Update 88
Main kafi chalne k bahd poncha aik aisi jga jahn aik pahd tha jis pey sirf chatanen(rocks) thin wo alag hi tha mtlab baqi sb trf to sabza tha lekin is pey koi tree koi ghas kuch nahi tha main samjh gya yehi wo jaga hai jahn wo ghaar hai main ne us ghaar ko talash krna shuro kr diya per kuch samjh nai aa raha tha k ghaar ka munh kis traf hai kuch der bahd mujhe aik jaga kuch hadiyan mili kuch janworn ki aur kuch insanon ki hadiyan main samjh gya yehi jaga hai kyun k in sb ko us chudail ne hi mara hai main ne us pahad ko ghor se dekha to qreeb 15 feet ki height pey aik bohat bada pathar tha main oper chala gya mujhe ab kuch ghaibi powers ka ahsaas ho raha tha us pathar ka size qreeb 10 feet round ho ga main ne us ko choone ki koshish ki to aik bohat bada jhatka laga mujhe agr koi aam insan hota to wo udta huwa neeche ja girta aur shaid kabhi uth b na sakta
Main : samne aao mujhe pta hai tum aik chudail ho aur is ghaar ki hifazat kr rahi ho behter yehi hai k mere samne aa jao
Itne main mere samne dhunwan(smoke) uthne laga aur jb dhunwan kam huwa to aik bohat hi beyanak chehre wali chudail mere samne thi us ki shakal bohat hi drawani thi us k baal(hair) safaid the aur ghane aur khule huwe the us k jisam per safaid libas tha us ki aankhen kaali thin us k daant lambe lambe the us k hath k nakhan(nails) lambe lambe the aur us k paon ulte the yehni paon ka panja yehni ungliyan peeche ki traf thin agr yahn koi aam insan hota to yaqeenan usye dekh kr hi mar jata
Chudail : kon ho tum kyun aye yahan chale jao warna mar jao gye mere hathon
Main : main kon hon yeh to tum ko pta chal hi jaye ga itna to tum b samjh gai ho gi jo tum ne apne talisam se mujh pey war kiya phir b mujhe kuch nahi huwa to koi aam insan to nahi hon main
Chudail : han main samjh gai tum main kuch to hai lekin tum shaid jante nahi main ne apni poori taqat istemal nahi ki thi
Main : janta hon tum chudail ho aur bohat taqatwar b ho tumhara naam ZARA hai
Zara : tum mera naam kaise jante ho
Main : main to yeh b janta hon tum is ghaar ki hifazat kyun kr rahi ho karoon k kehne pe to seedhe point pey ata hon main apne jinn ko azad krwane aya hon wo jin mera ghulam hai
Zara : hahahaha tum azad krwao gye bhool hai tumhari zinda bacho gye to azad krwao gye na
Main ne apni wo angoothi jo baba ne di thi wo samne ki to zara ka chehra usye dekh k hi peela padne laga
Zara : yeh angoothi tumhare pas kaise yeh nahi ho sakta yeh to karoon k dushman ki angoothi thi jise karoon ne mar diya tha
Main : hahaha jaan g wo main hi hon phir se janam ley k aa gya tere us karoon ko khatam krne
Zara : tum kuch b kro main tumhen nahi chodon gi
Is k sth hi us ne apna aik hath agye kiya us k hath agye krte hi aik roshni nikli is se pehle k wo mujh se takrati main ne angoothi wala hath agye kr diya roshni angoothi se takra kr wapis usi ko ja lagi jis se wo udti hoi ghaar k pathar se ja takrai
Main : dekh liya is angoothi ki power ko ab b waqt hai meri ghulam ho ja zinda chod doon ga
Zara : sanbhalte huwe nahi kabhi nahi karoon tumhen zinda nahi chode ga
Main ne bag se wo gudiya nikali jis main is chudail ki jaan hai jab us ne us gudiya ko dekha to cheekhne lagi
Zara : nai aisa mat krna warna main mar jaon gi wo mujhe dey do
Main : ab tu nahi bache gi
Main ne us gudiya ki gardan ko aista aista modna shuro kiya zara apni gardan pey hath rakh k cheekhne lagi
Zara : ahhhaaa nahi chod do mujhe main wahi kron gi jo aap bolo gye main aap ki ghulam hon chod do mujhe
Main ne gudiya ki gardan chod di wo mere agye sar jhuka kr guthnon pey beth gai
Zara : aaj se yeh zara aap ki ghulam hai maalik aap jo bolo gye wahi kron gi
Main : kabhi dokha to nahi do gi na
Zara : nahi malik kabhi nahi
Main : agr yeh gudiya kisi aur ya karoon k hath lag gai to tum un ki ghulam ho jao gi phir tum mere khilaf ho jao gi bolo
Zara : aisa tab ho ga na jb yeh gudiya rehe gi is ka aik hi hal hai maalik aap apni angoothi ko is gudiya k sar k sth touch kren meri jaan jo is gudiya main hai wo aap ki angoothi main chali jaye gi aur aap ki angoothi ki taqat b bhad jaye gi aur main ne jitne b gunah aur paap kiye hain us se b chutkara mil jaye ga aur yeh gudiya esi waqt jal jaye gi
Main ne aise hi kiya dekhte hi dekhte gudiya main se aik tezz roshni nikli aur angoothi main jane lagi wahi zara dard se tadpne lagi jab roshni angoothi main sama gai to gudiya ko aag lag gai aur zara b theek ho gai
Main : kya huwa tha tumhen
Zara : meri jaan aik cheez se dusri cheez main muntaqil hoi hai is liye mujhe itni taklif hoi hai
Main : tum ne btaya kyun nahi k tumhen itni taklif ho gi
Zara : main ne is liye nahi btaya k aap shaid aisa na kro meri taklif ka sun kr
Main : yeh sb kis liye kiya tum ne
Zara : aap k liye b aur apne liye b aap aik ache insan hain is liye itna dard to seh hi sakti hon aur khud k liye ta k ab koi b mujhe aap se alag nahi kr sake
Main : waise mujhe lagta hai ab tum main se sb buri adat khatam ho gai hain is liye achi achi baten kr rahi ho aur aik cheez aur reh gai hai wo b change kr do apna yeh chudail wala hulya change kro aur aik insani ladki k roop main aa jao
Zara : jo hukam maalik
Dekhte hi dekhte zara aik bohat khubsoorat ladki main badal gai behnchod koi dekh ley to aik nazar hi main mar mite lambi lambi zulfen, doodh jaisa rang, khubsoorat aankhen, gulabi hont 36 k mamey ghazab hi thi
Zara : kahan kho gye maalik
Main : han kuch nahi aur yeh maalik kehna band kro aaj se tum meri dost ho bolo bano gi meri dost
Zara : khush ho kr han kyun nahi aaj se main aap ki dost per main aap ko kya bolon gi
Main : kashif naam hai mera to sb kashi bolte hain tum b kashi bola krna chalo ab is pathar ko hatao ta k main MURAAD ko nikal sakon
Zara ne apna hath agye kiya to wo pathar ghaar k munh se khiskna shuro ho gya aur dekhte hi dekhte ghaar ka munh khul gya andar andhera hi andhera tha main aur zara andar chal pade kuch age jane per us ne mujhe roka aur apne dono hath ko agye kiya jis se tezz roshni k sth aik blast huwa
Main : yeh kya tha
Zara : yeh aik talisam tha ya sheild keh sakte ho yeh 2 kaam kr rahi thi aik to is sheild ko koi todd kr na andar ja sakta tha aur na hi bahir aur dusra yeh jo jinn hai muraad is ki powers b kaam nahi kr rahi thin
Itna bol k zara junhi agye badhi muraad ne zara ko gale se pakad kr oper utha liya marne k liye jis se zara ki cheekh nikal gai
Main : chod do muraad usy main aa gya hon
Muraad ne jaise hi mujhe dekha zara ko us ne chod diya aur mere samne guthnon pey beth gya main agye bhada aur us ko kandhon se pakad k oper uthaya aur gale laga liya jaise hi gale lgaya mujhe peechle janam main us k sth bitaye huwe sab lamhe kisi movie k fast forward ki trah meri ankhon k samne se guzar gye
Muraad : aap aa gye maalik mujhe pta tha aap aao gye boht intezar krwa diya aap ne lekin yaqeen kro main ne umeed nahi chodi 500 saal tak aap ka intezar kiya
Main : kaise nahi aata badla jo lena tha us karoon se aur bhool gya main ne kya bola tha maalik nahi kehna
Muraad : kya kron itne saal bahd aap ko dekha to socha pta nahi aap ko yad b hai ya nahi aur tab ki bat aur thi ab pta nahi aap kaise react kro bhai
Main : acha chod aur sun is janam main mera naam kashif hai aur sb kashi bolte hain tum dono b kashi bol sakte ho aur muraad isye mahf kr dey yeh b majboor thi karoon k hathon ab yeh b apni dost hai theek hai
Zara : han muraad please mahf kr do
Muraad : ok kashi bhai ne bola hai to kr raha hon
Main : ok wo to theek hai yar insan ki shakal main aa ja pehle ki trah koi dekhe ga to darr jaye ga
Muraad : oh sorry sorry main bhool gya tha
Is k sth hi muraad insan ki shakal main aa gya main ne dono ko neeche bethne ko kaha aur apne hath dono k sar k oper rakh diye jis se yeh huwa k dono ko meri zindagi se related jitni b maloomat thin mil gai
Main : good chalo tumhre liye aik surprise hai mere pas mera hath pakad lo
Dono ne mera hath pakad liya zara ka hath mere hath main aya to mujhe aik jhatka laga aik maze ki feeling mere poore jisam main daod gai main ne us ki traf dekha to to wo halki si muskrai aur sharma gai main dil main yar ab to gudiya nahi chode gi kashi beta tu to paka gya ab hum wahan se ghaib ho kr us jaga ponche jahan main gadi khadi kr k gya tha hum us main beth gye aur chal pade ghar ki traf kuch der bahd hum ghar ponche kashmala bua ne jb dekha to un se milwaya in ko dost keh kr
Main : bua aap sirf itna samjh lo k yeh muraad hai azad ka bhai aur yeh b un jaisi hi hai
Bua : pta nahi tum kya kya krte rehte ho
Main ne sb ko bula kr un se in ko milwaya itne main bua chahye b ley aai sb ko di sb ne pee phir main dono ko oper room main ley aya
Main : muraad tiyar ho surprise k liye
Muraad : han bhai
Main : to apni aankhen band kr lo
Us ne apni aankhen band kr li main ne azad aur soni ko yad kiya to wo hazir ho gye azad ki nazar jab muraad pey padi to us ki aankhen nam ho gai
Main : aankhen kholo muraad
Muraad ne aankhen khol li samne apne chote bhai aur bhabhi ko dekh khud ko control nahi kr paya aur dono bhai aik dusre k gale lag gye dono ki aankhon se aanso nikal rehe the phir alag huwe muraad ne soni ko b gale lgaya phir alag huwa
Azad : mera bhai kaisa hai ab
Muraad : tere samne hi hon chote kashi bhai ne akhir mujhe azad krwa hi diya
Soni : muraad bhai aap ko bohat miss kiya main ne
Muraad : kyun azad khush nahi krta kya jo mujhe miss krti rehi
Soni : sharma kr nahi wo to krte hain un k oper bhabhi ki b zimadari thi na
Muraad : chal koi ni main aa gya hon na sari kasar door kr don ga
Main : oye kamino kya chakar hai yeh
Azad : wo bhai asal main hum bhai kam dost hain to apis main mil bant kr khate rehe jb shadi ho gai muraad bhai ki to is ne bhabhi ko mere liye raazi kr liya to main b bhabhi k sth krta raha phir jb meri shadi hoi to main ne soni ko bta diya phir yeh b shamil ho gai to bs aise hi chalta raha humra
Main : main to tum logon ko sharif samjh raha tha khair muraad aaj raat tum soni k sth raho gye
Main ne dekha soni boht khush nazar aa rehi thi khair phir main ne azad ko bola k muraad ko ley jaye aur aram kro khao piyo wo sb chale gye zara yehi thi
Main : tum kider jao gi
Zara : aap ki bahon main
Main : kyaa
Zara : mera matlb aap k pas hi rahon gi
Main : waise main samjh raha hon tum kya chahti ho lekin abhi waqt hai ok
Zara : munh latka kr g theek hai
Main ne usye apni traf khencha aur bahon main bhar liya uff kya lams tha us ka
Main : pagal mujhe b tum pasand ho lekin abhi nahi ok
Main ne aik chota sa kiss us k honton pey kr diya
Main : chalo jao fresh ho jao aur sara aur nadia k sth rehna ladki ban kr hi chudail wali shakal na dikha dena un ko
Wo hansti hoi chali gai main b fresh ho gya aur bistr pey let gya
Baqi next update main...