update 2
Aayan subah-subah joggiy karke pasina bahane k baad ghar wapis aa rha tha raste me use pintu mil gya aayan ka khas dost tha ya yun kahen eklota
Pintu : janmdin bahut bahut mubarak mere yar bhagwan kare tujhe meri bhi umar lag jaye
Aayan : shukriya mere yar. Saale tujhe maalum tha k aaj mera janmdin hai?
Pintu : kaisi baat karta hai saale mujhe nhi pta hoga to kise pta hoga wo chhod bta aaj party kahan aur kaise dega
Aayan : abe tu jo bolega jaise bolega waise party karenge magar aaj ni kal !
Pintu : theek hai theek hai wo main janta hun magar kal koi bahana nahi chalega
Aayan : Han Han kal party pakka waise bhi abhi to chhuttian hain
Fir dono ghar ki taraf chal padte hain dono k ghar pass me hi hain . Thodi der me Aayan ghar pahunch jata hai ghar me sab tayar baithe the
Aayan chup chap ghar me ghusta hai aur jaldi se baramde se side me nikal kar sidian chad kar apne room me jata hai tayar hone abhi pasine ki badbu uske jism se aa rhi thi. Jaldi se room me jakar kapde utar kar bathroom me ghus jata hai nahane ke liye . Nahane k baad towel bandh kar room me ata hai to samne bed par new kapde dekh kar samjh jata hai k ye maa ne aj k liye rakhe hai aur jaldi se kapde pehan kar room se bahar nikalata hai sidha maa k room me jata hai
Rekha: aa gya mera laal (kehkar sidha Aayan ko gale laga leti hai aur apni mamta ki barish uspar karti hui uske mathe ko chumti hai )
Rekha : jug jug Jiyo mere laal hamesha khush rho tujhe meri bhi umar lag jaye janmdin mubarak ho
Aayan : nhi maa apki umar nhi chahiye mujhe main to sari umar apke pass rehna chahta hun