Waiting for next update.
EXCELLENT updateUpdate 213
Ghar aane k bad nidhi didi ne khana banaya aur hum sab ne mil kar khaya. Uske bad main apne kamre me padne baith gya . Kal jo exam hone wala tha wo subject Chandarkanta ka hi tha. Mujhe yakeen tha k wo kal bhi koi panga zarur karegi. Mujhe aaj sara din samay hi nahi mila tha aur na hi mera is taraf dhyan gya tha par ab main serious hokar padne baith gya . Waise to manju m ne meri ache se taiyari karwa rakhi thi. Par ek bar sari revision karna bahut zaruri tha . Is liye main poori concentration k sath padne baith gya. Naina didi jab kamre me aayi to mujhe aise padta dekh kar wo bina kuch kahe wapis chali gyi . Uske bad nidhi didi bhi room me aa gyi aur mujhe doodh diya . Didi apna laptop le kar baith gyi aur main padta hi raha. 12 baje didi me laptop band kiya
Nidhi : chaliye janab ab so jaiye . Kal subah uth kar baki ka parh lena warna fir neend poori nahi hogi .
Amit : didi bas ek bar sara khatam kar lun fir subah dobaara revise kar lunga . Aap so jao mujhe thoda time aur lagega .
Didi bed par late gyi aur main padta raha. Rat ek baje k kareeb maine kitab band ki aur bed par aa gya . Didi aankhen band kiye so rahi thi. Main bhi chupchap unke pas hi late gya . Maine abhi ankhen band hi ki thi k didi ne meri baju par sir rakh diya . Maine dekha to didi mujhe hi dekh rahi thi .
Amit : aap soyi nahi ab tak ?
Nidhi : muskurate hue ) kaise so jati? Mujhe apne is takiye k bina neend nahi aati .
Amit : main jab yahan se chala jaunga tab kya karengi fir ?
Nidhi : maine soch liya hai main bhi tumhare sath hi chalungi .
Amit : aap bhi na , kal ko aap ki shadi hogi tab kya karengi ?
Nidhi : man me ) shadi to meri ho chuki tumhare sath wo bhi bhagwan ki marzi se. Ab aur kisi ki mujhe parwah nahi hai .
Nidhi : mujhe kuch nahi pata mujhe bas tumhare sath rehna hai. Ab jaldi se so jao subah jaldi uthna hai .
Didi meri taraf karwat liye hue meri chhati I ar hath rakhe mere sath lagi hui leti hui thi aur unka sar mere kandhe k pas tha . Kuch der hum dono ankhen band kar k sone lage . Didi ki dayin tang meri dayin tang k upar aa gyi aur wo mere sath aur bhi jyada sat gyi. Shayad unhe jyada thand lag rahi hogi . Maine apni baju unke sath lapet li aur aram se so gya . Subah mujhe didi ne hi jagaya. Main der se soya tha aur thaka hua bhi tha is liye abhi bhi neend ka asar tha par
Nidhi : Amit jaldi se uth jao. Aaj tumhara exam hai aur tumne abhi ek bar revise bhi karna hain jaldi se taiyar ho jao aur revision bhi karlo.
Didi apne bal sir k piche bandhte hue mujhe keh rahi thi. Is waqt wo bahut hi khubsurat lag rahi thi. Sach me kudrat ne unhe khas taur par kadi mehnat se banaya tha . Maine man ne unki khubsurati ki tareef karta hua soch raha tha aur mujhe pta hi nahi chala k didi kya keh Ragi hai
Nidhi : aise kya dekh rahe ho ?
Amit : aap bahut khu ........ aa amaaa main keh raha tha aap chai bana dijiye .
Mujhe pata hi nahi laga aur keh muh se unki tareef nikalne lagi thi par jaise hi mujhe thodi hosh ayi maine apni bat badal li . Magar didi sharma gyi aur unke gaal lal ho gye .
Nidhi : tum baitho main abhi bana kar lati hun .
Itna keh kar didi sharmati hui uthi aur darwaze tak jakar piche mud kar mujhe ek bar dekha aur hasti hui kamre se bahar nikal gyi .
Amit : bach gye yar ye main kya bolne ja raha tha. Didi kya sochti mere bare me k main kis nazar se dekh raha tha unko . Bach gye .
Nidhi ( man me ) budhu , kehte kehte ruk gya. Main janti hun tum kya kehna chah rahe the. Keh hi dete kisne roka tha ? Main to kab se taras rahi hun k tum mujhe kuch kaho . Mujhe us nazar se dekho . Pata nahi kab tumhe samajh aayegi k main bhi to yahi chahti hun k tum mujhe ek ladke ki nazar se dekho . Mujh par sirf tumhara hak hai. Mera tan man sirf tumhare liye hi to hai .
Uthte hi main fresh ho kar fir se kitab le kar baith gya tha aur ek bar fir se jitni ho saki revision kar li. Didi ne ek bar mujhe chai bhi bana kar de di. Time ka pata hi nahi chala. Didi ne akar yad dilaya to main kitab band kar k naha dho kar taiyar hua . Nashta karne k bad didi mujhe college chhodne gyi. Aaj science walon ka bhi exam tha is liye radha Rima aur neha didi bhi aayi thi. Humne ek dusre ko best of luck kaha aur apne apne sitting plan k hisab se baith gye. Subject chunki Chandarkanta ka tha jo waise hi thoda tough tha aur uski harkaton ki vajah se mere andar thoda dar bhi tha k pata nahi main acha kar paunga ya nahi . Question paper dekh kar mujhe thoda haunsala hua . Kyunki mujhe wo sare question aate the . Halanki sab question thode ghuma fira kar puche gye the taki sahi se samajh na aaye aur the bhi mushkil. Par thanks to manju m k unhone mujhe sab taiyari karwai thi. Main jaldi se likhne laga . Koi 40 minutes bad hi Chandarkanta aur Verma sir dono class me aa gye . Chandarkanta ne aate hi mujhe dekha. Main jan bujh kar pen rakh kar baith gya aur aise dikhane laga jaise mujhe paper nahi ata . Kyunki yahi to wo chahti thi. Aur hua bhi aisa hi, Chandarkanta mujhe aise baitha dekh kar smile karne lagi . Jabki meri tarah hi baki students bhi mushkil se hi kar pa rahe tha ya madad ki ummeed me idhar udhar dekh rahe the .
Chandarkanta : muskurate hue ) kyun , nahi ata kuch ? Aisa hi hota hai jab class me se gayab raho. Tum is college k layak nahi ho. Jaldi hi tum wahan pahunch jaoge jahan se aaye ho .
Mujhe gussa to bahut aa raha tha par main khamosh raha .
Chandrakanta: Verma sir zara iski checking to karo .
Verma sir ne mujhe khada hone ko kaha aur mere pas aaye .
‘ rukiye sir , iski zarurat nahi hai ‘ ye awaz prof Varinder ki thi jo darwaze se andar aa rahe the . Unki awaz sunte hi Chandarkanta aur Verma sir ne mud kar unki taraf dekha . Main bhi sir ko dekh raha tha . Magar chandrakanta aur Verma hairan the .
Varinder : principal sir ne aapko bulaya hai is liye ye duty ab mujhe di gyi hai . Aur madam aap bhi please un se mil lijiye. Isko main dekh leta hun.
Chandarkanta : par ye to meri duty hai na . Unhone khud hi to ......
Varinder : aap ki zarurat principal sir ko office me hai. Is liye unhone aapko wahan bulaya hai. Aapki ye duty main dekh lunga .
Chandrakanta ki to jhanten hi sulag gyi aur ek bar mujhe ghoor kar wo kamre se bahar nikal gyi. Uske sath hi Verma sir bhi nikal liye . Mujhe bahut khushi ho rahi thi Varinder sir k yahan hone se . Waise bhi wo mere sath hamesha se hi ache rahe the .
Varinder : khade kyun ho ? Chalo baitho aur ache se sare question karo . Ab main hun yahan tumhe darne ki zarurat nahi .
Varinder sir ne pyar se mere sir par hath se sehlaya . Mujhe andar se bahut khushi ho rahi thi. Maine sir ko thanks kaha . Sir ne bhi nazron se hi mujhe jawab diya aur main baith kar answer sheet bharne laga . Jab ghanti bajne ka time hua to Varinder aur fir se class room me aa gye aur incharge ko 10 minutes extra dene ko kaha. Jaise hi extra time khatam hua to sab se paper collect kiye gye . Main Varinder sir ko bar bar dil se shukriya keh raha tha warna main ache se ye paper kar hi na pata .
Mohit : kaisa rha ? Pass to ho jayega na ? Chandrakanta ne jan bujh kar itna tough paper dala hai k tu usme pass na ho sake . Ye to acha ho Varinder sir aa gye warna aaj bhi wo tera time zarur kharab karti .
Bahar nikalte hi Mohit chinta zahir karte hue bat karne laga.
Amit : sach me yar Varinder sir na aate to mushkil ho jati. Waise mera to acha gya tu suna tera kaisa hua?
Mohit : pass ho jaun itna hi bahut hai.
Kalpana: mera to theek raha , aram se pass ho jaungi . Waise ye bat to sahi hai. Paper sach me hi uljha hua tha. Koi bhi question sidha ya simple nahi tha. Chandrakanta ne poori koshish kari hai tumhe udane ki. Ab dekho marks bhi deti hai ya nahi.
‘ hello young man, kaisa raha aaj ka exam? Aaj to dikkat nahi hui na ? ‘ Varinder sir ne piche se hamare kareeb akar mujhse bat karni shuru ki .
Amit : nahi sir , sab theek raha. Aapne to extra time dilawakar aur bhi acha karwa diya. Thank you sir. Thank you very much.
Varinder: isme thanks wali kaun si bat hai ? Maine to wo hi kiya ko ek teacher ko karna chahiye. Baki tum sab ne to apni mehnat se hi kiya jo kiya . Magar main tumse naraz hun .
Amit : kis liye sir ? Mujhse koi galati ho gyi kya ?
Varinder : tumhe aise pareshan kiya ja raha tha ye tumne mujhe khud akar kyun nahi bataya? Kya mujh par bharosa nahi tha ? You are one of the best student of this college. Koi tumhe aise pareshan kare ye na main bardasht karunga aur na principal sir. Acha hua kal tumhari is dost ne mujhe bata diya warna aaj bhi tumhara time kharab kiya jata . Waise kal tumhare mama k beta hi hai na ? To muh mitha kab karwa rahe ho ?
Varinder sir ne jab Kalpana ka nam liya to main aur Mohit Kalpana ko dekhne lage . Usne smile karte hue nazren jhuka li magar Varinder ne jab mama k bete ka zikr kiya to meri khushi aur bhi barh gyi.
Amit : abhi sir , main abhi aapke liye kuch mitha le kar ata hun.
Varinder : are nahi nahi main to aise hi keh raha tha . Fir kisi din le ana koi jaldi nahi hai. Aur han exams k bad apni practice par ache se focus karna . Next month competition hai bhool mat jana .
Itna keh kar Varinder sir office ki taraf chal diye . Maine aur Mohit ne Kalpana ki taraf dekha .
Kalpana : tum dono aise kyun dekh rahe ho ? Maine kaha tha na wo fir se problem karegi. Agar aaj Varinder sir na aate to fir kya hota ?
Amit : thank you very very very much , tumne to bina bataye meri itni badi madad kardi .
Kalpana: tum sabki madad karte jo to kya tumhare liye main itna bhi nahi kar sakti. Waise bhi doston me ni sorry no thanks. Main tumhare kisi kam aa sakun isse jyada mere liye khushi ki aur kya bat hogi.
‘Kaisa raha aaj ka exam? ‘ maine piche mud kar dekha to neha didi k sath sath sath Rima radha aur minal bhi khadi thi.
Amit : acha raha didi , aur aap sab ka kaisa hi ?
Sab ne ek sur me kaha acha hua. Par Mohit ka utra chehra dekh kar minal samajh gyi Mohit ka acha nahi hua .
Minal : acha nahi hua na ? Koi bat nahi . Pass to ho jaoge na ?
Mohit : pata nahi yar. Bahut hi tough tha exam. Aur ye sab iski meharabani se. Iska gussa wo hum sab par nikal rahi hai .
Kalpana : isme Amit ki kya galati hai ? Wo to us chandrakanta ka hi dimag kharab hai. Pta nahi khud ko samajhti kya hai .
Radha : chinta me ) kya matlab ? tumhe koi pareshani to nahi hogi na ? Tumne teacher se panga kyun liya ? Agar usne tumhe college se nikalwa diya to?
Kalpana : relax yar aisa kuch nahi hai. Aur isme Amit ki koi galati nahi hai. Wo madam hi khud ko kuch jyada hi samajhti hai . Aur aise kaise wo nikal degi ise ? Principal sir khud Amit k sath hain aur baki sab bhi. Ab chalo chal k party karte hain. Kal tumhare mama k beta hua hai na. Party to Amit k sath sath tumhari teg se aur neha didi ki traf se bhi banti hai. To kyun na ek sath celebrate karen waise bhi kal Sunday hai.
Minal : good idea yar . Mohit ka mood bhi theek ho jayega.
Amit : ek minute yar , tum log chalo main abhi aya.
Main jaldi se bhag kar staff room ki taraf gya. Manju m se maine bat ki hi nahi thi. Main unhe khud milkar batana chahta tha. Main staff room k pass gya aur manju m mujhe dekha to uth kar khud bahar aa gyi.
Manju : kaise ho ? Kaisa raha exam?
Amit : bahut acha aur exam bhi bahut acha hua. Sorry main aapse kal bat nahi kar paya. Mere pas ek good news hai.
Manju : khush hote hue ) jaldi bato kya hai good news?
Amit : kal mami ne bete ko janam diya hai . Kal ka sara din main wahin busy raha aur dimag se hi nikal gya tha . Pehle socha k phone par hi bata dun fir socha khud mil kar bataunga to acha rahega.
Manju : ye to tumne bahut achi khabar sunai hai. Tumhari dusri mami ko bhi beta ho gya. Ab to jaldi se muh mitha karwana padega .
Amit : zarur, main aapke pas ghar par milne aaunga.
Manju : main intzar karungi.
Manju m se mil ne k bad main parking me gya jahan sab mera wait kar rahe the .hum sab ek sath nikle aur college k bahar ek restaurant me chale gye jahan humne sath me masti karte hue khaya piya . Maine ajay mama ko phone kar k mami ka hal chal janna chaha to pta chala uncle aunty un sab ko apne ghar hi le gye hain jaisa k wo kal hi keh rahe the .
Kalpana : khana pina to ho gya ab aage ky karna hai?
Neha : aur kya karna hai ? Ghar ja kar agle exam ki taiyari karo .
Amit : ye kya didi , itna khushi ka mauka hai aur aap aaj bhi padai ki baten kar rahi ho . Ye kaun sa final exam hain. Thoda sa time to nikal hi sakte hain na hun sab . Chaliye sab mil kar Mohit k ghar chalte hain .
Kalpana: wahan kyun ?
Amit : kyunki sab log abhi wahin par hain. Aur hum sab bhi wahin ja rahe hain. Chalo chalen .
Mere force karne se neha didi ne mana nahi kiya aur Radha Rima bhi khushi khushi chal padi. Jab hum ghar pahunche to wahan par pehle se hi sab ikatha the . Rajani mausi Rita mausi ma baba uncle aunty nidhi didi naina didi karuna didi . Naina didi aur karuna didi ne to achi khasi raunak laga rakhi thi. Unki baten sun kar sab has rahe the . Jub hum darwaze se andar enter hone lage to humen bahar se sabke chahakne ki aawazen aa rahi thi .
‘ hiiiiiiiiiiiiiii kalpana minal tum dono yahan ??? Kitne dino bad nazar aayi ho tum dono ‘ karuna didi to minal aur Kalpana ko dekh kar aise uchali jaise kitni purani best friends ho . Sab unko hi dekhne lage .
Minal : kaisi ho didi aap ?
Karuna : main to bahut achi hun bas aaj kal exams ki vajah se kitabon ko chat rahi hun. Tu bata ?
Karuna didi ne minal ko gale se lagaya udhar se naina didi bhi aakar Kalpana se gale lag gyi .
Naina : kaisi ho Kalpana ? Yar ache dost ho tum sab . Kabhi yad hi nahi karte .
Kalpana : aapko bhoole hi kab hain . Wo to exams ki vajah se aaj kal sab. Sab busy hain. Aap bataiye .
Naina : bas yar mera bhi karuna jaisa hi hal hai .
Amit : aur bhi hain line me agar aapka milna ho gya ho to .
Maine Rima ki taraf ishara karte hue kaha to karuna didi mujhe gusse se dekhne lagi .
Karuna : tujhse to mujhe koi bat hi nahi karni hai . Baki sab se main apne aap mil lungi chal hatttt .
Mujhe side me karte hue karuna didi Rima se gale mili. Main karuna didi ko dekhne laga to naina didi mere kareeb aayi .
Naina : dheemi awaz me ) kaha tha na , karuna bahut naraz hai tumse .
Main karuna didi aur naina didi ko dekhne laga . Tabhi nidhi didi bhi aa kar sab se mili . Rima ki khubsurati se sab impress the . Wo thi bhi gori gulabi aur upar se uske bal aur ankhon ka alag rang . Ek bar fir se pehle ki tarah sab use dekh kar uski tareef karne lage . Main bhi sab se mila bari bari se .
Amit : ma , deepika mami nazar nahi aa rahi .
Gauri : beta wo kamlesh wapis gya hai na gaon ghar aur zameenon ka bhi to khyal rakhna hai na. To deepika sath hi chali gyi. Abhi gye hain kuch der pehle . Kamini samne kamre me hai .
Deepika mami aur arav ka jana mujhe acha nahi laga par unka jana bhi to zaruri tha . Main Kamini mami k kamre ki taraf barha . Kamini mami k kamre me ajay mama aur ek nurse maujood thi . Ajay mama to bas bache k pas baithe usi k sath khel rahe the . Mujhe dekhte hi mama aur mami dono k chehre par khushi aa gyi .
Ajay : tu aa gya beta ? Kaisa raha paper ? Acha hua na ? Le aa tu bhi khel iske sath . Dekh kya kar raha hai ye .
Maine bache ko dekha wo to bechara abhi itna chhota tha k ankhen bhi theek se nahi khol raha tha aur Ajay mama itne khush the k khud hi pata nahi kya kya soch rahe the use dekh dekh kar .
Amit : kitna pyara hai na mama ji. Bilkul mami par gya hai .
Meri bat par mami Sharma gyi. Main bache ko pass dekhne laga . Tabhi kamre me Rima Radha Kalpana teeno aa gyi . Pehle un sab ne mama mami ko namaste kiya aur Kalpana aur Rima ne unhe badhai bhi di. Mama ji kamre se bahar chale gye .
Radha : hato tum yahan kya kar rahe ho ? Dekha nahi yahan sirf ladies hain. Jao tum bhi bahar aur humen iske sath khelne do .
Amit : are are , ye Kya bat hui . Main tumse pehle aya hun. Tum jao bahar . Mujhe pehle iske sath khelne do .
Radha : Tumhare pas hi to rahega ye gaon me jitna chahe khelte rehna. Abhi humen iske sath khelne do. Aao Rima aao Kalpana .
Mujhe dhakelti hui Radha meri jagah aa gyi aur bache k kareeb Rima ko karte hue mujhe dekh kar hasne lagi .
Radha : Dekh kya rahe ho ? Jao ab .
Amit : dekha mami ye kya kar rahi hai.
Kamini : Radha !!!
‘ Radha ko koi kuch nahi kahega . Aur tu yahan kya kar raha hai ? Chal bahar . ‘ ma ne andar aate hue Radha ki side li aur mujhe bahar jane ko kaha . Radha ke chehre par muskan aur bhi barh gyi . Meri nazar Rima par gyi to wo bhi nazren neeche kar k muskura rahi thi . Jabki Kalpana mujhe hi dekh rahi thi .
Amit : naraz hote hue ) ja raha hun .
Itna keh kar main kamre bahar nikal gya . Aur darwaze ko thoda zor se band kiya . Room se bahar aaya to ajay mama mujhe apne sath bitha kar baith gye aur main sab k sath baith gya . Naina aur karuna didi khane peene ka saman le kar kamini mami wale room me hi chali gyi . Nidhi didi Neha didi dono wahin hamare kareeb baith gyi. Tabhi mujhe divya mausi ka khyal aya
Amit : mausi , divya mausi kahan hai ? Wo nazar nahi aa rahi kahin ?
Rita : ohhh hamare to dimag se hi nikal gya . Wo to ghar gyi thi . Keh rahi thi Radha aane wali hai is liye ghar chali gyi . Usko kisi ne phone bhi nahi kiya. Main abhi use phone kar k batati hun k Radha idhar hai .
Rajani : par wo bhi to phone kar sakti thi . Kya uska phone aya kisi ko ?
Maine aur rita mausi ne na me gardan hilai aur mujhe pata tha k Radha ki bhi bat nahi hui mausi se kyunki wo to mere sath hi thi . Rita mausi ne divya mausi ka no . Dial kiya to wo out of reach aa raha tha
Rita : didi divya ka phone nahi mil raha hai .
Rajani : kya ??? Kahin kuch ..... hay bhagwan wo akeli gyi hai . Sab theek ho .
Ye bat sun kar ek pal k liye sabke hosh ud gye . Khas kar k mujhe ek dam se chinta hone lagi . Kyunki divya mausi k sath hui ghatna main to apni ankhon se hi dekh chuka tha . Wo khamosh rehti thi aur na hi jyada tej tarrar thi .
Vijay : chinta mat karo sab theek hi hoga . Main abhi ja kar use le ata hun
Abhi baba uthne hi wale the k main apni seat se utha aur Mohit ko awaz de kar bahar nikal gya . Jate jate Maine keh diya k main divya mausi ko lene ja raha hun .
Are bhai aisa mat kaho. Do nahi ek hi chhutti hoti hai. Agar aap 2 hi keh rahe hain to us hisab se aaj bhi chhutti likh lo firएक अपडेट के बाद कम से कम 2 दिन का रेस्ट है भाई लोग ।
are bhai bhaiAre bhai aisa mat kaho. Do nahi ek hi chhutti hoti hai. Agar aap 2 hi keh rahe hain to us hisab se aaj bhi chhutti likh lo fir