• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,855
159
Manav ne college me bta diya apne dosto ko ki vo kyo achanak chla aaya class chhod kr...
Aur Dosto ne teachers ko bhi inform kar diya
Idhar dadi 2 din rest karne Thik ho jayengi aisa Dr ne btaya tha, Avantika ji ko business meating ke liye Jana hai isliye vo sanvi ko lekr chali gyi, vahi sanvi aisi timing ke sath pahuchi hai jb dadi manav se Uski gf ke bare me baat kr rhi thi ki yadi koi hoti to hospital jarur aati use dekhne...
😁
Coincidence :laughing:
Sandar jabarjast update bhai superb
Bahut bahut dhanyavaad Xabhi brother 😄🙏
 

Lallu

Dil mai
1,230
3,244
158
•°UPDATE 51•°


Recap -


Tani hui bhauhen ke saath, usne ghadi 🕤 ki or dekha, Auntie kewal 20 minutes me samudra ke kinaare stith uske ghar par pahuch gayi thi. Unki driving speed kaafi tez rahi hogi..



Apne apne kaamon ko karne ki bajaay Rajyavardhan aur Saanvi, donon living room me Manav ke saath baithe the.


Kareeb 20 minutes baad, achanak living room me rakhe phone ki ghanti baj uthi.




AB AAGE :-



Rajyavardhan ne phone uthaaya aur saamne wale vyakti ki baat sunne laga. Phir phone rakh kar wo Manav ki or muda aur kaha,


Rajyavardhan : "Avantika aapki dadi ko Apollo Hospitals me le gayi hain. Abhi unka treatment chal raha hai.. Doctor ne kaha hai ki ve khatre se baahar hai aur jald hi theek ho jayengi.” 🙂



Dadi khatre se bahar hai.. ye sunkar Manav ko thodi raahat mili.


Rajyavardhan ne apni car ki chabhi uthayi aur Manav se kaha,


Rajyavardhan : "Chaliye... hospital chalte hai,"


"Ok !"
Manav turant couch se uth khada hua.


Ab bhala Saanvi kyu rukti? to woh bhi unke peeche peeche baahar ki or chali gayi.



Rajyavardhan ki smooth aur fast driving se ve kewal 20 minutes me hi Apollo Hospital pahunch gaye.
Rajyavardhan ne Avantika se baat ki, aur Avantika ne use bataya ki dadi ki condition ab stable hai aur abhi ve hospital ke bed par araam kar rahi hai.



Exact location puchne ke baad ve seedhiyan chade aur corridors se gujre. Akhir me ve, dadi wale room tak pahunch gaye.


Iss room me 4 beds the, aur Manav ki dadi sahit sabhi beds par bujurg patients the. Avantika nahi chaahti thi ki Saanvi koi shor kare isliye, usne Saanvi ke ander kadam rakhne se pehle hi use chup rehne ka ishara kar diya tha. 🤫



Manav ki dadi bed par laiti hui thi, aur unke haath me ek intravenous drip lagi hui thi - saline solution ki. Unki aankhein band thi, aur saansen bhi normal chal rahi thi. Jhurriyon se bhare, dadi ke chehre par ek alag hi shanti chhayi hui thi.


Unn teeno ke ander aate hi, Avantika ne aage badhkar Manav se dheere se kaha,

Avantika : "Doctor ka kehna hai ki 2 din tak full rest karne ke baad ve theek ho jayengi"


Manav : "Thanks a lot.. auntie"


Avantika ki baat sunkar Manav ki tention door hui aur woh apni dadi ko kareeb se dekhne ke liye unke bed ke paas chala gaya.


Peeche se Avantika ne phusphusaya,


Avantika : “Emergency ki wajah se inhe, ye standard ward mila hai. Inko single room me transfer karne ke liye mai kal management baat se kar lungi, "


Manav muda,
"It's ok.."
Use samajh nahi aa raha tha ki aunty ka dhanyavaad kaise kare..


"Mujhe kal tak speeding fine ( high speed ka challan) pay karna hai lekin.. meri Philippe Starck (famous French architect) ke saath appointment hai.. ve apna studio visit karna chaahte hai. To.. mere pas fine pay karne ke liye time nahi rahega..."
Avantika, Rajyavardhan ke kaan mein phusphusayi.



Manav bed ke paas baith gaya aur dhyaan se apni dadi ko dekh raha tha.
Dadi ko dekhte hue Manav soch raha tha ki kaise aunty ne aaj itni badi help kari thi.. jabki ve to aapas me relatives bhi nahi the. Manav, Avantika se prati bahut abhaari mehsoos kar raha tha.

Halaanki, Avantika kya phusphusa rahi thi, use sab sunayi de gaya.


Isliye usne Avantika ki or mudkar kaha,

Manav : "Fine mujhe bharne dijiye aunty.. " 🙂


Aur... Avantika hairaan reh gayi ke, Manav ke sunne ki kshamta kitni tez thi.
Thodi der rukne ke baad, usne apna sar naa me hilaaya aur muskurayi,

Avantika : “it's alright Manu.. minimal fine hai hehe" ☺



Rajyavardhan ne Manav ko dhyan se dekha aur thoda sochne ke baad usse poochha,

Rajyavardhan : "Kya aapne Spirit Concentration Scroll ke 2nd level ko clear kar liya hai, Manu?" 🤔


Manav ne haan me sar hilaaya. Woh apni dadi ko lekar itna chintit ho gaya ki Rajyavardhan ko ye khushkhabri sunana hi bhool gaya tha.


Rajyavardhan : "No wonder.. ki aaj aap mujhe kuch alag kyu lag rahe the. 2nd level clear hone se aapke 5 senses bhi aur sharp ho gaye hai."



"5 senses ?" Manav confused tha.


Rajyavardhan : "haan, 5 senses - dekhna, sunna, soonghna, chakhna (taste) aur.. chhuna(touch),"


Halaanki Manav ko khud me kuch khaas mehsoos nahi hua lekin.. chunki Rajyavardhan ne kaha ki senses aur sharp ho gaye hai to, aisa hi hua hoga.


Saanvi, jo Manav ke bagal me thi, ne uski or aashcharya se dekha,

Saanvi (man me) : "Abhi to sadhna karte hue ise jyada time nahi hua hai aur.. ye already Spirit Concentration Scroll ke second chapter ko clear kar chuka hai..!? maine to toffees 🍬🍬 ki tarah Exilirs khayi thi aur tab bhi mushkil se Kan (1st level) tak pahuch payi thi. " 😳





Avantika : "Manu.. ab jab aapki dadi theek hai to aapko, inhe company deni chahiye. Sani ka kal school hai to.. mai use ghar wapas le ja rahi hoon..
Oh haan, maine hospitalization aur treatment fees already jama kar di hai. Additional ₹ 25000 bhi jama kar diye hai. Ab ye araam se recover hone tak yahan reh sakti hai.. aur kal agar appointment ke baad time bachta hai to mai yahan aa jaungi," 😊



Manav : "Mai.. aapko jald hi pay back kar dunga. Thank you so muchh auntie!" 🙂


Avantika : "Don't worry beta.. itni bhi amount nahi hai. Abhi inka dhyaan rakhna hi aapki priority hai.. " ☺


Fir usne Saanvi ka haath pakda aur ve teeno room se baahar nikal gaye.



Manav ward me hi ruka raha, aur apni dadi ma ke jaagne ka intzaar karne laga.

Aadhi raat ko jab Manav ki jhapki, gehri neend me badalne hi wali thi tab jaakar dadi ko hosh aaya..


Aur jaise hi dadi ne Manav ko apne bed ke paas baithe dekha, to use dheere se pukaara,
" man..u ! "



Dadi ki aawaaz se Manav, achanak jaag gaya aur dadi ko theek se dekhne ke liye apni aankhein malne laga.
Jaise hi usne apni dadi ko jaagte hue dekha, to woh utsaah se bol utha, "Daaadii !" 😀


Phir, usne turant apna munh haatheli se dhank liya kyunki use yaad aaya ki room me aur bhi bujurg patients maujood the.


Dadi : "Mai.. yahaan kyon hoon ? !"


Manav : "Aap ghar par behosh ho gayi thi dadi, isliye hum aapko yahan hospital me le aaye. "


"Oh, mujhe thoda bahut yaad hai. . mai ghar ki safaai kar rahi thi.... lekin.. mujhe yaad nahi ki aage kya hua..,"

Dadi ne apna dubla-patla haath uthaya aur apne maathe ko sehlate hue boli,


Dadi : "Manu! beta tum yahan kyon ho? Tumhe to abhi apne hostel me hona chahiye tha.."


Ispar Manav ne apni dadi ko sab kuch bataya ki kya - kya hua tha. Halaanki, usne Avantika ka parichay "apne student ki mom" ke roop me bataya, naaki "saas" ke roop me. :D



"Unhone itni madad ki.., ve bhale log lagte hai. Recover hone ke baad mujhe personally unka shukriya ada karna hoga.."
Dadi ne aah bhari.



Dadi apni baatcheet jaari rakhne ke liye filhal bahut kamjor thi.., isliye Manav ne apni dadi ko kuch der aur aaraam karne ke liye manaya. Manav nahi chaahta tha ki weakness badhne se dadi phir se behosh ho jaye..


Aur wahin Manav ki soch ke vipareet, jab dadi ma ne apne maasoom se pote ko dekha, to ve itni khush ho gayi ki apni health condition ke baare me bilkul bhool gayi..


Khair dadi ki ek baar firse neend lagne par Manav bhi so gaya tha.


Agli subah, 🌅



Ek nurse breakfast lekar aayi. Manav ne usse nashta liya aur apne haathon se dadi ma ko khilane laga.


Jab Manav ne soup se bhara chammach dadi ke saamne kiya to unhone muh kholne ki bajaay Manav se kaha,

Dadi : "Manu.. aaj Friday hai! apki sabhi classes lagengi.., to apko time se college jana chahiye."


Manav : "It's ok dadi ! mai kal leave application submit kar dunga lekin aaj rukunga to mai aapke saath hi," 😀


Woh to apni dadi se milne ke liye iss weekend ghar jaane ki planning kar raha tha. Aur.. usne nahi socha tha ki aisa bhi kuch ho jayega.

Lekin abhi kahin na kahin Manav ko, dadi ke akelepan ke baare me sochte hue khud par bahut guilt feel ho raha tha. Halaanki Shyam kaka dadi ko company diya karte the lekin dadi ka ache se dhyan rakhne me ve bilkul anaadi the.



Waise.., dadi ke shabdon ne Manav ko uske doston ki yaad dila di. Dadi ko breakfast karwakar usne unhen phone kiya aur uski madad karne ke liye kaha.

Madad se matlab tha ki agar by chance koi teacher attendance leta hai to, Adarsh aur sabhi dost log un teacher ko manav ki emergency ke baare me samjha denge.


Dadi ke haath par intravenous dip, aaj bhi lagi hui thi. Breakfast ke baad Manav room me yaha wahaan bhatak raha tha aur dadi ke sabhi kaam kar raha tha. Usne dadi ke napkins & towels dhoye, dadi ke liye apples chhile aur iske alawa bhi, wo jab kuch kiya jo woh kar sakta tha.


Dophar me, Manav ke paas Aahna ka ek message aaya, message ke jariye wo dadi ki health ke bare me poochh rahi thi.



Manav jaanta tha ki, jab Adarsh & team ne teacher ko uski emergency ke baare samjhaya hoga to, Aahna ne bhi unn logon ki baatcheet ko sun liya hoga..
Lekin haan! Aahna ka message uski Manav ke prati care ko saaf darsha raha tha.

Halaanki yeh care, as a friend wali thi, kintu fir bhi iska Manav ke dil par bahut asar pada. .


Kuch type kar rahe Manav ke chehre par jab dadi ne jhijhak aur khushi dono ek saath dekhi, to weh hans padi,

Dadi : "Apni gf ko text kar rahe ho ?" 😄


"Nahin...," 😅
Manav hasa aur kuch second ki hichkichahat ke baad usne
"She is fine.. thank you for asking" type kar message send kar diya.



Lekin ab to dadi ka favorite topic aa gaya tha to unhone aage kaha,


Dadi : "Manuu aajkal college me gf banana to normal baat hai"


Manav jaanta thi ki uski dadi purani soch par vishwas rakhti thi jaise ki unka maanna tha ki ladkon ko 20-25 saal ki age tak shadi kar leni chahiye.

Halaanki, dadi ki umr ko dekhte hue, yeh baat to asaani se samajh aati hai ki woh jald se jald apne pad-pote / potiyon ko khilana chaahti thi.
Aur isliye, Manav ne bhi apni dadi se bahas nahi ki.


Waise... ajeeb baat to ye thi ki, jab bhi dadi is topic par baat karti, to Manav ke dimaag me humesha Aahna hi aati. Jaise maano uski antar-aatma use bata rahi ho ki sirf Aahna ke jaisi ek smart aur samajhdaar ladki ko hi dadi apni bahu ke roop me accept karengi..


Dadi to jaise is topic ko band hi nahi karna chaahti thi. Aur isliye ve usse uski gf se jude ek ke baad ek kayi sawaal pooch rahi thi.

Dadi : "Hmm.. agar tumhari sach me koi girlfriend hoti, to wo mujh mareej se milne jaroor yahan aayi hoti, kyu ?" :sigh2:


Jaise hi dadi ne apna sawaal poocha, theek usi samay Saanvi, utsukata se room ke andar dakhil hui.

Weh apni blue colour ki school uniform me thi aur uski peeth par ek pink colour ka backpack latak raha tha. .



Saanvi to jaise dadi ma ke sawal ka uttar ban kar aa gayi :laughing:
Chalo uske aane ke sath hi ye update yahin par end karte hai.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Aaj ka din bahut busy raha isliye update late ho gaya..
Apke pichle update ke replies bhi jald hi karta hu..
To be continued.....
Nice update dear
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,983
159

Devilrudra

Active Member
514
1,405
123
Bhai aapki ye story bahot hi badhiya hai mere hisab se x forum ki top 10 me se ek... Aap kaafi mehnat se poori detail se ise likh rahe hai par jis tarah se iske update aa rahe hai week me ek yaa 2 is se ye story us unchayi par nahi poahanc paayegi jaha ise hona chahiye.... Jab tak agala update aata hai readers poorane jo bhool chuke hote hai jis se jo connection story se bana hai wo kamzoor ho raha hai... Aap itne ache writer hai to is baare me zarror kuch soche aur jaise pehle bina kisi gap k fri sat aur Sunday ko regular updates aate the waisa hi continue kare taa k readers update ka intazaar karte karte niraash naa ho... 🙏🙏🙏
 

Mast fakir

Member
361
633
108
Bro aapne Din fix kar liya hai k Friday ko hi update dena hai ab main Friday ke alava aur kisi din Intezar nahin karta pata hai ki Friday ko aaega
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top