• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,401
28,412
218
Update 241

Manju bua k gadi se bahar nikalte hi ma unhe dekhte hi pehchan gyi aur zor se unka nam lekar chillayi . Rajani mausi rita mausi kamini mami ne bhi unhe pehchan liya . Deepika mami ko to main bata hi chuka tha aur wo unse pehle mil bhi chuki thi. Lekin Radha ko chhod baki sab ladkiyan hairani se dekh rahi thi. Sabse jyada shock to Kalpana nazar aa rahi thi. Meri nazar Radha se mili to uski ankhon me khushi K sath sath nami bhi thi . Meri halat jaise Radha ko hi samajh aa rahi thi ya yun kahen k uski halat mere jaisi hi thi . Ma tez kadmo se bua ki taraf barhne lagi to Deepika mami ne unki kalai pakar k rok diya .

Deepika : ruko didi pehle Aarti to utarne do aur aap zara apna bhi dhyan rakhiye .

Deepika mami ne ma ko unki garhaawastha ki yad dilai aur khud aage barh gyi. Manju bua ki ankhon me bhi nami aa gyi thi ma aur mausiyon ko dekh kar. Jabki Deepika mami ko wo pehli baar is ghar me dekh rahi thi chahe wo hospital me unse mili thi ek bar . Deepika mami ne Aarti utari aur bua k mathe par tilak laga kar u ka swagat kiya . Manju bua andar aane ki bajaye wahin darwaze par khadi rone lagi thi to ma ne aage barh kar unko gale se laga liya jisse bua ka rona aur bhi tez ho gya . Sabko chehron par aayi khushi ek bar fir emotions me behne lagi thi.

Gauri : Manju ,,, tu aa gyi Manju ,,, kahan thi tu itne saalon se ?? Tujhe ek bar bhi hamari yad nahi aayi ?

Manju : rote hue ) mujhe maaf kar do bhabhi ma , mujhe maaf kar do .

Gauri : maafi kis bat ki han ? Chal , andar chal pehle .

Ma ne Manju bua ko gale laga kar unke aansoo ponchte hue unhe ghar k andar parwesh karwaya aur pehle rajani mausi ne unhe gale lagaya fir rita mausi aur fir kamini mami. Ro ro kar Manju bua sab se maafi mang rahi thi haath jod kar. Sab ne unko aise gale lagaya jaise unse kisi ko koi shikwa tha hi nahi . Idhar maine gadi se bua ka bag bahar nikal liya . Divya mausi Deepika mami k sath kitchen me chali gyi Aur ma mausiyon k sath bua ko apne kamre me le gyi . Mujhe baba ka khyal aya aur jaldi se bag rakh kar bike le kar nikal gya baba ko lene . Baba khet par hi the maine unhe bataya k bua aayi hai to wo bhi khushi me daud pade . Maine unhe bike par bithaya aur Ajay mama piche piche scooter par aa gaye . Ghar pahunche to ma mausi sab bua ko ladkiyon se milwa rahi thi. Baba laghbhag bhagte hue kamre me pahunche to samne bua ko dekh kar unki ankhon me aaye ansoo bhi behne lage .

Vijay : manjuuu

Baba k muh se itna hi nikal tha k bua baba ko dekhte hi daud kar unke gale lag gyi . Dono hi ro rahe the aur baki sab k chehron par khushi k sath sath ankhon me nami thi . Baba bua ko gale se lagaye kisi chhoti bachi ki tarah unhe dular kar rahe the .

Manju : bhaiyaaaa ,, mujhe maaf kar do bhaiyaaa

Vijay : mat ro meri gudiya mat ro ,, maafi to mujhe maangni chahiye . Main Tera apradhi hun. Maine tumhe tumare bittu se door kar diya . Mujhe maaf kar de gudiya mujhe aisa nahi karna chahiye tha . Main swarthi ho gya tha aur mujhe tera vajood nazar hi nahi aya . Kash maine aisi galati na ki hoti . Mujhe maaf kar de gudiya mujhe maaf kar de .

Manju : nahi bhaiya aap aisa mat kahiye ,, isme aapki koi galati nahi hai. Ye to meri takdeer me hi likha tha . Main to khush hun k aapne mere bittu ki itni achi parwarish ki hai. Main kaha use tan sambhal pati. Han is bat ka afsos zarur hai k main iska bachpan theek se dekh nahi payi . Kash maine ek bar aapse milne ki koshish ki hoti

Ajay : Manju , tu aa gyi gudiya . Mera dil kehta tha tu ek din zarur aayegi hamare pas . Bahut der lagadi aane me par shukar hai tu aa to gyi.

Ajay mama ne kamre k darwaze par khade khade bua ko dekh kar ye bat kahi to bua baba se alag ho kar Ajay mama ki taraf lapki .

Manju : Ajay bhaiyaaaaaa

Ajay : manjuuu

Dono sage bhai behno ki tarah ek dusre k gale lag kar ansoo baha rahe the .

Manju : mujhe maaf kar do bhai.......

Ajay : shhhhhhh , tu to hamari gudiya hai sabse chhoti behan . Tu hamse maafi mang kar Hume sharminda mat kar meri behan . Tu hamesha hi hamare dil me thi . Hamari hi galati hai k humne kabhi tera hal janne ki koshish hi nahi ki.

Vijay : divya kahan hai ?

Achanak baba ko divya mausi ka khyal aya jaise unhe dar ho k wo ab kya kahengi .

Divya : main yahan hun bhaiya

Vijay : tum yahan ???

Baba k chehre par chinta dekh kar ma ne aage barh kar jawab diya .

Gauri : Manju ko hamari divya hi lekar ayi hai . Maine kha tha na hamari divya bahut samajhdar hai . Dekho khud hi le aayi ja kar .

Vijay : divya meri behan , tune apne is bhai ka air garv se uncha kar diya . Mujhe tum par naz hai meri pyari behan .

Baba ne divya mausi ko bhi pyar se gale laga liya . Divya mausi baba dwara aise gale lagane se bahut khush hui jo unke chehre se nazar aa raha tha . Unhe isi bat ka to malal tha k unke bade bhai ki dili icha unhone tod di thi .

Divya : mujhe maaf kar do bhaiya , us din Maine sach jane bina hi mana kar diya tha . Mujhe aisa nahi karna chahiye tha.

Vijay : main samajh sakta hun meri pyari behan . Damini k liye tere dil me jo pyar aaj bhi hai ye sab usi ki vajah se to hai. Uske jane ka sabse jyada asar tumne hi to jhela hai. Par mujhe khushi hai k tune Manju ko swikar kar liya . Aaj aisa lag raha hai jaise hamara ghar fir se poora ho gya . Itne salon se jo soona pan in deewaron me samaya tha aaj wo khatam ho gya hai . Kasha ye din dekhne k liye ma babu ji damini aur pawan bhi hamare beech hote .

Baba ki bat par ek bar to sab ho khamosh ho gye aur sabki ankhen nam ho gyi.

Karuna : mama ji aaj Manju Aunty aayi hain to celebration banta hai na ??

Karuna didi ne kamre me chhaye sannate ko bhang karte hue apne hisab ki bat kar di aur sab unki taraf dekhne lage . Rita mausi ne karuna didi ko rokna chaha par rajani mausi ne rita mausi ko hi rok diya .

Naina : han mama ji , aunty k aane ki khushi to mil kar Hume manani hi padegi .

Karuna : chalo yar aaj dhamal ho jaye .

Ajay : bilkul , hamari sabse chhoti behan itne salon bad ghar aayi hai , party to banti hai. Tum sab jaldi se taiyari karo , jo jo saman chahiye mujhe batao main khud le kar aaunga .

Naina : theek hai mama ji hum abhi sab dekhte hain aur aapko list bana kar dete hain . Oye chal tu bhi hamare sath ab kya bua k pas hi baithega ??

Naina didi kamre se nikalte nikalte mujhe bhi sath me lapet liya . Main jo ab tak bas khamosh khada sab dekh raha tha , didi k is tarah mujhe lapetne se main thoda hadbada gya . Tabhi sab meri halat par hasne lage .

Deepika : are use kyun tang kar rahi ho , chalo main chalti hun tumhare sath .

Ajay mama Deepika mami karuna naina didi ko sath liye chal di aur sath hi kalpana Radha Neha didi bhi chali gyi . Baba ne mujhe ishare se kareeb bulaya aur gale se laga liya .

Vijay : shabash mere sher , aaj tune mere dil se bahut bada bojh utar diya hai. Tu nahi janta tune kitni khushi di hai mujhe . Tu sach me hum sab par upkar karne k liye hi paida hua hai . ( Manju bua se ) gudiya , le tera bittu aaj se tera hai. Humne ise tumse chheen liya tha . Aaj tujhe tera bittu wapis kar raha hun main . Jo waqt guzar gya use wapis to nahi laya ja sakta par aage aane wala waqt itna haseen ho ki buri yaden tumhare dil se mit jayen . Main bas yahi dua karunga . Itne sal tere is bittu ne is ghar ko roshan Rakha hai aur iski vajah se hi aaj ye ghar itna khushhal hai . Ab se ye sirf tumhara hai , sirf tumhara .

Baba ne sajal ankhon se mujhe aur bua ko dekhte hue ye sab kaha to ma kamini mami aur divya mausi k chehre k bhaw badal gye. Unki ankhon me baba ki baton se jaise dukh k bhaw nazar aane lage . Jaise wo baba ki is bat se sehmat na ho.

Manju : nahi bhaiya , main itni swarthi nahi hun k is ghar ki khushiyan chheen kar aap sab ko dukhi kar dun. Mujhe pta hai aap sab ise kitna pyar karte hain. Itna pyar to ise main bhi nahi de sakti thi. Yahan reh kar ise mata pita k sath mama mami mausi aur behno ka pyar bhi mila hai . Itna sab to na kabhi mere pas tha na aaj hai. Main nahi chahti k Amit se itne sare rishte main door kar dun . Is liye ye yahin rahega . Main bas itna hi chahti hun k thodi si jagah mujhe bhi is ghar me mil jaye taki kabhi kabhi ise yahan akar mil sakun .

Bua ki bat sun kar ma ne unhe gale laga liya .

Gauri : ye kaisi baten kar rahi hai tu ? Tu ab se yahin rahegi hamare sath . Ye ghar tera bhi hai samjhi . Aur main koi bahana nahi sunne wali. Tu is pariwar ka hissa hai, dekhti hun tu kaise humen chhod kar kahin jati hai.

Divya : bilkul sahi kaha bhabhi , ab to tum hamare sath hi rahogi aur shehar me bhi mere sath rehna hoga

Rita : kyun ? Tu kya akeli hi rakhegi ise apne pas ? Hum dono bhi hain wahan , yad hai na ?

Amit : main ek bat pehle hi keh deta hun aap sab ko yahan , ab se main bua k sath bhi raha karunga shehar me .

Maine ye bat kahi to teeno mausiyon ne ek bar mujhe dekha aur fir hasne lagi . Teeno ne apni sehmati dikha di thi . Ab wo sab bua ko gher kar unse baten karne lagi aur baba mujhe apne sath kamre se bahar le aaye. Ladkiyan sab milakar pata nahi kahan gayab ho gyi thi . Baba ne mujhe apne sath chalne ko kaha aur hum dono ghar se nikal gye . Baba aaj bahut khush nazar aa rahe the . Unki khushi unke chehre se hi nazar aa rahi thi. Magar wo mujhe kahan le ja rahe the mujhe samajh nahi aa raha tha . Baba mujhe le kar kheton me aa gye jahan is waqt bas kam karne wale majdoor hi the.

Vijay : aaj main bahut khush hun beta aur ye khushi tumne mujhe di hai. Aaj aisa lag raha hai jaise mere sine ka bojh utar gya ho. Zindagi me bas ye hi ek dard tha jo mujhe chain se sone nahi deta tha. Jane anjane Maine Manju k sath bahut bura kiya tha par tumne aaj meri wo galati ko bhi theek kar diya . Mujhe tum par garv hai mere bete . Tumne na sirf mera bojh utara hai balki apne pita ka farz bhi nibha diya hai. Bas ab Manju ko wo har khushi dena jiski wo hakdar hai. Pariwar rishtedar chahe koi kuch bhi kahe par tum ab kabhi use akela mat chhodna .

Amit : main aisa hi karunga baba , par aaj aap aisi baten kyun kar rahe hain?

Vijay : pata nahi par jo dil me aya Maine keh diya . Duniya se jane se pehle har koi apne karz utarna chahta hai aur mere dil par bhi ye ek karz tha jo aaj tumne utar diya .

Amit : ye aap kaisi baten kar rahe hain baba ? Abhi to aapne bahut kuch dekhna hai . Abhi to ma , ma banne wali hai . Meri tarah aapko apne bete ko bhi bada karna hai . Aur fir arav , Chhotu. Aur main ,, hum sab ko aapki zarurat hai. Aap aise jane ki baten dubara mat karna warna main apse bat nahi karunga .

Vijay : are are mera beta mera sher mujhse naraz ho gya ?? Acha bhai dubara aisi bat nahi karunga par maine to wo sachai batai hai . Chal ab chalte hain. Itne dino bad gudiya aayi hai to uske liye bhi to kuch karna hai .

Amit : waise baba aap bua ko gudiya kyun bula rahe hain ? Iski koi khas vajah ?

Vijay : ha ha ha ,,, ab gudiya ko gudiya nahi kahunga to kya kahunga . Tere papa bhi yahi bulate the use. Jante ho jab tere mata pita ki shadi hui thi ye school me padti thi . Chhoti thi nasamajh aur bahut bholi . Tere papa hi iske sab kuch the aur ab se tum.

Amit : ek bat puchun baba ? Mausi papa ki bat par aise gusse me kyun aa jati hain ? Kya aap jante hain iske piche kya vajah hai .

Vijay : ye bas tumhara veham hai. Wo shayad us accident ki vajah se aisa sochti hogi.

Amit : akhir accident hua kaise tha jo mausi uske liye papa ko doshi manti hain.

Vijay : itna to mujhe bhi nahi pata . Han us waqt car shayad tumhare papa chala rahe the aur damini k sath sath hamare mata pita yani tumhare nana nani bhi sath the .

Amit : par baba agar wo sab ek saath accident me mare gye to main kaise bach gya ?

Vijay : bhagwan ki marzi hai beta , tumhare mata pita ne apni jan dekar tumhari jan bachaai

Amit : par main us waqt bahut chhota tha na to mujhe kisne nikala car me se ?

Vijay : wo ,,, wo kismat se main us taraf hi aa raha tha . accident k kuch hi der me main wahan pahunch gya tha

Amit : par aapne to kaha tha aap mandir me the .

Vijay : mandir me ,, hh han ,, han wo main mandir me hi tha par wo log late ho gye the to main unhe dekhne k liye ghar ki taraf aa raha tha .

Amit : baba aap mujhse kuch chhupa rahe hain ?

Vijay : main aisa kyun karunga ? Chal ab ghar chalte hain bahut der .....

Amit : aapne mere zinda hone ki bat kyun chhupai baba ? Agar wo sirf ek accident tha to kyun nahi aapne bua ko bata diya mere bare me ? Akhir kyun chhupaya gya mere bare me aur aapne sabko kasam bhi di kisi ko na batane ki . Akhir aisa kyun ? Aap mujhse sachai chhupa rahe hain.

Vijay : maine kaha na , main ,, main nahi chahta tha k tum un logon k sath raho. Aur fir tumari ma ki goad bhi to suni thi . Isi liye humne ye bat chhupai thi .

Amit : baba ....

Vijay : bas ab bahut hua , chal ab ghar chalte hain. Wahan sab hamara intzar kar rahe honge.

Baba jaldi se meri bat kat kar aage chal diye . Main itna to samajh raha tha k baba kuch chhupa rahe hain par akhir iske piche ki vajah kya hai. Unke ilawa shayad aur koi janta bhi nahi hoga . Kyunki ek wahi to us waqt wahan maujood the . Shayad bua is bare me kuch janti hon par wo to khud bechari sachai se anjan thi. Jo bhi tha ab mere dimag me ye sawal gunjne laga tha k akhir mere pita ki maut k piche ki sachai kya hai. Kya sach me wo ek accident tha ya ???

Khair main baba k piche piche chal diya bhari man k sath . Baba ne raste me aur koi bat nahi ki aur na hi maine . Jab hum ghar pahunche to Kamlesh mama bhi aa chuke the . Sab ladkiyon ne mil kar ma baba k room me hi halki fulki sajawat kar li thi aur bahar se kuch saman mangawaen k sath Deepika mami ne bhi kitchen me apna kamal dikha diya tha . Manju bua to nanhe munne bachon ko apni goad me khila kar khush ho rahi thi . Main bua k pas hi ja kar baith gya . Pas hi ma kamini mami rajani aur rita mausi baithi thi .

Manju : kitna pyara hai ye bhabhi , dekho dekho iski naak iska chehra Amit se kitna milta hai na ?

Bua ki bat par Kamini mami ne ek bar meri taraf dekha aur fir unke honthon par muskan aa gyi .

Kamini : wo har waqt Amit rehta tha na ankhon k samne to is liye iske jaisa hai .

Rita : bilkul sahi , yahi sach hai .Garbhawastha me aurat jiske bare me soche ya dekhe uske jaisa hi hota hai bacha . Dekh lena ye bilkul apne papa jaisa hoga .

Rota mausi ne ye bat keh kar meri taraf dekh kar aankhon se ishara kiya to is bat par Maine nazren fer li.

Manju : par ye kya bhabhi , aapne itne sal kyun laga diye ? Ye koi bat hai ? Itni kanjoosi kis bat ki? Agar pehle hi ye kar liya hota to ab tak ye bhi jawan ho chuka hota Amit jaise .

Kamini : ab isme main kya keh sakti hun ? Bhagwan ko jo manzoor hai waisa hi hota hai .

Kamini mami fir se meri taraf muskura kar dekh rahi thi.

Manju : koi bat nahi , ek bat to achi hi hui . Main Amit ka bachpan to na dekh payi ab in dono ko hi bade hote dekh lungi .

Rita : chaho to tum bhi ek adh kar lo . Abhi tumhari Umar hi kya hai .

Rita mausi ki bat par Manju bua ki hansi ek dam se gayab ho gyi aur wo muh khole mausi ko dekhne lagi .

Manju : didi maine bataya na k mere sath kya kya hua hai. Us sab k bad ab main fir se shadi waadi nahi karna chahti .

Gauri : Manju dekhna ye chhotu aur aarav bilkul amit jaise banenge bade hokar . Waise iska nam hamne abhi tak nahi socha kya tum koi nam sujhaogi ?

Ma ne Manju bua k chehre par aaye bhaw dekh kar bat ko badal diya tha aur sath hi rita mausi ko bhi ishara kar k aisi bat na karne ko kaha.

Manju : han kyun nahi , main acha sa nam soch kar bataungi iske liye .

Gauri : theek hai to ab hum wahi nam rakhenge jo tum kahogi . Kyun kamini , theek kaha na ?

Kamini : ji didi

Tabhi kamre me naina didi aur karuna didi aa gyi .

Karuna : chalo chalo sab log , jaldi chalo . Chaliye bua hamare sath .

Manju : par kahan ?

Naina : aap chaliye to pehle . Aur aap sab bhi chaliye . Tujhe kya alag se kehna padega ? Chal tu bhi .

Naina didi aur karuna didi Manju bua ka hath pakad kar unhe khinchti hui apne sath kamre se bahar le jane lagi to unke piche piche hum bhi chal pade . Ma baba k kamre me sajawat k sath ek chhota sa cake bhi table par saja kar rakha hua tha jiske upar welcome bua likha tha . Manju bua ko beech me baitha kar baki sab log unke aaspas jama ho gye aur naina didi karuna didi ne bua k hath me chaku pakda kar unhe cake katne ko kaha . Bua k chehre par khushi saf jhalak rahi thi jo ab unki ankhon me nami ban k ubhar aayi thi .

Manju : ye sab ....

Rajani : kuch bhi nahi hai , chalo ab cake kato. Bachon ne itne pyar se tumhare liye kiya hai .

Manju : awwww , thank you so much naina karuna .

Karuna : wo sab bad me bua pehle aap cake kato . Bahut bhookh lagi hai .

Manju bua cake karne lagi to ruk gyi aur mujhe dekh kar apne pas bulaya .

Manju : ye sab tumhari vajah se hai. Tumne mujhe meri zindagi lauta di . Muaaaah

Bua ne mere gal par pyar se chumban kiya aur fir mera hath apne hath me lekar chaku ko cake par rakha aur kat diya . Sab khushi se taliyan bajane lage . Bua ne pehle mujhe cake khilaya aur fir maine unhe . Uske bad bari bari se sabne cake bua ko khilaya .

‘ koi mujhe batayega yahan kya ho raha hai aur mujhe kisi ne batana tak zaruri bhi nahi samjha ‘ ye awaz sun kar sabka dhyan darwaze par khadi nidhi didi par gya jo apni kamar par hath rakhe kabhi mujhe kabhi bua ko dekh rahi thi. Nidhi didi is waqt casual kapdon me hi thi shayad office se sidha idhar aayi thi . Pichle 2-3 din me meri bhi unse bat nahi hui thi aur unko bua k bare me batane ka dimag se hi nikal gya tha .

Rajani : are nidhi tu aa gyi beta , teri meeting ho gyi ?

Nidhi : wo sab bad me par ye sab kya ho raha hai pehle uska jawab do mujhe koi . ( meri taraf dekhte hue ) kya tum bataoge mujhe is bare me kuch ?

Nidhi didi meri sabse pyari sabse favorite didi thi aur main unhi ko kaise miss kar gya . Khud ko man me gali deta main uchal kar didi k pas pahunch gya aur unhe gale se laga liya .

Amit : o didi I really miss you . Aap believe nahi karengi k Maine kitna miss kiya aapko. Aap janti hain aaj kitna bada Din hai ? Dekho kaun aya hai , meri bua , Manju bua .

Nidhi didi mere gale se lagi ek dam shant ho gyi thi aur sab bhool gyi thi. Maine unse alag ho kar Manju bua k bare me bataya to wo hairani se bua ko dekhne lagi .

Nidhi : Manju bua ??? Par ye to tumhari ....

Amit : profesar thi ,,, yahi to bat hai didi . Itne dino se bua mere samne thi aur mujhe pata hi nahi chala . Us din bua k ghar jab ma papa ko tasveer dekhi album me to ye bhed khula. Warna mujhe kabhi pata hi nahi chalta . Aur aaj dekha meri bua ghar me hai hum sab k samne .

Nidhi didi kabhi mujhe to kabhi Manju bua ko dekhne lagi. Fir wo Manju bua ki taraf barhi aur unke gale lag gyi .

Nidhi : buaaaaa ,,, I am sorry bua main bhi apko pehchan nahi payi . Par pehchanati bhi kaise tab main bhi chhoti thi aur aap bhi kuch aur thi . Anyway bhagwan ka lakh lakh shukar hai k aap mil gyi. Ma kabhi kabhi apke bare me baten karti thi aur aapko bahut miss karti thi . Aur sabse jyada to aapki zarurat hamare hero ko thi.

Manju : thanks nidhi , waise mujhe ek pal ko us din laga bhi tha k jaise meri wo chhoti si pyari si nidhi hi mere samne hai . Wahi masum chehra aur ankhen par main samajh hi nahi payi. Mere apne mere samne the aur main pehchan hi nahi payi .

Nidhi : koi bat nahi bua ab aap aa gyi hai na ab aap ko hum kahin jane nahi denge . Aur tum ,,, tum zara mere sath aao . Tumse akele me kuch bat karni hai .

Nidhi didi ne thoda gusse wala chehra banate hue kaha to rajani mausi boli

Rajani ; are beta pehle kuch kha pi to le , aise gussa kyun ho rahi ho .

Nidhi : ma please ye mera aur iska matter hai . Itna kuch ho gya aur mujhe ek bar phone ke k bataya tak nahi .

Naina : bilkul didi ise chhodna mat bahut laparwah hai ye .

Karuna : main to kehti hun didi ise aap murga bana hi do.

Nidhi : tum dono apni salah apne pass rakho mujhe pata hai mujhe kya karna hai . Chalo mere sath

Nidhi didi mera hath pakad kar mujhe khinchti hui bahar le jane lagi to maine ek nazar ma bua aur mausi ko dekha magar sab muskura rahi thi. Aur naina didi karuna didi to meri halat par daant nikal rahi thi. Nidhi didi mujhe khinchti hui kamre se bahar layi aur fir sidiyan charh kar mere kamre me le gyi aur darwaza andar se band kar diya . Main to bas didi ko hi dekh raha tha k aaj didi ko hua kya hai . Hamesha shant rehne wali nidhi didi aaj kuch alag hi lag rahin thi .

Nidhi : to ab main tumhare itni parayi ho gyi hun k tum mujhse bat bhi nahi kar sakte . Ek phone tak nahi kiya tumne mujhe. Aur itni badi bat tumne mujhe batani zaruri nahi samjhi ?

Nidhi didi k chehre par eka ek nirasha k bhaw aa gye the jise dekh kar mujhe khud bura lag raha tha. Wo mujhe apne sage bhai se bhi jyada pyar karti thi aur maine .....??

Amit : mujhe maaf kar do didi ,, mujhse galati ho gyi . Maine aisa janbujh kar nahi kiya wo asal me halat hi kuch aise ho gye the k main khud pareshan tha .

Fir maine didi ko sari bat batai k kaise mujhe bua k bare me pata chala aur wo ghar aane se dar rahi thi fir mausi ka naraz hona. Maine jab sari bat batai to nidhi didi k chehre se narazagi door hui .

Nidhi : itna kuch ho gya aur tumne mujhe bataya bhi nahi , tum akele hi sab jhelte rahe. Ek bar to mujhse kaha hota main sab kuch chhod kar chali aati tumhara sath dene k liye. Bhagwan ka lakh lakh shukar hai k sab sahi hua . Mausi bhi man gyi aur bua aaj hamare beech hai. Par aainda se aisa bilkul mat karna. Jab bhi jo bhi pareshani ho mujhe zarur bataya karo. Chahe koi tumhara sath de na de main har kadam tumhare sath hun.

Didi ne mujhe apne gale se laga liya aur aise mere sath gale lagi jaise hum dono k vajood ko ek karna chahti ho. Mujhe unka ye pyar ye apna pan unke sath adrishya prem k dhage se bandhe hue tha . Kuch der hum dono aise hi ek dusre se gale lage rahe .

Amit : waise didi aap thi kahan ?

Nidhi : uncle k sath gyi thi zaroori meeting thi clients k sath. Warna main kya tumse door reh sakti hun.

Amit : uncle ,,, are Han didi , uncle to humne bataya hi nahi. Manju bua k bare me to wo bhi pata karne ka keh rahe the . Pehle hum unhe phone kar k batate hain.

Maine turant apna mobile nikala aur uncle ko phone laga diya .

Uncle : to aa gyi uncle ki yad ,, aaj kaise yad kiya mere bete ne ??

Amit : uncle aapko ek good news deni hai .

Uncle : good news ??? Kaun si good news jaldi batao . Bahut dino se koi good news nahi mili kahin se .

Amit : uncle Manju bua ka pata chal gya hai .

Uncle : kyaaaaaaa ??? Tum sach keh rahe ho ?? Kahan hai Manju ??? Wo tumhe kahan mili ??? Kaisi hai wo ??? Jaldi batao mujhe ....

Amit : uncle bua is waqt hamare sath hi hai hamare ghar . Aap jaldi se gaon aa jao. Aaj hi bua ko hum ghar lekar aaye hain.

Uncle : han main abhi aya ,, abhi aya main. Main sab ko lekar aa raha hun. Use kahin jane mat dena . Use kehna k uska bhai aa raha hai ,, Raghav aa raha hai .

Uncle khushi se foole nahi sama rahe the . Unhone itna keh kar phone kat diya . Main samajh gya k wo ab jald hi gaon pahunch jayenge . Nidhi didi bhi pas khadi sun rahi thi to unhe bhi sab pata chal gya .

Nidhi : chalo chal kar sab ko batate hain. Sab khush honge .

Amit : nahi didi , bua k liye surprise hi rehne do. Jab wo samne aayenge to bua bahut khush hogi.

Nidhi : tum sabki khushi ka kitna dhyan rakhte ho . Mmmuuuaaaaaahhhh , hamesha aise hi rehna .

Didi ne mere gal par pyar se chumban kiya aur muskurane lagi. Maine apne galon par unke geele chumban par hath mala aur unki khubsurat muskan ko dekhne laga .

‘ thakkk thakkk thakkk ‘ didiiiii ,, Amitttt aap dono andar ho na ? Darwaza kholo .

Darwaze par dastak dene wali karuna didi thi . Nidhi didi ek bar fir se mere gale lagi aur muskurate hue darwaza khol diya .
Jabardast update
 
Battu

Active Member
1,312
4,713
159

Nice and emotional update raja bhai maza aa gaya
 
u.sir.name

Hate girls, except the one reading this.
6,840
9,768
189
Aree Badhai ho Enigma bhai phirse aapko 1 crore views k liye...
brett-garwood-uvvv-Kne-Sp-U-unsp-1200x3024
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,094
203

Awesome update
 
Status
Not open for further replies.
Top