update 22
ankit/prisha ghar ka darwaza kholte hai udhar,maa,sameer,nisha,pahile se the
prisha unlog ko dekhkar hairan ho jati hai
prisha:aap log
maa:haan beta,yeah pagal ne hi sabkuch plan kiya tha,abhi tum bahar hi ruko
mai tumhari arthi utharti hun
maa unlogo ki arthi utharti hai phir niche kalash rakhti hai jisme rice grain bhare hue the
maa:beta isko halke se pair se girakar andar aa jao
prisha halke se pair se girati hai andar aa jati hai
nisha:bhabhi,kaisa laga bhai ka surprise
prisha:bahut pyara hai,
maa:pyara toh hoga hi,mere bete ne bahut pyar se jo kharida hai
nisha:chalo bhabhi,mai apko apka kamra dikhati hun
nisha prisha ko kamra dikhane le chalti hai
prisha charon tarf dekhti hai use bahut pasand aya tha uske ankhon mai anshu aa gye the
nisha:bhabhi,yeah kya humne ithna mehnat se sajaya,aap ro rahi hai
prisha:nhi nhi bas aap log ka pyar dekhkar anshu aa gye
tabhi maa udhar ati hai
maa:tum log phir meri beti ko rulane lag gye
prisha:nhi maa,kisine nhi rulaya,woh toh bas aap log ka pyar dekhkar
maa prisha ka hath pakadkar bed par baithati hai
maa:nisha,jara hum dono ke liye chai laogi
nisha:haan lati hun
prisha:nhi nhi,aap kyu taklif kar rahi hai mai banakar lati hun
nisha:apka aj pahila din hai yeah ghar mai aap aram kijiye,
baad mai tumhe hi kaam karna hai koi rokhne wala nhi hai,
muskura ke wahan se chali jati hai
nisha wahan se chali jati hai
maa:beta,maine kuch laya hai tumhare liye
prisha:maa,iski kya jarurat hai,apka ashirvaad hi kafi hai
maa:jab maa koi chiz dil se de use mana nhi karte,maa ka pyar samajkar rakh lena chahiye
maa ek locket nikalkar prisha ko pehnnane lagti hai
maa:beta yeah locket unhone bahut pyar se banwaya tha,bole the jab ankit ki shaadi hogi
apni bahu ko apne hath se dunga.
yeah bolkar unke ankh mai anshu aa gye
prisha:maa,roiye nhi,aap hi ne bola tha hum sab ko unhe haskar yaad karna chaiye
aap ro rahi hai,mai yeah locket jaan se jyada sambhalkar rakhungi,
kabhi bhi gale se nhi utharungi.
maa apne anshu pochte hue,tu sachme meri sabse pyari beti hai
nisha chai lekar ati hai:aur mai kya hun
maa:tu toh meri sabse ladli bahu hai,meri dono beti meri jaan hai
nisha:jhuth mat boliye,mujhe malum hai hum sab se jyada bhai apko pyare hai muskurate hue
maa:kya tum log ka nhi hai,tu toh uske bina reh nhi sakti
nisha:haan maa,baat toh sahi kahi apne,is tarah hum sab ke dil mai jagah banaya hai usne
uske dekhe bina hum sab reh nhi sakte.
prisha:sameer bhaiya ko bura lagta hoga,aap log unse jyada bondu se pyar karte hai
maa:woh pagal,woh khud bhi ankit ke bina reh nhi sakta hum sab se jyada woh use manta hai,
use taklif hoti hai woh bhi ghabrane lag jata hai.
prisha:mujhe bahut acha laga,mere bondu ko itna pyar karne wala parivar mila,aur mai yeah parivar mai ayi
thank you aap sab ne mujhe accept kiya,mujhe apna banaya,aur itna pyar de rahe hai
maa:maar khayegi,agar thank you bola toh,tu toh meri jaan ka tukda hai,tujhe toh main mere ankit se jyada pyar karti hun
nisha:acha,aap log aram se baat kijiye,mai jati hun
prisha:aap kidhar ja rahe hai,aap bhi baat kijiye
nisha:bhabhi,aap toh office aogi na mai toh rahungi hi baat karte rahenge,
abhi aap maa se baat kijiye,maa beti ke bich mai mujhe nhi ana
nisha yeah bolkar wahan se chali jati hai
maa;beta,tumhare upar bahut badi jimmedari hai,ankit ko sambhalne ki
woh bhale hi sabko dikhata hai use koi taklif nhi hai
hum sab jante hai uske andar kitna dard bhara hai
tujhe apne pyar se use bharna hoga
prisha:ji,maa aap tension mat lijiye mai use koi taklif hone nhi dungi
mai wada karti hun uske har dard ko apne pyar se bhar dungi
maa:tumse yehi umeed thi beta,mujhe yaad hai woh din jab tumhare uncle shaheed hue the
unki body ghar mai thi unhe dekhkar mai ro rahi thi,ankit udhar khada tha kuch nhi bol raha tha,
//FLASHBACK//
ankit ke chacha:aise chup chap khada kyu hai ujad diya ek aur ghar
barbaad kar diya ek aur haste khelte ghar ko
tu toh abhishaap hai jo bhi tere se humdardi karega
uska ghar ujad dega.
ankit yeah sunkar bahut bada jhatka laga tha use woh sameer aur aunty ko dekh raha tha
ankit in mind:chacha sahi keh rahe hai,meri wajih se uncle nhi rahe,maine mara unko
meri wajih aj aunty ka sansar ujad gya,unka ek hi beta hai,
meri wajih se use kuch ho gya toh,nhi nhi aisa nhi hone dunga
mai ab kabhi idhar nhi aunga,inki jindagi kharab hone nhi dunga,
inlog se dur hi rahunga.
ankit yehi sochkar wahan se chala jata hai
//Flashback end//
maa:mai tab unki yaadon mai khoyi thi,un palon ko yaad kar rahi jo unke sath bitaye the,
tabhi ankit ka khyal ata hai,woh bhi toh unke bahut kareeb tha uski kya halat hui hogi
//Flashback//
maa:beta sameer,ankit kahan hai ?
sameer:pata nhi maa,jab se papa ko akhri baar dekhane aya tha
tab se ankit ko nhi dekha maine
maa:acha,thik hai
maa in mind:aya nhi mujhse milne,usko mera khyal nhi aya,
mai kis hal mai hun,dekhne toh ata,iski itni yaad aa rahi hai,
yeah idhar nhi hai.
do mahine ho gye the ankit nhi aya tha sushma ko uski kami khal rahi thi
maa:sameer,ankit kidhar hai,dono mahine ho gye aya nhi woh
sameer:pata nhi maa,uske bare mai mujhse baat mat karo gusse mai
maa:kyu na karu,woh bhi toh is ghar ka sadasya hai
sameer:use nhi lagta aisa,agar lagta apse milne ata,apse humdardi karta
maa:aisa kyu bol raha hai,kuch hua hai kya
sameer:haan maa,mai use milne gya tha,usne milne se mana kar diya
maa:mana kar diya aisa kyun?
sameer:mai nhi bata paunga,woh itna girega mai socha nhi tha
maa:baat kya hui bata toh
sameer batane lagta hai
( ankit udhar garage mai kaam kar raha tha
sameer:hii ankit
ankit kuch bolta nhi,apne kaam mai lag jata hai
sameer:kya bhai tu toh baat hi nhi kar raha
ankit:dekh nhi raha mai kaam kar raha hun mujhe baat nhi karni
sameer:aisa behave kar raha hai,koi galti hui hai mujhse
ankit:nhi koi galti nhi hue,ab ja mujhe kaam karne de
sameer:nhi mai nhi jaunga jab tak kuch bolega nhi mai nhi jaunga
ankit ko gussa ata hai use ek mukka marta hai
ankit:sale haramzaade,samaj nhi aa raha kaam kar raha hun
teri tarah amiron se khandan se nhi hun,
jo muft ki rotiyan todta hai,
ja apni maa ko bol pati mara hai uska
wahi baithkar roye,apne bete ko kutte ki tarah mere pass na bheje
sale nautanki baaz kahi ke,sab bahane hai tum log ke
sun liya ab nikal samjha
sameer:ja raha hun,aj pata chala tu kitna gir chuka hai,
tu sachme kisi ke pyar ke layak nhi hai
yeah bolkar sameer wahan se chala jata hai
ankit in mind:maaf karna dost,aisa nhi karta tum log mujhe bhulte nhi
uske ankh mai anshu aa gye the)
maa shock hokar:kya usne aisa bola
sameer rote hue:haan maa,woh ab waisa nhi raha,ab badal chuka hai
maa:chup hoja,woh badal gya toh kya hua mai hun na,mai teri dost nhi ban sakti
sameer maa ke gale lagte hue :aap toh meri sabse pyari maa ho,dost ho,sabkuch ho
maa use gale chipka leti hai phir bhi unhe yakin nhi ho raha tha ankit aisa kar sakta hai
dheere dheere sushma bhi normal ho gyi thi woh clinic jana chalu kar di thi,sameer bhi apna padai chalu kar diya tha
5 mahine ho gye the ankit ki yaadein khal rahi thi unhe reh rehkar uska masoom chehra yaad aa raha tha
maa kamre mai baithi thi ankit ka ek photo ko dekhkar in mind:beta ek baar toh mil lo,phir kuch nhi bolungi,mera dil bahut ro raha hai,bahut yaad aa rahi teri
dil ghabra raha hai yeah sochkar tujhe kahin kuch hua toh nhi,
,ek baar aja beta apni maa se mil le
tu nhi milne ayega,mai milne aungi,kuch bhi ho jaye bina mile nhi jaungi
sameer:kahan ja rahe ho maa,woh bhi itni hadbadi mai
maa:ankit se milne,aj uski bahut yaad rahi hai
sameer:aap abhi tak use bhule nhi,mai nhi jane dunga apko,apki beizatti nhi dekh paunga
maa:tu samaj nhi raha,aj bahut ghabrahat ho rahi hai jab tak nhi dekhungi tab tak bechaini hogi
sameer:thik hai mai bhi chalta hun apke sath
maa:thik hai chal
sameer in mind:sale ne maa ko kuch bola wahi sar phod dunga uska
maa ankit ke yahan ja rahi thi tabhi uske chacha dikhte hai
chacha:arey bhabhiji namaste,aj yahan kahan
maa:ankit se milne,5 mahine se milne nhi aya,isliye mai milna chahti thi
chacha:kya karenge use milkar,sala abhishap hai
maa:yeah kya keh rahe hai aap
chacha:aur nhi toh kya,tumhare bete se pita ka chaya chin liya,tumhe vidwa kar diya,
apne maa baap ko pahile hi kha chuka tha,sala abhishap ne,
humari qismat futi thi jo humare pale pada.
sushma aur sameer sab samaj gyi the ankit ke badalte behaviour ke bare mai
maa:apko sharam nhi ati,use masoom ko aisa bolte huye
chacha:dekho jo hai woh hai,apko nhi mana toh mat mano,apse jab sabkuch chin lega na tab pata chalega
maa:apko toh mai baad mai dekhti hun,pahile ankit dhundhne do
maa/sameer ke sath gadi mai baithkar use dhunudhne jati hai
chacha piche se chilate hai jao jao kahi pikar pada hoga woh abhishap
sameer:maa,iska matlab
maa:haan beta,usne tumse jaan bujkar aisa kaha pata nhi kahan aur kis hal mai hoga mera ankit
sameer:sorry,maa mai samaj nhi paya mere dost hone ka kya fayda apne dost ka dard dekh nhi paya
maa:koi baat nhi beta,us samay tumne jo kiya har koi wahi karta shayad mai bhi wahi karti
sushma/sameer sab jagah use dhund rahe the garage,playground,jahan jahan woh jata tha sab jagah lekin kahi nhi tha
sameer ko kuch yaad ate hue:maa kahi waha toh nhi gya,aj papa ka birthday bhi hai,aj ke din toh humesha papa ankit ko udhar le jate the
maa:haan,yeah baat mai kaise bhul gyi,pandit ji ko call karke puchti
pandit ji:haan bolo sushma beta,tumhe hi call karne wala tha,ankit aya hai tab se waterfall ko dekh raha hai
kuch kha bhi nhi raha,pani bhi nhi pir raha,bahut chinta ho rahi hai uska
maa:chinta mat kariya,mai aa rahi hun
sameer:kya hua maa kya bola panditji ne
maa:tum sahi the wahi gya hai
sameer/sushma gadi baithkar wahi jane lagte hai
maa:pandit ji kahan hai ankit
panditji:udhar baitha hai,ek hafte se aya hai na kuch kha raha,na pani pi raha hai,
bas wahi baithkar waterfall ko dekh raha hai
sushma/sameer uske pass jate hue
maa:beta ankit
ankit woh awaaz sun leta hai wahan se bhagne lagta hai
maa:kahan bhag raha hai baat toh sun
ankit:nhi suna mujhe milna bhi nhi hai apse
maa:kyu nhi milna tujhe
ankit:gusse mai bol diya nhi milna mujhe bas nhi milna
ankit pagal ho chuka tha buri tarah se tut chuka tha woh kya kar raha hai use kuch malum nhi
sushma doctor hai isko kaise handle karna woh janti thi isliye sameer ko ishara karke shant rehne ko bolti hai
maa:acha,mat mil merese,mai bhi marne ja rahi hun,ja rahi hun tere uncle ke pass
ankit:gusse mai,jao sab chale jao dal do ek ilzaam mere upar bana do apna katil,
meri wajih se uncle nhi rahe,maa,bapu nhi rahe,aap bhi ja rahi hai sameer ko anath karna chahti hai
aise hi gusse mai use chakkar ane lagte hai use sushma bhagkar use pakad leti hai ankit behosh ho jata hai
behoshi mai sameer ko chorkar mat jao uska apke bina koi nhi hai,chor do mujhe apki jindagi tabah ho jayegi
mai qatil hun.
maa:sameer idhar aao madat karo isko uthane mai
sameer bhagkar ata hai
maa:behosh ho gya hai,ek hafte se kuch khaya piya nhi hai,upar se bahut roya hai puri tarah sukh chuka hai
saline chadani padegi
sameer help karta hai use lekar gadi mai baitha deta hai
maa/sameer use lekar pahadi ke ek hospital le ate hai
wahi use admit karte hai sushma pura check karti hai use injection lagakar bahar ati hai
sameer:kaisa hai
maa:thik ho jayega,behosh hai
sameer:baar baar behoshi mai bol raha tha qatil hun chorkar chale jao etc
maa:beta,jab kisi masoom ka dil tutta hai na yehi hota hai,uske chacha use mentally torture kiya
woh seh nhi paya apne apko har chiz gunehgaar bana raha hai
//flashback ends//
maa:ek mahina laga use us halat se nikalne ke liye,apne apko bahut muskil se sambhala tha
us samay sameer aur mai samaj gye the ki ankit duniya ke samne apne dukh ko jahir nhi karegaa
lekin andar hi andar guthta rahega
uske baad sameer aur ankit mai bahut close friendship wali bonding ho gyi
hum log kitna bhi koshish kar le woh aj ke din dukhi ho hi jata hai
isliye beta mai tumhe bola tha use kuch mat puchna mai bataungi
isliye aj mera dil ghabra raha tha,use bina dekhe raha nhi ja raha tha
prisha ke ankhon mai anshu aa gye aur iska dil ro raha tha yeah baat bankar uske bondu ne itna kuch jhela tha
maa prisha ke anshu pochte hue:beta ro mat,strong bano,tum hi strong nhi hogi,use kaun sambhalega
prisha:ji maa,mai strong banungi,bondu ka bahut acha khyal rakungi
maa:chalo baatein bahut hui hum log niche jate hai sab wait kar rahe honge hume apne ghar bhi toh jana hai
prisha:ji maa...................................