UPDATE 8
.
jaise hi bua aur main ghar me enter hue mujhe dekhte hi unke tino bachhe chaunk gaye.
"mummy ye yahan kab aaya....." Amar bola
"aaj subah hi main ise lene gayi thi aur dophar ko wapas aai" via boli
"lekin aap ise yahan kyon le aayi" sunny ne puchha
"thi koi baat beta jo sonu ko yahan lana pada aur ab se ye hamare sath isi ghar me rahega aur aaj hi maine iska admission paas wale government school me karwa diya hai ab ye wahin padhega" bua ne unhe bataya
"what..... ye kya kah rahi hai aap, ye manhoos ab is ghar me hamare sath rahega? mom kahin pagal to nahi ho gai aap" bua ki baat sunkar rashmi jor se chillayi
"shut up rashmi..... kya tumhe jara bhi tameez nahi hai ki bado se kaise bate karte hai" bua gusse se boli
"wo mom.... lekin.... lekin" rashmi darte hue boli
"koi lekin vekin nahi maine kah diya na bas, aur haan ek baat kaan khol kar sun lo ab se koi bhi sonu ko manhoos kah kar nahi bulayega wo tum logo ka chhota bhai hai tum tino ko us se milkar rahna hoga aur haan sonu bhi tum tino ki baat manega aur tumhare kisi bhi kaam ke liye mana nahi karega" bua mujhse chhupa kar un tino ko aankh marte hue boli
baki dono ka to mujhe pata nahi lekin shayad amar bhaiya bua ka ishara samajh gaya tha isliye koi aur kuchh bolta wo bol pada "ok mom hame manzoor hai, jaisa aap chahe"
"ye hui na baat, chalo sonu ab tum apne room me jao aur apna saman set kar lo aur tum tino mere room me aao aur aaj school me kya kya kiya batao" kahte hue bua ne mujhe store room me bhej diya aur apne bachho ko lekar apne room me chali gai
{bua ke room me}
"mummy ye sab kya hai waise aapka ishara dekh kar main samajh gaya hu ki aap kisi chakkar me hai" amar room me pahuchte hi bola
"dekho bachho main jo kah rahi hu wo dhyan se suno, amar sahi kah raha hai ki main kisi chakkar me hu aur main wo sab agar tumhe abhi bata bhi du to wo tumhe samajh me nahi aayega kyonki abhi tum log wo sab samajhne ke liye bahut chhote ho, ab main baat suno tum tino ko sonu ke sath bilkul bhi jhagda ladai nahi karni hai bhale hi us se pyar karo ya nahi us se baat karo ya nahi lekin use bura bhala kahne ki koi jarurat nahi hai chaho to us se apne kaam karwa sakte ho use noukar ki tarah use kar sakte ho lekin use hurt nahi karna hai samjhe" shobha ne apne bachho ko samjhaya
"lekin mom is sab ki kya jarurat hai" rashmi boli jo tino bhai bahan me sonu se sabse jyada chidhti thi
"maine pahle hi kaha na ki agar main is bare me samjhaungi to bhi tumhe samajh nahi aayega isliye chup chap meri baat mano aur jaisa main kah rahi hu waisa hi karo aage chal kar is se tumhe bahut faydaa hone wala hai" shobha ne like samjhaya
"ok mom jab aap aisa kah rahi hai to maan lete hai" sunny bola
"man-na hi padega beta aur jab tum ye sab samajhne layak ho jaoge tab main sab bata dungi" shobha boli aur phir usne bachho ko home work karne bhej diya aur khud apne kamo me lag gai
raat koi 8 baje fufaji waapas aaye unka naam RAJ hai jab unhe pata chala ki bua mujhe yahan rahne ke liye le aayi hai to ek bari to unka muh ban gaya lekin bua ke chehre ki muskurahat dekh kar wo chup hi rahe ab shayad wo akele me unse baat karna chahte the.
khair raat ko khana khane ke baad sabhi apne room me the koi 10.30 baje ke aas paas mujhe pyas lagi to main pani pine ke liye kitchen ki taraf jane laga to mujhe bua ke room se bato ki aawaj aai to main wahin ruk gaya kyonki un bato me mera zikra ho raha tha
"ab wo mare ya jiye us se hamara kya matlab hai jab uske maa baap hi uske nahi ho rahe to hame us se kya matlab hona chahiye" fufaji ki aawaj aai
"uske maa baap uske nahi ho rahe yahi to apne kaam ki baat hai aur isiliye to main use apne sath le aayi hu" bua boli
"kya matlab" fufaji ne puchha
"shayad aap nahi jante ki mere papa ne marne se pahle ek wasiyat ki thi" bua boli
"wasiyat ki thi ye to main janta hu lekin usme kise kya diya tha ye mujhe nahi pata" fufaji bole
"yahi to main aapko batana chahti hu, dekhiye mujhe jo dena tha wo marne se pahle hi de chuke the aur wawiyat me unhone sirf do logo ko hi nominee banaya hai ek to bhaiya hai aur dusra sonu hai dono hi aadhe aadhe ke hissedaar hai aur tumhe yakin nahi hoga ki papa ki jo jaaydaad hai wo lagbhag 2500 korore se bhi jyada hai yani ki aaj ki condition me sonu 1200 korore ka malik hai" bua ne jaise bomb sa foda
fufaji ka muh khula ka khula rah gaya aur main bhi chakit tha ki kya ye sach hai
"kyaaa....." fufaji ke muh se nikla
"haan yahi sach hai lekin wo property aur bank balance ko koi bhi sonu ke 21 saal ka hone tak hath nahi laga sakta khud sonu bhi nahi, waise jab wo 19 saal ka ho jayega to bank me jama paiso ke salana byaj se use kuchh hissa mahine ke mahine milta rahega lekin wo kitna hoga ye main nahi janti" bua boli
bua ki baat sunkar fufaji kuchh der tak chhup rahe phir bole "lekin isme hamara bhala kahan se hoga"
"jab sonu yahan rahega to mujhe mauka hoga na kuchh na kuchh karke thoda bahut jhatakne ka ya phir pura hi hadapne ka" bua shatir muskaan se boli
"karna kya chahti ho tum..." fufaji ne puchha
"wo to maine abhi nahi socha hai lekin jo bhi karungi wo apne faayde ke liye hi hoga ab tum bas itna karna ki kabhi bhi sonu ko hurt nahi karna bas use ye na lage ki uske sath yahan bhi wahi ho raha hai jo uske ghar me hota tha bhale hi tum us se nafrat karo lekin jahir mat hone dena, thik...." bua boli
"hummm...." fufaji ke muh se nikla aur phir unki bate khatam ho gai
idhar abhi tak mujhe yakin nahi aa raha tha ki main itna ameer hu bhale hi us time main kam umar tha lekin paiso ki takat to har koi janta tha aur ab bua ki bate sunkar main samajh bhi gaya tha aur sawdhan bhi ho gaya tha ki wo sirf mere paiso ke pichhe hai baki use mujhse koi lena dena nahi tha lekin uske sath rahna meri majburi thi kyonki 19 saal ka hone par hi mujhe paisa milna shuru hona tha tab tak to yahin mera gujara tha........