**(Choti Si Parshvabhumi)**
Vikramapur, ek samriddh aur shaktishaali rajya tha, jo apne shaurya aur sanskritik dharohar ke liye door-door tak vikhyaat tha. Yeh rajya uttar aur purvi pahadiyon ke beech sthit tha, jahan nadiyon ki pavitra dhaarayein bahti thi. Yeh nadiyan na keval rajya ko jal pradan karti thi balki ise vyapar ke liye bhi mahatvapurn maarg bana deti thi. Rajya ki seema ghane janglon se ghiri hui thi, jahan jangli jeevon ki bharmaar thi, aur yeh jangl Vikramapur ki raksha mein sahayak hote the.
Is khush haal aur sanskriti se bharpur rajya ko naam mila Raja Vikramadhir Ji, jo karib 300 saal pahle is rajya par raj karte the. Us waqt iss rajya ka naam kuch aur hi tha. Itihaas me kai naamo se is rajya ka ullekh tha.
Raja Ranvijay apne pita Raja Chakravarthy ke 3 beto me se sabse bade the. Unke do chote bhai, jinka naam Jaswant aur Baldev tha.
Raja Chakravarthy apne tino beto me sabse adhik Baldev ko maante the. Kyunki wo unme wo saari acchi khubiyaan thi jisse ye rajya aur pragat ho sake. Unhe hamesha yahi lagta tha ki Baldev hi unke uttaradhikari hone ke yogya hain.
Raja Ranvijay ko apne dono bhaiyon se bachpan se hi ek ghrina thi. Wo ek laalchi insaan the. Satta ka laalach unhe bachpan se hi tha. Badhte hue umr ke saath unki ye harkate aur badh gayi. Satta, dhan, aur kaam ki bhook unke andar aur badhne lagi. Ek samay jab Raja Chakravarthy ji ne apna uttaradhikari Ranvijay ko na chunte hue apne dusre bete Baldev ko chuna, krodh aur dvesh me Raja Ranvijay ne ek kutil tarika apnaya. Kuch saalon baad unke pita ki aayu ke chalte mrutyu ho gayi. Saalon se chale rahe man ka dwesh ab Raja Ranvijay ke aur badh raha tha. Yuddh ke bahane, Ranvijay ne apne kuch khaas sainiko ke dwara chhal se apne dono bhaiyon ki hatya karwayi. Praja ko aakhir kaar Raja Ranvijay ko hi apna raja ghoshit karna pada.
Hatya ki baat unke kuch sainik hi jaante the. Unhone un sainiko ko kai mota inam diya hua tha. Kuch waqt ke baad unhone un kuch sainiko ki hatya karwayi, ye kahte hui ki unhe apne bhaiyon ke hatyare mil chuke hain. Ye saari baate sirf ek hi insaan janta tha. Lekin praja ke liye wo ek naayak ban gaye.
Unhe sirf aur sirf satta ki hi lalach thi. Aur aakhirkaar unhe wo mil chuki thi. Kuch waqt baad unhone pados ke rajya Shauryagadh ki rani Kadambari se vivah kiya.
Apne karya samay me apne rajya ke liye unhone bahut kuch kiya. Taki wo dikha sakhe ki wo ek acche Raja hain, aur wahi unke asli Nayak hain.
Waqt ke saath unhone apne asli chehre ko dikhana shuru kiya. Wo apne hi praja pe chote mote kar lagane shuru kiye. Lekin praja ka unpar utna vishwas tha ke wo hasi khushi wo saare kar bhar dete. Aur usi ke saath Raja Ranvijay apne vilas aur shreemanti wali zindagi ko jeete rahe.
Raja Ranvijay ek bhogi kism ke insaan the. Apne vivah se pahle aur vivah ke baad bhi apne dasiyon aur naukaraniyon ke saath rangreliyan manate.
**Rajya ke kendra mein bhavya Rajmahal sthit tha, jo safed pathron aur nakkashidaar stambhon se nirmit tha. Mahal ki unchi minarein aasman ko chhune ki manind dikhte the, jin par se rajya ke sudoor ilaakon ka drishya spasht dikhayi deta tha. Mahal ke charon or ek vishal baagh tha, jismein kamal ke phool aur adhik matra mein ped the. Yeh baagh rajparivaar ke vishraam aur manoranjan ka pramukh sthal tha. Raja Ranvijay ne ise apne hi praja se looti sampatti se ye sab banvaya tha.**
**Raja Ranvijay, Vikramapur ke raja the, jo apne prajajanon ke prati nyayapriya aur veer yoddha ke roop mein prasiddh the. Raja Ranvijay ne apne rajya ki seemaon ki raksha ke liye kai yuddh lade lekin adhiktar yuddh mein wo bhaag nahi lete, wo apne senapati aur sainiko dwara ye ladhai ke karya ko anjaam dete.**
**Raja Ranvijay ab 55 varsh ke ho chuke the. Apne rajya ke shaan aur vilasita mein is kadar doob chuke the ki unka apne parivaar se sambandh bhi dheere-dheere tutne laga tha. Yadi unke jeevan mein kisi cheez ka mahatva tha, to wo thi satta aur samriddhi. Apne jeevan ke is daur mein, unhone apne patni Rani Kadambari ke saath bhi vichitra vyavhaar apna liya tha, aur apne do putron ke prati bhi unka hriday mein koi prem na tha.**
**Ranvijay ke do putr the – Yuvraj Harshvardhan aur Chhote Kumar Vikramaditya. Yuvraj Harshvardhan, jo satta ka uttaradhikari banne ka hakdaar the, apne pita ke vyavhaar aur unke atyachaari shasan se atyant vyakul rehta the. Yadi Harshvardhan kabhi apne pita ke kareeb jaane ka prayaas karte, to Ranvijay usse door kar dete. Ranvijay ke man mein apne hi putron ke prati vishwas ki kami thi, kyunki unka yeh dar tha ki kahi wo bhi unke viruddh jaakar unhe gaddi se na hata dein, jaise unhone apne bhaiyon ke saath kiya tha. Yuvraj Harshvardhan ek samajhdar aur dayalu vyakti the, jo apne praja ke dukh dard ko samajhta the, lekin uska pita uske gyaan aur nayak gunon ka sammaan karne ke bajaye usse apna shatru samajhne laga tha.**
**Ranvijay apne chhote putr Vikramaditya se bhi door rehte. Kumar Vikramaditya abhi kam aayu ke the, lekin unka sahajapan aur prashna unke pita ko chitrit nahi karte the. Ranvijay ne kabhi apne putron ke saath pyaar aur mamatabhari baatein nahi ki, na hi unhone kabhi unke saath waqt bitaaya. Ranvijay ke man mein apne putron ke liye prem ki jagah kewal satta ka dar tha – kahi unke hi putr unke raaste mein na aa jaayein.**
**Yeh sthiti tab aur kathin ho gayi jab Yuvraj Harshvardhan apne pita ke atyachaari nirdeshon ke khilaf apni awaaz uthane laga. Unke man mein ek sapna tha ki wo Vikramapur ko ek dayalu aur nyayik raja ke roop mein shasan karega, lekin uske pita uska sapna todte rahe. Ek baar, jab Harshvardhan ne apne pita se rajya ke vikas ke liye kuch sujhaav diye, to Ranvijay ne krodh mein aakar usse apmaanit kiya aur unhe ghar se nikal diya. Par Rani Kadambari ke kai minnato ke baad unhone Harshvardhan ko apni sena mein kaam karne ka avsar diya. Us din ke baad, Harshvardhan ne apne pita ke viruddh mann mein ghrina ka bij paida kar liya.**
**Ranvijay ke is vyavhaar ka asar Rani Kadambari par bhi padne laga tha. Rani apne putron ke prati unka prem aur mamatabhara vyavhaar dekhna chahti thi, lekin unka hriday apne pati ke thos aur kathor vyavhaar se toot gaya tha. Rani ke man mein bhi yeh prashna ghoomne laga tha ki kya wo apne putron ke liye apne pati ke viruddh khadi ho sakti hai?**
**Samay ke saath dono beto ka hriday parivartan hone laga. Dono bhai apne maa ke prati adhik sneha dikhane lage. Rani Kadambari bhi apne dono beto ko bahut pyaar karti. Par wo apne jeshth putra Yuvaraj Harshvardhan ko kabhi mil nahi paati kyunki wo apna purna samay sainiko ke saath guzarate.**
**Yuvaraj Harshvardhan ko kabhi kabhi ye lagta tha ki ek din unke pita mein hridaya parivartan aayega aur wo vapas apne rajamahal mein bulayenge.**
**Unhone haar nahi maani. Apne acche swabhav se unhone apne saathi sainiko ka man jit liya. Wo unke saath rahkar roj talwarbaji, ghudsawari, dhanurvidhya, kasarat aur kai saari anya chizo ka abhyas karte. Waqt ke saath saath wo aur parakrami hone lage.**
**Wo har waqt choti moti ladhaiyon mein hissa lete. Kuch waqt ke baad yuddh ka morcha wo swayam nibhane lage. Senapati Jaideep unke ek guru bhi the lekin ab wo ek khaas mitra bhi ban chuke the.**
**Kuch bahut samay baad ab bahari aakraman jyaada hone lage. Unmein se ek tha Sultan. Sultan ne apne jasuson ki madad se rajya aur Rajparivar ke baare mein sabkuch jaan liya tha. Aur tabse wo Vikramapur rajya par aakraman karne ka kuch na kuch niyojan banate rahte.**
**Tab tak Yuvaraj Vikramaditya ki aayu ab 20 ki ho chuki thi. Wo apna jyadatar kitabe padhne mein vyasth rahte the. Lekin unhe bhi apne bhai ki tarah ek yoddha banane ki ruchi jaroor thi. Kyunki us waqt Yuvaraj Harshvardhan ki aayu 25 varsh ki hogayi thi aur wo bahot bade yoddha ban chuke the. Wo rajmahal mein rahakar apne bhai Harshvardhan ke kai kisse suna karte the. Jab unke pita apni daasiyon ke saath rangreliyan manate tab wo chupchap apna bhes badalkar Yuvaraj Harshvardhan se milne jaate. Jaate waqt wo apne maa ke haath se banaya hua khana leke jaate kyunki Harshvardhan ko maa ke haath ka khana bahot pasand tha. Wo apne bhai se kai saari baate karte. Aise samay par Harshvardhan apni yuddhkala ka pradarshan apne bhai ke saamne karne mein jara bhi sankoch nahi karte. Wo Yuvaraj Vikramaditya se bhale hi 5 saal bade ho lekin wo hamesha apne bhai ka aadar karte.**
**Us waqt mein agar yuddh bhi hota to dono taraf se yuddh ke liye haa hoti. Lekin ek raat Sultan ne kaayaron ki tarah raat mein chupchap Vikramapur ke sainiko par hamla bol diya. Aur usi tarah is naye yuddh ka prarambh hua. Aur isi yuddh mein Yuvaraj Harshvardhan ki mrityu hogayi.**
**Antim sanskaar ke kuch dino baad—**
**Yuvaraj Vikramaditya apne kaksh mein vishram kar rahe the. Tabhi unke darwaze par ek dastak hoti hai.**
**Sainik- Yuvaraj, aapke liye kuch saaman hai. Kya main andar aa sakta hoon.**
**Yuvraj Vikramaditya apne gehre vicharon se dhyaan bhatakate hue apne sainik ko andar bulate hain.**
**Do sainik ek bada sa sandook lekar aate hain.**
**Yuvraj Vikramaditya - Ye sandook, kya hai ismein aur ise yahan kyun laaye ho?**
**Sainik - Yuvraj, is sandook mein aapke jyeshth bhrata Yuvraj Harshvardhan ji ki kuch vastuen hain. Senapati Jaydeep ji ne ise aapko dene ke liye kaha.**
**Yuvraj Harshvardhan ka naam sunte hi wo thode bhavuk hote hain.**
**Yuvraj Vikramaditya - Thik hai, aap ise yahi rakh dijiye.**
**Sainik - Waise Yuvraj, aapko Raja ji se baithak ke liye bulawa aaya hai.**
**Yuvraj Vikramaditya - Thik hai, hum aate hain. Aap jaiye.**
**Sainik ke jaane ke baad wo us sandook ki taraf dekhte hain. Wo jaanne ke liye bahut utsuk the ki aakhir ismein kya hai. Lekin pita ji ke paas bhi jana tha, isliye wo us sandook ko khol nahi paaye.**
**Unke bhai ke marne ke baad kuch din guzar gaye. Lekin unke pita mein unko kuch badlav nazar nahi aaya. Aisa lag raha tha jaise unhe is baat se koi fark nahi padta ho. Vikramaditya bhi is bhav ko achhe se samajhte the. Lekin unhone shaant rahna hi sahi samjha. Seedha apne dushman ke prati ek naye yuddh ki ghoshna karna ek murkhta hi thi. Wo kuch kar bhi nahi sakte the, kyunki wo bhi utne nipun nahi the.**
**Wo rajmahal ke sabse bade bhavan mein ek baithak kaksh ke paas chale gaye. Dwarpaal ne darwaza khola. Andar jaate hi unhe dikha ki wahan par kuch log the. Jinmein unke pita jo sinhasan par baithe the, mantri, senapati, ek aur insaan jo ki Raja ke khaas vaidya the aur kuch hi gine-chune log the.**
**Yuvraj Vikramaditya - Pranam pita ji.**
**Raja Ranvijay ne haath se ishaara karte hue unhe baithne ka ishaara kiya.**
**Yuvraj Vikramaditya - Pita ji, kya aapka swasthya thik hai? Vaidya ji ko main tabhi dekhta hoon jab aapki swasthya kharab rahti hai.**
**Raja Ranvijay - (bhari awaaz mein) Main bilkul thik hoon Yuvraj, bas mujhe apne bete ke jaane ka dukh ho raha hai.**
**Tab senapati Jaydeep ne apni aankhein kuch is tarah se moond li, jaise unhe unke is bahrupiya andaaz se ghrina aa rahi ho. Aur wo Yuvraj saaf saaf dekh paa rahe the.**
**Yuvraj Vikramaditya - Pita ji, to hume apne shatru ke saath yuddh karna chahiye. Shayad yahi sahi samay hai. Hume bhai ke mrityu ka badla lena hi chahiye. Us kayar ne jo kiya uska dand use milana hi chahiye.**
**Ye kahte hue Yuvraj ki aankhon mein krodh aur alag utsah tha. Senapati Jaydeep ne unke is roop ko dekhkar unki aankhon mein shayad ek naya vishwas utpann hua.**
**Tabhi ek sainik baithak ki taraf chala aata hai.**
**Sainik - Maharaj ki jai ho, Maharaj, aapke liye ek sandesh aaya hai sultan se.**
**Itna sunte hi senapati Jaydeep tezi se khade hote aur us sandesh patr ko lete hain.**
**Raja Ranvijay - Senapati, aakhir aisa kya hai usmein jara padhkar bataiye.**
**Senapati - Ji Maharaj.**
**Sandesh patr -**
**Salaam Raja Ranvijay. Waise ye salaam hum sirf mahan yoddha ko hi karte hain. Lekin maine ye pahli baar tumhare jaise...**
**Raja Ranvijay - Kya hua Senapati, aage padho ruk kyun gaye.**
**Senapati - Maharaj, ismein aapke liye kuch aapatti janak baatein likhi gayi hain.**
**Raja Ranvijay ab thoda gambhir hue, aur apne kuch sainik aur dwarpaal ko bahar bhejne ke liye kaha.**
**Unke jaane ke baad senapati ne fir se use padhna shuru kiya.**
**Sandesh patr -**
**Lekin maine ye pahli baar tum... Tumhare jaise namard Raja ke liye kaha hai.**
**Yuvraj Vikramaditya ab gussa hue aur uthakar - Senapati ji... aap ye kya padh rahe hain.**
**Senapati - Maafi chahta hoon Yuvraj lekin ismein yahi likha hai... agar aapki agya ho to...**
**Yuvraj Vikramaditya ne apne pita ki taraf dekha. Unke pita aage padhte rahne ka ishaara kiya.**
**Senapati padhte hue -**
**Waise ye salaam tumhe nahi tumhare bete yoddha Harshvardhan ke liye tha. Par wo ab zannat ja chuka hai. Tumhara beta jitna mahan yoddha maine aaj tak nahi dekha. Lekin yuddh ke dauran aisa lag raha tha ki shayad uska sharir andar hi andar mar raha hai...**
**Raja Ranvijay - Ruko.**
**Senapati ruk gaye lekin unka dhyaan us sandesh patr ke har shabd par tha. Maano unhone wo pura patr padh liya ho.**
**Senapati - Ji.**
**Raja Ranvijay - Hum apne bete ke mrityu ke samay varnan nahi sun sakte. Wo veer tha aur wo hamesha ke liye rahega. Wo patr aap mujhe dijiye.**
**Senapati ne so patr ab Raja ke hawale kar diya. Raja Ranvijay ne is baithak ko samapt karne ke liye kaha.**
**Ab sab log apne-apne kaam ke liye bahar nikal gaye. Vikramaditya janana chahte the ki aakhir usmein aur kya likha hai. Aakhir Sultan kya kahna chahte the. Aisa kya hoga usmein. Unke man mein bahut saare prashn ghoom rahe the. Lekin unhe kisi aur cheez ki utsukata thi to wo thi us sandook ki jisme unke bhai ki cheezein thi.**
**Wo apne kaksh mein gaye. Unhone andar se darwaze ko kundi lagayi aur sandook ki taraf chal pade. Jab unhone sandook khola to unhone paya ki unki chamakti hui talwar usmein thi.**
**Us talwar par unke rakt ke kuch daag lage hue the. Aisa lag raha tha jaise wo daag kabhi sukhna nahi chahte the. Unhone us talwar ki taraf bade garv se dekha. Us talwar ko naman karke unhone use dusri taraf rakh diya.**
**Unhone dekha us sandook mein unke kuch purane kapde, jute aur kuch aabhushan the. Yuvraj Vikramaditya ko talwar ke alawa koi cheez aisi khaas nahi lagi. Lekin apne bhai ki yaad mein unhone use apne paas rakhne ka nirnay liya. Wo ab sandook ko band karne hi wale the. Unki dhyaan sandook ke kone mein rakhi ek pustika par padhi. Unhone use uthaya aur paya ki unke bhai apni puri dincharya isi mein likhte the.**
**Yuvraj Vikramaditya ab bahut utsuk ho gaye ki aakhir aisa ismein likha kya hoga. Yuvraj ab us pustak ka pahla panna nikalte hain.**
**Wo likhte hain.**
**-Aaj ka din kuch jada hi accha raha, aaj pura din main ghudsawari aur talwar baji sikh raha tha. Aaj mujhe pahli baar senapati Jaydeep ji ne prashansa ki. Wo prashansa sunkar mujhe bahut khushi mili.**
**Lekin ye mera lakshya nahi hai. Mujhe aur sikhna hoga mujhe aur aage badhna hoga. Tabhi main is rajya ki raksha kar paaunga. Bahari aakraman ab badh rahe the mujhe aur prayas karna hi tha.
**Lekin har baar mujhe wo roop roz ki tarah naya lagta.**
**Aur Surya ke ast hone ke kareeb wo sundari us baramde mein aa gayi. Kya kahun, main iska varnan kaise karun. Roz ki tarah aaj main us roop ko dekhkar mohit ho gaya. Us sundari ko dekhkar wahi kuch shabd nikal jaate hain.**
"Uski sundarta, jaise prakriti ne apni har rachna ka saar usmein samahit kar diya ho. Jaise ghane baadalon ke peeche chhupa ek chaand ho, jo kabhi dikhai nahi deta, lekin uski roshni sabko mehsoos hoti hai. Uske baalon ka gehra kaala rang, jaise andheri raat ki chadar, jismein chaandni ki ek halke jhalak bhi kho jaati hai.
Uska chehra, jaise bhore ki pehli kiran dharti ko chhu leti ho – ek advitiy prakash jo har cheez ko naya rang de jaata hai. Uske honth, jaise gulabon ke beech se nikli halki muskaan, jo khamosh rehkar bhi apne jazbaat bayan kar deti hai. Aur uski aankhein – jaise do gehre sagar, jinke tal mein anant raaz chhupe hain. Un aankhon mein ek aisi baat hai jo har nazar ko apni aur kheench leti hai, jaise koi jadoo ho, jo ek baar dekhne par kabhi bhulaye nahi bhulata.
Uska sharir ek vriksha ki tarah tha, jismein har ang apne aap mein ek poori kavita lagta. Jaise uski chaal, ek hiran ki nazakat se bhari, har kadam mein ek nayi dhun, ek nayi lay. Uski komal ungliyaan jaise phoolon ki kali, jinhe kabhi kachhapan ko chhoda hi nahi.
Uski awaaz, jaise shaam ke samudra ke kinare se aati dhundhli lehron ki saraghoshiyan, jo dil ke har kone ko sparsh kar jaati hain. Aur uski muskaan – jaise dhoop mein chhupi muskuraati chhaya, jo apne aaspaas har cheez ko sukoon de jaati hai.
Woh ek aisi stree thi jise main har din bas dekhte aur niharte hue baith sakta tha. Khair abhi raat ka samay hua, mujhe apne sainik bhaiyon ke paas bhi jana hai. Kyunki wo bhi ab wahaan se chali gayi thi.
**Sainik - Yuvaraj, kya hum andar aa sakte hain?**
**Yuvaraj Vikramaditya ka dhyaan bhatak gaya. Kyunki ek sainik unke darwaze par dastak de raha tha.**
**Lekin unke man mein yahi chal raha tha ki aakhir aisa kaun hoga jiske prem mein mera bhai pad chuka tha.**
Agla bhaag jald hi