• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Laava Stone

parkas

Well-Known Member
26,836
59,933
303

Update..11
***********
Black Formula 2



black formula ek insan ko superhuman banane se related tha. robert nami ek francici billionaire ne dunya par raj karne ke liye ek scientific lab banayi.. us lab me dunya bhar se vaigyaniko ko bulaya. robert ke pass paise ki kami nahi thi. moh mangi payment par uski lab me shodh shuru hui. 3 saalon ki mahnat ke baad scientists ek aisa formula banane ke safal ho gaye. jiske istemal se kisi bhi isnan ka sharir pathar ke jaisa ban sakta tha. usme itni shakti a sakti thi. wo chahe to ek mukka maar kar ped ko hi gira de. normal size ke pathar ke tukde tukde kar de... uska sharir bhi bulletfroop ban jata.. kuch liquid tha, kuch tablets aur kuch injection..

1 mahine ke istemal se hi koi insan shaktishali ban sakta tha. yadi formula ki first dose uska sharir sahn kar jaaye to? warna kuch hi minto me uski maut bhi ho sakti thi.

robert ko khabar mili.. us samay wo france se bahar tha. khabar sunkar sare kam chhod kar apni lab ja pohncha. par tab tak formula koi le uda tha.. robert guse se pagal ho gaya.. saman utha utha kar phenkne laga. security incharge se gun lekar kaiyon ko bhoon dala..

kuch der me robert normal hua..."us jaisa dusra formula tyar karne me kitni der lagegi..."

usay jawab mila... "sorry sir! doctor fernando ab nahi rahe.. unke bina shayad ise firse bana pana mumkin na rahe.."

"how.?" robert cheekh pada.. fir usay detail batai jaane lagi.

formula ek indian vaigyanik vinod le uda tha. wo desh bhakt nahi tha. wo bhi ek criminal aur swarthi vaigyanik tha. wo formula le kar india ja pohncha. wahan uski apni ek lab thi. lab tak pohnch pana uske liye mushkil ho gaya. robert ke puri dunya me connections the, india me bhi uske bohut se admi kaam kar rahe the. usne sab ko vinod ke piche laga diya.. vinod sanwale rang ka 35 varshy vyakti thi. thoda sa mota tha.. uski surat aisi thi, door se hi dekh kar pahchan ho jaya karti thi. vinod chahta to kahin chhup kar black formula ki first dose lekar use kar sakta tha. par wo dara hua bhi tha. usne dekha tha, doctor fernando ne bhi first dose li thi. kuch hi minto me wo tadap tadap kar mar gaya tha. doctor ferndando is shodh ko lead kar raha tha. formula ready hua to khud ko rok nahi paya. wo boodha tha, usne socha, shayad main bhi iske istemal se shaktishali ban jaon. dusre sabhi usay rokte rah gaye. jaise hi kuch minat beete, doctor fernanda tadapne laga. der nahi lagi aur uska sharir kai jagon se phat gaya. sab dekh kar stabdh rah gaye.. isi moka ka fayda utha kar vinod wo formula lekar wahan se khisak liya..

ab wo mumbai me tha. par usne jaan liya tha, robert ke admi uski talash me mare mare fir rahe han. wo janta tha, jaise hi wo kisi ki nazron me aaya. bina der kiye uske seene me chhed bana diye jayenge. aur formula usse le liya jayega.. vinod aisa nahi chahta tha. badi mushkil se usne ye formula hasil kiya tha..





==============


mere din rat badi bechaini me beet rahe the. poonam ki jaan na bachani hoti to main kahin ek jaga na thaharta. mummy papa ke liye busy ho chuka hota.. poonam mujhse zayada der door nahi rah sakti thi. uske normal hone tak mujhe uske sath hi rahna tha.

main shower ke niche bohut der tak raha. mann aur sharir shower ke niche khada rahne se bhi shant nahi hua. mind ko divert karne ke liye mummy papa, deepti aur apni betiyon ke vicharon me vyast karna pada mujhe. un sab ke baare me sochne se hi mera mann aur sharir shant hua. main bathroom se nikal kar poonam wale kamre me ja pohncha. wo masum bulbul meethi nind so rahi thi. nahi janti thi, uske mummy papa ki life me kaisa change aa chuka ha. bhagwan ne usay ek mummy aur ek papa diye the. ab main bhi uski life me uska papa bankar aane wala tha. kismat ka bhi khub anyay ha.. meri apni betiyan jo mujhe papa kaha karti thi, dunya ki bheed me kahan gum ho gayi thi. aur main poonam ki maa se relationship me aa kar poonam ka papa banne wala tha. mujhe andaza hone laga tha, poonam aane wale dino me apni mummy apne papa se bhi badhkar mujhse mohabbat karne lagegi.. mujhe chachu se papa bolne lagegi.


agle das din bohut khaas rahe.. surbhi ke sath chhed chhad chalti rahi. kabhi kiss to kabhi uske badan ka bhoogol napta raha. dhire dhire surbhi meri garmi ki adi hone lagi. uski timing badhne lagi. usay kiss karne ke sath sath uske sharir ko masalta to wo jhadti. ye ek achi bat hui thi. surbhi ab mere sath kiss aur romance karte hue jhijhakti nahi thi. poonam ke saamne normal rahti aur tanhai me meri lugai ban jati.
surbhi se mujhe pyar ki inteha dekhne ko mil rahi thi.. par main puri tarah se aage nahi badh pa raha tha. ek to mere mummy papa meri nazron se ojhal the, meri patni aur betiyon kahin khoi hui thi.. dusre mujhe darr tha. kahin aurat ka nasha mujhe bekar na karde.. aur main sab bhul kar surbhi me gum ho jaao.. jitna ho sakta tha main khud se lad raha tha..


poonam aur bhi achi ho gayi thi. in das dino me main din ke samay poonam ko surbhi ke hawale kar ke 3-4 ghanto ke liye nikal liya karta tha. poonam ke liye mujhse doori sahn karna mushkil tha. par namumkin nahi.. ab uske badan ki heat normal rahne lagi thi..


mere andar laava stone tha.. matlab aag thi. mujhe gusa jaldi aane lagta tha. aise hi ek din main shahr ghum raha tha. ek jaga 3 loafer type ladke ek ladki ko chhed rahe the. ladke ke badan ko idhar udhar touch kar rahe the.. road sansan tha.. jaane ladki is khali road par kyu aa gayi thi..


main wahan ja pohncha aur ek ladke ki gardan piche se pakad li.. wo sab mujhe dekhne lage. ladki bohut dari hui thi. uski izzat khatre me thi. ye jaan kar main guse me aa gaya tha. gusa to jaise mere andar se bahar nikalne ka bahana dhundta tha..


mujhe dhayan hi nahi raha tha. main ab sadhanran manush nahi raha.. laava stone ne mere sharir ko pathar bana diya ha. maine to us ladki ki gardan normally pakdi thi. par main guse me tha. pata hi nahi chala. kab meri pakad thodi si sakht ho gayi. aur kadakkk ki awaz ke sath us ladke ki gardan ki hadi toot gayi. toot kya gayi, kachumar nikal gaya.. maine usay chhoda to wo lahra kar gir pada.. kuch der tadpa fir thanda ho gaya. mai pahle to usay herangi se dekhta raha. fir sab samjh me aa gaya.. wo ek veran ilaka tha.. koi dekhne wala nahi tha. yahi ladke aur ladki hi the mere saamne. ab ladki ko to main kuch kah nahi sakta tha. ladko ko chhod nahi sakta tha. chhod deta to main police ke chakkar me phas sakta tha. ladke apne sathi ko mara dekh kar uske pass beth kar usay jhanjhodne lage.. maine dono ki gardan pakdi aur pal bhar me tod di.. wo kuch bol hi nahi paye.. ladki ye dekh kar chillane lagi..."nahi..nahi..plz mujhe mat marna"

"tumhe kuch nahi kaunga main.. tum bhi kisi ko kuch mat batana.. ab jao yahan se"

ladki ghabrayi hui thi. foran hi wahan se bhaag khadi hui.. main idhar udhar dekhne laga. koi nahi dikha.. mai mare pade ladko ko dekhne laga.. ajib baat thi, mujhe ladko ko maar kar dukh nahi ho raha tha. shayad mere mummy papa ke sath jo mere bhai aur bahno ne kiya tha, manoj aur mere dosto ne jo mere sath kiya tha. ye sab uska parinam tha. vaise bhi izzat ke sath khelne walun ko zinda nahi rahna chahiye. main idhar udhar dekh kar ladko ki gardan se apne fingerprint mitane laga. mujhe dar tha, kahin fingerprint ke zariye meri pahchan saamna na aa jaye. abhi tak mujhe koi aisa nahi mila tha. jo mujhe pahchaan sake. fir bhi saavdhani to bartni hi thi..


maine der nahi ki aur foran wahan se nikal pada. ashish house pohncha to poonam ko khud se lipta kar main vicharon me doob gaya tha. ye sab kya ho raha tha. main thakur tha. thakur kabhi buzdil nahi hua karte. ladne marne wale hua karte han. mai bhi jeedar tha. par aisa nahi tha. kisi ka khun karne ka main soch bhi nahi sakta tha. ab in 3 ladkon ki jaan li to mere dil me zara sa bhi dard nahi hua. mujhe unpar daya bhi nahi aayi.. poonam ke liye bohut narm ho gaya tha. surbhi ke liye machal gaya tha. fir bhi sab baton ko dhayan me rakhe hue the. ahsas aur jazbat mere andar zinda the. maan maryada sab hi to the mere vicharon me, mere act me.. ab ladkon ki jaan lete samay aisa kuch kyu nahi aaya mere mann me. ek ki jaan anjane me li thi. dusre dono ki jaan sabut ke chalte leni padi. aisa to criminals kiya karte the. kya mai bhi criminal ban gaya tha. laava stone mere sharir me parvesh kar chuka ha. ye baat na jaan chuka hota to is samay main bohut zayada ghabra gaya hota.. par main soch to raha tha. dara hua nahi tha... darr ka door door ka koi naamo nishan nahi tha mere andar..

"chachu aap kya soch rahe han"

poonam ki awaz mujhe hosh me le aayi thi.. maine poonam ko dekha to uski ankhon me mujhe zindagi karwaten leti dikhai di. maine usay gaal par kiss karte hue khud me bhench liya..."poonam tum meri kon ho"

poonam chahak kar.."mainnn! main aapki beti hon, aapki jan hon.. aap mere chachu han"

"poonam tum janti ho, tum akeli nahi ho, tumhari aur bhi teen behne han.."

"haan chachu aapne bataya tha mujhe...kahan han wo sab?"

main kuch sad sa hua.."nahi janta wo sab kahan han.."

"chachu meri teeno bahne kitni cute si hongi naa. doll ke jaisi"

poonam shok se puchne lagi to main has pada.. jise wo apne se chhoti bol rahi thi. wo sab poonam se badi ho thi. main dikhne me 25 ka tha.. usi hisab se meri betiyon ki age bhi kam hi samjhi jati.. poonam bhi kam samjh rahi thi.

"chachu aap hase kyu?"

ab main poonam ko kya batata.. main 25 ka nahi 25 ka hon.. meri betiyan 1-2-3 ki nahi.. 21-22-23 ki ho gayi han. ab to wo shadi layak bhi ho chuki hongi. jaise hi ye soch mere mann me aayi. mera mann bechain ho utha. mann hone laga, abhi utho aur nikal padon unki talash me.. mummy papa ki talash me.. par poonam ka kya karta.. ye soch kar dil thaam kar rah gaya. apne dil ke sukun ke liye, apnu ki zindagi se dukh dard door karne ke liye mujhe poonam ki parwa chhodni padti.. nahi mai aisa nahi kar sakta tha...

"poonam ye kyaa.. pahle aap hase aur ab dukhi ho gaye.."

maine poonam ko dekha. uske gaalon ko chuma..."sab ki yaad aa gayi thi na isliye."

poonam mujhe dukhi dekh kar dukhi ho gayi thi..

ye in beete das dino me 8 din pahle ki baat thi.. 3 ladke ki lashon saamne aayi to kohram mach gaya. mumbai wasi pareshan ho gaye. media ne teeno ladko ki lashon ko mysterious & thrilling bana diya tha. teeno ki gardano ki hadiyon ka kachumar nikaal diya tha maine. maine apni ungliyon ke nishan to un teeno ki gardano se mita diye the. par forensic report ne sabat kar diya. kisi bepanah takatwar insan ne apni ungliyon ki power ka use karte hue teeno ki hatya ki ha. ye aisi khabar thi. jisne suni, dahshat me aa gaya. us raat pura shahar time to time veran ho gaya tha. log dar gaye the. jaane kaisi bala shahar me parvesh kar gayi thi.


maine aisa bhi nahi socha tha. ab honi ko kon taal sakta tha. main saamne nahi aa saka tha. par jaanne wale jaan gaye the. koi insan ya fir insano jaise aakar wali bala shahr me ghus aayi ha.. jo itni shaktishali ha. kisi ki bhi gardan daba kar hadiyon ka surma bana sakti ha..


ye baat mere liye sahi bhi thi aur galt bhi.. galat isliye, agar main kisi ki nazron me aa gaya to sab mere piche pad jayenge. mujhe chain se rahne nahi denge. fir mere liye mummy papa, meri wife aur betiyon ko dhundna mushkil ho jayegaa. mere liye acha ye hua. mujhe saavdhan rahne ki soojh boojh mil gayi.. aur fir main superhuman hote hue bhi ek aam human tha. aam insano ke jaise feelings thee mere andar. aam insano ke jaise mera bhi parivar tha. mujhe apni baki ki life unke sath bitani thi. power ko show off karta to life ka maza jata tha. mere apne khatre me aa jate.. zindagi ki raah me anginat kathnaiyan aan tapakteen. main bhaga bhaga firta.. kahin ek jaga mujhe jeena nasib nahi hota..

yahi soch kar maine apni baki zindagi ko lekar plan bana liya.. power ko soch samjh kar istemal me lana tha. ek baar nazar me aa jata to fir bach kar rahna mushkil ho jata.. fir mujhe chhup kar jeena hota.. 20 saal barf me chhup kar jeene ke baad main firse chhup kar nahi jeena chahta tha..

usi din se maine apni asli power badhani shuru kar di.. shahr ke nami grami gundon ko khatam karne laga. ek gunde ko maarne se pahle usse shahar ke aise gundo ke bare me jankari li, jo insani bhes me bhediye the. aise kai gundo ko maar kar maine khub daulat ikathi kari.. shahar ki gandgi khud se hi saaf ho hone lagi.. mumbai shahr me in 8 dino me meri power ke khub charche rahe.. 35 ke karib nami grami gunde maare gaye.

jahan shahri darr ke mare gharon me kaid ho kar rah gaye the.. wahin wo khush bhi the. ab tak jitni bhi mauten hui thi, wo sab ki sab gundo ki thi.. ye jaan kar aam janta ne sukh ka saans liya.. par raat ko pura shahar veran zarur ho jata tha.. sab dare hue the. kahin agli subah marne walun ki list me unka naam na shamil ho jaye..


bhagwan ne mujhe soch achi di thi. mujhe nayi zindagi ke sath sath power bhi mili thi. fir bhi meri soch me burai ya badai nahi aayi thi. main ghamandi nahi bana tha.
mummy papa ki orr se dekha jaye to mere paas khub daualt thi. ab gundo ko maar kar daualt ikathi kari to tutant hi mere mann me ye baat bhi aane lagi. bhagwan ne mujhe ye shakti bina kisi karan ke nahi di ha. zarur iska koi khas karan ha.. ek karan jo khud se mere mann me aaya.. wo ye tha.. mere jaisa pure desh me to kya, puri dharti par nahi tha.. aisa mera anuman tha.. to maine socha, kyu na is shakti ko istemal me laate hue dusron ka bhala kiya jaaye.. ek network banaya jaaye.. jo mere desh ke logon ki seva kare.. desh me kai aise bure log the, jo gareebo ka paisa loot loot kar gareebo ko hi bhuka piyasa maar rahe the.. jaisi meri soch ban rahi thi.. aisi hi soch wala koi saaman aana chahiye.. ye baat mere andar pakne lagi...

sara paise mangal singh ke dost ke house par tha... 10 din beete to maine mangal singh ko call karke wahin bulwa liya... mangal singh aaya to maine usse kaha.

"mangal singh tum bohut saalon se is shahr me ho.."

"haan malik.. mera to janam bhi isi shahr me hua ha.."

"mangal singh kya tum kisi aise vyakti ko jante ho. jiska talluq tumse na ho, mere parivar ka koi bhi usay janta na ho.. wafadari me aap jaisa ho.. darr jisse darr jaaye, maut jiski ankhon me dekh kar rasta badal jaaye.. aisa ek sathi chahiye mujhe mangal singh..."

main bolne ko to bol gaya. fir sochne laga.. ye kaise dialogue mere moh se nikal gaye. main aise dialogue bolne wala arvind thakur to nahi tha..

"badshah khan! maalik! badshah khan nam ka ek vyakti ha, jo mujhse bhi adhik jidar ha.. uske bare me suna bohut ha. kabhi mulakat nahi hui"

"kahan rahta ha woh.. mujhe uske bare me batao"

mangal singh ke face expression dekh kar lag gaya.. badshah khan koi kamal ka vyakti hoga. jo mangal singh jaisa genda banda aur wafadar banda uske liye aisa bol raha tha. badshah khan ka zikra karte hue mangal singh ke chahre par mujhe josh dikhai diya tha..

"andheri me ek ek bazar me doodh dahi ki dukan chalata ha. suna ha, kabhi wo badmash hua karta tha. bohut bura insan tha. par jidar bohut tha. isi badmashi ke chalte uske sara parivar mara gaya. sunne me aaya ha, uski patni pet se thi.. shadi ke kai saalon baad wo maa ban rahi thi. par badshah khan ki badmashi ke chalte uske mata pita, 2 bhai, ek bahan ke sath sath uski patni jo ki pet se thi. sab maare gaye.. marte marte badshah khan ki patni ne, badshan khan ko apni santan, jo uske pet me uske sath mar rahii thi. badshah khab ko bhub bura bhala sunaya. tab badshah khan ne apni mar rahi patni ko vachan diya tha. wo firse kabhi bure karam nahi karega.. bure karmo ke chalte wo apna parivar kho chuka tha. usne ye bhi vachan diya apni patni ko. ab se uski zindagi ka ek hi laksh ha.. samaj ko sudharna aur apne desh ke beto ki, bahu betiyon ki raksha karna...... uska ek dost bhi ha.. rustom pahlwan naam ha uska.. wo wahan ek akhada chalata ha.. badshah khan aur rustom milkar wahan ke yuvako ko nayi zindagi de rahe han.. upar wale ki karni se badshah khan ka dhanda bhi khub chal raha ha. kai ladke uske sath kaam karte han. wo sari kamai andheri ke naujawan ladko par laga raha ha. koi aisi ladkiyan, jinki shadi nahi ho pa rahi dahej ke karan.. aisi ladkiyon ki shadiyan karwa raha ha.."


badshah khan ki baaten sunkar uske dil me dard bhi hua aur garv bhi.


badshah khan ke baare me mangal singh se kuch der aur baaten ki.. maine mangal singh ko bata diya. main kya karne wala hon.. sunkar mangal singh mere pairon me gir pada.
"maalik! mujhe yakin tha, aap kuch aisa hi karenge.. bade maalik ke jaise zarur banenge.. bade maalik bade dukhi the. wo aap ko yaad karke roya karte the.. aapke baad sabne bade dukh diye bade maalik ko, malikan ko.. sab lalach me andhe ho gaye the. bade maalik jo samaj seva kar rahe the.. wo band karwa di chalaki se.. jo kherati hospital banwaya tha bade maalik ne. wo bhi saalon se band pada ha..."

mangal singh bhi dil ka bohut narm tha. sab batate hue uski ankhon me ansu aa gaye.

"gham na karo mangal singh.. sabse hisab liya jaayega.. papa ke jo kaam mere apnu ne lalach ke chalte band karwa diye the. wo firse shuru honge.. tum kuch bhi chinta mat karo... bas kothi par ankhen khuli rakhna.. ab se sabki ulti ginti shuru... bas ek baar badshah khan se mil loon.. fir mummy papa bhi jald hi mere paas honge.."


mangal singh khush khush chala gaya... main badshah khan ke baare me sochne laga.. samaj seva ke liye badshah khan ek perfect admi tha.. mujhe paiso se hi samaj ka bhala nahi karna tha. mujhe samaj ka gandh bhi khatam karna tha. desh ke un paapiyon se gareebo ka paise wapis lana tha.. jo uska apna tha.. fir dhire dhire sabko unka paisa lautana tha... char din wo bhi sukh se jee lete..

agle din main badshah khan se mila.. badshah khan ek pahlwani sharir rakhne wala unche kad kath wala, gore rang wala vyakti thi.. dhoti kurte me tha badshah khan.. par chahre par badi chamak thi.. mann saaf aur sacha ho to aisi hi chamak aa jaya karti ha..


dukan par rash tha.. jab wo free hua to main uske paas ja kar dhire se bola.."mujhe aapse kuch secret baten karni han.."

wo chonk kar mujhe dekhne laga.. uski nazren janchti hui thi.. foran nahi bola tha. ache se meri ankhon me gahrai tak dekhne laga.. fir uske honto par muskan aa gayi.."ji baao ji kya baat karni ha mujhse"

"jaise zindagi aap ji rahe ho.. usi se related baten karni han.. yahan to nahi kar sakta.." main customers ko dekhte hue bola

"wo saamne akhada dekh raho ho. wahan mera yaad rustom milega tumhe.. uske paas ja kar kuch der gap shap karo. main aata hon kuch der me.."

main usse hath milakar rustom ke akhade ja pohncha.. din ke 11 ka time tha.. kasrat karne wale is time nahi aaya karte the.. mujhe rustom ek admiyon ke sath betha hua dikha.. dono admi shayad mohalle ke hi the.. wo dosto ke jaise apas me baat kar rahe the.. dono admi pahlwani sharir ke nahi the.

mujhe dekh kar teeno khade ho gaye...paas pohnch ke maine salam kiya.. teeno ne bade pyar se mujhse hath milaya. intro hua.. fir mujhe bethne ke liye kaha gaya.."aap bade han mujhse.. pahle aap teeno bethenge.. fir main bethunga.."

teeno khush ho gaye...ek admi bola.."miyan bade ghirane se lagte ho..bado ko samman dena jante ho.."

main smile karne laga.."ek din mujhe bhi to aapki umar ko pohnchna ha.. aaj apko samman nahi dunga to kal ko mujhe bhi koi samman nahi dega..'

teeno dhire se has pade... rustom pahlwan bola.."bade matlabi ho tum to arvind"

"hahaha.. insan punya ka kam bhi to apne swarth ke liye karta ha. bina swarth ke to apne parivar ke liye bhi kuch nahi karta.. jaise ek pita apne bete ko acha khilata ha. achhi shiksha deta ha.. jaisa khilayega, jaisi shiksha dega.. jab beta jawan hoga. vaise hi aapko bhi khilayega.. achi shiksha mili hogi to aapke aakhri samay tak aapka sath dega. apki seva karega. isliye main to yahi kahunga.. kuch bhi karo.. swarth kabhi nahi jayega hamari zindagi se."


teeno has pade...rustom pahlwan bola.."baaten tum bade maze ki karte ho.. ab jaise main aur mera yaar badshah khan yahan ke jawano ko pahlwan bana rahe han. bure karmo se bacha rahe han. isme bhi hamara matlab ha. sab achhe banenge to dusron ko bhala karenge.. dusron ka bhala karenge to hamara bhala hoga.. poda to hum laga rahe han na.. wo ped bankar dusron ko thandi chhaon denge to uparwala humen is dunya me aur us dunya me sukh dega. kamyabi dega.."

itna bol kar rustom pahlwan ne mujhe apne gale se laga liya..."sach me tumse milkar bohut acha laga.. bohut time ke baad koi tum jaisa mila ha.. ek sacha insan.."

itne me badshah khan bhi aa gaye..."waah bhai mahfil to lagta ha khub rang par aayi hui ha"

rustom mujhse alag ho chuka tha.. mere hath ko pakad kar dabata hua bola.."arvind ne aate hi rang bhar diye mahfil me.. warna to pahle main(apne pahle wale dono doston ko dekhte hue) inke sath bada bore ho raha tha. roz aate han, ek jaisi baaten kar karke dimag chaatne lagte han.."

sab has pade... badhshan khan meri taraf hath badhate hue.."to tumhara naam arvind ha.. khushi hui tumse miilkar." fir wo mere hath ko dabane laga.. shayad mujhe parkh raha tha. ya mere hath ko apne hath me mehsus karke kuch jaana tha usne.. isliye dabao badhane laga tha. main pahle jaisa hota to zarur meri cheekhen nikal jati. par ab main to sabki cheekhen nikalne wala ban gaya tha. main normal khada raha tha. badshah khan mere chahre ko bade dhayan se dekh raha tha.. rustom aur dono admi mujhse normaly mile the.. ab badshah khan ko dekha, to heran hone laga.. badshah khan ke chahre par khun jama hone laga tha. badhsha khan apna pura zor lagane laga tha. sirf mujhe janchne ke liye.. ye dekh kar sab dhayan banane lage..

rustom bola.."badshah khan kya kar rahe ho. ye mahman ha hamara.."

badshah khan ne ek lambi saans chhodi aur rustom ko dekhta hua bola..."arvind ke gale mile the na tum. abhi aate hue maine dekha tha.."

rustom bola"haan.. to isme puchne wali konsi baat ha"

"ek baar firse milo isse.. aur puri jaan lada kar iske kadake nikalne ki koshish karna.. samjho hamare beech shart lagi ha.. jo kahoge maanoga.."

rustom hasne laga.."hahaha.. kyu ghar aaye mahman ko hospital pohnchane ke irada ha tumhara yaar.. dekho to abhi dunya dekhte din hi kitne hue han ise..."

badshah khan ne rustom ke kandhe par dhap maar di.."mujhe lagta ha, aaj teri sari akad nikalne wali ha.. aaj ye arvind teri sari akad nikal dega.. moh chhupata firega tu sabse"

badshah khan ne mera hath chhod diya tha. ab wo hasne laga tha... rustom heran hua.. uske sath ke dono admi keval heran the. dono ne badshan khan ko mera hath dabate hue dekh liya tha..

badshah khan firse bola..."chal der na kar.. mujhe wapis dukan par bhi jana ha.. ya tu darr gaya"

"hahaha.. main bhala aajkal ke is chhokre se kyu darunga. rustom pahlwan hon main samjha..marwaye to tu ise mere hathu se.."

"bachu aaj tu marne wala ha isse.. baten na kar, dikha apna dumm.. mujhse har baat jeetta aaya ha na tu.. aaj isse jeet kar dikha.."

"khair tujhse to main kabhi nahi jeet sakta. tu to khud mujhse haar kar maze leta ha. ab tu kah hi raha ha to dekh leta hon ise bhi.. par yaar teri baaton se mujhe thoda thoda darr lagne laga ha.. kahin sach me meri pol to nahi khul jayegi aaj. yaar main dikhne me pahlwan hon, andar se khali hon.. same to same dhol ke mafak.."

rustom pahlwan hasta hua bola.. jo bhi tha, par yahan ka mahaul mujhe behad pasand aa raha tha.. sache logon ke beech rahne se kitni shanit milti ha.. ye mujhe aaj sahi se pata chal raha tha.. zindagi jeene ka maza bhi aise hi logon ke beech aata ha..

rustom aage badha aur mere hath thaam kar side kar diye. mujhe ache se dekhne laga.."handome ha par jism se itna tagda bhi nahi ha. ek baar fir kah raha hon badshah khan.. baaaz aa ja.. sach me is ladke ki koi hadi pasli toot jayegi.."

"tu nikaalta ha iske kadake, ya main tere nikalun"

"acha..acha. zara sabar nahi hota tujhse.."

main khada muskura raha tha. dono ki nok jhok ke maze le raha tha.. rustom ne mujhe apni ped ki shakhon jitni moti bahun me kasna shuru kar diya. main normal khada raha. rustom ne pahle thoda sa zor laga kar mere chahre ko dekha. ab bhi main muskura hi raha tha.. ye dekh kar wo kuch heran hua.. usay laga kuch aur zor lagana chahiye.. rustom ne zor badha diya. par mere chahre ki muskan ko wo khatam nahi kar sakta.. jitna zor rustom ne laga liya tha. utne zor se koi haat nahi bhi maanta to uski saans zarur ukhadne lagti ha.. par main to jaise kuch mahsus hi nahi kar pa raha tha. laava stone ne mujhe pathar bana diya tha. meri muskan dekh kar rustom ne jaan liya. mere andar ki jaan uski jaan se kahin badhkar ha.. wo meri muskan ko dekhta hua dhire dhire zor badhata chala gaya. ek time par usne mere kandhe par thodi rakh kar pura zor lagana shuru kar diya.. uske baazo dukhne lage.. kuch der tak rustom khan meri muskan ko ghayab karne ki koshish karta tha.. fir mujhse alag ho kar mujhe sar se lekar pairon tak dekhne laga. badshah khan jo pahle has raha tha. wo aur dono admi rustom ke jaise herangi se mujhe takne lage.. jaise joi ajuba dekh liya ho..

sach me main ek ajuba hi toh tha..
Bahut hi shaandar update diya hai Ajay Chauhan The Rock bhai....
Nice and lovely update....
 
Top