Devilrudra
Active Member
- 514
- 1,405
- 123
Nice•°UPDATE 61•°
Recap -
Jahir hai.. Adarsh ka sar bhi turant desk se uchhal kar Chetan ki taraf ho gaya.
“Notice, Administrative Building ki first floor ke noticeboard par laga diya gaya hai!
Basketball team ke students jo ladayi me involved the: 4 ko disciplinary measures mile hai, 2 ko verbal warning di gayi hai, aur.. in sabhi ko basketball team se temporarily remove kar diya gaya hai! Iske alawa, unn sabhi ko Adarsh ki medical treatment ka kharcha bhi pay karna hoga..!!
Sabse important baat to ye hai ki Adarsh ko kuch punishment nahi mila ! aur.. naa hi Manav ko!!!"
Chetan utsaah se chillaaya.
AB AAGE :-
Chetan ne aage kaha,
Chetan : "Aurr ! Aur!university ne clear kar diya hai ki ab se bina permission ke basketball team, outdoor basketball courts use nahi karegi. Agar, courts ke use ko lekar phir se kuch hota hai to, related basketball players ko strictly punish kiya jayega! "
Khabrilal Chetan se tazi khabar sunkar poori class achambhit thi. Kahan... sabko lag raha tha ki Adarsh ka to 'the end' ho jayega..
Lekin yahan to use, punishment to chhodo, verbal warning tak nahi mili. .
Aur itna hi nahi, basketball team ke members jo bechare ghaayal ho gaye the, ab unhen Adarsh ko uski treatment ka kharcha alag dena pad raha tha.
....
....
....
"Ooo.. teriiii ... kya Adarsh kisi powerful background se hai?!!!"
"Hmm ... Tabhi wo dukhi hone ki bajaay subah se hi masti majak kar raha tha..!!"
"Mujhe to lagta hai ki uske relatives politicians ya government officials honge?"
"Kya Chetan majak kar raha hai..?!!! University ne basketball team ko kaise punish kar diya..?!! ye.. to bilkul impossible tha.."
....
....
....
Turant, classroom me charcha chhid gayi aur.. classroom ke sabhi konon se khusur phusur ki aawajein aane lagi.
Khud Adarsh ko bhi is khabar par vishwas nahi ho raha tha. Usne socha ki kahi usne kuch galat to nahi sun liya hai ??
Apne classmates ki atakalon ke vipreet, aaj subah se hi wo shant aur khush rehne ki bharsarak koshish kar raha tha.
Aisa karke woh khud ko kamjor nahi dikhana chahta tha. Aakhir.., uske paas naa to is problem ka koi solution tha aur naahi koi shandaar background..
Yeh dekhkar ki log uski news par vishwas nahi kar paar rahe hai, Chetan ne apna mobile nikaala aur uski screen sabko dikhate hue bola,
Chetan : "Mere paas notice ki photo hai jo mere ek friend ne send kari thi! Jis jis ko meri baaton par believe nahi ho raha hai wo Administrative Building jakar khud dekh le !!
" Mujhe dikha to ! "
" Abe pehle yahan dikha!!"
...
...
Londe chillane lage.
Chetan ne apna mobile unhen de diya. Ek-Ek karke, ladkon ke chehre par hairani fir khushi aur ant me, vishwas wale bhaav aate gaye.
Jahan tak Aahna ki baat hai to woh.. sabse aage baithi thi. Uski bhauhen halki si tani hui thi aur woh apne honthon ko chabate hue, class ke ladko ko jhumte & excited hote dekh rahi thi.
Darasal, Adarsh ko bachane ke liye usne university management team se baat bhi ki thi. Lekin phir bhi, use ummeed nahi thi ki university aise.. poori tarah se Adarsh ka favour karegi. Iske alaawa, jaisa ki usne socha tha ki ladayi me donon group shamil the to aaj saja bhi dono ko milegi. Lekin iske vipreet university ne sirf basketball team ko punishment di..
Ab jab, Vellore University ke saath test match kareeb tha, , to weh samajh nahi pa rahi thi ki aakhir.. university ne aisa , ek tarfa decision kyon liya hoga..
Ladayi me shamil team members me se 6 ko team se hata diya gaya tha. Aahna to andaja bhi nahi laga sakti thi ki isse uske bhai ki basketball team par kitna bura asar padega..
Haath me apni pen ghumate hue Aahna badi chintit thi.
Is samay, weh Adarsh aur Manav ke baare me chinta nahi kar rahi thi. Balki use to fikr ho rahi thi ki university ke iss decision par uska bhai kaise react karega.
Baharhaal, kuch hi der me professor class me enter hue aur sabki lagatar ho rahi baaton par viram lag gaya. Halaanki, lecture ke dauran phusphusahat phir bhi sunai de rahi thi.
Sameer aur Rupam jo sabse peechhe baithe the, ve donon aapas me bade utsaah se baat kar rahe the.
Khaaskar Sameer, jiska chehra to khushi se laal ho gaya tha. Usne bamushkil apni aawaaj dheemi karte hue chillaya,
Sameer : "Haar kar jeetne wale ko hi baazigar kehte hai!! to Adarsh baazigar aaj tujhe party to deni hi padegi!"
Adarsh : "Bhenchooood! mujhe khud nahi pata ki ye sab kya aur kaise ho gaya."![]()
Ye khushiyon ki leher bahut jaldi aur achanak aayi thi. Halaanki Adarsh abhi bhi thoda confuse tha, lekin woh apne chehre par chhayi, khili hui muskaan ko nahi chippa saka.
Iske alawa, university ke aise decision ko lekar Adarsh khud ko explain nahi karna chaahta tha kyuki.. use ghanta parwaah nahi thi log use kisi powerful background wala maane ya fir na maane..
Poori class me akela Manav hi aisa jo jaanta tha ki asal me ho kya raha tha. .
Haan lekin phir bhi, woh iska credit nahi lena chaahta tha.
Jab tak uska dost Adarsh theek aur safe tha, woh khush tha.
Aakhirkaar, basketball team ke belagam ghodo ko acha sabak mil gaya tha.
Ab Manav ne is news par Lakshya ki reaction ko imagine karna shuru kar diya. Kal tak to woh (Lakshya) kuch jyada hi confident tha ...
Class khatam hone ke baad, sab log Adarsh ke liye cheer kar rahe the aur usko bol rahe the ki atleast sabko chai party hi dede. Chunki Adarsh khud bhi bahut masti ke mood me tha to wo turant maan gaya.
Isliye.., ant me, class ke sabhi students ko is good news ke avsar par Adarsh ki taraf se chai party mili.
Dopaher ke 4 baje, Adarsh ne ladkon ko computer games bhi khilaye. Iske liye, badi sankhya me ladkon ki bheed Central Square par, internet cafes ki or badhi thi.
Ek baar phir se, Manav ne bahana bana diya aur doston ko bheed me shaamil nahi hua. Internet cafe jaane ki bajaay, weh chupchaap Academic Building F me chala gaya.
Is baar, Ms. Shalini ke office me jaane se pehle usne sunishchit kiya ki kahi koi uska peechha to nahi kar raha hai.
Ms. Shalini ke office ka darwaaja band nahi tha maano ve uska hi wait kar rahi ho.
Jab Manav andar aaya, to usne dekha ki Shalini ne apni aankhein kaskar band kar rakhi thi aur poori tarah se apni sadhna me doobi hui thi.
Dheere se, usne darwaja band kiya aur Shalini ke saamne wali chair par baith gaya. Weh use disturb nahi karna chaahta tha, Isliye chair par baithe baithe usne chupchaap Spirit Concentration Scroll ki practice karna shuru kar diya.
Uske pet me maujood dragon core se halki enery ka visphot hua aur energy, uski nabhi se behte hue uske chest ke acupoints tak pahuch gayi. Iske baad energy, gale, chehre, aur sar ke acupoints tak badh gayi, aur fir peeth, pairon ke acupoints se hote hue energy, wapas se uski nabhi me sama rahi thi.
Energy flow ki iss continuous cycle se, aisa lag raha tha jaise ki uski body ka poshan ho raha ho aur.. energy ke is poshan se weh avishwasniye roop se behad halka aur sahaj mehsoos kar raha tha.
Iske alawa Shalini ka office, building ke bahar ke lawn aur garden ki or face kiye hue tha. Baahar se aati tazi hawa aur shaant vaatavaran ke saath ye office, vaastav me, university campus me sadhna ke liye ek perfect jagah thi.
Ye komal aur garm energy, uski aadhi body me bhar gayi thi aur ab Manav, ise aur jyada absorb nahi kar paa raha tha. Isiliye, naa chaahte hue bhi usne apni aankhein khol li.
Apni aankhein kholne par Manav ne dekha ki, Shalini ne bhi apni sadhna poori kar li thi aur ab weh apni chair par baithe baithe, shaanti se use dekh rahi thi.
Background me brown colour ke mankon (beads) wale parde hone ke kaaran, Shalini, jo ki light colour ke kapdon me thi, aisi lag rahi thi jaise ki woh kisi pracheen painting ki ek apsara ho. .
Calmly, usne apna komal haath uthaya aur table par rakha teapot utha liya. Apni ungliyon ko thoda ghumakar teapot ke handle par kaste hue, usne chamkeele hare rang ki chai ko safed jade se bane 2 crystal clear cups me daalna shuru kiya.
Shalini : "Please."
Manav ne apna sar haami me hilaaya aur chai ka cup utha liya. Jaise hi usne ek chhoti si chuski li, usne mehsoos kiya ki iss chai ki khushbu uske muh ki jadon tak sama gayi thi. Jaise jaise wo apni chai peeta jaa raha tha uska poora shareer halka aur phurteela hota ja raha tha.
Apni delicate safed kalayi to haule se twist karte hue Shalini ne bade elegantly cup uthaya aur, chai ki chuskiya lene lagi.
Kamre me sannata chha gaya tha. Khidki se halki hawa aa rahi thi aur poore kamre me thandak phaila rahi thi.
Khair apne beech ki chuppi ko todne ki koshish karte hue Manav ne kaha,
Manav : "University me hue ek incident ke kaaran mai.. kal nahi aa paya..,"
"Mujhe koi matlab nahi hai"Shalini ne thandpan se kaha.
Ab jab uske genuine bahane ko turant reject kar diya gaya to Manav ab, aur kya hi bol sakta tha. Phir bhi, thoda sochne par use baatcheet karne ka ek aur topic mil gaya,
Manav : "Last time jab mai Sani ki family ke saath Maha-bodhi Parvat par gaya tha, to maine choti par sthit Buddhist Temple me, ek patthar ke shila-lekh ko dekha tha. Lekin.. uspar likha hui jyadatar baatein mujhe samajh me nahi aayi.. "
Shalini : "Well.. agar tumhe uspar likhi hui cheejen yaad hai to, mujhe suna sakte ho. "
Jis pal wo us shila-lekh ke saamne khada tha, us pal ko yaad karne ke baad, ab weh Shalini ko uspar likhi baatein sunane ke liye poori tarah se taiyar tha.
...
**(update - 27)**
...
Shalini ke ek ek shabd ko bade dhyaan se suna. Jab Manav ka bolna khatam hua to usne samjhaya,
Shalini : "Aisa kaha jata hai ki yeh shila-lekh Bodhisattva Ashwabhuti ne heaven jaane se pehle likha tha. Maanyata hai ki ye 'Sansaar ke Sar' ko lekar unka bahumulya gyaan tha, isliye is shila-lekh ki history bahut purani hai.
Halaanki, pichhli kayi centuries me, koi bhi iske wording ko poori tarah se samajh nahi paaya hai. Isliye, bhale hi iske baare me anuman sabhi log jaante hai, lekin iska kuch jyada use nahi hai. "
Manav (man me) : "Koi bhi ise poori tarah se samajh nahi paaya hai..? aur idhar maine iski wajah se, Spirit Concentration Scroll ka second level lagbhag clear kar hi liya tha"
**(update 29)**
Shalini : "Waise agar Maha-bodhi Parvat ki baat kare to wahan Dragon Tribe ke ek senior rehte hai. Rajyavardhan ji ka Maha-bodhi Parvat ki trip par jaane ka kaaran shayad.. unse milna hi tha,"
Achaanak, Shalini ne apna sar uthaya aur khud se budbudayi,
Shalini (bahut dheere se) : "Aisa lagta hai ki unhone (Rajyavardhan) logon ko apni side karna start kar diya hai.. ve aane wale samay ke liye ready ho rahe hai. ."
Ab jab Shalini thodi mysterious aur kahi khoyi hui dikh rahi thi, Manav khud ko rok nahi saka aur usse pooch baitha,
Manav : "Ek senior.. aane wale samay ke liye ready hona.. aapka kya matlab hai?"
Shalini ne apni bhaunhon ko thoda sikodte hue uski or dekha,
Shalini : "Humph, tumhe kya lagta hai ki Rajyavardhan ka damaad hona itna simple matter hai?"
Fir shalini ne ne apna haath lehraaya aur aage kaha,
"Alright, 6 baj gaye hai."
Ye jaante hue ki Avantika aunty bhi kabhi Ms. Shalini ko naraaj nahi karna chahengi, Manav ne aage aur kuch nahi poocha aur office se jaane ke liye uth khada hua.
Shalini : "Actually~,"
Theek us samay jab Manav office se baahar nikalne wala tha, Shalini ne use roka aur kaha,
"Mai tumhen techniques ka ek set sikha dungi jo tumhe, apni taakat ko theek tarah se control karne me help karega. Jisse, fir tum logon ko anjaane me itna ghayal nahi kar kiya karoge. " ☺
Aur iske saath hi ye update yahi par khatam hota hai..
🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃![]()
Doston mai kal raat edit kar raha tha lekin pata nahi kab neend lag gayi aur fir mai seedha subah utha..
4 updates back to back complete ho chuke hai.
Fir mila karenge naye updates me.. Thursday & Sunday ko!
To be continued.....


