Kalyansurya
Well-Known Member
- 8,889
- 57,163
- 173
Fentastik bro matlab ye ssb meta ke rep ke baad suru huva or ye aarti ka to jamir hi marchuka he lekin ab apna hiro kya karta he ye dekhna he waiting for next updateAarti ke room se nikal ke aryan chhoti bhabhi ke paas chala gaya
Shaam ho chuki thi
Richa aur kalpana school se wapas aachuki thi
Richa abhi bhi maskman ke baare mein soch rahi thi
Woh apne man se use nikaal nahi paa rahi thi
Chhoti bhabhi ke room mein
Aryan aur woh ludo khel rahe the
Lekin aryan aaj haar raha tha
Yeh tu roj din baaghiche mein kyun jata hai
Chhoti bhabhi puchhi
Mera man karta hai
Baghiche mein jaane ka
Aryan bola
Wahan jaake karta kya hai
Abhi toh mango ka season bhi nahi hai
Chhoti bhabhi boli
Bataya toh ki man karta hai mera
Aap bhi chalna mere sath kal
Aryan bola
Nahi
Bhabhi boli
Kyun nahi aap hamesha apne room mein rehti ho
Aryan bola
Tu mera dukh nahi samajh sakta
Chhoti bhabhi boli
Mujhe pata hai
Ki arun bhaiya ab wapas nahi aayenge
Aur na hi mere mummy papa
Lekin main dukhi rehke unhe naraz nahi karta
Aryan bola
Megha aryan ko dekhne lagi
Use pata nahi tha
Ki aryan ko ehsaas ho gaya hai
Ki uske mummy papa kabhi wapas nahi aayenge
Tujhe kaise pata ki tere mummy papa nahi aayenge
Chhoti bhabhi boli
Kyunki mujhe pata hai
Ki yeh 2020 hai
Na ki 2007
Mujhe yahan aaye hue
4786 days ho gaye
Aur agar mere mummy papa ko aana hota
Toh woh kabka aachuke hote
Ab aap bataiye ki mera dukh bara hai
Ki aapka
Aap toh itni badi ho
Lekin main toh sirf 5 saal ka hoon
Aryan bola
Aryan yeh sab badi masoomiyat ke sath keh raha tha
Chhoti bhabhi aryan ko apne seene se laga li
Aryan bhi apni chhoti bhabhi se lipat gaya
Chhoti bhabhi ki ankho se lagatar aansu beh rahe the
Wohin gate pe koi tha
Jo yeh sab dekh raha tha
Aur uske honto pe ek zehreeli muskaan thi
Phir chhoti bhabhi ne apne ansu pochhe
Aur kareeb 6 mahine baad apne room se nikli thi woh
Aur wahan se nikal ke woh apni saasu ke room mein gayi
Badi chachi soyi hui thi
Chhoti bhabhi unke pair ke paas baith gayi
Aur unke pair dabane lagi
Badi chachi ki ankh khuli toh woh chaunk gayi
Bahu tu
Rehne de main koi beemaar thodi hoon
Badichachi boli
Mujhe maaf kar dijiye mummyji
Jab aapko meri jarurat thi
Main aapke paas nahi thi
Chhoti bhabhi boli
Are aisa kyun keh rahi hai tu
Mere bete ke jaane ka dukh hai mujhe
Lekin mujhse jyada dukh tujhe hai
Main samajh sakti hoon
Ki tujhpe kya beeti hai
Lekin ab mujhe koi chinta nahi hai
Meri chhoti bahu ne apne aap ko sambhal liya hai
Badichachi boli
Wohin aryan chhoti bhabhi ke room se nikal ke
Kudte hue kahin ja raha tha
Tabhi uska pair ladkhadaya
Aur woh richa ke upar gid pada
Richa use gusse se ghurne lagi
Ab hatega bhi
Ya mere upar hi lada rahega
Richa boli
Aryan jaldi se uske upar se hat gaya
Tabhi richa aryan ki ankhein dekhi
Aur use ehsaas hua
Ki aryan ki ankhein bilkul maskman jaisi hain
Use apne ankho pe yakeen nahi ho raha tha
Sorry didi
Main galti se gid gaya aapke upar
Aryan bola
Dekh ke chala kar
Itna bada ho gaya
Puri duniya ki samajh hai
Lekin yeh samajh nahi aata
Ki ab tu bachcha nahi hai
Jawan ho gaya
Richa boli
Ab richa ko bhi pata tha
Ki agar woh jor se bolegi
Toh aryan behosh ho jayega
Isi liye woh dheere se bol rahi thi
Kya keh rahi ho aap didi
Mujhe kuch sunayi nahi de raha hai
Aryan bola
Kuch nahi
Yehke richa apne room mein chali gayi
Yeh sochte hue ki maskman ki ankhein bilkul aryan jaisi kyun hain
Wohin jaanvi ab sp ban chuki thi
Pure district ke officers ki ab woh head thi
Use ab kahin pe bhi jaane ki jarurat nahi pad rahi thi
Use yeh bhi pata chal chuka tha
Ki ek aur khoon ho gaya
Aur jeevan ki bhi ungli kaati gayi thi
Use maarne se pehle
Jaanvi samajh gayi ki yeh kiska kaam hai
Lekin use yeh samajh nahi aaraha tha
Ki woh yeh khoon kar kyun raha hai
Wohin aarti ne chhoti bua ke room mein pahunch chuki thi
Toh kya kaha babu ne
Chhoti Chachi boli
Woh toh ready hai
Aap bas raat mein dhyan rakhna
Ki koi mere room ki taraf na aajaye
Aarti boli
Theek hai
Main dhyan rakhungi
Chhoti Chachi boli
Wohin raat ho chuki thi
Yahan badi bua aryan ka besabri se wait kar rahi thi
Lekin woh aaya hi nahi
Badi bua mayus hoke so gayi
Aryan aarti didi ke room mein chala gaya
Jahan aarti uska wait kar rahi thi
Usne soch liya tha
Ki woh kya karegi
Usne doodh ke glass mein excited hone ki goli mila di thi
Agar aryan roleplay ke liye ready nahi hua toh
Woh usse zabardasti karwayegi
Toh kya socha tune
Jaisa video mein hai
Waisa karega ki nahi
Aarti boli
Main aapko keh diya tha
Ki main aapko takleef nahi dunga
Aryan bola
Arti ek baar phir soch le
Tu jo kar rahi hai
Woh galat hai
Aryan ke andar pyar aur masumiyat ke siwa aur kuch nahi hai
Woh toh sirf chocolate ke lalach mein yeh sab kar raha hai
Lekin tu itna kaise gid sakti hai
Tu video mein aisa record karegi
Ki aryan me tera rape kiya hai
Kaisi behen hai tu
Uske mata pita nahi hain
Woh ek anath hai
Beemaar hai
Aur tu itna kaise gid sakti hai
Lekin aarti ne apni zameer ki awaj nahi suni
Aur usne aryan ke hath doodh ka glass pakda diya
Aryan doodh ko apne hont pe lagata
Tabhi aryan ke sar mein dard hone laga
Aryan ne doodh ka glass side mein rakh diya
Aur uske baad behosh ho gaya
Aarti use awaj dene lagi
Aarti ko ab ghabrahat hone lagi thi
Ki kahin ise kuch ho toh nahi gaya
Tabhi aryan ko hosh aaya
Aur woh aarti ko dekhne laga
Uski ankho mein ab woh masumiyat nahi dikh rahi thi
Uska chehra ek dam sakht ho gaya tha
Kaal har crime se nafrat karta tha
Lekin sabse jydada nafrat woh rape se karta tha
Aur aaj aarti usse rape karwaane ja rahi thi
Ab bhagwaan jaane aarti ka kya hone waala tha.....
1 mahine pehle
Aryan kheto mein ghum raha tha
Tabhi use ek ladki dikhi
Jo munimji ke pair pakad rahi thi
Aryan wahan gaya
Aryan ne us ladki ko dekha
Us ladki ne aryan ko dekha
Kya kaaka yeh aapke pair kyun pakde hui hai
Aryan bola
Babu isne paise churaye hain
Aur ab keh rahi hai
Ki main ise naukri se nahi nikaalu
Tumne chori kyun ki
Aryan bola
Meri chhota bhai bahut beemaar hai
Aur uske ilaaj ke liye mere paas paise nahi the
Lekin yeh paise mujhe rajni ne diye hain
Woh ladki rote hue boli
Bahut achche se jaanta hoon
Tum jaisi ladkiyo ko
Dekho main tumhein police ke hawaale kar doon usse pehle chali jao yahan
Munimji bole
Aisa mat kijiye munimji
Aap mujhe kaam se nikaal denge
Toh main kahan jaungi
Mere siwa mera bhai ka koi bhi nahi hai
Ladki boli
Isse pehle ki munimji kuch bol te
Aryan bol pada
Munimji ise kaam se mat nikaaliye
Chhote maalik aap samajh nahi rahe hain
mujhe na yeh bahut achchi lagi
Aryan bola
Ab usne toh sirf yahi bola tha
Lekin munimji kuch aur samjhe
Theek hai main tumhein nahi nikaalunga
Lekin tumhein chhote maalik jo bolenge
Woh karna padega
Munimji bole
Jo bolenge matlab
Main gareeb jarur hoon
Lekin meri izzat itni sasti nahi hai
Ladki boli
Kya tum mere sath khelogi
Aryan bola
Woh ladki aryan ko upar se neeche tak dekhne lagi
Ab munimji samjhe aryan kya kehna chahta hai
Dekho jab tak chhote maalik yahan rahenge
Tumhein unke sath khelna hai
Badle mein tumhare bhai ka ilaaj main karwaunga
Munimji bole
Kaaka ab aap jao
Aryan bola
Munimji chale gaye
Aryan ne us ladki ki taraf dekha
Naam toh batao apna
Mera naam meeta hai
Lekin dekh lo
Agar tumne mere sath kuch bhi aisa waisa karne ki koshish ki.toh achcha nahi hoga
Meeta boli
Main toh bas tumhare sath khelna chahta hoon
Aur tum pata nahi kya bol rahi ho
Aryan bola
Kya khelna hai tumhein
Meeta boli
Chhupam chhupai
Khelte hain
Main chhipta hoon
Tum mujhe dhundna
Jeetne waale ko ek chocolate milega
Aryan bola
Meeta apne daant peeske reh gayi
1 ghante tak aryan mita ke sath khelta raha
Uske baad aryan wapas haveli chala gaya
Aur meeta apna kaam karne lagi
Agle din aryan wapas agaya
Aur meeta ko dhundne laga
Aur use mita mil gayi
Toh tum yahan ho
Chalo khelte hain
Meeta ne aryan ko dekha
Aur apni kismat ko kosne lagi
Phir bhi aryan ke sath khelna uski majburi thi
Mita aryan ke sath khelne lagi
Tum aise kyun ho
Meeta boli
Mera ek accident ho gaya tha
Tabhi se main aisa hoon
Aur tumhein main bata doon
Ki main. Paagal nahi hoon
Mera dimaag bas 5 saal ke bachche ka hai
Aryan bola
Kuch din aise hi Beet gaye
Ab meeta ko bhi aryan ke sath khelna achcha lagne laga tha
Meeta bhi aryan ke sath bachchi ban jaati thi
Woh bhi usi ke tarah baat karne lagti thi
Jisse aryan usse naraz ho jaata tha
Phir meeta use manati thi
Ek din meeta aryan ko nahi mili
Aryan ne munimji se puchha
Toh unhone kaha
Ki unhein nahi pata
Aryan se bardasht nahi hua
Aur woh puchhte puchhte uske ghar pahunch gaya
Jab woh ghar ke andar ghusa
Toh usne dekha
Ki meeta ki laash safed kapde mein lipti hui thi
Padosi baat kar rahe the
Ki raat mein do log meeta ke ghar mein ghuse
uska rape kiya
meeta ne sucide kar liya
Aur meeta ka chhota bhai bhi lapata hai
Aryan ke pairo tale zameen khisak gayi
Uski ankho se lagatar ansu behne lage
Woh itna ghabra gaya tha
Ki uske munh se awaj nahi nikal rahi thi
Use kuch samajh nahi aaraha tha
Ki yeh kya ho gaya
Aur phir uski cheekh nikal gayi
Aur woh behosh ho gaya
Aur jab use hosh aaya toh haveli mein tha
Aur woh meeta ke baare mein sab kuch bhool chuka tha
Lekin do din baad
Aaspaas ke gaon mein khoon hona shuru ho gaya....
dear update 7 is not available kindly post it ,,, thanksThanks bro