• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,612
174
•°UPDATE 50•°


Recap -


"To.. wo hai Manav Shisht..."

"Oh, ye to wahi ladka hai jisne Athletic Games me Lakshya ko hara diya tha! "

" Tuje pata hai? Ms. Shalini aur uske beech me kuch chal raha hai...!!!"

"Mam ke liye hi.... Lakshya ne use aaj class ke baad... 8 baje field par ladai ke liye bulaya hai"

....
....
....


Jaise jaise logon ki najren Manav par padti jaa rahi thi, Manav thoda uncomfortable mehsoos karne laga tha.




AB AAGE :-



Adarsh aur doosre dost, jo Manav ke saath baithe the, unko bhi apne aaspaas ho rahi khusur-fusur sunai de rahi thi.
Halaanki Manav ko aage ki bench tak ki aawaaje sunai de rahi thi.


Adarsh ne Manav ko kohni maarte hue kaha,

Adarsh : "Dekh dekh chutiye! tu to bada popular ho gaya hai re.." :hinthint:


Manav : "Not interested." :sigh:
Manav ne apni ek kitaab ko shield banate hue uthaaya aur ghoorti nazaron se bachne ke liye apna sar uske peechhe kar liya.


Ab Manav university me, khaaskar uski class aur uske major me, Lakshya ka rival aur Ms. Shalini ke "lover" ke roop me famous ho gaya tha;
Inn dono "titles" ( rival aur lover) me se kisi ke paas agar ek bhi hota, to bhi use sabki bharpoor attention mil rahi hoti.. lekin yahan.. Manav ke paas to dono titles the.


...
...


"Aaj raat mast action show hone wala hai hihihi" :gaylaugh:


"Haha ek tarfa action pagal! Lakshya Manav ko buri tarah peetne wala hai"

...
...


Classmates ki khusur-phusur jaari rahi.


Aas paas ho rahi baatcheet ko sunkar Adarsh tamtama gaya,

Adarsh : "Madarchod bhadwe ne tereko ladai ke liye bulaya aur phir news sab me phaila di !" :mad1:



Manav ne desk par apna sar tikaaya aur unghte hue kaha,

Manav : "Ignore kar! Use bas sabki attention chahiye hoti hai! 🥱



Kuch unknown reasons se, Spirit Concentration Scroll ke doosre level ko paar karne ke baad, weh bahut thaka hua mehsoos kar raha tha aur isliye, ek jhapki lena chaahta tha.
Class attend karne ke chakkar me woh Shalini ke office se jaldbaaji me nikla aur usse pooch nahi paya ki - kya thakaan mehsoos karna normal tha?


Dragon Tribe ke challenges ki tulna me, Manav ko laga ki Lakshya ka gussa & uska challenge behad mamuli tha aur uski attention ke layak nahi tha. Ye kuch kuch ek arabapati aadmi ki tarah tha jise 1000-2000 rupayon ke kho jaane ki koi fikr nahi hoti .


Manav (man me ) : "Agar maine apni Sadhna par hard work nahi kiya to M.. Shalini! Shalini mujhe ek jhatke me maar degi.... real danger to wo hai...." :sigh2:

Usne aah bhari aur ankhein band kar apne sar ko donon haathon se pakad liya.



Adarsh and gang last row me baithe the jo classroom ke last me, khidki ke paas thi. Manav, apni saans ko control karte hue man hi man Spirit Concentration Scroll ke doosre chapter ko dohraane laga aur heaven aur Earth ke beech ke essence (saar) ko dhyaan se samajhne ki koshish karne laga.


Ab uska shareer, apne chaaron or beh rahe nature essence ko apne ander kheech raha tha aur.. shareer ke jo hisse essence ko poori tarah se absorb nahi kar paa rahe the ve hisse, essence ko wapas baahar ki or dhakel rahe the.

Iss process se nature essence uske shareer me khoon ki tarah beh raha tha. Khair.. ye process kuch der tak yunhi lagataar chalti rahi.


Manav ne mehsoos kiya uske ander maujood dragon core ne, body me ho rahe nature essence ke flow par react karna shuru kar diya tha.


Essence ke baar-baar Manav ke shareer ke andar baahar hone se, ab ye dragon core essence ke flow ko regulate kar, essence ko uske shareer ke tamam hisson me store karwane laga tha.


"Dragon core to badi kamaal ki hai.." :what1:
Manav chakit tha.


Uske shareer ke 9 main acupoints, dheere-dheere shuddh prakriti ke saar ko absorb kar rahe the, jisse use aseem aanand mil raha tha.


"Shaam ki musibat (Lakshya) gale atki hai aur... ye chomu kaise befikr hokar so raha hai..." :noo:

Manav ko sota dekhkar Adarsh ne asehmati se apna sar hilaya.



"....a..Aauch!! " :ouch:
Achaanak Manav chillaaya, aur desk par tika hua uska sar ekdum se oopar uth gaya.


Ye dekhkar ki, cheekh sunkar aage baithe sabhi students aur teacher last row ki or dekhne lage hai, Manav ne jaldi se apna sar wapas desk par tika diya aur innocent hone ka naatak karne laga.


Kismat se, aas paas baithe doston ko chhodkar kisiko nahi pata tha ki kisne chillaya.


Teacher ne apna lecture rok diya aur palatkar bina kisi specific target ke, last row ke sabhi students ko dekhne laga. Kuch pata na chalne par ki kisne chillaya tha, use apna lecture phir se resume karna pada.


Yeh dekhkar ki ab mamla thanda ho gaya hai, Adarsh ne haath aage badhaaya aur Manav ki peeth ko thapthapate hue poocha,


Adarsh : "Abe.. kya hua??, chillaya kyu tha? ?"


"K-kuch nahi.. mai! theek hu..n..."

Kehte hue Manav ne apne daant pees liye aur Adarsh ke haath ko jhadak diya.


Kuch pal pehle, uske shareer ke 9 acupoints me achaanak behad dard hua.. maano jaise koi unme moti sui (needle) ghusa raha ho.


Abhi, uska poora shareer itne dard me tha ki.. use aisa lag raha tha jaise.. uske shareer ke tukde tukde ho rahe ho!


Manav ke dardbhare chehre par paseena aata dekh Adarsh ghabara gaya,


Adarsh : "Oye... tu theek to hai..?" 😧



Manav ne apni saans roki,

"Hmm..."

aur apni band mutthiyon ko desk par daba diya; use apni sabhi haddiyon par tej dard mehsoos ho raha tha.



Ab Manav samajh chuka tha ki ek kshan pehle ki susti aur uneendapan.. phir uske sabhi angon aur haddiyon ka chatakna, kadkadana,

jo abhi-abhi hua tha, ye sabhi sadhna process ka part the.


Manav (man me) : "Itna painful.... abhi to sirf basic sadhna technique, Spirit Concentration Scroll ka second level hi clear hua hai.., jo ki itna jyada hurting tha... aage ke levels me pata nahi kya hoga..? kya.. mai sadhna ki raah par jinda bach bhi paunga..?" 😬
Dard me Manav ne apne daant pees liye.



Darjan bhar gehri saanson ke baad aakhirkaar ye dard khatam ho gaya. Manav ne apni paseene se lathpath shirt ko dekha aur phir Adarsh, Sameer, aur Rupam ki or muda, jo apni aankhon me aashcharya aur chinta liye use ghoor rahe the. 😳😳😳


Manav : "..Chill.. mai ab theek hu. Meri body bas thoda akad gayi thi..," :sweat:



Rupam : "yaar.. ye kaisi artistic akdan thi! teri puri body twist kar rahi thi Manav!," 😳



Ek feeki muskaan ke saath, Manav ne apne paseene se lathpath chehre par ek haath phera.. ye sochkar ki uska dard pracheen cruel punishments se to bilkul bhi kam nahin tha.
(Punishments jaise body ki poori khaal nikal dena, body ke tukde karke pashu pakshiyon ke aage fek dena etc.)


Manav ko ab samajh aa chuka tha ki, kyu Dragon king ki iklauti beti Saanvi, apni sadhna me itni kamjor thi. .
Ek kaaran to yahi tha ki apne chanchal swabhaav ke chalte woh dhyaan kendrit nahi kar pa rahi thi, lekin doosra tha ki woh itne dard ka saamna nahin kar sakti thi.


Sadhna me kya khatre hote hai ispar Manav ko Saanvi ke kahe shabd yaad aa gaye,

"Bilkul! khatre to hai! Agar choten halki hui to tumhare haath ya pair toot sakte hain... Aur.. ain-mauke tumhari jaan bhi ja sakti hai!" **(Update 19)**


Halaanki sadhna ka maarg utna darawna bhi nahi tha jitna Saanvi ne bataaya tha, lekin.. jokhim to vaastav me bahut jyada the.


Phir, Manav ne achanak Shalini ke baare me socha jo ek ladki thi lekin apni twenties me hi ek Heavenly - level Master ban gayi thi. Aisi success ke liye na kewal extraordinary talent balki, dumdaar naseeb ki bhi jarurat hoti hai.


Idhar,
Apne office me, Shalini ne ghadi ki taraf dekha aur khud se badbadayi,


Shalini : "Well.. ab tak pain khatam ho jaana chaahiye. Agar wo itni chhoti-chhoti musibaton ka saamna nahi kar saka.., to woh kabhi bhi sadhna me progress nahi kar paayega."


Phir usne apne haath me maujood golden colour ki chhoti-chhoti goliyon ki bottle, wapas se drawer me rakh di.


Academic Building C ke Lecture Hall me,


Manav, jo abhi sadhna ki duniya me naya naya tha, is fact se anjaan tha ki duniya me aisi goliyaan bhi maujood thi jo sadhna me hone wale iss tarah ke dard ko kam kar sakti thi.

( golden colour ki goliyaan 👆)


Khair.. dard se nijaat paakar Manav ne apne haath pair stretch kiye aur paaya ki uski body ka har jod bahut lacheela ho gaya tha, aur.. saath hi uski taakat bhi apne peak par pahunch gayi thi.



Sameer, jo Manav se sabse door baitha tha, Rupam ke kaan me phusphusaya,

Sameer : "Manav ko to dekh! kya tujhe nahi lagta ki ekdum se wo thoda lamba ho gaya hai?"


Rupam ne mudkar Manav ki or dekha. Use nahi laga ki Manav lamba ho gaya tha, iske bajaay uska maanna tha ki abhi Manav ki presence kuch alag lag rahi thi.



Uski tvacha badi smooth thi, uski.. aankhon me alag hi chamak thi aur.. yahaan tak ki uske baal bhi bahut mulaayam lag rahe the ... :love:


Rupam (man me) : "Ayy.. bc.. kya mai Manav se attract ho raha hu? :sigh:
wo bechaini se kaamp utha.



"Bahut sochne baad, mereko lagta hai ki aaj raat tereko wahan jan..."
Adarsh Manav se baat karne ke liye muda aur mudte hi uska bolna ruk gaya tha.



Ek pal ke liye, Adarsh ko laga ki uske bagal me baitha shakhs koi aur hi hai. Usne phir se dekha aur khud ko vishwas dilaya ki weh shakhs vaastav me Manav hi hai.


"Iski maa ka.. kya mai sapna dekh raha hun.., ya.. sach me Manav achaanak se aur jyada handsome ho gaya? !" 😲
Adarsh aashcharyachakit ho gaya aur bilkul bhool gaya ki wo kya keh raha tha.


📳


Isi samay Manav ka mobile vibrate hua.


Use laga ki ye, aaj raat ki fight ko lekar.. Aahna ki hi call hogi..
Lekin,
Jab usne bina screen dekhe call receive ki, to doosri or se Shyamu kaka ki chinta bhari aawaaj aayi,


"Manu baba! amma ka blood pressure achaanak se badh gayo hai, aur.. wo behosh ho gawi hai!"


Manav : " kyAA ?!"
Shyam ki baat sunkar Manav wahin jam gaya. Use aisa laga maano body ka poora blood uske sar me chala gaya ho,
"Abhi kya situation haii ?! Aapne ambulance bulayi ??!!"


Shyam (ghabrahat se) : " Baba maine ek ambulance ko phunwa milaya tha.., lekin wu to abhi tak nahi aayi..!!"


Manav : "Adarsh, meri books and bag hostel je jana please!"


Itna bolte hue Manav turant uth khada hua aur furti se classroom se baahar nikal gaya.


Teacher ne blank expression 😶 se Manav ko apne paas se gujarte hue dekha. Jab Manav baahar chala gaya tab jaakar unko gusse ka ehsaas hua,


Teacher (man me) : “Ye aajkal ke bachche! kitne mannerless ho gaye hai hain! wo beech lecture me classroom se baahar chala gaya.. use apne teacher ko explanation to dena chaahiye tha! aaj ki careless generation.. ugh! " 😠



Manav Academic Building se university ke main gate ki taraf badh gaya. Aage badhte hue woh lagataar Shyam se baat kar raha tha,


Manav : "Shyamu kakaa! ghabraiye matt! kya aapne aas paas ke hospitals me call ki? Kya wahan se koi aaraha hai dadi ko lene ?? !"


Shyam : "Bab..a..! manne phone number nahi mil riyo hai..!,"

Shyamu kaka behad ghabraye hue lag rahe the.



Shyam ke bholepan aur uski mandbuddhi par chupchaap jhunjhlate hue, Manav university ke main gate se baahar nikal gaya aur ek taxi pakadne ki koshish karne laga.


Chunki Chennai University suburbs me thi aur raat ke lagbhag 8 baje rahe the, to is area me kayi taxis thi.


Usne gate ke aas paas khadi darjan bhar taxis dekhi lekin sab me passengers maujood the.


Pichle aadhe minute ki lagatar mashakkat ke baavjood Manav ko ek bhi khali taxi nahi mil paayi , iss beech wo shyam se baat bhi karta raha.

Halaanki, uske liye ye aadha minute, ek sadi (100 saal) se bhi jyada lamba lag raha tha!


Yahan tak ki inn 1/2 minute me usne road ke beech me koodkar ek random car ko rokne ke baare me bhi socha liya tha.



Woh phone par Shyamu kaka ko shaant karne ki koshish kar raha tha, jabki khud ander se, Shyam se bhi kahin jyada gabhraya hua tha.



Chinta aur ghabrahat ki iss charam sthiti me, Manav ne ek laal rang ki car ko apne paas se gujarte hue dekha aur achanak use, apni laal Ferrari me baithi Avantika ka dilkash najara yaad aa gaya.


Avantika Aunty ! Manav ko achaanak ek idea soojha.


Manav : "Kaka, mai abhi phone rakh raha hun..! mujhe help ke liye dusri jagah call karna hai. Agar ambulance aaye to aap mujhe call kar dena!"

Usne call cut kar di aur jaldbaaji se apni contact list scroll karne laga. Avantika ka number milte hi usne, dial kar diya.


Jab Manav uss weekend trip par Saanvi ke saath Maha-Bodhi Parvat ki choti par chadhne wala tha , to Avantika ne use koi bhi emergency hone ki stithi me apna number de diya tha.
Halaanki Manav ne iss number ka aaj tak istemaal nahi kiya.


Aamtaur par, woh Sani ke parents ko pareshaan nahi karna chaahta tha. Lekin chunki abhi ki situation urgent thi aur oopar se uske parents, abhi bhi foreign me the. Isliye help ke liye Manav, kewal Saanvi ke parents ke baare me hi soch sakta tha.


📞 « « « « « «


Call par 6 baar beep hui lekin kisi ne call nahi uthayi. Manav itna gabhraya hua tha ki mobile pakde hue uski hatheli me paseena aane laga..


"Hello~?"
Achanak call receive hui, aur phone ke doosri or se Avantika ki komal aawaaj aayi.


“Auntie! ye mai hun! !" Manav fauran chillaya.


Avantika : "Ohh, ye aap hain, Manu. Aap aaj Sani ko padhane kyu nahi aaye ? mai is baare me poochhne ke liye aapko call karne hi wali thi,"



Manav (man me) : " Aaj meri night classes hai. Maine last week Sani ko padhane ke liye classes skip kar di thi to aaj ki class mujhe attend karni padi thi.. . maine Sani ko kal bata diya tha. "

Manav ne apne man me explanation diya. Lekin abhi uske paas Auntie ko ye sab samjhane ka time nahi tha. Isliye usne turant kaha,


Manav : "Auntie.. meri dadi! unko…" 🥺


Kisi kaaran-vash, Avantika ki aawaaj sunkar Manav itna bhavuk ho gaya ki uske gale se awaaj nikalni band ho gayi.


Avantika : "Manu.. kya hua bachche~? aap please ghabraiye nahi.. take it easy hmm? ,"
Call par Manav ki aawaaj me ghabrahat ko bhaampte hue, Avantika serious ho gayi.


Manav ne apne thoughts sthir kiye aur phir Avantika ko bataya,


Manav : "Meri dadi.. high blood pressure ke kaaran behosh ho gayi hai, aur.. unhen urgently hospital le jaane ki jaroorat hai. Lekin.. dadi ke caretaker Shyamu kaka ko driving nahi aati..,"


" Aap mujhe address do, mai abhi jaati hoon!" Avantika ne turant kaha.


Manav : "Chennai ke southern suburb me Blue Sea and Golden Sand Resort, Cottage number 16. Agar aap south gate se enter karti hai to ye right side par 6th cottage hai.."

uska dil jor jor se dhakdhak kar raha tha. Aur.. mobile pakde hue uska haath bhi bahut kampkapa raha tha.


Avantika : "Got it! mai jald hi wahan pahuchti hoon.. hum touch me rahenge!"

Avantika ne call cut kar di. Aisa lag raha tha ki woh pehle hi garage ki or bhaag gayi thi.



University ke main gate par khade Manav ne, call cut hote hi mobile apne kaan se neeche kar liya. Ab use nahi pata tha ki aage kya karna hai..
Aage ka road andhere se bhara hua tha, guzarte hue vaahan us andhere me chamak rahe the.


Buzzz ...


Uska mobile vibrate hua. Manav ne turant call receive ki aur receive karte hi use Rajyavardhan ki gehri aawaaj sunaai di,

Rajyavardhan : "Kya aap university me hai? ..mai raaste me hun aur.. minimum 10 minutes me aapko main gate se pick kar lunga,"



Manav : "Ok,"
aur call cut ho gayi.


Main gate ke saamne, khaali jagah par khade Manav ko, raat ki thandi hawa uski shirt ke bhitar ghusti hui mehsoos ho rahi thi.


Snap ! Snap !


Raat ki tej hawaon ke force se, gate ke oopar latka hua bada sa banner jor ki kadakne ki awaaj ke saath hil raha tha..

(wo do scientists wala banner)


Manav ne apna sar banner ki or ghumaaya aur banner ko achaanak... bahut naraajgi ke saath dekhne laga. 😡

:hint:


Screech !


Manav ke saamne ek black Chevrolet aakar ruki.


Rajyavardhan ne khidki se apna chehra baahar nikaala aur kaha,

Rajyavardhan : "Car me baithiye Manu.. hum ghar par hi agli news ka wait karte hai."


Manav ne stabdh hokar haan me sar hilaaya aur car me baith gaya. Car me baith-te hi use pata chala ki Saanvi bhi.. wahan thi.


Usne Manav ko chinta aur sahanubhooti ke saath dekha; aisa lag raha tha ki woh Manav ko lekar chintit thi aur isliye apne dad ke saath use lene ke liye aayi thi.



Rajyavardhan ne car start ki aur ve apne ghar ki or ravaana ho gaye. Unke ghar se Chennai University tak ki doori jyada nahi thi.


Ghabrahat me Manav ka chehra peela pad gaya tha. Usne Rajyavardhan se poochhne se pehle kuch der socha aur fir poocha,


Manav : "Aunty wahan kaise gayi thi..?"


Rajyavardhan : "Car se."


Rajyavardhan ka uttar sunkar Manav thoda niraash tha. Usne to expect kiya tha ki Aunty apni superpowers ka use karengi aur udkar uske ghar tak jayengi


Maano jaise Rajyavardhan ne Manav ke dimaag ko padh liya tha so, usne bolna jaari rakha,


Rajyavardhan : "Don't worry Manu.. aapki aunty ko wahan tak car se jaane me, udkar jaane se jyaada time nahin laga hoga. Hum par udne ko lekar bahut si restrictions hai. Agar unhe udkar jaate hue kisi inspector ne dekh liya hota to, unke questions ke jabaab dene me bahut time waste ho jata. Iske alawa, agar unhe koi inspector nahi bhi milta to bhi ve aapki daadi ko hospital tak nahi le jaa pati.


"Right.. Uncle!" 🙂

Manav ne haan me sar hilaaya aur Saanvi ki family ki help ke liye unka abhari mehsoos kar raha tha.

Woh pray kar raha tha ki uski daadi theek hon.



Chennai University se Saanvi ke ghar tak drive karne me bas 10-15 minute lage. Rajyavardhan ne car park ki aur Manav & Saanvi ko ghar me le aaya.


Ghar ki araamdayak aur familiar setting ne Manav ki ghabrahat ko thoda shaant kar diya.


Usne apna mobile nikala aur phir uske ghar par phone kiya. Shyam ke phone uthate hi, Manav ne turant apni dadi ke baare me poochha.


Shyam : “Abhai-abhai ek bhali mahila aayi thi baba aur wo bata rahi thi ki wo aapki dost hai. Un-ne amma ka kuch praathmik upchaar kiya aur fir amma ko apni car me le gayi. Ek minute se bhi kam tem pehle chali gayi wo amma ko leke, aur.. mai itna ghabraya hua tha ki mai unka naam poochhna hi bhool gaya.."



Manav (man me): “sighs* well.. Shyamu kaka, cooking me achchhe hai, lekin.. wo aise person nahi hai jin par emergency ki condition me bharosa kiya jaa sake..."


Man hi man usne Shyam ke anadipan par aah bhari aur phir unhe thoda dilaasa dekar call cut kar di.


Manav ki dadi ke behosh hone par Shyam bahut ghabra gaya tha. Wo aas paas ke hospitals ke contact number bhi nahi dhoondh saka.. aur use nahi pata tha ki is emergency se kaise nipta jaye..
Use, kya karna hai, kaise karna hai, iski direction lene ke liye Manav ko phone kiya joki, ghar se bahut door university me tha. Itna hi nahi, usne Manav ki dadi ko anpe saath le jaane wali ajnabi ka naam bhi nahi poochha ...


Iss 👆 baare mein sochte hi Manav aur jyada chintit ho gaya. Use laga ki dadi ki dekhbhaal ke liye akele Shyamu kaka par depend rehna bilkul bhi safe nahi tha.

Aaj jab uski dadi khatre me thi to wo, apni dadi ki madad na kar paane me, mushkil ki ghadi me unke saath naa hone par khud ko kos raha tha.


Tani hui bhauhen ke saath, usne ghadi 🕤 ki or dekha, Auntie kewal 20 minutes me samudra ke kinaare stith uske ghar par pahuch gayi thi. Unki driving speed kaafi tez rahi hogi..



Apne apne kaamon ko karne ki bajaay Rajyavardhan aur Saanvi, donon living room me Manav ke saath baithe the.


Kareeb 20 minutes baad, achanak living room me rakhe phone ki ghanti baj uthi.





Aur ganti bajne ke saath update bhi yahi khatam hota hai :D
Kal raat bahut late ho gaya tha isliye post nahi kar saka..


:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Next update Sunday ko, yaani kal 😊
To milte hai fir :wavey:

To be continued.....
Manu ne gate pr lage banner ko gusse se kyo dekha yah ek sochne vali baat hai vahi manav ka aise look change hona use suspicious bna rha hai, Jo banda Thodi der Pahle Bilkul samanya tha uska sarir Pahle thoda akadta hai or baad me uska look makeover Ho jata hai, manav ko Pahle se hi bahane sochne ki jarurat hmesha hi rahne vali hai...

Aaj manav ne mahsus kiya hai ki dragon core se hote huye pure energy uske sampurn sarir me pahuch rhi hai, aaj use dard bhi hua jiske bare me use koi jankari bhi nhi di gyi thi, shalini ji to dvai liye baithi thi dard ko khatm karne vali Lekin unhone manav ko nhi diya, use to pta bhi nhi tha ki aisi koi dva bhi maujud hai duniya me...

Manav ki dadi ka bp high ho gya hai jiske chalte vo behosh ho gyi hai or unka bavarchi bhola bhala hai Jise aise situation se Nipatne ka koi experience nhi hai...

Avantika ji or rajyavardhan Ji ne is mushkil ghadi me manav ka sath diya jaha manav ke sirf btane bhar se vo dadi ka address lekr unhe lene pahuch gyi Vahi sanvi rajyavardhan Ji ke sath manav ke pass pahuch gye or santvana di...

Superb bhai sandar jabarjast lajvab amazing
Aapne is update me jokes na hote huye bhi hasaya samvado ki madad se jo sandar tha...
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,612
174
•°UPDATE 51•°


Recap -


Tani hui bhauhen ke saath, usne ghadi 🕤 ki or dekha, Auntie kewal 20 minutes me samudra ke kinaare stith uske ghar par pahuch gayi thi. Unki driving speed kaafi tez rahi hogi..



Apne apne kaamon ko karne ki bajaay Rajyavardhan aur Saanvi, donon living room me Manav ke saath baithe the.


Kareeb 20 minutes baad, achanak living room me rakhe phone ki ghanti baj uthi.




AB AAGE :-



Rajyavardhan ne phone uthaaya aur saamne wale vyakti ki baat sunne laga. Phir phone rakh kar wo Manav ki or muda aur kaha,


Rajyavardhan : "Avantika aapki dadi ko Apollo Hospitals me le gayi hain. Abhi unka treatment chal raha hai.. Doctor ne kaha hai ki ve khatre se baahar hai aur jald hi theek ho jayengi.” 🙂



Dadi khatre se bahar hai.. ye sunkar Manav ko thodi raahat mili.


Rajyavardhan ne apni car ki chabhi uthayi aur Manav se kaha,


Rajyavardhan : "Chaliye... hospital chalte hai,"


"Ok !"
Manav turant couch se uth khada hua.


Ab bhala Saanvi kyu rukti? to woh bhi unke peeche peeche baahar ki or chali gayi.



Rajyavardhan ki smooth aur fast driving se ve kewal 20 minutes me hi Apollo Hospital pahunch gaye.
Rajyavardhan ne Avantika se baat ki, aur Avantika ne use bataya ki dadi ki condition ab stable hai aur abhi ve hospital ke bed par araam kar rahi hai.



Exact location puchne ke baad ve seedhiyan chade aur corridors se gujre. Akhir me ve, dadi wale room tak pahunch gaye.


Iss room me 4 beds the, aur Manav ki dadi sahit sabhi beds par bujurg patients the. Avantika nahi chaahti thi ki Saanvi koi shor kare isliye, usne Saanvi ke ander kadam rakhne se pehle hi use chup rehne ka ishara kar diya tha. 🤫



Manav ki dadi bed par laiti hui thi, aur unke haath me ek intravenous drip lagi hui thi - saline solution ki. Unki aankhein band thi, aur saansen bhi normal chal rahi thi. Jhurriyon se bhare, dadi ke chehre par ek alag hi shanti chhayi hui thi.


Unn teeno ke ander aate hi, Avantika ne aage badhkar Manav se dheere se kaha,

Avantika : "Doctor ka kehna hai ki 2 din tak full rest karne ke baad ve theek ho jayengi"


Manav : "Thanks a lot.. auntie"


Avantika ki baat sunkar Manav ki tention door hui aur woh apni dadi ko kareeb se dekhne ke liye unke bed ke paas chala gaya.


Peeche se Avantika ne phusphusaya,


Avantika : “Emergency ki wajah se inhe, ye standard ward mila hai. Inko single room me transfer karne ke liye mai kal management baat se kar lungi, "


Manav muda,
"It's ok.."
Use samajh nahi aa raha tha ki aunty ka dhanyavaad kaise kare..


"Mujhe kal tak speeding fine ( high speed ka challan) pay karna hai lekin.. meri Philippe Starck (famous French architect) ke saath appointment hai.. ve apna studio visit karna chaahte hai. To.. mere pas fine pay karne ke liye time nahi rahega..."
Avantika, Rajyavardhan ke kaan mein phusphusayi.



Manav bed ke paas baith gaya aur dhyaan se apni dadi ko dekh raha tha.
Dadi ko dekhte hue Manav soch raha tha ki kaise aunty ne aaj itni badi help kari thi.. jabki ve to aapas me relatives bhi nahi the. Manav, Avantika se prati bahut abhaari mehsoos kar raha tha.

Halaanki, Avantika kya phusphusa rahi thi, use sab sunayi de gaya.


Isliye usne Avantika ki or mudkar kaha,

Manav : "Fine mujhe bharne dijiye aunty.. " 🙂


Aur... Avantika hairaan reh gayi ke, Manav ke sunne ki kshamta kitni tez thi.
Thodi der rukne ke baad, usne apna sar naa me hilaaya aur muskurayi,

Avantika : “it's alright Manu.. minimal fine hai hehe" ☺



Rajyavardhan ne Manav ko dhyan se dekha aur thoda sochne ke baad usse poochha,

Rajyavardhan : "Kya aapne Spirit Concentration Scroll ke 2nd level ko clear kar liya hai, Manu?" 🤔


Manav ne haan me sar hilaaya. Woh apni dadi ko lekar itna chintit ho gaya ki Rajyavardhan ko ye khushkhabri sunana hi bhool gaya tha.


Rajyavardhan : "No wonder.. ki aaj aap mujhe kuch alag kyu lag rahe the. 2nd level clear hone se aapke 5 senses bhi aur sharp ho gaye hai."



"5 senses ?" Manav confused tha.


Rajyavardhan : "haan, 5 senses - dekhna, sunna, soonghna, chakhna (taste) aur.. chhuna(touch),"


Halaanki Manav ko khud me kuch khaas mehsoos nahi hua lekin.. chunki Rajyavardhan ne kaha ki senses aur sharp ho gaye hai to, aisa hi hua hoga.


Saanvi, jo Manav ke bagal me thi, ne uski or aashcharya se dekha,

Saanvi (man me) : "Abhi to sadhna karte hue ise jyada time nahi hua hai aur.. ye already Spirit Concentration Scroll ke second chapter ko clear kar chuka hai..!? maine to toffees 🍬🍬 ki tarah Exilirs khayi thi aur tab bhi mushkil se Kan (1st level) tak pahuch payi thi. " 😳





Avantika : "Manu.. ab jab aapki dadi theek hai to aapko, inhe company deni chahiye. Sani ka kal school hai to.. mai use ghar wapas le ja rahi hoon..
Oh haan, maine hospitalization aur treatment fees already jama kar di hai. Additional ₹ 25000 bhi jama kar diye hai. Ab ye araam se recover hone tak yahan reh sakti hai.. aur kal agar appointment ke baad time bachta hai to mai yahan aa jaungi," 😊



Manav : "Mai.. aapko jald hi pay back kar dunga. Thank you so muchh auntie!" 🙂


Avantika : "Don't worry beta.. itni bhi amount nahi hai. Abhi inka dhyaan rakhna hi aapki priority hai.. " ☺


Fir usne Saanvi ka haath pakda aur ve teeno room se baahar nikal gaye.



Manav ward me hi ruka raha, aur apni dadi ma ke jaagne ka intzaar karne laga.

Aadhi raat ko jab Manav ki jhapki, gehri neend me badalne hi wali thi tab jaakar dadi ko hosh aaya..


Aur jaise hi dadi ne Manav ko apne bed ke paas baithe dekha, to use dheere se pukaara,
" man..u ! "



Dadi ki aawaaz se Manav, achanak jaag gaya aur dadi ko theek se dekhne ke liye apni aankhein malne laga.
Jaise hi usne apni dadi ko jaagte hue dekha, to woh utsaah se bol utha, "Daaadii !" 😀


Phir, usne turant apna munh haatheli se dhank liya kyunki use yaad aaya ki room me aur bhi bujurg patients maujood the.


Dadi : "Mai.. yahaan kyon hoon ? !"


Manav : "Aap ghar par behosh ho gayi thi dadi, isliye hum aapko yahan hospital me le aaye. "


"Oh, mujhe thoda bahut yaad hai. . mai ghar ki safaai kar rahi thi.... lekin.. mujhe yaad nahi ki aage kya hua..,"

Dadi ne apna dubla-patla haath uthaya aur apne maathe ko sehlate hue boli,


Dadi : "Manu! beta tum yahan kyon ho? Tumhe to abhi apne hostel me hona chahiye tha.."


Ispar Manav ne apni dadi ko sab kuch bataya ki kya - kya hua tha. Halaanki, usne Avantika ka parichay "apne student ki mom" ke roop me bataya, naaki "saas" ke roop me. :D



"Unhone itni madad ki.., ve bhale log lagte hai. Recover hone ke baad mujhe personally unka shukriya ada karna hoga.."
Dadi ne aah bhari.



Dadi apni baatcheet jaari rakhne ke liye filhal bahut kamjor thi.., isliye Manav ne apni dadi ko kuch der aur aaraam karne ke liye manaya. Manav nahi chaahta tha ki weakness badhne se dadi phir se behosh ho jaye..


Aur wahin Manav ki soch ke vipareet, jab dadi ma ne apne maasoom se pote ko dekha, to ve itni khush ho gayi ki apni health condition ke baare me bilkul bhool gayi..


Khair dadi ki ek baar firse neend lagne par Manav bhi so gaya tha.


Agli subah, 🌅



Ek nurse breakfast lekar aayi. Manav ne usse nashta liya aur apne haathon se dadi ma ko khilane laga.


Jab Manav ne soup se bhara chammach dadi ke saamne kiya to unhone muh kholne ki bajaay Manav se kaha,

Dadi : "Manu.. aaj Friday hai! apki sabhi classes lagengi.., to apko time se college jana chahiye."


Manav : "It's ok dadi ! mai kal leave application submit kar dunga lekin aaj rukunga to mai aapke saath hi," 😀


Woh to apni dadi se milne ke liye iss weekend ghar jaane ki planning kar raha tha. Aur.. usne nahi socha tha ki aisa bhi kuch ho jayega.

Lekin abhi kahin na kahin Manav ko, dadi ke akelepan ke baare me sochte hue khud par bahut guilt feel ho raha tha. Halaanki Shyam kaka dadi ko company diya karte the lekin dadi ka ache se dhyan rakhne me ve bilkul anaadi the.



Waise.., dadi ke shabdon ne Manav ko uske doston ki yaad dila di. Dadi ko breakfast karwakar usne unhen phone kiya aur uski madad karne ke liye kaha.

Madad se matlab tha ki agar by chance koi teacher attendance leta hai to, Adarsh aur sabhi dost log un teacher ko manav ki emergency ke baare me samjha denge.


Dadi ke haath par intravenous dip, aaj bhi lagi hui thi. Breakfast ke baad Manav room me yaha wahaan bhatak raha tha aur dadi ke sabhi kaam kar raha tha. Usne dadi ke napkins & towels dhoye, dadi ke liye apples chhile aur iske alawa bhi, wo jab kuch kiya jo woh kar sakta tha.


Dophar me, Manav ke paas Aahna ka ek message aaya, message ke jariye wo dadi ki health ke bare me poochh rahi thi.



Manav jaanta tha ki, jab Adarsh & team ne teacher ko uski emergency ke baare samjhaya hoga to, Aahna ne bhi unn logon ki baatcheet ko sun liya hoga..
Lekin haan! Aahna ka message uski Manav ke prati care ko saaf darsha raha tha.

Halaanki yeh care, as a friend wali thi, kintu fir bhi iska Manav ke dil par bahut asar pada. .


Kuch type kar rahe Manav ke chehre par jab dadi ne jhijhak aur khushi dono ek saath dekhi, to weh hans padi,

Dadi : "Apni gf ko text kar rahe ho ?" 😄


"Nahin...," 😅
Manav hasa aur kuch second ki hichkichahat ke baad usne
"She is fine.. thank you for asking" type kar message send kar diya.



Lekin ab to dadi ka favorite topic aa gaya tha to unhone aage kaha,


Dadi : "Manuu aajkal college me gf banana to normal baat hai"


Manav jaanta thi ki uski dadi purani soch par vishwas rakhti thi jaise ki unka maanna tha ki ladkon ko 20-25 saal ki age tak shadi kar leni chahiye.

Halaanki, dadi ki umr ko dekhte hue, yeh baat to asaani se samajh aati hai ki woh jald se jald apne pad-pote / potiyon ko khilana chaahti thi.
Aur isliye, Manav ne bhi apni dadi se bahas nahi ki.


Waise... ajeeb baat to ye thi ki, jab bhi dadi is topic par baat karti, to Manav ke dimaag me humesha Aahna hi aati. Jaise maano uski antar-aatma use bata rahi ho ki sirf Aahna ke jaisi ek smart aur samajhdaar ladki ko hi dadi apni bahu ke roop me accept karengi..


Dadi to jaise is topic ko band hi nahi karna chaahti thi. Aur isliye ve usse uski gf se jude ek ke baad ek kayi sawaal pooch rahi thi.

Dadi : "Hmm.. agar tumhari sach me koi girlfriend hoti, to wo mujh mareej se milne jaroor yahan aayi hoti, kyu ?" :sigh2:


Jaise hi dadi ne apna sawaal poocha, theek usi samay Saanvi, utsukata se room ke andar dakhil hui.

Weh apni blue colour ki school uniform me thi aur uski peeth par ek pink colour ka backpack latak raha tha. .



Saanvi to jaise dadi ma ke sawal ka uttar ban kar aa gayi :laughing:
Chalo uske aane ke sath hi ye update yahin par end karte hai.

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Aaj ka din bahut busy raha isliye update late ho gaya..
Apke pichle update ke replies bhi jald hi karta hu..
To be continued.....
Manav ne college me bta diya apne dosto ko ki vo kyo achanak chla aaya class chhod kr...

Idhar dadi 2 din rest karne Thik ho jayengi aisa Dr ne btaya tha, Avantika ji ko business meating ke liye Jana hai isliye vo sanvi ko lekr chali gyi, vahi sanvi aisi timing ke sath pahuchi hai jb dadi manav se Uski gf ke bare me baat kr rhi thi ki yadi koi hoti to hospital jarur aati use dekhne...

Sandar jabarjast update bhai superb
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,974
159
Manu ne gate pr lage banner ko gusse se kyo dekha yah ek sochne vali baat hai vahi manav ka aise look change hona use suspicious bna rha hai,
I m 100% sure banner par aur koi nhi uske maa baap ke honge
 
Status
Not open for further replies.
Top