Update....1
__________________________
Andhera kamrein mein ek Table aur do chair.jisme ek ek chair mein ek ladki aur ek ladka behosh pade huye the. Room ke center mein unke sar ke upar ek light jal rahi thi.Ladki bohot hi khubsurat . Jeans aur ek T shirt mein. jo usne kitne din tak pehne huye hai pata nahi. kyunke wo log yaha pe kabse hai pade hai unhe hi pata hi nahi.
Ladka bhi kuch kam nahi tha. ek dashin and Handsome sa ladka. Dono ko hi dekhke aisa lagta hai ke dono hi kisi kisi na bade ghar ke hai. Lekin abhi inka hal behal hua pada tha.
Unhe dheere dheere hosh aane lage. Dono dheere dheere apne apne ankhein khole aur apne aas pass aur halat ka jayja lene lage. Unhone jab apne ass pass ka jayja liya to unhone dhyan diya ke wo to bandhe huye nahi hai ... lekin unka hath pair nahi chal raha tha. jaise unmein koi jaan hi naa ho.Dono aage kucch karte usse pehle unke piche ek Darwaja khulne ki awaj aayi .
Awaj aate hi dono ne jab piche mudke dekhe to paate hai ke ek Banda ek lamba sa Coat pehne , jiske chehre pe Bhayanjak mask laga, aur siti bajata bajat unke poass aaraha tha.
Dono abhi bhi confusion mein hi the ke wo yaha kyun aaye hai, kaha hai wo. Dono apne apne khayalon mein itne hi magan the ke unhe ek dusre ka dhyan hi nahi hua.
Wo banda pass ate ate Siti bajate huye hi nachne laga dheere dheere. Jaise use dunia mei koi aur chinta hi nayhi hai.
Ladka bande ko apne pass paate hi boolne laga..."kaun ho tum .. yaha hume kyun laye ho , Kya chahte ho ... Tumhe pata nahi hai ke mera baap kaun hai...mujhe jaldi se ajad karo
..warna tumhare liye acha nahi hoga..."
Ladka pehle to dara hua tha lekin dheere dheere akad mein aanhe laga...jo uska swabhab hai.
Bande ne kuchh nahi bola....Ladki abhi kuchh bolne wali hi thi ke bande ne apne muh pe ek ungli rakhke use chup rehne ko bola....
Lekin ladki bhi apne darr ko katke akad mein aa chuki thi....to wo boli.." tune suna use ...hume chhod de warna acha nahi hua.."
Ladki ke baat sunke bande ne apne sar pe hath rakh diya aur apne sir ko hilaya..aise ke use disappointment huyi hai. Tabhi usne apne piche hath le gaya aur Jhatak se piche se ek chhoti si kulhadi nikal li.
Ladka ladki dono ko kuchh smajh ata usse pehle Bnade ne ladke ke taraf ek war kiya aur Ladke ka ek hath katke gid gaya. hath katte hi ladka chikhne laga dard se.aur uska khun ladki ke chehre pe bhi gidi...aur yeh najars dekhke ladki bhi chikhi.
Lekin unka awaj sunne wala koi nahi tha.
Ladka tarap raha tha dard se..chikhke Ambulance bulane ko gidgida raha tha...aur wo banda..
Hath katke wo phirse siti bajate huye dheere dheere jhumne laga...jise dekhke ab dono ladiki hawa tight hone lagi...kahi ab uski bari to nahi.
Lekin wo banda jhumte jhumte ladke ke piche jaane laga ...aur jaate hi ek hi waar mein Ladke ka sar dhar se alag...phirse khun ke chhite Ladki pe gidne lage...
Ladki yeh dekhte hi darke mare Behosh ho gayi....
Lekin bande ke Body language se dekhke yeh lag raha tha ke use maja nahi aya...wo nirash hai. Tabhi usne ek chutki bajayi aur sab pehle jaisa..matlab ladke ka sar useke dhar pe\
sath hi mein uska kata hath bhi jud chuka tha.Sar ke judte hi Ladka apne apko hath laga ke dekhne laga..ke kahi abhi jo kuch hua wo sab kahi ekl sapna to nahi.
Lekin apne samne khade bande ko dekhe samajh aa gaya ke yeh sab sach hai.
Ladka ab ekdum darte huye..." kkkaun ho tum ...mujhse kya chahte ho...dekho please mujhe chhod do...tumhe jo chahiye tumhe milega..plzz mujhe chhod do."
Bande ne use apne ungli se ishara bkarke chup rehne ko bola.
Aur ladki muh pe ek Paani mara..jissse wo dheere dheere hosh mein aane lagi. Hosh mein aake Ladki ne apne samne Ladke ko zinda dekhke use thoda sa rahat hua ...kyunke use bhi yahi laga ke yeh ek sapna hai.
Lekin jaldi hi apne samne khade bande ko dekhke uska bhi Reality ka pata chal gaya.,
wo abhi kuch bolti usse pehle hi Bande ne ek Gun unke samne rakh diya...aur Dono ko ek dusre taraf Ishara kiya...
Aur pehli bar bola.."ek banduk , ek goli, ek mauka , jo pehle dusre ko shoot karega... wo yaha se bachke jayega."
Ladki yeh sunte hi bina kuchh soche samjhe Ladke ke sar pe Shoot kar diya. Phir Gidgidate huye boli.."dekho tumne jo kaha maine wo kardiya ...ab to mujhe chhod do."
Uski gidgidana dekhke Banda hasne laga....aur chutki bajaya aur wo Ladka Phirse jinda ho gaya...Ladki yeh dekhke uska Khun thanda ho gaya.
Apne samne ka najara use yakin nahi ho raha tha.Ladka ab apni hosh ke had tak aa chuka tha. Apne pant mei pishab aur 2nd number dono kar chuka tha. Darke mare uskli bolti tak band ho chuki thi.
Bande ko maja nahi aa raha tha . Yeh dono kuch jyada hi dar rahe the;. To usne chutki bajayi aur dono ke halat mei sudhar aane laga.
Aur Tabh Bande ne apne chehre se dheere dheere Mask ko hatane laga...aur dono Ladka Ladki ke ankhe badi hoti gayi....
"nahi nahi nahi...yeh nahi ho sakta..hummne tumhe marke fek diya tha...tum mar chuke ho..yeh kaise ho sakta hai."...Ladki thar tharate huye boli.
Banda..."kyun Priya aur Rahul...itna kyun shock ho rahe ho...jinda hoke hi to lauta hun..isme badi baat kya hai, Khair aaj main jo bhi hun wo tum sab ke wajah se hi hun.to mai tumhe tumhara Gift dene aya hun...tumhara ahsaan chukane.."
Priya..." nahi nahi hume mat maro...dekho tum, ja kahoge hum wo hi karenge...Humne tumhe marne mein help jarur ki thi lekin , Plan humnara nahi tha.."
Banda...."are daro nahi ..marunga nahi...maut bhi koi Gift hota hai bhala...main to tume Gift dene aya hun." yeh sab bolte huye uske chehre pe ek Kutil muskan tha..agarkoi shakht dil ka bhi use dekhta to ruh kamp jaati...."dekho ab tum mera dil dukha rahi ho...mera Gift na leke....."
Ladki ab aur bhi jyada confused , kyunke agar wo unhe gift hi dene aya hai to ab tak kya ho raha tha....aur wo log yaha , uss halat mei kyun.
Ladki ke chehre ke bhaw ko dekhke banda bola..."yakin nahi hota to yeh dekho..."
Bolke usne jor se bola.....SUMMON HELL....aur sath hi jamin fat gaya...aur aas pass aag aane lagi...jamin mein Lava mein dhakne laga..aur uss Darar se aya 2 Demon
jo aake uss Bande ke samne jhuke.
Banda..."iss ladke ko le jao..aur ache se khatir dari karo. dhyan rakhna yeh mar na jaaye ....agar mar jaaye to jinda wapas jinda karna...:"
Aur uske bolte sath hi Rahul ke chikhon ke sath ek Demon use ghasit te huye darar mein le gaya.
Priya bhi ab yeh sab darke mare Pishab kar chuki thi.
Banda..."daro mat Priya...Tumhe yeh Gift nahi dunga..Tumhare liye kuch khas hai...Kyunke ek tum hi to thi jo mere bohot khas thi...hahahahahahha"
Priya ko thoda sa rahat mila to wo darte huye hi boli..."kkkkya dene wale ho tum...?" usse lag raha tha ke ek Time pe jo banda Uske samne aage piche kutte ki tarah Ghumtatha wo aaj bhi usse Pyar karta hai.uske man mein wo sochne lagi ke ...agar wo aaj gbach ke yaha se nikli to kaise bhi karke apne samne bande ko phirse apne bass mein karke
apna kaam nikalwayegi.
Banda..."aab itna bhi khush na ho...tumhara gift yeh hai ke...aajse tum na kisi ko Chhu Paogi naa Kisi se baat kar paogi..jinda to rahogi lekin ek Ghost ki tarah.aur apne apno ka barbadi ka karan banogi..lekin tum kuch nahi kar paogi bas dekhogi..hahahahahahaha.." bolke usne chutki bajayi aur ........
Ladki ki ek akhri cheekh.."nahiiiiiiii.......Akshhhhhhh" ke sath Ladki hawa me mil gayi........
Bas bacha raha Aksh ki siti ki awaj aur uska jhumna.......
To Be Continued.