UPDATE 3
Bachpan me hi Aditi ne apna Bhai khoya tha , jiske liye usne apni maa ko rote hue dekha tha . Lekin uski hi Maa ne Aaditya se sampark karne ki koshish karne se mana kar Diya hai. Lekin jab Aditi ne uske mama ke bare me puchha, to apne bete ko dekhne ki aasha ek maa chhupa nahi payi . Ab 18 saal ka ho Gaya hoga .
Aditi apne Ghar ke taraf jaate hue soch rahi thi, ki maa ko kaise samjhaye Ab mama ka naam puchne ke bareme, Vo nahi chahti thi ki Maa uske Bhai se mile aur Uski maa ko Aur taklif ho . Vo chahti thi ki vo pahle uske Bhai ke baare main pata karna chahti thi. Kya pata vo ab Maa se nafrat karta ho .
Aditi jab ghar pahuchi , Ghar bahut bada to tha lekin rahne vaale tin hi log the .
Darwaje se Andar aai to sabse pahle uski aankhe Maa ko dhund rahi thi , use pata tha ki vo kahi na kahi ro Rahi hogi . Vo dhundte hue kitchen me pahuchi vaha ,ghar ki shanti me Maa kitchen me khada kaam karte hue paya .
" Aa gayi tum , ab jaldi se fresh ho jao , ham dono sath me khana khate hai "Apni maa ki baat sunkar Aditi thodi shock Hui , vo soch rahi thi aate hi use uski maa sawal par sawal puchegi .
Aditi kuch aur sochti tab tak , phir uski maa bol padi " Jaldi jao , dress change karlo , mujhe bhuk bhi lagi hai ".
Aditi Apni soch me hi jaise taise fresh ho gayi aur khane baith gayi .
Ghar ki Puri shantata me ,sunsan se Ghar me dono maa beti khane baith hui thi .Is sannate me khana khate vakt Aditi Apni soch me thi .tabhi uski maa bol padi .
" Beti , Sochna chhod de "
Aditi sawaliya najro se " kya "
Uski maa Aditi ki thali me roti dalte hue " beti , Aaditya ke baare me soch rahi hai na , chhod de sochna "
Aditi " kyu ? , Aapko nahi lagta ki vo Mil jaye "
Maa thodi udas hokar" beti , Mujhe to bahut kuch lagta hai ,par kya kare , Vo samne bhi ho to main use bete ki tarah mil nahi paungi "
Aditi Maa ko baato ko samjhne ki koshish kar rahi thi " Kyu maa?, Kyu nahi Aap to hamesha uske liye roti aayi ho "
Maa " Tumhe kya lagta hai , main chahu to abhi jaa kar main mil sakti hu ,par usase main use hamesha ke liye kho sakti hu "
Aditi "kaise , Aapko Kon rokne vaala hai , apne hi bete se Milne ke liye "
Maa " Rahne do, Ab isase kya farak padega khana khao "
Aditi " Nahi , maa farak padega "
Maa " Jo chij mumkin nahi us chij ka dukh rakhkar kya karogi "
Aditi " Aap aise kyu baat kar rahi ho , aap hi to roti thi Aaditya ke liye "
Maa gili aankho ke saath " main roti thi lekin is liye nahi ki mere pass mera beta nahi hai , balki is liye ki mera beta mere pass aa bhi nahi sakta "
Aditi " Aisa kyu lagta hai aapko , mujhe to bataiye "
Maa " Nahi bata sakti beta "
Aditi " Kyu par , mera bhi bhai hai upar se judwa Bhai hai , Mujhe janne ka hak hai ki kyu Aap aisa kah rahi hai ,uske itne pass hote hue "
Maa sawalo ki najaro se mujhe dekhte hue
" Pass hote hue matlab , Tum janti ho vo kaha hai , ..ek minute, kahi tum college vale Aaditya ki to baat nahi kar rahi ho , jo aaj subah tumne mujhe bataya tha college se "
Aditi apna sar niche kar ke " haa "
Maa Jo khush aur dukhi dono thi " kyu phir bataya kyu nahi ,"
Aditi thoda gusse se " Abhi to aap usase milna nahi chahti thi , To aapko kya farak padta hai "
Maa thodi si shant hokar Aditi ke saamne" par subah kyu nahi bataya, main bhalehi mil nahi sakti par , uske baare jaankari to rakh sakti hu , please "
Aditi " Vo isiliye ki main use aap se surprise ke taur par milwana chahti thi "
Maa ki aankhe chamak gayi thi " To ye sach hai , tumhare college main hai , kaisa dikhta hai vo , bilkul tumhari tarah hai kya "
Aditi muskurate hue " Maa vo ladka hai , meri tarah kaise dikhega , haa similarities hai , par gao me rahkar uski oily skin ho gayi hai "
Maa " Sachme , tum ekhadi photo Lana uski "
Aditi " maa me sirf uske college main padhti hu , photo kaise le sakti hu "
Maa " Ab itna to karna tumhara Bhai hai vo , par use mat batana "
Aditi phir se gussa ho gayi " kyu maa kyu ? Aap kyu nahi batana chahti use kuch, main aapni ek bhi baat nahi sunungi aur kal use milkar bata dungi ke me uski bahan hu "
" Beta aisa mat karna , please samjho "
Aditi " kyu maa ,batao na maa kyu ? Aisa kyu kar rahi ho , Aap ko meri kasam "
Maa. " Beta Kasam mat dilao, main bhi bandhi hui hu "
Aditi " main vo sab nahi janti mujhe Mera Bhai chahiye, jisase aapne mujhe dur kiya "
Maa Jo aansu liye thi vo rone lagi " beti please, meri baat ko samjho , main kamjor hu "
Aditi bhi gusse me rote hue " kyu maa kyu , batao "
Maa kuch bol naa paayi kuch vakt baad apne aansu ponche " thik hai , tum use bata sakti ho par kuch dino baad "
Aditi " kyu ? "
Maa " vo mujhse nafrat karta hoga , tu pahle jaanne ki koshish kar ki vo mere baare me kya sochta hai "
Aditi " kaise ?"
Maa " tu uske college me hai , dosti kar uske mata pita ke baare me puchh ,ham usase samjh payenge ki use kaise manana hai "
Aditi " par kal kyu nahi "
Maa " mujhe vakt do beti , ye baad itni saral nahi hai , Varna kon maa apne bete ko chhod kar Jaa sakti hai "
_________________________________
Main idhar Ghar par aa gaya, fresh ho kar apne room me baitha hua tha ,aaj ke bare mesoch raha tha .Shubham bhi Apne liye pyar pane ki koshish kar raha tha . Vo dono ki Jodi to achhi rahegi par Apna kya , kisike pyar ko dekhkar main khush ho jaunga sukhi nahi . Mujhe bhi chahiye Koi to .
Tabhi mere room me bhabhi aayi , vo chehra saamne aate hi pata nahi mujhe sukoon sa mahsoos hota hai .
" Aaditya , kya soch rahe ho . Khana nahi khana kya ?"
Bhabhi ko baat sunkar , maine "haa" kah diya.
Bhabhi " to jaldi karo fir me free ho jaogi "
Aaditya " bhabhi , aapne khana khaya "
Bhabhi " Haa , kha liya tum Khalo , subah tiffin bhi nhi leke Gaye the "
Aaditya " Vo canteen rahti hai "
Bhabhi " achha , jaisa tumhe thik Lage ,lekin agar man kare tifin ka to raat me hi bol Dena subah jaldi jaldi tumhare liye kar diya karungi ".
Maine khana khaya aur phir tabhi Shubham ka call aaya .
" Are, kaha hai, main Tumhe babajaan panipuri ke pass milta hu aaja "
" Haa thik hai , aata hu , vo aate vakt dikhayi thi vahi na "
Mai college se shubham ke sath aaya tha dono alag alag gaadi par the ,tabhi usne kaha tha ki dopahar ko milenge.
Bhabhi ko batakar gaadi lekar shubham ke pass chala gaya .
Shubham vahi khada tha.uske pass bike nahi thi .
" Bike ,bike kyu nahi layi tune ?"
" Are vo dono ghumenge mera ghar pass me hi baad me dikha dunga "
" Aur petrol ?"
" Ab jiski gaadi hai vo bharega "
" Ye achha hai , isiliye gaadi nahi laaya "
" Haa , agar gaadi Lata to do gaadiya , itna bhi Paisa nahi hai , aur konsa ham Mumbai Jaa rahe hai yaha se "
Main piche sarak gaya aur tange dalkar mere aage aa gaya .
Ham kuch der aage chal hi rahe the ki Maine pucha " kya socha hai ?"
Usne gaadi chalate hue jawab diya " kuch nahi , mujhe mall se kuch saman Lena hai , vo lunga aur kya "
" Are main Renuka ke bare me puchh raha tha , uska kya socha hai ?"
" Are uska kya , lag to Raha hai bhav de rahi hai , tumhe kya lagta hai , kya karna chahiye?"
Main confused hokar " matlab "
Shubham " are mera matlab hai ki Maine kis tarah se aage badhana chahiye "
Main " Mujhe to lagta hai ,uska tujhme interest hai , par tumhe koi bada kadam uthana padega tabhi uski bhi himmat hogi "
Shubham ne meri baat sunne ke liye gaadi dhime kardi " aage bol "
Main " Mujhe lagta hai ki tumhe uske sath kuch extra time spend karna chahiye , jaise ki class chutne ke baad bhi milna hote rahna chahiye , jisase vo thodi aur comfortable ho jaye tumse baat karne ke liye "
Shubham " lekin ye kaise hoga , class ke bahar to ham milte hi nahi "
Main " tum log nahi milte ab milna chalu kardo , kuch bahane se "
Shubham " kaise bahane "
Main " jaise ki tumhara aaj bahar khane ka man hai , yaa phir koi special jagah par khana khaya hai kya "
Shubham " Teri baat samaj rha hu , to tune apna kya socha hai "
Main " kya socha hai , meri jindagi me koi mili hi nahi "
Shubham " kya aaditya tujhe vo Aditi sach me pasand aai "
Main " Haa shayad, par tu bol raha hai ki seniors uske piche pade hai to ham kya kar sakte hai "
Shubham " tu sach kah raha hai ,tujhe agar vo ladki pasand hai to gadbad ho jayegi ".
Main " ab jaane de mujhe itna farak nahi padta , koi aur mil jayegi "
Shubham " Achha thik hai , kal tu mere sath baithe ga na to masti mat karna "
Main chhedte hue " kyu Masti karne ka adhikar mujhe thodi hai tere sath "
Shubham " are vaisi baat nahi hai , vo ma'am hai Deshmukh ma'am bahot strict hai "
Main " haa , nahi karunga, vaise unki shadi hui hai "
Shubham " Nahi , shayad itna pata nhi par mangalsutra nahi tha , kyu ma'am par line marne ki Sochi hai kya Mai puri tarah se sath hu "
Main "kisme madat ?, line marne me "
Kuch der baad ham market pahoch gaye . Khareed dari karne ke baad ,
Main shubham ke sath us ke Ghar ke bahar the main Bike par baitha hua tha , shubham saamne khada baat kar raha tha jmeri najar raste ke kinare padi , kuch duri parvaha ek aadmi ek aurat se baat kar raha tha , kya naam tha us aadmi ka ? 'Raghu', vo bustand par dikha tha daru pikar tha , uske sath ek aurat bhi thi , Vo aurat saree se kisi bade Gharane se lag rahi thi , vo us ' Raghu ' ke piche bike par baith gayi .
Vo bike par aurat baithi tab mujhe us aurat ka chehra dikhayi diya , use dekhte hi main soch me pad gaya , ye bhabhi is aadmi ke sath kya kar rahi hai . Ye Raghu to saala ek no ka Gunda hai , kahi ?, nahi , ye nahi ho sakta , Rukhmini aisi aurat nahi hai .mera dhyan shubham ki baato par naa hone ki vajah se shubham ne mujhe daant diya .
Lekin tab tak vo dono gaadi leke ek taraf Jaa chuke the .
Main " shubham , Abe yaar mujhe kuch kaam diya tha bhul gaya main jaata hu "
Shubham " main aata hu tere sath "
Main " ruk main hi jaata hu , phir tumhe chhodne bhi aana padega "
Shubham kuch bolta tab tak main gaadi start karke nikal Gaya .
Dosto Jaanta hu ki Aap log khush nahi honge is chhoti si update se ye update badi hi thi par agli update badi to hoti par usme kuch nahi rahta isiliye kuch chije agli update ke liye chhod di hai , sorry, thread start kar ne se pahle pata nahi tha ki itne kaam aan padenge so maafi , main phir bhi hafte me ek update Dene ki koshish Karunga ,is baar chhoti hai par agli baar se badi hi hongi .