update 46
yeah log udhar bane cell mai jate hai
natasha:yeah sala altaf hai jab hum log garden mai the ankit ko
marne ke liye aya tha tab tak aap pahuch gyi thi yeah sala humko
dekhkar bhagne ki koshish kar raha tha
punit:yeah sala tushar hai jisne ankit ko zeher diya tha
aj kiran ko school pahuchate time wahi par tha pakad
liya sale ko
prisha:kuch bataya inlogne
sabrina:beta yeah log criminal hai inhe sirf paison se matlab
rakhte hai kaun deta hai kya karte hai ise inka koi matlab nhi
hai
prisha:khan chacha ko bhi pakda hai na
sabrina:haan dusre cell mai hai
yeah log wahan jate hai
sabrina:ise maine kal raat ko pakda tha nashe mai tha
behosh karke idhar lekar aa gyi
khan:yeah chamiya ayi hai mujhe laga iska bewakoof pati ayega
lagta hai darr gya isliye biwi ko samne bhej diya ladne hahaha
hath bande hai warna abhi isko kha jata hahaha
prisha: aunty iska hath khol do dekhun toh kitna dam hai
iske andar bahut shauk hai na ladkiyon ko ulta sulta bolne ka
batati hun ise
sabrina:par beta bahut khatarnak hai
prisha:kuch nhi hoga bharosa rakhiye bharosa nhi apko
apni beti par
sabrina:thik hai beta par sambhalkar
prisha:ji aunty,baki log bahar jao
natasha:par bhabhi
prisha:natasha kuch nhi hoga
punit:bhabhi all the best
prisha:smile karte hue thankyou
sab bahar chale jate hai
punit:ab maza ayega fighting dekhne mai
natasha:tu pagal hai,bhabhi itna bada risk le rahi hai
meri toh jaan ja rahi hai
punit:abey darr mat bhabhi bhi ankit se kam nhi hai
yeah bhi toh gold medalist hai
natasha:phir bhi,risk lena jaruri tha
punit:tu abhi idhar khade reh aur dekh shanti se
prisha:toh chal start ho ja bandar khan dekhun teri
himmat
khan:tune apni maut ko bulaya hai in sabke samne tera woh hal
karunga tujhe maut bhi naseeb nhi hoga
prisha:batein hi karega ki ladega bhi
natasha idhar puri tarah se darr gyi thi
khan use marne ata hai par chu nhi pata gir jata hai
prisha:abey budhe idhar hi hun do kadam mai hi gir gaya
khan:teri toh bata hun tujhe 2 kaudi ki ladki
khan use ek mukka marne ata hai prisha uske hath pakadke jameen par patak deti hai
punit radhe shock
punit:itna hatte kathe admi ko utha ke phek diya
radhe:yeah sachme danger hai
aishwariya:bachke rehna tum dono tum logo ko toh hawa mai hi phek degi
ab panga mat lena haste hue
punit radhe ek satha:kabhi nhi
natasha abhi bhi ghabrayi thi bus prisha ko dekh rahi thi
natasha:bhabhi sambhal ke
khan prisha ke ankh mai mitti phek deta hai
achanak humle se prisha thodi hat gyi ankh saaf karne lagi thi
khan phir use marne ata hai
prisha phir uski hath pakad leti hai:abhe budhe yeah trick purani ho gyi hai
use itna jor se bukha marti hai peth mai sale ki jaan hi nikal gyi thi
uske muh se khun nikalne laga prisha ne last mai itna jor se chamaat marti hai
pure cell mai awaaz gujne laga khan behosh ho gya
punit radhe ki toh wat hi lag gyi thi
punit:radhe
radhe:bol bhai
punit:aj se mazak masti band
radhe:haan bhai ab toh bilkul hi band
aishwariya ko in dono ki halat ko dekhkar has rahi thi
natasha bhagkar pani lati prisha ka ankh pochti hai
natasha:kuch ho jata bhabhi apko toh kya jarurat thi yeah sab karne ki
prisha:arey kuch nhi hua na dekho behosh ho gya hai
natasha rote hue unhe gale lag jati hai:bhabhi aap mujhe bahut pyare ho meri jaan ban gye ho apko khona nhi chahti
prisha:idhar dekho meri taraf tum ho na kabhi kuch nhi hoga mujhe bachon ki tarah rote nhi
prisha use shant karati hai
prisha:aunty ise bandh dijiye ise hosh mai laiye
sabrina:haan beta
prisha natasha ko pakdi thi woh bhi sambhal gyi thi
sab use hosh mai late hai
punit:kya bey ho gyi teri hawa tight,chamaat bahut mast padi hai tujhe maza aa gya
radhe:sale tharki budhe apne baap ki tarah tu bhi tharki hai
abh kya kar lega bey us din bahut dara raha tha ab dara
prisha:thoda gusse mai, ho gya tum dono ka mai kuch sawaal puch lun ise
punit radhe dono darr gye
punit:haan puch lijiye
aishwariya ko toh bahut hasi aa rahi thi
prisha:ha bey bol,kya bigada tha ankit ne tera
tujhe apne ki tarah samjha usne har idd ke mauka
tujhe pyar diya usne,aur tu usiki jaan leni chahi
khan:sale ne mere baap ko mara tha,tadpa tadpa ke mara tha
mai apna badla lena chahta tha sala baar baar bachta aya mere hathon se
sadique ke muh mai bomb maine hi rakha tha sala ka nazar chala gya bach gya
uske gadi mai maine tracking device lagaye the kahan jata hai pata lagane
uske pahile ek koshish ki thi jab woh arvind ko maar raha tha lekin phir bach gya sala
un sab lakiyon ke bheed ne bacha liya tha use
sab shock the lekin shabrina nhi thi
signal pe banduk se injection shoot karne ki koshish ki thi nishana chuk gya sala gadi se nikal gya tha
maar nhi paya puri planning se tha mai udhar tushar ne apna kaam kar diya tha lekin sala phir bach gya
akhiri chal altaf tha lekin woh bhi phas gya
sabrina:tere baap ne kya kiya tha malum hai tujhe
khan:toh kya hua,maze kar raha tha
prisha:kisi ki zindagi se khelna maza hota hai tum haiwanon ke liye
khan:toh kya ise aiyashi kehte hai
prisha:isliye tu ankit ke office mai uska dil jeethne aya tha lekin kabhi
bharosa kiya nhi ankit ne tere pe
khan:haan sala,kabhi bhi security di nhi kamine ne,isliye maine kitni
baar natasha,radhe,aishwariya,punit,uski family par humla karwaya pata nhi
kahan se unhe bacha leta tha
sabrina:abey sale,tujhe kya lagta hai use apne logon ki fikar nhi hai
abey usne kabhi tujpar bharosa kiya nhi use malum tha tu us rafiq
ka beta hai,woh tujhe isliye rakha tha jo tum jaise chutiyon ka istemal
kar raha tha pata lagane aur sun
natasha,punit,aishwariya,radhe,nisha,sameer,kiran,aur sushma ji
in sab par usne tight security rakhi hai inhe kabhi kuch nhi hona
chahiye dekhna chahta hai yeah dekh
yeah sab teri tarah gadhe nhi hai yeah sab ankit ke liye jaan de
sakte hai
prisha:iska matlab usko sab pata hai mai yahan hun,arvind ko kab aur kahan mara ankit ne
sabrina:nhi beta,tension mat lo puri security mai dekhti hun
mere andar hai sab mujhe sab pata hai kaun kahan kya karta hai ankit ko kuch nhi malum tension mat lo uthna hi bataya jitni jarurat thi
punit:paar aap ho kaun
sabrina:apna id deti hai
sab dekhte hai
sab ko shock lagta hai
sabrina:sab batati hun shock mat ho mai kaise ankit se mili
sab kuch pahile batao iska kya karna hai
prisha:tadpa ke marenge jaise isne ankit ke bare mai socha tha waisa
sabrina:yeah lo beti laga do sale pe injection
prisha sabko injection laga deti hai
khan:dekhte hai kitna bacha payegi london ja rahi hai na
udhar hi uski maut pakki hai hahaha
prisha:mere hote hue uska koi kuch nhi bigad sakta
sab dheere dheere marte hai........................