Update 07
aadmi 1- ye nahi ho sakta meri itni mehnat vifal nahi ho sakti...meri chaal bekaar nahi ja sakti...
shakti- hahahaha...chaal arre chaal to wo hoti hai jiska kissi ko pata na ho...tu kab, kya aur kaise karega wo to hum teh kar rahe the to teri kaisi chaal...
aadmi 2- dhokha kiya hai tumne humare saath...
shaka- jo tumne kiya wo kya sahi tha...dhokhebaaz ke saath kiya dhokha bhi sahi hota hai...
aadmi 1- mujhe pata hai tum mujhe maar doge...magar usse pehle mujhe batao ki tumne ye sab kyun kiya...
shakti- tu bahut badi duvidha mein hai na ki kab kaise huva...
aadmi 2- haan hume sacch janna hai...
shakti- sacch janna hai to suno...
ye bolte hi shakti ne dono ke sar dhadh se alag kar diye...sab ye dekh kar hairaan reh gaye...
simha- beta ye sab kya hai...
geeta- haan rukmini batao na tum ro kyun rahi ho jabki sab theek hai...
rukmini (rote huve)- maa to main kya karun bada waala saara din inke saath chipka rehta hai...soccha tha ki main mere ladle ke saath khelungi par dekho na usne to paida hote hi kaise dost bana liye...
ab main kiske saath khelun wo sab to mujhe bhi badi mushkil se uske paas jaane dete hai...
rukmini ne ye sab itni masumiyat se kaha ki wahan khade sabhi ke hontho par muskaan tair gayi...gamgin mahol mein khushi phir se lout aayi...tab kuch dair baad shakti ne bolna shuru kiya...
shakti- pitaji ye sab tab se shuru huva jab aap mujhe yahan le kar aaye...tabse mujhe har raat sapne aate aur koyi mujhe batata ki mere saath kya hone waala hai...
wo mujhe bacchne ki tarkeeb batata lekin wo ye bhi kehta ki main unko hone se rokne ki koshish na karun...jab meri mulaqaat rukmini se huyi tab mujhe ye pata chala ki humari hone wali dusri santaan vishesh hogi...
magar usse pehle humpar bahut bada sankat aayega aur jaisa kaha gaya tha sab waise hi ho bhi raha tha...aap to jante hai ki aapka khud par vash nahi rehta jab krodh aapke oopar hawi hota hai...
tabhi maine aapko kuch nahi bataya...saath hi ek maa ka mann komal hota hai...wo apne bacchon pe aane waale sankat ko sunkar dukhi ho sakti hai...tabhi humne kissi ko nahi bataya...
shaka- siwaye mere koyi nahi jaanta tha ki kya ho raha hai...inke rishte ko thukrana, rukmini ka swayamwar, sab vidhi ka vidhaan tha...tabhi to jaisa kaha gaya tha sab waisa hi huwa...
ab kuch ye bhi socch rahe honge ki jab hum jaante the to inhe khatam kyun nahi kiya...iska jawaab hai agar ye pehle khatam kar diye jaate to wo kabhi na hota jo hona tha...
samay ke chakra ke saath hume khilwaad nahi karna tha ye hum bhali-bhaanti jante the...