Update -5
Ab tak aap sab ne read kiya ki guruji pratap Or suman ko rudra ki identity batate hain.
Ab aage
Esse hi time nikalta gaya pratap ne bahut pata karne ki kosis ki par vo rudra ka pata nahi kar paya.
Vahi uk main ek ladka apne ghar me soo raha tha actually isse ghar kahna galat hoga yeh tob ek banglo tha. Per ek ajjeb baat thi uske ghar ke under koi nahi tha sirf security ke alawa jo ki ghar ke charo Or thi. Ji ha jaisa aap sab soch rahe ho vo sahi hain ye apna hero rudra hi hain.
( rudra uk me hain issi karan pratap usse nahi dhud paya kyoki vah usse USA me dhud raha tha)
Rudra ne apni akele ki dum pe poora business ampire khada kar liya tha. Usne apni company ka naam R. group rakha tha. Jaise ki aap sab jante hain rudra kam baat karta hain sabse to R group ke onwer ko kam hi log jante the.
Rudra ni ees time tak business management ke master kar raha tha . Ussne kabhi apne dost nahi banaye. Jyada logo ko aaspas dekh ke usse gussa aata tha issi chakkar me usne kai logo ko buri tarah mara tha . Jisse ab sab usse kam hi baat karte the ya yu kahu ki vo kisi se baat nahi karta tha.
Ek raat rudra ghari need me tha to usse ek sapna aaya....
Ki ek anjhan saks usse kuch kah raha hain. Usne usse dhyan se sunne ki kosis ki to usse aab sab saaf saaf sunai dene laga.
Vo aadmi - mere malik aap ke loutne ka vakt ho gaya hain aap ko loutna hoga.
Rudra - kyon ho tum.
Vo aadmi - malik aap ka ek gulam. Malik aap ke loutne ka vakt ho gaya hain aap ko aana hoga.
Or vo aadmi kahi kho jata hain. Or rudra ki need khul gayi. Rudra usse bas ek bura sapna samajh ke bhool gaya.
Or fir need me chala gaya. Phir 4 baje utthkar apni exercise me lag jata hain. Exercise se nipat kar vo sidha apni company ko nikal jata hain