• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Yash420

👉 कुछ तुम कहो कुछ हम कहें 👈
2,325
6,801
144
Shaandaar Update Bhai
Jitna socha tha ussai badhkar Mila 🙏
Or ek baat Mohit Manju Mam ke bare main toh janta hai toh phir wahan kyun Nahi Dekha ?
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
Update 186



Main jise dekh kar khud ko rok nahi paya wo shakhs koi aur nahi Manju m thi. Pata nahi kya wajah thi par unhe dekh kar aise laga jaise mujhe jiski zarurat thi wo yahi hai. Mere aansoo khud hi beh nikle aur maine Manju m ko kas k gale se laga liya . Manju m bhi mere gale lag kar mujhe sehlati rahi . Mujhe aaspas ki na parwah thi na koi khabar. Bas main jee bhar k rona chahta tha k apna man halka kar sakun. Karishma didi ki baton se mere dil ko dard hua tha shayad uska yehi ilaj tha. Wahin Manju m mujhe is tarah dekh kar hairan thi aur lagatar mujhe sehla rahi thi aur shant karne ki koshish kar rahi thi. Meri halat dekh kar unki ankhen bhi bhar aayi thi .

Manju m : Amit !!!! Kya hua ?? Tum aise ... yahan .... please batao kya hua hai ? Please khud ko sambhalo .

Manju m mujhe chup karwa rahi thi par main kuch der tak bas khud ko halka karta raha. Aur jab main kuch sambhala to Maine Manju m ko khud se alag kiya.

Manju m : tension me ) Amit tum yahan kaise ? Kya hua hai ? Please mujhe batao ? Mera dil baitha ja raha hai . Kahin kuch ...

Amit : ankhen saaf karte hue) kuch nahi hua hai . Bas man bhara hua tha to aankhen chhalak aayi.

Manju m : par tum yahan kaise tum to ... acha wo sab chhodo aur chalo mere sath .

Amit : par kahan ?

Manju m : ghar aur kahan , chalo ab utho.

Amit : par ....

Manju m : main kuch nahi sunungi chalo jaldi karo.

Manju m ne khud hi Sara saman uthaya aur maine bhi unki madad ki. Fir hum park se bahar aaye aur saman ko Manju m ki car me rakha.

Manju m : tum car me chaloge ya bike se?

Amit : main bike lekar aata hun .

Manju m car me aur main bike pe chal pada. Ghar pahunchne tak Manju m ne car ko mere piche hi rakha. Shayad wo mujh par nazar rakh rahi thi k main kahin raste kahin aur na nikal jaun. Ghar pahunch kar unhone darwaza khola aur mujhe andar le ja kar darwaza band kar diya. Main bas khamoshi se unka sath de raha tha aur mujhe sidha apne bedroom me le gyi aur bed par bitha diya .

Manju m : kya bat hai ? Kya hua hai tumhe ? Kahan the tum ? Tum to mohit ki sister ko uske sasural chhodne gye the na , to kya ho gya aisa k tum is halat me wahan akele baithe the? Aur tum wapis kab aaye kahan the ab tak ?

Manju m mujhse sawal kar rahi thi par main unhe kya jawab deta. Mujhe to batane me bhi sharam aa rahi thi . Kya batata unhe k main kya kar k aya hun. Aur kya sochti wo mere bare me. Par sach ye bhi tha k main apne andar ka sara gubar bahar nikalna chahta tha. Magar aisa koi nahi tha jise main sab kuch bata sakta. Par pata nahi kyun manju m ko dekh kar main khud ko rok nahi pa raha tha . Mera dil chah raha tha k main unhe aaj apne bare me sab sach sach bata dun. Pata nahi kya bat thi manju m k unke sath mera koi rishta na hote hue bhi mera dil khud hi unki taraf khincha chala ata tha jaise wo meri apni ho.

Manju m : chup kyun ho bolte kyun nahi kuch ? Please kuch to bolo mera dil baitha ja raha hai. Kya hua hai tumhare sath? Agar mujhe apna samajhte ho to batao kya bat hai ?

Manju m ki ankhen bhi nam hone lagi thi. Apne liye unki ankhon me tadap dekh kar mujhse bardaasht nahi hua aur maine fir se unhe apni bahon me kas liya. Manju m ne bhi mere gale se lag kar mujhe apne sath kas liya.

Amit : main bahut bura hun ,, bahut bura. Main kisi k pyar k layak nahi. Mujhe mar jana chahiye main hawas ka pujari hun kameena hun. Apne ma bap k nam par kalank hun mujhe jeene ka koi hak nahi.

Manju m : tadap kar) nahi ,, nahi ,, kaun kehta hai tum bure ho ? Agar tum bure ho to is duniya me koi acha ho hi nahi sakta. Kisne kaha hai tumse aisa mujhe batao. Main uska muh noch lungi. Tum kabhi galat ho hi nahi sakte. Jitne ehsan tumne logon par liye hain itne to koi zindagi bhar apnon bhi nahi kar sakta. Tum par to tumhare ma bap ko garv hoga. Aisa Chirag to lakhon me ek hota hai jo apni roshni se poore khandan ko roshan kar de. Sab kitna mante hain tumhe tumhari behne tumhare dost. Sab kitna yakeen karte hain tum par aur tum aisa soch rahe ho. Zarur koi tumhara dushman hi hoga jo tumhare bare me aisa soche.

Amit : maine bharosa toda hai apno ka , main kisi k bharose k layak nahi hun. Meri asaliyat aap nahi janti. Main .....

Manju m : shhhhhhh ... mujhe kuch nahi sunna. Tumhari asaliyat kya hai kya nahi. Par mera dil janta hai tum kabhi galat nahi ho sakte. Tumhare dil ko maine mehsus kiya hai. Tumhari ankhon me maine hamesha sachai dekhi hai. Mujhe mat samjhao k tum kaise ho kaise nahi. Agar bhagwan bhi akar mujhe ye kahe k tum galat ho to main tab bhi nahi manungi . Ab agar mujhe apna mante ho to mujhe batao k akhir hua kya hai.

Amit : kya aap sach sun payengi ? Agar aap ne sach sun liya to aapko bhi mujhse nafrat ho jayegi.

Manju m : to rehne do agar koi aisi bat hai jise sun kar mujhe tum par gussa aaye to main nahi sunna chahti. Meri nazar me jo tum ho so ho.

Amit : par ....

Manju m : maine kaha na nahi to nahi. Main kisi k muh se bhi wo sab nahi sunna chahti jo tumhare khilaf ho. Fir chahe tum khud hi kyun na kaho. Tum kya ho ye mujhe achi tarah pata hai. Ab ye sab chhodo pehle batao kab se baithe the wahan ? Kuch khaya ya nahi ?

Maine na me sir hila diya.

Manju m : mujhe laga hi tha. Baitho main abhi khana banati hun

Manju m jaldi se kitchen me chali gyi aur main unke bare me sochne laga. Wo mujhe kitna manti thi k mere bare kuch bhi galat sunne ko taiyar nahi thi. Zarur pichle janam ka hi koi sambandh tha unka mere sath jo unko dekh kar mujhe apne pan ka ehsas hota tha. Mere dil pehle se bhara hua tha aur unka ye pyar dekh kar mera dil ho raha tha k main bhi unhe utna hi pyar dun jo main unhe nahi de pa raha tha pichle kuch samay se.



‘ Amit kahan hai Mohit ? Kal se uska phone kyun band aa raha hai ? Mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai. Please mujhe batao wo theek to hai na.’ Canteen me radha Rima ko sath liye Mohit k pas aa kar usse sawal kar rahi thi. Puch to radha rahi thi par yehi sawal Rima k bhi the. Radha aur Rima dono hi bechain thi ek to 2 din se Amit ne bat nahi ki thi dono se aur ab uska phone band tha to dono k dil me Anjana dar baith gya tha.

Kalpana : han yar main bhi kal try kar rhi thi par uska phone band hai. Upar se ek bar bhi usne phone nahi kiya. Pata to ke wo hai kahan?

Mohit : are yar tum log aise hi tension le rahe ho. Didi k sath gya hai wo unke sasural use kya hoga. Agar aisi koi bat hoti to ab tak didi ka hi phone aa jata. Ho sakta hai uska phone harb ho gya ho.

Radha : mujhe nahi pta tum abhi apni didi ko phone kar k pata karo.

Mohit : are yar tum aise hi tension le rahi ho.

Neha : Mohit tum ek bar apni didi se bat kar k pata karlo na. Kya ho jayega isme ?

Minal : karo na phone kyun bahane bana rahe ho .

Mohit : acha lo abhi karta hun .

Mohit karishma k phone par phone karne laga. Par use kahan pta tha k karishma ghar aa chuki hai. Karishma k phone par ring to ja rahi thi par wo phone nahi utha rahi thi. Mohit ne 2-3 bar try kiya par usne phone nahi uthaya .

Mohit : yar didi phone nahi utha rahi shayad busy hogi.

Radha : ghabrate hue ) zarur kuch to hua hai warna wo aisa kabhi nahi karta. Mera dil kal se hi ghabra raha hai .

Neha : radha hausla rakho tum dil mat chhota karo. Kuch nahi hota use. Mohit tum kisi aur ko phone kar k pata karo na.

Mohit : han main abhi karta hun mere pas jija hi ka no. Hai.

Mohit ne Rajeev k phone par phone kiya par usne bhi phone nahi uthaya to radha Rima k sath sath neha aur Kalpana ka bhi dil ghabrane laga. Sheena aaj college nahi aayi thi aur shivani Shalu bhi is waqt yahan nahi thi.

Radha : dekha didi kuch to bat hai warna koi to phone uthata . Bhagwan kare wo theek ho.

Neha : tum dil chhota mat karo. Dekhna use kuch nahi hoga.

Radha : Rima kya tum ghar chhod dogi? Mera dil nahi lag raha yahan.

Rima : han chal main bhi tere sath chalti hun. Aur Mohit please jaise hi kuch pta chale mujhe phone kar dena.

Rima aur radha dono ghar chali gyi baki k lecture beech me hi chhod kar. Kalpana upar se to normal dikh rahi thi aur khud ko hamesha ki tarah strong hi dikha rahi thi par uska dil bhi anjane dar se kamp raha tha.



Udhar karishma jab ghar me aayi to roti hui sidha apne kamre me ghus gyi aur bed par gir kar rone lagi. Rama karishma ki halat dekh kar sakte me aa gyi. Upar se naukar ne bataya k Amit bahar se hi chala gya hai to use bhi laga k zarur kuch bada hua hai. Wo apni beti se janne k liye uske pas chali gyi.

Rama : kya hua beti tu aise ro kyun rahi hai ?

Karishma : .....

Rama : tu kuch bolti kyun nahi ? Mujhe batayegi kya hua hai jo tu aise achanak aa gyi? Aur Amit kahan hai wo andar kyun nahi aya ?

Karishma : ....

Rama : kuch to bol akhir hua kya hai? Amit andar kyun nahi aya ? Kahan chala gya wo ? Aisa to wo kabhi nahi karta

Karishma : rote hue ) han han usi ki to parwah hai aapko k wo kyun nahi aya. Papa se jyada aapko ab wo hi pyara hai . Aur kisi ki to ab aapko parwah hai hi nahi.

Rama : ye tum kya keh rahi ho?

Karishma : rote hue ) wahi jo sach hai. Achi tarah janti hun main k aapko uski itni chinta kyun ho rahi hai. Papa ki jagah de di hai na aapke usko. Us kameene ko aapne ... chataak

Rama : ye kya behudgi hai ? Tumhara dimag to theek hai ? Kya bakwas kar rahi ho tum.

Karishma : rote hue ) acha to mera kehna bakwas lag raha hai aur jo aap us kameene k sath krti fir rahi hain wo kya hai ? Sharam nahi aayi aapko us kameene k sath wo sab karte hue? Apni ankhon se dekha tha maine us din party me. Kaise us ghatiya insan k sath aap ... cheeen . Pehle mujhe lga tha k shayad isme aap ki galati hogi. Par nahi wo hi gandi naali ka keeda nikla. Pehle yahan aapko apne jaan me fasaya aur fir wahan meri saas aur nanad k sath ..... cheen . Isi liye bheja tha apne use ? Mujhe to sharam aa rahi hai k maine use bhai samjha. Wo pawan uncle damini aunty ka beta nahi ho sakta zarur koi Behrupiya hai. Kisi gande khoon ki ... chataaak chataak

Rama : gusse me ) ek lafz aur na nikalna apne muh se uske bare me . Ek lafz bhii nahi samjhi

Karishma : rote hue ) kyun nahi kyun na bolun. Yahi sach hai aur aap meri zuban band nahi kar sakti. Wo gandi nali ka keeda hai kameena hai hawas ka bhukha bhediya hai . Chataak chataak chataak

Rama : chup ho ja chup ho ja mujhe jo kehna hai keh le par use kuch mat keh. Tu sachai nahi janti. Agar sachai janti to aisa k hi nahi kehti.

Karishma : maro aur maro mujhe aap . Par main cheekh cheekh kar kahungi. Sab ko bataungi k wo kya hai .

Rama : bhagwan k liye chup ho ja. Mat bol aisi baten jiske liye bad me tujhe khud par hi sharam aaye.

Karishma : sharam to us besharam ko aani chahiye aur aap .. aap usi kameene ko side le rahi hain. Kya jaadu kar diya hai usne aap par. Aaj wo aapko itna pyara ho gya k aap ne apne pati ki jagah use de di hai han .

Rama : rote hue ) bhagwan k liye chup ho ja. Tu sachai nahi janti. Kahin ,, kahin tune use to kuch nahi kaha ??

Karishma : bari fikar hai us kameene ki aapko. Mera bas chalta to use mar mar k ghar se bhaga deti. Meri zindagi barbad kar di us kameene ne.

Rama : kya hua hai bata mujhe? Kya kaha tune use ?

Karishma : wahi kaha jo sach hai . Agar zara bhi sharam hogi to doob marega.

Rama ye sunte hi ghabra gyi. Wo janti thi k Amit kitna emotional hai. Aur karishma ki baton se saaf zahir tha k usne zarur Amit ko bura bhala kaha hoga. Isme Amit ki koi galati nahi thi wo to pehle hi mana kar raha tha. Rama ne hi use wasta de kar bheja tha. Rama ko ab ehsas ho raha tha k uski galati ki saza bechare Amit ko mil gyi. Usne jaldi se phone uthaya aur Amit ko phone karne lagi par uska phone band aa raha tha. Ab is bat ko wo kaise kisi se kare kyunki wo sawalon k jawab nahi de sakti thi kisi k. Karishma to Rama ki bat sunne ko bhi taiyar nahi thi. Filhal Rama ko Amit ki tension hone lagi aur wo jaldi se kamre se bhagi aur driver ko sath lekar nikal gyi Amit ko dhoondne. Par dhoondhe to dhoondhe kahan. Filhaal shehar me Amit k jaane k liye uski teen mausiyan hi thi. Rama sadkon par idhar udhar dekhte hue bari bari se teeno k ghar gyi par andar jane ki himmat nahi thi uski. Wo bahar se hi dekh kar laut aayi. Kyunki Amit agar kisi k ghar hota to uski bike bahar khadi hoti. Andar jakar agar wo Amit ka puchti to use aage se hi sawal pucha jata k Amit kahan hai kyunki wo gya to usi ki beti k sath aur usi k kehne par. Rama andar hi andar ghabrati hui roti hui idhar udhar use talash karti rahi par wo kahin na mila. Uska dil ghabra raha tha. Ab Amit ko dekhne k liye uske gaon jana uske liye mushkil tha fir bhi usne bahane se Gauri ko phone kiya .

Rama : hello , kaisi ho bhabhi ?

Gauri : main to theek hun Rama par tumhari awaz ... tum theek to ho na ?

Rama : han han main theek hun bhabhi. Maine to bas apka hal chal janne k liye phone kiya tha.

Gauri : fir to aaj bada acha din hai ho tumne mujhe yad kiya. Waise Amit kaisa hai ? 2 din ho gye usse bat nahi hui . Abhi aya k nahi?

Rama : ( man me ) iska matlab wo ghar nahi gya? To kahan gya hoga ?

Rama : han wo bhabhi wo abhi aya nahi. Karishma k sasural me function tha na to wo wahan busy hoga . Jaise hi meri bat hogi main use kahungi k wo apko phone kare. Acha bhabhi main aapko bad me phone karti hun.

Rama ne jaldi se phone kat diya . Kyunki aur koi sawal agar Gauri puchti to shayad wo jawab dete fas jati. Rama 2 ghante sadkon par ghumti firti thak har kar fir wapis aa gyi. Jab wo wapis aayi to karishma ne gusse me fir se us par ranj kas diya.

Karishma : kyun nahi mila na wo kameena. Acha hai kahin gutter me ja kar doob mare. Gandi naali ka keeda hi ...... chataak chatak chatak

Rama : rote hue ) band kar apni gandi zuban. Agar use kuch ho gya to main bhi khud ko khatam kar lungi. Janti kya hai tu han .. kya janti hai ? Sach sunna hai na tujhe to sun. Usne jo kuch bhi kiya mere kehne par kiya. Mere kehne par hi wo tere sath gya tha. Wo to mana kar raha tha par maine hi use bheja tha. Tere liye sirf tere liye taki tu apne sasural me khush reh sake. Tu to talak lena nahi chahti thi na par teri takleef door karne k liye wo razi hua tha wahan jane aur wo sab karne k liye. Usne kuch bhi kisi k sath zabardasti nahi kiya samjhi. Wo dono pehle hi galat thi Amit ne sirf unhe sudharne ki koshish ki taki tu khush reh sake. Aur rahi meri bat to sun . Isme bhi usne kuch nahi kiya tha sab maine hi kiya tha balki usne to mujhe halt raste par chalne se bachaya tha. Agar wo na hota to aaj main barbad ho chuki hoti.

Fir Rama ne rani aur apne naukar ki samish k bare me bataya aur kis tarah Amit ne use sahara diya.

Rama : tere papa ki bekadri ki vajah se main behak gyi thi. Tu bhi to ek aurat hai kya tu nahi samajhti k kaisa lagta hai jab pati apni patni ki taraf dhyan hi na de? Aise me main to barbad ho hi gyi thi agar us waqt Amit na hota. Aur ye bhi sun le k usne kabhi bhi mujhe kuch karne ko nahi kaha balki main hi use kehti hun har bar. Wo meri izzat karta hai. Kabhi kabhi hi hum milte hain. Aur jab tumne dekha us din bhi main hi use force kar rahi thi kyunki main bahut dino se tadap rahi thi. Aur tune bina sach jane use itna kuch keh diya. Are tujhe apni behan manta hai wo. Isi liye wo tere sath gya tha taki wo tujhe safe kar sake. Agar wo hawas ka bhukha hota to kya tere sath na kuch karta ? Bol ? Kya kiya usne kuch tere sath . Tujhe chhua bhi ? Are wo wo ladka hai jisne apni jaan par khel kar ladkiyon ki aabroo bachai. Ja kar puch lena apne bhai se. Tu uske khoon par sawal utha rahi hai na. Ye uska khoon hi hai k wo har kisi k sath acha karta hai aur tune use itna zaleel kar diya. Agar usne khud ko kuch kar liya to yad rakhna main bhi khud ko khatam kar lungi. Kyunki usne jo kiya mere kehne par kiya tha.

Itna keh kar Rama rote hue apne kamre me bhag gyi aur darwaza band kar liya. Karishma wahi pathar ho gyi apni ma ki zuban se sachai sun kar. Ab uski ankhon k samne sari picture fir se chalne lagi. Kaise Amit ki vajah se hi uski saas aur nanad 2 din me hi badal gyi thi. Jo use ek aankh nahi dekhna chahti thi kaise dono pyar se uske sath pesh aane lagi thi . Gaon me bhi usne note kiya tha k kaise sari ladkiyan Amit k sath itna close thi. Jisme hawas to bilkul bhi nahi thi. Har koi uski tareef hi karta tha to aisa insan galat kaise ho sakta hai. Karishma ab tak gusse me thi par ab apni ma k muh se sachai sun kar use realize hua k wo kitni galat thi. Apne aap karishma ki ankhon se fir se aansoo behne lage. Use apne galati ka ehsas ho raha tha. Par ab to sab kuch ho chuka tha. Rama ki akhiri baten usne k dimag me goonjne lagi k agar usne khud ko kuch kar kiya to wo bhi zinda nahi rahegi. Karishma ko ek dam se jhatka laga. Use ab Amit ko lekar dar lagne laga. Par ab wo kare bhi to kya kare . Usne jaldi se apna phone uthaya taki Mohit se bat kare itne me udhar se Mohit ki awaz aa gyi .

Mohit : ma .. maaa kahan ho .

Mohit ki awaz sun kar karishma daud kar apne kamre se bahar nikli. Udhar se Rama bhi apne kamre se nikal aayi . Dono ki haalt dekh kar Mohit shocked ho gya.

Mohit : didi aap yahan ? Is halat me ? Aur ma aap ??

Karishma : teri Amit se bat hui ? Kahan hai wo ? Bol jaldi bata ?

Mohit : shocked) Amit ? Par Amit to aapke sath tha na? Kya ho kya raha hai ?

Karishma : wo sab baad me batati hun pehle jaldi chal uska pata lagate hain

Mohit : ek minute , didi bat kya hai? Hua kya hai ? Aur aap yahan achanak se kaise aa gyi? Amit ka kal se phone band kyun hai?

Karishma : Amit mere sath hi aya tha yahan aaj subah hi. Maine gusse me use kuch keh diya aur wo pata nahi kahan chala gya. Mujhe uski chinta ho rahi hai tu chal jaldi

Mohit : par aap ne use kuch kaha hi kyun ? Hua kya hai?

Karishma : wo wo

Rama : beta tu pehle Amit ko dhoondh. Karishma k sasural me thodi dikkat ho gyi thi is liye ye sab hua. Par pehle tu use dhoondh pata nahi kahan chala gya hai.

Mohit : main dekhta hun ma

Rama : par kisi ko show mat hone dena k Amit kahin chala gya hai bina bataye. Koi puchega to hum kya jawab denge ?

Mohit : main dekhta hun ma par didi aapne ye bahut galat kiya hai

Karishma : mujh par bad me gussa kar lena pehle chal use dhoondhte hain

Dono bhai behan jaldi se nikle aur Mohit chal pada har us jagah par chechak karne jahan Amit ho sakta tha uske hisab se. Mohit pehle stadium gya k shayad Amit wahan gya ho par wahan nahi mila. Neeraj se phone par bat hui par usne bhi kaha k uski bat nahi hui Amit se. Fir wo rajani mausi k ghar gya. Rajani mausi Mohit aur karishma ko dekh kar khush ho gyi.

Rajani : are Mohit karishma tum dono achanak aao aao baitho. Kaise ho tum dono?

Karishma : hum dono ache hain mausi ji bas yahan se guzar rahe the to socha nidhi didi se milte chalen.

Karishma rajani se bat kar rahi thi par uski nazren Amit ko dhoondh rahi thi.

Rajani : kya bat hai karishma beti tum theek to ho ? Tumhari ankhen ....

Karishma : main theek hun mausi wo ankhon me kuch pad gya tha to is liye . Nidhi didi nahi nazar aa rahi kahan hain wo ?

Rajani : are beta wo to abhi office me hai. Tum baitho main tum dono k liye kuch lati hun. Par Amit kahan hain wo nahi aya ? tumhare sath hi to gya tha na?

Karishma rajani k is sawal se hadbada gyi par Mohit ne hi bat ko sambhala

Mohit : mausi wo apne kisi dost se milne gya hai .

Rajani : kitn din ho gye use dekha bhi nahi. Sari duniya k liye time hai iske pas . Apni mausi k liye nahi hai.

Rajani kitchen me gyi to karishma fir se uth gyi use to ek pal bhi baithna mushkil lag raha tha. Kitchen se rajani wapis aayi to karishma ko khade dekh kar chonk gyi

Rajani: are tum khadi kyun ho gyi?

Karishma : mausi hum fir aayenge wo kya hai na mujhe nidhi didi se milna tha to wo abhi hain nahi to main dubara aa jaungi. Abhi mujhe zaruri kam se jana hai . Main wapis aati hun .

Rajani : are baitho to sahi .....

Karishma aur Mohit rajani k bat karte karte bahar nikal gye. Yahan se nikal kar ab dono rita mausi k ghar ko chal diye par wahan bhi Amit nahi tha to reh gya divya mausi ka ghar. Karishma ne Mohit ko divya mausi k ghar chalne ko kaha to Mohit mana karne laga.

Mohit : didi, main wahan nahi jaunga. Radha aaj mujhse Amit k bare me puch rahi thi . Wo tension me thi aur naraz bhi . Uske kehne par hi maine aapko aur jija ji ko kitni bar phone kiya par aap dono ne hi phone nahi uthaya. Ab agar hum dono wahan gye to wo bahut gussa hogi. Aap batati kyun bhi k bat kya hai.

Karishma: bola na bad me bataungi tu pehle chal. Kya pata Amit wahin ho. Radha to college me thi na . Ho sakta hai wo wahin gya ho. Tu chal main bat kar lungi.

Mohit ne na chahte hue bhi gadi ko divya mausi k ghar ki taraf ghuma liya. Mohit ghar k bahar hi car me ruk gya aur karishma ne hi bell bajayi. Divy karishma ko dekh kar khush ho gyi aur use andar le gyi.

Divya : aao karishma kaisi ho tum? Akeli aayi ho ?

Karishma : han wo main yahan se guzar rahi thi to socha aapse aur Radha se bhi mil lun.

Divya : ye tumne acha kiya, kitne dino bad aaj dekh rahi hun tumhe. Kya logi ?

Darwaze par kisi k aane ka pata chalte hi Radha apne kamre se bhagti hui aayi is ummeed me k shayad Amit aya hai kyunki aur to koi ata nahi tha unse milne. Radha bhag kais jab aayi to apni ma k sath karishma ko dekh kar uske chehre par khushi aa gyi kyunki karishma aa gyi hai to Amit bhi aa gya hoga. Yehi soch kar wo khilakhilati hui karishma se gale mili.

Radha : kaisi hain aap didi ? Aap to sasural gyi thi aur aise achanak ? ( idhar udhar dekhte hue ) Wo kahan hai aapka bodyguard aapke sath hi gya tha na ? Kahan hai aaj main iski ache se khabar loongi . Khud ko samajhta kya hai. 2 din se koi phone message nahi aur kal se phone bhi band kar rakha hai. Kahan hai wo ?

Radha ki baton se karishma samajh gyi k Amit yahan bhi nahi aya. Wahin divya bhi kitchen se pani ka gilas lekar aayi to Radha ki baten sun kar use hansi aa gyi.

Divya : are use aane to de tu pehle hi gussa kar rahi hai. Han karishma beti wo hai kahan? Naraz to main bhi hun usse ek bar bhi phone nahi kiya usne. Hai kahan wo?

Karishma : wo .. wo kisi se milne gya hai . Mujhe bhi bata kar nahi gya

Karishma ( man me ) hey bhagwan ye mujhse kya ho gya kahin sach me hi usne khud ko kuch kar liya to ? Nahi nahi aisa nahi ho sakta . Shayad wo ghar gya ho.

Radha : kyaaa? Kisse milne chala gya ? Aur kaun hai jiske pas wo ja sakta hai? Uska phone kyun band hai . Didi sach sach bataiye use kuch .....

Karishma : nn nahi nahi aa aisa kuch nahi hai . Wo wo shayad uska phone kharab ho gya hoga

Radh ki ankhon me pani aa gya tha aur uske jaisa hi hal divya ka bhi ho gya tha ek hi pal me. Karishma ki ghabrahat usne bhi dekh li thi. Ek anjan dar ab divya ko bhi lagne laga tha. Itne me Radha k kamre se rima bhi nikal kar aa gyi. Wo Radha ko sambhalne lagi. Halanki uski bhi halat alag na thi

Divya : kya bat hai karishma tum kuch chhupa rahi ho ? Kahan hai Amit ? Sach batao ?

Karishma : are mausi aap aise hi tension le rahi ho . Use kuch nahi hua. Main abhi pata karti hun k wo kahan hai. Bata kar bhi nahi gya nahi to main aapko bata deti. Main abhi pata karti hun. Use lekar aati hun main abhi aayi

Karishma se divya ka samna karna mushkil ho raha tha is liye wo jaldi jaldi nikal gyi . Par divya ka shak aur bhi barh gya. Upar se Radha ki halat bhi wo samajh rahi thi

Radha : dekha ma , zarur koi bat hai wo aisa kabhi nahi karta . Mujhe dar lag raha hai ma kahin use ... kuch to hua hai uske sath mujhe kal se hi lg raha tha. Maine kitni bar phone kiya par uska phone nahi laga.

Rima : ho sakta hai uska phone hi kharab ho aur wo phone theek karwane gya ho.

Radha : to bata k ja sakta tha na zarur kuch hua hai didi chhupa rahi thi.

Divya : tum dil chhota mat karo . Kuch nahi hoga use. Bhagwan uske sath kuch galat nahi kar sakta . Tum andar jao apne kamre me.

Divya ( man me ) didi se puchti hun kahin wahan to nahi gya.

Divya ne jaldi se rita ko phone lagaya aur fir rajani ko par dono jagah se ek hi jawab mila. Divya ki dhadkan bhi ab barh gyi. Use bhi bechaini hone lagi. Fir usne gaon bhi phone kiya par Amit wahan bhi nahi tha. Ye sunte hi divya k to paon k neeche ki zameen khisak gyi. Ab use samajh nahi aa raha tha k wo kahan Jaye aur kisse pata kare. Kuch hi pal me ghar me matam sa chha gya. Radha k sath sath Rima ki halat bhi kharab ho gyi thi par wo Radha ko sambhalne k liye khud ko majbut dikha rahi thi.

Divya: hey bhagwan use kuch mat hone dena . Chahe to meri jan le lena par use kuch mat hone dena. Main damini ko kya muh dikhaungi .

Divya apne kamre me akeli baithi aansoo baha rahi thi. Dusre kamre me Radha ka bhi yahi hal tha. Rima k lakh tasalli dene par bhi wo khud ko rok nahi pa rahi thi.

Udhar karishma ko bhi samajh nahi aa raha tha k ab kahan jayen. Mohit bhi pareshan ho gya tha. Usko bhi samajh nahi aa raha tha k ab aur kaun si jagah hai k jahan Amit ho sakta hai. Idhar udhar ghumne k bad wo wapis ghar laut aya .

Rama : Amit ka kuch pata chala?

Mohit : nahi ma wo kahin nahi hai.

Rama Mohit ka jawab sunte hi wahin dhadaam se sofe par gir gyi. Uski ankon se aansuon ki dhara behne lagi.

Mohit : kya hua ma aap theek to hain? Hosh me aao ma . Bat kya hai .

Karishma: ma khud ko sambhaliye. Kuch nahi hoga use . Wo aa jayega. Mohit papa ko phone lagao. Unhe kaho k wo pata lagayen kisi se keh kar.

Mohit: gusse me ) par papa se kya kahogi didi? Abhi tak to aapne mujhe bhi kuch nahi bataya . Akhir aisa kya ho gya hai k Amit aise chala gya. Mujhe sab sach sach batao.

Karishma : please bhai tujhe meri kasam abhi kuch mat puch . Main bad me sab bata dungi par pehle kisi tarah Amit ko dhoondh.

Mohit ek bar fir se ghar se nikal gya Amit ko dhoondhne. Karishma apni ma ko sambhalne ki koshish karne lagi. Wo ro ro kar apni galti k liye mafi mang rahi thi Rama se. Par Rama roti hui fir se apne kamre me chali gyi. Jaise jaise waqt beet raha tha sabki halat kharab hoti ja rahi thi.



Manju m ne khana banane k bad apne hathon se mujhe khana khilaya. Wo ek ma ki tarah mera khyal rakh rahi thi. Main rat se hi soya nahi tha. Is liye jab unhone mujhe apni god me sir rakh kar letne ko kaha to ek pal me hi mujhe neend aa gyi. Apni sari pareshaniya bhool kar main sukoon ki neend so gya.


Manju (man me ) tum kabhi galat nahi ho sakte. Jo dusron ko hamesha sahara deta hai wo kabhi galat ho hi nahi sakta . Tumhare liye to main khud ko bhi kurban kar sakti hun. Pata nahi kyun par mujhe hamesha yehi lagta hai k jaise tum mere apne hi ho hamesha se.
yaaar yeh toh kand ho gaya yehan yeh amit apana sudh-budh kho ke baitha hai, aur wahan uske pariwar walle saare apne hoshohavas kho rahe hain.

itna shab kuchh ho raha hain, aur kisi ko yeh dhyan nahin raha kee manju mama ke ghar bhi dekh le.
chalo baakio ko toh amit ka wahan jaane ke baare mein nahin pata lekin rima ko toh pata hain kee amit wahan jata hain , woh toh puchh shakti thee unhe phone kar ke.

pata nahin abhi baaki ke pariwar wallo ko pata chalega toh kya haal hoga shab ka, abhi toh shabko shaq bas hain toh yeh haal hain jab saare ko yakeen ho jayega kee karishma ne usse itna bura bhala kaha hain toh baaki log uska kya haal karenge.

aur bhai jaldi neend pura karo apni yehan pe sabhi log tumhare khoj mein pareshan ho rahe hain, aur usne do din se radha ko phone kyun nahin kiya hain.

bhai itna kya busy hona kee apna haal chaal hi na kisis ko batana, sach mein jo kand yeh bhai saheb kar rahe hain, agar unhe pyar karne wallo ko iske baare mein pata chalega toh unka kya haal hoga.

bhale hi kuchh ko yeh bhalai, zindagi sawarne ke liye kar raha hain, lekin kehte hain ba pyar aur paad chhupaye nahin chhutti hain.
kabhi na kabhi yeh radha ya rima ya phir nidhi ya koi aur jo usse pyar karta hain unhe pata lagega toh unke dil pe kya bitegi.
bhai itni samaj sewa karna band kar de arree kaheeen toh jaa ke rukega bhai, isse ek jhatka hi samajh le neend se jagane ka, kyunki agar samay rahte na ruka toh bhoochal aana tay hain.

waise kamal ke emotions the iss update mein, bahut hi umda likha hain aapne bhai.......
 
Status
Not open for further replies.
Top