Suraj ke uthate hi panchiyon ki madhur aawaz maa kadambari ko sunayi deti hai. Jab wo uthati hai, tab dekhti hai ki yuvaraj abhi tak so rahe the. Shayad kal jada thakne ke karan unhe aur nind leni thi.
Maa kadambari bistar se uth jaati hai. Yuvaraj ne jo dusri saadi laayi thi use lekar wapas apne kaksh ki taraf jaati hai. Wo bahot dhyaan deti hai ki us samay unhe koi dekh naa le. Kaksh me jaate hi wo jald se jald taiyyar hoti hai. Kyun ki ab sab kuch badal chuka tha. Maa kadambari ne khudko is kadar yuvaraj ke liye samarpit kiya tha ki unke man me bas yuvaraj hi the.
Taiyyar hote hi wah bhojan kaksh ki taraf badhti hai aur khuch fal aur dudh ek thaali par le leti hai. Unhe lekar wo yuvaraj ke kaksh ki taraf badhti hai.
Jab wo kaksh me jaati hai to yuvaraj abhitak so rahe the. Wo sochti hai ki tab tak kal jo deepak har taraf faile hue the use uthakar thodi saaf safai kar legi. Wo us kaksh me thodi saaf safai karti hai aur apni jali hui saadi ko bhi ek kapde me baandh leti hai. Tabtak yuvaraj ki aankhe khul chuki thi. Yuvaraj dekhte hai ki maa kadambari unke kaksh me kuch saaf safai kar rahi thi. Yuvaraj uth jaate hai.
Yuvaraj - ye aap kya kar rahi hai maa.
Maa kadambari ne wahi saadi pahni thi jo unhe yuvaraj ne kal di thi. Wo unhe dekh kar bade prasann hote hai.
Maa kadambari muskurate hue- aap uth gaye, hume laga aapko aur sona hai.
Maa kadambari wah thali unke paas rakhti hai.
Maa kadambari- ye humne aapke liye dudh aur fal leke aaye hai. Snaan ke baad aap ise kha lijiyega. Hum jaate hai.
Yuvaraj maa ki taraf dekh muskurate hai.
Yuvaraj - aap yahi rukiye maa, hum nahakar aate hai. Hum Saath me khaa lenge.
Maa kadambari ko anand hota hai.
Yuvaraj waha se chale jaate hai aur snaan kar taiyyar hokar aate hai. Maa kadambari yuvaraj ka hi intezaar kar rahi thi.
Yuvaraj unke paas aakar baith jaate hai.
Maa kadambari- ye lijiye, pahle dudh pi lijiye. Ye baaki ke phal bhi hum lekar aaye hai. Ise bhi khaa lijiye.
Yuvaraj dudh ka aadha hi pyala pi lete hai aur maa kadambari ko dete hai.
Maa kadambari- kya hua, aapko pasand nahi aaya.
Yuvaraj - ye humne aapko pine ke liye diya hai maa.
Maa kadambari badi khush hoti hai.
Maa kadambari, pyale ke usi hisse se dudh ko pine lagti hai jahapar yuvaraj ne apne hot rakhkar piye the.
Yuvaraj ab kuch aisehi kar rahe the. Wo koi bhi fal aadha hi khaate aur uska aadha hissa maa kadambari ko khilate. Maa kadambari bina mana kiye bade aanand se kha rahi thi. Tabhi darwaze par koi aata hai.
Sainik- yuvaraj, aapko maharani ji ne sabha ke liye jaldi bulaya hai.
Yuvaraj aur maa kadambari samajh nahi paate ki aakhir kya hua hai.
Yuvaraj aur maa kadambari turant ki kaksh ki taraf badhte hai. Jab wo sabha ki taraf jaate hai to dekhte hai ki bahot bheed thi. Maharani kadambari ke chahre par dar ke bhaav the aur aisahi kuch sabke chahre par jhala raha tha.
Yuvaraj bheed ko hatate hue madhya me jaate hai. Jab wo madhya me jaate hai to dekhte hai ki ek bade se sandook me unhe 10 sainiko ke sir kate hue milte hai.
Maa kadambari jab us sandook ko dekhti hai tab turant hi waha se piche hat jaati hai. Unke chahre par bhi wahi dar saaf saaf jhalakta hai. yuvaraj hairan jaroor the lekin wo janana chahte the ki aakhir ye sab kya hai.
Shauryapratap, mangalpratap aur any mantrigan un sabke saath khade the. Maharani kadambari apne haath me ek sandesh patra liye aone sinhasan par baithi hui thi.
Yuvaraj mangalpratap ki or dekhte hai
Yuvaraj - bhai, mangalpratap ye sab kya hai. Ye kiske sir hai aur inhe yaha kaun laaya.
Mangalpratap - ye sab hamare hi shoor sainik the, kal raat jab pura rajya chain se so Raha tha. Tab hamare sima par in masum veero par akraman hua.
Yuvaraj krodh me- lekin ye akraman kisne kiya bhai?
Shauryapratap - sultan.
Yuvaraj ki aankhe ek dum se chamak uthati hai, wahi sultan tha jo unke bhai harshwardhan ki mrutyu ka ek aur karan tha. Yuvaraj apne chahre par ek kaatil muskan laate hue.
Yuvaraj - kya sultan?
Shauryapratap - ye kya yuvaraj, aap ke chahre par ye kaisi muskan . Hamare sainik maare Jaa chuke jai aur aap muskura rahe hai.
Yuvaraj ab paagalo ki tarah hasne lagte hai. Puri sabha samajh nahi paayi ki aakhir yuvaraj ko ye kya hogaya.
Mangalpratap unke paas jaate hai aur unhe rokte hai.
Mangalpratap - ye aap kya kar rahe hai bhaai. Sainiko ki mrutyu ki maryada rakhiye.
Yuvaraj - hum is liye has rahe hai bhai ki aakhir kar ab hume us sultan ko marne ka mauka milega.
Yuvaraj ke is uttar se maano puri sabha hairaan ho jaati hai.
Mantri- kya aap jaante bhi hai sultan kaun hai aur wo kya kar sakta hai.
Yuvaraj - haa hum jaante hai. Sultan, ye wahi kayar hai jo pith piche khanjar bhonkna jaanta hai. Usne aajtak shayad asli sher se nahi ladha. Lekin aaj use pata chalega ki aakhir saamne se ladhna kya hota hai.
Maharani kumodini - bas bahot hua yuvaraj.
Maharani kumodini apne sinhasan se uthkar, badi kathor aur unchi aawaz me yuvaraj se kahti hai.
Maharani Kumodini - aap ye nahi jaante ki uske paas kitni sena hai. Us sultan se ladhne ke liye aapko uske 10000 sainiko ko marna hoga, tab tab aap jivit rahenge to hi unse ladh paayenge.
Yuvaraj - to aap kya chahti hai badi maa, kya aapka ye rajya kya karna chahta hai.
Shauryapratap - yuvaraj, sultan ne hume sandesh patra bheja hai. Usne kaha hai ki agar hum ek maah ke andar use ye rajya bina virodh kiye uske hawale karenge to wo hum sabko apne rajya ka hissa bana lega aur sabko apni janta ki tarah swikar karega.
Yuvaraj - kya aapko sachme aisa lagta hai mama ji. Wo sultan hai. Kya aapne uske kisse sune nahi. Wo jahapar bhi apni hukumat chalata hai, wo waha ke logo ko ghulam bana leta hai. Aurato ko vaishya, to yuvao ko majdoor bana deta hai. Aur aapko laga ki wo aap sab ko aam janta ki tarah samajh lega. Hume to lagta tha ki ye veero ki bhumi hai, lekin aap logo ki veerta to sirf murtiyo tak hi simit hai.
Maharani kumodini - bas karo yuvaraj, ye hamare rajya ki baat hai. Aur is rajya se aapka koi lena dena nahi hai. Jo bhi nirnay hoga wo hum karenge.
Yuvaraj gusse me- aap kaise kah sakti hai ke ye rajya hamara nahi. Hamare maa ka rakt hamare sharir me hai jo is rajya ki beti hai. Aap kaise kah sakti hai ki ye rajya hamara nahi hai.
Maa kadambari yuvaraj ko chup bhi nahi kara sakti thi. Wo yuvaraj ke krodh ko acche se janti thi.
Maharani kumodini - aap bhavanao me is liye bah rahe hai kyunki us sultan ke karan aapke bhaai ki mrutyu hue.
Yuvaraj - sirf hamare bhai ki nahi, us din aapke pote yuvaraj harshwardhan ki hatya hui. Aur agar is rajya pe usne hukumat ki to aapke bete, pote, aapke rishtedar, aapki janta wo sabko ek ek kar maar daalega.
Maharani kumodini yuvaraj ke uttar se chup Hogayi.
Shauryapratap - yuvaraj, ye veerta kahne ke liye sahi hai, lekin 1000 sainiko ke saath ladh paana asambhav hai.
Yuvaraj haste hue- pata nahi is rajya ki nitiya kaun banata hai.
Shauryapratap unke is uttar se khudko asahaj mahsoos karne lage. Lekin mangalpratap ko apne pita ke bare me aise kahne par gussa aya.
Mangalpratap - yuvaraj, bahot hua. Hum aur nahi sunana chahte.
Yuvaraj - aap logo ko sachme lagta hai ki sultan 1000 sainiko ke liye apni puri ki puri sena aisehi ladhne bhej dega.
Yuvaraj yah kah kar hasne lage. Yuvaraj ki baato me sacchai thi. Mantri aur baaki log bhi thoda ascharya hue.
Mangalpratap - aap kya kahna chahte ho bhai.
Yuvaraj - yahi ki sultan jaanta hai ki yah ek chota rajya hai. Is hisab se wo ye bhi janta hi hai ki hamare paas kitne sainik hai. Jab use ye sab kuch pata hai to wo apne saare ke saare sainik bewajah kyu bhejega. Agar wo sachme 10000 sainiko ko lekar aata to wo sirf 10 sainiko ko hi kyun maarta. Agar wo chahta to abtak wo is pure rajya ko tahas nahas kar chuka hota. Usne ye aisa kiya kyunki hum dar jaaye aur bina use ladhe apne is rajya ko uske charano me saup de.
Yuvaraj ke is uttar par lagbhag sabhi log sahmat hogaye. Shauryapratap aur mangalpratap ko bhi yah baat sahi lagi.
Shauryapratap - lekin yuvaraj, 1000 sainko ke saath yah yuddh ladhna pagalpan hai. Kya aap iska anjaam jaante hai.
Yuvaraj - kya aap iska anjaam jaante hai ki jab hamara rajya uske charano me hoga to wo kya karega. Hum jo bhi kah rahe hai wo koi pagalpan wali baate nahi hai. Hum sab kuch bahot soch samajh kar kah rahe hai mama ji.
Mangalpratap - lekin hamare paas koi yojna nahi hai. Usne hame 1 maah ka samay diya hai. Tab tak hum kya karenge.
Yuvaraj - usne 1 maah ka samay aapko diya hai. Lekin wo har din aise hi kabhi 10 to kabhi 20 sainiko ko maar dega. Aur us 1 maah ke andar hamare aadhe sainik maare jaayenge. Kya aap sab yahi chahte hai.
Mantrigan ek saath- nahi, nahi. Hum ye nahi hone de sakte.
Maharani kumodini - to ab hum kya kare.
Yuvaraj - yuddh.
Mahrani kumodini - yuddh?
Yuvaraj - haa yuddh aur wo bhi aaj se. Hamare paas koi aur vikalp nahi hai badi maa. Chahe hamare paas 1000 sainik hi kyu na ho.
Mangalpratap apne aankho me tej liye hue- kisne kaha ki hamare paas sirf 1000 sainik hai yuvaraj.
Sab log mangalpratap ki taraf mudke dekhte hai.
Maharani kumodini - yuvaraj mangalpratap, ye aap kya kah rahe hai. Hamare paas aur kaunsa sainya hai.
Mangalpratap -senapati, nagar me dhindora pit do. Pure rajya ke chote gaon se lekar har kone ke logo ko rajya me amantrit karo. Unse kaho ki hum unse kuch kahna chahte hai.
Yuvaraj mangalpratap ki or dekhkar samajh jaate hai ki wo kya karne waale the. Yuvaraj ke chahre par har muskaan aa jaati hai.
Kuch hi samay baad rajya ke kone kone se saare log aaja te hai. Jisme purush, mahilaye, yuva har koi wahapar aate hai.
(Rajya ki sabha ke baad, Nagar ke beech ek vishal maidan me rajya ke log ikattha ho chuke the. Har koi chintit tha, kuch log apas me fusa-fusi kar rahe the, kuch bhay se apni jagah khade the, to kuch ise ek saadharan ghoshna samajh rahe the.)
(Maidan ke madhya ek uncha manch bana tha, jisme Yuvaraj Mangalpratap aur Yuvaraj khade the. Unke saath Shauryapratap, Maharani Kumodini, mantrigan aur sainapati bhi upasthit the. Yuvaraj ne aage badhkar apni aankhon se sabko dekha. Unke chehre par tej tha, lekin bheed ke chehre par dar aur ashanka saaf dikh rahi thi.)
Mangalpratap ek kadam aage badhte hai. Unki aankhon me ghamand nahi, sirf
sach bolne ka utsah tha. Unka swar kathor aur gahra tha.
Mangalpratap (geharay swar me):-
"Shouryagadh ke vaasiyon! Aaj hum sab yaha ek atyant mahatvapurn karan se ikattha hue hai. Aap sab jan chuke honge ki hamare 10 veer sainiko ka nirmaam hatya hui hai. Kya aap jante hai ki kisne kiya?"
(Bheed me se koi nahi bolta. Bas kuch log aapas me dheere-dheere baatein karne lagte hai.)*
Mangalpratap (aur tez swar me):**
"Kisne kiya hai kya aap log jaante hai.
(Ek purush beech se aage aata hai. Uska sharir kaap raha tha, swar kampit tha.)
Purush:
"S-S-Sultan ne..."
(Yeh naam sunte hi bheed me ek bhay ki lehar daud gayi. Auratein apne bacchon ko kas ke pakadne lagi, log ek doosre se baatein karne lage, kuch budhha log sir jhuka kar shaant khade ho gaye.)
Mangalpratap:- "Ha! Sultan! Wah rakshas jo jitne rajya jeeta, waha ke logon ko ghulam banaya. Wah rakshas jo mahilao ko apni daasi banata hai, purusho ko mazdoor, aur veer sainiko ko apne kutton ki tarah marwata hai! Kya yahi bhavishya chahte ho tum sab?"
*(Bheed aur bhi adhik asthir ho gayi. Log ek doosre ki taraf dekhne lage, jaise unhe pehli baar samajh aa raha ho ki asli khatra kya hai.)
Tabhi Yuvaraj ek kadam aage badhte hai. Unka swar kathor nahi tha, lekin usme ek gajab ka aatmavishwas tha. Unke chehre par ek shatriya ki jwala thi.
Yuvaraj- "Main janta hoon ki aap sab dar rahe ho. Lekin mujhe ek baat batao—agar Sultan yaha aaya, kya tumhare dar se wah ruk jayega? Agar tumne hathiyar chhod diye, to kya woh tumpar daya karega?"
Bheed ekdam shaant ho gayi. Log unki baatein soch rahe the.
Yuvaraj (thoda aage badhte hue):
"Nahi! Sultan ek bhayankar shikari hai. Tum usse shanti ki prarthana karoge, to woh tumhe aur kamzor samjhega. Tum usse apni raksha ki bheek maangoge, to woh tumhe ghulam bana lega! Kya tumhe ghulam banna hai?"
Bheed (kamzor swar me):
"Nahi…"
Yuvaraj (aur tez swar me):
"Kya tumhe apni mahilaon aur bacchon ko unke kabze me jaana dekhna hai?"
Bheed (thoda zor se):
"Nahi!"
Yuvaraj (aakramak swar me):
"To phir tum kya karoge?"
Bheed ekdam shaant ho jati hai. Unhe jawab nahi pata. Tabhi ek yuva aage badhta hai.
Ek yuva- Lekin hum kya karein, Yuvaraj? Hum sainik nahi hai. Hamare paas talwaren nahi hai, yuddh ka gyaan nahi hai. Hum to sirf kisaan hai, shilpkar hai, vanijya karne wale hai."
Yuvaraj ek pal ke liye rukhte hai. Unke chehre par ek muskurahat aati hai. Fir woh ek lakdi ko uthakar us yuva ko dikhate hai.
Yuvaraj:- Batao, yeh kya hai?"
Yuva (thoda ghbraate hue):
"Yeh… ek lakdi ka tukda hai?"
Yuvaraj (muskurakar):
"Nahi. Jab tum ise ek kisaan ke haath me dete ho, yeh hal ka dasta ban jata hai. Jab yahi ek shilpkar ke haath me jata hai, yeh ek sundar murti ban jata hai. Jab ek vanijya karne wala ise le jata hai, to yeh ek kashti ban jati hai jo naye nagaron tak jaati hai. Lekin jab yahi ek yoddha ke haath me aata hai…"
Yuvaraj kashti todkar uska ek nokeela tukda bana dete hai aur use ek bhala ki tarah samne le aate hai.
Yuvaraj akramakata se-
"To yeh ek shastra ban jata hai! Kya tumhe samajh aaya? Tum sab ek yoddha ho! Kisaan ho, to hal ko talwar bana sakte ho. Shilpkar ho, to hathiyaron ko tez kar sakte ho. Aur mahilaayein… woh hamare ghar ki shakti hai. Jo apna ghar sambhal sakti hai, woh ek rajya bhi sambhal sakti hai!". To agar tumhe talwar chalani nahi aati to bhala uthao, tumhe bhala nahi aata to shilp ke sahitya ko uthao, yahi tumhare hatiyaar hai.
Bheed me ek naye utsah ki lehar daud gayi. Maharani kumodini aur shaurypratap yuvaraj ke is prerna bhare bhashan se prabhavit ho gaye. Kahi na kahi unke man me bhi ek aag jalne lagi. Log aapas me baat karne lage. Kisi ne zor se haath uthaya.
Ek purush:- hum nahi chahte ki sultan jaise darinde ke saamne apne aur apne pariwaar sharnagati lenge. Uske atyachar se pahle hi hum ladhenge. Hum apni bhoomi ki raksha ke liye ladenge. To kya aap log bhi meri tarah yuvaraj ka saath denge.
Ek yuva- haa, main bhi yuvaraj ka saath dunga.
Ek mahila- apne baccho ko bada karne ke liye main lohe je dhatu banakar apna juvan vyatit karti thi. Lekin agar ab samay aaya hai to main apne hathode se us sultan ka sir kuchal dungi.
Us aurat ke chahre par ek tej tha. Jo pure logo me ek naya vatavaran paida kar raha tha.
Mangalpratap manch ke kinare aakar haath uthate hai
Mangalpratap:- "To suno! Aaj se ek nai sena ka janm hota hai—'Shouryagadh ki Praja Sena'! Jo koi bhi is yuddh me hissa lena chahta hai, wah samne aaye!"
(Ek pal ke liye shaanti chha gayi. Phir dheere-dheere log aage badhne lage. Pehle yuva aaye, fir kisaan, fir shilpkar, fir kuch mahilaayein bhi. Dheere-dheere poora maidan is praja sena se bhar gaya. Rajya ke sainik is nayi praja ko dekh man hi man anandit ho raha tha aur unpar garv kar raha tha.
Yuvaraj (joosh bhari aawaz me):-
"Aaj se hum ek naye itihaas likhenge! Sultan ko dikhayenge ki ek chhota sa rajya bhi ek vishal samrajya se lad sakta hai! Aur hum jeetenge!"
Bheed- haa Yuvaraj, hum aapke saath hai.
Yuvaraj aur mangalpratap apne talwaro ko upar uthate hue- shauryagh ki jai. Shauryagadh amar rahega.
Poora maidan utsah se bhar gaya. Sabhi log ladne ke liye tayyar ho chuke the. Yuvaraj aur Mangalpratap ek dusre ki taraf dekhkar muskuraye, jaise keh rahe ho—"Ab yeh yuddh hum jeet kar rahenge!
Maa kadambari Yuvaraj ke is tez aur utsah ko dekh garv kar rahi thi. Lekin unke man me bhay tha ki kahi unke saath bhi kuch aisa na ho jaaye jo unke bade bete ke saath hua tha.
Shauryapratap apne bete yuvaraj mangalpratap- ke bhashan se bahot prabhavit ho chuke the. Yuvaraj mangalpratap ke andar ki veerta ko wo kabhi na jamajh paane ke karan unhe dukh bhi hua.
Yuvaraj- jaao mere bhai, maharani ji se kaho ki wo us yuddh ki ghoshna kare.
Shauryapratap apne kadam dhire dhire badhate hue maharani kumodini ke paas jaate hai.
Shauryapratap maharani kadambari ke saamne jhuk kar- maharani ji, ab samay ho chuka hai. Jwala bhadak chuki hai. Is rajya ke sainik aur is rajya ke har nagarik apne samman ke liye ladhna chahte hai. Is yuddh ka arambh karne ke anumati hume dijiye. Hum vachan dete hai is rajya ki sanskriti aur swabhiman ke liye hum apne aakhri shwas tak ladhenge.
Maharani kumodini ke chahre par ek tez tha.
Maharani kadambari- uth jaaiye yuvaraj mangalpratap.
Maharani kumodini apne janta ki taraf dekhti hai.
Maharani kumodini - pichle kai dino se hamara swasth accha nahi hai. Hume kabhi kabhi aisa lagta hai ki hum ab bas kuch hi din is jivan ko ji paayenge.
Lekin hum ek baat, marne se pahle kah sakte hai ki hum bhagyashaali hai ki hum shauryagadh jaise mahan rajya ki hum maharani hai. Ye rajya hamesha se gaurav aur veerta ka pratik mana jaata aaya hai. Is rajya me kai veero ne apne prano ki ahuti di, aur aaj yahi karan hai ki hum yaha khade hai. Agar aaj fir se sultan jaisa ek aur shatru agar hamare rajya ko chuna chahe. To hum uske tukde tukde kar denge.
Ab hum ek maah ka intezar nahi karenge, hamara ye yuddh kal se hi prarambh hoga. Yeh yuddh hamare sammaan ka hai, hamari asmita ka hai, hamare veeron ke balidan ka badla lene ka hai. Shauryagadh kisi ki ghulami nahi swikarega!"
Shauryagadh ki jai..........
Pure rajya me ek nayi urja aagayi. Ab ek naya daur shuru hone wala tha.
Yuvaraj manch par aate hai- is rajya ke mahan logo, apne shastra uthao. Tumhare paas jo shastra hai wahi hamara hatiyaar hai. To jaao, apne hatiyaaro ko dhaar do. Aaj ki raat shanti se so Jana. Kalse ek naye din ka prarambh hoga. Ek naye itihas ka prarambh hoga.
Pure shauryagadh ke log ek saath- shauryagadh ki jai.......
Agla bhaag jald hi.