• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
11,040
70,200
259
•°UPDATE 59•°

Recap -

Adarsh ke khaatir, Manav kya sharmindgi aur kya apmaan.. sab kuch jhelne ko taiyaar tha. Jaahir hai.., university me Lakshya ke itne laaparwah vyavhaar ka kaaran bas yahi tha ki uske pita sahar ka deputy mayor tha.
Lekin phir bhi, yahan Manav ke naam-maatra ke hi sahi kintu bhaavi sasur, vaastav me Chennai University ke sabse bade shareholder the, aur.. unki company 'the Shaurya Group ' poore Asia ki economic leader thi !!
Iss background se kya kuch nahi ho sakta hai..?

Manav ne phaisla kiya ki wo ye sunishchit karenga university is ghatna ko nishpaksh roop se deal kare. Varna yah uske liye bada sharmnaak hoga..., aakhir woh itni badi shakhsiyat ka damaad jo thehra!

AB AAGE :-

Ant me, jab ve apne hostel ke room me laute to, un chaaron ko thoda nasha chadh chuka tha. Lekin phir bhi, Manav par utna nasha nahi chada aur chaaron ladkon me weh sabse shaant bhi tha.

Aaj hui tanaav bhari ghatnaon ke baad, Manav ko Adarsh ki dekhbhaal karne ke liye uske saath hi rehna chaahiye tha. Parantu, is samay, use apni dadi, jo haal hi me hospital se discharge hui thi, ki bahut yaad aa rahi thi. Saath hi, woh is matter par Uncle (Rajyavardhan) ki advice bhi lena chaahta tha. Isliye, usne study material ikattha kiya aur bus pakad Saanvi ke ghar ke liye ravana ho gaya.

Jab weh Saanvi ke ghar pahuncha to, shaam ke 7 baj chuke the. Avantika ne dinner ke baad kitchen ki saaf safaai bas kuch samay pehle hi khatam ki thi aur ab weh, TV dekh rahi Manav ki dadi ke paas aakar unse gapshap kar rahi thi.

Jaise hi Manav ghar me enter hua, wo apni dadi ke fresh, chamchamate aur behad healthy dikh rahe chehre ko dekh kar hairaan reh gaya. 😲

Bade aaram se couch par baithi dadi, Manav ko dekhkar bahut jyada khush to thodi hairaan bhi hui,

Dadi : "Manu..! hum abhi tumhare baare me hi baatein kar rahe the! mujhe laga aaj tum nahi aaoge. . " 😃

Manav : "Dadi wo.. university me kuch ho gaya tha, to mai wahan se jaldi nahi nikal paaya.. aap batao dadi! ab aap kaisa mehsoos kar rahi ho..?" 🙂

Dadi : " Haaha! pehle se bahut behtar! yahan tak ki mera blood pressure bhi normal level par aa gaya hai!" 😄

Dadi ma ki aawaj badi saaf aur spasht thi.

Darasal, iss samay dadi ma ka chehra bada tarotaaja dikh raha tha, unki haalat ek recover ho rahe mareej jaisi to bilkul bhi nahi thi. Iske ulat, ve to apni umr se kuch saal chhoti aur jawan bhi dikh rahi thi.

Dadi ke bagal me khadi Avantika, dadi - pote ki baatcheet sunkar muskura rahi thi.

Avantika ko tareef bhari nigahon se dekhte hue dadi ne aage kaha,

Dadi : "Aur aisa ho bhi kyu na!? 😄 Avantika ne mera bahut achchhe se khyaal rakha. Yein pichhle 2 dinon se daily, mere liye herb soup bana rahi hain, jisse meri body jaldi se recover ho gayi hai aur mai pehle ki tulna me stronger bhi mehsoos kar rahi hoon" 😊

Manav ko shak hua ki jaroor Aunty, herb soup me kuch elixirs* daal rahi hongi. Jitna jyada wo dadi ki refreshing muskan par gaur karta jaa raha tha, utna hi use apne shak par yakeen ho raha tha.
Iske alawa, Saanvi ke ghar ke sukhad mahool me dadi ka mood bahut achchha rehta tha, isliye bhi ve jaldi se recover ho gayi thi.

Khair.. jo bhi ho, yeh dekhkar ki uski dadi ki sehat bahut behtar thi, Manav ko aakhirkaar thodi raahat mehsoos hui.
Weh Avantika ki or muda aur poochha,

Manav : "Auntie, Sani kahan hai?"

Avantika : "Ve oopar apna homework kar rahi hain, aap unhe join karein. Aur.. tabtak mai aapki dadi ke saath kuch aur baatein kar lungi," 😊

Manav : "Okay!"

Apna samaan liye, Manav seedhiyan chadhne laga.

Seedhiyan chadhte hue woh, living room me maujood Auntie aur dadi ko dekhne ke liye peeche muda. 👀
Usne dekha ki, ve donon asaadharan roop se ghulmil gayi thi aur.. aisa lag raha tha jaise ki, khud ki bahu (Manav ki maa) ki tulna me dadi, Aunty ke jyada kareeb aa gayi thi. Donon ke beech ek alag hi lagaav se bhara hua, gehra rishta viksit ho gaya tha.

Manav (man me) : ".. Ye duniya bhi kitni ajeeb hai," :sigh2:

Jald hi, weh Saanvi ke bedroom ke darwaaje par khada tha. Usne chupchaap haule se dhakka dekar darwaaja khola, aur dekhta hai ki Saanvi apni study table par thi aur homework karne me busy thi.

Darwaaje ki awaaz sunkar, Saanvi ghoomi aur Manav ko dekh kar turant bura muh bana liya,

Saanvi : "Humph* !" 😤

Manav uske paas gaya aur uski kuch textbooks, jo usne padhne ke liye li thi, lautate he poocha,

Manav : "..Ab kya hua..? Ab maine aisa kya kar diya jo itna bhadak rahi ho..?" 😶

Apna muh fulaate hue Saanvi ne gusse se jabaab diya,

Saanvi : “Aaj mom ne dinner me tumhari bahut si favorite dishes banayi thi. Lekin tumne, bas ek call karke mom ko bol diya tum dinner karne nahi aa rahe ho! huh! Tumne mom ke itne efforts aur unke good intention ko bilkul waste kar diya! " 😠

Manav : ".. oh.. ?"

Jaise hi use Saanvi se ye sab pata chala, weh aashcharychakit aur Aunty ke prem ke prati bhavuk ho gaya tha.

"Aaj... university me kuch aisa ho gaya tha.. jisse mai nahi aa saka.. ,"

Explanation dete hue Manav Saanvi ke bagal me baith gaya aur apne bag se study material nikaalne laga.

Saanvi ne Manav ke explanation ko unsuna kar diya aur apne gaal phulana jaari rakha. Magar phir bhi, woh badi pyari lag rahi thi. 😍

Manav : "Tumhare midterm exams isi Friday se start ho rahe hai na? "

"Hmm," Saanvi ne halke se apna sar haan me hilaaya.

Usne ek ruffle layered printed top aur ek mid-length khaki pants pehni hui thi, jisme woh badi nikhri hui aur khoobsurat dikh rahi thi. Iss pehnawe ne uski cuteness ko aur bhi jyada badha diya tha.

Uski sunder petite body se shower lene ke baad ki halki bheeni khushboo aa rahi thi, jo Manav ki soonghne ki sensations ko thoda uttejit kar rahi thi.

Uske pehnawe ko dekh kar koi doubt nahi tha ki weh ek famous designer ki beti thi. Yahan tak ki uske casually matched kapde bhi bade shaandaar hote the, jaise ki abhi vartmaan ke!

"Chalo to phir midterms ki hi preparation karte hai,"
Notes kholte hue Manav ne sujhaav diya.

Saanvi dwara di gayi textbooks ko padhne ke baad, Manav ko ab Saanvi ki learning process ki spasht samajh thi aur ab weh exam ke lehaj se unn important topics ko pehchanne me saksham tha jin par Saanvi ko focus karna chahiye.

Isliye, ab woh Saanvi ko is tarah se padha sakte tha jisse use exam preparations me & achhe marks laane me direct help mil sake.

Ek baat jaroor gaur karne wali thi, weh ye ki humesha ki tarah is baar Saanvi ne bahas karne ki koshish nahi ki.. is baar usne chupchaap Manav ki baat maan li aur exam preparation ke liye taiyar ho gayi.

Manav ne mehsoos kiya ki aaj Saanvi vaastav me cheejon ko seekhne ki koshish kar rahi thi. Usko lagan se mehnat karta dekh, Manav asaani se bata sakta tha ki weh is baar ke mid term exams ko lekar serious thi.

Saanvi ko revision karwane ke liye Manav use, har ek subject ke important topics ko samjha raha tha. Aur important topics samjhate samjhate 2 ghante beet chuke the.

Manav ke saath Saanvi ka aaj ka tution session, ab tak ka sabse productive session saabit hua..

Achanak Manav ne revision karwana band kar diya aur Saanvi ki or mudkar kaha,

Manav : "Tumhe ab so jaana chaahiye.. ab mai apni dadi ke saath kuch time spend karunga."

"Okay..,"
Saanvi ne haan me sar hilaya,

Uska sar abhi bhi neeche tha, aur woh aaj ke revision notes ko arrange karne me talleen thi.

Saanvi ki aaj ki harkaton ne Manav ko achambhit kar diya tha. Ek second ke liye to use doubt bhi hua ki, kya uske paas baithi Saanvi vaastav me real Saanvi thi bhi ya nahi?!

Khair.. chupchaap woh uske bedroom se nikal gaya aur apni dadi se milne unke room me chala gaya.

Bistar par laiti hui dadi ma, abhi bhi jaag rahi thi maano ve Manav ke aane ka intjaar kar rahi thi.
Manav ke aate hi,

Dadi : "Ho gaya bete Sani ko padhana?" ☺

"Haan.. sab kuch to nahi padha paaya.. lekin hum agle kuch dinon me syllabus cover kar lenge,"
Manav jabaab dete hue dadi ke bed par baith gaya.

Dadi : "Manu.., mujhe lagta hai ki Sani ki family ke saath tumhara rishta utna bhi simple nahi hai jitna tumne bataya tha. .
Aur jab maine Avantika se is baare me poochha, to weh mujhse sirf yahi kehti rahi ki tum bas Sani ke tutor ho,"

Apna dhyaan Manav ke chehre par kendrit karte hue dadi ne sawal kiya,

Dadi : "Kya.. kuch aisa hai jo tum mujhse chhipa rahe ho Manu ! ??" 🤨

"Uh ... nahi..," Manav ne fauran apna sar naa me hilaaya,

Manav : " wo.. dadi mai bas.. iss family ke bahut close ho gaya hun." 🙂

"Acha theek hai.. . waise bhi, meri jaan bachane ke liye mai Avantika aur uski family ki bahut karjdaar hoon, isliye.. bete tumhe Sani ko padhane me apni poori koshish karni hogi,"
Dadi ne dheere se Manav ke kandhe par haath rakhte hue kaha.

Avantika ke ghar me bitaaye inn kuch dinon me, dadi ne mehsoos kiya ki Maurya's unke saath aisa vyavhaar kar rahe hai jaise ki weh unki sagi senior family member hon.
Jis tarah se ve sabhi unke prati itne respectful aur vicharasheel the, usse dadi ko vishwas ho chala tha ki Maurya's , vaastav me mahaan gunon (virtues) aur sanskaron wala parivaar tha.

Udaahran ke liye,

Sani har roj subah aur raat me, niyam se dadi ma ko greet kiya karti thi. Itna hi nahi, woh to har subah dadi ko breakfast ke liye jagane aati; aur har shaam school se ghar aane ke baad, dadi ma ko dekhne jaati aur unki jarooraton ke baare me poochti.
Kul milakar dadi ko Sani se bahut lagaav ho gaya tha. Dadi ki najaron me Sani bahut hi shaleen aur samajhdaar bachchi thi. :lol1:

Natijan, dadi ne man hi man phaisla kar liya tha ki bhale hi ve recover hokar, beach par stith apne ghar laut aaye lekin, phir bhi ve Avantika aur uski family ke saath apne sambandh kabhi nahi todegi.

Iske alawa, ve to apne bete (son) ko Maurya's se milawane ki planning tak kar rahi thi. Dadi ke anusaar koi fark nahi padta ki unke bete aur bahu ki bahut busy life thi, lekin ve donon Maurya's ke sath achchhe sambandh banaye rakhne ki koshish to kar hi sakte the.
Dadi ko ummeed thi ki donon families ke beech ki ye dosti kaayi peedhiyon tak chalegi.

To doosri or, dadi yeh bhi soch rahi thi ki kitne afsos ki baat hai ki Sani Manav se bahut chhoti thi aur isliye unn donon ke beech romantic feelings nahi panap sakti thi. Agar donon hum umr hote to, donon teenagers kitne shaandaar couple ban sakte the...
Dheere-dheere. , jaise-jaise dadi ki imagination aasmaan chhu rahi thi, unke dil aur dimag me purane jamane ke riti rivaaj aane lage jab shadi, 10-15 years ka age difference hone ke baavjood bhi ho jaaya karti thi.

Dadi ki imagination yahi par nahi ruki.. :sigh:
Ve to sochne lagi thi ki agar Avantika unki bahu ban jaati to kitna achha hota 🤣
Khair, aisa ho paana ab to sambhav nahi tha, phir bhi dadi ki soch me agar donon families shadi ke bandhan me bandh jaati to kitna acha rehta.. 🥰
Agar aisa ho jaata to donon families ke beech sambandh aur jyada pukhta aur majboot ho jate...

Dadi (man me) : "Badakismati se Sani.. Manav ki girlfriend banne ke liye bahut chhoti hai.. " :sigh2:

Nishchit roop se Manav ko dadi ki "crazy aur wild" imaginations ka kuch andaaja nahi tha. Uska dhyaan to, "thodi khamoshi aur thodi baatcheet " process me, dadi se apni college life ki baaton ko share karne par tha. Theek usi tarah jaise wo beach wale ghar par kiya karta tha.

Baharhaal, aise hi aadha (1/2) ghanta beet chuka tha, aur ab Manav ke university jaane ka samay ho gaya tha.

Halaanki Manav to apni university lautne ke liye taiyaar tha, lekin pyari dadi apne laadle pote se alag hone ke liye taiyaar nahi thi,

Dadi : "Manu..! Avantika ne kaha tha ki tum yahaan ruk sakte ho. Tum yahi mere saath ya attic me so sakte ho beta.. " 🥺

Dadi ka haath apne haathon me thame hue Manav ne uhne dilaasa dene ki koshish ki,

Manav : "It's okay.., dadi. Mujhe university wapas jaana chaahiye. Agar mai aise hi aksar baahar raha to yeh bhi theek nahi rahega..," 🙂

Asal me , woh abhi bhi Adatsh ko lekar chintit tha aur.. uska sath dene, use comfort dene wapas jaana chaahta tha.

Dadi : "Hmm.. sahi baat hai.. aise aksar baahar rahoge to tumhari studies par negative effect pad sakta hai.. theek hai! raat bahut ho gayi hai Manu beta.. ab tumhe jaana chahiye." ☺

Beshak dadi chaahti thi Manav raat, unke saath ruke. Magar ve yeh bhi nahi chaahti thi ki woh college me kharaab marks le aaye. .

Manav : "Haan. Aap bhi ab rest kariye dadi. Mai aapse milne kal aaunga," 😊

Manav bed se utha aur apni dadi ko bye bolkar, ek sarsari najar unke room ke har kone me daalte hue, room se bahar chala gaya.

Doosri manjil ke corridor (galiyare) se hi, Manav dekh sakta tha ki pehli manjil par, living room ke bagal wale study room ki light abhi bhi jal rahi thi;
Usne andaja lagaya ki Uncle abhi tak sone ke liye nahi gaye the. Apni ummeed ke mutabik seedhiyon se neeche utarte hue, Manav ne study room ka darwaja poora khula hua paaya. Andar, ek badi si shirt pehne hue Rajyavardhan, kuch files padhne me magn tha.

Darwaaje ke paas khade hokar Manav ne dheere se knock kiya.

Rajyavardhan ne sar uthakar oopar dekha. Jab usne Manav ko dekha, to usne haami me thoda sar hilaaya aur kaha, "Aaiye."

Manav : "Umm.. Uncle.. mujhe ek matter par aapki opinion (rai) chaahiye thi..,"

Jaise hi Manav study room ke andar aaya, usne ghadi ki or dekha aur paaya ki.. lagbhag 10 baj chuke the.

Manav ke anusaar Sani ke pita apne kathan aur karni, donon me humesha hi gambheer raha karte the.
Aur..., table par rakhe files ke dher ko dekh kar Manav bata sakta tha ki abhi filhal Uncle ka workload, bahut! bahut !! jyada tha.
Usne man hi man ummed ki, ki college ke itne chhote se matter par apna time waste hota dekh uncle kahi naraaj na ho jaye. .

Rajyavardhan : "Batayein?"

Rajyavardhan ne apne haathon me maujood files ko table par rakh diya aur seedhe Manav ko dekhne laga.

Manav : "Wo.. Uncle.. baat ye hai ki, aaj mere ek classmate ne university ki basketball team ke saath..…”
....
....
....

Manav ne Rajyavardhan ko poori ghatna ke baare me bataya, jismen usne iske sabhi kaaran aur sambhavit effects bhi bataye..

Apni chair par baitha Rajyavardhan, Manav ko dekhte hue, uski baaton ko aise chupchaap aur dhyaan lagaakar sun raha tha maano uske dimaag me khudka koi vichaar hi naa aa raha ho.

Manav ka apni baat khatam karne ke baad, aakhirkaar Rajyavardhan ne apna muh khola,

Rajyavardhan : "Itna hi? Aur fight me aap bhi involve the?”

Manav ne jabaab me apna sar haami me hila diya.
Use, Uncle ko apne pachde me involve karna aur usne help karne ke liye kehna bada awkward lag raha tha.
Waise bhi, Rajyavardhan koi uska pita to tha nahi.

Oopar se, Manav ne unhen pehle hi apni dadi ke liye pareshan kar diya tha, aur to aur, dadi ab unke ghar me reh rahi thi.
Manav humesha se hi maan, maryaada aur laaj rakhne wala ladka tha. Use ab chinta ho rahi thi aise baar baar help maange se kahin uncle use besharam ladka naa samajhne lage..

Rajyavardhan ne Manav ko dekhte hue neerasta se kaha,

Rajyavardhan : "Manu, aapko is tarah ke matters ke liye mere paas aane ki jaroorat nahi hai,"

Manav ka dil dhak reh gaya. Use laga ki jaisa usne socha tha , usne Uncle ke saamne apne good impression ka kachra kar diya tha.

Rajyavardhan : "Elder Vinod se baat kariye. "

Sharmindgi ke kaaran Manav ka chehra tamatar ki tarah laal ho raha tha.

Jaise hi weh uncle ko bye and goodnight kehne ke liye taiyaar hua, Rajyavardhan ne aage kaha,

Rajyavardhan : "Mai jald hi is baare me principal ko call kar dunga. Aapke classmate ka name Adarsh hai, correct?"

Manav ke man me ummeed ki ek kiran jagi. Uncle ko dekhte hue, jinka chehra bhaav viheen tha, lekin ve turant uski help karne ke liye maan gaye the, Manav ka dil aabhaar se bhar gaya,

Manav : "Ji.., Thank you so much, Uncle!" 😇

Rajyavardhan : "It's alright. Jitna kuch aapne bataya uske according, aap logon ka koi serious fault nahi tha. Aur mujhe university se ummeed hai ki wo in matters ko jyada nishpaksh roop se handle kar sakti hai. Anyways, aage aap careful rehna,"

Rajyavardhan ne ghadi ki or dekha aur aage kaha,
"Aap aaj raat yahin ruk rahe hai, right?"

Manav : "Nahi.. uncle.., mujhe ab university wapas jaana chaahiye,"

Rajyavardhan : "Yahan.. mujhe abhi bhi bahut kaam hai, agar aap khud se university chale jaaye to kya ye aapke liye theek rahega ?"

Manav : "Ji Uncle! And thanks once again!” 😇😊

Manav muda aur utsaahit hote hue Study room se baahar chala gaya.

Jab woh Saanvi ke bedroom se apna samaan lene dubara second floor par gaya , to usne paaya ki Saanvi padhai karte hue apni desk par hi so gayi thi.

Manav bina awaaj kiye apne panjon ke bal desk ki or badha aur desk ke paas pahuchkar chupchaap Saanvi ke chehre aur uske haathon ko dekhne laga, jo desk ke against dabe jaane se laal ho gaye the.

Manav (man me) : "For sure..ye apne midterms ke liye bahut mehnat kar rahi hai" 🙂

Manav ne Saanvi ko apni study ke prati itna serious pehle kabhi nahi dekha tha.

Use itne sukoon se sota hua dekhkar, Manav use jagana nahi chaahta tha.
Halaanki, use is baat ki bhi chinta thi ki aise hi sote rehne se Saanvi ko sardi baith sakti thi aur peeth me dard bhi ho sakta tha.
Isliye, ek pal ke vichaar ke baad, Manav neeche jhuka, ek haath usne Saanvi ke ghutno ke neeche lagaya aur doosra haath uski peeth par rakhte hue, dheere se use oopar utha liya
.

Aisa lag raha tha ki Saanvi gehri neend me thi kyunki Manav ke use uthaaye jaane se weh bilkul bhi nahi jaagi. . uski aankhen band thi, aur saansein shaant.

Saanvi ko uthaye hue, jo kisi soft teddy bear ki tarah mulayam thi, Manav uski body se aati meethi khushboo me dooba hua tha. Khair, bed ke paas pahuchte hi turant usne Saanvi ko dhyaan se bed par lita diya aur kambal ouda diya.
Phir, usne bina awaaj kare apni cheejen uthayi aur dabe paav darwaaje ke paas pahuch gaya. Isse pehle ki woh bedroom se baahar nikalta aur room ka darwaja band karta, usne room ki sabhi lights off ki aur ek nightlight on kar di. .

Lekin,

Jaise hi kamre ka darwaaja band hua, Saanvi, joki "gehri neend" me thi, ne dheere se apni aankhen kholi , 👁👁
Laal rang ki ek laali parat ne turant uske chehre ko dhank liya tha. .

"Idiot ..." :fishy:
Woh dheere se apne dil me phusphusayi.

Aur iske saath hi update yahi par khatam hota hai..

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To be continued.....
Lol ha ha ha idiot .....ha ha ha wo ek good night kiss expect kar rahi thi....
But ye lounda bhi ajeeb h apne sasur se he fight ke pange mai help le li lol ....
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
11,040
70,200
259
•°UPDATE 60•°

Rajyavardhan ke shabd Manav ke liye avishvasniye roop se aashvast karne wale the. Chunki hostel ke band hone me abhi thoda time baaki tha, Manav ne jaldi se ek taxi pakdi aur university ki or badh gaya.

To wahin, is samay, room number 302 me kareeb 1 darjan se jyada ladke jama the. Ye sabhi.. aas paas ke rooms ke students the.

Bunk beds, chairs aur tables par baithe ve sabhi ladke, is situation se nipatne ke liye koi na kli solution doondhne ki koshish kar rahe the.

Manav ko room ke andar aate dekh, Chetan ne usse sawal kiya,

Chetan : "Tu.. itna late kahan ho gaya ?" 🤨

Manav : "Mai tution padhane gaya tha..,"

Chetan : "Hadd hoti hai bc! yahan Adarsh university se expel hone wala hai, aur tujhe tution padhane ki padi thi?" 😒

Chetan thoda chidh gaya tha.

Study material ko apni table par rakhte hue Manav, Chetan ki or muda aur serious hote hue usse poocha,

Manav : "Kisne kaha ki Adarsh expel ho raha hai?" 🤨

Chetan : "Maine Student Council ke apne kuch doston se suna hai. Unhone bataya ki, university is incident ko lekar bahut serious hai aur ise bade strictly handle karne wali hai, "

Boys Hostel Building number 7 me information jutane ke liye Chetan sabse achchha source maana jata tha, aur.. sabka uspar vishwas kuch aisa tha ki koi, kabhi bhi uski news headlines par sawal nahi uthayega.

Khair Chetan ne aage kaha,
“Tujhe pata to hoga hi ki strictly handle karne se ka unka kya matlab hai; bina kisi powerful connection wale ek ordinary student (Adarsh) par saara blame daal diya jayega"

Ritik : "Exactly! aisa pehle bhi ho chuka hai; ek ladke aur basketball team ki court use karne ko lekar behas ho gayi thi, aur wo case itna serious bhi nahi tha jitna ki Adarsh ka hai. Lekin phir bhi, ladke ko disciplinary warning mili. " :sigh:

Manav : "Fir to mujhe bhi punish kiya jayega! mai bhi to ladayi me involved tha. ," :hmm:

"Tu safe rahega!" :noo: Chetan ne aage kaha,
“Student Council ke mere doston ne bataya ki ladayi ke nature ko examine kiya jayega. Aur ladayi start karne wale ki galati sabse jyada maani jaayegi. Tera intention to beech bachav karne ka tha lekin tu, naa chaahte hue bhi ladayi me ulajh gaya aur doosron ko ghaayal kar diya.. to teri itni badi galti nahi thi..
Ab jab donon groups ki barabar galti hai, to ladayi start karne wale group ko kathor punishment milega. Aur.. waise bhi, hum sabko acchi tarah pata hai ki university, humesha basketball team ka favour karegi. "

Chetan ki baaton se sabke chehron par nirasha chha gayi. Apne bed par baitha Adarsh, samajh nahi pa raha tha ki ab wo kahe to kahe kya...

Boys hostel building number 7 ke ladkon ke beech Adarsh kaafi popular tha. Weh bebaak, straight forward, sensible aur bahut milansaar ladka tha. Isliye, yeh jaankar ki uski university se permanently chhutti hone wali hai, sabhi ladke bade pareshaan aur chintit the.

Arman : "Agar Adarsh, is tarah ke reason par expel hota hai to apan protest ka..."

Manav : "Guys...! Guys! Listenn!! is baare me baat karne ka koi faaida nahi hai. Tum sab ab apne apne rooms me jao aur thoda rest karo," ✋🙋‍♂️

"Manav sahi bol raha hai. Jao tum log, meri chinta mat karo! ab jo hoga dekha jayega iski bhen ka lund”
Adarsh utha aur bheed ko room se baahar nikaalna shuru kar diya.

Yeh jaante hue ki Adarsh ke saame muh latkaye rehne se ve uski help to nahi, balki uski pareshaani, uski anxiety aur bhi jyada badha denge, sabhi ladkon ne room 302 khali karna shuru kar diya.

Ab ant me jab chaaron dost room me akele bach gaye to, room me turant sannata chha gaya. Ek-Ek karke ve sab apne-apne bistar par chale gaye.

Apni upper berth par laite hue Manav ne, apne se neechi berth par rest kar rahe Adarsh se kaha,

Manav : "Adarsh, tu chinta mat kar! sab kuch achcha hi hoga."

"haaha," Jabaab me Adarsh kewal kadvi hansi has kar reh gaya. Use to vishwas ho chala tha kal uski college life ka aakhiri din hoga...

"Tune apne parents ko is baare me bataya?" Sameer ne chinta jatayi.

Adarsh : "nah.. ii... "

Sameer ke neeche wali barth par se Rupam chillaya,

Rupam : "Abe apan basketball team ke khilaaf case file bhi to kar sakte hai! Juniors ko bully karne ke jurm me!!!"

"Chutiyapa mat kar. Basketball team ko protect karne ke liye university management kuch bhi kar lega," 😔
Apne haathon me ek sikke (coin) ke saath khelte hue, Adarsh ne shaanti se kaha.

Adarsh : "Bahut hua! Ab tum log bhi so jao! Kal ka, kal dekh lenge!

Adarsh ne jor se switch par haath maarkar light band kar di.

Bhari man se us raat phir koi, kuch nahi bola.

Agle din,

Adarsh humesha ki tarah Manav aur anya doston ke saath class me gaya. Halaanki, jitna jyada woh Sameer aur dusre ladkon ke saath hansi-majak karta, utna hi jyada uske classmates bata sakte the ki weh asal me, andar se chinta se bhara hua tha.

Aakhirkaar.., ab weh kewal university official statement ka wait karne ke alawa aur kar bhi kya sakta tha.

Apni subah ki classes attend karne ke baad Manav, sabhi doston ke saath lunch karne nahi gaya.
Balki weh chhipte chhupate, chupke se Administrative Building me ghus gaya.
Aur ab woh Vice Principal Vinod Bedi se milne, building ki 6th floor par ja raha tha.

Is baar Manav, Elder Vinod ka business card bhi saath laaya tha.
Is tarah, agar by change Elder Vinod apne office me nahi bhi hote, to woh direct call 📞 karke unse baat kar sakta tha.

knock, knock...

Jaise hi Manav ne dheere se darwaaje khatkhatana shuru kiya, andar se Vinod ki aawaaj aayi,

Vinod : "Please come in."

Manav ne darwaaja khola aur andar chala gaya. Usne dekha ki, Elder Vinod apni table-chair par baithe the aur kuch documents dekh rahe the.

Manav : "Hello, Eld... Principal Sir"

Jis pal usne apna muh khola, use samajh nahi aaya ki use, unhe Elder Vinod ya phir principal sir... kya bolkar sambodhit karna chaahiye.

Vinod ne apne saamne wali chair ki or ishara karte hue vinamrta se kaha,

Vinod : "Shree maan Manav Shisht, aaiye.. baithiye,"

Manav ne darwaja band kar diya aur bechaini se unke saamne jakar baith gaya.

Manav : "Aap.. mujhe mere naam se bula sakte hai." 😶

Vice Principal ke roop me Vinod Bedi ke saath yeh uski pehli baatcheet thi. Iske alawa, filhal ye baatcheet university ke Vice Principal ke office me ho rahi thi.

Manav ne kabhi nahi socha tha ki woh ek din university management team ke high-rank personnel (karmchaari) se direct baat karega.

"Hehe, theek hai" 😊
Vinod ne muskarate hue haan me sar hilaya.

"Uhm.. mai yahaan.. aapse kal hui ladayi ke baare me baat karne aaya hun,"
Manav seedhe mudde par aaya,
"Mujhe lagta hai ki apko pehle se pata hoga ki.. ladayi me mai bhi involved tha. Aur.. aisa lagta hai university, us student ko strictly punish karne ki planning kar rahi hai jisne ladayi start ki thi. Aap kuch kariye.. wo student mera ek achchha friend hai aur mai… ”

"Is baare me,"
Vinod ne Manav ko beech me hi roka aur kaha,

"Aaj university affair meeting me, already discussion ho chuka hai. University ke perspective (drishtikon) se, aisi ghatnayein poori university ki spirit aur discipline ko affect kar sakti hai. Isliye, humen is incident ko seriously handle karna chahiye."

"oh..?"
Vinod ki baaton se Manav ka man bhari ho gaya. Use laga ki shayad .. Rajyavardhan uncle ki call se university par kuch fark nahi pada hai..

Achanak Vinod ne baatcheet ka mudda Manav ko bana diya,

Vinod : "Apko kya lagta hai.. is incident ko kaise handle karna chaahiye?" 🙂

Aadhe second ke liye Manav jhijhka, phir bola,

Manav : "Mujhe lagta hai ki, uksaane ki pehel pehle basketball team ne hi ki thi, aur.. Adarsh ke paas unse ladne ke alawa koi dusra option nahi tha. Isliye ladayi start karne me sabse jyaada galti basketball team ki hi thi. And, kayi students bhi basketball team ke behaviour se pareshan hai. Jab team ke paas khud ki training facility hai to wo kyu other students ko bully karke outdoor basketball courts le leti hai... ?"

Vinod ne muskurate hue Manav ki aankhon me dekha aur use toka,

Vinod : "Aapko mujhe apna tark dene ki jarurat nahi hai. Bas mujhe ye batayiye ki aap ise kaise handle karte? " ☺

Manav : "Adarsh ki jyada galti nahi thi. Oopar se wo to team ke joint attacks se ghaayal bhi ho gaya hai. Jyada se jyada use, Guidance Counsellor se kuch advice aur discipline ki jaroorat hai. Aur.. basketball team members ke liye, aise rules hona chaahiye jisse ki ve outdoor basketball courts, jo ki regular students ke liye hai, use naa karein. Iske alawa, unhone ek saath ek student par hamla kiya tha to, unhen apne actions ke liye expel na sahi, atleast disciplinary punishment to milni hi chaahiye,"

Manav ko dekhte hue, Vinod kuch seconds ke liye chup ho gaya. Phir achaanak usne apna sar haan me hilaaya aur kaha,

Vinod : "Good, to jaisa apne kaha hai, waisa hi karte hai." :approve:

Vinod ki pratikriya se hairaan hokar Manav ne uski or dekha. 😳
Woh to bas kuch suggestions dena chaahta tha aur Adarsh ko expel hone se rokna chaahta tha. Usne bilkul bhi ummeed nahi ki thi ki usne jo jo kaha tha, uske aadhaar par Elder Vinod koi decision bhi le lenge..

Vinod : "Actually, Principal to isko lekar strict decision lena chaahte the,"

Shayad Vinod ne, Manav ke man me uth rahe vicharon ko padh liya tha. Wo aage ki aur jhuka aur Manav se poocha,

Vinod : "Aapne miss Sani ke dad se phone call karne ke liye kaha tha, am i right ?" :hinthint:

Manav ne dheere se haami me sar hilaaya.

“Boss bahut busy hai, koshish kariyega ki future me aap unhe aisi chhoti-chhoti baaton ko lekar pareshan na karein. Aaj ki meeting me jab principal ne clearly kaha ki, decision regular students ke favour me hona chaahiye to, mai turant samajh gaya tha ki ho na ho boss ne silently, principal par apna prabhaav dala hoga." :laughing:
Vinod ne hanste hue kaha.

Manav : "wo.. mujhe bahut chinta ho rahi thi.. " :?:

Usne explain karne ki koshish ki.

"Haaha," 😄
Vinod ne Manav ko bade kind aur friendly tareeke se dekha,

"To aap already second level ko clear kar chuke hai?" 😊

Manav : "Haan, kuch din pehle hi clear hua hai. "

"Good job," ☺
Vinod bahut khush lag raha tha,
"Maine kabhi nahi socha tha ki Ms. Shalini, aise personally kisi ko sadhna me help karne ke liye taiyaar hongi. Mere knowledge me ve, second Best Master hai jinhe mai jaanta hun. Unse seekhkar aap definitely tezi se
progess kar lenge." 😇

Manav ne socha ki Number 1 Master yakeenan Saanvi ke chhote chachu - Indrasen Maurya- hi honge.
Parantu, Manav ne Indrasen ke hinsak & ugra swabhaav ka experience kar liya tha aur.. use chhote chachu se kisi bhi tarah ki help ya guidance milne ki koi ummeed nahi thi. :sigh2:

Khair.. chair se uth-te hue Manav ne kaha,

Manav : "Meri afternoon me aur bhi classes hai. . mujhe ab jaana chaahiye,"

Vice Principal ke office me jyaada der rukna, use asahaj kar raha tha.

"Go ..." Vinod ne casually wave dete hue kaha.

Administrative Building se baahar nikalne ke baad wo cafeteria me lunch karne ke liye chala gaya. Lunch karne ke baad weh samay se apni class me wapas laut aaya.

Subah se jabardasti muskurane aur normal vyavhar karne ke baad Adarsh, dophar tak behad bechain ho gaya tha. Usne kuch books ka ek takiya banaya aur uspar sar rakhkar jhapki lene ki koshish karne laga.

“Breaking news ! Breaking news !!”

Class start hone ke kuch minutes pehle, Chetan, apne donon haathon ko hawa me lehraate hue classroom me ghusa aur chillaaya,

Chetan : "Disciplinary punishment ka notice aa gaya hai !!" 🙌

"Oh..!?"
Class President Aahna sahit class ke sabhi students ne utsukta aur chinta se Chetan ki or dekha.

Jahir hai.. Adarsh ka sar bhi turant desk se uchhal kar Chetan ki taraf ho gaya.

“Notice, Administrative Building ki first floor ke noticeboard par laga diya gaya hai!
Basketball team ke students jo ladayi me involved the: 4 ko disciplinary measures mile hai, 2 ko verbal warning di gayi hai, aur.. in sabhi ko basketball team se temporarily remove kar diya gaya hai! Iske alawa, unn sabhi ko Adarsh ki medical treatment ka kharcha bhi pay karna hoga..!! :happy:
Sabse important baat to ye hai ki Adarsh ko kuch punishment nahi mila ! aur.. naa hi Manav ko!!!" :toohappy:
Chetan utsaah se chillaaya.

Update yahin tak!

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To be continued.....
Power. Dikha diya lounde ne gajab kayde se lagi basketball team ki ab hawa mai nahi udenge jayda ....lol hero giri khatamho gayi ab unki
 
•°UPDATE 61•°

Chetan ne aage kaha,

Chetan : "Aurr ! Aur! :laugh: university ne clear kar diya hai ki ab se bina permission ke basketball team, outdoor basketball courts use nahi karegi. Agar, courts ke use ko lekar phir se kuch hota hai to, related basketball players ko strictly punish kiya jayega! " :happy:

Khabrilal Chetan se tazi khabar sunkar poori class achambhit thi. Kahan... sabko lag raha tha ki Adarsh ka to 'the end' ho jayega..
Lekin yahan to use, punishment to chhodo, verbal warning tak nahi mili. .
Aur itna hi nahi, basketball team ke members jo bechare ghaayal ho gaye the, ab unhen Adarsh ko uski treatment ka kharcha alag dena pad raha tha.

....
....
....

"Ooo.. teriiii ... kya Adarsh kisi powerful background se hai?!!!" :what1:

"Hmm ... Tabhi wo dukhi hone ki bajaay subah se hi masti majak kar raha tha..!!" :approve:

"Mujhe to lagta hai ki uske relatives politicians ya government officials honge?" :hmm:

"Kya Chetan majak kar raha hai..?!!! University ne basketball team ko kaise punish kar diya..?!! ye.. to bilkul impossible tha.." :what3:

....
....
....

Turant, classroom me charcha chhid gayi aur.. classroom ke sabhi konon se khusur phusur ki aawajein aane lagi.

Khud Adarsh ko bhi is khabar par vishwas nahi ho raha tha. Usne socha ki kahi usne kuch galat to nahi sun liya hai ??
Apne classmates ki atakalon ke vipreet, aaj subah se hi wo shant aur khush rehne ki bharsarak koshish kar raha tha.
Aisa karke woh khud ko kamjor nahi dikhana chahta tha. Aakhir.., uske paas naa to is problem ka koi solution tha aur naahi koi shandaar background..

Yeh dekhkar ki log uski news par vishwas nahi kar paar rahe hai, Chetan ne apna mobile nikaala aur uski screen sabko dikhate hue bola,

Chetan : "Mere paas notice ki photo hai jo mere ek friend ne send kari thi! Jis jis ko meri baaton par believe nahi ho raha hai wo Administrative Building jakar khud dekh le !! 📱

" Mujhe dikha to ! " :itsme:
" Abe pehle yahan dikha!!"
...
...
Londe chillane lage.

Chetan ne apna mobile unhen de diya. Ek-Ek karke, ladkon ke chehre par hairani fir khushi aur ant me, vishwas wale bhaav aate gaye.

Jahan tak Aahna ki baat hai to woh.. sabse aage baithi thi. Uski bhauhen halki si tani hui thi aur woh apne honthon ko chabate hue, class ke ladko ko jhumte & excited hote dekh rahi thi.

Darasal, Adarsh ko bachane ke liye usne university management team se baat bhi ki thi. Lekin phir bhi, use ummeed nahi thi ki university aise.. poori tarah se Adarsh ka favour karegi. Iske alaawa, jaisa ki usne socha tha ki ladayi me donon group shamil the to aaj saja bhi dono ko milegi. Lekin iske vipreet university ne sirf basketball team ko punishment di..

Ab jab, Vellore University ke saath test match kareeb tha, , to weh samajh nahi pa rahi thi ki aakhir.. university ne aisa , ek tarfa decision kyon liya hoga..

Ladayi me shamil team members me se 6 ko team se hata diya gaya tha. Aahna to andaja bhi nahi laga sakti thi ki isse uske bhai ki basketball team par kitna bura asar padega..
Haath me apni pen ghumate hue Aahna badi chintit thi.

Is samay, weh Adarsh aur Manav ke baare me chinta nahi kar rahi thi. Balki use to fikr ho rahi thi ki university ke iss decision par uska bhai kaise react karega.

Baharhaal, kuch hi der me professor class me enter hue aur sabki lagatar ho rahi baaton par viram lag gaya. Halaanki, lecture ke dauran phusphusahat phir bhi sunai de rahi thi.

Sameer aur Rupam jo sabse peechhe baithe the, ve donon aapas me bade utsaah se baat kar rahe the.

Khaaskar Sameer, jiska chehra to khushi se laal ho gaya tha. Usne bamushkil apni aawaaj dheemi karte hue chillaya,

Sameer : "Haar kar jeetne wale ko hi baazigar kehte hai!! to Adarsh baazigar aaj tujhe party to deni hi padegi!" :hinthint2:

Adarsh : "Bhenchooood! mujhe khud nahi pata ki ye sab kya aur kaise ho gaya." :what1:

Ye khushiyon ki leher bahut jaldi aur achanak aayi thi. Halaanki Adarsh abhi bhi thoda confuse tha, lekin woh apne chehre par chhayi, khili hui muskaan ko nahi chippa saka. :mahboi:

Iske alawa, university ke aise decision ko lekar Adarsh khud ko explain nahi karna chaahta tha kyuki.. use ghanta parwaah nahi thi log use kisi powerful background wala maane ya fir na maane..

Poori class me akela Manav hi aisa jo jaanta tha ki asal me ho kya raha tha. .
Haan lekin phir bhi, woh iska credit nahi lena chaahta tha.
Jab tak uska dost Adarsh theek aur safe tha, woh khush tha.

Aakhirkaar, basketball team ke belagam ghodo ko acha sabak mil gaya tha.

Ab Manav ne is news par Lakshya ki reaction ko imagine karna shuru kar diya. Kal tak to woh (Lakshya) kuch jyada hi confident tha ...

Class khatam hone ke baad, sab log Adarsh ke liye cheer kar rahe the aur usko bol rahe the ki atleast sabko chai party hi dede. Chunki Adarsh khud bhi bahut masti ke mood me tha to wo turant maan gaya.
Isliye.., ant me, class ke sabhi students ko is good news ke avsar par Adarsh ki taraf se chai party mili.

Dopaher ke 4 baje, Adarsh ne ladkon ko computer games bhi khilaye. Iske liye, badi sankhya me ladkon ki bheed Central Square par, internet cafes ki or badhi thi.

Ek baar phir se, Manav ne bahana bana diya aur doston ko bheed me shaamil nahi hua. Internet cafe jaane ki bajaay, weh chupchaap Academic Building F me chala gaya.

Is baar, Ms. Shalini ke office me jaane se pehle usne sunishchit kiya ki kahi koi uska peechha to nahi kar raha hai.

Ms. Shalini ke office ka darwaaja band nahi tha maano ve uska hi wait kar rahi ho.
Jab Manav andar aaya, to usne dekha ki Shalini ne apni aankhein kaskar band kar rakhi thi aur poori tarah se apni sadhna me doobi hui thi.

Dheere se, usne darwaja band kiya aur Shalini ke saamne wali chair par baith gaya. Weh use disturb nahi karna chaahta tha, Isliye chair par baithe baithe usne chupchaap Spirit Concentration Scroll ki practice karna shuru kar diya.

Uske pet me maujood dragon core se halki enery ka visphot hua aur energy, uski nabhi se behte hue uske chest ke acupoints tak pahuch gayi. Iske baad energy, gale, chehre, aur sar ke acupoints tak badh gayi, aur fir peeth, pairon ke acupoints se hote hue energy, wapas se uski nabhi me sama rahi thi.

Energy flow ki iss continuous cycle se, aisa lag raha tha jaise ki uski body ka poshan ho raha ho aur.. energy ke is poshan se weh avishwasniye roop se behad halka aur sahaj mehsoos kar raha tha. 😌
Iske alawa Shalini ka office, building ke bahar ke lawn aur garden ki or face kiye hue tha. Baahar se aati tazi hawa aur shaant vaatavaran ke saath ye office, vaastav me, university campus me sadhna ke liye ek perfect jagah thi.

Ye komal aur garm energy, uski aadhi body me bhar gayi thi aur ab Manav, ise aur jyada absorb nahi kar paa raha tha. Isiliye, naa chaahte hue bhi usne apni aankhein khol li.

Apni aankhein kholne par Manav ne dekha ki, Shalini ne bhi apni sadhna poori kar li thi aur ab weh apni chair par baithe baithe, shaanti se use dekh rahi thi. :smile2:

Background me brown colour ke mankon (beads) wale parde hone ke kaaran, Shalini, jo ki light colour ke kapdon me thi, aisi lag rahi thi jaise ki woh kisi pracheen painting ki ek apsara ho. .

Calmly, usne apna komal haath uthaya aur table par rakha teapot utha liya. Apni ungliyon ko thoda ghumakar teapot ke handle par kaste hue, usne chamkeele hare rang ki chai ko safed jade se bane 2 crystal clear cups me daalna shuru kiya.

Shalini : "Please." ☕

Manav ne apna sar haami me hilaaya aur chai ka cup utha liya. Jaise hi usne ek chhoti si chuski li, usne mehsoos kiya ki iss chai ki khushbu uske muh ki jadon tak sama gayi thi. Jaise jaise wo apni chai peeta jaa raha tha uska poora shareer halka aur phurteela hota ja raha tha.

Apni delicate safed kalayi to haule se twist karte hue Shalini ne bade elegantly cup uthaya aur, chai ki chuskiya lene lagi.

Kamre me sannata chha gaya tha. Khidki se halki hawa aa rahi thi aur poore kamre me thandak phaila rahi thi.

Khair apne beech ki chuppi ko todne ki koshish karte hue Manav ne kaha,

Manav : "University me hue ek incident ke kaaran mai.. kal nahi aa paya..," :?:

"Mujhe koi matlab nahi hai" :sigh: Shalini ne thandpan se kaha.

Ab jab uske genuine bahane ko turant reject kar diya gaya to Manav ab, aur kya hi bol sakta tha. Phir bhi, thoda sochne par use baatcheet karne ka ek aur topic mil gaya,

Manav : "Last time jab mai Sani ki family ke saath Maha-bodhi Parvat par gaya tha, to maine choti par sthit Buddhist Temple me, ek patthar ke shila-lekh ko dekha tha. Lekin.. uspar likha hui jyadatar baatein mujhe samajh me nahi aayi.. "

Shalini : "Well.. agar tumhe uspar likhi hui cheejen yaad hai to, mujhe suna sakte ho. "

Jis pal wo us shila-lekh ke saamne khada tha, us pal ko yaad karne ke baad, ab weh Shalini ko uspar likhi baatein sunane ke liye poori tarah se taiyar tha.

...
**(update - 27)**
...

Shalini ke ek ek shabd ko bade dhyaan se suna. Jab Manav ka bolna khatam hua to usne samjhaya,

Shalini : "Aisa kaha jata hai ki yeh shila-lekh Bodhisattva Ashwabhuti ne heaven jaane se pehle likha tha. Maanyata hai ki ye 'Sansaar ke Sar' ko lekar unka bahumulya gyaan tha, isliye is shila-lekh ki history bahut purani hai.
Halaanki, pichhli kayi centuries me, koi bhi iske wording ko poori tarah se samajh nahi paaya hai. Isliye, bhale hi iske baare me anuman sabhi log jaante hai, lekin iska kuch jyada use nahi hai. "

Manav (man me) : "Koi bhi ise poori tarah se samajh nahi paaya hai..? aur idhar maine iski wajah se, Spirit Concentration Scroll ka second level lagbhag clear kar hi liya tha" :monkahmm:
**(update 29)**

Shalini : "Waise agar Maha-bodhi Parvat ki baat kare to wahan Dragon Tribe ke ek senior rehte hai. Rajyavardhan ji ka Maha-bodhi Parvat ki trip par jaane ka kaaran shayad.. unse milna hi tha,"

Achaanak, Shalini ne apna sar uthaya aur khud se budbudayi,

Shalini (bahut dheere se) : "Aisa lagta hai ki unhone (Rajyavardhan) logon ko apni side karna start kar diya hai.. ve aane wale samay ke liye ready ho rahe hai. ."

Ab jab Shalini thodi mysterious aur kahi khoyi hui dikh rahi thi, Manav khud ko rok nahi saka aur usse pooch baitha,

Manav : "Ek senior.. aane wale samay ke liye ready hona.. aapka kya matlab hai?" :hmm2:

Shalini ne apni bhaunhon ko thoda sikodte hue uski or dekha,

Shalini : "Humph, tumhe kya lagta hai ki Rajyavardhan ka damaad hona itna simple matter hai?" :sigh:

Fir shalini ne ne apna haath lehraaya aur aage kaha,
"Alright, 6 baj gaye hai." 👋

Ye jaante hue ki Avantika aunty bhi kabhi Ms. Shalini ko naraaj nahi karna chahengi, Manav ne aage aur kuch nahi poocha aur office se jaane ke liye uth khada hua.

Shalini : "Actually~,"
Theek us samay jab Manav office se baahar nikalne wala tha, Shalini ne use roka aur kaha,

"Mai tumhen techniques ka ek set sikha dungi jo tumhe, apni taakat ko theek tarah se control karne me help karega. Jisse, fir tum logon ko anjaane me itna ghayal nahi kar kiya karoge. " ☺

Aur iske saath hi ye update yahi par khatam hota hai..

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Doston mai kal raat edit kar raha tha lekin pata nahi kab neend lag gayi aur fir mai seedha subah utha.. 😅
4 updates back to back complete ho chuke hai.

Fir mila karenge naye updates me.. Thursday & Sunday ko! :wavey:
To be continued.....
Shalini kaafi help kar rahi h matlb futre mai bahut badi battle hone wali h...
Awesome update
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Dekho bhai last ka part bahot acha tha
Thank you rocket league brother 😊🙏
per baki mujhe boring sa laga aisa lag raha hai ki aap zabardasti kich rahe ho story ko jo tittle mai hai uska dur dur tak koi bhi connection nahi dikh raha
• Ye minor developments ki aage ka climax ready karenge bhai
• I apko assurity deta hu story ka title apko bilkul convincing and match karta hua lagega :good:
thodi se fast forward ki zaroorat hai story ko bura mat manna as reader bata raha hu bhai
• Sure bro and thanks for ur valuable suggestion 🙏
• It's fine brother muje bura ki jagah bahut acha laga aur yahi expect karta hu ki aage bhi aap aapne viewpoints aise hi bebaki se rakhenge 😊
 
  • Love
Reactions: rocket league

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Lol ha ha ha idiot .....ha ha ha wo ek good night kiss expect kar rahi thi....
:mahboi:
But ye lounda bhi ajeeb h apne sasur se he fight ke pange mai help le li lol ....
Us time bas ek cheej Manav ki dimag me thi- kese bhi karke Adarsh ko bachana ;)

Power. Dikha diya lounde ne gajab kayde se lagi basketball team ki ab hawa mai nahi udenge jayda ....lol hero giri khatamho gayi ab unki
😁😁😁
Abhi to bas shuruwat h.. kayion ki hero giri khatam honi h :yes2:

Thank you so much Sandeep singh nirwan bhai ji 😊🙏
 
Status
Not open for further replies.
Top