baot hi Khubsurat lagg rahi thi. Mansi breakfast karne chali jati he, or Kiran uske saatah hi bethi hui thi.
Kiran: accha Mansi.... Kal tumne bilkul padhai nahi ki he, aaj bilkul padhai miss nahi karni...
Wo Mansi ko ungli dikhate hue kehti he.
Mansi: ummm... Mom... Aaj to meri azadi ka din he, or aap chahti he ke me band kamre me padhai karu?
Kiran: azadi? Ye kya keh rahi ho Mansi?
Mansi: ab ne 18 ho gayi hu, matlab me Drive karne ke liye Legal hu na? To aaj me ji bhar ke apni pyari pyari cars chalungi.....
Wo bahot hi khushi se kehti he.
Kiran: Mansi, tumhe ye chuttiya padhai karne ke liye mili he.....
Mansi: are to kar lungi na padhai.... Don't worry... Or me ja rahi hu ab...
Wo chair se uthkar Aage badhte hue kehti he.
Kiran: are ruk jao, me bhi ati hu tumhare saath...
Wo Mansi ke piche jate hue kehti he.
Mansi: No.... Me akeli jaungi....
Kiran: beta....
Mansi: mujhe kuch nahi sunn na... Me akeli jaungi.... Akeli hi jaungi.....
Wo gusse me apne per patakte hue kehti he. Ab Mansi ki zidd ke aage Kiran chup pad jati he.
Kiran: thik he... Thik he.... lekin Slow speed me drive karogi tum okay?
Wo Mansi ko ungli dikhate hue puchti he.
Mansi: Mom... Ye Sport car 20 ki speed se chalau fir? Kya aap bhi.... Me dhyan rakhungi na...
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Kiran: accha thik he... Or jaldi ajana ghar...
Wo Mansi ke sar pe haath ferte hue kehti he, Fir Mansi Main door ke bahar ajati he jaha 5-6 Cars Ready To Drive khadi thi. Mansi in me se apni favorite car, Maserati choose karti he, Mansi ko bahar ata dekh Driver turant uske paas chala ata he.
Mansi: Uncle aaj me akeli jaungi.... Mujhe is car ki Chabi dijiye na....
Wo Driver ko rokte hue kehti he.
Driver: lekin sahab ne mana kiya he na aapko akele car chalane se...
Mansi: wo to pehle ki baa ho gayi na... Now I'm Legal to Drive... Please jaldi se car ki chabi de dijiye na...
Fir Driver use Car ki chabi de deta he. Mansi badi utsukt thi, wo jaldi se car me beth kar gadi start kar ke bahar chali jati he. Aaj Mansi bahot khush thi, wo sabse pehle apni Friend Anu ke ghar chali jati he.
Anu: Aao Mansi andar....
Wo door open kar ke samne Mansi ko dekh kar kehti he.
Mansi: Are andar nahi.... Bahar chalo....
Wo Anu ka haath pakad kar bahar khinch te hue kehti he.
Anu: are ruk to jao... Mom ko to bata dene do...
Mansi: ahh... Thik he jaldi...
Fir wo dono ghar ke andar chali jati he.
A. Mom: are Mansi... Ajao betho....
Wo Mansi ko ghar me ata dekh kehti he.
Mansi: nahi nahi Aunty..... Me to aapki beti ko le jane ayi hu...
A. Mummy: accha? Or kaha le jana he use? Exam arahi he tum logo ki, or....
Mansi: Aunty kyu chinta karti ho aap? Anu padhai kare ya na kare... Use to accha ladka hi milega... Or waise bhi, College me ladke pagal ho jate he Anu ko dekh kar....
Anu: Mansi... Kuch bhi mat bola karo tum....
Wo akhe badi karte hue gusse me Mansi se kehti he.
A. Mom: accha? Fir to tum par bhi kitne hi Aashiq fida honge....
Mansi: hmmm... Wo to he... Lekin me tthehri Virani Industries ki hone wali CEO or CEO ko is pyaar vyaar ke chakkar me nahi padna chahiye...
Wo bade hi taav ke saath Anu ki Mom ke paas ja kar kehti he.
A. Mom: accha? Bahot badi badi baate karti ho tum to?
Wo Mansi ka kaan pakadte hue kehti he.
Mansi: ahhh... Ab jane bhi dijiye na Aunty....
Wo apna kaan chhudate hue kehti he.
A. Mom: okay jao... Lekin jaldi ajana ghar..
Anu: okay Mom... Chale Mansi?
Fir wo dono hi Car me beth kar nikal jati he.
Wahi dusri taraf Karim ka Garage aaj band tha, to Aksh ko Garage nahi jana tha. Wo fresh ho kar nashta kar leta he or wo hall me betha tha ke Radha uske paas ajati he.
Radha: Aksh.... Ye le, ghar ka kuch saman he market jakar le aa....
Wo Aksh ke haath me Saman ki list or kuch paise thama te hue kehti he.
Aksh: thik he Aai.. abhi lata hu...
Radha: or ye bhi rakh.....
Wo Aksh ko kuch or paise dete hue kehti he.
Aksh: ye kis liye?
Wo bina paise haath me liye puchta he.
Radha: apne liye naye kapde kharid lena, or kuch paise rakhna bacha kar...
Aksh: nahi ayi... Mujhe nahi chahiye paise....
Radha: dekh teri aisi harkato se mujhe gussa ata he...
Aksh: are Aai mere paas he kuch paise, or....
Radha: tu le raha he ya nahi?
Wo gusse me Aksh ki baat kaat te hue puchti he.
Ab Aksh apni zidd chhod kar Radha se Paise le leta he, or sabse pehle Market ja kar Radha ne di list ka sara saman le leta he, wo jab ghar lauta to usne dekha ke Sakshi ke college chhutne ka waqt ho gaya he, Aksh sara saman Radha ko de kar Sakshi ko lene chala jata he. Kuch der baad wo college pahoch gaya college abtak chuta nahi tha, to wo bike par hi intezar karta raha, kuch der baad College ki chutti ho jati he, Sakshi bahar arahi thi jese hi wo College ke gate tak pahochi to usne paya ke Aksh samne khada he. Sakshi tezi se uske paas chali jati he.
Sakshi: Aksh... Tu yaha kya kar raha he?
Aksh: tujhe lene aya hu or kya?
Wo bike start karte hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: hmm... Aaj Garage nahi gaya tu?
Wo Aksh ke piche beth te hue us se puchti he.
Aksh: aaj Garage band tha, to socha tujhe hi lene ajau...
Or fir wo bike aage badha deta he. Kuch duri par ane ke baad Aksh gadi ko ghar ke raste se opposite bike mod deta he.
Sakshi: ye kaha le ja raha he?
Aksh: market...
Sakshi: market? Kyu?
Aksh: kapde kharidne he, Aai ne paise de kar kaha tha Kapde kharid ne ke liye...
Sakshi: thik he...
Or fir kuch der baad dono market pahoch jate he, Aksh bike ko ek jagah park kar deta he or dono market me chal padte he. Aksh ek kapde ki dukan dekh kar us taraf chal padta he.
Sakshi: oye... Yaha ladies kapde he, kam dikhayi de raha he tujhe?
Wo Aksh ko rokte hue, uska haath pakad kar kehti he.
Aksh: ha to sahi jagah ja raha hu, tu kya ladko ke kapde pehnegi?
Sakshi: Aai ne ye paise tujhe kapde lene ke liye diye he, mujhe nahi.....
Aksh: to tu mujhse alag thodi na he....
Wo muskurate hue Sakshi se keh kar aage badh jata he. Lekin uski baat se Sakshi bas use jata dekh rahi hoti he.
Aksh: kya hua, ruk kyu gayi?
Wo Sakshi ko ek jagah khada dekh kar puchta he.
Sakshi: h... Ha... Ha... Ayi....
Wo hosh me ate hue kehti he or aage ko badh jati he.
Dono us shop me kapde dekhne lagte he, Sakshi jeans, t-shirt, aisa kuch nahi pehenti thi, wo to basb Salwar kameez, punjabi dresses etc. pehenti thi. Aksh uske liye 3-4 dress pasand karta he, Sakshi use mana kar rahi thi ke itne sare dress na le, lekin usne zidd karte hue Sakshi ke liye dress kharid hi liye.
Sakshi: tu pagal he Aksh? Itne sare dress lene ki kya zarurat thi?
Jab dono shop se bahar ate he tabb Sakshi us se puchti he.
Aksh: are yaar tu chup kar...
Sakshi: ab itne se me tere liye Kya kharidega?
Aksh: mujhe bass ek Shirt or Pant leni he...
Sakshi: sirf ek jode me kya hoga?
Aksh: are me din me Garage me hi rehta hu, waha kaam karte waqt kapde kharab hote he isliye Garage ke hi kapde pehenta hu, or job par bhi unke alag kapde he, kya karu zyada kapde kharid kar?
Sakshi: sachme pagal he tu huhhh....
Fir dono Aksh ke liye bhi kapde kharid lete he.
Dono apni shopping kar ke ghar laut rahe the, Sakshi piche bethe bass kisi khayalo me gum si thi. Ab wo kya soch rahi thi ye to wo khud jane. Ab yaha ghar jane ks raste par raaste ki marammat chal rahi thi, to Aksh bike dusri taraf se le leta he, wo dono is waqt usi raste se ja rahe thw jaha se wo bachpan me School se ghar jate the. Aksh ko ped ke niche wahi gole wala nazar ata he.
Aksh: Sakshi.....
Sakshi: ha... Ha kya hua?
Wo apne khayalo se baar ate hue puchti he.
Aksh: Gola khana he?
Wo bike ko Gole wale se kuch dur pehle hi ruka kar Sakshi se puchta he. Us Gole wale ko dekh kar Sakshi ko apna bachpan aakho ke samne nazar ane lagta he or uske chehre par ek pyari si muskurahat ajati he. Aksh piche mudkar Sakshi ko dekhta he to use jawab mil gaya. Dono hi waha ruk kar Gola khane lagte he, Aaj itne saalo baad dono yaha aye the, Sakshi aaj bahot hi zyada khush dikh rahi thi, Aksh use Gola khate hue khush hota dekh kar sukoon sa mehsus kar raha tha.
Sakshi: Thanks Aksh... Thank You So Much.....
Wo dono Gola kha kar bike ki taraf ja rahe hote he tabb Sakshi Aksh se kehti he or use bich raste me hi Hug kar leti he. Sakshi ke hug karne se Aksh ki dhadkane ekdum tez ho gayi thi. Wo apne Haath Sakshi ke sar pe le jata he or uska sar sehlata he. Lekin Sakshi ne Aksh ki tez chalti dhadkane mehsus kar li thi, fir Sakshi Aksh se alag ho jati he. Dono bike par beth kar ghar chale jate he.
Thodi der baad Aksh apne Kaam par ja raha hota he, lekin pehle wo Sakshi ke kamre me chala jata he jaha Sakshi apne Exams ki preparation kar rahi thi.
Sakshi: Aksh... Kya hua?
Wo Aksh ko apne kamre me ata dekh puchti he.
Aksh: Me kaam par ja raha hu, or aaj ek party he to ho sakta he mujhe ane me late ho jaye, tu kal ki tarah jagna mat, so jana....
Sakshi: are... Wo... Wo... Kal to me.. mujhe nind nahi arahi thi, isliye jagi thi me...
Wo hadbadate hue Aksh se kehti he lekin Sach baat to ye thi ke wo kal raat Aksh ke liye hi jagi thi.
Aksh: huhhh.... Jhut nahi bol pati tu, rehne de... Or so jana.....
Wo haste hue Sakshi se kehta he or apne kaam par chala jata he.
Sakshi(mann me): Bavlat.... Lekin me kya karu? Tujhe dekhe bina mera Dil ghabra sa jata he.... Deva... Aksh ki humesha Raksha karna.....
Wo apne mann me soche ja rahi thi, fir wo apni padhai me lagg jati he. Aise hi dhire dhire Suraj dhalne lagta he.
Sham ke 5 baje hue the, Sakshi mann laga kar apne kamre me padhai kar rahi thi ke tabhi Radha uske kamre me ajati he.
Radha: Sakshi.. ye le kuch paise... Or apne liye kapde kharid le...
Wo Sakshi ko paise dete hue kehti he.
Sakshi: Aai mene to aaj hi 4 dress kharide he...
Radha: kya?
Sakshi: ha... Aksh ne le kar diye mujhe...
Radha: Aksh ne? Or usne apne liye kuch nahi liya?
Sakshi: usne to bass ek Shirt or Pant le li, ye kehkar ks Garage me kapde kharab hote he to waha Garage ke hi kapde pehenta he, or uske Job ke bhi kapde alag he...
Radha: Deva.... Ye ladka bhi na? Kuch samajh nahi ata iska....
Wo apne mathe par haath marte hue kehti he.
Radha: ek kaam kar... Ye paise le, or Aksh ko de dena... Meri to baat manega nahi... Teri sune to thik...
Wo Sakshi ko pause dete hue kehti he. Sakshi bhi Radha se Paise le leti he.
Sakshi(mann me): paise to wo mujhse bhi nahi lega... Khair dekhti hu kal....
Sakshi paiso ko apne purse me rakh kar firse padhai me lagg jati he.
Aaj Restaurant me kafi badi party thi, to Aksh ko aaj kafi kaam hone wala tha, shaam ko 8 baje wo party shuru ho jati he. Aksh or uske saath kaam kar rahe ladke par kafi load tha, wo ladka to kafi waqt se ye kaam kar raha tha to use zyada farak nahi padta, lekin Aksh ki halat kafi kamzor si ho gayi thi. Aksh ko kaam pura karne me raat ke 2:30 baj gaye the. Wo thak haar kar ghar ajata he or khana garam kar ke kha kar so jata he.
Is tarah aaj ka din nikal jata he, jaha humne Sakshi or Aksh ke chote se hi, lekin bahot hi pyare moments dekhe, jaha humne kahani se jude kuch naye kirdar bhi dekhe, dosto kahani ka har kirdar apni jagah par ek ehem role karne wala he. Or aage bhi in sabke aas paas kahani chalegi.
Or dosto, me ek baat clear kar du ke CBI or ye sab padhkar aap ye mat soch lena ke Aksh koi CBI me join hoga ya kuch, aisa kuch nahi he, Aksh ka vision sirf business par hi he or rahega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Abhinav: Bol..... Bol Matharchod..... Rana kaha he? Bol.....
Raat ke 3 baje hue the, or Abhinav is waqt kisi aadmi ko chair se bandh kar, use buri tarike se maar raha tha, lekin is maar ka asar us Aadmi par shayad nahi ho raha tha, kyu ko wo to Abhinav ke har maar ke baad Muskurate hue use dekh raha tha.
Abhinav: has le..... Tujhe jaan se nahi marunga.... Jabtak tu mujhe kuch batayega nahi, tabtak teri Ruh tak ko tadpa dunga me....
Wo gusse me us aadmi ke baal khinch kar apne daat piste hue kehta he.
Aadmi: t...... Tu.... k... kuch.... bhi.... Kar le..... M... Me B...Boss ke... Bare me.... Kuch... Nahi bataunga....
Wo apni tuti futi awaz me Abhinav se kehta he.
Abhinav: jesi Teri marzi....
Fir Abhinav paas me pada chaku utha leta he or sidha us aadmi ka kaan kaat deta he. kamre me sirf uss aadmi ki dardnak chinkhe gunj rahi thi. Wo dard ke mare tadap raha tha, Abhinav uske kate hue kaan ko uske hi muh me thus deta he.
Abhinav: Matharchod..... Le.....
Or wo us aadmi ka muh band karne ke liye uske muh par kapda bandh deta he.
Is waqt wo aadmi sirf jhapat raha tha, kyu ke uske muh me khud ka kaan tha.
Abhinav: tujhe kya laga, sirf Rana hi darindagi kar sakta he? To sunn le... Me bhi uska baap hu, or ab to tere saath Darindagi ki Shuruwat ki he mene, jabtak mujhe kuch batayega nahi, aise hi Darindagi karta rahunga....
Abhinav us aadmi ka gala zor se dabate hue kehta he. Us aadmu ke muh se kapde ke zariye ab khun nikal raha tha. Abhinav use jhatke se chhod kar kamre se bahar chala jata he.
Subah Sakshi college jane ke liye tayyar thi, wo Radha se kehkar Ghar se bahr ajati he, or bus me bethkar college chali jati he, waha par Neha uska pehle se hi intezar kar rahi thi.
Sakshi: kab ayi tu Neha?
Wo Neha ke paas ja kar usko achanak yaha dekh puchti he.
Neha: kal raat me hi agaye the hum...
Sakshi: to mujhe bata to diya hota...
Neha: chhod na Sakshi.... Mera to bilkul mann nahi lagg raha he...
Wo udasi se Sakshi ke haath chhod kar kehti he.
Sakshi: are... Tujhe kya ho gaya? Humesha masti karti rehti he or ab... Kya baat he Neha? Mujhe bata to....
Neha: ab kya kahu? Hum naani ko dekhne ke liye gaye the na...
Sakshi: ha to?
Neha: ab hum 2 din waha rahe the, nani to thik ho gayi, lekin fir waha sab logo ne mujhe gher liya...
Sakshi: gher liya Matlab? Me kuch samajhi nahi, Saaf saaf bata na kya hua?
Neha: are yaar un sabne mere rishte ki baat ki he...
Sakshi: kya?
Neha: ha.... Or keh rahe he ke next month Engagement kara denge....
Sakshi: ye.. ye kya keh rahi he? Or padhai?
Neha: nahi nahi... Sab log keh rahe he ke abhi Engagement kara denge, Shadi meri padhai khatam hone par hogi.....
Sakshi: accha? To ab....
Neha: kya ab? Mujhe nahi karni koi shadi wadi....
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Sakshi: are Shadi to padhai khatam hone ke baad karne ka keh rahe he na?
Neha: lekin mujhe us ladke se shadi nahi karni...
Sakshi: kyu? Wo ladka accha nahi he?
Neha: waisi baat nahi he.... Wo... Darasal... Me....
Wo aage kuch bol nahi pati or hadbadane lagti he.
Sakshi: kya ho gaya tujhe?
Neha: Sakshi.... Me sach kahu to.... Me.... Me Aksh ko pasand karti hu.....
Wo Sakshi ke haath thamkar kehti he. Lekin Neha ki baat se Sakshi ko thoda bura lagta he.
Sakshi: now enough ha Neha..... Mene tujhe hazar baar kaha he, lekin tu manti kyu nahi he?
Wo sakht lehze me Neha se kehti he. Or apne haath us se chhuda leti he.
Neha: yaar Sakshi... Me bachpan se Aksh ko janti hu, wo baki ladko ki tarah bilkul nahi he, wo.... Wo alag hi he....
Sakshi: kuch nahi janti tu Aksh ke bare me.....
Wo gusse se unchi awaaz me Neha se kehti he.
Sakshi: tu nahi janti Aksh ko, use Samajhna tere bass ki baat nahi he, to behtar yahi hoga ke tu Aksh ke bare me bhul ja......
Is baar Sakshi ki awaz bahot unchi thi, jis se aas paas ke Students bhi use dekh rahe the, lekin Sakshi to bahot hi gusse me Neha se keh rahi thi, Neha bhi Sakshi ke gusse se sehem jati he, or uski aakho se Asu ane lagte he, tabb ja kar Sakshi ko ehsas hota he ke usne Gusse me kuch zyada hi bol diya. Sakshi jaldi se Neha ke Aasu pochne lagti he or apne kaan pakad kar us se maafi mangti he.
Sakshi: N.... Neha.... I'm Really Sorry.... Please... lekin.... Lekin me nahi chahti ke tu Aksh se jud kar apni Zindagi ek anjan raste par le jaye.... Neha wo humesha meri nazro ke samne raha he, me use janti hu, wo is waqt puri tarah se kahi khoya hua he, tu use wapis nahi la payegi....
Wo Neha ke haath apne hatho me thamkar kehti he. Sakshi: Neha Aksh ko kisi aise insan ki zarurat he jo uska har kadam par saath de sake, uske mijaz ko samajh sake, use is andhere se bahar la sake, na ke khud is andhere me kho jaye.... Or me apni dost ko Aksh ki akeli duniya me khota nahi dekhna chahti Neha....
Ye baat kehte waqt Sakshi ro padti he, ab Neha Sakshi ki baat ko acche se samajh chuki thi.
Neha: Sakshi..... Yaar tu rone kyu lagi?
Sakshi: to kya karu Neha? tu nahi janti me har pal Aksh ke bare me chintit rehti hu, mujhe har pal bass dar laga rehta he ke pata nahi Aksh kab kya kar de... ab tu hi bata, ye sab jante hue bhi me kese tujhe is daldal me jane du?
Neha: Sorry yaar Sakshi.... Me samajh gayi hu... Mene to Aksh ko bas upari tarike se dekha he, lekin tu uski nas nas se waqif he. Really Sorry yaar Sakshi...
Wo Sakshi ki Ansu saaf karte hue kehti he. Lekin ab mahol kafi bhari ho chuka tha, Sakshi ro to nahi rahi thi, lekin wo kafi udas si dikh rahi thi. Neha ab mahol ko halka karne ki sochti he.
Neha: waise Sakshi ek baat kahu?
Sakshi: kya?
Neha: Aksh ko na tere jesi Ladki hi milni chahiye....
Uski baat par Sakshi sharma si jati he.
Neha: ek minute, Ek minute.... Kahi aisa to nahi na ke Aksh ko dusri ladkiyo se dur rakh kar tu khud uspar dore daal rahi he?
Usne mazak mazak me ye baat keh di, lekin ispar Sakshi ka muh khula ka khula hi reh jata he.
Sakshi: tu.... Tu.... Neha.... Pagal he tu? Kuch bhi.....
Wo hadbadate hue Neha se kehti he.
Neha: are baba chill, me to mazak kar rahi thi, ab chal jaldi, class shuru hone wali he...
Fir wo dono hi apni class me chali jati he, lekin Sakshi ka aaj padhai me dhyan lagg hi nahi raha tha.
Wahi Aksh der tak sota raha, aaj uske kaam ka week off tha. Or aaj wo Garage bhi nahi jane wala tha. To Radha ne bhi use sone diya. subah 10 baje Aksh ki aakh khulti he. Wo fresh ho kar breakfast kar leta he or apne kamre me beth kar koi book padhne ki koshish kar raha hota he, lekin usne lagbhag waha rakhi sari kitabe padh li thi.
Aksh(mann me): yaar.... Ab konsi book padhu me? Ek kaam karta hu, Sakshi ke college chala jata hu, kafi badi library he waha, koi na koi dhang ki book to mil hi jayegi waha, or waise bhi Sakshi ka break ka waqt hone hi wala he....
Or fir Aksh apni bike par Sakshi ke college chala jata he. Ab ye ek Governmental college hone se waha security ka itna issue nahi tha, to Aksh bike sidha andar le ja kar park kar deta he or Sakshi ko call laga deta he.
Waha Sakshi Neha ke saath canteen me gumsum si bethi thi, phone ki ringtone ne Sakshi ko hosh me laya, Sakshi dekhti he ke call Aksh ka he, wo jaldi se call pick kar leti he.
Sakshi: h.... Hello...
Wo hadbadate hue Aksh se kehti he.
Aksh: Sakshi me tere college aya hua tha, mujhe library se ek book chahiye thi....
Sakshi: accha? Kaha par he tu is waqt?
Aksh: me to yaha bike park kar ke ruka hu....
Sakshi: thik he tu ruk... Me abhi ayi waha...
Aksh: okay....
Or wo call cut kar deta he.
Sakshi: Neha... Me bas abhi ayi, Aksh ko milkar....
Wo foran apni jagah se uth te hue kehti he.
Neha: to chal na me bhi ati hu, akeli kya karu yaha?
Sakshi: accha chal....
Fir wo dono Aksh ke paas chal padte he. Dono Aksh ke paas agaye the, fir Sakshi Aksh ko le kar library ki taraf chal padti he.
Neha: kya Aksh tu to ab baat bhi nahi karta, kabhu ghar aau to ghar oe nahi hota, kya ho gaya he?
Wo library ki taraf jate hue Aksh se puchti he.
Aksh: aisi baat nahi he... Wo kaam me fasa rehta hu to....
Wo bina Neha ki taraf dekhe hi kehta he.
Neha: accha? Or sab thik chal raha he na?
Wo dono aapas me yaha waha ki bate karne lagte he, lekin Sakshi tirchi nazro se Neha ko dekh rahi thi. Library me akar wo log Aksh ki batayi kitab dhund ne lagte he. Sakshi ek taraf ja kar kitab dhund rahi thi, or Neha, Aksh ek taraf.
Sakshi ka pura dhyan book ko dhund ne me laga tha, lekin koi tha jiska dhyan Sakshi par hi tha. Or wo kou nahi balki us din wala ladka hi jo Sakshi se baat kar raha tha. Wo aaj bhi apne daat bahar nikale Sakshi ko dekhe ja raha tha, or shayd aaj ka din uske liye kharan tha kyu ke Aksh ki nazar uspar padti he. Aksh dekhta he ke wo ladka Sakshi ko ghur raha he, to Aksh ja kar uske bagal me khada ho jata he. Lekin us ladke ko kou khabar hi nahi thi ke uske bagal me koi akar ruka he, achanak se uska dhyan tut jata he or wo apne bagal me Aksh ko dekhta he.
Ladka: ji kahiye....
Aksh: kya ghur raha he tabse?
Ladka: kisko?
Aksh: Sakshi ko?
Wo Sakshi ki taraf ishara karte hue puchta he.
Ladka: ohh wo.... Kyu, he na badi cute?
Wo muskurate hue Aksh se puchta he.
Aksh: bhosdike daat andar kar le warna tere daat nikal kar teri gaand me daal dunga.....
Uski baat sunkar us ladke ki sari hasi gayab ho jati he.
Ladka: bhaiya ji... Aap jante ho kya use? Girlfriend he aapki?
Ispar Aksh kafi gussa ho jata he. Lekin mahol dekh kar wo shant rehta he.
Aksh: Agar wapis se uski taraf dekha bhi to teri maa chod kar rakh dunga me samjha chutiye?
Wo is ladke ke kareeb ja kar kehta he, jis se us Ladke ki bhi fat ke haath me ajati he. Tabhi Sakshi Aksh ne batayi kitab le kar uske paas ajati he.
Sakshi: Aksh... Ye le.. mil gayi ye kitab....
Wo kitab ko Aksh ke haatho me dete hue kehti he. Fir wo tino bahar ajate he. Aksh book le kar ghar chala jata he, Sakshi or Neha apni class me ja rahi thi.
Neha: waise Sakshi, wo library wala ladka tujhe kabhi dekh raha tha kya?
Wo class ki taraf jate hue Sakshi se puchti he.
Sakshi: ab kya batau? Usdin se hi kisi ullu ki tarah ghure ja raha he wo bavlat..... Lekin tujhe kese pata?
Neha: are ab dekhna... Aage se wo kabhi tujhe nazar utha kar bhi nahi dekhega....
Sakshi: me kuch samajhi nahi.....
Neha: are agar usne tujhe dekha to uski Maa chud jayegi.....
Sakshi: Neha.... Ye kya.....
Wo gusse me Neha ko aakhe dikhate hue kehti he.
Neha: are mujhe kyu gusse se dekg rahi he, ye to Aksh ne us se kaha tha.
Sakshi: kya?
Neha: sahi suna....
Fir Neha use Aksh or us ladke ke bich hui sari baate bata deti he.
Neha: ab pata chala kyu mujhe pasand he Aksh... Bina dare kisi se bhi bhid jata he wo....
Sakshi(mann me): Aksh... Bavlat.... Itni gandi gandi baate karta he tu? Ruk ghar akar dekhti hu....
Wo apne mann me sochte hue class me chali jati he or baki ke lectures bhi shuru ho jate he.
Dusri taraf Mansi apne kamre me padhai kar rahi hoti he, aaj subah se wo padhai me gum thi. Aman bass abhi abhi Vadodara se laut aya tha. Wo sabse pehle Mansi se milne uske kamre me chala jata he, kyu ke Mansi uspar kafi gussa thi, or Mansi ne Aman se call par bhi baat nahi ki thi, Aman jese hi Mansi ke kamre me aya to usne dekha ke Mansi mann laga kar padh rahi he, wo dhire dhire Mansi ke piche chala jata he.
Aman: hmm.... Are Mansi, Kiran ne mujhe bataya ke tum aaj Subah se padh rahi ho?
Uski awaz sunkar Mansi koi response nahi deti, or apni padhai me hi lagi rehti he.
Aman samajh gaya ke Mansi itni asani se nahi manegi, tab wo apna sab se asar dar hatyar use karne ki sochta he. Or wo tha Mansi ki favorite Gujarati Sweet Dish Mohanthal, Aman Mohanthal ka dibba aage kar ke uska dhakkan khol deta he, jis se Mohanthal ki khushbu bhi azad ho jati he, Mansi ko jese hi ye Sugandh ayi to uski khushi ka thikana hi nahi raha. Or wo jhatt se piche mudkar Aman se wo dibba lene ko hoti he lekin Aman dibbe ko Mansi se dur le jata he.
Mansi: kya? Dibba do mujhe....
Aman: tum to mujhse naraz ho na?
Mansi: ha... Me naraz hu aapse, lekin iska Mohanthal se koi lena dena nahi he, do mujhe jaldi.....
Wo apni chair se uthkar Aman ki taraf badhte hue kehti he, lekin Aman ja kar sofe ke piche khada ho jata he.
Aman: are itni kya jaldi he tumhe? Pehle ye batao naraz ho tum mujhse?
Mansi: Bilkul Naraz nahi hu.... Ye lo me apne kaan pakad kar mafi mangti hu, Sorry... Sorry... Sorry.... Lekin please mujhe Mohanthal de dijiye....
Wo apne kaan pakad kar roti shakal banate hue kehti he.
Aman: pakka?
Mansi: ha pakka naraz nahi hu,
Aman: fir thik he....
Or Aman Mansi ke samne akar use apne Haatho se Mohanthal khila deta he. Jis se Mansi to ek alag hi duniya me chali jati he. Bas kuch seconds me hi Mansi sari mithai khatam kar deti he.
Mansi: lekin aapne Galat kiya mujhe apne saath na le ja kar....
Aman: me to aya tha tumhe jagane, lekin tumhe sota dekh mera mann nahi kar raha tha tumhe nind se jagane ka....
Mansi: Next time aisa kiya to dekh lena....
Wo Aman ko ungli dikhate hue kehti he.
Aman: thik he My Princess.... Age se aisa nahi hoga...
Wo Mansi ko hug karte hue kehta he. Or fir kafi der tak Dono baap beti bate karte he.
Wahi Sakshi or Neha ghar jane ke liye nikal rahe the ke tabhi Sakshi ko yaad ata he ke use ek kitab Library me rakhni he. To wo Neha ko bhi apne saath le jati he. Ab firse wo ladka wahi par mojud tha, lekin is baar Sakshi ko dekh kar wo turant apni nazre nichi kar leta he. Sakshi book Shelf ke paas chali jati he or wo ladka bhi uske piche hi waha chala jata he.
Ladka: wo... Me aap se maafi mangne aya tha.... Sorry ji....
Wo sar niche kiye hi Sakshi se kehta he.
Sakshi: it's Okay....
Ladka: waise aapke Boyfriend to bahot hi zyada bhadakte he....
Ye sunkar Sakshi gussa ho jati he.
Sakshi: tu..... Apni zuban sambhal kar baat kiya kar... Wo mera bhai he...
Wo apne daat piste hue kehti he, lekin Sakshi ki baat se wo Ladka khush ho jata he or Sakshi ko dekhne lagta he.
Ladka: kya? Ye to sahi he.... Matlab meri line clear hi he.....
Wo muskurate hue Sakshi se kehta he, Sakshi uski baat se kafi gussa ho jati he or bina use kuch kahe aage badhti he, lekin tabhi Sakshi ruk jati he or piche mudkar us ladke ke paas jati he.
Sakshi: sahi kaha tha Aksh ne.... Chutiya....
Wo gusse se unchi awaaz me keh kar tezi se Library ke bahar ajati he.
Ladka(mann me): baap re.... Ye bhai behen to khatarnak he, inse dur hi rehna thik he....
Neha: hahahaha.... Yaar Sakshi tu na kamal he... Ekdum sahi kiya tune.... Hahaha...
Wo bahar akar zor zor se haste hue Sakshi se kehti he. Lekin a Sakshi ko gali de kar guilty sa feel ho raha tha.
Sakshi: Yaar Neha ab tu hasna band kar.... Ek to pata nahi mene kese.... Ahhhh....
Neha: yaar Sakshi itna to chalta hi he, kyu tension le rahi he. Chill kar na....
Wo Sakshi ke kandhe par haath rakhte hue kehti he.
Neha: waise mujhe us ladke ki ek baat sahi lagi....
Sakshi: konsi baat?
Neha: are usne bhi Aksh ko tera Boyfriend samajh liya, or mujhe to ye bahot pehle se lagta he.
Wo Sakshi ko mazak me aakh marte hue kehti he.
Sakshi: Neha tu na.... Kutti.... Ruk ja...
Wo Neha ko marne ke liye aage badhti he lekin Neha bhagne lagte he, Sakshi bhi uske piche use Marne ke liye daud padti he.
Kuch der baad dono bus se ghar ajate he, Sakshi ghar ane ke baad sablog milkar khana kha lete he, dopehar se sham tak Sakshi padhai me lagi hui thi, Sham ko 6 baje hue the, tabb Sakshi Aksh ke kamre me chali jati he. Kuch der dono baate karte he or Sakshi ke kehne par Aksh uske saath walk ke liye chala jata he.
Unke ilake me koi park to nahi tha, lekin aage ki jagah ekdum khali si thi, or waha ek nadi bhi behti thi. Sham ka Suraj dubte hue bahot hi Khubsurat lagg raha tha, or us raste par Aksh or Sakshi apne dhime kadmo se chal rahe the. Achanak se Sakshi dhire dhire apna haath Aksh ke haath ke nazdeek le ja rahi thi, or fir Sakshi ne Aksh ka haath kas kar tham liya. Aksh ke liye to ye normal sa lagg raha tha, lekin aaj Sakshi kuch behki behki si lagg rahi thi. Pure raste Sakshi Aksh ka haath thame hi chalti rahi. Uske dimag me ek saath kayi sari baate chal rahi thi. Thodi der baad do o ghar ajate he.
Raat ke khane ka waqt ho gaya tha, sablog milkar khane ke liye bethe hue the.
Radha: aapko pata he, Sakshi ki dost Neha, uski shadi tay karayi he uske ghar walo ne...
Wo khana khate waqt Santosh se kehti he.
Santosh: accha? Chalo acchi baat he...
Radha: ha... Aaj uski Maa market me mili thi, ladka bhi kafi padha likha he, accha khasa kamata he... Sakshi ke liye bhi abhi se Rishta dekhna shuru karne wali hu me to.....
Uski baat sunkar Sakshi ka chehra hi utar jata he. Lekin wo kuch bol nahi pati.
Aksh: itni kya jaldi he uski shadi ki?
Wo rukhe swar me Radha se puchta he.
Radha: aage ja kar bahot mushkil hoti he accha rishta dhund ne me.... Or ha, me to tere liye bhi koi ladki dhund ne wali hu....
Ispar Aksh ka para kafi chadd jata he.
Aksh: koi zarurat nahi he mere liye ladki dhund ne ki....
Santosh: kyu? Jab shadi hogi tabb ja kar tujhe apni zimmedari ka ehsas hoga, tabb ja kar tu apni sapno ki duniya se bahar asliyat me jina shuru karega.... Radha tum zarur iske liye ladki dekhna....
Ab Aksh ko bahot gussa ane lagta he, or Aksh ka mijaz hi kuch is tarike ka bann gaya tha, use har choti moti baato ka gussa ajata tha. Sakshi dhire se Aksh ko shant rehne ka ishara karti he. Lekin Aksh apna khana adhura chodd kar, khane ki thali ke samne haath jodkar khane se uth jata he or apne kamre me chala jata he.
Radha: aap na bewajah Aksh ko uksate rehte ho....
Wo rukhe swar me Santosh se kehti he.
Santosh: ab isme konsi uksane wali baat thi? Aksh ko har choti choti baat par gussa ajata he to me kya karu?
Fir Sakshi jaldi jaldi khana kha leti he, or Radha ke kaam me haath bata kar Aksh ke kamre ke taraf chali jati he. Lekin Aksh ne kamre ko andar se lock kiya hua tha.
Sakshi: Aksh.... Are darwaza kyu band kiya he tune?
Wo darwaza khat khatate hue puchti he.
Aksh: Sakshi dekh mujhe us bare me koi baat nahi karni, tu chali ja yaha se....
Wo thoda gusse me kehta he.
Sakshi: are us bare me kon baat karne aya he, me to bas aise hi ayi thi, tu darwaza to khol...
Aksh: dekh mujhe subah jaldi Garage jana he, please mujhe ab nind arahi he.
Sakshi: are lekin.....
Aksh: ek baar kaha samajh nahi ata tujhe?
Wo gusse se unchi awaaz me Sakshi se kehta he, Sakshi bhi use zyada gussa dilana thik nahi samajhti or apne kamre me chali jati he.
Raat ke kareeb 1 baje hue the, Sakshi ne laakh koshish kar li thi sone ki, lekin uski aakho se nind koso dur thi, or wajah thi Neha ki kahi baate.
Sakshi(mann me): Ahhhh Neha Kutti.... Pata nahi kya kya bate ki he tune, pure din se bas wahi sab baate yaad arahi he.... Ahhh... Kamini.... Tujhe badme dekh lungi me....
Wo frustration me apna takiya zor se dabate hue kehti he. Ab Sakshi apna mind divert karne ke liye upar chatt par chal padti he. Lekin waha par Aksh ko majud dekh kar wo teher si jati he. Aksh is waqt Chatt ki adhi diwar par bahar ki taraf per dalkar betha hua tha, Sakshi Aksh ke nazdeek chali jati he or piche se hi uske gale me apni bahe dal deti he. Aksh bhi samajh jata he ke wo Sakshi he, fir Aksh Sakshi ka haath pakad kar use apne bagal me bitha deta he, Is waqt Aksh bahar ki taraf per dalkar betha tha or Sakshi andar ki taraf.
Aksh: I Am Sorry Sakshi.... Mene bewajah tujhpar gussa kar diya....
Wo Sakshi ke ek haath par apna haath rakhte hue kehta he.
Sakshi: are Bavlat..... Ye kya Sorry worry bolne laga tu.....
Wo apne dusre haath se Aksh ke sar me halke se chapet marte hue kehti he.
Sakshi: waise Aksh tujhe na aisi choti choti baato par gussa karna chhod dena chahiye. Aai Baba to tere bhale ke liye hi keh rahe he na?
Aksh: Sakshi, me apne saath kisi or ko bhi meri is bhayanak duniya me nahi ghasitna chahta, koi nahi he jo meri is duniya me jee payega....
Wo apni num aakho ke saath kehta he.
Sakshi: tujhe kitni baar kaha he mene, koi tera saath de ya na de, me humesha tere saath hu.... fir bhi tu samajhta nahi...
Wo apna sar Aksh ke kandhe par rakhte hue kehti he.
Aksh: kabtak? Kabtak Saath rahegi tu mere? Aai Baba ne to abhi se tujhe mujhse alag karne ka plan bana diya he, fir kon hoga mujhe samjhane wala? Meri itni fikar karne wala? Meri zindagi me teri jagah koi nahi le payega, kisi kimat par nahi le payega......
Sakshi: or me Teri zindagi me meri jagah kisi ko lene bhi nahi dungi.... Kisi bhi kimat par nahi lene dungi....
Wo Aksh ki aakho me aakhe dalte hue kehti he. Aksh uska sar pakad kar apne sine se laga leta he, jis se sirf Aksh ko hi nahi, balki Sakshi ko bhi sukoon mil raha tha.
Kuch der tak dono aise hi apne is moment ko feel kar rahe hote he, or fir ja kar apne kamre me so jate he.
Or is tarah se aaj ka ye din nikal jata he, jaha Sakshi ke mann me ek nayi bhavnao ne janm liya tha. Lekin Sakshi is bhavnao se ab bhi puri tarah se anjan thi. Use bas ek tarah ka confusion tha, wo puri tarah se ise samajh nahi pa rahi thi ab dekhna interesting hoga ke Sakshi in bhavnao ko kabtak samajh payegi.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Jesa ke Javed Akhtar sahab ne kaha he "Samay Ka Pahiya Chalta He, Din Dhalta He" bas aise hi Aksh or Sakshi ke zindagi ka pahiya bina ruke chalta ja raha tha. Ek taraf Aksh ko apne kaam par lage kareeb 1 mahine se zyada ho chala tha, use apna pehla payment bhi mil gaya tha. Lekin is ek mahine me Aksh ki halat kafi kharab ho gayi thi. Thakan ke mare Aksh ki tabiyat kharab si rehti thi, Restaurant me saaf safayi ke kaam se Aksh ke haath or talvo me chaale padd gaye the, darasal jab Restaurant close hota to use sab kuch saaf karna hota tha or saaf karte waqt uske Shoes me pani chala jata tha, safayi karne ke liye kuch chemical bhi use hote the jis se Aksh ke haath me bhi chaale padd gaye the. lekin wo ye baat ghar pe kisi ko nahi batata tha, uska pura pura din bass kaam karne me hi nikal jata. Subah se dopehar tak wo Garage me, or fir waha se raat tak Restaurant me. Aksh apne haath ke chale chupane ke liye full shirt pehen raha tha, jis se ke uske Haath kisi ko nazar na aye. Or baki waqt to uske pero ke chale chupane ke liye Shoes the, Aksh subah Sakshi or Santosh ke jane ke baad apne kaam par nikal jata tha. Use ab chalne me bhi kafi dikkat si arahi thi. Lekin usne Radha ya kisi ke samne ye zahir nahi hone diya.
Wahi ab Sakshi ke exams ho chuke the, ab uski bhi chuttiya shuru ho gayi thi.
Har roz ki tarah Sakshi jaldi uthkar ghar ka kaam kar rahi thi, Radha or Santosh ko urgently Radha ke Bhai ke paas 2 din ke liye jana tha, Aksh to dono ke saath nahi ja sakta tha, to dono ne Sakshi ko bhi ghar rehne ka hi thik samjha. Aaj Aksh ki chutti thi, Garage par bhi or Apne kaam par bhi, to wo aram se soya hua tha.
Radha: Sakshi..... Ja kar Aksh ko jaga de, kafi time ho gaya he. Hum nikal rahe he, parso dopehar tak ghar ajayenge.... apna Dhyan rakhna dono....
Wo jate waqt time dekhte hue Sakshi se kehti he.
Sakshi: thik he Aai.....
Fir Radha or Santosh apne bhai ke ghar jane ke liye nikal jate he, wahi Sakshi apna kaam rakh kar Aksh ke kamre ki taraf chali jati he, Sakshi jese hi Darwaza knock karne jati he to pati he ke Darwaza khula hi he, Sakshi Darwaza khol kar andar ajati he, Sakshi pehle lights on karti he or jese hi uski nazar Aksh ke per par jati he to wo heran si reh jati he. Kyu ke Sakshi ko Aksh ke talvo par chaale nazar ajate he. Sakshi jaldi se uske per ke paas akar beth jati he or Aksh ke per pe haath lagati he. Aksh ko Sakshi ke chune se thoda dard sa mehsus ho jata he or uske muh se ek karah si nikal jati he.
Sakshi: Aksh..... Aksh....
Wo Aksh ko pukar kar jagane lagti he. Aksh ki nind foran tut chuki thi. Or wo Sakshi ko dekh kar uth kar beth jata he.
Sakshi: Aksh... Ye tere pero ko kya ho gaya?
Wo chintit swar me puchti he. Uske sidhe sawal se Aksh hadbada jata he.
Aksh: wo... Wo.... to.... Amm... Kuch nahi ye to bass...
Aksh ko hadbadata dekh Sakshi samajh jati he ke wo kuch chupa raha he.
Sakshi: Aksh sach sach bata... Ye tere pero me chale kese? Or tune ye baat bhi nahi batayi?
Aksh: are Sakshi... Kuch nahi he... Wo to bas infection ho gaya hoga, mene doctor ko dikhaya tha or unhone dawai bhi de di he.
Wo apne per razayi ke andar lete hue kehta he.
Sakshi: Aksh tu mujhse jhut bol raha he, Sach sach bata baat kya he? Tujhe meri kasam Aksh....
Sakshi ne kasam de kar Aksh ko charo khane chitt kar diya tha. Ab Aksh majbur tha Sakshi ko sari baate batane me, Aksh ne Sakshi ko sari sacchayi bata di. Uska kaam, ye Chaalo ki sacchayi.... Sari sacchayi samne ane ke baad Sakshi ki akho me asu ajate he. Wo bahot hi gusse me Aksh ko thappad laga deti he. Aksh Sharminda sa apne gaal par haath rakh ke apna sar niche kar leta he.
Sakshi: Aksh tu kyu aise behave karta rehta he? Kya zarurat pad gayi tujhe ye sab karne ki? Kyu tu itne waqt se jhut bolte aya? Kyu mujhse ye baat chupayi tune?
Wo gusse me chillate hue Bed se uth khadi hokar Aksh se kehti he.
Aksh: Sakshi meri baat......
Sakshi: kuch nahi sunna mujhe, mujhse baat mat karna tu.....
Wo rote hue kafi gusse me Aksh ko ungli dikha kar kehti he or waha se apne kamre me chali jati he. Aksh jaldi se uth kar uske piche jane lagta he, lekin use chalne me thodi si dikkat ho rahi thi. Sakshi apne kamre me akar darwaza andar se band kar deti he or wahi beth kar rone lagti he. Aksh uske darwaze tak pahoch gaya or wo darwaza khat khatata he lekin Sakshi koi response nahi deti.
Aksh: Sakshi, please meri baat ek baar sunn le.... Agar tu aise mujhse naraz ho jayegi to... To... Ye to aisi baat ho gayi na ke ek chor ko chori ki saza fasi se mil rahi ho.... Sakshi... Please darwaza to khol... Sakshi.....
Wo bahar se lagadar darwaza khat khata raha tha, lekin Sakshi to andar bethe roye ja rahi thi. Kafi der tak Sakshi ko awaz lagate hue Aksh ab thak gaya tha, usne socha ke wo Sakshi se uska gussa thanda hone ke baad aram se baat kar lega. Tabb Aksh apne kamre me ajata he kr washroom me jakar fresh ho jata he.
Wahi Sakshi apne aap ko thoda sambhal leti he or sabse pehle Aksh ke kamre me ajati he, jah Aksh apne talvo par marham laga raha tha. Sakshi andar ajati he or Aksh ke bagal me beth kar uske haatho se marham le kar, khud Aksh ke pero par lagane lagti he.
Aksh: Sakshi I'm Sorry.... Please mujhe maaf kar de....
Wo apne kaan pakad kar Sakshi se kehta he, lekin Sakshi bina Aksh ki taraf dekhe use marham lagati he.
Sakshi Aksh ko marham laga kar bahar jane lagti he ke tabhi Aksh uska haath pakad leta he. Sakshi ko Aksh ka sparsh kuch alag sa lagta he, wo piche mudkar Aksh ki taraf dekhne lagti he or Aksh ka ek haath pakad kar use palat deti he. Ab Aksh ke haatho me bhi chale dekh kar uska dil challi challi ho raha tha. Wo bina der kiya Aksh ko kaskar gale laga leti he.
Sakshi: kyu aisa kiya tune Aksh? Kyu?
Wo sisak kar rote hue Aksh se kehti he.
Aksh: Sakshi please mujhe maaf kar de na......
Sakshi: nahi karungi.... Tu itne waqt se mujhse jhut bolta aya he....
Aksh: Sakshi me kya karta? Aage ja kar Startup karne ke liye paise to lagte hi he na? To bas isi wajah se mene....
Sakshi: tujhe ye sab nahi karna chahiye tha Aksh... Nahi karna chahiye tha....
Sakshi Aksh ko kaskar rote hue hi kehti he, wo to Aksh se alag hone ka naam hi nahi le rahi thi. Kuch der baad Aksh use shant kara deta he.
Sakshi Aksh ke akho me akhe dalkar uske haath apne hatho me tham leti he.
Sakshi: Aksh... Kya ho, agar me tujhse ye kahu ke paisa jawab nahi he? Is society ne sab par ek belief thop di he, ke khushi or sukh ka sirf ek hi jawab, Paisa. Par aisa nahi he Aksh, zara khudko yaad kar, jab tu ek baccha tha, wo bacche ki duniya... Tab thi to bas kuch ajib si icchaye... Kaam to tabb bhi tu karta tha na, par kisi ke darr ya kataar me first ane ke liye nahi. Lekin jese hi tum thode se bade hue, kuch mahan, kuch bahot bada karne ke shuru ho gaye tamashey. Fir agaya tu bhi is chuho ki daud me, sabse ameer, sabse powerful..... sabse zyada successful bann ne ke...... Jab ab tu khud apni khushi apne bank me pade aakdo se ginta he bachpan se bilkul alag. Ab mujhe impractical mat kehna, me aisa bilkul bhi nahi keh rahi hu ke paise important nahi he, paise bahot zaruri he, par sirf pet bharne ke liye, survival ke liye.... Ab wo fuddu sa Quote nahi "sadak pe rone se accha to Lamborghini me rona he" Aksh dukh to dukh hota he, kahi par bhi Rovo.... ha, paise se hum sari temporary pleasures kharid sakte he, lekin uska khushi se koi lena dena nahi he, wo to sab andhruni kaam he na? Paiso ka extreme desire aapke saath yahi karta he, wo aapko bandh deta he... Tumhara hi lalach tumhare gale me 9-5 ka patta band deta he. "Us millioar ko dekh, kya class he uski, mujhe abhi se kamana shuru kar dena chahiye" tere dimag ne kaha, Or is sare circus ke bich tu sabse zaruri awaz sunna to bhul gaya, us bacche ki awaz, apne dil ki awaz.....
Sakshi bina ruke Aksh ki akho me akhe dalkar sabkuch kehti he, Sakshi ki har baat Aksh ke dil me pahoch rahi thi, kyu ke aaj tak usne bhi ye sare sawal apne aap se nahi puche the.
Aksh: S.... Sakshi..... Me.... Mene kabhi ye sab socha hi nahi, me to bas jese ek katputli ki tarah tha jise mera dimag handle kar raha tha.... Me....
Sakshi: Aksh meri ek baat jaan le, me tujhe aisa nahi keh rahi hu ke Business na kar.... Zarur kar, lekin apne dimag ko dil par hawi mat hone dena, dimag se hazar guna zyada takat Dil me he, Dimag bolega mat kar dard hoga, dil bolega jitna dard hoga me sehne ke liye tayar hu.
Aksh ab puri tarah se sadme me ja chuka tha, use samajh nahi araha tha ke itne salo ki uljhan Sakshi ne ek pal me hal kardi.
Sakshi: ab tu zyada soch mat.... Yahi beth me abhi ayi....
Wo Aksh ke sar se haath ferte hue kehti he or kitchen me Aksh ke liye breakfast lene chali jati he. Yaha Aksh ka haal bura tha, or ho bhi kyu na, janab ye emotions he, or Emotions ko badalne me bas friction of seconds lagte he. Jo Aksh abhi mehsus kar raha tha.
Sakshi uske liye breakfast le kar ajati he lekin Aksh ab bhi apne khayalo me gum tha, Sakshi akar uske bagal me beth jati he or ek niwala bana kar Aksh ko khilane lagti he lekin Aksh uska haath bich me hi rok deta he.
Aksh: Sakshi.... T.... Thanks.... Thank You So Much, agar to tu.... Tu... Meri Zindagi me nahi hoti to.....
Wo apni num akho se apni adhuri baat kehta he.
Sakshi: me nahi hoti to koi or hota.... Ab muh khol...
Wo Aksh ki taraf niwala badhate hue kehti he, Aksh bhi uske haatho se niwala kha leta he. Aise hi Sakshi Aksh ko apne haatho se khilane lagti he, dono bass ek dusre ko dekh rahe the, Sakshi Aksh ko breakfast kara kar Plate le kar kamre se bahar ja rahi hoti he ke tabhi Aksh use awaz laga kar rok leta he.
Aksh: Sakshi.....
Uski awaz se Sakshi kamre ke darwaze par hi ruk jati he or piche mudkar Aksh ki taraf dekhne lagti he.
Sakshi: kya hua?
Aksh: kya?
Sakshi: to fir tune mujhe pukara kyu?
Aksh: mene kaha pukara.... Wo to mere dil ne pukara....
Wo muskurate hue Sakshi ko dekh kar kehta he. Jis se Sakshi ke chehre par bahot hi pyari si hasi ajati he.
Sakshi: Bavlat......
Wo haste hue Aksh se kehti he or kamre se bahar chali jati he.
Sakshi(mann me): Bavlat kahi ka..... Kya kaha Dil ne pukara? Huhhh..... Dil to mera bhi tujhe har waqt pukarta rehta he Aksh.... Lekin mujhe samajh nahi araha ke mere saath kya ho raha he, bahot ajib si feeling arahi he mujhe. Dil karta he ke humesha bass tere saath hi rahu....
Wo kitchen me bartan saaf karte hue apne hi dhun me thi, wahi Aksh ka bhi kuch aisa hi haal tha.
Aksh(mann me): yaar Sakshi ne to mujhe hakka bakka kar diya, uski baat to bilkul sahi he, lekin ab aage kya? Mene to kabhi is tarah se socha hi nahi, or ab jab mujhe sacchayi samajh ayi to me confuse ho raha hu, Bappa(Ganesh Bhagwaan) ab mujhe is raste se bhatakne mat dena.... Please.....
Wo sofe par bethe soch raha tha, Sakshi ki nazar Aksh par pad jati he or wo apna kaam jaldi jaldi nipta kar Aksh ke paas akar beth jati he.
Sakshi: Kya Soch raha he Aksh?
Wo Aksh ke kandho par haath rakhte hue puchti he.
Aksh: n.... Nahi.... Bass soch raha tha ke ab aage ka rasta kesa hoga....
Sakshi: jesa bhi rasta ho, saath milkar use paar karenge....
Wo Aksh ke kandhe par apna sar rakhte hue kehti he. Kuch der dono aise hi bethe rehte he, lekin tabhi Aksh ke dimag me koi baat ajati he.
Aksh: Sakshi..... Jaldi se tayar ho ja....
Wo apni jagah se fatak se uth te hue kehta he.
Sakshi: kyu?
Aksh: are chal aaj bahar ghum kar ate he, pure mahine se bass kaam hi kaam chal raha tha, dimag band sa ho gaya he mera....
Aaj Aksh kafi khule mijaz se baat kar raha tha, jis se Sakshi ko bahot zyada khushi hoti he. Kyu ke uska yahi mijaz salo pehle kahi kho sa gaya tha.
Sakshi: thik he.... Are lekin tere per....
Aksh: kuch nahi hua he, chal sakta hu me... Tu tayar ho ja jaldi....
Wo Sakshi ki baat ko kaat te hue kehta he.
Sakshi: thik he, me abhi ready ho kar ati hu....
Or wo apne kamre me chali jati he. Aksh bhi change kar ke tayar ho gaya or hall me Sakshi ka intezar karne laga. Lekin jese hi Sakshi tayar ho kar bahar ati he to Aksh ki nazar bhi bass uspar tik si jati he.
Aakho me gehra kala kajal, honto par halki halki lagi hui lipstick, safed rang ka Salwar Kameez or khuli hui zulfe, ye tha Sakshi ka Keher. Jab Sakshi ki nazar Aksh par jati he jo ek tak use hi nihar raha tha, jis se Sakshi ko sharm arahi thi.
Sakshi: K..... Kya Hua? A... Aise... Kyu dekh raha he?
Wo haklate hue Aksh ke samne khade ho kar puchti he. Aksh bhi uski awaz sunkar hosh me ajata he.
Aksh: n... Nahi.... K.. kuch nahi... Ab chal nikalte he....
Wo apne aap ko sambhalte hue kehta he, fir dono Aksh ki bike par beth kar nikal jate he.
Sakshi apne kanpte hue haath Aksh ke kandho par rakh deti he, wo baar baar Aksh ko dekh rahi thi or uski ye harkat Aksh mirror se dekh leta he.
Is waqt dopeher ke kareeb 12:30 ho rahe the.
Aksh: yaar Sakshi me kya kehta hu, pehle khana hi kha lete he, aise bhi waqt to ho hi chuka he na?
Wo bike chalate hue Sakshi se kehta he lekin use ye nahi pata tha ke Sakshi to kahi or khoyi hui thi.
Aksh: Sakshi..... Sakshi..... Kaha kho gayi tu?
Jab use apne sawal ka jawab nahi milta to wo piche mudkar Sakshi ko dekh kar puchta he. Ab ja kar Sakshi hosh me ajati he.
Sakshi: ha..... Ha.... Kya... Kya kaha?
Aksh: mene kaha pehle khana kha lete he, time dekh..
Sakshi: ha... Ha thik he....
Fir wo dono paas hi ke restaurant me chale jate he. Aksh ne har ek chiz Sakshi ki pasand ki order kar di thi. Waha se khana kha kar dono pura din yaha se waha ghumte rahe the, Aaj Aksh jitna khush tha utna shayad hi in kuch salo me wo khush dikha tha. Or baat kare Sakshi ki to uski khushi jese sirf or sirf Aksh se judi hui thi. Aksh ko khush hota dekh Sakshi ko kafi sukoon sa mil raha tha.
Dono Pura din thak haar kar ghar ajate he or bas bed par girte hi dono ko hi gehri nind ajati he.
•
•
•
•
•
•
•
Shaam ke kareeb 6 baje hue the, Sakshi ghar ka kaam nipta rahi thi or Aksh Garage par ek zaruri kaam me fasa hua tha. Aaj Radha or Santosh ghar ane wale the, Sakshi dono ka hi intezar kar rahi thi. Kuch der baad ghar ki doorbell bajti he Sakshi jaldi se ja kar darwaza khol deti he, Darwaze par Radha or Santosh the lekin Santosh ko dekh kar Sakshi ke chehre ka rang hi udd jata he. Kyu ke Santosh ke haath par ek patti bandhi hui thi.
Sakshi: Baba..... Ye... Ye kya... Ye patti kese?
Wo ghabra kar Santosh ka haath pakadte hue kehti he.
Santosh: beta kuch nahi he, chal andar.....
Fir wo tino andar akar Sofe par beth jate he.
Radha: Sakshi... Baba ke liye pani le kar aa....
Sakshi: ha abhi layi....
Wo jaldi se kitchen me jakar pani le ati he or Santosh ko de deti he.
Sakshi: lekin ye chot kese lagi Baba?
Radha: darasal jab hum arahe the to inka per fisal gaya or ye apne haath par hi gir gaye, jis se ye chot lagi....
Sakshi: or kahi chot to nahi na lagi?
Santosh: are chinta matt kar, bass haath par thodi si chot lagi he....
Sakshi: ise choti si chot kehte ho aap?
Santosh: beta zyada nahi lagi...
Wo Sakshi ko samjhate hue kehta he, or tabhi Darwaze se Aksh ghar ke andar ajata he. Radha or Santosh ko ghar aya dekh use accha lagta he, lekin tabhi uski nazar Santosh ke haath par lagi patti par padti he, ye dekh kar Aksh ke dil me bhi ek chubhan si hoti he, lekin pata nahi kyu use aage ja kar Santosh ka samna karne ki himmat hi nahi thi. Wo kuch seconds aise hi Santosh ko dekh raha tha, or jab us se Santosh ka haal puchna nahi hota to uske akho me Asu ajate he or wo jaldi se apne kamre me chala jata he, lekin ye sab Sakshi ne dekh liya tha.
Santosh: Aksh itni jaldi agaya kaam se?
Sakshi: Baba.... Wo.... usne 2 din kaam se chutti li thi...
Radha: baat to kar sakta tha na, bina kuch kahe chala gaya kamre me....
Wo kafi narazgi se kehti he.
Sakshi: nahi Aai... Wo subah se Garage par tha, kuch zaruri kaam se, to bass thak gaya hoga....
Radha: thik he.... Accha aap pehle apni dawai le lijiye....
Wo Santosh ko bag se dawai nikal kar de rahi thi, Sakshi jaldi se uthkar Aksh ke kamre me chali jati he, jaha Aksh diwar par apna haath zor zor se maarte hue roye ja raha tha. Uske haatho par pehle se hi chaale pade hue the, or usme diwar par itni zor se marne se Aksh ke haath me thoda khun sa nikal raha tha. Sakshi ye nazara dekh kar dangg si reh jati he.
Sakshi: Aksh.... Aksh..... Ye.... Kya kar raha he tu?
Wo bhagte hue andar akar Aksh ko rokte hue kehti he. Lekin Aksh ko to jese koi hosh hi nahi tha, wo bass roye ja raha tha..
Sakshi: Aksh.... Aksh.... Chup kar... Or mujhe bata kya hua?
Wo Aksh ka chehra apne hatho me thamkar puchti he.
Aksh: lanat he mujhpar..... Lanat he....
Wo Sakshi ko kas kar gale lagate hue kehta he or fut fut kar rone lagta he. Aksh ko aise rota dekh Sakshi kese shant reh sakti thi, ab Sakshi bhi rone lagti he.
Sakshi: Aksh... Please chup ho ja.... Or mujhe bata na kya ho gaya tujhe?
Wo Aksh ke sar me haath ferte hue Aksh se puchti he. Lekin Aksh to kuch bolne ko tayar nahi tha, tabb Sakshi use apne se alag karti he or bed par bitha kar uske Aansu saaf kar ke use shant kara deti he.
Sakshi: kya baat he Aksh? Tu suddenly aise kyu behave karne laga?
Wo Aksh ke haath apne hatho me thamkar puchti he.
Aksh: lanat he mujhpar Sakshi..... Dekha nahi? Baba ko chot lagi he ye dekhte hue bhi me.... Me unse kuch keh nahi paya..... Meri himmat nahi hui unke paas jakar... Unka haal puchne ki.....
Wo rote hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: aisi baat nahi he Aksh.... Tujhme ab bhi wahi purani baate reh gayi he, is wajah se..... Lekin tu wo sab bhul jana Aksh.... Puri duniya ghum lo, lekin Maa se mehfuz jagah kabhi nahi mil sakti, Baap se bhale hi har roz ladd lo, lekin unke jitna Saccha or tumhara accha chahne wala or koi insan duniya me kabhi milega nahi.... Aksh ab tere samne ye chunoti he ke apni purani adate bhul ja, or ek nayi zindagi ki Shuruwat kar... Or sabse behtar Shuruwat to Aai Baba ke Ashirwad se hi ho sakti he na?
Wo Aksh ka chehre apne haatho me thamkar uske asu saaf karte hue kehti he.
Aksh: lekin.....
Sakshi: Aksh jaa.... Bahar Baba se baat kar, Aai se baat kar...
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he. Ab Aksh ke bhi samajh me achuka tha, wo Sakshi ko ek jhalak dekhta he to Sakshi use bahar jane ka ishara karti he. Aksh uthkar bahar chala jata he, jaha Santosh or Radha bethe hue the, Aksh firse wahi ruk jata he or piche mudkar Sakshi ko dekhta he. Sakshi use aage jane ka ishara karti he. Aksh badi himmat kar ke Santosh ke samne ajata he, or uske samne apne ghutno par beth kar Santosh ke haath tham leta he. Santosh Aksh ka aisa behavior dekh kar kuch samajh nahi pata, lekin jese hi use Aksh ke haath kuch alag se mehsus hote he to wo Aksh ke haath palat kar dekhta he, jispar chaale or thoda sa khun tha.
Santosh: Aksh.... Ye kya? Ha? Ye tere haatho ko kya ho gaya? Bata na?
Wo Chintit lehze me Aksh ke haatho se khun saaf karte hue puchta he. Santosh ki apne liye chinta dekh kar Aksh ki aakhe num ho jati he.
Radha: Aksh... Bol na beta, ye sab kya he? Or tu ro kyu raha he?
Wo Aksh ki akho me aye Asu dekh kar puchti he.
Aksh: Aai, Baba...... Me janta hu ke... Ke mene aapko bahot dukh pahochaya he. Mere sapno ke samne mene kabhi aapki baat nahi mani, lekin... Lekin Baba, Talvar to usi yoddha ke haatho me shobti he na, jise na to maut ka dar hota he, jise jitne se nahi balki ladne se ishq ho.... is duniya ka bahadur yoddha wahi kehlata he na, Jiska dhyan sirf sangharsh me rahe, or is jung me ladte ladte hi uska dum nikal jaye.... Agar law of Attraction ki baat sach he to me is puri duniya se, jannat nahi, jahannum ki aag mangta hu, jalne do mera har ek khwab, bas nakamyabiya do, rulao mujhe har ek raat, jiske paas pane ya khone ke liye kuch bache hi na, banu me wo nidar yoddha...... Jo kisi raja ka gulaam nahi, jo jung jitne ke liye nahi lekin apne aap ko behtar banane ke liye lade. Jsiki talvar kisi ke kehne pe nahi, balki apne marzi se chalti ho. Jiski Jeet dushman ki haar me nahi par khudko behtar banane me ho, jo manzilo ka nahi, safar ka Aashiq ho..... Mujhe Bass ishq ki Talvar utha kar khudki har hadd langni he, zindagi ki is jung me, mujhe ladte hue marna he....
Wo Santosh ki akho me akhe dalkar sari baate kehta he, apne bete ka zindagi ko dekhne ka nazarya jaan kar Radha or Santosh heran se reh gaye the. Dono ke hi aakhe Aksh ki baat sunkar Num ho gayi thi.
Santosh: tujhe kya lagta he? Me jab tujhe dant ta, tujhpar chillata, gussa karta... Wo khushi khushi karta hu? Tera bhala hi chahta hu na? Ha, mera nazarya or tera nazarya bilkul alag he, me to humesha yahi chahta hu ke tu ek acchi zindagi jiye.... Lekin, ab tu jo bhi karna chahta he, me tujhe karne se nahi rokunga... Aaj se mere bete ke sapne mere sapne... Or wo sapne pure karne ke liye me humesha tera saath dunga....
Wo Aksh ke akho me aye Asu saaf karte hue kehta he, uski baat sunkar Aksh kas kar Santosh ko gale laga leta he. Piche se Thodi khadi Sakshi bhi ye sab dekh kar khush thi.
Radha: Ab bass kar.... Aise hi rota rahega kya? Me to aaj kuch accha sa khane ke liye banaungi....
Wo bahot hi utsukta ke saath kehti he.
Radha: ab aap jayiye or kuch der aram kar lijiye.... Me khane ke liye bana deti hu....
Fir Santosh apne kamre me chala jata he or Radha kitchen me apne kaam karne chali jati he. Aksh uthkar dur khadi Sakshi ko dekh muskuraye ja raha tha. Sakshi bahot bhavuk ho gayi thi wo jaldi se apne kamre me jati he or waha ja kar Rone lagti he. Aksh Sakshi ke kamre me ajata he, or akar Sakshi ke bagal me beth kar Sakshi ke sar pe haath ferne lagta he, Sakshi bina der kiya Aksh ko ekdum kas kar gale se laga leti he.
Aksh: or kitne ehsan karegi Sakshi tu mujhpar? Har din mujh me ek badlav la rahi he tu.... Kese chukau ye ehsan?
Wo Sakshi ko apni baho me kaste hue kehta he.
Sakshi: ehsan chukana chahta he na tu mera? To mujhse wada kar... Ke tu kabhi mujhe akele nahi chhodega....
Wo Aksh se alag hokar kisi bacche ki tarah Aksh se kehti he, jise dekh Aksh ki hasi chutt jati he.
Aksh: thik he Chipkali.... Promise.....
Uski baat sunkar Sakshi ka para chadd jata he or wo Gusse bhari nazro se Aksh ko dekhti he.
Sakshi: Aksh.... Tu pitega mujhse.... Hazar baar kaha he ye chipkali matt bola kar mujhe.....
Wo bahot hi gusse me Aksh ko ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: ab Chipkali ko Chipkali hi bolunga na me.... Chipkali....
Or ye kehkar wo tezi se kamre ke bahar jane lagta he, Sakshi bhi gusse me uske piche chal padti he. Aksh apne kamre me ajata he Sakshi bhi andar akar uspar jhapat padti he. Kuch der baad Sakshi Radha ki madat karne ke liye ja rahi hoti he ke Aksh use awaz lag kar rok leta he.
Aksh: Sakshi........
Uski awaz sunkar Sakshi Darwaze par hi ruk jati he or palat kar Aksh ki taraf dekhti he.
Sakshi: kya?
Aksh: kya?
Sakhsi: awaz kyu lagayi?
Aksh: mene kaha?..... Awaz to mere dil ne lagayi.....
Wo muskurate hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: Bavlat.....
Wo sharmate hue Aksh se Kehti he or Radha ke kaam me haath batane lagti he.
Or is tarah aaj ka din nikal jata he, jaha humne Aksh me aye kuch positive changes dekhe, jaha par ek pariwar ke khuch bikhre se rishte puri tarah se mazbut hote dikhayi diye. Ab ek baat bata du, ke Aksh ki life me ek or Achievement ane wali he, or wo Achievement apne saath kya kya le kar ayegi ye jaan ne ke liye bane rahiye.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Subah subah Radha or Sakshi ghar ke kamo me busy thi ek taraf Radha ne kitchen sambhala hua tha, or dusri taraf Sakshi upar chatt par kapde sukhane ke liye gayi thi. Wahi Aksh bhi jaag chuka tha, or usne apna track suit pehna or apne kamre se bahar ane laga, wo jese hi kamre se bahar nikal wahi se Sakshi chatt se niche arahi thi, or jaldi jaldi me Sakshi ja kar Aksh se takra jati he, Aksh use dekh kar jaldi se Sakshi ko kamar se pakad kar sambhal leta he. Dono hi apas me chipke hue the, Sakshi apni nazre upar kar ke Aksh ke chehre ko dekhti he to uski dhadkane hi tez ho jati he. Wo ek takk Aksh ko dekh rahi thi.
Aksh: dekh kar chala kar Sakshi.....
Wo Sakshi ko ko apne se alag karte hue kehta he.
Sakshi: ha.... Ha... Wo.. sorry....
Wo hosh me ate hue kehti he.
Sakshi: waise.... Tu... Tu itni jaldi kyu jaag gaya?
Wo Aksh ko tayar hokar ata dekh puchti he.
Aksh: ha.... Wo mene socha kyu na abse roz subah jaldi uth kar morning walk ke liye jaya jaye.....
Sakshi Aksh ka aisa behavior dekh kar bahot khush lagg rahi thi.
Sakshi: accha? Ye to bahot acchi baat he.....
Aksh: mental health ke saath saath physical health bhi to zaruri he na.... Accha tu bhi chal saath....
Sakshi: me...... Ahh.... accha thik he... Tu bas 2 minute rukja, me bhi ati hu tere saath....
Aksh: thik he....
Fir wo bahar akar apne shoes pehen leta he or Sakshi ka wait karte ruk jata he. Kuch der baad Sakshi bhi bahar ajati he, fir dono apni walk par nikal jate he, mosam kafi suhana sa lagg raha tha, or usme Sakshi or Aksh ko ek dusre kaa saath tha, dono ke chehre par bhi khushi thi.
Aksh: accha Sakshi.... Tere results kab he?
Sakshi: may be kuch month baad hoga....
Aksh: pass to ho jayegi na?
Sakshi: hahaha..... To kya fail houngi me?
Wo haste hue Aksh se puchti he.
Aksh: hahaha.... Wo bhi he.... Mene sawal hi galat puch liya, mujhe ye puchna chahiye ke number kitne ayenge....
Uski baat par Sakshi bhi has deti he. Kuch der dono aise hi chalte rehte he.
Aksh: waise Sakshi ek baat batayegi?
Sakshi: konsi baat?
Aksh: sach sach batana lekin......
Wo Sakshi ki akho me dekhte hue kehta he.
Sakshi: are kya baat he ye to bata?
Aksh: tera koi Boyfriend he?
Uske sidhe sawal se Sakshi chup si ho jati he.
Aksh: kya hua? bata na.... Kisi se pyaar nahi karti kya tu?
Sakshi: aisa kuch bhi nahi he.....
Wo sharmate hue apna sar jhuka kar kehti he.
Aksh: tu kyu itna sharmane lagi?
Wo Sakshi par nazar dalte hue puchta he.
Sakshi: tu.... tu..... Kya baate le kar beth gaya Aksh....
Wo apne chehre par ayi baalo ki lutt ko piche karte hue kehti he. Aksh Sakshi ka Sharmana dekh mann hi mann bahot has raha tha. Kuch der baad Sakshi normal ho jati he.
Sakshi: waise..... Ummm.... Tu.. tu nahi karta kisi se pyaar?
Wo bina Aksh ko dekhe hi puchti he.
Aksh: huhhh.... Khudki duniya se bahar kadam rakhne ka kabhi moka hi nahi mila mujhe.... To kese kisi se pyaar kar leta?
Sakshi: accha? To fir ab agaya na tu apni duniya se bahar.... Agar ab koi waisi mil gayi jesi tu chahta he to?
Aksh: hmmm..... jesi me chahta hu? Ummm... Me to chahta hu mujhe koi teri jesi ladki hi mile.....
Wo Sakshi ki taraf dekhte hue kehta he. Uski baat par Sakshi fir se sharma jati he or uske chehre par ek muskurahat bhi ajati he. Fir dono apni walk continue karte he, or kuch der baad ghar pahoch jate he.
Kareeb 10 baje Radha Sakshi or Aksh ke liye nashta bana rahi thi, Sakshi bhi uske saath hi kitchen me thi, or Aksh fresh ho kar bahar hall me TV dekhte hue betha hua tha, Aksh kabhi bhi aise relax bethkar TV nahi dekhta tha, Radha to uska ye roop dekh kar heran si reh gayi thi.
Radha: Sakshi..... Ye Aksh thik to he na?
Sakshi: Matlab? Aisa kyu puch rahi ho Aai?
Radha: are uspar ek baar nazar dalkar to dekh.... Kabhi dekha he use itne aram se betha hua?
Uski baat par Sakshi bass has padti he.
Radha: kahi ise pyaar vyaar to nahi na ho gaya?
Sakshi: kya Aai.... Kaha ki baat kaha le ja rahi ho tum....
Radha: are pyaar me padne se hi insan aise alag alag sa rehne lagta he.....
Wo Sakshi ko aakh marte hue kehti he.
Sakshi: asa kahi nahiye Aai (aisa kuch nahi he) bass itna samajh lo ki tumhe tumhara purana Aksh wapis mil gaya he....
Wo Radha ke kandhe par haath rakhte hue kehti he.
Radha: bass mujhe or kya chahiye..... Deva, mere bete ko ab firse pareshani me matt dalna.....
Fir Sakshi, Radha or Aksh milkar nashta kar lete he. Tabhi Aksh ko Karim ka call ajata he, wo jaldi se call pick kar leta he.
Aksh: ha Chacha kahiye na.....
Karim: are Aksh kaha he tu?
Aksh: me to ghar pe hi hu.... Kahiye na kuch kaam tha?
Karim: are kuch nahi yaar ek accha dealer mila he, to bass us se milne jana tha...
Aksh: thik he kab or kaha jana he?
Karim: lekin tera per to ab thik he na?
Aksh: ha chacha aap chinta mat kijiye, me bilkul thik hu....
Karim: thik he.... Hume thodi der baad 2 din Gujrat jane ke liye nikalna he, agar ye Deal ho jaye to bahot accha fayda hoga....
Aksh: sab ho jayega chacha.... Me ek kaam karta hu, bass thodi der me Garage par ajata hu....
Karim: chal thik he....
Fir wo call cut kar deta he
Aksh: Aai.... Me Karim chacha ke saath 2 din ke liye Gujrat ja raha hu....
Radha: Gujrat? Aise achanak se... Kyu?
Wo chintit lehze me Aksh se puchti he.
Aksh: tum chinta matt karo.... Wo bass ek Deal ke liye jana he, parso wapis ajaunga.....
Radha: accha.... Thik he... Kab nikal raha he?
Aksh: bass abhi hi nikalna he....
Radha: thik he... Dhyaan rakhna apna....
Aksh: Ho Aai.... Tu kalji karu nako (Ha, tum fikar na karo)
Fir wo apna nashta khatam kar ke apne kamre me chala jata he. Uske jane ki baat se Sakshi thodi udas si ho jati he, lekin wo Aksh ko apne kaam se rok nahi sakti thi.
Waha Aksh ne apne saath kuch kapde le liye the, or wo bass nikalne ke liye tayar tha ke tabhi piche se Sakshi uske kamre me ek katori le kar ajati he.
Sakshi: Aksh.... Ho gaye tere kapde pack?
Aksh: ha.... Ho gaye ab me nikalta hum...
Wo apni bag haath me lete hue kehta he.
Sakshi: pehle ye Dahi Shakkar kha le....
Wo chammach ko Aksh ki taraf badhate hue kehti he. Aksh apne dayne haath me Dahi lekar use kha leta he, or wo haath apne sar ke upar se fer leta he.
Aksh: Thanks Sakshi....
Or wo Sakshi ko kas kar Hug kar leta he. Achanak hue is hamle se Sakshi murti si bann jati he.
Aksh: chal me nikal raha hu, or apne khayal rakhna....
Wo Sakshi se alag hokar uske sar pe haath ferte hue kehta he or Radha se milkar darwaze ke bahar ajata he. Sakshi bhi uske piche piche hi ajati he kr darwaze par Aksh ko ek takk dekhte hue ruk jati he, Aksh bike par beth kar bike start kar raha tha ke uski nazar Sakshi par padi.
Aksh: kya hua? Aise kyu dekh rahi he tu?
Sakshi: me kaha? Wo to mera Dil kar raha tha to....
Wo muskurate hue Aksh se kehti he.
Aksh: ohh... Mera dialogue mujhpar hi.... Hahaha.... Chal me nikalta hu, dhyan rakhna apna....
Wo haste hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: tu bhi dhyan rakhna, or call karna bhul matt jana....
Aksh: thik he.... chal Yeto mi (ata hu me)
Fir Aksh bike le kar Garage nikal jata he. Or Sakshi bhi ghar ke andar ajati he. Uske paas karne ko koi kaam nahi tha, to wo ja kar apne kamre me let jati he. Aksh ko gaye kuch hi der hui thi, lekin Sakshi ko uski kami mehsus hone lagti he.
Sakshi(mann me): ye mujhe ho kya raha he? Aksh ko dekhte hi mujhe ajib sa lagne lagta he, Dil karta he ke bass.... Ke bass use hi dekhti rahu, thodi der ke liye bhi wo.mujhse dur hota he to bass bechaini si hone lagti he..... ahhh.... Aksh ye kya kar diya tune? Me pagal ho jaungi.....
Yaha Sakshi apni feeling ko samajhne ki koshish kar rahi thi, waha Aksh Garage pahoch gaya tha.
Aksh: Salam chacha....
Karim: are Aksh... Salam.. Salam....
Aksh: accha hum ja kese rahe he?
Karim: car se jayenge.... Kareeb 4 ghante lagg jayenge.... Lekin bass wo Deal ho jani chahiye....
Aksh: aap chinta kyu karte he chacha? Deal zarur hogi....
Karim: dekhte he ab upar wala jesa chahe wahi hoga....
Fir Karim Aksh ko Deal ke bare me sari bate bata deta he, darasal wo jin ke saath deal karne wale the wo ek Manufacturer Company thi, jaha se unko gadiyo ke parts, or aise hi kuch deal saste me padne wali thi. Fir dono car le kar Gujrat jane ke liye nikal jate he.
•
•
•
•
•
•
•
•
Gujrat ke sheher Surat me ek khali ilaka tha, jaha par ek Aadmi bandhi halat me tha, uske haath piche bandhe hue the, or wo apne ghutno par betha hua tha, us aadmi ke piche kareeb 30-40 log Guns liye khade the, tabhi samne se ek gaadi ajati he, gadi bandhi bane us aadmi ke samne kuch duri par ruk jati he or gaadi ka darwaza khulte hi ek aadmi apne haath me chota sa khanjar liye bahar ajata he. Jiska chehra bada hi khaufnaak tha, or upar se aakho me gehra Kala Surma use or bhi zyada khaufnaak bana raha tha, or is aadmi ka naam tha Abdul.
Abdul samne bandhi bane aadmi ko dekhte hue aage badh raha tha. Use dekh kar bandhi bana aadmi rone lagta he.
Aadmi: A...... Abdul bhai..... Abdul bhai..... Ma.... Maaf kardo mujhe..... Please.... Please.....
Wo Abdul ko apne kareeb ata dekh gid gidata he. Abdul uske ekdum samne akar khada ho jata he. Abdul us aadmi ki baat sunkar hasne lagta he.
Abdul: Hahaha...... Maaf? Boss ke khilaf kaam karne wale ko Maaf nahi kiya jata, use Jahannum ka safar karwaya jata he....
Wo ek shaitani hasi ke saath kehta he. Or apne khanjar se us aadmi ke maathe se lekar honto tak ek sidha ghaav maar deta he. Abdul ke humle se wo aadmi dard ke mare tadap uth ta he, or niche gir ke chillane lagta he. Us Aadmi ke naak ke do hisse ho gaye the, or dono ek ek taraf latak rahe the, or uske honto ka bhi kuch aisa hi haal tha, Abdul ne uske 2 honto ko 4 tukdo me badal diya tha.
Abdul niche jhuk kar us aadmi ka gala pakad leta ge or ek hi haath se use hawa me utha leta he, us aadmi ka chehra khun se sana hua tha, or us khun ki chinte Abdul ke chehre par udd rahi thi. Abdul use firse zameen par patak deta he, or apni gaadi ki taraf badh jata he, jese hi Abdul gaadi ka darwaza kholta he to usme se ek sher bahar ajata he. Ye tha inka paltu sher Abdul sher ko us aadmi ke paas le kar ata he, us aadmi ki to jaan sher ko dekh kar nikal hi chuki thi, tabhi Abdul sher ko belt se azaad kar deta he, sher azad hote hi us aadmi par jhapat padta he. Is khule ilake me bass us admi ki dardnak chinke sunayi de rahi thi. Abdul ko ye nazara dekh kar bahot hi khushi hi rahi thi, Bass kuch hi palo me sher us aadmi ko safa chat kar leta he, Abdul aage akar belt ko sher ke gale me laga deta he or use lekar apni gaadi me beth jata kar waha se nikal jata he. Uske piche piche hi waha ruke sare log bhi rawana ho jate he.
To dosto ye tha Abdul..... Rana ke sabse khas admiyo me se ek, Rana ko Abdul is liye pasand tha kyu ke wo behadd hi nirdayi tha. Rehem naam ki koi chiz Abdul ke paas nahi thi. Or yahi wajah thi ke Rana Abdul ko kafi pasand karta tha.
Place: CBI Headquarter, Gandhinagar, Gujrat.
Abhinav or ek officer uske Cabin me bethe hue the.
Officer: Sir.... Itne salo se to hum koshish kar hi rahe he na Rana ko pakadne ki... Lekin kuch hasil nahi ho raha, ulta humare kabil Officers ki jaan ja rahi he....
Abhinav: sahi kaha Anant.... Lekin hum apne kaam se piche bhi to nahi na hatt sakte...
Anant: nahi sir.... Hum apne kaam se piche to katayi nahi hatne wale, lekin shayad waqt Rana ka saath de raha he....
Abhinav: sach keh rahe ho tum.... Lekin ye waqt kab palat jaye kuch kaha nahu ja sakta....
Anant: humari sabse badi problem yahi he ke hum uske thikane ka pata nahi laga pa rahe he.
Abhinav: Rana ke Direct contact me jo bhi aadmi he wo apna muh kabhi nahi kholta, puchli baar bhi jis aadmi ko humne pakda tha, usne apni jaan de di, lekin Rana ke bare me ek lafz tak nahi bataya....
Anant: sir ye Rana bahot hoshiyar he.... Jo uske kareeb aadmi he un sabke muh band rahne ke liye wo unke pariwar ko nishana banata he. Agar kisi ne Rana ke bare me kuch bataya to waha Rana uske pariwar ko hi khatam kar dega....
Uski baat par Abhinav apni chair se uth jata he, Anant bhi uske piche hi khada hone lagta he ke Abhinav use bethe rehne ka ishara karta he.
Abhinav: thik kaha... Or isi majburi ki wajah se koi Rana ke bare me kuch bata nahi pata.... Lekin kabhi na kabhi ye khel khatam hoga.... Zarur hoga...
Wo apne cabin me lagi khidki ke paas ja kar kehta he.
•
•
•
•
•
•
•
•
•
Sham ke kareeb 6 baje Karim or Aksh Surat me agaye the, unhe kal Ahmadabad apni Deal ke liye jana tha, Karim gadi ko ek ghar ke samne ruka deta he or gad se utar kar dono ghar ke andar ajate he.
Aksh:ye ghar kiska he chacha?
Karim: are ye to meri choti behen or uske shohar ka ghar tha....
Aksh: ohh.... Thik he....
Darasal ye ghar Karim ki choti behen ka tha, jo apne pati ke saath yaha rehti thi, lekin uske pati ki Dubai me job hone se wo dono Dubai me hi settle ho gaye, wo bass kabhi kabar ate, lekin yaha nahi sirf Karim se milkar wapis chale jate. To is ghar ki chabiya Karim ke paas thi. Dono fresh ho kar kuch der aram karte he, Aksh sabse pehle apne ghar pe call kar deta he, usne Radha ko call kiya tha, or is waqt Radha, Santosh or Sakshi apne ghar ke baramde me bethe chay pi rahe the. Aksh kuch der tak Radha or Santosh se baat kar ke call cut kar deta he, jab Aksh bina Sakshi se baat kiye hi call cut karta he to Sakshi kafi udas si ho jati he. Thodi der tak Sakshi wahi udas si bethi rehti he or kuch der baad wo uthkar apne kamre me ajati he, jese hi usne apna mobile dekha jo charge par laga tha, uspar Aksh ke kayi sare Missed Calls the. Sakshi jaldi se mobile charge se hata kar Aksh ko call back karti he, Aksh uska call dekh kar call pick kar leta he.
Aksh: kya yaar Sakshi.... Kabse call kar rah hu me, jawab kyu nahi diya?
Sakshi: are wo... Wo mera Mobil kamre me tha, abhi dekhe tere missed calls....
Wo bed par beth te hue Aksh se kehti he
Sakshi: waise tune Aai ko call kiya tha to mujhse baat kyu nahi ki?
Wo apni narazgi Aksh se jatate hue puchti he.
Aksh: are yaar Aai ke samne kitni der tak baat kar pata? Isliye mene socha tujhse akele me baat ki jaye...
Sakshi: akele me? Apni behen se to tu kahi bhi kabhi bhi baat kar sakta he na?
Aksh: lekin tu behen se badhkar he mere liye....
Sakshi: m.... Matlab.... Kya?
Wo Aksh ki baat sunkar hadbada jati he.
Aksh: are matlab tu meri Best friend bhi to he na....
Sakshi: h.... Ha.... Me.... Waise tune khana to kha liya na?
Wo bed par let te hue Aksh se puchti he.
Aksh: ha khana to kab ka kha liya.... Bass abhi yaha pahoch gaye the to socha tujhe call kar lu.....
Dono ek dusre ke saath kafi der tak baate karne lagte he, Sakshi to jese sab kuch bhulkar Aksh me hi khoyi hui thi, kareeb aadhe gante tak baat karne ke baad wo phone kaat dete he.
Sakahi(mann me): best friend....... accha hua Girlfriend nahi kaha Bavlat......
Wo sharmate hue apne mann me soch rahi thi lekin jese hi use samajh aya ke usne kya keh diya to Sakshi ke chehre ke haav bhaav hi badal jate he.
Sakshi(mann me): Ahhh.... Chi chi.... Ye me bhi kya sochne lagi.... Sakshi.... Aisa sab sochna band kar... Lekin.... Lekin baat to ye bhi sach he ke me kafi waqt se Aksh ke liye over possessive ho gayi hu..... To usme galat kya he? Me Aksh se pyaar karti hu, lekin mujhe darr he kahi ye pyaar apni hadd se aage badh gaya to?
Aksh(mann me): yaar Sakshi...... Akhir kese tune kuch palo me hi meri duniya badal di? Me sachme bahot khush naseeb hu, jo mujhe teri jesi behen mili....
Dono hi ek dusre ke bare me sochte hue bethe the, Aksh thaka hone ki wajah se jaldi hi so jata he, or subah unhe Ahmadabad bhi jana tha apni Deal karne ke liye.
Subah subah Karim or Aksh Ahmadabad jane ke liye nikal chuke the. Unki meeting ka waqt 11 baje tha, kareeb 10 baje Karim or Aksh waha pahoch gaye the, fir waha unki meeting shuru hi jati he, Karim ka Experience or baat karne ki kala se Manufacturer turant ye Deal ke liye razi ho jata he. Lekin ye meeting kafi lambi nikal jati he, jisme Karim or Manufacturer ki business ki baate chal rahi thi. Or isi bahane Aksh ko bhi kafi kuch jaan ne ko mil raha tha. Unki meeting shaam tak chalti he. Or akhir kaar sabkuch jesa Karim or Aksh ne socha tha waisa hi hua. Dono bahar akar kafi khush lagg rahe the.
Aksh: chacha.... Humari deal ho hi gayi.... Congratulations.....
Wo Karim ko gale se lagate hue kehta he.
Karim: khuda ka shukar he.... Me to sachme bahot khush hu....
Aksh: chaliye ab nikalte he...
Karim: ha... Pehle ek humari party to banti he na.... Fir waha se Surat chale jayenge.... Or kal subah Mumbai and....
Aksh: thik he....
Fir wo dono khushi khushi apni party ke liye chale jate he.
•
•
•
•
•
•
•
•
Raat ke kareeb 12 bajne ko aye the, Mansi or uski kuch saheliya unki ek friend ki uske ghar me party enjoy kar rahe the. Waha kafi sare ladke ladkiya thi, sab log naach gana karne me busy the.
Mansi: yaar Kavita me chalti hu, kafi der ho gayi he, Mom Dad mera wait kar rahe honge.....
Wo apni saheli ke haath thamkar kehti he.
Kavita: oh c'mon Mansi.... Ab to na koi college ka tension he na kuch... Ruk jao na....
Wo Mansi ko rokte hue kehti he.
Mansi: please try to understand.... Mom bahot pareshan ho jati he... Please me jati hu na ab....
Kavita: ab aunty ka naam le rahi ho is liye jane de rahi hu, warna....
Wo Mansi ko ungli dikhate hue kehti he.
Mansi: really sorry.... Me kal milti hu tum se....
Kavita: okay Bye....
Wo Mansi ko hug karte hue kehti he, fir Mansi jaldi se ghar ane ke liye nikal jati he. Car drive karte waqt use Kiran ka Call ajata he.
Mansi(mann me): oh no..... Mom.... Ab ye meri koi baat nahi sunengi.... Kya karu....
Mansi: Mom me bass kuch der me ghar ajaungi, aap chinta mat karo, or me drive kar rahi hu to please don't call me again.... Bye....
Wo jaldi se call pick karke bina Kiran ko bolne ka moka diye hi bole jati he or call cut kar deti he.
Mansi(mann me): ahhh.... Thank God bach gayi.... Ab ghar ja kar Dad ko bol dungi Mom ko room se bahar na ane de mujhe apne room me jane tak....
Wahi dusri taraf ghar pe Kiran heran si phone ko dekhe ja rahi thi.
Aman: are kya ho gaya? Aise kya dekh rahi ho?
Kiran: ye ladki na.... Bina meri baat sune call cut kar diya....
Wo kafi gusse me kehti he.
Aman: kyu gussa karti ho Kiran.... Badi ho gayi he wo, enjoy karne do apne Friends ke saath....
Kiran: me use enjoy karne se nahi rok rahi hu, but look at the time..... Itni raat ho gayi he....
Wo chintit lehze me Aman se kehti he.
Aman: Relax Kiran.....
Wo Kiran ko shant karate hue kehta he.
Duniya me har kisam ke log mojud he, ek to wo jo kisi ki safalta ko dekh kar apne aap ko sudharne me laga hua hota he. Or dusre wo jo kisi ki safalta ko dekh andar hi andar kafi jalan sa mehsus karta he.
Yaha rasta pura khali pada tha, do ladke drink kiye bike se kahi ja rahe the, or tabhi unki nazar Mansi ki car par jati he.
Ladka1: are bhai.... Wo dekh, badi mahengi gaadi lagg rahi he, zarur koi paise wala Aadmi andar hoga....
Ladka2: abe thik se dekh bhosdiwale.... Aadmi nahi balki Aurat he andar....
Ladka1: to chal... Kaam karte he apna...
Ladka2: zarur bhai.....
Or wo bike ko tez chala kar Car ke aage le ata he or uske paas ek aisa Auzar tha jis se car ke tyres kharab ho jate, usne jaldi se wo Auzar tyre ke samne daal diya or bike ki speed slow kar di. Kuch hi seconds me car unbalanced ho jati he tabb Mansi car ko side me rok leti he.
Mansi: ahhh.... Pehle hi late ho gaya he, or usme gadi ko kya ho gaya?
Wo gusse me apne haath steering wheel par marte hue kehti he, or apna purse le kar car se utar jati he. Jese Mansi car se utri, wo 2 ladke bhi aha agaye.
Ladka1: oye chamak challo...... Chal apne purse de de yaha.....
Piche wala ladka bike se utar kar ek Khanjar Mansi ke samne karte hue kehta he.
Mansi: accha to tumhe purse ke andar ki chize hi chahiye na? To ye lo......
Wo apne Purse me haath dalkar usme se Gun nikalte hue us ladke par point kar ke kehti he. Gun dekh kar us ladke ki buri tarah se fat jati he.
Mansi: kya hua.... Chahiye na Purse?
Wo Ladke ki taraf badhkar kehti he, lekin wo ladka piche dum daba kar bhaag jata he or bike par beth kar dono 9 2 11 ho jate he.
Mansi: Sala Kutro...... Akkal no authmir...... Huhhh....
Fir Mansi car ko dekhne lagti he tabb use pata chalta he ke uska tyre hi kharab ho chuka he.
Mansi: ab kya karu? Dad ko hi call kar ke batana hoga....
Fir wo car ke andar se apna mobile le leti he, or Aman ko call karne hi ja rahi hoti he ke samne se ek car guzar rahi thi, jisme Aksh or Karim bethe hue the, Aksh ne dur se hi ek Ladki ko akela dekh liya tha.
Aksh: chacha..... Wo dekhiye wo ladki akeli khadi he, shayad uski gadi band ho gayi he....
Karim: ha thik kaha tune.... Chal dekhte he...
Fir wo gadi ko Mansi ke paas ruka deta he. Mansi Mobile me dekh rahi thi to uska dhyan Aksh or Karim par nahi jata. Aksh or Karim gadi se utar jate he.
Aksh: Excuse me....
Wo Mansi ke piche se kehta he, Aksh ki awaz sunkar Mansi piche mudti he, lekin jese hi Mansi piche mudi to use dekh kar Aksh gehri soch me chala gaya.
Aksh(mann me): ek minute..... Ise mene pehle bhi kahi dekha he, lekin mujhe yaad nahi araha.....
Wo Mansi ko ek takk dekhte hue soch raha tha, Mansi use apne aap ko aisa dekhta pa kar awkward si feel karne lagti he.
Karim: beta kya hua? Itni raat ko tum aise.....
Mansi: actually uncle meri car ka Tyre kharab ho gaya he....
Uski awaz se Aksh hosh me ajata he.
Karim: ohh..... Ye to puri tarah se bigad gaya he....
Wo tyre ke paas akar dekhte hue kehta he.
Karim: car me spear wheel to hoga hi na...
Mansi: ha usme he....
Karim: thik he...
Fir wo Mansi ko boot open karne ke liye kehta he, is sare waqiye ko Aksh wahi khade ho kar dekh raha tha, darasal wo yaad karne ki koshish kar raha tha ke ye kon he. Tabhi Karim Tyre le kar car ke aage ajata he, use dekh kar Aksh aage badh kar Karim se tyre le leta he, or use badalne lagta he. Aksh ka kaam bahot hi tez tha. Jo dekh kar Mansi kafi impress ho jati he. Bass kuch hi der me Aksh tyre badal deta he.
Mansi: thanks uncle.... Thank You So Much.....
Wo apna haath aage badhate hue kehti he.
Karim: koi baat nahi.... sambhal kar jana, raat kafi ho chuki he....
Wo Mansi se haath milata he, uske sar pe haath fer kar kehta he.
Mansi: Thanks.....
Wo Aksh ki taraf haath badhate hue badi muskurahat ke saath kehti he.
Aksh: ah.... Uhmm.... It's... It's okay.....
Wo apne kanpte hue haath aage badha kar Mansi se haath mila leta he. Fir Mansi waha se nikal jati he lekin Aksh ab bhi yaad kar raha tha ke usne Mansi ko kaha dekha tha.
Karim: kya ho gaya bhai tujhe?
Wo Aksh ko kandhe se hilate hue puchta he.
Aksh: ahh.... Ha.... Nahi... Nahu kuch nahi...
Karim: chal ab jaldi se...
Fir wo log car me beth kar nikal jate he.
Aksh(mann me): yaar mene ise zarur kahi dekha he, lekin mujhe yaad kyu nahi araha.... Chhodo yaar, kya hoga yaad akar bhi? Huhhh....
Fir wo bhi Mansi ke bare me sochna band kar deta he, lekin tabhi uske dimag me kuch ajata he jis se uski khushi ka thikana nahi rehta.
Aksh: yes..... Yes..... Mil gaya.....
Wo khushi me zor zor se chillate hue kehta he.
Karim: oye... Kya ho gaya tujhe?
Aksh: chacha.... Mil gaya... Idea mil gaya.....
Karim: idea? Kesa idea?
Aksh: mere business start-up ke liye idea mil gaya.....
Wo bahot hi khushi se kehta he.
Karim: matlab? Kya idea he?
Aksh: are.... Mujhe ek baat bataye, jab bhi kisi ku gaadi kahi Garage se kafi dur kharab ho jaye to uske paas kya Option reh jata he?
Karim: to wo kisi bhi aise garage walo ko call karega jo car tow kar sake....
Aksh: bilkul thik..... Lekin jab koi aise jagah fas gaya jaha ka exact adress na ho, to use kafi dikkat asakti he right?
Karim: bilkul......
Aksh: me soch raha hu ke hum ek Application banaye, jaha par aap bass apna location on karke apni exact jagah par hume bula sakte ho, hum aise kuch options bhi provide karenge like agar unhe problem ke bare me pata ho to wo ye check kar sakte he ke unki gadi ko waqt kitna lagega, kharch kitna ayega.... or kisi ko apni gadi ka modifications karna ho to unke liye bhi hum kafi option daal denge ke wo apni gadi kis tarah modify karna chahenge..... Matlab kisi ko directly call karke ye sab puchne ki zarurat hi nahi hogi.... Or bass yahi nahi hum bahot kuch kar sakte he....
Uski sari baate sunkar Karim ko bhi ispar khushi ho rahi thi.
Karim: baat teri sahi he Aksh..... Mujhe to ye online ka zyada kuch samajh nahi he, lekin tu keh raha he to bindas kar.... Or iske liye jitna kharch ayega, mujhe bata dena...
Aksh: thik he, Mumbai ja kar me sabse pehle ispar hi kaam shuru kar dunga....
Karim: thik he.... Lekin bahot accha socha he tune... Good...
Aksh: Thank You....
Fir wo dono aise hi baate karte hue chale jate he, Aksh bahot hi zyada khush tha apne Idea par. Use ab bass Mumbai ja kar in sab par implement karna tha.
Lekin ab dekhna interesting hoga ke Aksh ka ye idea, ye Start Up aage kya rang dikhata he. Ab jo bhi hoga aapko pata chal jayega.
or dosto me bata du ke Story abhi apni track par nahi ayi he, chapter 2 thoda lamba hoga, kyu ke yahi se to puri kahani ki rachna honi he. Or agle kuch Updates sirf or sirf Sakshi, Aksh or Mansi par honge, or tabb aap samajh jaoge ki akhir story kis track par jane wali he.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling