UPDATE 6
PAST
Ajay ajay
kya kar rahe ho
Main meeting ke liye late ho rahi hoon
Ab company ki head hi late ho jayegi
Toh boards members kya sochenge
AB JALDI SE EK KISS DO MUJHE
Nahi hum nahi denge
Jab tak aap humein humare socks nahi dhundke deti
Lisa ne sofe ki taraf ishara kiya
Wahan ajay ke socks pade hue the
Phir ajay ne lisa ko kiss kiya
Uske baad lisa chali gayi
Nikki humare prince ka khyal rakhna
Don't worry ajay main khyal rakhkhungi iska
Tum befikar raho
Nikki boli
Nikki ajay ki best friend thi
Uske baad ajay bhi wahan se chala gaya
ajay jis company mein senior scientist tha
Usi company ki lisa head thi
Puri tarah nahi
Lisa ke paas 20 precents share the company ke
Lekin john ke paas 30 percents share the
Lekin phir bhi john ne lisa ko head banne ke liye vote kiya tha
Kyunki john Lisa ka adopted brother tha
John ke father aur lisa ke father dono best freind the
Woh dono company ke founder the
John ke father ne Paisa lagaya
Aur lisa ke father ne knowledge
Ek din john ke parents ek plane crash mein maare gaye
Lisa ke father ne john ko adopt kar liya
John ek aisa aadmi tha jo duniya ki bhalayi chahta tha
Ab log toh uske baare mein aisa hi sochte the
Woh ek aisi medicine banana chahta tha
Jisse koi bhi beemaari theek ho sake
Aur uske liye john ne puri duniya chhaan maari
Use aise scientist ki talash thi
Jo yeh kar sake
Ajay jis book ko bhi padhta tha
Use us book ka har word yaad rehta tha
Aur isi liye john ne ajay ko hire kiya
Kyunki agar koi puri book padh ke yaad kar sakta hai ek baar mein
Toh woh us book mein jo likha hai
Uska asli matlab bhi samajh sakta
Ab uske baad john aur Lisa mile
Aur un dono ko pyar hua
Phir dono ne shaadi kar li
Unka best man john tha
Ek saal baad aryan paida hua
Lisa aur ajay ki life badhiya chal rahi thi
Ajay ne woh medicine bhi bana li thi
Jo john usse banwana chahta tha
Ajay ne jab medicine ko rat pe expirement kiya
Toh use pata chala
Ki us rat ke brain ne grow karna band kar diya
Usne yeh baat john ko batayi
Lekin john ne kaha ki woh yeh medicine market mein utaarke rahega
Kam se kam log zinda toh rahenge
Lekin tum samajh kyu nahi rahe ho
Agar log theek bhi ho gaye
Toh woh apni life jee nahi paayenge
Dekho ajay tumhara kaam tha
Medicine banana
Ab iske aage main dekhunga
Toh tumhare liye achcha hoga
Ki tum ab kuch mat bolo
Theek hai
Waise bhi tum humare boss ho
Tumhein pata hai tumhari company ke liye kya sahi hai
Yeh hui na baat
Ajay jaanta tha ki agar usne john ko abhi challange kiya
Toh woh nahi jeet paayega
Toh usne chup rehna hi theek samjha
Ajay woh medicine destroy kar dena chahta tha
Lekin woh kar nahi paaya
Kyunki woh medicine uska pehla experiment tha
Lekin usne medicine ka formula system se delete kar diya
Jab yeh baat john ko pata chali toh
John ne woh kiya
Jo Lisa aur john sapne mein bhi soch nahi sakte the
John ne ek virus aryan ki body mein inject kar diya
Jiska koi ilaaj nahi tha
Aur aryan ko john ne kidnap bhi kar liya tha
Ajay lisa ko leke wahan pahunch gaya
Jahan jhon baitha hua tha
Ajay apne aapko shaant rakhne ki koshish kar raha tha
Aryan ke sath jo john ne kiya tha
Uske baad ajay ke andar ka thakur azad hone ke liye betaab tha
Jo vaada ajay ne apni maa se kiya tha
Woh bas apni maa ko yaad kar raha tha
Ki woh apna vaada na tode
Yeh kyun kiya tumne
Tum paagal ho gaye ho
Lisa cheekhte hue boli
Yeh baat tum apne pati se puchho
John bola
Ajay john kya keh raha hai
Lisa ajay se puchhi
Ajay ne poori baat lisa ko bata di
Lisa rone lagi fut fut ke
Tum kya chahte ho john
Bolo tumhein kya chahiye
Ajay bola
Mujhe woh formula chahiye
Aur mujhe yeh bhi pata hai
Ki tumhare pass woh medicine hai
Tum mujhe woh formula de do
Main tumhein aryan wapas de dunga
Ajay ne turant ek paper pe woh formula likhna shuru kiya
Aur uske baad usne woh john ko de diya
John ne kisi ko phone kiya
Kuch der baad ek aadmi aaya aryan ko leke
Aryan aake apni mummy ke gale lag gaya
Lisa aryan ko chumne lagi
Ajay ko laga tha woh duniya ka bhala karega
Lekin use pata nahi tha
Ki use itni badi qeemat chukani hogi
Aur phir ajay apne bete ke andar woh medicine inject kar di
Kayi test karne ke baad
Ajay ko pata chala
Ki aryan ke dimaag ka main part grow nahi kar raha hai
Lekin woh jo bhi dekhta hai
Aur jo bhi sunta hai
Woh uske dimaag ke ek hisse mein jaake feed ho jata hai
Ek din ajay ne dekha ki aryan koi novel padh raha hai
Tabhi ajay uske paas gaya
Yeh aap kya kar rahe hain
Ajay bola
Samajh raha hoon papa
Aryan bola
Aapko padhna aata hai
Ajay bola
Nahi papa
Mujhe padhna nahi aata
Main toh abhi chhota hoon
Lekin mujhe ismein likha hua word samajh mein aata hai
Aryan bola
Iska matlab aap ko pata hai ki ismein kis baare mein likha hai
Lekin yeh nahi pata ki kya likha hai
Ajay bola
Are aap toh bahut smart ho
Aryan bola
Ajay samajh gaya
Aryan jo bhi padhta hai
Use samajh leta hai
Lekin use woh na likh sakta hai
Na padh sakta hai
Lekin use likhna aur padhna nahi aata abhi
Phir ajay aryan ko likhna aur padhna seekhane laga
Kuch dino mein aryan woh sab seekh gaya
Jise seekhne mein saalo tak padhna padta hai
Aisa lagta tha
Ki yeh uske liye normal ho
Lisa bahut khush thi
Ki abhi tak us medicine ka koi bhi side effects nahi hua tha
Lekin ajay jaanta tha
Ki ab aryan hamesha ek 5 saal ka bachcha hi rahega
Isi beech ajay aryan ko apne family ke baare mein batane laga
Aur kamal ki baat yeh thi
Ki aryan samajh bhi raha tha
Ki uske pita usse kya keh rahe the
Grandma kahan gayi
Aapko unki yaad aati hai
Aryan bola
Grandma bhagwaan ji ke paas gayi hain
Main jab bhi apni ankhein band karke unhein yaad karta hoon
Mujhse woh milne aati hain
Ajay apne ansu pochhte hue bola
Aur grandpa ki yaad nahi aati aapko
Aryan bola
Aati hai lekin woh mujhse naraz hain
Unhone kaha hai
Ki main unhein apni shakal na dikhaun
Ajay bola
Aap bhi na kitne buddhu ho
Unhone aapse kaha hai
Ki aap unhein apna face mat dikhana
Lekin aap unse baat toh kar sakte hain
Aryan bola
Sach kahu toh main darta hoon
Aajy bola
Aap unse nahi baat karenge toh main karunga
Dekhna mere kehne pe woh jarur aajayenge
Aryan bola
Yeh sunke ajay ne apne pita ko phone lagaya
Hello
Hello
Jab baat nahi karni hai
Toh phone kyun kiya hai
Dadaji bole
Mere bete ne kaha ki main aapne mujhe apni shakal dikhane se mana kiya hai
Baat karne se nahi
Papa bole
Yeh samajhne ke liye tumhein 6 saal lag gaye
Dadaji bole
Mujhe laga ki aap mujhse kabhi baat nahi karenge
Papa bole
Log kehte hain ki pita ke liye sabse jyada pyari sabse badi aulaad hoti hai
Lekin main woh abhaga hoon
Jiski badi aulad ko upar waale ne chheen liya
Aur chhoti aulad ne mujhe hi us baat ka qasoorwaar banake
Mujhe chhod gaya
Aur yeh kehke dadaji rone lage
Mujhe maaf kar dijiye pitaji
Main aapse door raha
Main kal hi aaraha hoon
Papa bole
Main tumhara intezaar karunga
Uske baad ajay ne lisa ko yeh baat batayi
Lisa khushi ke maare uchhal padi
Aur aryan ke gale lag gayi
Agle din woh sab india pahunch gaye
Uske baad woh car mein baithke apne gaon ki taraf nikal diye
Tabhi ajay ki najar side se aarahi truck
Lekin woh kuch kar paata
Usse pehle hi us truck ne car ko thok diya
Dadaji ko jab yeh baat pata chali
Toh woh aryan ko lene aagaye
Lekin unhein na apne bete ki laash mili
Aur na bahu ki
Doctor's ne unhein yeh bataya ki aryan ke sar mein chot lagne ki wajah se uske dimaag ka main part kaam karna band kar chuka hai
Unhone aur bhi kayi jagah aryan ko dikhaya
Lekin sabne yahi kaha
Ki iske dimaag mein problem kya hai
Wohi pata nahi chal pa raha hai
Uske baad dadaji ne kabhi aryan
Ko dobara hospital nahi leke gaye.....