• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mʏ Vᴀᴍᴘɪʀᴇ Sʏsᴛᴇᴍ ~ Tʜᴇ Hɪɴᴅɪ Eᴅɪᴛɪᴏɴ

What are your first impressions?

  • Naah! I will pass 😮‍💨

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    31

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Guys! listen once again, likes ka target pura hone se pehle update nahi dene wala mai, bilkul bhi nahi. So agar next update chahiye to target pura kro.
One update per week ka schedule fix krne ka socha tha but past 3 days me back to back 3 update de chuka hu. So itna to kar hi sakte ho tum log.
Isliye target pura kro aur update le jao. Yahi deal hai apni.

Aur guys jo bhi naye bande thread par aa rahe hain wo upar poll me apna keemti vote jarur dalte jaye.

Ek aur baat tumhe story achhi lagti hai, batao.
Tumaye story achhi nahi lagti hai, wo bhi batao.
Tumhe kya achha lga, batao.
Tumhe kya achha nahi lga, wo bhi batao.
Agar thread par aaye ho, story read ki hai, to please kuchh na kuchh bol kar jao. Tum log bc aate ho aur aise gayab ho jate ho jaise gadhe ke sarr se kabhi seengh gayab ho gaye the. Bc 2 sabd naa bole jate tumse.

Jyada kuchh nahi mang raha, bss agar thread par aate ho to ek like kar diya kro aur ek chhota sa revo de diya kro. Kam se kam tumhari presence ka pta chalte rehta hai, ki bc tum log exist bhi karte ho.

Bss jo hai itna hi hai, itni baaton ka dhyan tum rakh lena baki tumhara dhyan mai rakh lunga. Tum khush, Mai khush, Dono log khush. To deal done samjhu Mai?? :hinthint:


And once again, keep supporting!!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
nice update keep it up
Thanks.
Keep supporting!!
 
Last edited:

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Bhut jabardast super hot update..... seems like i read it somewhere can’t remember
Kahi pichhle janam me ju hi to Vikram nahi the, kisi vampire world me??:hinthint:
It can be possible that you are remembering your previous life.:approve:
You know, anything can happen in this unpredictable world. After all there is only one guarantee that there is no guarantee.
 
  • Like
Reactions: Smith_15

spritemathews

Well-Known Member
3,457
7,287
158
Kahi pichhle janam me ju hi to Vikram nahi the, kisi vampire world me??:hinthint:
It can be possible that you are remembering your previous life.:approve:
You know, anything can happen in this unpredictable world. After all there is only one guarantee that there is no guarantee.
I got it similar sequence in pocket GM story just the characters changed
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
I got it similar sequence in pocket GM story just the characters changed
Well, lagta hai pocket aur Mai dono hi same bande se inspired hain.:laughing:
Now since you already read or listened the story somewhere else, I don't think that you will be able to enjoy it anymore.
I am feeling sorry for you.😔
Sorry bro, i couldn't create something new something different for you. Really sorry.
 
  • Like
Reactions: spritemathews

spritemathews

Well-Known Member
3,457
7,287
158
Well, lagta hai pocket aur Mai dono hi same bande se inspired hain.:laughing:
Now since you already read or listened the story somewhere else, I don't think that you will be able to enjoy it anymore.
I am feeling sorry for you.😔
Sorry bro, i couldn't create something new something different for you. Really sorry.
Pls carry on listening is different and reading makes more interesting
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
Pls carry on listening is different and reading makes more interesting
Don't worry brother, apun kahi nahi ja raha.
Abhi to apun yahi par hai, so enjoy it while you still can.
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
42,189
37,326
304
Update - 1
[ The daily routine ]


"Gir kar mat mar jana, Vikram!" Ek ladke ne hallway ke entrance se chillate huye kaha.

Vikram school ke corridor me chalta raha. Uske sath ye lagbhag har roj hi hota tha. Bully hona jaise uske liye ek daily routine ban chuka tha. School ke kuch dabang ladke use roj bully karte the aur aisa ek bhi din nahi tha jab use is baat ka bura na lagta ho aur wo khud ko unka virodh karne se nahi rok pata tha.

Vikram ruka aur usne apne glasses ko pichhe Kiya kyuki wo uske chehre se khisak kar niche aa gaye the. Use naye chasme ki jarurat thi. Har physical object ki apni ek limit hoti hai. Koi bhi pehli nazar me dekh kar ye bta sakta tha ki lambe samay se use hote rehne ki vajah se wo chasme bahut jyada damage ho chuke hain. Chasme par jagah jagah tape chipka hua tha aur ab to wo uske chehre par thik se fit bhi nahi hote the.

Vikram pichhe muda aur usne immediately us ladke ko apni middle finger [🖕] dikhai.

"I bet ki tu ye bhi nahi bata sakta ki mai kitni ungliya dikha raha hu!" Vikram ne us ladke ne kaha.

Ye sunkar us ladke ki mutthi kas gai aur wo daat bheenchte huye Vikram ki taraf bhaga.

"Madharchod!! Tujh jaisa Level 1 ka chuja ye kab shikhega ki is duniya me tere jaise kamjor logo ki koi jarurat nahi" Us ladke ne gusse me Vikram se kaha.

Phir us ladke ne apni aankhen band kar apne dono hathon ko aapas me joda aur uske aisa karte hi ek green colour ki light se bani ball uske hantho ke paas form hone lagi. Wo ladka Vikram se bss kuchh ki meters door tha. Us ladke ne apne hantho ko full force ke sath aage ki taraf pheka aur uske aisa karte hi green light se bani wo ball uske palm se nikal kar full power ke sath Vikram ki ore shoot ho gai.

Achanak huye is hamle se bach pana Vikram ke liye lagbhag namumkin tha. Uske paas bhagne ke liye koi rasta nahi tha aur jis speed se wo green light ki beam Vikram ki ore badh rahi thi use dodge kar pana Vikram ke bss ki baat nahi thi. Apne daanton ko pees kar us dard ko sehan karne ke alawa wo aur kuchh bhi nahi kar sakta tha. Jaise hi wo beam Vikram se takrai, uska sareer hawa me uchhal gaya aur pichhe ki taraf corridor ki diwaar se ja takraya.

"Waha kya ho raha hai? Kya school ke aakhiri din bhi ye log lad rahe hain?" Paas hi me khade ek student ne kaha.

Hangama hota dekh kar bahar turant hi ek bheed ekattha ho gai kyuki har koi jan'na chahta tha ki aakhir waha chal kya raha hai. Usi bheed me se ek female student bhag kar deewar ke us tute huye hisse ke paas gai taki wo dekh sake ki ghayal student thik hai ya nahi.

Vatavaran se dhool dheere dheere gayab hone lagi aur Vikram ke ghane kale aur sath hi halke ghunghrale baal dikhayi dene lage. Jaise hi dhool puri tarah saaf ho gai aur us female student ne dekha ki ghayal student kon hai, to wo turant hi pichhe hat gai aur waha se aise chali gai jaise mano waha par kuchh hua hi na ho.

Jab wo female student apni friends ke paas wapas lauti to Vikram dekh sakta tha ki uski friends us ladki ka majak uda rahi thi.

"Mai visvas nahi kar sakti ki tune uski madad karne ki koshish ki."

"Maine dekha nahi tha ki wo kon hai," Ladki ne gusse se laal galon ke sath jabab diya.

Itna sab hone ke baad, Vikram utha aur usne floor se apna chasma uthaya. Ek baar phir, chasme ka ek side toot chuka tha.

"Damn it. Not again..."

Aaj school ka aakhir din tha aur Vikram ko ummeed thi ki aaj koi use pareshan nahi karega. Vikram isse tang aa chuka tha aur wo ise nazarandaj karne walon mese bhi nahi tha. Usne aise logon ko bhi dekha tha jinhone sar jhuka kar chupchap sab kachu sahan kar liya tha aur unki haalat Vikram se bhi jyada kharab thi.

Vikram ko baki students ki tarah school me rukne ka shauk nahi tha. Jate huye usne dekha ki sabhi students aapas me bate kar rahe hain. Kuchh has rahe the to kuchh aankhon me aansu liye baat kar rahe the, Shayad ye soch kar ki wo ab shayad hi ek dusre ko phirse dekhenge. Lekin Vikram in sabka hissa nahi tha aur na hi wo banna chahta tha.

To be continued...
:?: pahle se hi sab vampire hi hai kya???
Nice intro female wali jo hogi sayad baad mein wo heroine bane yaa uski koi chomu si saheli jo heroine ko bhadkaye :approve:
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
42,189
37,326
304
Update - 2
[ Just an old Book ]


Ab tak...

Itna sab hone ke baad, Vikram utha aur usne floor se apna chasma uthaya. Ek baar phir, chasme ka ek side toot chuka tha.

"Damn it. Not again..."

Aaj school ka aakhir din tha aur Vikram ko ummeed thi ki aaj koi use pareshan nahi karega. Vikram isse tang aa chuka tha aur wo ise nazarandaj karne walon mese bhi nahi tha. Usne aise logon ko bhi dekha tha jinhone sar jhuka kar chupchap sab kachu sahan kar liya tha aur unki haalat Vikram se bhi jyada kharab thi.

Vikram ko baki students ki tarah school me rukne ka shauk nahi tha. Jate huye usne dekha ki sabhi students aapas me bate kar rahe hain. Kuchh has rahe the to kuchh aankhon me aansu liye baat kar rahe the, Shayad ye soch kar ki wo ab shayad hi ek dusre ko phirse dekhenge. Lekin Vikram in sabka hissa nahi tha aur na hi wo banna chahta tha.


Ab aage...

Aakhirkar ek kharab din ke baad jab wo apne ghar pahuncha to turant hi apne kaam par lag gaya. Vikram ek single bedroom ke apartment me rehta tha jaha keval ek single bed aur ek desk rakhne ki hi jagah thi. Room ki wall par ek TV bhi lga hua tha lekin Vikram ko TV dekhne ka kuchh khaas shauk nahi tha isliye wo aksar uska use ek background noise ki tarah karta tha.

Ye apartment use government dwara provide kiya gaya tha kyuki uske koi bhi living relatives nahi the aur wo abhi matra 16 saal ka hi tha. Uske bed ke upar hi ek suit case bhi rakha hua tha jisme wo apna sara saman ekdum neatly pack karke rakhta tha.

Room me enter karte hi Vikram ne immediately ek drawer open kiya jisme ek book rakhi hui thi. Ye book kaphi large and thick thi aur iska weight lagbhag one and a half Kg hoga. Mysterious si dikhne wali is book ka front black colour ka tha aur iske centre me ek ring bani hui thi, jisse bahut sari lines nikal rahi thi, ye lines puri book me different directions me phaili hui thi.

"Ek baar phirse try karke dekhta hu." Vikram ne book ko desk par rakhte huye kaha.

Book ko desk par rakh kar Vikram turant hi apne bag ke paas gaya aur usne apne bag se ek chhoti si test tube nikali jisme ek saaf liquid bhara hua tha.

"Test 112, Hydrochloric acid. Chalo dekhte hain is baar kya hota hai." Kehte huye Vikram ne dheere dheere us acid ko test tube se nikal kar book par dalna suru kar diya.

"Phirse koi reaction nahi." Kehte huye Vikram ne puri test tube book par udhel di, lekin phir bhi koi reaction nahi hua.

Test karne ke baad Vikram dhyan se book ko check krne laga ki uske dwara kiye gaye experiment se book ko koi damage hua hai ya nahi lekin book humesha ki tarah neat and clean thi.

"Ek aur failure. Akhir tum khulti kyu nahi? Mom and dad ke paas akhir ye chiz thi hi kyu?" Vikram ne irritate hote huye kaha.

One hundred twelve times. Ye numbers un different -2 tariko ko represent karte the jo Vikram ne us book ko kholne ke liye try kiye the. Vikram har baar kisi naye tarike se book ko open karne ki koshish karta, lekin book open hona to door, aisa lag raha tha ki use damage bhi nahi kiya ja sakta hai. Book open krne ke liye usne different -2 tariko ka use Kiya, usne book ko burn kiya, book ko cut karne ka try kiya, yaha tak ki usne book ko melt karne ki bhi koshish ki...lekin itna sab karne ke baad bhi uske hath kuchh nahi lga.

Thakk haar kar Vikram apne bed par let gaya aur background noise ke liye TV chalu kar diya. Asal me uska dhyan kabhi bhi TV par nahi hota tha lekin dusri aawazon ko sunkar wo thoda kam akela mahsoos karta tha.

Us wakt TV par news chal rahi thi.

"Dalki race ke sath hui peace treaty ko ab 5 saal ho chuke hain, lekin officials ka kehna hai ki tanav ek baar phirse badh raha hai aur hume ek aur war ke liye taiyaar rehna chahiye...."

Us din ke baad se lagataar TV par war ka jikr hota rehta tha. 30 saal pehle, so called Dalki ne earth ko visit kiya tha aur tabhi human race ki mulakat Dalki race se hui. Agar unki dragon-like tail aur scale-like skin ko chhod diya jaye to wo dekhne me humans ki tarah hi lagte the.

Earth par apni visit ke turant baad hi unhone human race se demand ki, ki wo apne sare resources unke hawale kar de aur unke liye ek slave ki tarah kaam kare. Of course, Humans ne fight back karne ka faisla kiya lekin unhe jald hi pta chal gaya ki unki modern technology Dalki ke against useless hai. Dalki ki scale-like skin ko bhedna normal bullets ke bss ki baat nahi thi aur rahi baat tanks ki, well Dalki ke paas airships the.

Pratyek nar va nari ko apne planet ke liye ladne ko kaha gaya jisme Vikram ke mata pita bhi shamil the. Yuddh salo chalta raha aur Vikram dheere dheere bada hone lga ye jane bina hi ki aakhir uske mata pita dikhte kaise hain.

Jab humans haar ki kagaar par the, tab war me kuchh naye logo ki entry hui. In logon ke paas special abilities thi. Unhe ye abilities kaise mili, is bare me unhone aam logo ke sath apna knowledge share karna suru kr diya, is ummeed me ki shayad aisa karne se wo apni haari hui bazi ko palat sake aur wo kamyaab bhi huye. Lekin phir bhi, Dalki abhi bhi strong the aur is tarah ek endless battle ko ek peace treaty ke sath samapt kiya gaya jis par 5 saal pehle hi hastakshar kiye gaye the.

Of course, Lalach ke aage manavta ne dam tod diya aur in powers ko sabhi logon me equally share karne ke bajay government ke higher ranked officials ne decide kiya ki wo in powers ko khud tak hi seemit rakhenge. Government officials ke alawa, more powerful abilities sirf unhe hi seekhne ko milti thi jinke paas paisa hota tha, baki logo ko kachare ke alawa kuchh bhi nahi mila.

Mom and dad ki death ke baad Vikram ke paas kuchh bhi nahi bacha tha. Government ne uske rehne - khane - pine ka kharch uthane ke liye hami bhar di thi lekin sirf tab tak jab tak ki wo school me tha, uske baad? Well, uske baad government apne raste aur Vikram apne. Jab 10 saal ki umar me uske mom dad ki death hui, tab government ke ek agent ne uske darwaze par dastak di aur use ek book saump di. Use bataya gaya tha ki ye uske mom dad ke paas maujood ek matra chiz thi, jo unhone marte wakt use di thi.

"Why is the world so unfair?" Vikram ne khudse puchha. Aur phir khudke hi sawal par has diya. Aakhir kisi ne sach hi kaha tha, "Ye duniya madharchod thi, madharchod hai, aur madharchod rahegi."

Khair reader logo ko history padhane ke baad Vikram apne bed se utha aur desk ki taraf chal diya. Usne desk par rakhe apne chasme ko uthaya jo abhi bhi thoda toota hua tha aur phir usne decide kiya ki wo use thik karega. Usne dekha ki chasme ka ek lense thoda bahar nikla hua hai aur wo vapas se use frame me baithane ki koshish karne laga.

"Come on BC, just get in!" Wo lense ko zor se dabate huye chillaya.

Jarurat se jyada pressure padne ke karan lense kai tukdo me toot gaya aur unhi me se ek tukde ne Vikram ke angoothe par ek gehra ghav paida kar diya.

"Ye duniya mujhse itni nafrat kyun karti hai?" Vikram ne irritate hote huye khudse puchha.

Vikram ne immediately kanch ke chhote chhote pieces ko saaf karna suru kar diya, usne notice kiya ki ek tukda uski book ke upar bhi gira hua tha. Jaise hi usne us tukde ko uthane ke liye apna hath aage badhaya, khoon ki ek boond uske angoothe se nikal kar sidha book ke centre me jake giri.

Achanak hi book ke centre me bani wo mysterious si ring chamakne lagi aur one and a half Kg ki wo book apne aap hi hawa me lift hone lagi.

"Bhenchod ye kya ho raha hai!" Vikram ne darte huye kaha.

Ring se nikal rahi wo mysterious si light dheere dheere badhne lagi aur ek tez prakash me parivartit ho gai. Wo mysterious light itni bright thi ki Vikram muskil se us book ko dekh pa raha tha. Vikram ne dekha ki wo book bich air me hi shake hona start kar chuki hai. Book se nikal rahi energy ke karan room ka atmosphere kaphi tense ho chuka tha. Us room me ek ajeeb sa pressure create ho gaya jise Vikram jheel nahi pa raha tha. Finally, wo book open hui aur pages after pages apne aap hi palatne lage. Vikram apni najaren us shining book se hata hi nahi pa raha tha, use dekh kar aisa lag raha tha jaise wo kisi deep trance me chala gaya ho. Book me likhe huye words kisi aisi language me the jise usne pehle kabhi nahi dekha tha, wo language uske liye completely unknown thi lekin na jane kyu use aisa mehsoos ho raha tha jaise ki wo un shabdo ko samjh sakta hai.

Finally jab book ka aakhri panna bhi palat gaya to book uski najaron ke samne se dhool bankar aise gayab ho gai jaise endgame me Thanos gayab hua tha. But at the same time, Vikram ki aankhon ke samne dhundhlapan chhane laga. Uski body kaphi weak lag rahi thi aur dheere dheere uski aankhein band ho gai.

Lekin, behosh hone se thik pehle usne kuchh suna, shayad koi message tha.


<Congratulations you have been granted the Va....>

Lekin, isse pehle ki wo pura message sun pata, wo behosh ho gaya.


To be continued...
:shocking: nice concept.....
kuch log aaye jinpe powers aa gayi thi....
aur govt ne sabb apne hisab se kar liya :lol1: too much realistic
 
  • Like
Reactions: Your Sensei

Your Sensei

Dᴏɴ'ᴛ ғᴜᴄᴋ ʙᴏᴅɪᴇs...! Fᴜᴄᴋ ᴛʜᴇ sᴏᴜʟs...!!
141
267
64
:?: pahle se hi sab vampire hi hai kya???
Nice intro female wali jo hogi sayad baad mein wo heroine bane yaa uski koi chomu si saheli jo heroine ko bhadkaye :approve:
Lol...😂
Uska to koi role bhi na hai bhai story me.
2 second ka xforum time mila hai bichari ko. Ab na dikhne wali wo kahi bhi.
 
Top