parkas
Well-Known Member
- 27,736
- 61,456
- 303
Bahut hi badhiya update diya hai Qaatil bhai....Chapter 05 Shades Of Blood
Update 05 (Final Update)
"Aai....... Baba......"
Ghar ke Andar bethe Santosh or Radha Sakshi ki dari hui chink sunkar daudkar bahar aye to waha Aksh niche gira tha or uske sar par badi chot lagi thi jaha se khun bhi beh raha tha, ab umar me chota hone se Aksh turant hi behosh ho gaya. Santosh use uthake paas hi ke aspatal le gaya.
Andar Doctor Aksh ki marham patti kar rahe the lekin bahar Sakshi ne to jese pura aspatal sar par utha liya tha. Use bass kisi bhi tarah Aksh ke paas jana tha. Or jese tese wo daudkar waha se andar chali jati he, Doctor bhi use sambhal nahi paye, tabb Doctor ne use yaha rukne diya. Aksh abtak hosh me nahi tha Sakshi rote hue bass Aksh ko hi dekhe ja rahi thi.
Thodi der baad Aksh ki marham patti ho chuki thi or wo hosh me bhi agaya tha, Santosh or Radha uske paas khade the or Sakshi bed par uske bagal me bethi thi.
Aksh ki jese hi aakhe khuli, usne Sakshi ko dekha.
Sakshi: Dada..... Tula Dukhat aahe ka? (Tujhe dard ho raha he)
Aksh: nahi..... Lekin tu.... Tujhe chot to nahi na lagi?
Aksh apna sar pakadte hue use jawab deta he.
Sakshi: nahi.......
Wo Apni roti aakhr saaf karte hue kehti he.
Santosh: chot kese lagi Aksh tujhe?
Sakshi: Baba wo me cycle chala rahi thi..... Jab me girne lagi, to Aksh ne mujhe pakad liya lekin wo khud Cycle ke handle par gir gaya or......
Or itna kehkar Sakshi fir se rone lagg gayi.
Kuch waqt baad wo log ghar agaye the, Aksh dawai ke asar se turant so gaya. Sakshi kamre me akar Aksh ko baar baar dekh rahi thi. Wo ab aage akar uske bagal me beth gayi or Aksh ke sar par dhime se chum liya.
Sakshi (Mann me): jab mujhe chot lagti he to Aai humesha aise hi karti he.... Or fir dard kam ho jata he......
Shaam ko unke ilake me kisi ki rone ki awaze arahi thi, sare log ek ghar ke samne jama ho gaye the, Santosh or Radha bhi wahi the, Sakshi bhi unke piche piche waha agayi. Us ghar me ek young couple rehte the, or is waqt ladka bass roye ja raha tha. Inka ghar Santosh or Radha ke samne hi tha or in dono ke Joshi ji ke saath acchi jamti thi.
Radha: kya hua Rahul? Tum ro kyu rahe ho?
Rahul: Tai(Didi)..... Tai...... Anita.... Anita.....
Wo ladka bass rote hue kuch kehna chahta tha lekin uske shabd pure nahi ho rahe the, tabb Santosh bedroom ka door jo adha hi band tha use kholta he to sabke hosh udd jate he. Samne Anita fasi par latti hui thi. Ye dekh Sakshi behadd darr gayi or chillane lagg gayi tabb Radha use ghar par le ati he.
Sakshi: Aai..... Aai...... Anita Tai ko kya hua.......
Radha: k..... Kuch nahi.... Tu ja andar.....
Wo rote hue Sakshi ko jawab deti he.
Sakshi: Aai batao na.... Tum ro kyu rahi ho?
Radha: kuch nahi beta.... Anita.... Anita ko..... Kuch nahi hua wo bass.....
Wo baat ko taal te hue kehti he. Or jese tese Sakshi ko chup kara deti he.
Kayi din beet chuke the, jaha Aksh to behtar ho gaya tha. Lekin Sakshi ki dimag se Anita bilkul bhi nahi gayi thi.
Sakshi: Aai.... Baba.... Anita Tai kaha gayi he? Wo wapis kab ayegi?
Santosh: beta..... Ab Anita yaha nahi rahi..... Wo Bappa ke paas he....
Sakshi: Bappa ke paas?
Santosh: Haa..... Hume kisne banaya he?
Sakshi: Bappa......
Santosh: bilkul.... To ek waqt baad hum sab ko fir se Bappa ke paas jana hota he....
Sakshi: lekin kyu Baba?
Santosh: beta.... Bappa hume yaha kisi na kisi karan varsh bhejte he.... Jab wo waqt khatam hota he, to Bappa hume fir se unke paas bula lete he.... Ab or koi sawal nahi, or jao jakar so jao.....
Sakshi bass udas sa chehra lekar apne kamre me agyi jaha Aksh bhi mojud tha.
Aksh: kya hua Sakshi?
Wo Sakshi ka udas chehra dekh kar puchta he. Fir Sakshi use Santosh se hui batchit bata deti he.
Sakshi: Dada mujhe wapis nahi jana...... Mujhe tere, Aai Baba ke saath hi rehna he......
Aksh: thik he.....
Or itna kehkar Aksh uthkar samne table par rakhi bhagwan ki murti ke samne haath jodkar khada ho jata he.
Aksh: Bappa..... Sakshi ko wapis matt bulana, or mere Aai Baba ko bhi nahi.....
Sakshi: are Bavlat..... Tujhe bhi na bulaye bolna.....
Aksh: ohh Ha.... Mujhe matt bulana Bappa..... thik he
Fir Aksh akar Sakshi ke samne beth jata he.
Aksh: ab khush..... Dekhna Bappa hume kabhi bhi alag nahi karenge.....
Uski baat par Sakshi ke chehre par badi si muskurahat ajati he
Back To The Present
Hospital room me Tezi se awaz karti machines ke bich Sakshi ki saanse behadd tez ho rahi thi tabb Doctor use injection dekar relax kar dete he dhire dhire Sakshi apni aakhe khol rahi thi uski nazre bass Aksh ki talash ms thi lekin use Aksh waha nahi dikhayi diya. Kuch der baad kamre ka door open hua, Sakshi ne apni nazre waha ghumayi to samne se Aksh bilkul nirash sa andar aya usne ek baar bhi Sakshi se nazre nahi milayi. Lekin Sakshi ko uski aakho me behte Asuo ne bata diya ke shayad Bappa ne uski iccha ko kharij kar diya he.
Sakshi: A..... Aksh.....
Wo Aksh ka haath pakadte hue use pukarti he, tabb Aksh uski taraf dekhne laga or use dekh Sakshi ka bhi dil jese tut sa gaya.
Sakshi: k..... Kitna..... Kitna waqt he mere.... Mere paas?
Uski baat par Aksh sisak kar rone laga or jakar Sakshi ko baho me bhar liya. Ab Sakshi bhi ek aam insan hi thi, jise Maut ke khayal se darr lagta. Wo bhi Aksh se lipat kar rone lagi.
Aksh: S..... Sakshi..... Sakshi..... Me.... Me tujhe... Me tujhe kuch nahi hone dunga..... Me.... Me wada karta hu.....
Sakshi: Baba...... Baba ne kaha tha.... hum bass.... Bass ek karan varsh yaha ate he..... Uske baad....
Aksh: nahi...... Kuch..... Kuch nahi hoga tujhe......
Ab Aksh ka dilasa Sakshi ko koi khas ummid nahi de raha tha, tabb uski nazar piche khade Anant par padi.
Sakshi: s.... Sir..... Ho sake to..... To maaf kar dijiye mujhe..... Lekin me kya karti? Aksh..... Aksh ke alawa koi nahi mera...... Use bachane ke liye..... Use bachane ke liye hi kiya sab.......
Anant: janta hu....... Khair, bhul jao wo sab....... Or chinta matt karo, sab thik ho jayega......
Anant itna kehkar bahar chala jata he, Yaha Anant bhi samajh nahi paraha tha ke use khush hona he ya dukhi. Lekin Aksh ab bhi Sakshi se lipat kar ro raha tha, tabb Sakshi muskurate hue uska chehra apne samne karti he.
Sakshi: abhi to kaha tune...... Ki.... Ki mujhe kuch nahi hone dega.... Fir kyu ro raha he?
Wo Aksh ke aansu saaf karte hue kehti he. Aksh apna matha Sakshi ke mathe se jod kar bass chup sa ho gaya.
Waha Nirbhay ko bhi Sakshi ke Hospital jane ka pata chal gaya usne jese tese jankari nikali or jab use pata chala ke shayad Sakshi nahi bach payegi uski aakhe num ho gayi.
Nirbhay: nahi....... Kaka...... Kaka ka pratishodh vyarth ho jayega..... Ye nahi ho sakta..........
"Kuch matt karo Nirbhay....... Shanti banaye rakho, niyati abhi bhi humare paksh me he...... Yogya samay ki pratiksha karo..... Haa....... Yogya samay ki pratiksha karo"
Waha Hospital me Aksh ab bhi chup chap Sakshi ka haath thamkar betha hua tha. Sakshi use dekh kar mazak karne ka sochti he.
Sakshi: Aksh....
Aksh: Ha Sakshi......
Sakshi: mujhe yaha dard ho raha he.....
Wo jhutmuth ka muh banate hue kehti he.
Aksh: kaha.... Kaha dard ho raha he?
Sakshi: Yaha......
Wo Aksh ka haath pakad kar apne Dil par rakhte hue kehti he.
Sakshi: tujhe.... Tujhe aisa dekh kar mujhe accha nahi lagta Aksh......
Uski baat par Aksh apna sar jhuka leta he.
Sakshi: waise Aksh.... Mene humare baccho ke naam soch liye....
Ab uski baat par Aksh bhi apne rawaye ko badalne ki sochta he or Sakshi ke dono haath thamkar chum leta he.
Aksh: naam.... Naam soch liya, lekin ye socha he ke bacche honge kese.....
Wo Sakshi ke chehre bilkul nazdeek akar kehta he.
Sakshi: tu chahe to abhi......
Wo shararat bhare swaro me apne kapde ko chati se niche karte hue kehti he jo dekh Aksh bhi hass pada.
Raat ke waqt Aksh room ka door band kar ke Sakshi ke paas akar beth gaya, ab Aksh ke chehre ki udasi Sakshi se dekhi nahi ja rahi thi.
Sakshi: Aksh..... Door...... Door lock to kiya he na?
Aksh: Ha.....
Uski baat par Sakshi uthkar bethna chahti thi lekin usme itni takat nahi thi, tabb Aksh use sahara dete hue utha deta he.
Aksh: kyu uth gayi?
Sakshi uski baat ka jawab diye bina Aksh ko collar se pakad kar apne paas khinch leti he.
Sakshi: humari baat adhuri reh gayi thi na.....
Aksh: konsi baat?
Sakshi: baccho wali baat......
Uski baat par Aksh apne mathe par haath maar deta he.
Aksh: tu......
Wo aage kuch kehta us se pehle hi Sakshi ne use kiss kar liya or wo kafi der takk aise hi Aksh ko kiss kiye ja rahi thi. Fir Sakshi Aksh ko bed ke paas ki chair par bethne ko kehti he or khud bed se utarne lagti he.
Aksh: Sakshi Drip nikal....
Sakshi: bilkul chup....
Wo Aksh ki baat kaat te hue kehti he. Or wo apne dono per chair ke ek ek taraf dalkar Aksh ki godd me beth gayi or apna Shirt utarne lagi, Hospital me diye gaye shirt kafi dhile the usne ek hi jhatke me shirt ko niche kiya, Sakshi ne apne baalo ko bhi khol diye, Aksh dhire dhire apne haath Sakshi ki khuli kamar se lekar uski pith takk le gaya, jis se Sakshi ki saanse bhi tez ho rahi thi. Aksh ne apne honto se Sakshi ke gale ko chua jis se Sakshi bilkul apne hont daato ke bich dabane lagi.
Aksh: Sakshi......
Wo apni Num aakho se Sakshi ko pukarta he, tabb Sakshi bhi uski aakho me dekh kar apni aakhe num karne se nahi rok payi. Wo apna matha Aksh ke mathe se jodkar bass waise hi bethi rahi. Dono is waqt bina kuch kahe bass apna dukh sajha kar rahe the.
Kehte he bura waqt behadd hi dhime kat ta he. Jo bilkul sahi tha, Aksh or Sakshi ka ye bura waqt har ek pal dono ko takleefo ka ehsas de raha tha. Aksh to bilkul hi tut chuka tha, lekin Sakshi ko hosla dene ke liye wo apni puri jaan laga raha tha. Wahi kuch aisa tha, jo Sakshi samajh chuki thi, or bass apni niyati ke anusar chalne ke liye tayar thi.
Behadd hi kathinayi se Ek ke baad ek din nikal rahe the, Aksh har pal Sakshi ke saath tha, kamzori ne Sakshi ko tod diya tha, lekin Aksh apne aap ko Sakshi ka hi ek hissa samajh kar use sahra de raha tha. Doctor ne Aksh ko dilasa diya tha ke wo Sakshi ko thik karne ke liye sabkuch karenge, lekin jabtak Sakshi apne jine ki aas barkarar rakhegi tabhi Doctors kuch kar pate.
Ek din Sham ke waqt police, ambulance ki sekdo gadiya raste par daud rahi thi, or wajah thi Ankleshwar ilake me bani Chemical Factory ka hadsa. Pichle 4 ghanto se yaha halat battar hote ja rahe the, aaspas ke ilake me is waqt Curfew laga diya gaya tha.
News: Bhopal Tragedy 2... Ankleshwar me hua hadsa, jo ki Bhopal Tragedy se kayi guna bhayanak mana ja raha he.... Jaha Bhopal Tragedy me 2 dino me 3 hazaar se zyada logo ki maut hui thi, wahi sutro se mili jankari ke nusar pichle 4 ghanto me kareeb 1 hazaar se zyada logo ne apni jaan gava di he..... Situation control me na hone se maut ka akda badhta ja raha he, Akhir ye hadsa tha ya koi sazish, logo ka maan na he kuch waqt pehle jis Nirbhay naam ke vyakti ki Video viral hui thi, ye sab usi insan ka kaam he.......
Jese hi Aksh ne is news ko dekha uske hosh udd gaye, kyu ke jab Nirbhay ne Aksh se phone par baat ki, tabb usne Aksh ko bataya tha ke agar wo log Sakshi ko apne saath le jane me asafal hue to kya hoga, or ye jo ho raha tha ye sab uske batayi baat ka saaf saaf nazara tha.
Wahi Sakshi ne to jese haar maan li thi, subah se Sakshi ne apne muh se koi shabd nahi nikala, use bass ajeeb sa mehsus ho raha tha, Aksh kahi na kahi janta tha ke shayad uska sabkuch chinn chuka hai lekin wo kese ye maan le. Wahi Sakshi achanak se Muskurane lagi, jo dekh kar Aksh behadd tut kar rone lagta hai
Aksh: Sakshi..... Please, please...... aise......
Wo Sakshi ka haath zor se apne haatho me dabate hue uski aakho me dekh kar kehta hai, Sakshi apne dusre haath se Aksh ke aakho se behte aansu saaf karne ki koshish kar rahi thi, lekin aaj shayad wo kitni bhi koshish kar le, Aksh ke Aansu ruk nahi rahe the.
Sakshi: B...... Bavlat Tu..... Tu rona band kar..... Me jaate hue apne..... Apne Aksh ko rota nahi dekh sakti.....
Wo Aksh ka haath jo usne zor se kasa hua tha use chumte hue kehti hai.
Aksh: me...... Me tujhe nahi jane dunga Sakshi..... Kisi bhi kimat par nahi......
Sakshi: Aksh..... Mai to tabhi marr gayi thi jab maine.... Maine apne pyare Aksh ko dukh diya tha, use akela chhod diya tha..... Wo to tune jab mera pyaar apnaya tabb bass meri saanse sambhal li thi...... Or mujhe zindagi se koi shikayat nahi he, kyu ke akhir me tu mujhe mil hi gaya na....... is duniya se mann bhar gaya, abb jane ka waqt agaya......
Or ab Aksh se wida hone ki baat se Sakshi bhi rone lagti hai. Aksh use kas kar gale se laga leta he.
Aksh: bahot waqt baad sapne dekhna shuru kiya he mene..... please Sakshi......
Sakshi: acchi baat he..... Jab.... Jab mere bina teri raate.... Teri raate khamosh hongi to..... To un sapno me mujhe yaad karna....... Mera ehsas humesha.... Humesha tere saath hoga......
Uski baat par Aksh aakhe band kar Sakshi se lipat kar ro raha tha.
Aksh: Sakshi.... Me.... Me humesha se sabkuch khota aya hu..... Mere paas tere alawa kuch bhi nahi he..... Me tujhe kahi dur le jaunga, tu jaha kahegi, lekin mujhe akela matt chhor Sakshi......
"Sakshi....... S......"
Jab Sakshi ne apne haath dhile chhor diye or room ki sari machines ek speed me beep karne lagi to Aksh uska chehra apne haatho me thamkar uske jawab ka intezar kar raha tha. Lekin shayad jawab yahi tha. isi tarah ek aur kahani ka annt ho gaya.
•
•
•
"Abhi abhi mili khabar ke hisab se, desh ko Rana jese hatyare ke khilaf khade karne wale Aksh Joshi ne fasi lekar atmahatya kar li hai....... Lekin jane se pehle unhone kal raat Jail ke andar ghuskar Rana ki behadd nirdayi tarike se hatya kar di, police jab Aksh ko khojne lagi or uske ghar takk gayi to waha Aksh Joshi ne apne aap ko Fasi par latka liya tha....
Waha Anant Aksh ke ghar pahuncha, Aksh ki body ko fasi se utar kar ab Hospital me Postmortem ke liye le jana tha, Anant jab ghar ko check kar raha tha to uski nazar samne pade bag par chali gayi jise dekh kar uske hosh udd gaye, uske chehre ko dekh kar dusra officer us se puchta he.
Officer: sir, kya hua, aap thik hai na?
Anant Uski baat ka koi jawab nahi deta or aage badhkar us bag ko utha leta hai. Or use yaad ata he ke usne aisi hi bag Abhinav ki maut ke baad waha dekhi thi, lekin tabb usne ye socha ke ye bag Abhinav ki koi personal bag he isliye Anant ne us bag ko forensic me nahi bheja or use Abhinav ke ghar me chhod diya.
Lekin tabhi use Hospital se call ajata he ke Sakshi ki laash waha se gayab he, lekin waha bhi aisi hi ek bag mili thi, jo sunkar Anant ko bada jhatka lagta he, Lekin ab wo samajh gaya ke sacchai kuch or hai.
Waha Nirbhay Hospital Staff ka bhes bana kar andar ghus aya, or usne Dead house me akar waha mojud 3 logo ko Gun ki ek ek goli se khatam kar diya, Gun me lage silencer ne apna kaam kar diya tha ab Nirbhay waha Sakshi ki laash dhund kar use Stretcher ke saath Ambulance Parking me le gaya jaha usme pehle se hi apni layi Ambulance park ki hui thi, Sakshi ki Body andar dalne ke baad wo yaha se nikal jata hai kuch der baad wo ek sunsan si haweli ke paas pahunch gaya, usne Stretcher nikalkar Sakshi ki body andar le ayi.
Us Haweli me ek 70+ sal ke buzurg electric wheelchair par the jese hi darwaza khula aur Nirbhay andar aya un buzurg ne apni chair piche modi or aage agaye. Nirbhay ne Sakshi ki laash ko unke samne rakh diya.
Wo buzurg Nirbhay ki taraf dekhne laga aur kaha
"Antim karya karne me koi badha?"
"Nahi....... parantu Mujhe kshama kijiye, me Sakshi ko yaha jiveet nahi la paya, hum is khel me parajit ho gaye.... Kaka"
"Parajit? Ab to Soma prapt hoga.... Bhul gaye meri baat, Abdul?'
•
•
•
"Darr Raha Hai Na Tu, Fir se Nayi Kahani Likhne Se? Ye Sochkar Ke Agar Ye Wali Adhuri Reh Gayi To? To Kya Ho Gaya Agar Adhuri Reh Gayi To..... Adhrui Hi Sahi, Likh To Sahi..... Bhale Samay Kitaab Hi Kyu Na Jala De, Kuch Khubsurat Sa Likh, Bhale Adhura Hi Sahi...... Aur Waise Bhi, Sabse Khubsurat Kahaniya To Aksar Hi, Adhuri Hi Hoti Hai Na......."
~ Sakshi
°
°
°
Bimari Se Uske Sharir Ko Tadapta Dekh,
Apna Wada Nibhata Hua,
Uski Ulitya Saaf Karta, Usko Nehlata,
Usko apne haatho se khilata,
Usko apne pero par fir se chalta krta hua,
Wo Ishq Jo Bematlab tha.
ICU ke bahar, uske thik hone ki dua Mangta,
Hospital Bed me uske saath, uska haath thame,
Usko liquid food khilata hua,
Chemos se uske jhadte hue balo me
Apna haath ferta hua,
Usko uski khubsurati ka ehsaas dilata hua,
Uski Aakhri Saans Takk, uske saath rehta,
Usko himmat deta, uski sewa mai
Apni Sharir ki sari kshamata ko samarpit karta,
Wo Ishq........ Jo Matlabi Nahi Tha
Shayad Isi Liye to..... Wo Ishq Tha, Wo Laal Ishq Tha
___________________________________
Laal Ishq : Safar Bhai Behen ka
The End
Sequal
(Incest) Laal Ishq 2 : 1980s An Old School Romance
[Incest | Suspense | Thriller | Taboo]
Nice and awesome update....