Chapter 2 - The Journey
Update 11
Mega Update
Word Count: 2660
Estimated Reading Time: 00:13:00
Aksh: aapka offer waqayi me accha he.... Lekin I'm sorry, mujhe ye deal nahi karni.....
Wo khushi Khushi is deal ko reject kar deta he, lekin is se Aman or Suhana heran se reh jate he, kyu ke un dono ko iski ummid nahi thi.
Aman: me puch sakta hu aisa kyu?
Aksh: Sir.... I want to be independent... me jo kuch karna chahta hu, wo apne hosle se karna chahta hu, jesa ke aapne kuch der pehle kaha.... Farak insan ke Hosle se padta he.
Aman: Hosle ke saath saath paiso ki bhi importance hoti he....
Aksh: bilkul thik kaha, zarurat hoti he.... Lekin zarurat or lalach ke bich ki line kafi kam log dekh pate he...
Aman: or sirf yahi wajah he ke aap itni badi amount ko mana kar rahe ho?
Aksh: Sir... Me pehle bhi is paiso ke daldal me fas gaya tha, waha se bahot hi mushkil se me bahar nikal paya hu, or agar is bar me us daldal me chala gaya to mera wapis bahar ana namunkin ho jayega....
Aman: hmm... Mujhe lagta he tumhare andar ek darr he, ke shayad future me koi dusra business successful ho ya na ho or....
Aman aage kuch bol hi raha tha ke Aksh uski baat bich me kaat deta he.
"darr..... Darr to pehle tha, lekin ab baat wade ki he.... Wo wada jo mene ek bacche se kiya tha, jiska sapna sirf apne pariwar ko khush rakhna tha... Lekin jab me bada hua, to mene us bacche ki awaz ko sunna hi band kar diya, wo baccha mujhse kehta raha, "daro matt, apna wada nibhao" lekin me kaha uski baat sunta, kyu ke me to tabb bada ho gaya tha, busy ho gaya tha, is paiso ke system me fit hone me, me to busy ho gaya tha dusro ki success dekh kar uski nakal karne me, me to busy ho gaya tha, apne frustration ko pleasures se dabane me, or is busyness me, mene wo wada tod diya... Mene us bacche ka dil tod diya... Or uske baad samajh aya ke Zindagi me kuch bhi karo, par us bacche ka dil kabhi matt todo, kyu ke wo sirf ek baccha nahi he, wo mera confidence he, wo meri self esteems he, wo meri khushi he, wo meri energy he, wo meri light he, wo meri himmat he.... Wo Mera zindagi ko excitement ke saath jine ka spark he... Bahot mushkil se wo wada firse pura karne ki koshish kar raha hu, agar is baar mene wo wada tod diya na..... To life me humesha, ek khalipan rahega... Or ho sakta he ke aapki offer maan ne ke baad, mere paas sabkuch ho, par life ko jine ka wo spark hi na ho, wo excitement hi na ho... or sir me darunga kis chiz se? Is comfortable life ko khone se? Failure se? Bure se bura kya hoga, jaan chali jayegi na? To sahi he, wo wada tod kar pal pal marne se accha to yahi hoga na? Jitna darna tha utna darr liya, ab or nahi, ab to meri zindagi ka sirf ek hi maksad he.... Khud se kiya wo wada nibhana or kuch bhi nahi... Wo baccha apna wada pura hone ka wait kar raha he, me uska dil nahi tod sakta...."
Aksh Aman ki aakho me aakhe dalkar bina kisi hich kichahat ke sabkuch bol deta he, lekin uski sari baate sunkar Aman to shock reh gaya tha, kyu ke wo aajtak bade bade logo se mila he lekin kabhi bhi aisi soch rakhne wale insan se nahi mila. Aman ko Aksh ke offer thukrane se kafi hurt hota he.
Aman: okay.... No problem.... As your wish....
Wo apni jagah se khade hote hue kehta he. Aksh or Suhana bhi apni jagah se khade ho jate he.
Aksh: Sir please, aap meri baat ka bura matt maniyega.... Me to....
Wo apne haath jod kar Aman se kehta he.
Aman: are aisi baat nahi he..... har kisi ki soch alag hoti he... Anyways, Best of luck for your future....
Aksh: Thanks sir....
Or wo apna haath Aman se milane ke liye aage badha deta he, lekin Aman bina Aksh se haath milaye hi chala jata he. Aksh samajh gaya ke Aman ko uske decision se kafi hurt hua he. Aksh ka mood ab thoda kharab ho chuka tha. Wo firse apne kuch kamo me lagg jata he.
Waha car me bethkar Aman or Suhana chale gaye, lekin Aman apne dimag me kuch soche ja raha tha, aaj use Aksh ki himmat ke samne apne paiso ki Power bhi choti padti dikhayi di.
Waha Aksh ka mann ab bilkul bhi nahi lagg raha tha, tabb wo apni bike start kar ke ghar jane ke liye nikal jata he.
Waha ghar pe Sakshi akeli TV dekhte hue bethi thi, Radha market ghar ka kuch saman lene ke liye gayi thi. Tabhi ghar ki Doorbell bajti he, Sakshi akar darwaza kholti he to samne Aksh ko khada paati he.
Sakshi: Agaya tu?
Aksh: ha....
Wo rukhe swar me kehkar andar ajata he, or ja kar sofe par beth jata he. Sakshi samajh gayi ke Aksh ki Deal shayad nahi hui he. Sakshi pehle Aksh ke liye pani le kar ati he or pani ka glas Aksh ko de kar uske bagal me beth jati he.
Sakshi: kya hua Aksh?
Wo Aksh ke kandhe par haath rakhte hue kehti he. Fir Aksh aaj ki sari baate Sakshi ko batane lagta he.
Aksh: tujhe kya lagta he Sakshi? Kya mene thik kiya?
Wo Sakshi ki aakho me aakhe dalkar puchta he.
Sakshi: Aksh tune tere dil ki baat mani, or tune bilkul sahi kiya, Aksh tu aaj sahi mayne me apni zindagi me Successful hua he... kyu ke bahot kam log aisi deal ke liye mana kar pate he... I'm Proud Of You....
Wo muskurate hue Aksh ke dono haath thamkar kehti he. Or Aksh ko gaal par kiss kar deti he.
Aksh: lekin unhe mere mana karne se kafi bura lagg raha tha to....
Wo chintit swar me kehta he.
Sakshi: Aksh na to wo iske baad tujhse milne wale he, or na hi tu kabhi unse milne jayega.... in fact itne bade aadmi he wo, bass kuch dino me to ye sari baate bhi bhul jayegnge wo.... To fikar kis baat ki kar raha he?
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Aksh: fir bhi....
Sakshi: ab zyada sochna chhod de... Or ja, fresh ho kar aja, me khana laga deti hu....
Fir Aksh apne kamre me chala jata he, or fresh ho kar Sakshi ke saath milkar khana kha leta he.
•
•
•
•
•
•
•
•
Place: Surat, Gujrat
Aman apne kamre me gehri soch me betha hua tha, uske dimag me sirf or sirf Aksh ki baate ghum rahi thi, tabhi waha Mansi ajati he, Mansi akar Aman ko piche se Hug kar deti he.
Mansi: Dad....... Aap kab aye?
Aman: are beta me to kabse agay..... Tumhara hi ata pata nahi he....
Wo Mansi ka haath pakadkar use apne samne late hue kehta he.
Mansi: me to shopping karne ke liye gayi thi.... Waise kya hua? Aapki meeting kesi rahi?
Wo sofe par Aman ke bagal me beth te hue puchti he.
Aman: hmm.... Aaj pehli baar meri koi Meeting fail hui he...
Wo nirash ho kar Mansi se kehta he.
Mansi: kya? Ye kese ho sakta he?
Mansi ye sunkar kafi heran si reh gayi thi.
Aman: koi baat nahi.... Tum batao, ab konse college me admission Lena he tumhe? Waqt par Admission kara lena...
Mansi: kya Dad.... Me Mr. Aman Virani, or Mrs. Kiran Virani ki beti hu, mujhe jab chahe tabb kisi bhi college me admission mil sakta he.....
Wo apne jagah se uthkar bade hi rutbe me kehti he.
Aman: Nahi beta.... Paisa..... naam.... Rutba... kayi baar bilkul kaam nahi ata.....
Wo kafi gehri soch me dube kehta he.
Mansi: kya matlab Dad?
Aman: n.... Nahi.... Kuch nahi.... Tum apne college select kar dena.... okay?
Mansi: okay Dad.....
Yaha ek kamre me dhamasan Sex chal raha tha. Pure kamre me ladki ki tez awaze gunj rahi thi, tabhi wo ladka dhadam se us ladki par gir padta he, or dono zor zor se hafne lagte he.
Ladki: ahhh.... Aise hi..... Aise hi us Slut ke saath hashr karna..... Aakho se Asu rukne na paye uske....
Wo lambi lambi saase lete hue kafi gusse me kehti he.
Ladka: chinta kyu karti ho Mohatrma..... Humari begum bana kar na us Mehjabin ki zindagi barbad ki to humara Gala badan se alag kar dijiye ga....
Wo bed se uthkar apne kapde pehente hue kehta he.
Ladki: me bass use rota, chillata, or gid gidate hue dekhna chahti hu..... or ye kaam tumhe hi karna he Shahid...
Shahid: lekin ek baat to bataye Kavita Ji..... Aisi kya wajah he jo aap apni itni Khubsurat dost se jalti ho?
Kavita: Mansi jabb dekho tabb apne naam ka rutba dikhate firti he.... Uska wo sara rutba cheen'na he mujhe.... Uski sari khushiya maatang me Badalte dekhna he....
Shahid: hoga.... Zarur hoga, aap chinta na kare... Bass us se humari baat karvati rahiyega.... Baki kaam to hum bakhubi pura kar denge....
To yaha Shahid or Kavita Mansi ke bare me baat kar rahe the, Kavita humesha se Mansi se jealous rehti thi, Mansi bass mazak masti ke liye apna rob jhadti thi, lekin Kavita ko is se kafi jalan hone lagi. Or Shahid Kavita ka Boyfriend tha, to wo uske saath milkar Mansi ko apne jaal me fasana chahte the.
•
•
•
•
•
•
•
•
"Jise zindagi dhund rahi he,
kya ye wo makam mera he....
Yaha chain se bass ruk jau,
kyu dil ye mujhe kehta he...
Jazbat naye se mile he,
jane kya asar ye hua he.
Ek aas mili fir mujh ko,
jo Qubul kisi ne kiya he...
kisi shayar ki gazal,
jo de ruh ko sukoon ke pal...
koi mujh ko yu mila he,
jese banjare ko ghar...."
Is gane ki tarah hi Sakshi ki situations ho gayi thi, or Sakshi apne kamre me bed par lete hue yahi gana gun guna rahi thi. Jitne dil se iske singer ne gaane ko nahi gaya hoga, us se zyada dil laga kar Sakshi ise gaa rahi thi, kyu ke har ek line ko Sakshi feel kar paa rahi thi, lekin tabhi uske kamre me Aksh aa dhamakta he. Lekin Sakshi to apni dhun me gana gun gunaye ja rahi thi, Aksh kafi heran sa reh gaya tha, tabb wo ja kar Sakshi ke bagal me beth kar Sakshi ko dekhne lagta he, lekin Sakshi apna Gana jari rakhti he. Aksh to Sakshi ke aise pesh ane se bahot hase ja raha, lekin ab wo khudko rok nahi pata, or zor zor se apna pet pakadke hasne lagta he, Aksh ki awaz sunkar Sakshi ekdum se apni duniya se bahar ajati he.
Sakshi: t..... Tu..... Kya... Kya hua? Tu aise... Has kyu raha he?
Wo Aksh ko zor zor se haste hue dekh puchta he.
Aksh: Yaar.... Mene..... Mene suna tha ke... Ke log pyaar me hosh kho dete he.... Lekin aaj dekh bhi liya.... Hahahaha.....
Wo Sakshi ke samne akar kehta he kr firse haste hue bed par gir jata he, tabb Sakshi ko ehsas hota he ke Aksh ne use gana gate hue sunn liya tha.
Sakshi: aye bavlat..... Chup ho ja, chup....
Wo Aksh ko hasta hua dekh kar gusse me use pakadte hue kehti he.
Aksh: are yaar.... Sakshi tu mujhse kyu chupati rahi ye? Mujhe bata deti na pehle hi....
Wo apne aap ko hasne se rokte hue Sakshi se kehta he.
Sakshi: mene kaha na aisa kuch nahi he.....
Aksh: yaar kyu jhut bol rahi he? Tu to apne Aashiq ki yaado me aise gum ho gayi thi ke tujhe ye bhi pata nahi chala ke me yaha akar betha hu....
Uski baat ka jawab ab Sakshi ke paas nahi tha, tabb Sakshi haklana shuru kar deti he.
Aksh: kya kehna chahti he? Mujhe kuch samajh nahi araha....
Sakshi: are.... Aisa.... Aisa kuch bhi nahi he.... Me to bass aise hi gana gaa rahi thi...
Aksh: chal chal rehne de.... Chehra dekha he apna? Sharm se laal ho chuki he tu... Hahaha
Sakshi: Aksh tu bass karna mujhe satana...
Wo narazgi se roti hui shakal banakar kehti he.
Aksh: chal thik he.... Me to tujhe khane ke liye bulane aya tha, apne yaado ke raaj kumar ko kaho ke khana kha kar ati hu wapis...
Wo Sakshi ke nazdeek akar kehta he, jis se Sakshi gussa ho jati he.
Sakshi: Aksh me sach me maar dungi tujhe chup kar......
Wo gusse me Aksh ko ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: accha sorry.... Jaldi se aja bahar, sab intezar kar rahe he tera...
Sakshi: thik he...
Fir Aksh Sakshi ke kamre se bahar jane lagta he, lekin tabhi use Sakshi ko pareshan karne ka mann karta he.
"Tere ishq ne sathiya, mera haal kya kar diya...
Tere ishq ne sathiya, mera haal kya kar diya...
Gulshan bhi ab to virana lagta he.....
Har apna humko begana lagta he.....
Hum teri yado me khoye rehte he.....
Log hume pagal diwana kehte he....."
Wo kuch line par zor dete hue Sakshi ko tease kar raha tha, lekin ab Sakshi ka para satve asman par chala gaya, or wo piche se hi Aksh ko marne ke liye badh jati he.
Sakshi: Aksh aaj to tu mujhse pitega hi...
Ye kehte hue wo Aksh par dhava bol deti he lekin Aksh us se bach kar aage bhag jata he or bahar hall me ajata he.
Sakshi: ab bhaag kyu raha he, besharam.... Rukja....
Wo Aksh ko pakadne ki koshish me uske piche bhagte hue ati he.
Radha: kya ho gaya tum dono ko.....
Sakshi: Aai me Aksh ko aaj pitkar rahungi... Bewajah tang kar raha he wo mujhe....
Wo gusse me apne pair patakte hue Radha se kehti he.
Aksh: yaar mene to aisa kuch bhi nahi kiya....
Wo Radha ke piche khada ho kar kehta he.
Sakshi: accha? To samne ana mere..... Fir batati hu tujhe me...
Aksh: ye le... Agaya tere samne, ab bata kya hua? Ya fir me hi bata du?
Wo Sakshi ko aakh marte hue Kehta he, jis se Sakshi chup ho jati he.
Sakshi: tujhe baadme dekh lungi me....
Wo apne daat piste hue dhimi awaaz ne kehti he.
•
•
•
•
•
•
•
•
Place: Surat, Gujrat
Raat ke 12 bajne ko aye the, lekin Aman ki aakho se nind koso door thi, wo bass karvate badal raha tha, uske dimag me sirf Aksh ki kahi bate or uske dwara tukhraya offer baar baar dhyan me arahe the.
Aman uthkar Suhana ko call kar deta he, Suhana itne raat ko Aman ka call dekh kar heran thi, wo jaldi se call pick kar deti he.
Suhana: yes sir... Aapne is waqt..
Aman: Suhana... Kal subah jaldi office ajana...
Suhana: okay sir... Lekin koi problem...
Aman: problem ko hi solve karna he.... Usi bare me baat karni he, Subah jaldi ajana Office...
Suhana: okay sir...
Fir Aman call cut kar deta he, or apne dimag me kuch sochte hue so jata he.
To dosto aaj ke Update me bass itna hi, aaj aksh ne jo kiya, wo sach me kafi kam log kar pate he, 50 crore ki kimat thukrana asan baat nahi thi, lekin Aksh ne paise se badhkar Apne wade ko zyada ehmiyat di. Ab dekhte he Aman kya soch raha he, or aage wo kya karega.
Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling
Lajavab update
yeh update dil ko chugaya bahuth badiya tarike se darshaya gaya ek soch ko, har businessmen ko yeh lagtha hai ke paise se sab kuch jita ja saktha hai lakin woh yeh bhul jate hai ki dhande ke kuch usul hote hai aap ek sache mahenati insan ke ko kabhi paise ke dam par kareed nahi sakthe hai khas kar us insaan ko jis pe kuch kar kujarne ka junun safar ho. Aise lag raha hai k Aman ka ego hurt hua hai, aur is liye shayad wo either hook or by crock ki policy ko apna kar aksh ke business ko hadap na chata hai. Dekthe hai aage ane wale update mein kya chupa hai...
Ek tarf sakshi ki feelings
, use ke dil ka hal, na wo baya kar sakthi hai na usese dur bag sakthi bechari kuch kar bhi nahi sakthi tho dusri taraf aksh jo ab tak apni aur sakshi k feelings se anjan...dekthe kab is bavlat ko akkal aati hai...
Yeh sala shahid aur kavita kitne bade wale harami nikale apni beezati ka badla lene ke liye kis had tak za rahe hai....
Dekthe hai aage anewale updates kya kya dikathe hai.....
Waise pichle do updates ae kahani fir se kuch interesting hui hai asha karta hun second phase bahuth hi trilling hone wale hai....
Waiting.....
Meanwhile sakshi with her feelings be like....
"
Tu aata hai seene mein
Jab jab saansein bharti hoon
Tere dil ki galiyon se
Main har roz guzarti hoon
Hawaa ke jaise chalta hai tu
Main ret jaisi udti hoon
Kaun tujhe yun pyar karega
Jaise main karti hoon
Ho ho….
Meri nazar ka safar
Tujhpe hi aake ruke
Kehne ko baaqi hai kya
Kehna tha jo keh chuke
Meri nigaahein hain
Teri nigahon pe
Tujhe khabar kya be-khabar
Main tujhse hi chhup chhup kar
Teri aankhen padhti hoon
Kaun tujhe yun pyaar karega
Jaise main karti hoon
Ho ho….
"