Update 192
‘ aao aao beta , kaise ho tum ? Kahin gye the kya ?’
Office enter hote hi principal sir ne mujhse sawal pucha .
Amit : jo sir wo family me kuch problem thi to mujhe achanak se jana pada. Sorry sir main bata nahi saka jane se pehle .
Principal: hmmm , koi jyada zaruri bat rahi hogi jo tum aise itne din gayab rahe. Chalo koi bat nahi wo tumhara personal matter hai. Tum jante ho maine tumhe kyun bulaya hai ?
Amit : nahi sir
Principal: dekho beta main janta hun tum ek bahut ache student ek ache khiladi aur bahut hi ache insan bhi ho. Par bat hai discipline ki. Koi bhi sanstha tabhi kamyab hoti hai jab wahan discipline ho. Aur yahi bat personal life par bhi lagu hoti hai. Tumhare bare me mujhe kai bar shikayat mil chuki hai par maine kabhi tumhe kuch nahin kaha kyunki thodi bahut dheel to chalti hi hai. Magar is bar kuch aur bhi teachers ne tumhari shikayat ki hai aur sath hi mujhe ye bhi sunne me aya hai k tum practice bhi nahi kar rahe. Tum jante ho na tumhare liye wo kitni zaruri hai? Agar tum khel par hi dhyan nahi doge to kal ko competition me kaise perform karoge. Dekho agar tumhe koi dikkat hai to tum mujhe bata sakte ho. Main tumhari har possible help karunga.
Amit : ji sir main apni galati manta hun. Sorry sir. Wo main pehle chot ki vajah se practice nahi kar raha tha Maine coach sahab ko bataya bhi tha aur fir pichle week mujhe emergency me jana pad gya. Ab aapko shikayat ka mauka nahi milega sir .
Principal: hmmm mujhe tumse yahi ummeed hai. Beta mujhe tum par poora bharosa hai aur main asha karta hun tum mera bharosa nahi todoge .
Amit : main aapko nirash nahi karunga sir.
Principal: theek hai ab tum ja sakte ho aur ek bar Varinder sir se zarur mil lena.
Amit : ji sir .
Uske bad main office se bahar nikal aya aur sidha Varinder Sir k office me gya . Wo abhi apne office me hi the.
Amit : may I come in sir ?
Prof v : yes come in ,, are Amit tum ?? Aao aao baitho.
Amit : good morning sir , aap kaise hain sir?
Prof v : main to bhala changa hun par tum kahan rehte ho ? Aaj itne dino bad dekh raha hun tumhe?
Amit : wo sir main last week college nahi aa paya tha. Family problem ki vajah se mujhe jana pada tha kahin.
Prof v : hmmm koi bat nahi. Abhi principal sir k pas se aa rahe ho ?
Amit : ji sir
Prof v : tumhe pata chal gya hoga k tumhari shikayat ki gyi hai ?
Amit : ji sir
Prof v : tum mayus na ho , ye sab to hota hi rehta hai. Acha maine tumhe yahan is liye bulaya hai k ab tumhe apne khel par thoda dhyan dena chahiye. Tumhe shayad khana mili nahi hogi December wale competition ab January me honge. Tum logon ko practice k liye aur time mil gya hai. Par December exams ki vajah se padai par bhi dhyan dena hoga. Main bas itna chahta hun k tum dono jagah acha perform karo. Khel to acha khelna hi hai par padai bhi ab tumhe dat kar karni hogi. Tumhe fail karne ki taiyari kiye baithe hain kuch teacher. Tumhe kisi bhi cheez ki chinta karne ki zarurat nahi hai. Tumhare sath kuch bhi galat nahi hone dunga main. Bas aaj se apni padai aur khel par poora dhyan dena baki kisi bhi bat ki chinta mat karna. Ab tum jao koi bat ho to kisi bhi waqt mujhe mil lena .
Amit : ji sir main dhyan rakhunga.
Varinder sir se milne k bad main wapis class ki taraf aya to Chandarkanta fir se mujhe zehrili muskan dene lagi. Main khamoshi se apni jagah par baith gya. Kuch hi pal me bell baj gyi aur Chandarkanta mujh par hasti hui chali gyi. Uske bad Manju m class lene aa gyi aur fir aise hi u ke lecture k bad hamara canteen lecture shuru ho gya. Manju m k nikalte hi hum bahar nikle to Kalpana shuru ho gyi.
Kalpana : kya keh rahe the principal sir ? Zarur ye sara kiya karta Chandarkanta ka hi hoga . Kaise battisi dikha rahi thi waise to chehre pe hamesha gussa hi rehta hai iske.
Amit : kuch nahi yar wo itne din se absent tha to sir pooch rahe the . Varinder ki baton se lagta hai k Chandarkanta k sath aur bhi kisi teacher ne meri shikayat ki hai aur is bar exams me wo mujhe fail karna chahte hain.
Kalpana : aise kaise fail kar denge ? Kar k to dikhayen fir dekhenge inko.
Mohit : wo sab chhod pehle ye bata tu us din kahan gayab ho gya tha aur fir mila bhi nahi mujhse? Aisi kya dikkat ho gyi thi ?
Amit ( man me ) ab ise kya bataun ??
Amit : kuch nahi yar wo bas mera mood kharab tha .
Mohit : tujhe mood kharab karne ki kya zarurat thi ? Tumne jo kiya sahi kiya. Bataya mujhe ma ne .
Amit : shocked ) kya bataya aunty ne ?
Mohit : yahi k Rajeev jija ji didi par hath utha rahe the aur tumne unko laga di. Isi bat se dukhi tha na tu ? Sach kahun to yar jo tune kiya wo to shayad main bhi na kar pata aur ma k sath sath didi bhi khush hain. Tu aise hi mood kharab kiye baitha tha. Aaj chupchap ghar chalna ma tumse milna chahti hai . Tune us din se ek bar bhi unse bat nahi ki.
Kalpana : ye kya bat ho rahi hai koi mujhe bhi batao ?
Mohit : bataya to abhi tumhare samne .
Kalpana : matlab poori bat batao ye sab hua kyun ? Zara se jhagde par to ye aisa nahi karne wala ? Zarur koi bat badi hi hogi ?
Mohit : wo didi k sasural wale tang karte the unhe unki saas aur nanad mil kar didi ko bahut pareshan karte the . Magar didi ne kabhi hum logon ko kuch bataya nahi. Is bat Amit gya tha sath aur iske samne jija ji sorry Rajeev ne didi par hath uthaya to isne use hi thok diya.
Kalpana : sach me tumne aisa kiya ??? Shabash mere sher , isi liye to main tumhe itna pasand karti hun. Par yar isse unki married life to spoil ho jayegi na ???
Mohit : hmmm , par ab bacha hi kya hai ? Mujhe kal pata chala k wo log kise kaise didi ko pareshan karte the par didi hum logon se sab chupati rahi. Sirf is liye k papa ko dukh na pahunche kyunki ye shadi unhone hi karwayi thi na apne jan pehchan k ghar me. Par kal papa bhi gussa the aur didi ko bhi keh rahe the k unhone aaj tak bataya kyun nahi. Papa to kal hi keh rahe the k wo didi ko ab us ghar me dobara nahi bhejenge.
Amit : sorry yar meri vajah se yeh sab ho gya. Agar main wahan na jata to shayad aisa na hota.
Mohit : are ye kaisi baten kar raha hai tu? Jo kuch kal didi ne bataya Aussie to yahi lagta hai k ye ek na ek din hona hi tha . Tumne to bilkul theek kiya aur papa bhi is bat se khush the. Keh rahe the k tumne bhai hone ka farz ada kiya hai. Wo tumse khud mil kar bat karna chahte the. Wo to kal hi gaon aa rahe the par didi ne mana kar diya . Wo khud tumse bat karna chahti thi. Keh rahi thi tum isi bat se naraz ho. Yar tujhe naraz hone ki zarurat nahi. Jo bhi tune kiya wo ek dam sahi kiya. Apne dil par koi bojh na rakhio.
Itne me baten karte karte hue hum canteen me aa gye. Abhi hum apni jagah baithe hi the k udhar se poori fauj aa gyi aur aate hi mujh par charhaai kar di. Command sambhali thi Sheena ne aur uska sath de rahi thi Shivani . Shalu bhi kuch naraz thi aur Radha Rima to maza le rahi thi is sabka. Behti Ganga me hath dhone ko minal aur Kalpana bhi lg gyi.
Sheena : aa gye ? Mil gya time ? Kam se kam banda birthday hi wish kar deta hai. Gift to door muh se ek bar wish tak nahi kiya tumne . Bas yahi hai dosti ? Yahi izzat hai hamari ?
Shivani : banda kam se kam halchal hi pooch leta hai , apna atapata hi bata deta hai or nahi . Tumhe to koi farak hi nahi padta.
Minal : aur kya ? Itni achi party thi aur ye ja kar didi k sasural me baitha tha . Bhala ye bhi koi bat hui.
Mohit : minal yar kam se kam tum to kuch mat kaho ise.
Kalpana : kyun na kahe ? Bat koi bhi ho kam se kam batana to chahiye na. 2 din phone band kar k ye kahan gayab tha? Didi aap ise chhodna mat main apke sath hun.
Sheena : pata hai main kitne dino se soch rahi thi k mere birthday par hun sab sath honge sath me celebrate karenge . Par nahi tumhe to apni hi marzi karni hoti hai. Kisi ka dil toote to toote tumhe kya.
Amit : are yar main kaun sa mauj masti karne gya tha. Aur mujhe kaun sa pata tha k mujhe aise jana padega wo to sab achanak ho gya. Tumne apna birthday to manaya na. Waise bhi sab to the wahan ek k na hone se kya hota hai.
Sheena : ek to mere moood ka satyanash kar diya upar se keh rahe ho kya hota hai? Agar party me sabse khas mehman hi na aaye to party ka maza kahan rehta hai ? Main tumhe sabse milawana chahti thi aur tum aaye hi nahi. Mera to bilkul man nahi tha party ka wo to papa ki vajah se mujhe karna pada sab. Ab tumne mere sath mera birthday nahi manaya to dekh lena . Kabhi bat nahi karungi tumse .
Kalpana: shabash didi ye hui na bat . Ab dekhte hain kahan bhagte ho.
Amit : par ab to party ho gyi na ab kya karna hai?
Sheena : main kuch bhi karun tumhe mere sath mera birthday manana padega bas .
Amit : acha theek hai . Par abhi to aram se baitho. Aur shalu tum batao tum kaisi ho?
Shalu : main bhi theek hun . Tum apni sunao.? Itne dino bad dekh rahi hun tumhe. Tum to phone bhi nahi karte aur na hi uthate ho .
Amit : han wo yar thoda problem thi.
Sheena : kya problem thi ?
Amit : kuch nahi wo bas aise hi tumhare kam ki nahi . Didi aap nahi kuch kahengi?
Neha didi : nahi bas sab theek hai
Didi ne bas itna hi jawab diya aur dhyan dusri taraf kar liya. Mujhe didi ka is tarah chup rehna acha nahi lag raha tha or sabke samne main bat nahi karna chahta thaa . Khair aise hi sab k sath baten karte karte time ka pata hi nahi chala aur lecture ki bell baj gyi . Aaj to sab meri lene me hi lage rahe . Radha aur Rima apas me khusar fusar kar k maza leti rahi Jaise hi lecture khatam hua aur hum wapis class me chale gye .
Chhutti k waqt fir se hum sab ikathe hue.Mohit mujhe apne sath chalne ko keh raha tha aur sheena apne sath . Par maine dono ko hi mana kar diya . Main neha didi se bat karna chahta tha par fir sabke samne main chup ho gya. Aur uske bad main radha ko liye ghar aa gya. Divya mausi ne meri pasand ka hi khana banaya tha. Unke pyar aur mamta se bhare swadisht khane ko khakar main sust pad gya aur kuch der so gya. Fir sham ko chai peene k bad aaj main stadium gya. Pehle to coach sahab me meri class lagayi fir neeraj bhaiya k sath maine jam k paseena bahaya. Aaj itne dino bad exercise karne laga tha to achi tarah se kasrat ki . Uske bad main manju m k ghar chala gya kyunki aaj se padai par bhi dhyan dena tha aur waise bhi mera saman manju m k ghar oda tha us din se hi. Manju m ne aate hi mujhe gale laga liya. Par hamari oye bhari mulakat chand palon ki hi thi kyunki sheena bhi beech me tapak padi. Sheena k samne maine bas padai ki . Ek ghanta padai karne k bad Manju m coffee banane chali gyi to Sheena kehne lagi
Sheena : yahan se free ho k mere sath chal rahe ho na ?
Amit : nahi yar aaj nahi kisi aur din chalte hain na .
Sheena : kyun aaj kyun nahi ? Ab to tumhari class bhi khatm hone wali hai .
Amit : aaj mujhe mausi k ghar jana hai is liye aaj nahi.
Sheena : to fir kal chaloge na ??
Amit : kal ka main keh nahi sakta .
Sheena : ye bahut galat bat hai . Iska matlab meri koi value nahi na ? Itni si bat k liye bhi kya ab main nidhi didi se sifarish karwaun? Lagta hai tabhi tum manoge.
Amit : nahi yar aisi bat nahi hai. Acha kal dekhta hun agar time hua to kal kar lena jo tumhara man ho . Waise karna kya chahti ho tum ?
Sheena : muskurate hue ) apna birthday special banana chahti hun . ( man me ) tumhe apna banana chahti hun hamesha k liye .
Abhi hum bat kar hi rahe the k mera phone bajne laga. Ye phone Ritu singh ka tha. Usne mujhe ek jagah aane ko kaha tha. Main jaldi se utha aur Manju m Sheena ko bata kar apni bike le kar nikal gya . Ritu ne mujhe jahan bulaya tha wo police headquarter tha . Main jaldi se bike udata hua wahan pahunch gya. Main jab wahan pahuncha to Ritu thodi pareshan thi aur mujhe apne sath le gyi . Andar ek kamre me manjari k chacha ko kursi par bandha hua tha. Uski halat bata rahi thi k uski ache se khatiradari ki gyi hai .
Ritu : dekh lo ise . Kal se yahin par rakha hai ise aur iske beton ko bhi. Koi f.I.r nahi karwai thi isne sab jhooth bol raha tha bastard
Amit : magar usne aisa kyun kiya ? Shak to mujhe usi din ho gya tha par mujhse sachai janni hai.
Ritu: apne muh se ho batayega ye tumhe . Constable !!!
Ritu ki bat sunte hi ek policewala andar aya aur manjari k chacha ka sir balon se pakar kar upar kiya. Wo dard se karah tha aur jaise hosh me hi nahi tha. Magar police wale ne use 2-3 thappad mar ke hosh me laya .
Constable: bata fir se kya hua tha manjari k sath ? Report kyun nahi karai tune ? Bata warna
Shyam : chhod do sahab mat maro Maine bata to diya tha sab kuch . Ab aur mat maro main mar jaunga
Constable: to bata fir se sari kahani shuru se
Shyam ki zubani -
Mera bhai apni beti aur biwi k sath mere pas aaye the . Ghar me function tha is liye 2-3 din wo log mere ghar rehne wale the. Mera bhai mujhe kam dilawane ko keh raha tha taki wo bhi shehar me hi aa jaye. Isi liye maine use factory me lagwane k liye manager sir se bat ki thi. Agle din dopehar ko wo mujhse milne factory ay aur uski beti manjari bhi sath aa gyi. Manager sir busy the to dono ko baitha diya. Sham ko jab wo free hue to unhone milne k liye bulaya aur uske bad mujhe dono ko factory aur kam ka dikhane ko bola. Main dono ko apne sath factory le gya. Aur uske bad maine unhe wapis manager sahab k pas le aya. Manager sahab ne mujhe wapis kam par jane ko kaha aur bole k wo mere bhai ko advance de kar bhej denge. Main wapis chal gya. 1 ghante bad mujhe khabar mili k mera bhai aur uski beti dono ki maut ho gyi hai accident me. Main bhaga bhaga aya. Manager sahab me bataya k factory k bahar hi ek truck ne dono ko kuchal diya. Par mujhe dekh kar aisa nahi laga to maine unhe police ko bulane ko kaha. Manager sahab mujhe apne sath daftar me le gye aur bole k unhone jhooth bola tha asal me wo truck k accident se nahi mare balki wo unki hi car se takra gye the road par karte samay. Manager sahab ne bola k agar main police me gya to wo to paise k dam par Bach jayenge par gir mujhe kahin naukari nahi milegi ulta mujhe chori k case me andar karwa denge. Apna muh band rakhne k badle me unhone mujhe 10 lakh rupay aur tankhwah double karne ka kaha.
Mujje uski bat sun ke ek dam se gussa aa gya aur main us par toot pada.
Amit ( marte hue ) haramzade tune meri manjari ka sauda kar liya. Kutte , agar wo teri beti hoti tab bhi kya yahi karta . Main tujhe jan se mar dunga .
Maine abhi 5-7 hi ghuse jamaye the k us police wale aur Ritu ne mujhe piche khincha par main tabhi bhi nahi ruk raha tha to bahar se 2 police wale aur aa gye aur sab ne mujhe pakad liya
Ritu singh : khud ko sambhalo Amit ye kya kar rahe ho? Humen asli katil tak pahunchna hai . Ise to iske karmo ki saza mil hi jayegi.
Badi mushkil se maine khud ko roka. Aur Ritu singh usse sawal karne lagi.
Ritu singh : tune ye bahut galat kiya hai aur tu bhi barabar ka doshi hai is jurm me. Par tujhe shak nahi hua us par ? Wo tujhe itne paise kyun de raha tha . Accident case waise bhi wo rafadafa karwa sakta tha. Fir itne paise kis liye?
Shyam : akhun akhun huhhhh huhhhh mujhe shak to hua tha madam par Main kya karta madam. Wo bade log hain . Main unse lad nahi sakta tha is liye unki bat chupchap man li. Unhone kaha tha agar maine muh khola to anjam bahut bura hoga. Bad me mujhe factory me kam karne wale ek Aadmi ne bataya tha k manjari chhat se giri thi . Aur mere bhai ko un logon ne mara tha. Maine apni aur apni family k liye muh band rakhna hi theek samjha.
Mera dil kiya k main use abhi jan se mar dun par mujhe police walon ne pakad rakha tha. Magar mujhse pehle Ritu singh ne danda utha kar use marna shuru kar diya .
Ritu singh : you bastard apni beti jaisi bhateeji ki izzat aur jaan ka sauda karte tujhe sharam nahi aayi? Kal ko teri biwi ko koi utha lega tab bhi yahi karega. Iski ache se sewa karo behosh ho jaye to fir se hosh me la kar maro.
Ritu singh mujhe apne sath apne office le aayi. Main gusse me pagal ho raha tha aur apna gussa manjari k chacha ko apne hathon se mar kar nikalna chahta tha. Sath hi manjari k sath jo kuch hua wo jan kar meri ankhon se pani apne aap behne laga tha. Ritu singh ne meri ye halat dekhi to mujhe gale se laga liya.
Ritu singh : shaant ,,, shant ho jao ,, khud ko sambhalo Amit. Tum aise toot jaoge to hum asli mujrim ko kaise saza dilayenge. Khud ko sambhalo .
Amit : kaise sambhalun khud ko ,, kaise ??? Un logon ne meri manjari k sath ..... main un logon ko zinda nahi chhodunga . Main ek ek ko jan se mar dunga.
Ritu singh : tum aisa kuch nahi karoge . Aai bat samajh me. Jo karungi main karungi . Kanoon use saza dega. Tum apne hath gande nahi karoge. Main wada karti hun jisne bhi ye kiya hai wo chahe koi bhi ho use main chhodungi nahi.
Amit : aap se kuch nahi hoga , kuch bahi hoga aapse. In jaise janawaron k liye ek hi saza hai aur wo main khud dunga use.
Ritu singh : tumhe mujh par bharosa nahi hai kya ? Maine wada kiya hai na tumse aur main wada nibhaungi bhi. Main nahi chahti tumhare hath gande ho aur tum kisi chakkar me faso. Tumhe apni family ko bhi to dekhna hai. Bahut c zimmedariyan hain tum par. Apni life dekho aur fir apne se jude logon k bare me socho. Main tumhe nirash nahi karungi kasam khati hun.
Ritu singh ne mujhe apne gale laga kar samjhaya. Usne mujhe poora yakeen dilaya k wo manjari ko insaf dilayegi. Maine bhi uski bat ko samjha aur khud ko control kiya. Par dil me fir bhi ek dard ek aag jal rahi thi. Jab main shant hua to Ritu ne mujhe chair par bithaya aur khud mere pas baith gyi.
Ritu singh : ab sab bhool jao. Main kal hi us manager ko utha lungi aur sari bat samne aa jayegi. Filhal tum sab kuch bhool jao. Apne dimag me koi bhi bat mat rakhna. Mere hote tumhe kuch bhi sochne ki zarurat nahi. Ab se ye mera personal case hai . Tumhare liye itna to kar hi sakti hun .
Amit : thanks aap mere liye itna kuch .....
Ritu singh : shhhhh .... ab tum gair to nahi. Mere liye manju hi meri family hai aur ab tum bhi . Is liye kuch kehne ki zarurat nahi. Waise bhi aadhi gharwali to hun hi.
Ritu ne muskurate hue aankh dabakar ye bat kahi to na chahte hue bhi main muskura diya.
Ritu singh : that’s like a man. Aise hi khush raha karo. Baki sab tension mujh par chhod do. Don’t worry about anything. Ab bolo kya sewa karun jija ji.
Amit : ye aap na mujhe jija ji mat kaha kijiye mujhe acha nahi lagta . Koi sunega to kya kahega.
Ritu singh : yahan kaun hai jo sunega han ? Main akele me hi kahungi jo kehna hai.
Amit : waise ab theek to hain na? Sorry wo main kal aap se bat nahi kar paya .
Ritu singh : shukar hai janab ko yad to aya . Ab theek hun par kal sara din main ghar par hi thi. Paon faila kar chalte hue koi dekhta to kya jawab deti ? Ufff tum aam insan to ho hi nahi. Na man se naaa......
Ritu ne apni bat adhuri hi chhod di par uski ankhon ka ishara dekh kar mujhe hansi aa gyi.
Amit : kisne kaha tha wo mujhe aise ukasane ko?
Ritu singh : mujhe kya pata tha kya bala ho tum ? Main to bas thoda sa pyar karna chahti thi. Bas dil beiman ho gya tha aur galati kar baithi .
Amit : ohhh galati !!! I am sorry maine aapke sath aise ......
Ritu singh : tum fir se shuru ho gye? ye sab kehna zaruri hai ? Maine kaha na k wo sab meri marzi thi.
Amit : aap hi ne to abhi kaha k aapne galati kardi.
Ritu singh : wo to maine aise hi kaha tha.
Amit : to wo galati nahi thi ?
Ritu singh : nahi
Amit : aapko acha laga mere sath
Ritu singh : hmmm
Amit : ek bat kahun bura to nahi manengi aap ?
Ritu singh : kaho , tumhari bat ka bura kaise man sakti hun?
Amit : agar aap manju m ko aur mujhe apna manti hain to ab se aap bhi akele rehna chhod dijiye. Kuch waqt aap hamare sath bhi to bita sakti hain na. Matlab aapko apni life bhi to jeeni chahiye na .
Meri bat sun kar Ritu singh kuch der khamosh rahi aur meri ankhon me dekhti rahi . Dheere dheere uski ankhon me nami aa gyi .
Amit : ye kya aap to rooo.....
Meri bat poori bhi nahi hui thi k Ritu mere gale lag gyi aur kas k mere sath chipak gyi. Tabhi wo hichakiyan leti hui rone lagi.
Amit : ye kya aap to sach me rone lagi
Main Ritu ki peeeth sehlate hue use chup karwane ki koshish kar raha tha . Par wo lagatar roye ja rahi thi aur usi tarah zor se mere gale lagi hui thi. Itni sakht officer bachon ki tarah ro rahi thi . Mujhe mehsus ho raha tha unka akelapan. Maine unhe khud se alag karne ki koshish nahi ki aur unhe rone diya taki unka man halka ho jaye . Abhi kuch der pehle wo mujhe samjha rahi thi aur ab main unhe. Khair kuch der bad jab unka man halka hua to wo mujhse alag hui. Maine unke chehre ko hathon se saf kiya.
Amit : aap to itni kamzor nahi thi fir aise kyun ??
Ritu singh : main bhi to insan hi hun na pathar to nahi ? Mere andar bhi dil hai mujhe bhi apno ki zarurat hai. Par kismat ne mujhe itna akela kar diya tha k maine khud ko majbut dikhane k liye pathar dil hone ka bhes bana liya. Warna main bhi manju ki tarah pyar karne wali hi ladki thi. Bas koi sache dil pyar karne wala hi nahi mila . Insan bhi kya cheez hai na . Khud ko kitna bhi majboot bana lo bade se bada dard seh kar bhi aankhon se aansoo nahi behte aur kabhi kabhi pyar bhare chand alfazon se ankhon ka pani Seema laangh jata hai.
Amit : bahut akeli rahi hain na aap ? Par ab aur nahi. aapne mujhe apna mana hai na to ab se main aapko akela nahi rehne dunga . Aap k pas jab bhi time ho aap manju m se aur mujhse mila kijiye aur agar nahi aayi to main zabardasti utha kar le jaunga . Fir banati rehna apne thaane me case.
Ritu singh : ( smile ) tum utha k jahan marji le jana tumhe koi rok nahi. Par manju na kahin hum dono ki tange tod de.
Amit : wo kuch nahi kahengi. Wo to khush ho hi k main unki behan ko bhi khush rakh raha hun. Aapki tarah wo bhi aapse bahut pyar karti hain.
Ritu singh : wo Aisi hi hai.
Amit : waise hain to aap bhi waisi hi bas ye uniform ka asar hi aisa hai k aap gaal Laal karte waqt zara bhi nahi sochti. Han iske bina aap bhi unke jaisi hi hain .aur kapdon k bina to aur bhi achi.
Ritu singh : aankhe badi karte hue) maar khaoge tum mujhse.
Amit : ab itna mazak to kar hi sakta hun na apni sali sahiba k sath.
Ritu singh : acha !!! To sali ne agar kuch kiya to fir na kehna.
Amit : pehle kuch kaha kya? Waise fayda to apna hi hai. Chahe aap upar ho ya main .
Ritu singh : aise nahi manoge tum abhi batati hun .
Meri bat ka matlab samajhte hi Ritu mujhse marne lagi aur sath me khilkhila kar hasne lagi . Ritu ko fir se hasta dekh mujhe bhi acha laga.
Amit : aise hi hasti raha kijiye. Aap hasti hui bahut achi lagti hain.
Ritu singh achanak fir se khamosh ho gyi aur meri ankhon me dekhne lagi. Fir wo meri taraf jhukne lagi aur hum dono k honth apas me mil gye. Maine bhi unka sath dete hue unke naram honthon ko apne honthon me jakad liya. Mere sir k piche hath rakh kar wo mujhe pyar se kiss kar rahi thi bilkul ek premika ki tarah. Ye pehli bar tha k hum kiss kar rahe the . Dheere dheere Ritu kiss karte hue mere upar hawi hone lagi. Is pyar k liye wo kai salon se tadap rahi thi aur uski tadap main achi tarah mehsus kar pa raha tha. Kiss karte karte wo mere sath bail ki tarah chipak gyi thi. Hum dono ki saanse ukhadne lagi to ye kiss tooti. Ritu lambi sanse lete hue meri ankhon me hi dekh rahi thi. Tabhi bahar se kisi ne dastak di to Ritu jaldi se apne honth saf karti hui apni saanse sambhalti apni chair par baith gyi.
Ritu singh : huhhh hmmm ,,, kaun hai ?
Bahar se : madam aap se koi milne aya hai.
Ritu singh : 2 minutes bithao main abhi bulati hun.
Amit : mujhe ab chalna chahiye .
Ritu singh : aise kaise , main tumhe khud drop kar k aati hun .
Amit : nahi koi bat nahi . Waise bhi main bike se aya tha. Aap ko bhi to apna kam karna hai . Main chalta hun and thanks for this lovely kiss
Meri bat se Ritu sharma gyi aur main muskurata hua bahar nikal gya. Kahan pehle mujhe manjari k chacha ki baten sun kar itna gussa aa gya tha k dil kar raha tha un logon ko haan se mar dun aur ab dil ko sukoon tha. Ritu k akelepan ko mehsus karna aur use bina soche samjhe apna man lena. Ye ajeeb to tha par fir bhi dil ko is bat se acha hi lag raha tha. Main abhi bahar hi nikla tha k mera phone bajne laga. Mobile dekha to Divya mausi ka phone tha. Maine phone uthaya to wo gusse se bolne lagi.
Divya mausi : kahan jo ? Ye tumhara phone kyun nahi lag raha tha kab se try kar rahi hun? Time dekha kitna ho gya hai ? Dopehar se nikle ho abhi tak ghar nahi aaye . Tumhe apne aap zimmedari ka ehsas hai k nahi ?
Amit : wo mausi wo mujhe nahi pata k kyun nahi lag raha tha main .......
Divya mausi : abhi k abhi ghar aao mujhe kuch nahi sunna .
Itna keh kar Divya mausi ne phone kar diya . Main to musibat me fas gya tha. Time bhi bahut ho gya tha isi liye mausi itna gusse me thi. Maine bhagwan ko yad kiya aur bike ko hawa me udata hua pehle manju m k ghar gya aur apna bag le kar Divya mausi k ghar ki taraf chal diya . Mam ne puchne ki koshish ki par maine jaldi jaldi me unhe koi bat nahi batai . Ghar aate hi wahi hua jiska dar tha .