Jitni Jaldi Mumkeen Ho....Nikal Jao Yahan Se....Mujhe Khattai Pata Na Hona Chahiye Ke Tum Kahan Ho....!
Main Bhi Yahi Sonch Raha Tha....
Lekin
Us Aurat Se Hoshiyaar Rehna....!
Tum Iski Fikr Na Karo....!
Ek Baar Fir Aagha Kar Du Ke Wo Khud Thressia Bhi Ho Sakhti Hai....!
Agar Aisa Hua To Meri Taqdeer Khul Jayegi....!
Ho Sakhta Hai Ab Humari Mulakhaat Iquitos Hi Mein Ho....Imran Ne Kaha
Lekin....Yeh Bhi Sun Lo Ke Wahan Main Tumhara Dushman Hi Honga....Mujhse Dur Hi Rehna....!
Hum Humesha Waqti Taur Par Dost Bante Hai....
Aur
Dushmanon Ki Tarah Juda Ho Jate Hai....Koi Khaas Baat Nahi Hai....
Aur
Haa....Tum Bhi Mere Yahan Se Ruqsath Hone Ke Baad Ek Ghante Ke Andar-Andar Jagaah Chhod Dena....Main Chahta Hu Ke Tum Bhi Mere Liye Goomshuda Raho....Imran Ne Kaha
Aur
Kamre Se Nikal Aya....Wo Sonch Raha Tha....Ho Sakhta Thressia Ne Singhi Ki Nigrani Shurua Kara Di Ho....
Lehaaza
Yahan Se Nikalne Mein Bohath Savdhaani Baratni Padhegi....!
_____________________________________________________________________________
Akhbaar Mein Ek Us Surkhi Ke Alawa Aur Khaas Khabar Nahi Thi Ke New York Ke Skycrapers Hairath Angez Taur Par Zameen Bose Ho Gaye....
Aur
Saath Hi Zeroland Ke Pur Israar (Rahassamayi) Broadcast Se Yeh Dhamki Bhi Telecast Hui Hai Ke Agar Is Saal Ke Budget Ka 10va Hissa America Ne Zeroland Ke Hawaale Na Kiya To Khala (Space) Mein Tabaah Ho Jane Wali Sky-Lab Ke Tukdhe Aur Tabaahi Phailayenge....Zeroland Ke Radio Ne Yeh Daava Kiya Hai Ke Sky-Lab Ke Tukhdon Ko Khala (Space) Mein Roke Bhi Rakha Jaa Sakhta Hai....
Aur
Waqt Zaroorat Unhe Duniya Ke Dusre Moqaamaat Par Tabaahi Phailane Ke Liye Istemaal Bhi Kiya Jaa Sakhta Hai....!
Saari Duniya Ek Baar Fir Haijaan Ka Shikaar Ho Gayi Thi....
Aur
Bade Mulkon Ke Radio-Station Is Silsile Mein Khaas Bulletin Telecast Kar Rahe The....
Aur
Is Baat Ki Sifareesh Khaas Taur Par Ki Jaa Rahi Thi Ke Is Khatarnaak Tanzeem (Organisation) Ke Khaatme Ke Liye Kam-Az-Kam Waqti Taur Par Badi Taaqaton Ko Ek-Joot Ho Jana Chahiye....!
Imran Ne Yeh Khabar Manaus Mein Padhi....Wo Tanha Nahi Tha....Uske Saath Joseph Bhi Tha....!
Dono Hi Make-Up Mein The....
Aur
Usi Make-Up Mein Unhone Manaus Tak Ka Safar Kiya Tha....!
Joseph Is Shaher Ko Dekh Kar Hairaan Rahe Gaya....Use Aisa Mehsoos Hota Jaise Yeh Shaher Zameen Se Uga Ho....Ya Dariya Amazon Mein Baheta-Baheta Is Jagah Kinaare Se Laga Ho....!
Boss....Yeh Kaisa Shaher Hai....Joseph Ne Imran Se Kaha....Na Yahan Kahin Se Koi Railway Line Ayi Hai Na Sadak....!
Iske Bawajood Yeh Itna Abaad Hai....
Aur
Saari Duniya Se Iska Raabta (Contact) Hai....Paani Aur Hawai Jahaaz Yahan Tak Pahunch Sakhte Hai....!
Lekin Tum Yahan Kyun Aye Ho....Tumhe To Iquitos Jana Tha....!
Mere Liye Yahi Asaan Tareen Raasta Hai....Imran Ne Jawaab Diya
Lekin....Iquitos Brazil Mein To Nahi Hai Boss....!
Peru Ki Ek Bandargaah Hai....!
Aur Mera Khayal Hai Ke Yahan Se Faasla Bhi Bohath Hai....!
Hazaaron Kilometer Ki Baat Hai....
Lekin
Hum Yahan Se Pura Safar Dariyayi Raaste Se Nahi Karenge....Yahan Se Plane Ke Zariye Sarhadi Shaher Benjamin Constant Tak Pahunchenge....
Aur
Wahan Se Baaqi Safar Dariya Se Hoga....!
Itne Chakkar Ki Kya Zaroorat Thi....Seedhe Iquitos Hi Chale Chalte....!
Junglon Mein Daakhil Hone Se Pahle Main Unhe Samajhna Chahta Hu....!
Tum Jano Boss....Main To Hukm Ka Paband Hu....!
Ek Baat Aur Bhi Hai....Shayad Singhi Bhi Iquitos Tak Pahunchne Ke Liye Yahi Raasta Ikhtiyaar Kare....!
Yani Tumhe Yaqeen Nahi Hai....!
Main Sirf Imkaanat (Sambhavanaye) Ko Dekh Raha Hu....!
Aakhar Achanak Tum Dono Ke Darmiyaan Yeh Be-Lutfi Kaise Paida Ho Gayi....!
Usne Khud Hi Mashwara Diya Tha Ke Main Kuch Dino Ke Liye Fir Gumshuda Ho Jao....Imran Ne Kaha
Aur
Madeline Ki Kahani Sunane Laga....!
To Wo Suar Ki Bachchi Abhi Tak Tum Par Udhaar Khaye Baithi Hai....Joseph Ne Thandi Saans Le Kar Kaha....Thodi Der Tak Kuch Sonchta Raha....
Fir
Bola....To Singhi Bhi Jaanta Hai Ke Wo Thressia Hi Hai....!