Tumhare Jism Par Humari Fauj Ke General Ki Vardi Hogi....!
Tab To Thik Hai....!
Thodi Bohath Portugali Bhi Bol Sakho To Kya Kehna....!
Portugali Mujhe Nahi Aati....Albatta....Spanish....
Nahi....Iski Zaroorat Nahi....Tum English Hi Chalan....
Lekin
Itni Achi Nahi....Bas Maalum Hona Chahiye Ke Koi Ghair Americi English Bol Raha Hai....!
Tumhara Matlab Hai Ke Ahel Zubaan Ki Tarah Na Bolu....!
Haa....Main Yahi Kehna Chahti Thi....!
Ho Jayega....Koi Aisi Khaas Baat Nahi....Khair....To Moochein Select Kar Do....!
Vardi Aur Moochein Saath Laungi....!
Uske Chale Jane Ke Baad Bhi Joseph Gumsum Baitha Raha....!
Imran Use Ajeeb Nazron Se Dekhta Raha....
Achanak
Usne Pucha....Kya Tujhe Kaali Pahaadhiyon Ki Chudailein Yaad Aa Rahi Hai....!
Boss....Khuda Ke Liye Aisi Baatein Na Karo....Main Yun Hi Bohath Pareshaan Hu....!
_____________________________________________________________________________
Pareshaaniyon Ka Sabab....?
Yeh Aurat Boss....!
Koi Baat Nahi....Aurtein Humesha Teri Pareshaaniyon Ka Sabab Rahi Hai....!
Tum Samajhte Kyun Nahi Boss....!
Kya Samjhu....? Acha....Tu Samjha De....!
Kya Samjhau....Tum To Bas Bachche Hi Ban Kar Rahe Jate Ho....Yeh Aurat Tumhe Is Taraf Dekh Rahi Thi Jaise Kha Jana Chahti Ho....!
Kachcha....? Imran Ne Hairath Zaaher Ki
Main Nahi Jaanta....Tum Khud Dekh Loge....Joseph Bezaari Se Bola
Tum Ne Suna Nahi....Main Brazilian Fauj Ka General Banne Jaa Raha Hu....!
Aur Uske Baad Mera Kya Hoga....!
Fikr Na Karo....Sab Thik Hi Hoga....Ab To Filhaal Yeh Dekhna Hai Ke Yeh Log Chahte Kya Hai....!
Unke Liye Dopahar Ka Khana Macy Trini Ki Taraf Se Bhijwaya Gaya Tha....Dono Ne Khana Khaya....
Aur
Kuch Der Baad Imran Ne Kaha....Yeh Mujhe Neend Kyun Aa Rahi Hai....!
Equatorial Zone Mein Yahi Hota Hai Boss....Joseph Ne Kaha
Aur
Muh Phula Kar Jamayi Li....
Fir
Bharrayi Hui Awaaz Mein Bola....Khailulah Zaroori Hota Hai Yahan....!
Main Is Laghavat Mein Kabhi Mubtela Nahi Hua....!
Aab-O-Hawaa Boss....Pet Bharte Hi Dimaagh Par Humla Hota Hai....Main To Chala Sone....Joseph Ne Kaha
Aur
Uth Kar Darwaaze Ki Taraf Chala Badh Gaya....
Aur
Imran Aaram Kursi Hi Par Padhe-Padhe So Gaya....!
Dobara Aankh Khuli To Aaram Kursi Jhula Jhul Rahi Thi....Aaram Kursi....Jhula....Imran Baukhla Kar Uth Baitha....Pura Kamra Jhula Jhul Raha Tha....
Aur
Fir To Uski Khopdhi Bhi Jhula Jhulne Lagi....Yeh Kisi Submarine Ka Cabin Tha....
Lekin
Joseph Kahan Hai....Uski Wo Saari Baatein Achanak Yaad Aa Gayi....Jo Usne Chief Trini Ke Mutaleekh (Sambhandith) Kahi Thi....!
Gehre Neele Rang Ka Bulb Cabin Mein Roshan Tha....Imran Ne Uth Kar Switch Board Talaash Kiya....
Aur
Tez Roshni Ka Switch Onn Kar Diya....Cabin Shaandar Tha....Bistar Bhi Shaandar Tha....Ek Janib Mez Par Kuch Kapdhe Tahe Kiye Rakhe The....Jinke Upar Siyaah Rang Ki Artificial Moochein Bhi Rakhi Hui Thi....Ek Taraf Uska Zaati Samaan Bade Saleekhe Se Laga Diya Gaya Tha....Imran Ne Lambi Saans Li
Aur
Aaine Par Nazar Daal Kar Muh Chalane Laga....Is Waqt Sach-Mooch Khud Ko Avval Darje Ka Bewaqoof Mehsoos Kar Raha Tha....
Fir
Us Mez Ki Taraf Badha Jiss Par Kapdhe Rakhe Hue The....Usne Unki Tahe Khol Di....!
Yeh Major-General Ki Vardi Thi....Jiss Par Nishaanat Bhi Maujood The....
Fir
Achanak Unhi Tahe Ke Darmiyaan Ek Photograph Sarak Kar Farsh Par Jaa Padha....!
Camera Photo Tha....Jise Dekh Kar Imran Hairaan Rahe Gaya....Siyaah Moochon Mein Yeh Uski Apni Tasveer Thi....Chahre Par Sirf Moochon Ka Izaafa (Increase) Tha....
Varna
Man-O-Ain Wo Khud Hi Tha....Wo Sonchne Laga....Usne Kabhi Kisi Make-Up Mein Apni Koi Tasveer Nahi Banwayi Thi....
To Fir
Yeh Tasveer....Use Ulat Kar Dekha To Yeh Tahreer (Lekh) Nazar Ayi....!
Major-General Agura....Paidaishi Manaus....Maa-Baap Italian The....!
Imran Sonchne Laga....Is Mokhtasar (Short) Note Ki Kya Gharz-O-Anayath Ho Sakhti Hai....Kya Yeh Mahez Isliye Tahreer Ki Gayi Hai Ke Wo English Bolne Ke Italian Ka Sa Andaaz Ikhtiyaar Kare....
To Fir
Ab Use Kya Karna Chahiye....?
Usne Briefcase Mein Se Apna Samaan Nikaala....
Aur
Un Moochon Ko Apne Naak Ke Niche Jamane Laga....
Aur
Usse Fursath Paa Kar General Ki Vardi Pahen Li....Ab Shayad Hi Koi Kahe Sakhta Tha Ke Yeh Tasveer Usi Ki Nahi Hai....!
General Agura....Imran Ahista Se Badhbadhaya....
Aur
Aaine Ko Aankh Maar Kar Darwaaze Ki Taraf Chal Padha....
Lekin
Fir Ruk Gaya....Aqlmandi Ka Takhaza Yahi Tha Ke Pahle Halaath Ka Andaaza Lagane Ki Koshish Karta....Usi Aasna Mein Switch Board Par Call Bell Ke Push Button Par Nazar Padhi....
Aur
Usne Soncha Ke Pahle Ise Hi Aazmaya Jaye....!