- 2,217
- 13,471
- 159
Khoobsurat update..bhai..❤
Nice update. .
Nice one......
Nice
Thank You So Much Dosto aap sab ke pyare Comments ke liyesupeb update
Stay Tuned And Keep Supporting
Khoobsurat update..bhai..❤
Nice update. .
Nice one......
Nice
Thank You So Much Dosto aap sab ke pyare Comments ke liyesupeb update
Thank You So Much Bhainice update ..aksh kuch banna chahta hai apni jindagi me par wo galat raah par chal raha hai ..jis jagah wo kaam kar raha hai usse wo sirf aam aadmi ki tarah life bita sakta hai ..ek mechanik aur dusra restaurant me safaai karna isse wo kuch haasil nahi kar sakta ..
aksh ne jis tarah sakshi ko bachaya maa ki daant se usse wo apne behan ki kitni parwah karta hai ye pata chalta hai ..
shayad neha aksh se pyar karti hai par uski wajah se kahi sakshi galat raste par naa chal pade ..
sirf itna samajh me aaya ki aksh ko uski manjil pata nahi hai bas wo apni dhun me chal raha hai ..
Thank You So Much BhaiNatural beauty is priceless and God has made everyone beautiful, It depends on the viewer's point of view and no matter external beauty, a person's heart and mind must be beautiful. I feel the same with Sakshi and I like her caring nature and I wish that the blessing of Sakshi fulfilled.
At this time, Aksh needs a partner and friend and Sakshi is supporting him, That's a good thing. This is a time when Aksh will be very troublesome because it is always difficult to start. Only Sakshi can understand Aksh, Sakshi said, I understand the meaning of this thing, but does it mean what I am thinking.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
Lovely update bhaiChapter 2 - The Journey
Update 9
Mega Update
Word Count: 4130
Estimated Reading Time: 00:18:00
Mumbai ki taptapti garmiya shuru ho chuki thi, suraj apne pure josh me tha. Subah ke kareeb 7 baje hue the, Sakshi bass naha kar ayi thi or apne gile baal ek taraf kar ke unhe sukha rahi thi. Uske chehre par ab bhi pani ki kuch bunde bikhri hui thi, Sakshi jaldi jaldi tayar ho jati he, Sakshi apne masum se chehre par makeup nahi lagati thi. Bhagwaan ne Sakshi ko zyada Khubsurat to nahi banaya tha, lekin use dekh kar koi bhi insaan Sakshi ko nazar andaaz nahi kar sakta tha. Nahane ke baad sabse pehla kaam Sakshi karti thi wo tha bhagwaan ke samne prarthana karna.
Sakshi(mann me): Deva(Bhagwaan) humesha ki tarah aaj ka din bhi teri krupa se accha jaye aisa karna, or ha.... Please Aksh ko ab zyada pareshan mat karo, jaldi se uski mushkile dur kardo... Or jesa wo chahta he waise hi sabkuch hota jaye....
Sakshi Haath jod kar apni aakhe band kiye pure dil se bhagwaan ke samne prarthana kar rahi thi. Har din uski prarthana me Aksh ka naam hota hi tha.
Radha: Sakshi jaldi kar.... Time dekh kya hua he, college nahi jana tujhe?
Wo Sakshi ke kamre me akar use yaad dilate hue kehti he.
Sakshi: ha... Ha Aai.... Bas aa rahi hu....
Or wo apni ungli se mathe par chota sa tika kar ke bahar hall me ajati he, jaha Aksh Sofe ke kone me badi hi gehri soch me haath me nashte ki plate le kar betha hua tha. Sakshi akar Aksh ke bagal me beth jati he. Radha uske liye bhi nashta le ati he.
Sakshi ne ghadi par nazar dodayi to usne paya ke aaj wo humesha se late he, or wo jaldi jaldi me apna nashta khatam kar leti he.
Sakshi: Aksh.... Kya tu free he?
Apna nashta khatam karne ke baad Sakshi Aksh se puchti he.
Radha: are Sakshi ye kya sawal puch liya tune? Use konsa kaam hota he?
Wo kitchen me se kaam karte hue Aksh ko tana marte hue kehti he, jis se Sakshi ko bahot bura lagta he.
Aksh: ha me free hi hu, bol kya baat he?
Sakshi: mujhe aaj college jane ke liye kafi late ho gaya he, kya tu mujhe college tak chhod dega?
Wo Radha ki baat ko nazar andaz karte hue bade pyaar se Puchti he.
Aksh: thik he....
Or fir Sakshi Aksh ke saath uski bike par beth kar apne raste nikal jati he.
Sakshi: I am Really Sorry Aksh....
Kuch duri par ane ke baad wo Aksh se kehti he.
Aksh: kis liye?
Sakshi: mene sab kuch jante hue bhi Aai ke samne tujhse sawal kar diya or Aai ne....
Aksh: ab chhod bhi de yaar Sakshi.... Huhh.. iski to ab Adat si ho gayi he mujhe...
Wo ek Sarcastic smile ke saath kehta he.
Sakshi: waise kya hua? Koi start up idea mila ya nahi tujhe?
Aksh: abtak to nahi mila, or lagta bhi nahi he ke kuch hoga....
Wo kafi nirash ho kar kehta he.
Sakshi: Aisa kyu keh raha he Aksh tu? Dekhna, ek din tera start-up bahot bade business me badal jayega, itna successful hoga ke koi soch bhi nahi sakta....
Wo Aksh ko hosla dete hue kehti he, jis se Aksh halka sa smile kar deta he, lekin andar se use bahot accha lagta jab bhi Sakshi use hosla deti.
Kuch der baad dono Sakshi ke college pahoch gaye the, Sakshi bike se utar kar Aksh ko bye keh kar aage badh hi rahi thi ke Aksh use rok deta he.
Aksh: college chutne ke waqt lene ajaunga me tujhe...
Sakshi: tu pareshan kyu ho raha he, me....
Aksh: me ajaunga lene... Chali mat jana...
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he or waha se chala jata he. Fir Sakshi bhi college gate ke andar ajati he, wo samne dekhti he ke waha Neha apna muh fulaye khadi thi.
Sakshi: ab tu kyu apna muh fulaye khadi he?
Wo Neha ke paas akar puchti he.
Neha: jese tujhe kuch pata hi nahi he....
Wo gusse me Sakshi se kehti he.
Sakshi: Ahhh.... firse wahi baat.... Yaar neha ab tu subah subah shuru mat ho ja....
Wo aage badhte hue kehti he lekin Neha jaldi se Sakshi ka haath piche se pakad kar use rok leti he.
Neha: please na Sakshi.... Bas ek baar tu baat karna Aksh se... Usne mujhse to baat karna hi band kar diya he, jese mujhe janta hi nahi ho...
Wo roti hui shakal bana kar Sakshi se kehti he.
Sakshi: Deva...... ab ye me tujhe hazar baar bata chuki hu ke Aksh ko nahi pasand kisi se bhi baat karna... Wo nahi manega....
Wo apna ek haath apne mathe pe marte hue kehti he.
Neha: thik he... Mat kar meri help... Me khud hi baat kar lungi Aksh se...
Wo gusse me apne per patakte hue kehti he.
Sakshi: accha? Agar to Aksh ne thappad wappad laga diya to sambhal lena...
Wo Neha ko warn karte hue kehti he.
Neha: yaar kitni buri he Sakshi tu.... Me to bass baat karne ke liye keh rahi hu na....
Wo udas sa chehra banate hue kehti he.
Sakshi: Neha me Aksh ko bahot acchi tarah se janti hu, pichle kuch salo me uska behavior kafi change ho chuka he, wo zyada social rehna pasand nahi karta, Aksh alag hi level ka Introvert bann gaya he... Or uske gusse se me acchi tarah waqif hu, mujhe bhi kafi darr lagta he uske gusse se...
Wo Neha ke haath apne haatho me thamkar use samjhate hue kehti he. Lekin is se Neha kafi udas ho jati he.
Sakshi: yaar please ab aise udas na ho tu?
Neha: kyu na hu udas? Ek to Aksh jese dost milna bahot mushkil he, or usme is ladke ne baat karna hi band kar diya he... Huhhh...
Wo apna muh fulate hue kehti he.
Sakshi: Neha... Kahi tu Aksh se pyaar vyaar to nahi karne lagg gayi?
Wo apni aakhe chodi karte hue Neha se puchti he, jis se Neha bhokla jati he.
Neha: n.... Nahi... Nahi... Ye k.. kya keh rahi he tu?
Wo hadbadate hue Sakshi se kehti he.
Sakshi: hmm... good... Or iske bare me sochna bhi mat.... Aksh ko sirf me samajh sakti hu, ye kaam tere bass ka nahi he...
Wo haste hue Neha se kehti he, or aage badh jati he.
Neha: accha? To fir Aksh to humesha Single hi rahega....
Wo bhi aage badhkar Sakshi ke saath chalte hue kehti he.
Sakshi: nahi.... Uske liye koi bahot hi spacial ladki milegi... Jo use samajh sake, jo uske sapno ko samajh sake, jo uska humesha saath de sake....
Wo kisi khayalo me kho kar kehti he or ye baat kehte waqt wo apni jagah par tham jati he. Lekin tabhi samne se Soham ajata he.
Soham: Good Morning Sakshi, Neha.....
Uski awaz sunkar Sakshi hosh me ati he.
Sakshi/Neha: Good Morning.....
Sakshi: ab chalo jaldi se... Pehle se hi late ho gaye he aaj....
Soham: are kya yaar.... Chalo aaj class bunk karte he....
Neha: sahi kaha.... Me to ye roz roz ki class se boar ho chuki hu....
Sakshi: tum dono hi jao.... Me to chali apni class me...
Ye kehkar wo aage badhne lagti he ke Neha uska haath pakad kar use rok leti he.
Neha: yaar Sakshi tu na humesha har baat ke liye mana kar deti he... Kya ho jayega agar aaj class bunk kar li to?
Soham: sahi kaha.... Kabhi kabar dosto ke saath bhi time spend karna chahiye.....
Sakshi: tum log jao... Me nahi arahi....
Neha: thik he... Agar tu nahi ayegi, to mujhse kabhi baat mat karna...
Wo Sakshi ka haath azad karte hue kehti he.
Sakshi: ye kya baccho jesi zidd kar rahi he Neha tu?
Neha: me nahi tu Baccho ki tarah kar rahi he... Tu bass bata arahi he bunk karne ya mujhse baat band karegi?
Wo Sakshi ko ungli dikhate hue puchti he. Ab Sakshi soch me pad jati he, Neha or Soham ke kehne par akhir kar wo class bunk karne ke liye maan hi jati he.
Neha apni class ki ek or saheli ko bula leti he jiske paas scooty thi, Ab Soham or Sakshi Soham ki bike pe the or Neha apni dost ke saath scooty par thi. Wo log aise hi kuch der ghumte ghumte thodi der baad movie dekhne chale jate he, Sakshi laakh mana kar rahi thi lekin wo Neha ki zidd ke aage kuch nahi bol payi.
Wahi Dusri taraf Aksh Sakshi ko college chhod kar sidha Garage chala jata he, waise to garage itni jaldi nahi khulta tha, lekin Aksh ko kuch kaam pura karna tha isliye wo jaldi hi chala jata he, Garage ki ek chabi Aksh ke paas bhi thi, Aksh ja kar Garage open kar deta he or apne kaam me lagg jata he, kuch der baad Karim bhi waha ajata he, kareeb 12 baje uska kaam pura ho gaya tha. Wo Karim ko bolkar waha se nikal jata he or ek restaurant me kaam ki talash me pahoch jata he.
Ab Aksh Garage me kaam karta tha, Karim ne use uske kaam ke paise bhi dene laga tha, lekin Aksh ko pata tha ke aage ja kar jab use koi Start Up shuru karna hoga to usme kafi paisa lagega, isliye Aksh ek or kaam karne ka faisla leta he. Or use pata tha ke garage ke kaam me zyada paisa nahi milta isliye wo sirf Karim ke yahi kaam karta tha.
Aadmi: are agaye tum...
Ek Aadmi Aksh waha aya dekh uske paas ja kar kehta he.
Aksh: ji sir....
Aadmi: kal me busy tha isliye baat nahi kar paya, batao kya keh rahe the tum?
Aksh: darasal sir Mujhe nokri chahiye... Kafi koshish kar li kahi nokri mil nahi rahi he...
Aadmi: hmmm.... To kis tarah ki nokri chahiye tumhe?
Aksh: sir Kaam kaam hota he, jesa bhi ho, me karne ke liye tayar hu.
Aadmi: filhal to yaha ek Waiter ki sakht zarurat he, kya tum kar paoge ye kaam?
Aksh: ji zarur karunga....
Aadmi: thik he... English to ati he na tumhe?
Aksh: ji nahi sir... Bas tuti futi English hi bol leta hu me.
Aadmi: yaar fir to gadbad he.... kafi sare Customers ate he yaha jo sirf English bolte he... Tabb?
Aksh: dekhiye sir mujhe kaam ki saksht zarurat he, please mujhe koi kaam de dijiye...
Wo us Aadmi se request karte hue kehta he.
Aadmi: me samajh sakta hu, lekin...... Ha ek kaam he.... Magar wo tumhare liye accha nahi hoga....
Aksh: aap bataye na... Me koi bhi kaam kar lunga....
Aadmi: dekho Aksh.... Wo kaam tumhare liye thik nahi he...
Aksh: kaam to sare apni jagah par sahi hote he na.... Wo to hum hote he jo use sahi ya galat tarike se karte he.
Aadmi: darasal wo kaam Housekeeping ka he.....
Aksh: thik he sir me kar lunga....
Aadmi: dekho Aksh ye sare kaam wo log karte he jisne apni zindagi me koi padhai nahi ki, or us base par unhe or koi nokri nahi milti, isliye unke paas aise kaam karne ka hi rasta bach jata he...
Aksh: rasta to mere paas bhi wahi bacha he.... Dar dar ki thokre kha li kaam dhund ne ke liye, lekin..... Khair me ye kaam karne ko tayar hu....
Aadmi: thik he.... Jesi tumhari marzi....
Fir wo aadmi Aksh ko sara kaam bata deta he or usko 10,000 payment dene tay karta he, or use kaam ka time bhi bata deta he. Aksh ki shift sham ko 4 baje se raat ke 1 baje tak thi Aksh apna kaam samajh kar Sakshi ko pick karne ke liye nikal jata he.
dusri taraf Jab movie khatam hui tab kareeb 2 baj gaye the yane ke college ki bhi is waqt chutti ho gayi thi. Wo charo movie hall ke bahar ajate he, tabhi Sakshi ko Aksh ka call ajata he. Sakshi humesha Aksh se thoda dar ke rehti thi, to wo sab se alag ho kar call pick kar leti he.
Sakshi: H.... Hello....
Aksh: ha Sakshi me bas raste me hi hu, 10 minutes me pahoch jaunga... Tu chali mat jana....
Sakshi: Aksh.... Wo... Wo... Ha... Soham mujhe ghar drop kar raha he, me nikal hi rahi hu... Tu pareshan mat ho....
Aksh: accha thik he....
Or wo call cut kar deta he. Ab ja kar Sakshi chain ki saas leti he, sablog ghar jane ke liye nikalte he, Neha ko uski dost ghar drop karti he, or Sakshi Soham ko kehti he ke use ghar chhod de.
Darasal Sakshi, Neha or Soham ke ghar ek dusre se thode dur dur the, Neha ko uske Papa kaam par jate waqt college drop karte the, or Sakshi bus se college jati thi.
Kuch der baad Soham Sakshi ke ghar ke paas pahoch jata he, Sakshi use bye bolkar apne ghar ki taraf ja rahi hoti he, usne door bell bajayi hi thi ke piche se Aksh bhi ajata he, jabtak Aksh bike laga raha tha Radha ne Door open kar diya. Uske chehre ke haw bhaw khuch thik nahi lagg rahe the, Sakshi ghar ke andar ajati he.
Sakshi: Kya hua Aai?
Radha: kaha thi Sakshi tu? Teacher ka call aya tha mujhe unho ne kaha ke tum to college ayi hi nahi?
Uske sidhe sawal se Sakshi darr jati he.
Sakshi: Aai.... Me.... wo... Darasal....
Aksh: Aai me Sakshi ko apne saath le gaya tha, Raste me mujhe ek zaruri kaam yaad agaya tha, to me Sakshi ko apne saath le gaya....
Wo Sakshi ki baat ko bich me hi kaat te hue kehta he. Sakshi heran si uske taraf dekhne lagti he.
Radha: khud to padhai chhod di.... Ab kya Sakshi ko bhi waisa hi banana chahta he tu?
Wo gusse me Aksh se kehti he.
Aksh: Sorry Aai.... Aisa fir se nahi hoga.....
Itna kehkar wo apne kamre me chala jata he.
Radha: beta humari sari ummide sirf tujhse hi he, ye ladka to pata nahi kya karna chahta he, tu to dhang se padhai kar le....
Sakshi: S..... Sorry Aai...
Fir Radha apne kaam me lagg jati he, Sakshi Aksh ke kamre me akar dekhti he to wo washroom me tha, tabb Sakshi apne kamre me chali jati he.
Sakshi(mann me): ahhh.... Aaj meri wajah se Do baar Aksh ko Aai ki baate sunn ni padi.... pehle to Aksh se baat kar leti hu.
Or fir wo fresh ho kar Aksh ke kamre me chali jati he, jaha Aksh bed par lete lete koi kitab padh raha tha. Sakshi ko dekh kar Aksh apni kitab side me rakh uth kar beth jata he.
Sakshi: Aksh i am Sorry....
Wo apna sar jhuka kar Aksh se keh rahi hoti he ke Aksh uski baat bich me kaat deta he.
Aksh: tujhe kitni baar batana padega ye Sorry mat bola kar.....
Uski baat par Sakshi sehmi si wahi khadi ho jati he.
Aksh: waise kaha gayi thi class Bunk kar ke?
Sakshi: wo..... Mene bahot mana kiya lekin Neha or Soham maane hi nahi to me....
Wo Sharminda sa mehsus karte hue kehti he.
Aksh: koi baat nahi.... lekin mujhe bata to diya hota, Tujhe pata he na Aai teri padhai ko le kar kesi he?
Sakshi: me aage se dhyan rakhungi....
Aksh: bass mujhe bata diya kar...
Sakshi: chal ab khana khane ke liye....
Aksh: ha... Waise Sakshi mujhe tujhe kuch batana he.
Sakshi: ha bolna....
Aksh: wo me aaj se kaam par jane wala hu....
Sakshi: kaam? Garage par hi na?
Aksh: waha to Dopeher tak karunga, uske baad dusri jagah par bhi job mil gayi he mujhe...
Uski baat sunkar Sakshi kuch samajh nahi pati.
Sakshi: kesi job mili he?
Aksh: wo.... Wo... Ek Restaurant me Cashier ke taur par job mili ge mujhe... To mene ha kardi...
Wo Sakshi se sach chupana sahi samajhta he, kyu ke agar wo Sakshi ko sacchayi bata deta to Sakshi use kabhi wo kaam nahi karne deti.
Sakshi: lekin suddenly ye job or sab.... Mujhe kuch samjha nahi...
Aksh: isme na samajhne wali konsi baat he? Ab aage ja kar jab mujhe koi Start Up shuru karna hoga to uske liye paise lagenge hi na? To usi liye ye job kar raha hu me....
Sakshi: Aksh......
Wo jese hi Aksh ko kuch bolne jati he ke tabhi Radha dono ko khane ke liye bulane ajati he.
Radha: tum dono ko khana nahi khana kya? Chali jaldi ajao....
Fir wo tino milkar khana kha lete he, Aksh Radha ko bhi apni job je bare me bata deta he, jis se Radha thoda khush ho jati he ke akhir kar Aksh koi job karne laga he. Kareeb 3 baje Aksh apne kaam par chala jata he, pata nahi kyu lekin Sakshi ko uska aise kaam karna thik nahi lagg raha tha.
Raste me jate waqt Aksh ko Soham ka call ajata he. Aksh bike side me rok kar call pick kar leta he.
Aksh: bolna Soham...
Soham: kya bolu bhai.... Tu to kabhi khud se call karne se raha, mene socha me hi call kar lu tujhe...
Aksh: aisi baat nahi he yaar.... Wo to garage me kaam zyada tha to usme hi uljha hua tha. Khair bata tu kesa he?
Soham: me to bilkul thik hu, aja yaar ghar pe....
Aksh: are nahi me nahi asakta, aaj hi meri job lagi he. Bass wahi ja raha hu.
Soham: kya job or tu? Bhai tu thik to he na?
Aksh: are bhai me bilkul thik hu, accha me tujhe badme call karta hu aaj pehla din he or late ho jayega... Or ha Sunday ko milte he.
Soham: chal thik he, or koi zarurat ho to call karna... Bye...
Aksh: bye...
Or wo call cut kar deta he or apne raste firse chal padta he.
Aksh kuch der baad us Restaurant me pahoch jata he, Aksh ke saath ek or ladka tha jo kafi samay se ye kaam kar raha tha, wo ladka bharat ke dusre prant se yaha kaam karne ke liye aya tha. Wo ladka Aksh ko sare kaam bata deta he ke unhe kis tarah karna he.
Un dono ka kaam kuch is tarah se the.
Restaurant ka time tha 11am to 3pm uske baad 6pm to 1am or Aksh ki shift is bich je gap me shuru hoti, sabse pehla uska kaam tha ke jab restaurant 3pm ko band hoga tabb sare restaurant ki sagayi, ek kitchen jo baju me hi tha uski safayi or ek main kitchen jo upar tha uski safayi.
Or dusra kaam jab bhi koi gandagi dikhegi tabb use saaf karna, passage ko saaf rakhna, or closing ke waqt bhi pura Restaurant, kitchen or main kitchen saaf karna.
Aise hi waqt beet ta gaya, Aksh or wo ladka milkar kaam karne lagte he, lekin jab bari ati he main kitchen saaf karne ki tabb Aksh ko rona ajata he, kyu ke bhale hi ye ek shandar restaurant tha, lekin andar main kitchen ki halat bahot hi zyada gandi thi. Us gandagi ko saaf karte hue Aksh to jese apne sapno ko bhul sa gaya. Lekin apne dil me jalti chingari ne use tikaye rakha tha, raat ko 7 baje khane ki chutti ho gayi thi, wo ladka or Aksh upar tarace par agaye the khane ke liye, waha staff ke liye Daal, chawal or roti khane ke liye thi. Aksh kaam kar ke kafi zyada thak chuka tha.
Ladka: dost mujhe nahi lagta tu ye kaam kar payega....
Wo Aksh ki halat dekh kar kehta he.
Aksh: aisa kyu?
Ladka: are bhai me to padha likha nahi hu, humare yaha aise kaam ke liye to naa ke barabar paise milte he.. me to bas apna pet bharne ke liye ye kaam kar raha hu.
Aksh: me bhi to pet bharne ke liye kaam kar raha hu yaar.... Or me bhi koi zyada padha likha nahi hu.
Ladka: lekin tum ek acche ghar se lagte ho, or yahi ke rehne wale bhi ho to ye kaam kyu?
Aksh: kya karu? Bahot koshish ki lekin koi kaam hi nahi mil raha tha. Khair....
Or wo khana khane me lagg jata he, unhe sirf 20 minutes ka break milta.
pura din kaam kar ke Aksh kafi thak chuka tha, raat ke kareeb 1:30 baje Aksh or us ladke ne sara kaam khatam kar liya tha, wo ladka piche hi ek kamra kiraye par le kar rehta tha. Aksh bike par apne ghar ke liye nikal jata he. 15 minutes ke baad Aksh ghar pahoch gaya tha, uske paas ghar ki ek chabi thi jis se wo ghar ka darwaza khol deta he or andar ajata he. Aksh ab kafi bhuka tha, wo lights on karta he or Kitchen ki taraf badha hi tha ke piche se Sakshi use pukarti he.
Aksh: Sakshi.... Tu abtak Soyi kyu nahi?
Wo piche mudkar Sakshi ko jaga hua dekh kar puchta he.
Sakshi: nahi bass mujhe nind nahi arahi thi, tujhe bhuk lagi hogi na? Chal tu beth ja me khana garam kar ke deti hu...
Wo aage badhkar apne baal bandhte hue kehti he. Aksh akar Sofe par beth jata he, Sakshi kitchen se Aksh ko dekh leti he or uska chehra dekh kar Sakshi samajh jati he ke Aksh kafi pareshan he. Or samajhti bhi kese nahi agar Aksh ko sabse zyada koi samajhne wala he to pehle number par Sakshi he. Wo khana garam karne ke liye rakh deti he or ja kar Aksh ke bagal me beth jati he. Dono hi is waqt chup the, Sakshi apna haath Aksh ke haath par rakh deti he or apna sar Aksh ke kandhe par. Sakshi ke aisa karne se Aksh thoda heran ho jata he.
Sakshi: Aksh me janti hu ke tu bahot pareshan he.... Lekin tu chinta mat kar... Zindagi me aisi situation ati rehti he, aise me bass humesha apna dimag thanda rakh kar koi bhi decision lena... Or ek baat humesha yaad rakhna, bhale hi koi tere saath ho ya na ho, lekin me humesha se tere saath thi, or aage humesha tere saath hi rahungi....
Wo num akho ke saath Aksh ko hosla dete hue kehti he, Aksh ka mann uski baat sunkar kafi bhar aya tha, lekin wo apne emotions ko apne andar hi dabaye rakhta he, or apne dusra haath Sakshi ke haath par kas deta he.
Aksh: me samajh raha hu tu kya kehna chah rahi he, lekin itna jaan le, ke Aksh itna Buzdil nahi he jo koi galat kadam utha le. Bass tu humesha mera saath dena, fir dekh, ek din tujhe bhi meri behen hone par Garv hoga....
Uski baat par Sakshi bahot khush ho jati he, or uski aakh se ek asu tapak kar Aksh ke shirt par gir jata he. Wo dono hi ek dusre se alaga nahi hona chahte the, lekin tabhi Sakshi ko yaad ata he ke usne gas par khana garam hone ke liye rakha he. Wo jaldi se uthkar kitchen me chali jati he or ek thali me khana paros kar Aksh ke paas akar beth jati he. Aksh aaj kaam kar ke kafi thak chuka tha, or wo bahot hi zyada bhuka tha, to wo jaldi jaldi khana khane lagta he, Sakshi to bas use Niharne me lagi thi.
Sakshi(mann me): Deva.... Aksh par kabhi koi musibat mat ane dena, mujhe apne liye kuch nahi chahiye, bas mere Aksh ko humesha khush rakhna...
Wo bas Aksh ko dekhte hue apne mann me uske liye bhagwaan se prarthana kar rahi thi. Kuch der me Aksh apna khana pura kar leta he, fir wo dono hi apne apne kamre me ja kar so jate he, Aksh din bhar ka thaka hone se turant so jata he.
Or is tarah se inka aaj ka din nikal jata he, aaj humne dekha ke kis tarah Aksh ne Sakshi ki bunk wali baat Radha ko pata nahi chalne di or ilzam apne upar le liya, jaha humne dekha kis tarah Aksh ek aisa kaam karne ke liye razi ho gaya jisko koi bhi insan nahi karna chahega, jis tarah Sakshi ka Aksh ke liye beinteha pyaar, khud se zyada uske liye chahna, ye jatata he ke Sakshi kabhi bhi use akela nahi hone degi. Ab aage dekhna interesting hoga ke Aksh ke faisle kis hadd tak sahi rehte he.
Or ha ek nayi story bhi post kar di he, wo ek short story hogi, bas kuch dino me Complete kar dunga, thoda sa pyaar use bhi dena
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Nice update
waiting for next
Lovely update bhai
Sakshi
for new story
Thank You So Much DostoVery nice update brother
Waiting for the next update.
Good Update., Aksh decision of droping studies and continuing with a startup appears to be a liitle risky as he is in a stage where his life will change drasctically, don't no wheather his decision will help him achieving his dream?? Little dissapointed with the parents as i see less to nothing involvment of them in Aksh's matter.Chapter 1 - The Early Life
Update 8
Mega Update
Word Count: 4020
Estimated Reading Time: 00:17:00
Ek or nayi sunheri subah ka agman ho chuka tha, Aaj Aksh or Sakshi ke college life ka dusra din tha, aaj Aksh apni class change karne wala tha, jiske liye Sakshi ne bhi sehmati de di thi.
Sab College me chale gaye the, Aksh ne principal se kehkar apni class change karwa li thi, Sakshi uske decision se ab bhi zyada khush nahi thi, lekin uske zidd ke aage Sakshi bhi haar maan gayi thi. Aise hi sab padhai me lagg jate he.
Tabtak hum Bharat ke ek Khubsurat sheher Surat me nazar daal lete he.
Surat me ek bahot hi shandar company bani hui thi, jese ke ek puri city ho. Or company ke andar ek bade se hall me kafi sare log bethe hue kisi ka intezar kar rahe the. Tabhi waha kafi chust Durust aadmi ajata he jise dekh kar chair par bethe sab log apni jagah par se uth kar khade ho jate he. Or ye insan or koi nahi, Virani Industries ke Malik Aman Virani the.
Aman: I Am Really Sorry Everyone.... I'm bit late...
Wo sabse Mafi mang kar apni baat shuru kar deta he.
Aman: So Guys as you all know, from last 10 Years we are the leading Business Industry In Gujrat... Or is saal bhi Virani Industries Gujrat ki Number 1 Industry bani hui he. So big applause for all of you guys.....
Or uski baat par sab log taliya bajane lagte he.
Aman: yes guys... Without you Virani Industries is nothing, a big big Thanks to all of you... each and every person working in Virani Industries...
Or aise hi kuch der Aman sabko protsahit karta he.
Kareeb 1 ghante baad wo free hota he, jab wo us room se bahar araha hota he to Aman ki secretary Suhana uske paas ajati he.
Suhana: sir... Mansi kafi der se aapka Wait kar rahi he.
Aman: are ha.... ye to me bhul hi gaya tha, By the way kaha he wo?
Suhana: wo aapke cabin me bethi hui he.
Aman: okay..
Or fir wo apne cabin ki taraf badh jata he. Cabin ka door open hote hi wo dekhta he ke Mansi samne Aman ki Chair par bade hi gusse me bethi hui thi.
Aman: kya me andar aa sakta hu?
Wo dari sehmi si awaz me puchta he.
Mansi: ye konsa waqt he ane ka? 9 baje jana he bolkar 10 baje arahe ho aap yaha?
Wo table par rakhe crystal ball ko apni mutthi me band karte hue gusse ke bhav me kehti he.
Aman: ahhhh... Wo.... Ab maaf kar dijiye ma'am... Ho gayi galati humse....
Mansi: hmm... To ek shart par maafi milegi....
Aman: or wo shart kya he?
Wo andar akar Samne padi chair par beth te hue puchta he.
Mansi: shart ye he ke Mom ko lene ke liye hum Mumbai Plain se nahi balki Car se jayenge....
Aman: ye kesi shart hui?
Mansi: wo me nahi janti, shart yahi hogi warna mafi bhi nahi milegi...
Wo zidd karte hue Aman se kehti he.
Aman: beta Car se Mumbai jane ke liye 4 ghante lagg jayenge... Or aap khud thak jaogi itne lambe safar me.
Mansi: nahi Dad me nahi thakungi.... Please... Please Car se chalte he na Please.....
Wo roti shakal bana kar kehti he. Ab Aman to kya, koi bhi insan Mansi ki zidd ke aage nahi jit sakta tha.
Aman: Okay... Okay... Car se hi jayenge...
Wo Mansi ko shant karate hue kehta he.
Mansi: Thanks Dad.....
Wo Aman ko gale lagate hue Kehti he.
Aman: tum or tumhara Gadiyo se pyaar... Kya kare iska?
Wo Mansi ko alag karte hue kehta he.
Mansi: Dad, Mujhe to Cars bahot pasand he.... Infact jab Suhana Di mujhe pick karne ayi thi to mene bhi kuch duri tak car chalayi...
Wo bahot hi khushi se kehti he lekin uski baat sunkar Suhana darr jati he or Aman heran sa reh jata he.
Aman: kya kaha.... Tumne Road par Car drive ki?
Ab ja kar Mansi ko ehsas hua ke wo josh josh me zyada hi bol gayi.
Aman: Suhana... Ye to bacchi he, tumhe samajhna chahiye na ke ise Road par Car drive nahi karni deni chahiye....
Wo Sakht lehze me Suhana se kehta he.
Suhana: I'm Sorry sir... Wo...
Mansi: Are.. are... Suhana Di ko kyu dant rahe ho Dad... Wo to mene hi unhe dhamki di thi...
Aman: kya? dhamki?
Mansi: ha... Wo to mujhe nahi Drive karne de rahi thi, lekin mene kaha ke aage ja kar is Company ki CEO Ms. Mansi Virani hi bann ne wali he, or aapko apne Future CEO ki baate maan ni hi hogi.... warna aap ke liye thik nahi hoga.... tabb ja kar wo maani...
Wo bade hi taav ke saath Aman ki chair par beth te hue kehti he.
Aman: ohh... To Ms. CEO ab Sabko aap Blackmail karogi? Or me aapko ek baat bata du, me aise Blackmail karne wale logo ko is company ka CEO to kya ek employee bhi nahi banane wala...
Mansi: ohh... Sorry Dad... Sorry... Me aage se aisa nahi karungi....
Wo apne Taav se sidha rone ko ayi thi.
Aman: good... Aage se aisa nahi karna... Road par or ghar ke samne Drive karne me fark hota he.
Mansi: Sorry Again Dad....
Or wo aage Suhana ki taraf ajati he.
Mansi: Sorry Di....
Wo apne kaan pakad kar Suhana se mafi mangti he. Bhale hi in logo ke paas beshumar Paisa tha, lekin Aman or Kiran ne Mansi ko humesha humble or Kind rehna sikhaya tha. Ha wo baat alag he ke Mansi ke andar Shararat thus thus ke bhari hui thi.
Suhana: are ye aap kya kar rahi he... It's okay... Sorry ki kya baat he.....
Wo Mansi ke haath pakad kar use kano se hata te hue kehti he.
Aman: accha Suhana... Hum nikal rahe he, Pehle Flight cancel kar dena, or koi important kaam ho to call karna..
Suhana: okay Sir....
Or fir Aman Mansi ko le kar Company ke parking area me chala jata he, jaha ek kone me ek se ek shandar Cars park hui thi. Or un sari cars ka color White tha.
Aman: hmm... To bataye Maharani Sahiba.. kis sawari me jana chahogi aap?
Wo cars ke samne khade ho kar Mansi se puchta he, Mansi apni ungli dato me dabate hue koi car choose kar rahi thi.
Mansi: hmmm... Nahi... Ahh.... Haa... hum Maserati Levante Trofeo me jayenge....
Fir Aman Driver ko bula leta he or wo log Mumbai jane ke liye rawana ho jate he.
Darasal Mansi ko cars bahot pasand thi, Aman ne sab cars sirf or sirf Mansi ki pasand ki hi li thi. Or Mansi ko sirf White color me hi cars pasand ati thi. Or ye log 2 din ke liye Mumbai ja rahe the jaha Mansi ki Maa Kiran apne mayke gayi thi. Ab inhe Mumbai jane ke liye lagne wale the pure 4 ghante se zyada. Tabtak hum dekhte he ke Mumbai me Aksh or Sakshi ka kya haal chal raha he.
Aksh or Sakshi ghar laut aye the, ghar akar Aksh or Sakshi khana kha lete he, khana kha kar Aksh turant uthkar bahar jane lagta he. Lekin tabhi Sakshi use rok leti he.
Sakshi: Aksh... Rukja... Kaha ja raha he?
Aksh: Karim Chacha ke Garage....
Sakshi: are tu thodi padhai bhi kar lena.... Tune apni padhai ki kitabe kholi bhi he ya nahi?
Aksh: huhhh... Mujhe to ye bhi nahi pata ke Science me subject kitne he... Class me bas me ye intezar karta hu ke period kab khatam hoga...
Sakshi: Bavlat(Pagal)...... Isi wajah se Aai Baba ki daant khata he tu...
Wo Aksh ke sar me halke se marte hue kehti he.
Aksh: ab jane de mujhe late ho raha he...
Wo darwaze se bahar jane ko hota he ke Sakshi uska haath pakad leti he.
Sakshi: pehle meri baat sunn.... Ghar jaldi ajana or mere saath padhai karne beth jana
Aksh: ha thik he... Ab chhod mujhe...
Or wo apna haath Sakshi se chhuda kar tezi se bahar chala jata he.
Sakshi(mann me): Deva(Bhagwaan)..... Ye ladka na.... Mujhe to nahi lagta is baar ye Pass hone wala he... Matt ho.. is baar Baba ki dant se nahi bachane wali me tujhe dekh le na...
Or fir Sakshi andar ja kar ghar ke kuch kaam karti he or baadme padhai karne beth jati he.
Dopeher ke kareeb 2:30 baje hue the, Aksh Garage par pahoch jata he, Karim apna kaam rok kar ghar hi ja raha tha khana khane ke liye.
Aksh: Kya hua Chacha? Aap ne abtak khana nahi khaya?
Karim: are bass abhi ja hi raha tha, kaam thoda zyada tha to time dekha hi nahi mene... khair, chal saath jate he...
Wo Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Aksh: me to bass abhi khana kha kar hi aya hu, aap jayiye... Me yaha kaam dekh lunga...
Karim: are chal ghar pe... Saath me hi ate he wapis..
Aksh: aap jayiye... Me dekh lunga sab....
Karim: chal thik he... Me bass ata hu...
Or wo apne ghar chala jata he, uska ghar Garage se bass 5 minutes ki duri par tha. Or kayi baar Aksh akela Garage ka dhyan takhta tha, or ab to use kaam bhi ane laga tha, to Karim ko kabhi koi chinta karne ki zarurat nahi padi. Aksh ko jo kaam ata tha wo us kaam me lagg jata he.
Dusri taraf Aman or Mansi Mumbai pahoch chuke the, lekin pata nahi kyu unki car me baar baar dikkat arahi thi, Driver 2-3 baar car se utar kar check karta he lekin use gadbad samajh nahi ati. Tabb wo kisi se Garage ka pata puch leta he, or jesa ke hum jante he ke is Area me Karim ka ek lauta Garage tha, to wo Aadmi unko Karim ke Garage ka Address bata deta he, tabb Driver us raste car chalane lagta he. Kuch hi minutes me wo log us jagah pahoch jate he, tabhi kaam me masruf Aksh ko bahar se ek car ke Exhaust ki zabardast awaz ati he, Aksh jaldi se apna kaam rok kar bahar ata he to usne dekha ke samne se ek Maserati ki car gurrate hue arahi he. Us car ko Aksh ek takk dekhne lagta he.
Aksh(mann me): Yaar.... Kya Gadi he.... Awaz to kya hi bolu....
Wo apne mann me soche ja raha tha ke wo car Aksh ki taraf hi badh rahi thi, or Car akar uske samne ruk jati he, lekin Aksh ki nazar us car se hatne ka naam nahi le rahi thi, tabhi Driver car se utar jata he or Aksh ke paas ajata he.
Driver: are bhai koi he kya yaha car ko dekhne ke liye?
Aksh: ji kahiye.... Kya hua....
Wo Driver ke nazdeek ja kar puchta he,
Driver: tumhe ye kaam ata he?
wo Aksh ko gor se dekhta he or uski umar dekhte hue puchta he.
Aksh: ha mujhe ata he...
Fir Driver use problem bata deta he, Aksh age akar Bonnet open karta he or Driver ko car band karne ko kehta he, Driver ke car band karne se andar ke AC bhi band ho chuke the, or us wajah se Mansi ko garmi lagne lagti he. Or upar se ye thi Mumbai ki garmi. Mansi turant car se bahar ajati he or Aman bhi car se utar jata he. Aksh engine ko check kar raha hota he ke tabhi Mansi aage Bonnet ke paas ajati he, Aksh ki nazar jese hi Mansi par padi to wo bass use hi dekhne laga, or us chakkar me uska haath tapte hue engine par chala gaya or uski chink si nikal gayi.
Aksh: ahhh...
Wo jhatt se apna haath piche kar leta he.
Mansi: Garage ka kaam karte ho or itna bhi pata nahi ke Engine Garam hota he? Huhhh
Wo Aksh ko uksate hue kehti he or piche mud jati he.
Aksh(mann me): iski to....
Aman: kuch gadbadi mili?
Aksh: n..nahi wahi dekh raha hu....
Or wo apne kaam me lagg jata he, baki tino wahi khade the, Mansi Garmi se kafi pareshan ho rahi thi, tabhi Aksh ki nazar uspar padti he, Mansi apne haatho se hi apne aap ko hawa laga rahi thi. Aksh apna kaam rok kar andar ki taraf ata he or andar ka pankha chalu kar deta he.
Aksh: aap log tabtak yaha ajaye....
Wo sabko andar pankhe ke paas rukne ko kehta he, tabb sablog andar akar hawa lene lagte he, Mansi ko ab ja kar kuch rahat mehsus ho rahi thi.
Kuch der me Aksh ko gadbad samajh agayi thi.
Aman: are bhai kya tum bata sakte ho ke ise thik karne me kitna waqt lagega?
Wo andar se hi Samne kaam kar rahe Aksh se puchta he.
Aksh: sahab... Ise thik hone me adha ghanta lagg jayega...
Mansi: ughhhh... Adha ghanta? Thoda jaldi karo na thik....
Wo pareshani ki halat me Aksh se kehti he.
Aksh: ab jitna waqt lagega utna hi bataya mene...
Ye kehkar wo firse apne kaam me lagg jata he.
Aman: kyu ye to tumhara hi idea tha na Mansi.... Ab maza araha he na?
Mansi: kya maza? Kitni garmi lagg rahi he Dad...
Wo roti hui shakal bana kar kehti he.
Aksh(mann me): Kaam karna to dur ki baat ise dekh kar to lagta he ke ise khana khilane ke liye bhi log chahiye honge... Huhhh...
Wo mann hi mann Mansi ki halat dekh hass raha tha.
Kareeb 35 minutes baad Aksh car ko start karta he or dekhta he ke sabkuch thik se kaam kar raha he ya nahi. Jab use lagta he ke sabkuch thik ho chuka he to wo aage Aman ki taraf badh jata he.
Aman: ye lijiye.... Gaadi ab bilkul thik ho chuki he...
Wo Aman ko car ki chabi dete hue kehta he.
Aman: thanks.... Waise naam kya he tumhara?
Aksh: ji mera naam Aksh he....
Aman: hmm Aksh nice name, padhai bhi karte ho ya nahi?
Aksh: ji abhi 11th me hu me... College khatam ho kar yaha ajata hu...
Aman: very good.... Khair paise kitne hue?
Aksh: 300rs
Mansi: kya? Tumne sachme car thik ki he na?
Wo itne kam kharcha sunkat heran ho jati he, kyu ke in cars ke Showroom me to aisi choti moti chizo ke liye wo log hazaro ka kharcha kar dete he.
Aksh: ye lo card.... Agar kabhi bhi koi problem hua to batana, free me kar dunga...
Wo apne pakke kaam par bharosa karte hue kehta he. Mansi us se Card le leti he, Aman Aksh ko 2000rs thama deta he.
Aksh: iske to 300rs hue he, ye 2000?
Aman: ye tumhare liye... Accha kaam karte ho, Keep Going...
Wo Aksh ke pith par thap thapa kar use shabbashi dete hue kehta he. Aksh zyada paise lene se mana karta he lekin Aman use razi kar deta he or fir wo log apne Raste chal padte he. Mansi car me beth te hue ek baar Aksh par nazar dalti he Aksh bhi use ek nazar dekhta he. Or wo andar beth kar window up kar leti he or waha se chale jate he.
Aksh(mann me): waise ye ladki thi Khubsurat....
Wo halka sa muskurate hue apne aap se kehta he. Tabhi Karim waha ajata he. Aksh use sare paise de deta he.
Karim: kis chiz ke he paise?
Aksh: kuch nahi abhi ek car ayi thi, thoda sa kaam tha usme, 300rs hue the unhone 2000rs de diye...
Karim: accha?
Or wo un paiso me se 300rs nikal kar baki ke paise Aksh ko thama deta he.
Aksh: ye kya?
Karim: are tereko mile he ye paise.... Mujhse to kabhi paise leta nahi tu...
Aksh: nahi mujhe nahi....
Karim: mene kaha na rakh....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Or fir wo dono firse apne kaam par lagg jate he.
Kareeb 45 minutes ke baad Aman or Mansi ek bahot hi shandar Villa me pahoch jate he, Aman or Mansi utar kar ghar ke andar ajate he, jaha kafi sare nokar the, Mansi jaldi se ja kar samne ke kamre me ghus jati he, tabhi sidhiyo se ek Khubsurat Aurat niche ane lagti he, use dekh kar Aman ka chehra khil uth ta he, ye Aurat or koi nahi Aman ki patni or Mansi ki maa Kiran thi, wo apni maa ke saath niche arahi hoti he, lekin uski nazre Mansi ko dhund rahi hoti he.
Kiran: Aman... Tum akele? Mansi kaha he?
Wo Aman ke samne khade ho kar puchti he.
Aman: Darasal uski tabyat suddenly kharab ho gayi to wo nahi ayi.....
Kiran: kya? To fir mujhe bataya kyu nahi? Or use akela chhod kar chale aye... Pagal kahi ke, tumhe samajh.....
Wo bahot hi gusse me Aman ko keh rahi thi ke tabhi piche ke room se Mansi daud kar ati he or Kiran ko piche se tightly hug kar leti he.
Mansi: Mom.... Kyu itna dant rahi ho Dad ko?
Wo piche se Kiran ke Gaal par kiss karte hue kehti he.
Kiran: Mansi.... Tumhari ye mazak karne ki adat kab jayegi?
Or wo piche mudkar Mansi ko kas kar gale laga leti he.
Nani: kesi he meri Pari?
Wo Mansi ke gaal pakad kar puchti he.
Mansi: me bilkul thik hu Nani, aap kesi ho?
Wo Apni Nani ke gale lagg kar kehti he.
Or aise hi inka ye pyar bhara milaw chalta he, wo sab 2 din baad firse Surat jane wale the.
sham ke waqt Aksh ghar laut raha hota he, pata nahi kyu lekin uske dimag me baar baar Mansi ka chehra nazar araha tha. Aksh ne kayi baar use nazar andaz karne ki koshish ki lekin kuch na ho saka.
Aksh(mann me): ye kya ho raha he? Us khadus ladki ka chehra kyu baar baar samne araha he? Kya kaha mujhe? Tumne car thik ki bhi ya nahi? Huhhhh... Aksh ka kaam adhura nahi hota... Khadus kahi ki....
Aise hi sochte hue wo market se guzarta he, chalte hue use ek dress shop me ek bahot hi Khubsurat dress dikhayi deta he. Use dekh kar Aksh wahi ruk sa jata he. Or wo bina kuch soche sidha andar ja kar us dress ko kharid leta he, Aksh ke paas 1700rs the, usne 1000rs ka wo dress le liya or use le kar ghar chala gaya.
Ghar pahochane ke baad Door Sakshi open karti he.
Aksh: Aai Baba kaha he?
Wo ghar me dono ko na dekh kar puchta he.
Sakshi: wo to market gaye he, or tu ye kya le kar aya he?
Wo Aksh ke haath me bag dekh kar puch leti he.
Aksh: are ha.... Ye le.... Tere liye hi laya hu....
Wo bag Sakshi ko dete hue kehta he.
Sakshi: mere liye?
Or wo bag ke andar se wo dress nikal leti he, dress dekh kar wo bahot hi zyada kush ho jati he. Aksh Sakshi ke chehre par ayi hasi dekh kar bahot hi khush ho jata he.
Sakshi: tu ye mere liye laya?
Aksh bas ha me gardan hilata he.
Aksh: tujhe pasand aya?
Sakshi: bahot zyada pasand aya...
Wo bahot hi khushi se kehti he.
Sakshi: lekin tere paas paise kaha se aye?
Fir Aksh use aaj ki sari baat bata deta he.
Sakshi: waise Aksh tu karna kuch chahta he, or kar raha he ye gadiyo ka kaam? Kyu?
Aksh: are wo to bass aise hi, koi na koi kala bhi to honi chahiye na insan me...
Sakshi: accha? Chal khana kha le....
Aksh: are nahi mujhe bas thodi si chay pila de...
Wo hall me sofe ke ek kone me beth te hue kehta he. Sakshi pehle use pani la kar deti he, Aksh ne jese hi Pani lene ke liye apna haath age kiya to Sakshi ki nazar Aksh ke haath par padti he, jaha Car thik karte waqt uska haath thoda jal gaya tha.
Sakshi: Aksh.... Ye kya hua tere haath ko?
Wo Aksh ka ek haath thamkar chintit lehze me puchti he.
Aksh: kuch nahi... Bas engine thoda garam tha to haath lagg gaya waha...
Wo pani ka ek ghut pite hue kehta he.
Sakshi: dhyan kaha rehta he tera? Dekh kar karna chahiye na... Kab sudhrega pata nahi, ruk me murham le kar ati hu.
Wo gusse me Aksh se kehti he.
Aksh: are kuch bhi to nahi hua....
Sakshi: chup kar tu....
Wo gusse me Aksh ko chup karati he or murham la kar Aksh ke bagal me beth jati he or uska haath le kar uspe murham lagane lagti he. Aksh bas use ektak dekhe ja raha tha. Murham lagane ke baad Sakshi ki nazar Aksh par padti he to Aksh use dekh muskuraye ja raha tha.
Sakshi: aise kyu has raha he?
Aksh: jis waqt mera haath jala tab us ladki ne mujhe tana mara, or tu....
Sakshi: aye Bavlat.... Wo ladki kon he jo teri fikar karegi? Chal ab ja haath muh dho le, me chay bana deti hu, fir kuch der padhai karna mere saath....
Aksh: thik he...
Or wo andar fresh hone chala jata he, badme dono milkar chay pi lete he, kuch der baad unke parents bhi ghar agye the, badme Sakshi Aksh ko zabardasti apne saath padhai karne bitha leti he.
Or aise hi inka ye din nikal jata he. Jaha Mansi or Aksh ki pehli mulakat kuch khas nahi rehti, jaha Aksh use Khadus samajh betha tha, Aksh ka Sakshi ko gift dena, jis se Sakshi bhi bahot khush ho jati he. Jaha Aksh ki choti si chot ka Sakshi ke dil ko thes pahochana, or shayad isi ko unconditional love kehte he.
Aise hi din par din nikalte gaye, Mansi apne Mom Dad ke saath firse Surat chali gayi thi. Har din Aksh apne kaam par jata, or waha dil laga kar apna kaam karta, ghar ane ke baad Sakshi use Roz padhai karne ke liye apne saath bitha deti thi, jis se ab Aksh bhi padhai me sudhar raha tha, exam me Aksh ke acche marks aye the, Lekin zindagi ki exam me Aksh koi alag hi raste par chal raha tha, kyu ke jese jese waqt beet raha tha, waise waise Aksh or zyada gussa karne laga tha, hala ke usne abtak Sakshi se gusse me baat nahi ki thi, lekin uske behavior me aise changes dekh kar kahi na kahi Sakshi ke dil me thoda darr sa beth gaya tha. Aksh or Sakshi 11th bhi pass ho gaye the, or 12th bhi, is baar Aksh ne padhai chhodne ka faisla le liya tha, jis se uske parents or usme tanav bann gaya tha lekin jese Sakshi ne us se wada kiya tha ke wo jab 18 saal ka hoga to jo wo karna chahta he usme Sakshi uska saath degi. Sakshi ne uske Parents ko bhi kafi mushkil se is baat ke liye mana liya tha. Wahi Aksh ab apna business start karne ke liye mashakkat kar raha tha, lekin uske dimag me koi idea nahi aya. Usne Karim ke saath Garage me reh kar jabtak kaam kiya tabtak usne Karim se koi paise nahi liye, lekin Karin ne use 12th pass hone ki khushi me ek bike gift kar di, Aksh ne bhi use le liya tha. Sakshi ne First Year, Computer Science me admission le liya tha.
Ek taraf Aksh apna ek Start Up shuru karne ke liye idea soche ja raha tha dusri taraf Sakshi padhai me din ba din behtar bante ja rahi thi. Kuch mahino baad uske Final exams ane wake the or ye saath saath Aksh ki life me bhi ek bada turn ane wala tha, ab dekhte he wo turn kitna tikha hota he.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Marvelous UpdateI don't know what to say everything was well writtenright from start till end. So, the Journey has began and what a way to start it. Aksh is going a through a lot just tofullfill his dream and on the other sakshi what a role she is playing man comendable. Let see What happens next.....Chapter 2 - The Journey