Bahot badhiya dost•°UPDATE 60•°
Recap -
Saanvi ko uthaye hue, jo kisi soft teddy bear ki tarah mulayam thi, Manav uski body se aati meethi khushboo me dooba hua tha. Khair, bed ke paas pahuchte hi turant usne Saanvi ko dhyaan se bed par lita diya aur kambal ouda diya.
Phir, usne bina awaaj kare apni cheejen uthayi aur dabe paav darwaaje ke paas pahuch gaya. Isse pehle ki woh bedroom se baahar nikalta aur room ka darwaja band karta, usne room ki sabhi lights off ki aur ek nightlight on kar di. .
Lekin,
Jaise hi kamre ka darwaaja band hua, Saanvi, joki "gehri neend" me thi, ne dheere se apni aankhen kholi , 👁👁
Laal rang ki ek laali parat ne turant uske chehre ko dhank liya tha. .
"Idiot ..."
Woh dheere se apne dil me phusphusayi.
AB AAGE :-
Rajyavardhan ke shabd Manav ke liye avishvasniye roop se aashvast karne wale the. Chunki hostel ke band hone me abhi thoda time baaki tha, Manav ne jaldi se ek taxi pakdi aur university ki or badh gaya.
To wahin, is samay, room number 302 me kareeb 1 darjan se jyada ladke jama the. Ye sabhi.. aas paas ke rooms ke students the.
Bunk beds, chairs aur tables par baithe ve sabhi ladke, is situation se nipatne ke liye koi na kli solution doondhne ki koshish kar rahe the.
Manav ko room ke andar aate dekh, Chetan ne usse sawal kiya,
Chetan : "Tu.. itna late kahan ho gaya ?"
Manav : "Mai tution padhane gaya tha..,"
Chetan : "Hadd hoti hai bc! yahan Adarsh university se expel hone wala hai, aur tujhe tution padhane ki padi thi?"
Chetan thoda chidh gaya tha.
Study material ko apni table par rakhte hue Manav, Chetan ki or muda aur serious hote hue usse poocha,
Manav : "Kisne kaha ki Adarsh expel ho raha hai?"
Chetan : "Maine Student Council ke apne kuch doston se suna hai. Unhone bataya ki, university is incident ko lekar bahut serious hai aur ise bade strictly handle karne wali hai, "
Boys Hostel Building number 7 me information jutane ke liye Chetan sabse achchha source maana jata tha, aur.. sabka uspar vishwas kuch aisa tha ki koi, kabhi bhi uski news headlines par sawal nahi uthayega.
Khair Chetan ne aage kaha,
“Tujhe pata to hoga hi ki strictly handle karne se ka unka kya matlab hai; bina kisi powerful connection wale ek ordinary student (Adarsh) par saara blame daal diya jayega"
Ritik : "Exactly! aisa pehle bhi ho chuka hai; ek ladke aur basketball team ki court use karne ko lekar behas ho gayi thi, aur wo case itna serious bhi nahi tha jitna ki Adarsh ka hai. Lekin phir bhi, ladke ko disciplinary warning mili. "
Manav : "Fir to mujhe bhi punish kiya jayega! mai bhi to ladayi me involved tha. ,"
"Tu safe rahega!"Chetan ne aage kaha,
“Student Council ke mere doston ne bataya ki ladayi ke nature ko examine kiya jayega. Aur ladayi start karne wale ki galati sabse jyada maani jaayegi. Tera intention to beech bachav karne ka tha lekin tu, naa chaahte hue bhi ladayi me ulajh gaya aur doosron ko ghaayal kar diya.. to teri itni badi galti nahi thi..
Ab jab donon groups ki barabar galti hai, to ladayi start karne wale group ko kathor punishment milega. Aur.. waise bhi, hum sabko acchi tarah pata hai ki university, humesha basketball team ka favour karegi. "
Chetan ki baaton se sabke chehron par nirasha chha gayi. Apne bed par baitha Adarsh, samajh nahi pa raha tha ki ab wo kahe to kahe kya...
Boys hostel building number 7 ke ladkon ke beech Adarsh kaafi popular tha. Weh bebaak, straight forward, sensible aur bahut milansaar ladka tha. Isliye, yeh jaankar ki uski university se permanently chhutti hone wali hai, sabhi ladke bade pareshaan aur chintit the.
Arman : "Agar Adarsh, is tarah ke reason par expel hota hai to apan protest ka..."
Manav : "Guys...! Guys! Listenn!! is baare me baat karne ka koi faaida nahi hai. Tum sab ab apne apne rooms me jao aur thoda rest karo,"
"Manav sahi bol raha hai. Jao tum log, meri chinta mat karo! ab jo hoga dekha jayega iski bhen ka lund”
Adarsh utha aur bheed ko room se baahar nikaalna shuru kar diya.
Yeh jaante hue ki Adarsh ke saame muh latkaye rehne se ve uski help to nahi, balki uski pareshaani, uski anxiety aur bhi jyada badha denge, sabhi ladkon ne room 302 khali karna shuru kar diya.
Ab ant me jab chaaron dost room me akele bach gaye to, room me turant sannata chha gaya. Ek-Ek karke ve sab apne-apne bistar par chale gaye.
Apni upper berth par laite hue Manav ne, apne se neechi berth par rest kar rahe Adarsh se kaha,
Manav : "Adarsh, tu chinta mat kar! sab kuch achcha hi hoga."
"haaha," Jabaab me Adarsh kewal kadvi hansi has kar reh gaya. Use to vishwas ho chala tha kal uski college life ka aakhiri din hoga...
"Tune apne parents ko is baare me bataya?" Sameer ne chinta jatayi.
Adarsh : "nah.. ii... "
Sameer ke neeche wali barth par se Rupam chillaya,
Rupam : "Abe apan basketball team ke khilaaf case file bhi to kar sakte hai! Juniors ko bully karne ke jurm me!!!"
"Chutiyapa mat kar. Basketball team ko protect karne ke liye university management kuch bhi kar lega,"
Apne haathon me ek sikke (coin) ke saath khelte hue, Adarsh ne shaanti se kaha.
Adarsh : "Bahut hua! Ab tum log bhi so jao! Kal ka, kal dekh lenge!
Adarsh ne jor se switch par haath maarkar light band kar di.
Bhari man se us raat phir koi, kuch nahi bola.
Agle din,
Adarsh humesha ki tarah Manav aur anya doston ke saath class me gaya. Halaanki, jitna jyada woh Sameer aur dusre ladkon ke saath hansi-majak karta, utna hi jyada uske classmates bata sakte the ki weh asal me, andar se chinta se bhara hua tha.
Aakhirkaar.., ab weh kewal university official statement ka wait karne ke alawa aur kar bhi kya sakta tha.
Apni subah ki classes attend karne ke baad Manav, sabhi doston ke saath lunch karne nahi gaya.
Balki weh chhipte chhupate, chupke se Administrative Building me ghus gaya.
Aur ab woh Vice Principal Vinod Bedi se milne, building ki 6th floor par ja raha tha.
Is baar Manav, Elder Vinod ka business card bhi saath laaya tha.
Is tarah, agar by change Elder Vinod apne office me nahi bhi hote, to woh direct callkarke unse baat kar sakta tha.
knock, knock...
Jaise hi Manav ne dheere se darwaaje khatkhatana shuru kiya, andar se Vinod ki aawaaj aayi,
Vinod : "Please come in."
Manav ne darwaaja khola aur andar chala gaya. Usne dekha ki, Elder Vinod apni table-chair par baithe the aur kuch documents dekh rahe the.
Manav : "Hello, Eld... Principal Sir"
Jis pal usne apna muh khola, use samajh nahi aaya ki use, unhe Elder Vinod ya phir principal sir... kya bolkar sambodhit karna chaahiye.
Vinod ne apne saamne wali chair ki or ishara karte hue vinamrta se kaha,
Vinod : "Shree maan Manav Shisht, aaiye.. baithiye,"
Manav ne darwaja band kar diya aur bechaini se unke saamne jakar baith gaya.
Manav : "Aap.. mujhe mere naam se bula sakte hai."
Vice Principal ke roop me Vinod Bedi ke saath yeh uski pehli baatcheet thi. Iske alawa, filhal ye baatcheet university ke Vice Principal ke office me ho rahi thi.
Manav ne kabhi nahi socha tha ki woh ek din university management team ke high-rank personnel (karmchaari) se direct baat karega.
"Hehe, theek hai"
Vinod ne muskarate hue haan me sar hilaya.
"Uhm.. mai yahaan.. aapse kal hui ladayi ke baare me baat karne aaya hun,"
Manav seedhe mudde par aaya,
"Mujhe lagta hai ki apko pehle se pata hoga ki.. ladayi me mai bhi involved tha. Aur.. aisa lagta hai university, us student ko strictly punish karne ki planning kar rahi hai jisne ladayi start ki thi. Aap kuch kariye.. wo student mera ek achchha friend hai aur mai… ”
"Is baare me,"
Vinod ne Manav ko beech me hi roka aur kaha,
"Aaj university affair meeting me, already discussion ho chuka hai. University ke perspective (drishtikon) se, aisi ghatnayein poori university ki spirit aur discipline ko affect kar sakti hai. Isliye, humen is incident ko seriously handle karna chahiye."
"oh..?"
Vinod ki baaton se Manav ka man bhari ho gaya. Use laga ki shayad .. Rajyavardhan uncle ki call se university par kuch fark nahi pada hai..
Achanak Vinod ne baatcheet ka mudda Manav ko bana diya,
Vinod : "Apko kya lagta hai.. is incident ko kaise handle karna chaahiye?"
Aadhe second ke liye Manav jhijhka, phir bola,
Manav : "Mujhe lagta hai ki, uksaane ki pehel pehle basketball team ne hi ki thi, aur.. Adarsh ke paas unse ladne ke alawa koi dusra option nahi tha. Isliye ladayi start karne me sabse jyaada galti basketball team ki hi thi. And, kayi students bhi basketball team ke behaviour se pareshan hai. Jab team ke paas khud ki training facility hai to wo kyu other students ko bully karke outdoor basketball courts le leti hai... ?"
Vinod ne muskurate hue Manav ki aankhon me dekha aur use toka,
Vinod : "Aapko mujhe apna tark dene ki jarurat nahi hai. Bas mujhe ye batayiye ki aap ise kaise handle karte? " ☺
Manav : "Adarsh ki jyada galti nahi thi. Oopar se wo to team ke joint attacks se ghaayal bhi ho gaya hai. Jyada se jyada use, Guidance Counsellor se kuch advice aur discipline ki jaroorat hai. Aur.. basketball team members ke liye, aise rules hona chaahiye jisse ki ve outdoor basketball courts, jo ki regular students ke liye hai, use naa karein. Iske alawa, unhone ek saath ek student par hamla kiya tha to, unhen apne actions ke liye expel na sahi, atleast disciplinary punishment to milni hi chaahiye,"
Manav ko dekhte hue, Vinod kuch seconds ke liye chup ho gaya. Phir achaanak usne apna sar haan me hilaaya aur kaha,
Vinod : "Good, to jaisa apne kaha hai, waisa hi karte hai."
Vinod ki pratikriya se hairaan hokar Manav ne uski or dekha.
Woh to bas kuch suggestions dena chaahta tha aur Adarsh ko expel hone se rokna chaahta tha. Usne bilkul bhi ummeed nahi ki thi ki usne jo jo kaha tha, uske aadhaar par Elder Vinod koi decision bhi le lenge..
Vinod : "Actually, Principal to isko lekar strict decision lena chaahte the,"
Shayad Vinod ne, Manav ke man me uth rahe vicharon ko padh liya tha. Wo aage ki aur jhuka aur Manav se poocha,
Vinod : "Aapne miss Sani ke dad se phone call karne ke liye kaha tha, am i right ?"
Manav ne dheere se haami me sar hilaaya.
“Boss bahut busy hai, koshish kariyega ki future me aap unhe aisi chhoti-chhoti baaton ko lekar pareshan na karein. Aaj ki meeting me jab principal ne clearly kaha ki, decision regular students ke favour me hona chaahiye to, mai turant samajh gaya tha ki ho na ho boss ne silently, principal par apna prabhaav dala hoga."
Vinod ne hanste hue kaha.
Manav : "wo.. mujhe bahut chinta ho rahi thi.. "
Usne explain karne ki koshish ki.
"Haaha,"
Vinod ne Manav ko bade kind aur friendly tareeke se dekha,
"To aap already second level ko clear kar chuke hai?"
Manav : "Haan, kuch din pehle hi clear hua hai. "
"Good job," ☺
Vinod bahut khush lag raha tha,
"Maine kabhi nahi socha tha ki Ms. Shalini, aise personally kisi ko sadhna me help karne ke liye taiyaar hongi. Mere knowledge me ve, second Best Master hai jinhe mai jaanta hun. Unse seekhkar aap definitely tezi se
progess kar lenge."
Manav ne socha ki Number 1 Master yakeenan Saanvi ke chhote chachu - Indrasen Maurya- hi honge.
Parantu, Manav ne Indrasen ke hinsak & ugra swabhaav ka experience kar liya tha aur.. use chhote chachu se kisi bhi tarah ki help ya guidance milne ki koi ummeed nahi thi.
Khair.. chair se uth-te hue Manav ne kaha,
Manav : "Meri afternoon me aur bhi classes hai. . mujhe ab jaana chaahiye,"
Vice Principal ke office me jyaada der rukna, use asahaj kar raha tha.
"Go ..." Vinod ne casually wave dete hue kaha.
Administrative Building se baahar nikalne ke baad wo cafeteria me lunch karne ke liye chala gaya. Lunch karne ke baad weh samay se apni class me wapas laut aaya.
Subah se jabardasti muskurane aur normal vyavhar karne ke baad Adarsh, dophar tak behad bechain ho gaya tha. Usne kuch books ka ek takiya banaya aur uspar sar rakhkar jhapki lene ki koshish karne laga.
“Breaking news ! Breaking news !!”
Class start hone ke kuch minutes pehle, Chetan, apne donon haathon ko hawa me lehraate hue classroom me ghusa aur chillaaya,
Chetan : "Disciplinary punishment ka notice aa gaya hai !!"
"Oh..!?"
Class President Aahna sahit class ke sabhi students ne utsukta aur chinta se Chetan ki or dekha.
Jahir hai.. Adarsh ka sar bhi turant desk se uchhal kar Chetan ki taraf ho gaya.
“Notice, Administrative Building ki first floor ke noticeboard par laga diya gaya hai!
Basketball team ke students jo ladayi me involved the: 4 ko disciplinary measures mile hai, 2 ko verbal warning di gayi hai, aur.. in sabhi ko basketball team se temporarily remove kar diya gaya hai! Iske alawa, unn sabhi ko Adarsh ki medical treatment ka kharcha bhi pay karna hoga..!!
Sabse important baat to ye hai ki Adarsh ko kuch punishment nahi mila ! aur.. naa hi Manav ko!!!"
Chetan utsaah se chillaaya.
Update yahin tak!
🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃![]()
To be continued.....
Awesome update•°UPDATE 60•°