Ali is back
Member
- 444
- 1,728
- 138
Shaandar update bhai
Update:2
********
Dead Or Alive
jaisi ice grave me mai tha. wahan zinda bach jane ki koi sambhavana nahi thi. par main mar nahi pa raha tha. aatma mere sharir se alag nahi ho paayi thi. mai ajib si nind me tha.. jahan mujhe khud ka hosh nahi tha. khud ki koi khabar nahi thi. par ek baat ka ahsas mujhe ho gaya tha. mere sharir ke andar utar chuki minus degree sardi khatam ho chuki ha. mere sharir se meri aatma ka rishta toota nahi ha.. main hosh me aa kar khud ko dekh nahi sakta tha. jaane kaisi behoshi chhayi thi mujhpe. jaane kaisi nind aai thi mujhe. behosh main kabhi nahi hua tha. aisi nind mujhe kabhi aai nahi thi. behosh hone se pahle mai sardi ke karan sharir me hone wali ant peeda me tha. par baad me sardi ke sath sath sari peeda bhi jati rahi thi.
kitne minat beete, kitni saal beete, kitni sadiyan beeti mujhe koi andaja nahi tha. dhire dhire mere charon aur se ice melt hone lagi. ye sab kitne samay me hua, mujhe koi andaza nahi tha. mujhe mere sharir par tez dhoop ka abhas hone laga. dhire dhire mera dimag puri tarah se jagne laga. main apne hosh me wapis lautne laga. kuch der me meri palkon ne harkat shuru kari. dhire dhire karke maine apni palken kholi to door door tak mujhe barf hi barf dikhai di.. surya sar par chamak raha tha. uski tez dhoop se mujhe aisa lagne laga, jaise mere sharir me aag lag jayegi. par mujhe tez dhoop se koi tension nahi ho rahi thi. mujhe ajib si lazzat mil rahi thi tez dhoop se. jaise dhoop mere liye energy system ho. sach me hi main apne andar aseem taqat bhi mahsus kar raha tha. ye jaan kar main kuch haran bhi hua.. fir dhire dhire mujhe sab yaad aane laga. kya hua tha mere sath. mere sath kaisa vishwasghat kiya gaya tha. laava stone ke liye meri jaan ke dushman ban bethe the.
mujhe laava stone ki yaad aayi to anaytha meri nazar mere hath par gayi.. main dekha to laava stone wali ring to meri ungli me thi. par laava stone usme nahi tha. ye dekh kar main pagla gaya.. idhar udhar paglon ki tarah dhundne laga.. shayad kahin mujhe gira pada mil jaye. par aisa nahi tha. mujhe stone kahin nahi dikha.. mai dukhi hoke wahin ghutno par beth gaya. mujhe rah rah kar sadhu ji maharaj ki baten yaad aa rahi thi. unho ne kaha tha, ise mai kabhi bhi khud se door na karun. par manoj aur mere doghle dosto ki khencha tani se stone ring se alag ho gaya tha. ye soch kar mujhe bada dukh pohncha. jaisa inam mujhe mila tha.. aisa kismat walun ko hi nasib hota tha. stone mujhse door hokar mere nasib me nahi raha tha. main khali ring ko dekhne laga. itne bade ice maidan me main ring ko kahan dhundta.. bade dukh ke sath main upar road ki orr dekhne laga.. dhoop me road mujhe clear dikhai de raha tha.
stone to hath se nikal gaya tha. ring ki ab zarurat nahi rahi thi. bina stone ke bhi ring badi khas dikh rahi thi. maine ring utarne ka socha. ring ko utarne ki koshish kari to ring jaise meri ungli me locked ho chuki thi. hil hi nahi payi. aage piche karna to door ki thi. ring utarna bhul kar maine ghar lautne ki sochi.
ye soch kar maine upar ki chadhai shuru kar di. hairat ki baat thi. mujhe zara si bhi thakan ka ahsas nahi ho raha tha. meri raftar bhi bohut tez thi.. kuch hi minto me mai road par tha. wahin ek pathar par beth kar main kisi gaadi ke aane ka intezar karne laga. aisi performance maine pahle kabhi nahi di thi.
ek baat mujhe yaad aai. wapis lautte samay mujhe gaadi ka koi purza dikhai nahi diya tha.. aur fir barf kaise ekdumm se mere charon orr se sarak gayi thi. kaisi anhoni thi ye. kuch aur soch pata. mujhe ek gadi aati dikhi. gadi ka rukh manali side tha.
main khada hokar usay rukne ka sanket dene laga. gadi wala mere pas ruka to hairat se mujhe dekhne laga.
"aap is verna me kya kar rahe han" gadi wala 30 ki umar ak ek good looking admi tha.
"meri gadi bekabu hokar khai me gir padi bhai saab. badi mushkil se main khud ko bacha paya hon" koi na koi bahana to karna hi tha mujhe..
"bhagwan ka shukar ada karo.. jo zinda bach gaye. yahan koi incident ho jaye to madad ke liye bhi ghanto lag jate han" usne door khol diya. main uske sath beth gaya.
"kismat me zindagi likhi thi. so bach gaya.. anyway thank you very much.. aap na rukte to mere liye badi samasya ban jati"
wo hasne laga
"insan hi insan ka daru ha. bhagwan na kare kal ko mere sath bhi aisa incident ho jata ha to mujhe bhi to kisi ki madad leni padti"
"khushi hui aapse milke.. apke vichar jaan ke.. mera naam arvind thakur ha"
maine handshake ke liye hath badha dia.. usne bade chao ke sath mujhse hath milaya.
"mera naam shekhar sinha ha. mujhe bhi aapse milke khushi hui....ohhh aapka hath kitna garm ha"
maine bhi mahsus kiya tha mere badan ki heat aam routine se bohut badhkar thi. par samjh nahi pa raha tha.
"shayad mausam ke badlao ke karan ho"
usne kandhe uchka diye" test kar lena. itni heat aapke liye hanikarak ho sakti ha.. waise kahan tak chhodo mai apko"
"main mumbai se hon.. bhuntar me ek dost ha, uske paas jana ha mujhe"
"ohh good main bhi wahin ja raha hon"
baton me safar beeta.. jaise hi hum bhuntar pohnche. main wahan ka nazare dekh kar chonk gaya. apne humsafar se main alag ho chuka tha. wo mujhe road kinare chhod kar chla gaya.
sab kuch mere liye adbhut tha. sab kuch badla hua tha. mai ankhen meech meech kar dekhne laga. bhuntar ka naksha hi badla hua tha. kuch dino me hi bhuntar, bhuntar nahi raha tha. itna papulated ye kabse ho gaya. itni jaldi ye renovate kaise ho gaya. bhuntar ki buildings, road kaise badal gaye the. mujhe believe hi nahi ho raha tha, main bhuntar me hon.. wahan lage sign boards dekh kar yakin ho raha tha. main bhuntar me hon..
main bhi to badal gaya tha. na badla hota to chakra kar gir padta.. sab kuch mere liye strange tha. unbelieveable tha. mere badan par maujud kapde aur shoes waise ke waise the. ring me maujud stone nahi tha. pr ring ki halat bata rahi thi, wo vaise ki vaisi ha, jaisi mujhe sadhu ji maharaj ne di thi. chakrate dimag ke sath main ek orr chal pada.. ek baad main jaan gaya tha, samay chakra bohut tezi se ghum gaya tha. kyun ghum gaya tha, mujhe nahi paya. kyun mujhe aisa lag raha tha, jaise kuchh ghanto me samay ne saalon ka safar tay kar liya ho. main achambit bhav chahra par liye ek ek ka moh raha tha. sab normal log the. par mere liye kuch bhi normal nahi raha tha.
main bazar me gaya. wahan logon ko kharidari karte hue dekha. unke purse se new coloured note dekh kar main aur bhi surprised ho gaya. mere dil ki dhadkan bohut badhi hui thi. badi mushkil se main khud par kabu banaye hue tha. meri jeb me bhi kuch note the. par wo sare aur rang ke aur kagaz ke the. ye to shukar tha, shekhar ki gadi se utarne ke baad main kisi hotel me ghusne wala tha. wahan ghus jata to purane note dekh kar sab mujhe kaisi nazron se dekhte..
main do ghante tak bhuntar me firta raha.. modren zamana dekh kar jahan main surprised tha. wahin logon ke paas ajib o gareeb fones dekh kar aur bhi heran tha. kitna kuch badal gaya tha thodi si der me.
ek jagah mujhe ek book stall dikha.. wahan newspaper dikha. to main jhat se ek news paper utha kar dekhne laga. jaise hi meri nazar date par padhi.. akhbar mere hath se chhoot kar gir pada. aas paas khade hue log mujhe herangi se dekh rahe the. mere face expressions zarur sabke liye herankun the. shayad wo mujhe pagal samjhe honge..
main wahan se palat pada.. bhuntar ke bahri side jaane laga.. acha kiya jo maine apne dost ki taraf rukh nahi kiya tha. warna wo mujhe dekh kar heran rah jata. main usay kahta main arvind thakur hon. wo mujhe pagal samjhta aur bura bhala bol kar mujhe dhakke mar kar ghar se nikal deta..
main jab manali aaya tha to november 1995 tha... ab june 2015 tha..
Nice story
Ab aage dekhte hain ghar ka kya haàl hua 20 saalo mai