- 11,212
- 4,507
- 229
TRIPLE MAHA MEGA
UPDATE -- 20
Or sab ko ek ek offer kiya, maine bhi ye sochkar utha liya,
ki taste to kar hi lena chahiye.
Or ham sip lete hue baat karne lage.
FORWARD -
Main-(sip lete huye)-Toh sir bataiye ki Aapko kya baat karni thi
.
C.M-(smile karte huye)-Main soch raha tha ki aap ek bahut acha kaam kar rahe hai lekin woh kaam kanoni taur par sahi nahi hai jab tak aap police aur Ib ke officer na ho toh main chahta tha ki aap koi bhi indian service join kar le
.
Main-Sorry sir main aisa nahi kar sakta kyunki bahut se goverment karamchari bhrast hai lekin mere pass ek idea hai agar aap usse sehmati de toh main aapse vada karta hoon ki aap pachtayenge nahi
.
C.M-Thik hai batao tumhara idea
.
Main-dekhiye sir main aapni ek team banana chahta hoon jiska naam "PANTHOM HUNTER" hoga aur sab kuch sahi raha toh woh dheere dheere ek chotti si sena ban jayegi aur woh ek gupt service hogi jiske baare me kisi ko pata nahi hona chahiye na yeh ki woh humari desh ki hai na yeh ki usme kon kon hai yeh kisi ko nahi pata hoga mere alawa aur mujhe puri powers chahiye apni team pe jaise meri team sirf mere se order legi ya aapse lekin main kisi se order nahi lunga aur aisa iss liye kyunki bhrast neta hum pe dabaw bana ke humme rokne ki koshish kar sakte hai agar aap sehmat hai toh main aapko batata hoon ki meri team kya kaam karegi
.
C.M-Hmm yeh sab toh theek hai aur tumhe mil bhi jayega ab batao ki team kya kaam karegi
.
Main-Sir yeh team desh ke andar ke brahst neta aur officers aur mafia ko khatam karegi aur joh humare agents dusre desh me bandi banaye jaate hai unhe bhi bacheyegi aur akhir me joh kala dhaan milega uss se pehle saara kharcha katega misson ka phir bacha hua dhaan aadha mera aadha sarkaar ka
.
C.M-tumhe aadha dhan milne ki koi khas wajah
.
Main-haan sir pehli baat ki yeh saara plan mera hai aur iss team ka head bhi me hoon dusra iske saare sadasya ko main dhoondunga aur unhe taiyaar karunga har tarah ki ladayi ke liye teesra aur sabse jada jaruri ki joh bhi kharcha hoga shuru me woh main dunga na ki sarkaar toh iss liye mujhe aadha hissa milna chahiye
.
C.M-Thik hai ab yeh batao ki team kab tak taiyaar hogi
.
Main-yahin koi 2-3 din me ho jayegi sir aur mujhe aapse ek madad chahiye
.
C.M-thik hai aur aapko kesi madad chahiye
.
Main-Sir main ek company kholna chahta hoon lekin mere ps kala dhaan hai toh main chahta tha ki aap meri iss me madad kare
.
C.M-Aur main aisa kyun karun bhala
.
Main- Sir agar humme koi kala dhan nahi milega toh main aapni company ki kamai se paise laga sakta hoon aur mera vichar ek scientist nikola tesla se prabhavhit hai unka ek project tha joh agar pura ho jata toh hum bijli ko bina taaro ke gharo tak phauncha sakte hai aur pehla kaam yahi karna hai mujhe
.
C.M-toh usme faiyda kya hai bijli toh aisi bhi bhej sakte hai hum
.
Main-Sir desh me kitne hadse inn taaro ki wajah se hi hote hai ab agar yeh taare nahi hongi toh aage hone wale aisa hadse taal jayenge aur meri company aisi future ke invention hi karegi aur tarah tarah ki medicines bhi banayi jayegi humari company
.
C.M-i am satisfied with that and you know what daisy will help you with all this she's a deadly fighter and she have a sharp mind too
.
Maine C.M ki baat sunke uss ladki ki taraf dekha joh ek tak mujhe ghure jaa rahi thi maine bhi uski taraf dekhte huye bola
.
Main-Okk sir
.
Aisi bahut si baate huyi mere aur C.M ke beech aur pata nahi kab Collage ki chutti hone ka time ho gaya woh toh mujhe phone me dekh ke pata chala
.
Main-ohh shit sir i will have to take leave for now i have some work
.
C.M-Okk you may take leave now
.
Main-ok sir it was a pleasur to meet you
.
C.M-you too
.
Aur main wahan se nikal gaya,
aur car douda di collage ki taraf,
.
thodi hi der me main collage ke bahar tha maine Urvashi ko call kiya aur unhe bahar bulaya,
abhi maine phone cut hi kiya tha ki woh teeno mujhe samne se aati dikhi,
.
main bhi car se utra itne woh teeno bhi mere paas aa gayi
.
Urvashi- ho gaya kaam bhai??
.
Main- abhi nahi gudiya pehle tum dono ko ghar chhod doon,
phir dubara jaana hai kaam se
.
Urvashi- kitna time lagega bhai aapko??
.
Main- kuch keh nahi sakte,
shayad raat bhi ho sakti hai
.
Urvashi (udas hote huye)- itne hum dono kya karenge
.
Abhi main kuch bolta usse pehle hi di bol padin-
.
Di- ek kaam karte hai hum teeno ghumne chalte hain, or cinema bhi dekh lenge,
aur agar yeh free ho gaye raat se pehle,
toh yeh bhi humme join kar lenge
.
Di ki baat sunke Urvashi khush ho gayi, kyonki usne sinema ke bare me sirf suna tha, dekha nahin tha.
.
Main- hmm yeh sahi rahega lekin ek baat batao,
ki aap teeno jaogi kese?
.
Di- ji mere pas car hai na,
uss se hi ghum lenge hum teeno
.
Main- theek hai jao aap teeno ghumne .
.
woh teeno bye bolke chali gayi aur main bhi ghar ke liye nikal hi raha tha,
ki mujhe teena dikhayi di jiski shayad car kharab ho gayi thi,
main uske pas gaya aur
.
Main- any problem mam?
.
Teena ne mudke dekha aur mujhe dekh ke smile karte huye boli
.
Teena-(smile)- ji meri gaadi kharab ho gayi hai
.
Main- koi nahi main aapko drop kar deta hoon,
chaliye mere sath.
.
Teena- ji aapko koi kaam hoga main taxi se chali jaati hoon
.
Main- ji nahi abhi mujhe koi kaam nahi hai,
main bas ghar jaa raha tha ab koi behes nahi chaliye
.
Teena-(smile)- ji thik hai lekin ek shart par ki aap mujhe mam nahi bulayenge
.
Main-thik hai teena ji par aap bhi mujhe aap - aap kehkar nahin bukaengi, chaliye ab.
.
Teena bhi haste huye gaadi me baith gayi aur main gaadi uske bataye raste pe chalane laga
.
Teena- Nice car
.
Main- thanks for the compliment
.
aur maine road par dhayan dene laga,
aise hi aur beech- beech me teena se baat karta raha,
thodi der me hum Teena ke ghar phaunch gaye jisse dekh ke mujhe ek jhatka laga,
kyunki yeh humare ghar ke bagal wala ghar tha
.
Teena- Ayush ji chaliye andar,
main aapko coffee pilati hoon aapne hatho
.
Main- ji abhi nahi, phir kabhi,
Kyonki abhi mujhe kisi kaam se jaana hai waise bhi ab toh coffee-soffee hoti rahegi.
.
Teena- main samjhi nahi aap kya kehna chahte hai.
.
Main- jald hi samajh jayengi aap abhi ke liye bye.
.
Teena ne bhi meri baat sochte huye bye bola,
aur maine car ko park kiya aapne garage me,
aur bahar aaya aur uski taraf dekha,
jisse dekh ke uske chehre pe bhi ek smile aa gayi,
aur woh bye ka ishara karte huye khushi - khushi apne ghar me chali gayi,
aur main bhi apne kamre se base ki taraf jaane laga aur Aanad ko call kiya
.
Main- hello Anand..
.
Aanad- (meri awaz pehchante huye) - hello Sir..
.
Main- Aanad kya tumne shift kar liya UC me
.
Aanad- Yes sir
.
Main- Okk meet me in base in 5 minutes
.
Aanad- ok sir i will be there in sharp 5 minutes..
.
Main- you better be i don't like guys who are not punctual
.
Aanad-I know sir
.
Main-then you should know that 5 minutes are gonna over in 10 secs
.
Aanad-piche dekhiye sir
.
Maine piche dekha toh Aanad wahan khada tha
.
Main-good, but tumhari behen kahan hai
.
Aanad-woh toh ghar pe hai Sir
.
Main-toh chalo ghar pe
.
Aanad-Okk sir
.
main aur Aanad uske ghar ki taraf badh gaye,
joh base se kuch hi duri pe tha Aanad ne gate knock kiya,
toh ek param sundari ne gate khola aur ek baar hum dono ki taraf dekha,
aur meri taraf ghoor ke dekhne lagi jaise main koi ajooba hoon
khair uski tantra me bhaang dalte huye Aanad bola-
.
Aanad-Chotti, Ab andar bhi aane degi ya nahi
.
Ladki-toh aayi na bhaiya roka kisne hai aap ko
.
aur darwaje se hat jaati hai,
Aanad bhi haste huye andar jaata hai ghar ke,
aur main bhi, Phir aanad mujhe drawing room me le jaata hai,
wahan pe ek aur sundar ladki t.v dekh rahi thi..
.Aanad uske paas gaya,
aur usse piche se gale lagate huye ek gaal pe kiss kiya,
joh dekh ke main samajh gaya ki yeh uski wife hai
.
Aanad-Sir baithye na aap khade kyun hain?
.
Main vahin pade hue sofe par baith gaya, or anand ki behen ne mujhe paani lakar diya-
Paani peekar maine use thanks bola,
To badle me vo ek smile dekar chali gayi, or kitchen me glass rakhkar mere paas vale sofe par baith gayi.
.
Anand (mujhe un dono ka parichay dete hue)- Sir! Meet my wife Chanda & My sister Anita.
.
Maine dono ko namaste kiya,
Phir Anand ne mera parichay diya.
.
Anand (un dono se)- Chanda & Anita, meet my new boss, Ayush.
.
un dono ne bhi mujhe Hello bola,
Phir anand ke kehne par chanda hamare liye coffee banane chali gayi,
or anand apni behen ki taraf dekhte hue bola-
.
Anand (anita se)- Anita kya tumne news me The Tempter ka naam suna hai?
.
Anita - jee bhai, or main uske liye ekdam posasive hun, bass ye samajh lijiye ki ek fan hun, unki vajha se bohot masumo ki jaan bachi hai, or gundon me bhi khouf chhaya hua hai.
.
Main uske muh se apni tareef sunkar bohot khushi mehsoos kar raha tha.
.
Anand (haste hue)- Anni beta, The Tempter aapke paas me hi baithe hain.
.
Ye sunkar vo ekdam shocked hokar khadi ho gayi.
.
Anita (shoked)- Kya ye mazaak tha bhai?
.
Anand (usko vapas bithate hue, seriously face)- nahin, bilkul nahin, ye bilkul sach hai, yehi The Tempter hain,
or tumhen apni team me lena chahte hain. Tum kya kehti ho.
.
Wo to jaise khushi se hawa me us rahi thi, or is khushi me usne vo kar diya jisse main shoked ho gaya.
.
Hua kuchh yun ki vo itni zyada khushi sehen na kar payi,
Or khushi se uchhalte hue mera gaal choom liya.
Or khushi se chillate hue boli-
.
Anita - Thank you, Thank you so so much sir, main or aapki team me yaahooooo.
.
Anand ne apna sar peet liya. Or bola -
.
Anand (mujhse)- sir, iski is harkat ka bura mat maniyega, ye chahe kitni bhi intelligent kyon na ho, harkaten bachchon vali hain.
.
Ye kehte hue vo hame baaten karne ka bolkar,
kitchen ki taraf nikal gaya, ye dekhne ki uski bivi kahan reh gayi.
.
Main (haste hue anita se)- waise aapki kiss bohot mithi thi.
.
Meri baat sunkar usko apni galti ka ehsaas hua jo vo khushi me kar gayi thi, or vo pal yaad karke vo sharma gayi.
.
Anita (sharmate hue)- wo kya hai na, main aapki bohot badi fan hun, to aapko apne saamne dekhkar khud ko rok na payi.
.
Main - or mera gaal geela kar diya.
.
Sharam ke maare uske phule - phule gaal gulabi ho gaye.
Waise vo sach me bohot sundar thi.
.
Main (uski tareef karte hue)- waise tum sach me sundarta ki be-misaal nagina ho, maine kahin suna tha ki zyada sundar ladkiyan bevkoof hoti hain, par tum to computer expert niklin.
Beauty + mind = Dhamaka combination.
.
Wo apni tareef sun kar or zyada sharma gayi, or boli-
.
Anita - main itni bhi sundar nahin hun, sundar to aa0 hain, sach me.
.
Main - Chaliye aapki sundarta to dekh li, ab aapke mind ka bhi jaldi hi test hoga.
.
Anita - jab aapka dil kare sir.
.
Itne me anand apni bivi ke sath aa gaya, or chanda ne sabko coffee surve ki, sath me snacks bhi.
Phir vo bhi mere saamne baith gayi,
Or meri aakhon me dekhne lagi.
.
Maine ishare se puchha kya hua-
To vo sharma gayi, or na me gardan hila kar mand - mand muskurate hue coffee ki sip lene lagi.
.
Snacks finish karke main anita ko base ghumane ka kehkar sath chal diya, anand se bhi bola to usne mana kar diya.
Main bhi samajh gaya, ki is bahane bechare ko apni bivi ke sath kuchh time mil jayeha akele me, varna har wakht Anita sath hoti hai..
Or main muskurate hue unhen bye karke anita ko sath lekar bahar aaya,
Or car me bitha kar poora base ghumane laga, anita ko to jhatke pe jhatke lag rahe the, usne aisi cheezen pehle kahin nahin dekhi thin.
.
Main (anita se)- Mujhe ek baat batao, agar main ek aise aadmi ko tumhare saamne khada kar dun,
jo ek gunda ho, jisne har gair - kanuni kaam kiye hon, yahan tak ki drug dealing, ladkiyan supply, rape, firoti & murder, sab kuchh kiya ho,
Tabh tum kya karogi?
.
Anita (gusse se)- Main uski aakhen nikaal lungi,jin gandi nazron se vo ladkiyon ko dekhta hai,or uske hath pair tod dungi, jab tak vo khoon se lath-path na ho jaye.
.
Uski baat sunkar maine car ek or mod li, or ek room ke saamne jakar break lagaye.
Main usko lekar car se niche utra or us room ke aage ja kar apne man me bola khul ja sim - sim turant door open ho gaya, ye ek or shock tha, jo ki anita ko laga.
.
Phir ham dono andar aa gaye,
Vahan par ek chair par vahi gunda baitha hua tha, jisko maine or anand ne milkar uthaya tha, or uske saare drug jala dale the,
.
Main (anita se)- yahi hai vo gunda, jiske baare me main tumhen abhi bata raha tha
Ab isko tumhen hi handle karna hai,
Or haan, isse iske baare me or iske bussiness ke baare me sab kuchh puchh lena, yahan iske ilaaj ka saara samaan moujood hai.
Mujhe jana hai, kya tum ye zimmedari nibha paogi.
.
Anita ki aakhen gusse se laal thin.
.
Anita - aap befikar hokar jaiyye sir,
Isko main sambhaal lungi.
.
Main - theek hai, main car yahin chhode ja raha hun, isse ghar lout jana.
.
(Phir usko ek mobile dekar)- ye lo tumhara new phone, isme mera or anand ka no. save hai, jab bhi koi problem ho to call kar dena.
Or haan is gate me tumhari awaaz feed ho chuki hai, jab bhi bahar jana ho to khul ja sim - sim bol dena,
.
Usne haan me gardan hila di, or ek lohe ki road utha li.
.
Main bahar nikal aaya, or mujhe us gunde ki cheekhne ki awazen aane lagin,
.
Main secrer room se ghar nikal gaya,
Dekha ki parul or urvashi aa chuki thin.maine unhe car me baithne ko bola woh bhi bina kuch bole mere sath niche aayi aur car me baith gayi aur maine car ko jungle ki taraf douda diya
.
Urvashi-Bhai hum iss waqt kidhar jaa rahe hai
.
Main-Gudiya kal sunday hai na iss liye collage ki chutti hai toh maine socha ki yeh ek din hum wapas mehel chalte hai jis se hum dev bhai aur pitaji aur maa ke sath reh payenge aur parul ji bhi uncle aunty se mil lengi kyun parul ji
.
Parul-(khush hote huye)-ji yeh toh bahut acha socha hai aapne
.
Urvashi-akhir bhai kiske hai
.
Main-Dev bhai ka
.
yeh sunke parul hasne lagi aur urvashi ne muh fula liya aur khidki se bahar dekhne lagi
.
Parul-Ayush ji aapki gudiya toh aap se naraz ho gayi
.
Main-Ab main kya karun Parul ji
.
Parul-itna bhi nahi pata aapko ab aapni gudiya ko manana hoga
.
Main-Aur bhala woh kese
.
Parul-Main kya jannu
.
Ayush-toh phir yeh choclate aap rakh lo kyunki gudiya toh naraz hai iss liye woh toh legi hi nahi na
.
Urvashi ne jaise hi choclate ka naam suna usne turant meri taraf dekha aur mere hath me choclate dekh ke jhat se boli
.
Urvashi-Bhai aap se kisne bola ki main aap se naraz hoon
.
Uski baat sunkar ham dono ki hasi chhoot gayi,
Or urvashi to maze se chocolate khane lagi, maine ek chocolate parul ko bhi di, jjse vo mukurate hue khane lagi, or meri or dekhne lagi..
.
Or aise hi pyaar bhari baton me safar kaise beet gaya pata hi na chala, or ham mahel pohoch gaye
.
Ham teeno mahel me pohche,
Or jakar sab se mile, sab bohot khush the hamse milkar, or hamne sath me dinner kiya, dinner ke dauran hi maine dev bhai ko bahar milne ka ishara kar diya, unhone bhi apni aakhen jhapka kar sehmti de di.
.
Parul to dinner karke bye bolkar apne ghar ko nikal gayi, kyonki vo apne pitaji ko bohot miss kar rahi thi,
Or urvashi bhi hame good night bolkar apne room me nikal gayi, sab ke jane ke baad main or dev bhai mahel se bahar aa gaye, or bahar garden me tehelne lage.
.
Main - haan to dev bhai, ab shuru kijiye apni love story, mujhse or intzaar nahin ho raha.
.
Dev bhai muskura diye or vahin niche ghaso me bi baith gaye, or mera hath pakadkar mujhe bhi baitha liya.
.
Dev bhai (apna gala saaf karke)- Uhmmuhhu - mere pados me 1 rajye hain, joh hai...
.
Main (beech me)- aapke sasur ji ka..
.
Dev bhai - beech me na bol...
.
Main - Ok. O.K... please continue..
.
Dev Bhai - or dusra rajye hai, singhgarh jo hamare jani dushman ka hai jiska naam hai Sher Pratap
Bohot samaye pehle inse hamari ghanisht mitirta thi,
Or ek din sherpratap ki patni ki miratyu ho gayi,
Or samaye ke chalte, sherpratap me lalach utpann ho gaya,
or vo ek nirdai raja ban gaya.
Wo janta par zulm dhane laga,
Janta ke bhagi hone par, unko mrityu dand diya jane laga,
Tabh vahan ke mahamantri hamare rajye me aaye, or pitaji se mile.
.
Pitaji khud sherpratap se milne uske rajye gaye, or usko samjhane ki koshosh ki,
par sher pratap ne unko dutkaar diya.
Tabh pitaji ko gussa aa gaya, or vapas aakar unhone sher pratap ko ,
Yudh ka sandesa bhijva diya,
Us din se hamari dushmani ho gayi,
Or abhi bhi yudh hote rehte hain, jisme na kisi ki haar hoti hai or na kisi ki jeet.
.
Ufffffff foooooo dev bhai ne ek thandi saans bhari.
.
Main - Dev bhai, or aapki love story??
.
Dev bhai - Abe chhote saans to lene de.. bata raha hun..
.
Main - hmmmm
SherPratap ke ek hi beti hai, jisme sherpratap ki jaan basti hai,
Uska naam hai Niharika
Man ki saaf, jaise ganga nadi.
(Wo jaise kahin kho gaye the)
Neeli jheel si aakhen,
Surahi jaisi patli gardan.
Gulaab ki pankhudiyon jaise hoth.
Haan, aisi hi to hai meri nehu..
.
Main (unko jhinjhodte hue)- Dev bhai, aap theek to hain na.
.
Dev bhai (present me aate hue)- ahh! Humm haan theek hun...
.
Main (smiling)- to aage sunaiyye.
.
Dev Bhai - 4 saal pehle jab meri ayu 18 varsh ki thi, or us wakht sherpratap se pitaji ki ghanisht mitrta thi. tabh ek din main shikaar par gaya tha,
wo ek ghana jungle tha,
Or vo jungal hamari or singhgarh,
Ki seema ke beech hai, maine ek hiran ka shikaar kar liya tha,
or ghode par baithkar aage chala hi tha
Ki mujhe Bachaoo Bachaaao ki aawaaz sunai di, maine turant hi apna ghoda us disha me sarpat douda diya,
Or kuchh hi pal me main vahan pohoch gaya, dekha to ek dev kanya si khoobsurat ladki thi, jisko bhediyo ne charon or se gher rakha tha,
Uske hath me ek dhanush tha, par uske teer khatam ho chuke the,
Maine bina ek pal gavaye, apna dhanush nikaal kar un bhediyon par teero ki bouchhar kar di, jisse vo vahan se bhaag khade hue,
Or main ghode se utar kar uske samne jakar khada ho gaya.
.
Main (dev)- Hey, kanya aap kon hain?
Or is bheeshan jungal me kya kar rahi hain?
.
Niharika - Main paas ke rajye singhgarh ki rajkumari hun,
Or main akele hi shikaar par aayi thi,
Ek hiran ka peechha karte hue mere saare teer khatam ho gaye, vo hiran to nikal bhaga, kintu mujhe bhediyon me charon or se gher liya,
(Wo ek saans leke phir boli)-
Aapka bahut - bahut dhanyevaad ki aapne sahi samaye par aakar mere prano ki raksha ki.
.
Main (dev) - isme dhanyevaad ki kya baat hai, ye to hamara kartavye tha.
Waise aapka naam kya hai?
.
Niharika - mera naam niharika hai,
Waise aapke chehre ke tej or vastron se pata chala hai ki aap bhi rajkumaar hain.
.
Main (dev)- ji aapne bilkul theek gyaat kiya,
ham singhal rajye ke rajkumar or zoravar singh ke putra
Dev sing hain.
.
Niharika - Are! Yani ki aap to hamare mitra hue.
.
Main (dev)- Wo kaise?
.
Nuharika - Kyonki, aapke pitaji hamare pitaji ke mitra hain.
.
Main (dev)- Waise jab hamne aapko pehli baar dekha to, aisa laga tha ki jaise aap dev kanya hon, or main achraj me pad gaya tha ki,
ek dev kanya yahan kya kar rahi hai..
.
Niharika (blush karte hue)- Are main itni bhi sundar nahin hun,
Waise aap bhi kam sundar nahin hain.
.
Main (dev) - Rehne dijiye, waise mazaak achchha tha.
.
Niharika - main kabhi mazaak nahin karti.
.
Main(dev)- achchha theek hai, mani aapki baat.. chaliye fir chalte hain,
.
Niharika (ek ada se)- fir kab miloge.
.
Main - kal phir yahin isi jungle me..
.
Meri baat sunkar vo muskura kar chali gayi, or main bhi mahel lout aaya.
.
Phir hamari roz ki mukakaten pyaar me badal gayin, or singhgarh se dushmani ke baad bhi hamara pyaar barkaraar raha, usme kabhi koi daraar utpann na hui.
.
Now Present
.
Dev bhai - Par ab uske pita ko hamare baare me pata chal chuka hai.
.
Main (ek lambi saans lekar)- badi hi kamaal ki story thi aapki, or ye sherpratap ka kuchh karna padega.
TO... BE.. CONTINUE
NOTE- (THANK YOU MY FRIEND'S FOR YOUR BEAUTYFULL REVIEW'S)
Last edited: