• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Yamraj@

Member
455
1,340
123
โœจ๐Ÿ…ผ๐Ÿ…ด๐Ÿ…ถ๐Ÿ…ฐ
๐Ÿ†„๐Ÿ…ฟ๐Ÿ…ณ๐Ÿ…ฐ๐Ÿ†ƒ๐Ÿ…ดโœจ



โ€ขยฐUPDATE 67โ€ขยฐ


Recap -



Manav : "Hum... internet cafe me raat bita sakte hai?" :hmm



"Kya wahan... safe rahega..??"
Aahna ne bhauhen chadhate hue hichkichahat se poocha.



Internet cafe ka maahaul aur air quality.. dono yakeenan bahut kharab the, aur waise bhi Aahna games nahi khelti thi to use, is tarah ki jagah par le jaana theek nahi hoga. .



Manav ne kuch der socha aur fir Aahna se poochta hai,


Manav : "ya fir ... campus ke baahar.. hotels me..?"





AB AAGE :-



"Ah..?" ๐Ÿ˜ณ
Aahna ne chaunk kar Manav ki or dekha. Fir usne jhijhakte hue poochha,

"Kya.. tum wahan pehle ruke ho?"



Manav : "Um ... not really. . lekin maine suna hai ki rooms ki cost jyada nahi hai. Lagbhag โ‚น 1200 per night. Abhi humare paas apni students IDs hai... to shaayad isse hume room mil jaye..."

Manav ne dheemi awaaj me kaha kyunki wo nahi chahta tha ki Aahna ye soche ki woh kitna "experienced" hai.



Aahna ne thoda sochne ke baad same question poochha,


Aahna : "Kya.. waha rukna safe hoga..? "



Manav : "Well... safe to hona chaahiye," :hmm:

Manav khud apne uttar ke baare me nishchit nahi tha.



University ke paas ki hotels me tarah-tarah ke log rukte the aur Manav ne wahan hone wali kayi vaardaton ke baare me bhi sun rakha tha. To.. Aahna ko hotel me akela chhodkar, uska apne hostel me wapas lautna.. sahi decision nahi hota.



Manav ne do baar dikhawa karte hue khaansa aur fir dheere se poochha,

Manav : " Ahem.. Ahem! agar tumhe wahan akele rukne me problem hai to... mai tumhare saath ruk sakta hun ... ?"



Manav ka suggestion reject karne se pehle Aahna thodi jhijhaki,


Aahna : "Ye ... theek nahi rahega.."



Ab jab Manav ke koi bhi ideas kaam nahi aaye, to usne sujhaav diya,


Manav : "To.. fir apan Nimra ko call kar lete hai.. wo warden ko utha degi.." ๐Ÿค”

[Nimra, Aahna ki roommate & classmate]



"Mai apna mobile nahi layii. . yahi to problem hai! ," :sigh2:
Aahna ne bebasi se kaha. Weh sirf guest lecturers ke liye hostel se baahar aayi thi, isliye usne apna mobile saath laane ki jehmat nahi uthayi.
Akhir kise pata tha ki aisa bhi kuch ho jayega?



Manav : "Mere paas uska number nahi hai.. aur na hi Adarsh aur baki logon ke paas hoga..,"



Chunki students apne courses aur schedules khud arrange kar sakte the, isliye classes kaafi loose thi. Iske alawa, Manav ki class ki gini chuni ladkiyan... humesha ek saath rehti thi. Iska matlab tha ki ladkiyon aur ladkon ke beech jyada baatcheet nahi hoti thi.



Thodi der aur warden office ki khidki knock karne ke baad, aakhirkaar Aahna ne haar maan li,


Aahna : "Subah hone me abhi bhi bahut time hai.. humen kahi rukne ki jagah dekhni chahiye..,"


Abhi kismat se Manav uske saath tha, isliye weh jyada pareshaan nahi thi.




Is samay, Manav ne achanak kuch socha aur kaha,


Manav : "Hum KTV (karaoke) ja sakte hai aur wahan raat bita sakte hai. Midnight se subah 6:00 baje tak ek room ki cost bhi bas โ‚น 250 hogi!" :idea:



Aahna : "Haan! ye achcha hai!" ๐Ÿ™‚

Aakhirkaar Aahna uske suggestion se sehmat ho gayi.




Raat thandi thi.., aur ve hostel me nahi ja sakte the. Aahna ke, karaoke jaane ke liye haan kar dene ke baad, donon bicycle se wapas Central Square aa gaye.




Raaste me,

Manav ne apne sabhi suggestions ke baare me socha jo usne abhi-abhi Aahna ko bataye the aur fir usne dhyaan diya ki woh uske saath hotel ke ek room me raat bitaane ko keh raha tha.



Manav (man) : โ€œDamn it! Damn it! mai ye kya bol raha tha! ?" ๐Ÿคฆโ€โ™‚


Manav ne aisa suggestion dene ke liye khud ko kayi baar kosa.




To wahin doosri or, uske peechhe baithi Aahna ne itna nahi socha.
Weh to, Manav ke itne der raat tak uske saath rukne ke good intention se bahut prabhaavit hui.



Aahna jaanti thi ki ladke aamtaur par apne hostels me der se laut-te the aur wahan ke wardens ko ladkon ke 'closing time' ke baad wapas aane ki aadat thi. .
Isliye, weh sure thi ki agar Manav chaahta to wo.. abhi bhi apne hostel me wapas ja sakta tha ...


Aahna (man me) : "Yeh sab meri galti hai. Agar mai baat karne me itna busy nahi hoti aur time ka dhyaan rakhti, to Manav mere saath itni der raat bhatakne ke bajaay apne hostel wapas chala gaya hota."


Back seat par baithi Aahna apne hooth kaat-ti hui khud ko bura bhala keh rahi thi. :ohno:



Khair ve "Golden Ages Karaoke" gaye, jo Central Square par ek building ki second floor par sthit tha. Unhone raat ke liye ek chhota room maanga.


Room tak le jaane wala male waiter, un donon ko aise aadhi raat ko yahan dekh kar, sandeh bhari nigahon se ghoorta raha. ๐Ÿคจ




Room ke saamne aane ke baad waiter ne unhen yaad dilaya,

Waiter : "Room kewal singing ke liye hai, dusre "kaamon" ke liye nahi,"



Aahna : "Dusre kaamon..."

Isse pehle ki Aahna poochhti, weh achaanak waiter ki baat ka matlab samajh gayi. Embarrassment se uska chehra laal ho utha. :blush:



"Mera matlab hai.."
uska chehra dekhkar waiter ne joda,

"Aap yahan gaa sakti hai, lekin aap.. so nahi sakti. Jaise ki rules hai, aap donon me se kam se kam ek ko jaagte rehna hoga."




"Oh, ok.. ok," Aahna ne budbudaya.

Uska sharmana tab aur badh gaya jab usne dekha ki Manav use ajeeb tareeke se dekh raha hai. Weh fatafat room me chali gayi aur wahan rakhe ek couch par baith gayi.



Room me aane ke baad waiter ne Manav ko kuch aur baatein batayin, sabhi equipments chaalu kiye aur fir room se baahar chala gaya.



Couch par baithi Aahna ko bahut awkward lag raha tha. Weh room ke chaaron or dekhne lagi. Abhi bhi weh embarrass mehsoos kar rahi thi.




Manav : "Don't worry. Yahan.. thode strict rules hai," ๐Ÿ˜…

Manav ne randomly ek microphone uthaya aur use apne bagal me rakh diya aur aage kaha,
"Mai yahan Adarsh aur baaki doston ke saath pehle bhi aa chuka hu. Lekin hum logon ko.. yahan aane ki bajaay internet cafe jana jyada acha lagta hai. "



Aahna : "Mujhe pata hai. Mai Nimra aur kuch other girls ke saath yahan aa chuki hoon. Atleast ye jagah.. internet cafe and hotel, donon se jyada safe to hai," ๐Ÿ™‚



Aahna ki laal hoti aankhon ko dekhkar Manav ko samajhne me der nahi lagi ki Aahna thak chuki hai,


Manav : "Tum so jao Class President. Mai jaagta rahunga."



Manav ki baat par Aahna hichkichaayi,
"Tumhe bhi to sona hoga..." :?:



"It's ok! mai to har kabhi doston ke saath jaagta rehta hun.., mujhe iski aadat hai!"

Manav ne use litane ke liye uske kandhon ko push karte hue aage kaha,
"Don't worry, mujhe neend nahi aayegi. Tumhe guard karne me mujhe koi problem nahi hai!โ€ ๐Ÿ™‚



Aahna ne apne hothon ko daba liya aur embarrassment me Manav ki or dekha.

Weh kuch kehna chahti thi lekin samajh nahi pa rahi thi ki kahan se start kare. .



Manav ne apni jacket utaar di aur Aahna ke oopar daal di,

Manav : "Sone ke baad tumhen thand lag sakti hai. Anyways, ab thodi der so jao. Tab tak mai music sun lunga aur.. kuch gaane gaa lunga, taaki mai jaagta rahu. "


Usne khade hokar kuch popular songs par click kiya. Phir, weh wapas Aahna ke paas baith gaya.



Couch par lete hue Aahna ne adh - khuli aankhon se use dekha aur ek aah bhari,

Aahna (man me) : "Manav... sach mein ek Shisht Manav hai.."



Familiar song ko sunte hi Manav ne microphone ๐ŸŽค uthaaya. Usne voiceover chalu kiya aur gaane ke saath randomly gungunane laga.
Class President ke saamne gaane me woh thoda hichkicha raha tha.



Idhar Aahna chupke se apni tirchi najron se use dekh rahi thi aur sone ka naatak kar rahi thi. ๐Ÿ‘€



Ek darjan se jyada gaano ke baad, apni familiar melodies ko sunte hue Aahna ki palken bhari ho gayi.
Use Manav ki gungunahat lori (lullaby) ki tarah lag rahi thi aur akhirakaar.... weh ghode beech kar so gayi. :sleep:


...
...
...


Jab uski ankhein dubara khuli to, usne Manav ko jhapki lete hue paaya. ๐Ÿ˜ด



Weh uth baithi, jisse uske footwear ne sofe par chatakne ki awaaj ki. Awaaj sunte hi Manav turant jaag gaya aur uske haath se microphone chhutkar farsh par gir gaya.



Aahna ne apni aankhein mali, aur Manav ki aankhon ke chaaron or halke kaale ghere dekh, apradh - bodh se poochha,


Aahna : "Tum saari raat jaagte rahe...?" ๐Ÿ˜




Manav : "Woh.. waiter raat bhar check karta raha.. To mai chaahkar bhi nahi so sakta tha,"

Usne apne haath stretch kiye aur hansa, "tum to theek se soyi na?" ๐Ÿ˜€



"Hmm... mujhe to kuch sapne bhi aaye"
Aahna ne Manav ko jacket lautate hue jabaab diya aur apne kapde check karne lagi.


Aisi baat nahi thi ki, use shak tha ki sote hue Manav ne uske saath chhedkhani ki hogi. Balki weh to Manav par khoob bharosa karti thi.


Isliye.. iske bajaay, kapde check karni wajah ye thi ki woh dari hui thi ki kahin uske kapde oopar - neeche naa khisak gaye ho aur uski body ke wo parts reveal na ho gaye ho jinhe reveal nahi hona chahiye tha.



Jab usne dekha ki uske kapde theek hai to weh shaant ho gayi.


Aahna : "Time kya hua. .? "



Manav : "6 bajne wale honge.. room ka time bhi khatam hone wala hai. "


"Um," Aahna ne haan me sar hilaaya,
"Kal ke liye thank you so much Manav.. " โ˜บ



Manav : "Ah, it's nothing. Is tarah ki cheejen kabhi-kabhi ho jati hai" ๐Ÿ™‚

Woh khada hua aur kaha,

"Chalo breakfast ke liye kahin chalte hai!"



Aahna ne asmanjas me uski or dekha,

Aahna : "Tum thodi der so to lete..?" ๐Ÿ˜ณ



Manav ne naa me sar hilaya, :noo:

Manav : "I'm fine ..."



Display par time dekhkar Aahna ne kaha,

Aahna : "Abhi 6 bhi nahi baje. Tumhe thodi der so jana chaahiye. Hostel jaane ka bhi koi matlab nahi hai kyunki abhi bhi gates band honge. . so jao Manav! yahan ka mai dekh loongi. "


Usne Manav ke thake hue chehre ko dekha aur achanak use ehsaas hua ki ye.. pehli baar tha jab weh kisi ladke ke saath raat bhar akele rahi. .



Manav : :noo: "No need, aadhe ghante me 6 baj jayenge,"

Manav aise nahi so sakta tha jisme ek ladki use guard kar rahi ho aur woh.. sota rahe.




Khair.. Aahna ne apne expression badle aur kaha,


Aahna : "hmm.. chalo to fir gaate hai! " ๐Ÿคช




"Huh?" ๐Ÿ‘€ Manav thoda hairaan hua.



Aahna : "Humare paas abhi bhi aadha ghanta hai. Aur waise bhi hum ise waste kar rahe hain.. to kyu na singing hi kar lein. "


Aahna karaoke machine tak gayi aur kuch gaane select karne lagi.




Screen par pehla gaana aa gaya,


ใ€๏ผด๏ฝ…๏ฝ’๏ฝ…ใ€€๏ฝ๏ฝ’๏ฝ…ใ€‘


Kuch ghanton ki neend ke baad, Aahna ab tarotaaja mehsoos kar rahi thi. Usne bina sharmaye microphone uthaaya aur song ki melodies ke anusaar gaana gana shuru kar diya.



"Dil kho gaya, ho gaya kisi ka.., ๐ŸŽถ

Ab raasta mil gaya, khushi ka..
Aankhon mein hai khwab sa, kisi ka.. ๐ŸŽต" :singer:


Manav ne Aahna ki awaaz suni.. use nahi pata the ki aamtaur par serious rehne wali Class President, itna acha gaa bhi sakti hai!


"Ab raasta mil gaya, khushi ka.. ๐ŸŽต

Rishta naya rabba, dil chu raha hai,
Kheeche mujhe koi dore, teri ore.." ๐ŸŽถ :singer:



Pehle gaane ke baad, Aahna ne doosra gaana gana start kar diya.



Uski awaaj bahut madhur aur sunne me sukhad thi, aur.. uske chehre par chhayi cute muskan mahaul me jaise khushi ki leher la rahi thi.



Manav Aahna ki taraf face karke baith gaya aur usko gaate hue chupchaap dekhne laga.
Maanna to padega.., padhaku Class President karaoke me bhi honhaar thi.



"Sau aasmaano ko

Aur do jahaano ko
Chhod ke aayi tere paas" :singer:




Achanak Manav ke man me ek baat aayi,


Manav (man me ) : "Kya wo.. mere liye ye songs ga rahi hai?" ๐Ÿ‘€

...
...
...


Lagataar 3 songs gaane ke baad, Aahna ne achaanak ek aur microphone uthaya aur use Manav ko dete hue kaha,


Aahna : "Sing with me!" :wink:



Manav ne jaldi se apne haath naa me hilaye,

Manav : "Ah? No.. mai acha nahi gaa pata! "



Lekin Aahna ne utsaah se microphone ๐ŸŽค Manav ke haath me thama diya,

Aahna : "To saath gaate hai. Yahan bas hum donon hi hai, to kyu itna dar rahe ho! ?"



Puraana gaana,

ใ€๏ผฎ๏ฝ…๏ฝ…๏ฝŒ๏ฝ…ใ€€๏ฝ๏ฝ๏ฝ‚๏ฝ๏ฝ’ใ€€๏ฝ๏ฝ๏ฝ’ใ€‘


shuru ho gaya. Manav ko microphone pakadna pada aur fir usne awkwardly gaana :singer: start kar diya.



Kuch keh nahi sakte ki, kya uska potential nayi unchaiyon par pahunch gaya tha ya fir.. kuch aur hua tha.. lekin, Manav, jo poori raat soya nahi tha, bahut perfection ke saath gaana gaa raha tha.



Aahna ne khushi se apne haath hilakar usko protsahit kiya aur kaha,

Aahna : "Not bad! ab ek new song gaate hai, 'Apna Bana Le'! " ๐Ÿ˜„




Pehle to Manav ne mana karne ki koshish ki lekin aakhir me use gaane ko bahut ache se gaya. Gaane ka lagbhag har ek note usne bilkul perfect gaya tha.


Aahna : "Geez~! tum kitna acha gaa lete ho Manav! aiwen hi bol rahe the ki acha nahi gaa pata hehe! " :wink2:



Manav ko bhi yah ajeeb laga. Ek dum se uski vocal quality itni full aur broad kaise ho gayi thii??


Kya yeh... isliye tha, kyunki wo kaafi samay se Spirit Concentration Scroll ki saadhna kar raha tha?



Jab donon ne,

"Raataan Lambiyan"


ka ek aur duet khatam kiya aur next song choose karne hi wale the ki, achanak waiter ne darwaja khol diya aur andar aa gaya.



Waiter : "Excuse me, sir. Aapke room ka time poora ho gaya hai!"


Manav aur Aahna ko laga jaise unhone bas abhi abhi gaana start kiya ho.., ve aur gaana chaahte the. Lekin, aaj bhi unki classes thi, isliye singing continue rakhna possible nahi tha.


Donon ne ek-doosre ko dekha, muskuraye aur microphones neeche rakh diye. Phir, unhone apna samaan uthaya aur front desk par chek out ke liye chale gaye.



Aahna pay karna chaahti thi, lekin Manav ne use rok diya. Bhale hi wo Aahna ki wajah se raat bhar baahar tha, lekin phir bhi, weh kisi ladki ko uske liye pay kaise karne de sakta tha?



Karaoke se baahar aane ke baad, Aahna ne jor diya ki woh Manav ko breakfast karwayegi, jise Manav bas.. accept hi kar sakta tha.




Ve dubara Koshyโ€™s Restaurant gaye aur is baar donon paushtik breakfast kiya.


Phir Aahna ko peeche bitha Manav ne, university ke west entrance ki or cycle dauda di. West entrance gate se university campus me aakar ab ve south direction ki or hostel areas me jaa rahe the.



University ki subah bahut shant thi. Taazi hawa beh rahi thi, aur vaatavaran bhi kaafi sundar tha.


Back seat par baithi Aahna ke donon haathon ne Manav ki shirt ko pakad rakha tha aur.. uski khud ki body hawa ki direction me jhool rahi thi. Kuch der sochne ke baad usne apna sar Manav ki peeth par rakh diya.


[Jacket cycle ki basket me thi]


Manav : "Subah subah thodi thand hai. Tumhe meri jacket chaahiye? "



Aahna, Manav ki shirt ke maadhyam se Manav ki peeth ki garmahat mehsoos kar rahi thi,


Aahna : "it's fine... "
weh phusphusayi.



Kuch der chup rehne ke baad usne achanak kaha,

Aahna : "Aaj me bahut khush hoon. " ๐Ÿ˜‡



Manav : "Kya.. Class President?"


Manav use nahi sun saka kyunki ek to uska dhyaan cycle chalane par tha aur dusra, weh poori raat so nahi paaya tha isliye khud ko refresh karne ke liye, university ki taazi hawa me weh apne ander Spirit Concentration Scroll ko dohraha raha tha.



"Aaj ki singing bahut achi thi ! aur.. last night bhi! " โ˜บ
Aahna ne awaaj uthayi aur kaha.



Manav cycle chalane aur man hi man Scroll ka dhyaan karne me busy tha to usne laparwahi se jabaab diya,


Manav : "Oh ... I am glad ki tumhe acha laga!"



Aahna (man me) : "Idiot..."




โ€œOne, two ! One, two !โ€



Achaanak kahin aas-paas se, taal mel ke sath chillane ki awaaj aane lagi.



Aahna, joki peeche baithi hui thi, ne achanak Manav ki shirt kheechi aur usse jaldi me kaha,


Aahna : "Manav ! Turn fast! apna route change karo!!" ๐Ÿ˜ฌ



Manav : "Ehh, kya..?"


Cycle chalana, chehre par padti thandi hawa, Scroll, aur ye kahin paas se aarahi chillane ki awaajein..

In sab reasons se Manav fir ek baar theek se nahi sun paaya ki Aahna kya bol rahi hai.


Isi samay,


Basketball team ka captain, Rannvijay aka Rocky, jo ek paseene se poori geeli hui dry-fit sports T-shirt pehne hue tha aur.. paseene se tar batar ho rahi basketball team ko lead kar raha tha, Manav-Aahna ki or daud raha tha.


Aaj Manav ne pehli baar basketball team ke captain ka chehra dekha tha, isliye woh cycle ki speed ko bahut dheema kiye bina nahi reh saka. .



Kareeb 2 meter lamba "giant" Captain, madhyam speed se jogging karta hua team ko lead kar raha tha aur theek same time me usne bhi, cycle chala rahe Manav aur peechhe ki seat par baithi Aahna ko dekhne ke liye apna sar ghumaaya.



Apne bade bhai ko dekhte hue Aahna vichlit ho gayi thi. ๐Ÿ˜–



Subah ke kareeb 06:20 baj rahe the. Basketball team ke players ke alawa, jo apni subah ki running kar rah the, maximum students nishchit taur par abhi bhi so rahe honge.



Manav aur Aahna, university ke west entrance se aa rahe the.

West Entrance Gate se aane ka kya matlab tha?


West entrance ke paar, Central Square ke aaspaas bahut se restaurants aur hotels the.


Kya ye donon is samay baahar khana kha kar wapas aa rahe the??


Aahna ne apna sar neeche kar liya.. weh samajh nahi pa rahi thi ki ab kya kare..



Lekin uska bada bhai, Rannvijay, kewal bache - kuche 6-7 basketball players ko lead karte hue, 'one, two; one, two' chillate hue.. unki bicycle ke paas se bina ki expression ke, daudte hue nikal gaya.


Aahna apne bade bhai ko achchi tarah se jaanti thi, aur.. uska bina expression wala chehra... aksar uska sabse daraavna expression hota tha.



Jahan Aahna is waakye se ghabrayi hui thi, to wahin Manav ne apna sar ghumaya aur basketball team ko dekha jo ek lambi deewaar ki tarah aage badh rahi thi.


Usne dekha ki jin 6 basketball players team se baahar kar diya gaya tha, ve players subah ki is training me maujood nahi the.



Manav (man me ) : "Basketball team ke is captain... Rocky ne university punishment ki wajah se team ke 6 players kho diye.. ye shayad mujhse nafrat karta hoga... lekin.. aisa lag raha hai ki ye mujhe abhi tak personally nahi jaanta.."


Sochte hue Manav ne South entrance ki taraf cycle badha di.




Aahna (man me) : "Oh no.. shit! " ๐Ÿ˜–

Back seat par baithi Aahna iske alawa aur kuch naa soch saki..








Update yahin tak!

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,
๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„


To be continued.....
Lagta hai barish ka time hone wala hai mausam bigad gaya hai ab aage dekhte hai manav ki barish se bachegaa ki usme dobega
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Lagta hai barish ka time hone wala hai mausam bigad gaya hai ab aage dekhte hai manav ki barish se bachegaa ki usme dobega
Barish nhi dhamake ka time home wala h Yamraj@ bhaya :D
Ek baat Jo aap is story me notice karoge ki apne Manav ki badi tagdi kismat h ๐Ÿ˜‰
 
  • Love
Reactions: Level

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
  • Haha
Reactions: Arun Rathod11

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
โ€ขยฐUPDATE 68โ€ขยฐ


Recap -


Usne dekha ki jin 6 basketball players team se baahar kar diya gaya tha, ve players subah ki is training me maujood nahi the.



Manav (man me ) : "Basketball team ke is captain... Rocky ne university punishment ki wajah se team ke 6 players kho diye.. ye shayad mujhse nafrat karta hoga... lekin.. aisa lag raha hai ki ye mujhe abhi tak personally nahi jaanta.."


Sochte hue Manav ne South entrance ki taraf cycle badha di.




Aahna (man me) : "Oh no.. shit! " ๐Ÿ˜–

Back seat par baithi Aahna iske alawa aur kuch naa soch saki..





AB AAGE :-




Cycle ko bhagate hue Manav jaldi hi Aahna ko southern hostel area me le aaya.


Usne Aahna ko Girls Hostel Building No. 3 par chhoda aur phir Boys Hostel Building No. 7 me wapas laut aaya.



Hostel ka gate abhi - abhi hi khula tha, aur.. gate se warden ka dhyaan hat-te dekh, mauka paakar Manav chupke se hostel me ghus gaya.



Wo seedhe 3rd floor par gaya, aur apne room ka darwaja kholte hi usne dekha ki teeno mahapurush abhi bhi so rahe the. Jameen par kuch skewers sticks ๐Ÿข aur beer ki bottles padi hui thi.



Manav (man me) : "Ye log... " :sigh:


Weh chupchaap room ke andar aa gaya. andar aakar usne apna towel aur toothbrush uthaya, aur ab fresh up hone jaane wala tha.



Lekin, uska pair ek khali beer bottle se takra gaya, jiski awaaj sunkar Adarsh, jo lower berth me so raha tha, ki neend khul gayi.



Adarsh : "Uhm.. Abe Chodu ! tu aa gaya!! " :yawn:



"Uh.., haan..,"
Manav kewal haan hi kar sakta tha.



In donon ki baat sunkar Sameer aur Rupam bhi jaag gaye. Donon ne Manav ko dekha, joki ek haath me apni towel aur dusre haath me toothbrush pakde hue tha, aur usse turant poochha,



Sameer : "Sale chal shirt ho ja! Bata! Kal raat kya kya kand kiye?" ๐Ÿฅฑ



Rupam : " Han, han, bata! "



Toothbrush wale haath ko uthate hue Manav ne unhe rukne ka ishara kiya, โœ‹



Manav : "Mai.. wo.. "

Lekin weh kuch nahi kah saka..



Sameer, joki neend me tha, achaanak energetic ho gaya,


Sameer : "Class President aur tu.. tum donon to bahut aage badh gaye! Bol, bol" :hinthint:



"Chup be !! jab mai kal wapas aaya to hostel ka gate pehle hi band ho chuka tha, isliye.. . poori raat.. mai..internet cafe me games khelta raha..!,"
Kuch seconds sochne ke baad Manav ne kaha.



Rupam : "To kya.. Aahna bhi tere saath games khel rahi thi?" :D



Manav : "Woh ... wo mere sath kyu hogi..!? wo to.. wo to dinner karne ke baad chali gayi thi..! uske jaane ke baad mai kuch der yaha wahan tahalta raha aur.. hostel aane me late ho gaya! "



Apni upper berth par laita hua Sameer uth baitha aur ajeeb sa chehra banate hue Manav se pocha,


Sameer : "Hehe, agar kuch "romance" kiya hai to bate de.. chhipa mat! " :hinthint2:




Manav : "Sudhar ja tu!" :sigh:

Itna kehkar Manav ne apne nahane dhone ka baaki saman uthaya aur fatafat room se bahar nikal gaya.



Rupam, jo Sameer ke neeche ki berth par tha, ko Sameer ki atkalon par barosa nahi tha,



Rupam (man me) : "Class President jaisi beauty.. Manav chomu se itne jaldi Kaiser Pat jayegi..?? :hmm:


Halaanki, haal hi me hui kayi ghatnaon se use bhi vishwas ho gaya tha ki Manav ke andar kuch alag hi karishmaayi visheshtayein thi.



Manav ko jaldbaaji se room se bahar jaate dekh Adarsh ne aah bhari,


Adarsh : "Ladkiyon ke mamle me chutiye ki kismat kuch jyada hi chamak gayi hai.. " :sigh2:




Baharhaal..
Ve teenon bhi uthe, taiyaar hue, aur Manav ke saath classes ke liye nikal gaye.




Jab ve cafeteria ke paas se nikle to unhe, cycle ke saath Aahna mil gayi, jo unke paas se gujar rahi thi.



Aamtaur par Aahna apne classmates ko greet kar diya karti thi, lekin aaj weh jaldbaaji me unke paas se nikli.



Aage badh chuki Aahna ki sudoul peeth ko dekhte hue Sameer ne kisi intentions se Manav ko kohni maari. :akshay:



"Bahar bakwas nahi !," :nono:
Manav ne use warning di.



Ispar Sameer aur bhadde tarike se muskuraya,


Sameer : "Han.. han ..." :hinthint2:



Baharhaal jab ve chaaron classroom ke andar aaye to unhone paaya ki bahut se students kal shaam hue scientific lectures par discussion kar rahe the.



Manav ne Aahna ki or dekha. Woh.. dusri girls se baat kar rahi thi aur normal lag rahi thi.



Jab Armaan ne Manav ko andar aate dekha to jor se chillaya,

Armaan : "Kal raat tu kaha tha Manav!? Kal taash me bahut maja aa raha tha haha! !" :wave:




Armaan ki tej awaaj sunkar front rows me baithi ladkiyo ke sar awaaj ki disha me ghoom gaye..



"Abe wo to kal Class President ke saath lecture me gaya tha! Tere saath taash kaise khelta wo?? !โ€

Kuch logon, jinhe pata tha ki Aahna Manav ko lene aayi thi, ne kaha.




Manav : "Abe.. chupโ€ฆ! chup raho tum sab! ," ๐Ÿคซ


Manav, jo ab apni last row ki seat par baith gaya tha, un ๐Ÿ‘† ladkon ko chup karne ki koshish karne laga.



Khair.. jald hi Class start ho gayi.

Manav ne to socha tha ki ab sab kuch shaant ho jayega... lekin iske vipreet usne gaur ki, class me phusphusane ki awaaj badhne lagi thi.



Isi samay, Sameer ke paas ek message aaya, usne Manav ke kandhe par haath daala, aur ashcharya se poochha,



Sameer : "Oye ! ! tune to sach me Class President ke saath raat bita di!! mai to ab tak bas majaak kar raha tha!" :laugh:



Manav : "... tujhe kisne bataya? "



Sameer : "Aage baithi girls yahi baat kar rahi hai be. Bol rahi hai ki Aahna bhi kal raat hostel nahi aayi !! Aur.., kyuki warden ke room inspection ke time woh apne room me nahi thi, isliye uska naam Girls Hostel 3 ke noticeboard ki non-returned list me bhi likha jaa chuka hai!"


Itna bolkar Sameer ne Manav ko shock me ghoora aur poocha,



Sameer : "Sach sach bata kya.. tune sach me uske saath kand kar diya??! " :what1:




Manav : "Hattt be!!!" :slap:


Manav ne Sameer ke maathe par ek jordaar phatka laga diya.



Usne Aahna ki or dekha, jo front row me baithi apne notes bana rahi thi; use dekhkar lag nahi raha tha ki use apne aas paas ho rahe discussion ki koi parwah hai..


Achanak Manav ko ehsaas hua ki use kal raat ki situation thode better tareeke se deal karni chahiye thi.



Ladkiyon ke liye unki reputation.. , good image.., bahut maayne rakhta hai..
Khaaskar.... Aahna jaisi honhar ladkiyon ke liye.



Manav (man me) : "Scientific lectures ke liye saath jaana, ek saath dinner karna, aur.. oopar se ek saath hostel naa lautna..... Damn! koi bhi iska galat matlab nikaal lega. . " ๐Ÿ˜ฌ




Chetan abhi bhi is matter par discussion kar raha tha ki, achanak Manav ne apna sar uski or ghumaya aur kaha,


Manav : "Just STOP it guysS !! ab agar kisi ne is baare me aur baat ki to uski aur meri dosti yahi khatam !! " :mad1:



Shaant aur shaleen swabhaav wale Manav ko achanak se gussa hote dekh, Chetan aur doosre logon ne turant baat karna band kar diya aur.. Manav ko asmanjas se dekhne lage..


:what3: :what3: :what3: :what3: :what3:



Jab se Manav ne aadhi (1/2) basketball team ka akele safaya kiya hai, uski class aur Boys Hostel 7 ke sabhi ladkon ke man me uske prati bahut respect thi.


Bhale hi class ke kuch ladke Aahna ko pasand ya usse ek tarfa pyaar karte the aur Manav ko uske close hote dekh , Manav se jala karte the. Lekin, iske baavjood.. "powerful" Manav ki baat naa maan-ne ki, aur usse dosti todne ki himmat ab bhala kisme ho sakti thi. .?




Iske alawa, Manav ka sabse khaas dost Adarsh.., woh bhi asaani se kaabu me aane wala vyakti nahi tha. Na kewal university me uske kayi seniors & juniors dost the, balki basketball team ke strong players ko uski medical treatment ka kharcha bhi dena pada..; isse dusre students ko laga ki.. shayad ladaku aur dildaar Adarsh, kisi powerful background se talluk rakhta hoga. .



Jab Manav ne dekha ki saari baatcheet band ho gayi hai to, usne focus phir se adjust kiya aur aage baithi Aahna ko dekhne laga.


Manav ne dhyaan diya uske gaal ke saath saath kaan ๐Ÿ‘‚ bhi laal ho gaye the, aur.. aisa lag raha tha ki aas paas chal rahi gossip use pareshaan kar rahi thi.



Manav (man me) : "Acha rahega agar mai kuch time usse door hi rahu.. " :monkahmm:




Buzz ! Buzz ! Buzz !


Desk par rakha Manav ka moblie achanak se vibrate hone laga.



Manav ne apna phone uthaya to dekha ki.. unknown number se ek message aaya tha.



Usne message khola aur jo tha,


"India ki diamond capital kya hai?"




Manav (man me) :"Ab ye kon hai??" ๐Ÿ™„


Message padhkar Manav jhunjhla gaya.. kyuki uska mood pehle se hi kharaab tha. Aamtaur par, weh is tarah ke messages ko reply karna to door, fauran delete kar deta tha. Lekin pata nahi kis dhun me is bar.. usne message ka reply send kar diya,


"India ka shining diamond to mai hu!"



Buzz ! Buzz ! Buzz ! ๐Ÿ“ณ


Kuch seconds me, uske paas fir ek message aaya,


"Marna hai kya tumhe??? Seedhe se bata do, diamond capital kya hai? "




Message ki tone ko bhampte hue, Manav ko samajhne me der nahi lagi ki akhir... ye messages.. bhej kon raha tha,



Manav (man me) : โ€œAajkal ke bachche kitne high-tech ho gaye hai.. messages se cheating! ye Sani bahut bold hai..!" :sigh2:




Manav ne answer send kar diya,

"Surat. Ab khud se exam do. Mai kuch nahi bataunga."




Buzz ! Buzz ! Buzz ! ๐Ÿ“ณ


Thodi hi der me use ek aur message mila,


"Pir Panjal Range me kitne passes hai?"




"Ye pagal ladki ..." :sigh:


Waise to Manav reply nahi karna chahta tha, lekin.. reply naa karne ke result me usne Saanvi ke gusse ke baare me socha jo, baad me use hi jhelna tha.. aur.. isliye usne aakhirkaar.., apna message bhej diya,


"Rohtang La and Pir Panjal Pass. Ab mai kuch nahi batane wala. "




Turant Saanvi ka message aaya,

"Are.. ek aur pass hai! jaldi se batao"




Manav ne kuch seconds ke liye socha aur message bheja,

" Pangsau Pass ! mai ab reply nahi karunga. "




Buzz ! Buzz ! Buzz ! ๐Ÿ“ณ


Kuch minutes ke baad, uska mobile phir se vibrate hua.


Manav (man me) : "Sighs* ye pagal.. mujhe bhi pagal kar degi ..." :sweat:




Manav ne apna phone nikaala, aur.. waqai.. ye Saanvi ka hi message tha,


"Stupid! Pangsau Pass to Assam me hai. Mera answer wrong hone wala tha tumhari wajah se! "




Manav ne reply kiya

"Tumse questions nahi ban rahe to tum mujhe blame kyu kar rahi ho? ? Tum wrong answer karne ke hi layak ho! Ab apna exam do aur mujhse mat puchna kuch bhi! "



Saanvi ne fauran apna message bheja,

"Exam do kya? maine abhi abhi a
pni answer sheet submit kari hai. Ab to mai lunch kar rahi hoon"



Yeh... pehli baar tha jab Manav, lecture ke beech me Saanvi ko message kar raha tha.

Achanak usne mehsoos kiya ki Sani.. apni rudeness aur nakhron ke baavjood badi cute hai.



"Aur kitne exams bache hai?"

Manav ne Saanvi ke exams ke baare me socha aur apni chinta jatane ke liye ye ๐Ÿ‘† message bhej diya.



Waise bhi yeh.. khatarnaak chhoti ladki, aakhirkar.. uski "mangetar" thi. Iske alawa, Saanvi ke maata-pita ne pehle bhi kayi baar Manav ki madad ki thi. Isliye .. Manav, vaastav me, Saanvi ko ignore kar hi nahi sakta tha.




Kuch seconds me, happy emoji ke saath Saanvi ka ek naya message aa gaya,

"2 exams aur hai lunch ke baad. Physics and Chemistry ! Be ready! :>"




Manav (man me) : "Wahi to mai sochu ki iske messages, maarne se start hokar happy emoji par kaise aa gaye.. ye chaahti hai ki agle exams me mai, iski cheating me help karu.. " ๐Ÿ˜”



Manav ko aakhirkaar Saanvi ke man ki baat pata chal gayi thi. To, usne apna message bheja,

"Apni help khud karo! Be yourself and be Honest! "



Saanvi ne is message ka reply nahi kiya..;
shayad wo gussa ho gayi thi.



Khair..
Manav bhi uske saath bahas nahi karna chaahta tha, woh mobile haath me liye khidki se baahar dekhne laga;
Baahar, baarish ho rahi thi.



Manav (man me) : "2 exams aur... matlab.. uska school lagbhag 2 baje over ho jayega. Aaj meri aur classes bhi nahi hai to.., mai use pick karne ke liye uske school chala jaunga.. "

๐ŸŒง ๐Ÿ‘€







Update yahin tak.

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,
๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„


To be continued.....
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top