Update - 131
7 years later......
" Sir publishing house is succesful years ke piche ane walon salon ke liye kya soch rahi hai "
" well first thank you, success koi bhi publishing house ko uske writer aur reader banate hai and well aage ke plans to pata chal hi jayenge "
" Sir, hum sab yahan kahani ko lekar kuch sawal karna chahte hain, book market mein itni success hai ki logon ke bhi sawal hai "
" uske liye hum aaj unhe sath laye hai jinse mulakat karne ke liye apne hume pareshan kar raha tha " podiyun par khade mr arora ne kaha to sabhi reporter hans diye.
" mei chahta hun ki Ankit aaj stage par aye aur apni book par uth rahe sawalon ka jawab de " mr arora ke hatte hi mei podiyum par aa khada hua. Camera ke flashes, reporter ki unchi awazein, ye shor tha mere liye. Mei podiyum par khada hua aur mic apne face kki taraf adjust karne laga.
" first on the behalf of everyone, we congratulate you for the success of your book" ek reporter ne kaha aur sabne tali bajani shuru kar di.
" thank you " mene bas itna hi kaha.
" helo sir, my name is ruchika "
" helo ruchika "
" sir mera sawal ye hai ki, apne apni kahani mein itna adult content use kiya apko nahi lagta itna explicit content hamare samajh mein accept nahi hota aur apne phir bhi use likha, koi khas wajah? "
" aap adult hai right? " mere sawal par vo jhijhki lekin usne jawab dia.
" ji.. "
" apko lagta hai ki aap us book ko apna sakti hai, kharid sakti hai, padh sakti hai use samajh sakti hai "
" ji... "
" tab apne use apna liya aur rahi baat desh ki to yahan condom khairdne mein bhi sawal khade hote hain ye to fir bhi book hai " jawab dene ke baad kuch reporter hans diye.
" helo sir, my question is, ki jo apne book mein likha vo apki zindagi ka ek sach tha isliye apne use book mein utara, to kya ye sach hai ? " uske sawal par mei muskura diya.
" han bilkul sach hai, mera apka aap sabka sach hai vo " sabhi mere jawab se confuse the.
" kaise? " usne turant pucha.
" apne book padi hai "
" ji bilkul padi hai "
" kaisi lagi apko? "
" it was awesome "
" to fir aap relate kar sakti hai ki kuch na kuch vo apki zindagi se juda hoga, sochiye koi bhi scenario jo apne pada ho aur apki zindagi se takraya ho " mere kehne par vo sochne lagi mei janta tha use aise kai kisse milnge. Vo kuch nahi boli bas han mein sar hila diya, par mera abhi jawab dena baki tha " log kehte hain ki kahani mein explicit word use hue, usme sex use hua, vo meri zindagi se juda hai par kya vakai mein vo meri zindagi se juda hai ? kya vo aap logon ki zindagi mein kabhi nahi hua? na padne walon ke pas bahut sawal honge par padne walon ke pas hamesha uska jawab hoga. Aap sab usi zindagi usi daur se guzre hain jiska kirdar is book ke andar hai. Kya kabhi apne apni life mein kuch bhi aisa nahi kiya jo apko regret hua? Ya phir jis sex ko taboo kaha jata hai use shadi ki raat jaan kar ched-ched kar uksaya jata hai, kya ye hamari ek soch nahi hai jo hume explicit nazar ati hai? " shayad mere jawab mein bhi sawal chupe the lekin mera yahi jawab tha, uske sawal ka.
" lust, 'kimat' love, yahi title kyun chuna apne kahani ke liye " sawal kisi aur reporter ka tha.
" apne book padi hai "
" sir bas last ki reh gayi hai, khatam hi honi wali hai please kuch reveal mat kijeyega " sab uske jawab par hans pade, even mei bhi khud ko nahi rok paya.
" mei suspense bina reveal kare apko jawab deta hun " mene ek pal liya jawab tayar karne ke liye " jab hum apni chahat mein kho jate hain aurat ko sirf ek hi nazar se dekhte hain tab hume zindagi mein koi mil jata hai jise hume pyar ho jata hai aur hum apni sari andruni ichayein chhod sirf uske liye jine lagte hai. Lekin ichayein hamesha dabai jati hai khatam ho jati to hum insan hi na hote aur usi mein galti kar baithte hain, jiski 'kimat' hume chukani hi padti hai. Pyar ki kimat chukani padti hai "
" sir, ek sawal jo sabhi readers ke liye jaruri hai, where is ankita? kya hua unka? " agla sawal, janta tha ayega.
" i don't know " mei chup hua " she is a fairytale, jo sunai jati hai par hakikat nahi hoti, That instance is important for him to understand, i guess last mein jab ankit ke sath kuch usi tarah ka instance hua to uske andar sab jud gaya "
" par apne unhe kabhi vapis nahi laya, ritika ko lekar aye? " accent alag tha is reporter ka yani kisi aur ne question par question kiya.
" There was motive, ritika ka ana because sirf wahi ankit ko sahi rasta dikha sakti thi. Ankita and akansha both loved me, ritika never loved him. Hum pyar ke aage samjha nahi patte par dost hamesha use samajh sakta hai, samjha sakta hai "
" sir itna dark character kya soch kar likha apne? Itna selfish,attitude,ghamandi "
" mujhe sochne ki jarurat nahi padi, dunia mei bahut si chizen hai jo isi par chal rahi hai, i can relate this with the world but i couldn't, warna breaking news bana kar mujhe hi chap doge " mera jawab sun kar fir sab hasne lage.
" apki book mein galiyan ka bahut use hua hai? kya necessary tha vo? "
" logon ki cigratte nahi jalti vo usme bhi gali de dete hain, jabki vo zeher le rahe hain jante hue bhi ki agar ek second der se lenge to kuch labh nahi hoga unhe fir bhi vo us ek second mein us nirjiv vastu ko gali de dete hain to kya wo necessary hai? Aapse puchta hun kya aap gali nahi dete, agar koi bada admi apko interview dene se mana kar de, man hi man ? " mere sawal se vo jhemp gaya. Jaruri nahi har sawal sahi ho, jawab dena mera kaam tha lekin galat sawal ko dikhana bhi mera hi kaam tha.
" Pehli book apni Ek kimat Zindagi ki likha fir is book ko, to sawal mera yahi hai ki pehli book ka idea apko kaise mila kyun ki vo ek aisa concept tha jo generally life mein nahi hota "
" hmm " mene ek pal socha " vo meri ek soch thi, hum har kaam ki kimat lete hain ya dete hai. Aur usi soch ko mene apply kiya ki what if i save somebody's life and in return i ask for something, kya vo ek kimat nahi hogi kisi ki zindagi bachane ki? "
" to apki nazar mei wo sahi hai ya galat? " sawal behad tricky tha.
" meri soch dunia ke liye mayine nahi rakhti dost "
" par apne book likhi hai, log ise inspire bhi ho sakte hain aur shayad opposite soch galat rasta bhi apna sakte hai "
" koi bhi kahani sachai se judi nahi hoti, jivan ki sachai apke hath mein hoti hai kahaniyun mein nahi. Kahani se aap kuch sikh rahe ho kyun ki aap chahte ho ki kuch aisa ho taki mei apni life ki justification de sakun, par andar hi andar apko khud pata hota hai ki aap kitne sahi hai aur kitne galat "
" mera sawal sir ye hai ki apko nahi lagta youth itna explicit content padh kar bhadkegi, uske liye aurat ki izat ghategi, vo aurat ko usi nazar se dekhega? "
" jis desh mein sita ko puja jata hai usi desh mei aurat ko loota jata hai " keh kar mei ek pal ke liye shant hua " hamari soch tay karti hai ki hume kisi ki izat utarni hai ya use izat deni hai, warna kehte hum aaj bhi ram se pehle sita hi hai "
" one last question sir, what if all this happened in your life, tab aap kya karte? " mere chehre par muskan aa gayi, jaise zindagi ne dubara bezat kiya ho.
" i'll wrote a book " mene chota sa jawab diya " thank you " mene kaha sach hi tha par dunia ki ankhon ko vo kabhi lagega nahi, yahi sach hai hamari dunia ka jahan sach ko samjhne ki takat nahi bachi aur juth asani se bik jaya karta hai.
Us shor se dur, sham ke samay mei samundar kinare baitha tha, yahi mujhe pasand tha. Sawalon ne kuch batein yaad dila di thi, Us din ritika se meri mulakat akhri mulakat thi, vo kafi waqt se ayi hui thi aur mujhse mulakat ki kosish bhi ki thi lekin kabhi khoj nahi payi par us din ke itefak ne meri zindagi badal di. Vo chali gayi hamesha hamesha ke liye sab kuch apna chhod kar yahan se aur mujhe kuch sikha kar chali gayi thi.
" autograph please " mei apni purani yadon mein khoya hua tha ki awaz ne dhayan toda. Ankhein modi to paya ki meri book par autograpbh manga jaa raha tha in sab se bachne ke liye to sabse dur aya tha na jane kaise pehchan liya yahan bhi. Mene book li aur uspar sign karke lautane ke liye jab nazar uppar uthai to wo wahin ruk gayi.
Jo mujhe hakikat mein chahie tha vo ab sapna lag raha tha " akansha " mei apni jagah se khada hua. Vo akansha thi ya mera veham tha mujhe samajh nahi aa raha tha. Usne meri book pakadi hui thi aur mujhe dkhte hue uske chehre par kahin bhi gussa shikan nahi tha.
" tumhe bina bataye jane ki wajah se naraz ho na tum mujhse " akansha kuch der dekhne ke baad boli.
" tumhe mujhse hona chahie, mei kaise ho sakta hu " mera galla sath chhonde ko tayar tha, bhavukta mei. Jis insan ko aap kho do aur waqt apko use dur karke apki zindagi ka sabak de de to use wapis dekh kar kaisa feel karte hain mei kuch usi tarah ke karmash mein tha, yani ant mein.
" tumhari kitab mein sab kuch sahi likha hai ankit, sab kuch sach likha hai, dunia ke liye vo ek kahani hai par mei janti hun ki vo tumhari sachai hai. Sirf ek baat chhod kar " akansha kuch batana chahti thi. " us din tum khojte hue bilkul sahi jagah pahunche the ankit " akansha ne apni baat batani shuru ki.
" tum jab rahul ke flat aye the, mei wahin thi usi ke sath jab tumne door knock kiya tab "
" ankit hi hoga " rahul ne kaha " akansha soch lo ek baar fir? "
" nahi.. " mene ruanse galle se jawab diya. Rahul akansha ko dekh bahar chala gaya, mei sab sun rahi thi jo bhi baat bahar chal rahi thi.
" ankit tere pairon se khoon aa raha hai, tu delhi se pune tak nange per hi aa gaya " rahul ke muh se ye sun mei apni jagah se khadi hui par peron ne tumhare pas ane ke liye sath nahi diya.
" ankit... ankit.. " rahul chillaya mujhe laga jaise kuch hua mei jana chahti thi lekin utne mein rahul wapis aa gaya " kya hua? "
" vo.. vo sidiyun se gir gaya tha " rahul ne bataya tabhi vo chillaya tha.
" use lagi to nahi "
" i dont know akansha, par he is not in good condition, he ... " rahul bas itna bol kar ruk gaya aur mujhe samjhne mein der nahi lagi ki tum tut chuke ho aur mei wahin gir gayi aur rone lagi. Janti thi tutna jaruri hai, mulakat hui to kuch bhi waisa nahi rahega, rishta hamara vishwas aur pyar ki dor se dubara jud nahi payega. Par mei us waqt khud ke liye nahi roo rahi thi balki tumhare liye roo rahi thi, janti thi ki tumhare sath koi nahi hai, tum akele ho, bilkul akele.
" mil kar bhi nahi mili tumse " akansha aage bolti par mene use rok diya.
" mera vishwas, meri umeed sachi thi akansha bas.. aur kuch nahi janna " us raat yahi to vishwas tha ki akansha wahi hogi, mili nahi vo to mei samajh hi sakta hun kyun? Usne mera hath pakad liya aur hum dono yun hi khade rahe.
" mama.. mama " awaz sunte hi mei aur akansha dono hosh mein aye.
" hi bacha " akansha ne jab nazre jhuka kar kaha tab mene niche nazre jhukai. " aap yahan kaise aye? "
" dady ke sath, mama, who is he? " us bachi ne meri taraf dekha, mei kabhi akansha ko dekhta to kabhi us bachi ko. Mei khush tha ya ro raha tha kuch samajh nahi aya, ankhein bhari hui thi bas.
" she is Ankita, meri beti " akansha ne apne pet par hath rakhte hue kaha jiske baad mei ek pal ke liye use dekhta raha, ek to akansha ne jo naam rakha tha aur dusra jise sochte hi mei ghutne ke bal baith gaya aur ankita ko apne sine se laga liya. " Tumhara wajud hamesha mere pas hi hoga ankit " jab tak mene ankita ko apne sine se jode rakha tab tak akansha ki ye baat mere dimag mein ghumti rahi.
" hi, i am ankit " mene ankita ko alag kar apna hath aage badhaya.
" helo, my name is ankita, i am 7 years old " uske batane ke baad ek pal ke liye mene nazre niche kar li, uske samne rona nahi chahta tha isliye ansuon se request kar raha tha ki ankhon mei hi rahe.
Note - Lyrics Has been used for Entertainment Purpose. The used Lyrics is not mine or neither have any copyright. |
Song Name - Ek Tarfa ~~ Darshal Raval |
Ankhiyon Se Dariyan Beh Gaya Haaye
Khaab Woh Adhoora Reh Gaya
Jag Bhi Paraya Ho Gaya
Juda Tera Saaya Ho Gaya
Teri Duniya Mujhe Ab Na Gawara Hai
Par Tu Hasdi Reh Bas Yahi Sahaara Hai
Mohabbat Ho Gayi Thi Dono Ko
Ek Arsha Ho Gaya
Mera Yeh Ishq Tha Do Tarfa
Ek Tarfa Ho Gaya
Mohabbat Ho Gayi Thi Dono Ko
Ek Arsha Ho Gaya
Mera Yeh Ishq Tha Do Darfa
Ek Tarfa Ho Gaya
| Apni jagah se khada hua aur akansha ki taraf dekhne laga. Mei ek baar akansha ka hath pakad kar use shukriya kehna chahta tha lekin sirf soch hi paya kyun ki jaise hi mene hath uthaya ankita ne akansha ka hath khinch liya.
" mama chalo, dady bula rahe hain, chalo " ankita akansha ko khinch kar le jane lagi aur meri vo khwaish adhuri reh gayi. Akansha ki nazar kuch pal mujh par hi rahi fir usne apni nazre ankita ki taraf modh di.
Use ek baar fir ankhon ke samne dur jata dekh ankh se ansu nikal aya jo wahin ret mein ja mila. Mere per khud-ba-khud uski taraf chal diye lekin jaise hi uske chehre par muskurahat dekhi vo wahin ruk gaye. Samajh gaya tha ki ek baar fir hi sahi lekin mei uski aur uski khushuyun ke bich nahi aa sakta tha. Mene apni nazre jhuka li aur ret ko per se hatane laga, jitni hatata utni vo jama ho jati. Man nahi mana to nazre utha hi li use dekhne ke liye. Vo dhire-dhire meri ankhon se dur ho rahi thi aur fir ojhal ho gayi. Uske jane ke baad bhi ek pal ankhein use hi dhundti rahi fir mein wahin wapas baith gaya.
|
Bade bujurg kehte hain jab aap kisi ko dard do to itna ki uski zindagi na tute chahe uske liye sach hi kyun na chupana pade. Mene bhi waisa hi kiya tha, jo dard mei akansha ko de chuka tha use takleef bana kar uski zindagi nahi tod sakta tha. Usne book mein jo pada vo uske liye sach tha, par hakikat mein farak tha, us raat jab pehli baar sangeeta aur mere bich najdeekiya badi thi usme shuruwat uski taraf se nahi hui thi balki mene ki thi.
Meri nazar dubte suraj ki taraf thi, bahut se log mujhe ab galat kahenge, mere bare mein galat sochenge par kya farak padta hai, mei apne lust ki 'kimat' to bhar hi chuka hun apne pyar ko kho kar.
The End