Update 142
PARAS
Shamshera:man me)aaaj raat mujhe hoshiyar rahna hoga agar saajish karne wale mahal k hai to ye bhi ho sakta hai abba jaan par hamla kare..un logo ki bato se ye lagta hai jaise hamla ki aakhiri tayyari me ho aur mujhe lagta hai wo hamla kabhi bhi kar sakte hai
Shamshera apne talwar paas rakha utha leta hai aur usko miyan se kheech kar apne talwar ki dhaar par hath lagte hue
Shamshera:Un lootero ko me isi talwar se maut ka maza chakhaunga aur kisi bhi trah mahal me sajish karne wale ka pardafash karunga us cheeni lootera shungu ko pakad k
Raat bharr shamshera kachi neend me sota hai aur subah sawere uth kar tayyar hota hai aur mahal ka jayeza lene lagta hai mahal k har shaksh par nazar tikaye sabki gatividhio pr paini nazar rakhta hai mahal k charo ore ghum kar kone kone ki talashi lene k baad har sipahio ko mushtaid rakhne k lye kehta hai
udhar Sultan meer wahid so kar uth te hai aur tayyar ho kar roz ki trah bagiche me tahalne k lye nikalte hai sultan apne huzre se nikal kar mahal k bahar ja he rahe the k raaste me unhe hooriya kahi jate hue dikhti hai
Sultan:Mallika e jahan...
Hooriya palat kar dekhti hai aur sultan ko pakar unke paas aakar khadi hoti hai
hooriya:Subah khair sultan
Sultan:subah khair mallika jahan aaj itni sawere aap kaha ja rahi hai
Hooriya:Ji wo mai Mahnoor ko subah subah uth kar padhati hu to wahi razia k huzre me ja rahi thi
Sultan:Wah hooriya aap apne sautan ki beti k lye itni mehnat kar rahi ho itna to koi aurat nahi kr skti islye tumhare jaisi nek koi nahi
Hooriya:Sultan aapki aulaad meri bhi aulaad hai waise bhi mahnoor or sama dono mujhe apni maa se badhkar maanti hai
Sultan:waise aaj kal aap humse milna bhul gayi hu aapke waada ka kya hua
Hooriya:wo..wo sultan aap to jante hai ab is umar me sab hisab ulta ho jata hai me majboor hu nahi to me bhut tadpi hu apke liye
Sultan:theek hai to chalo aaj saath tehal aate hai
Hooriya:kaha jaa rahe hai aap tahalne
Sultan:bass bagiche k traf se waise bhi itna to haq banta he hai hamara apni biwi pr
Hooriya haste hue kehti hai
"Thek hai sultan chaliye "
Hooriya aur sultan baat karte hue mahal k bahar nikalte hai dono dekhte hai saamne shamshera sipahio se kuch baat cheet kar raha hai sultan or hooriya aage badhte hai jaise he shamshera ka nazar padta hai
apne maa baap pr
Shamshera:jao sipahi aur jo bataya hai us pr amal karna
Shamshera apne maa k nazdeek aakar
Shamshera:Subah khair ammi jaan abbu jaan
Sultan:Subah khair mere sher
Hooriya shamshera ko bina bole apna chehra ghuma leti hai jise dekh shamshera ka muh utar jata hai
Hooriya:chaliye sultan bagiche ki ore tahal lete hai
Sultan apne bete ko dekhta hai shamshera apne dono aakho se han kahta hai aur sultan samajh jata hai k wo apne bete k nigrani me surakshit hai
sultan:chaliye mallika jahan
Sultan aur hooriya bagiche ki ore dheere dheere jane lagte hai aur shamshera khada apne maa baap ko jate hue dekh raha tha
Sultan:hamara beta kitna bada ho gaya dekhte he dekhte
Hooriya:man me)Han itna bada k wo ab aapki biwi ko he aapse chhen na chahta hai
Hooriya peeche mudti hai to dekhti hai shamshera bhi unke peeche dheere chalte hue aaraha tha
Hooriya ki nazar jaise he shamshera se milti hai shamshera use pyar bhari nigaho se dekhta hai aur hooriya seham kar wapas aage dekhte hue
hooriya:Han sultan aapka beta bhut bada ho gaya hai
Hooriya:man me)Kaise jalan ho rahi hai shamshera ko jaise mai uski ammi nahi uski mehbooba hu
Hooriya sultan ka haath apne haath se pakad leti hai aur muskurati hui ek baar fir mud kar piche dekhti hai is baar to shamshera ka utra hua chehra dekh kar hooriya ki hasi chhut jati hai
Shamshera:man me)Bhut dard de rhi ho ammi jaan apne aashique ko u tadpa kar aapko maza aaraha hai
Shamshera ab chhup chhup k apne maa baap k piche chal raha tha
Hooriya:ab aap ka jakhm kaisa hai sultan
Sultan ruk jata hai aur hooriya k taraf muh kar k
Sultan:ab theek hai
tabhi sultan ki nazar upar ek vishal vriksha par padti hai samne ek ped pr ek sipahi apne dhanush taane baitha tha jaise he uski nazar sultan se milti hai
sultan:Sipaahio yaha ghushpaithiye hai
sultan upar dekhte hue bhaagne lagta hai aur upar se cheeni lootere jo intezar me the sultan k wo teero ki barish kar dete hai sultan chillaate hue bhaagta hai
Aur shamshera bhi usi waqt apni talwar nikale bhagta hai Shamshera dekhta hai uske abba daur kar ek pathar k piche ja chhupe the aur hooriya wahi bech me achanak hamle se khadi ho gayi thi shamshera bhaagte hue aaata hai aur apne ammi ko apne baaho k ghere me le leta hai teerandaz teer chalana nahi chhorte
Sultan:bhaaaaago hooriya apne aap ko chhupaao
Tabhi shamshera jo apne maa hooriya ko baaho me liye apne talwar se teero ko apne se door aur idhar se udhar bachne ki koshish kar raha tha peech k vriksha se kuch teerandaj shamshera k peeth pr do teer maar dete hai jo sidha shamshera k peeth me ghusta hai
shamshera:aaaaaaaaaaaaaaaah
Hooriya:naheeeeee
Hooriya apne kamar k paas se chaku nikal kar us teerandaaaj k upar fekti hai aur uske seene me ghuste he wo ped se gir jata hai shamshera dhere dheere apni maa ka dhal bana hua pathhar ki ore badh raha tha shamshera:ammi aaap mere peeche aaao sipaaaho kaha marr gaye ..
shamshera apni ammi ko apne peeche leta hai tabhi saamne se shamshera k seene me do teer aaa kar lagta hai
Hooriya:naheeee naheeeee
hooriya chillaa kar rone lagti hai
Shamshera ab tak hooriya ko ek bade pathhar k piche le ata hai aur use baitha deta hai
Shamshera:ammi aap yahi rahiye
Wo teerandaz ab tak ped se utar chuke the aur sultan jo k nihatta tha uske ore jane lagte hai
Hooriya:naheeee beta tum mat jaaao tum bhut ghayal ho naheee
Shamshera:ammi jaaan wo abbaa jaan ko maar denge chhoro mujhe
Shamshera haath jhatak kar apne talwar bahar nikalta hai aur un sab me se ek ko apne khanjar fek kr maarta hai
Shamshera:Pehle mujh se to saamna karo namardo
shamshera chah raha tha k kaise bhi kar k sultan k upar se unka dhyan hate
shamshera ki baat sun kar wo sab hasne lagte hai aur unme se kuch apni talwar nikale shamshera k upar hamla karte hai shamshera jiske badan me abhi char teeer lagi hui thi fir bhi wo unse ladne lagta hai aur apne talwarbazi se teeno ko maar deta hai tabhi parsi sainik aajate hai aur shamshera ka sath dene lagte hai sultan ko shamshera apna talwar deta hai
"ye lijiye abba jaan "
Ye keh kar shamshera gir jata hai
Hooriya jo bade pathhar k piche se sab dekh rahi thi shamshera k girte he bhaag kar aati hai
Hooriya:shamshera utho beta ..tumhe kuch nahi ho sakta
Shamshera:ammi jaaan
shamshera apni halki aakho ko kholte hue
Hooriya:han mere laaal ..tum q meri jaan bachane k lye khud ki jaan jokhim me daal diye q mere bete
Shamshera:ammi jaan mai aap se tahe dill se muhabbat karta hu me mar kar bhi aapo he yaad karunga
Ye kah kar shamshera apni aakhe band kar leta hai
Hooriya:Naheeee mera mera bacha koi mere bete ko uthaaaao
zor se rote hue hooriya chilla rahi thi
Sultan ab bhi dushmano se muqabla kar raha tha
Hoooriya:sultaaan koi mere bache ko bachaaao
Tabhi ek parsi sipahi kehta hai
"Sultan aap jaiye shehzade ko le kar mahal wo ghayal hai hum dekh lenge inko"
sultan shamshera k paas aata hai shamshera dard k maare kahar raha tha sultan aur ek sainik mil kar shamshera ko mahal ki ore le jate hai mahal k paas ja kar sultan aur sipahio ko hamle ki jagah madad k liye bhejta hai
Sultan:hakeem ko bulaaao
Hakeem sahab bahar aate hai
Hakeem:4 teeer lage hai inko jaldi se shifa khane le chaliye
Hooriya:hakeem sahab mera beta use kuch nahi hona chahiye
rote hue chillate hai
Hakeem:mallika ab duwa kijiye halat bhut nazuk hai
Shamshera ko utha kar shifakhna me le ja kar lita dya jata hai aur hakeem teero ko shamshera k badan se nikalne lagte hai
Gul shah hungama sun kar bahar aata hai aur wo khush hote hue
Gulshah:man me)lagta hai sultan ka kaam tamam ho gaya
Gul shah bahar aata hai to dekhta hai k hooriya ro rahi hai shifakhane k saamne
Gul shah:Man me)Hooriya begum aap ko rone ki zarurat nahi apke sangemarmari badan ki pyass me bujhaya karunga Sultan se zyada pyar karunga
gul shah hooriya k paas aaata hai aur hooriya ko dekh apne aakho me aasu laate hue
Gul shah:bhabi jaan kisne hamla kya aakhir kiski dushmani thi sultan se
Hooriya gul shah ko dekhte hai rote hue
Gul shah apne bhabi hooriya k sar ko apne seene me laga leta hai
gul shah:mar roiye bhabi jaan ye waqt rone ka nahi hai
Tabhi saamne k shifakhana se sultan bahar nikalta hai jise dekh kar gul shah k aakhe badi ho jati hai
gul shah:man me)Ye to sahi salamat hai ye kaise mumkin hai fir hooriya ro q rahi hai
Gul shah apne bhai ko dekh apne bhabi se door hote hue
Gulshah:bhabi kya hua aap ro q rahi hai itna
Hooriya:wo andar mera beta
fir rone lagti hai
Gulshah:man me)to ye shamshera ne sab pr paani fer dya chalo baap nahi to beta sahi
Tabhi sultan gul shah k samne aajata hai
Gul shah:Bhaijaan ye kaise hua itni sawere kaise hamla hua
Sultan:hamlawar kabhi bol k nahi aate
Tabhi ek sipaahi aataa hai
Sipaahi:Sultan humne sab hamlawar ko maar giraye aur unki pehchan bhi ho gayi hai wo cheeni hai
Sultan:theek hai tum jaao
Gul shah:bhai jaan ye cheeni hum pr q hamla karna chahte the
Sultan:Hum pr nahi unka nishana me tha Gul shah
Sultan:Hooriya chaliye aap andar baithye rona band karein
Hooriya:nahi pr wo Shamshera ..
Sultan:use kuch nahi hoga shera hai shamshera
Sultan hooriya ko le kar apne huzre me jata hai
Sultan:aap rona band kijiye mallika e jahan
Hooriya:mera beta meri wajah se maut k muh me hai ye sab meri galati hai
fir rone lagti hai
tabhi waha Naaz,Razia,muskan teeno sultan ki biwia aur Sama aur mahnoor dono betia bhi aajati hai
Naaz:Baaji chup karein aap ka he beta nahi shamshera hamara beta bhi hai
Razia:han baaji bilkul theek kah rahi hai
Hooriya:naaz raiza ye sab meri galati ki wajah se hua
Sultan waha se uth kar bahar aajate hai
Sama:Badi ammi bhaijaan ko kuch nahi hoga aap rona band karein
Tabhi afsana khatoon aajati hai aur apne bahu ko apne gale se lagate hue
Afsana:pota hamara sher hai teer ki kya mazal jo use maar de bass ab hosh me aao
Afsana:Mahnoor glass me paani laao
Mahnoor paani deti hai aur afsana apne hatho se paani pilati hai hooriya ko
udhar sultan shifkhane k traf jate hai to samne unke pita sultan dastan khade the sath he shehzade shaan aur gul shah
Shaan:abba jaan ye kaise hua
Sultan apne haath utha kar
"bass..tum kaha the so rahe the shaan"
Shaan chup he rehna behtar samajhta hai
Dastan:ye cheeni lootere hamare mahal me kaise ghus sakte hai
Sultan:abba jaan aap hamare sath aaiye
Sultan apne pita k sath thodi duri par jaate hai gul shah aur shaan se
Sultan:Abba jaan in mamuli lootero me itni himmat aur samajh bujh nahi k hamare mahal tak pahuch sake
Dastan:beta tum kehna kya chah rhe ho
Sultan:Inki madad karne wala koi hamara apna hai jinhone mahal me aane ka raasta bataya
dastan:kya..
sultan dastan ka muh khula ka khula reh jata hai
Gul shah apne baap aur bhai ko he dekh raha tha
Gulshah man me)Lagta hai sultan ko shaq ho gaya hai k ye hamla kisi ki madad se hua hai
Gulshah:Shaan tum yahi raho me zara un hamalawar ko dekh kar chhan been karta hu
Shaan:Ji chacha jaaan
Gul shah mahal k bahar nikalta hai aur ek sipahi ko bhej kar chan pasha ko bulwata hai
Gul shah bagiche ki ore jata hai aur hamlawaro ki laash ko dekhte hue palat palat kar sabko dekhta ha
Gul shah:shungu nahi hai isme
tabhi chan pasha aata hai
Gul shah:zara idhar aao chan pasha
Chan pasha ko ek taraf le kar jata hai aur ek thappar chan pasha k gaal pr rakh deta hai
Gul shah:Ye kya bewaqoofi hai chan pasha kaise ek chhota sa kam tum nahi kar sakte
Chan pasha:Ustaad wo
Gul shah:chup ek dam tumhe pata hai Sultan ko shaq ho gaya hai
chan pasha:Ustaad maine to hamesha sultan ko akele tahalte dekha tha subah islye
Gul shah:ye kaise mumkin hai fir k aaj shamshera bhi itni subah aagaya jo kabhi dupahar se pehle nahi uth ta
Chan pasha:Ustaad ab hum kya kare
Gul shah:tum shungu se milo or use kaho ab koi hamla na kare aur kuch din tak paras me kisi ko dikhai nahi de aur na paras chhor k jaye
Chan pasha:kya shungu nahi tha in sab me
Gul shah:nahi shungu nahi tha maine laasho ko dekha hu
Chan pasha waha se chala jata hai
Idhar shifakhana me shamshera leta tha aur hakeem ilaaj kar raha tha kuch teen ghanto baad shamshera ki aakh khulti hai jise dekh hakeem khush hota hai
Hakeem:Suno shehzade k liye in jadi bootio ko pees kar dawa bana kar pilao
hakeem k sathi apne mehnat se zehar ki kaat k lye dawa bana kar shamshera k paas late hai
Shamshera apne aakhe dheere se kholta hai to hakeem aur unke sathi se ghira pata hai
hakeem:ab aap theek ho jayenge shehzade ..laao wo dawa me pila deta hu
Shamshera:Hakeem..Mujhe nahi peena dawa
Hakeema:shehzade ye aapke jism me zehar nahi failne dega
shamshera:Mujhe nahi peena pehle mujhe ammi jaan se milna hai akele me
Hakeem apne sathio k sath bahar aata hai aur samne sultan ko dekh
Hakeem:mallika jahan kaha hai
Sultan:shaan jao apni badi ammi ko bulao
Udhar huzre me hooriya ab shant ho chuki thi par ab bhi uske aakho se aasu tapak rahe the
Hooriya:man me)Kaise shamshera behosh hone se pehle tak mujhe kehta raha k wo mujhse muhabbat karta hai ...Kya sach me wo bepanah mujhse muhabbat karne laga hai ek aurat ki trah mujhe muhabbat karta hai..kya yahi wajah hai k usne apne seene me teer kha liye meri jaan bachane k lye..ye kya pagalpan hai shamshera
Tabhi shaan ki aawaz aati hai
Shaan:Shamshera ko hosh aagaya hai aur wo aapse milna chahta hai badi ammi
Hooriya apne hatho se aasu pochte hue khadi hoti hai aur bebaak apne huzre se nikal kar daudne lagti hai peeche se razia aur naaz bhi aane lagte hai
Hooriya bahar aati hai dekhti hai sultan aur hakeem baat kar rhe the
Hooriya:hakeem sahab kaisa hai mera beta
rote hue sisakte hue kehti hai
Hakeem:Mallika jahan unko hosh to aagya hai par unke jism me zehar fail gaya hai aur unke zakhm bhi gehre hai abhi hum kuch keh nahi sakte
Hooriya:kya kah rhe ho tum hakeem mere bete ko kuch nahi ho sakta
Hakeem:hum puri koshish karenge mallika abhi hum unhe dawa pilane ki koshish kr rhe hai par wo nahi pee rhe hai aur zidd kr rhe hai k aapse milna hai
Hooriya hakeem k chehre pr dekhti hai aur besudh he shifa khane me ghus jati hai
Hakeem:aap sab nahi jaye shehzade akele me baat karna chahte hai
sab bahar he ruk jate hai
hooriya andar jati hai to shamshera k jakhmo par patti bandhi thi aur wo leta tha
Hooriya shamshera k paas ja kar khadi hoti hai aur shamshera ko dekhte hue
Hooriya:man me)aaakhir q apne jaan me jokhim me dal dye tum chal jane dete mere seene me teer q apna seena chhalli kar lye tum shamshera ..tum nahi jante mera tumhare siwa koi nahi agr tumhe kuch ho jayega to me kiske bharose jeeungi
Hooriya:shamshera ..
thuk gatkte hue apne bete ko pukarti hai shamshera dheere apne aadhi aakh khol kar apne ammi ko dekhta hai
Hooriya apne bete k paas ja kar apne bete ka haath apne haath me le kar
Hooriya:kya hua mere bache tum dawa kha lo tum bilkul theek ho jaoge mere laal mere shehzade
Shamshera:am ammi..
Hooriya:han bolo meri jaan kaho na sun rahi hai tumhari ammi
Shamshera:ammi me dawa nahi peeunga mujhe mar jana he behtar
hooriya aakho me aasu liye rote hue
Hooria:aakhir aisa q keh rhe ho
Shamshera:ammi jaan jab aap mujhe aur meri muhabbat ko hawas ka naam deti hai to mujhe lagta hai mera jee kar koi fayda nahi
Hooriya:tum kehna kya chahte ho
Shamshera:aap meri muhabbat ko hawas na samjho bass aur meri muhabbat ko sachi mohabbat maano ye baat qubool karo me dawa kha lunga
Hooriya rote hue apne bete ka hath apne haath me lete hue
Hooriya:Me qubool karti hu k mere bete ka muhabbat hawas nahi tumhari muhabbat sachhi muhabbat hai
Shamshera apne ammi ko dekhta hai aur halka muskurata hai aur uski aakhe band hone lagti hai
Hooriya:hakeeeeeeeem sahaaaaaaaaab
hakeem aur unke saathi daud kar andar aate hai
Hooriya:'dekhiye ye aakhe band kar raha hai apni ..
rote hue kehti hai
hakeem:wo dawai do mujhe
Hameem shamshera k sar ko hatho me liye
Hakeem:ab to pee jaiye shehzade
Shamshera apne lab kholta hai aur hakeem wo dawai pila deta hai
shamshera fir se behosh ho jata hai
Hooriya:ye kya ho raha hai hakeem sahab
Hakeem:fiqr mat kijiye behosh hue hai thodi der me hosh aajayega dawai ka asar jaise hoga
Hooriya chain ka saas leti hai aur bahar aati hai
Hakeem bhi bahar aata hai sabko batata hai k ab shamshera khatre se bahar hai par abhi bhi unke upar dhyan dene ki zarurat hai
dastan:Theek hai bachho ab tum sab jaao aur kuch kha lo mai yahi par hu
Hooriya:abba jaan aap jaye me rukti hu
Sultan:theek hai aap dono he ruk jaye hum sab chalte hai..aap log jaiye Naaz..razia aur muskan shaan inhe le jao
Sab apne apne huzre me chale jate hai hooriya aur sultan dastan shifakhane k samne rukte hai
Sultan:man me)Ye Gul shah kaha hai ?
Sultan:aap dono yahi rahe me aata hu
ye keh kar sultan mahal se bahar nikalta hai aur idhar udhar gul shah ko dekhne lagta hai
To be continued...