• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
Update 244



‘ Amit !! Amit !! Utho bhi , kab tak sote rahoge ? Tumhe aaj exercise nahi karni kya ? ‘ Deepika mami ne mujhe neend se jagaya to main ankhen Malta hua utha. Samne Deepika mami ko dekh kar mere chehre par muskan aa gyi aur waisi hi muskan unke chehre par bhi .

Amit : good morning mami ji .

Deepika : good morning muuuuaaaahhhh

Deepika mami ne jaldi se mere honthon par ek chhoti si kiss kar di . Waise to mujhe Deepika mami ka kiss karna hamesha hi acha lagta tha par mausi aur bua ka khayal aate hi main ghabra gya . Meri nazar jab bed par gyi to wahan bua aur mausi dono hi nahi thi .

Deepika : kya dekh rahe ho ? Budhu ho tum bhi , agar koi yahan hota to main aisa karti ? Wo dono abhi neeche gyi hain aur badi didi k sath chai pi rahi hain.

Amit : bach gye ,

Deepika : kyun bachu , nikal gyi hawa ? Waise to bada sher bante ho .

Deepika mami ne mujhe chirhate hue kaha to mujhe bhi josh aa gya . Waise bhi unke sath mujhe hamesha acha hi lagta tha . Ek alag tarah ka pyar unke sath mujhe hamesha hi mehasus hota tha . Maine Deepika mami ki kalai pakdi aur unhe apne upar bister par gira liya .

Deepika : aaaiii aaaa chhodo ,, chhodo myjhe ..

Amit : kya keh rahi thi , budhu ?? Ummmm

Deepika mami hans bhi rahi thi aur mujhse chhutne ki koshish bhi kar rahi thi maine bhi unhe mauja na dete hue unke naram gulabi honthon par apne honth rakh diye aur kiss karne laga . Deepika mami waise to chhatpata rahi thi par ab unka hath mere balon me chalne laga tha . Mami ko kiss karte karte main ek hath se unke doodh masalne laga aur dusre hath se unki gaand masalne laga .

Deepika : ummmmm unmmmm didiiiiiii

Deepika mami ne kuch pal kiss karne k bad apne honth alag kiye aur darwaze ki taraf dekh kar cheekhi to maine unhe ek pal me hi khud se alag kar diya . Maine darwaze ki taraf dekha to wahan koi nahi tha jabki Deepika mami mujhe dekh kar zor zor se hans rahi thi .

Deepika : he he he , kyun bachu thanda pad gya na josh ? Ab chupchap ja kar apni exercise karo. Aur aaj tumhe practice k liye bhi jana padega . Kalpana bata rahi thi k tumhe wahan aane ko kaha gya hai par tum ja nahi rahe ho. Aaj na gye to tumhari khabar main ache se lungi .

Deepika mami itna keh kar kamre se nikal gyi . Main bhi sar khujata hua utha aur doodh ka gilas khatam kiya jo mami lekar ayi thi. Uske bad exercise karne chala gya jahan Kalpana pehle se lagi hui thi.

Kalpana : kya bat hai , aaj der se aaye ho ?

Amit : wo bas aankh hi der se khuli .

Kalpana : wo to hoga hi , bua jo sath thi ,,,,, waise ye achi bat nahi . Tumne pehle kyu nahi bataya k Manju mam tumhari bua hain? Tum to jate rehte the na aksar unke yahan .

Amit : ab mujhe kahan pata tha k wo meri bua hain. Ye to us din jab main unse milne gya to baton baton me unhone apni family album dikhai tab mujhe pata chala unke bare me . Maine to unki photo tak nahi dekhi thi. Aur jo dekhi bhi to wo bahut purani thi .

Kalpana : tumhari life me itne pange hain yar , sach me tum par na ek film to banni hi chahiye . Waise is tarah to Sheena rima aur monty bhi tumhare cousin hue na?

Kalpana ki is bat par main khamosh ho gya . Ab kya jawab dun is bat par , monty ,, jisko Maine nakara bana diya tha wo mera bhai nikla. Sheena aur Rima , jin par maine apne pyar ki mohar lagayi thi aur unki zindagi ka pehla mard ban gya tha. Wo meri hi behne nikli. Inke ilawa Rupali aur Megha bhi to meri taai lagti thi rishte me . Maine unke sath bhi ......

Kalpana : oye kahan Kho gye ? Tune abhi un dono ko bataya k nahi ? Waise mujhe bahut kuch sunne ko mila hai tumhare bare me . College chal k bat karenge . Abhi pehle exercise kar lo . Ab to 20 din bhi nahi reh gye aur tum sab bhool kar lage hue ho mauj masti karne .

Amit : han yar ye to hai. Kuch dino se theek se practice ki hi nahi. Main aaj se hi akhade me exercise shuru kar dunga . Waise Rima Sheena ko tum abhi kuch mat batana .

Kalpana : theek hai par jaldi bata diyo khud hi. Tum to lagta hai bat hi nahi kar rahe usse .

Main fir exercise me lag gya magar dimag me bas Rima ka hi khayal ghoom raha tha . Hum dono ne ek dusre ka sath dene ki kasme khayi thi aur ab main hi use akela chhod kar piche hat raha tha . Par isme kasoor mera bhi to nahi tha . Ab hum dono me jo rishta nikal aya tha uske bad to hum dono ka ek hone possible hi nahi tha . Khair ek ghanta exercise k bad hum taiyar hone chale gye . Mere kamre me to uncle aur unki family thi is liye main bahar hi hath muh dho kar neeche chala gya .

‘ to aa gye pehelwan , chal aaja zara gaon ki sair kar k aate hain. Tab tak nashta bhi ready ho jayega ‘ main neeche aya hi tha k uncle chai ka gilas rakh kar mere pas aaye aur mujhe chalne ko kaha. Aunty bua mami aur mausi k sath baten karti hui nashte ki taiyari me madad kar rahi thi . Ladkiyan abhi uth rahi thi magar bade sab uth chuke the . Ma aur kamini mami bachon ko dekh rahi thi jabki rita mausi upar gyi thi sab aalsi logon ko uthane .

Amit : chaliye uncle , paidal chalenge ya bike par ?

Raghav : bike hi le le yar , khet to door hain na yahan se ? Ab paidal gye to wapis aane me der ho jayegi. Late utha warna bhaiya k sath hi nikal jata .

Maine bike nikali aur uncle ko bitha kar nikal liya apne kheton ki taraf gaon k beech se hote hue . Uncle to gaon ki khubasurti dekh kar hi khush ho rahe the aur purani baton ko yad kar rahe the jab wo papa k sath yahan aaye the . Kheton me pahunche to baba ghar jane ko taiyar the magar fir uncle ko dekh kar ruk gye . Ajay mama aur baba uncle ko baten karte hue khet khalihan dikhane lage . Fir ghar se nashte k liye phone aa gya aur hum wapis ghar ki aur chal diye . Ghar aane tak sab uth chuke the aur nashte ki table par nashta lag chuka tha . Bas fir kya tha . Deepika mami divya mausi nidhi didi paranthe bana rahi thi aur sab mil kar kha rahe the . Radha aur Neha didi kitchen se khane k table tak ki supply dekh rahi thi . Idhar ki baten aur hansi mazak me khana bhi ho gya . Uncle ka phone bar bar baj raha tha par aaj to wo bhi sare kam bhool kar bas yahin rehne ka man banaye baithe the . Jab sab khane se free ho gye to naina didi aur karuna didi sab ladkiyon ko ikattha karne lagi .

Karuna : chalo na didi aaj sab sath me baith kar kuch khelte hain. Roz roz kahan aisa mauka milta hai aur aaj to karishma didi bhi hain yahan apni Bruce lee bhi hai. Chalo na khelte hain.

Nidhi : tum log khelo mera man nahi hai .

Karuna : kya didi , aap bhi na boring ho Neha didi ki tarah . Karishma didi aap mana nahi kar sakti pehle hi keh deti hun main .

Karishma : par maine khana pet bhar k khaya hai ab mujhse khela nahi jayega .

Naina : to humne kaun sa koi uchal kood karni hai didi . Aap chalo to sahi .

Karuna aur naina didi karishma didi ko mahka nahi de rahi thi mana karne ka . Unke sath Kalpana to pehle hi taiyar thi. Kyunki use pata tha k wo mana karegi to kya hoga uske sath .

Karuna : tu kya dekh rahi hai meri mom ki gudiya . Chal tu bhi upar .

Radha bechari mana kahan kar sakti thi . Par jate jate uski nazar mujh par hi thi . Par usne Neha didi ka hath tham liya

Radha : aap bhi chalo na didi .

Ab Neha didi dusron ko chahe mana kar de par Radha ko nahi karti thi is liye wo bhi chal di .

Karuna : oye tu wahan kya baitha dekh raha hai? Chal tu bhi sath , yahan badon me baith kar kya karega . Mohit tu bhi chal .

Karuna didi ne mujhe aur Mohit ko bhi chalne ko keh diya. Hum dono bhi uth kar chal diye unke piche . Hum sab mere hi kamre me gye aur neeche zameen par hi bistar gira kar jaldi jaldi se jagah ban di . Fir sab ko ek gol ghera bana kar bitha diya gya .

Kalpana : hum karne kya wale hain didi ?

Naina : truth and dare khelna hai aur kya ? Waise bhi ab khana kha kar aur kuch to karne se rahe .

Tabhi karuna didi ne ek botal utha kar beech me rakh di . Sara intazam pehle hi kar chuki thi dono .

‘ kya khelne wale ho tum sab yahan ? ‘ awaz sun kar sab ne darwaze ki taraf dekha to wahan nidhi didi khadi thi .

Karuna : abhi to aap mana kar rahi thi ? Ab kaise mood ban gya ? Waise hum truth and dare khelne wale hain. Yahan baithna hai to khelna padega pehle hi keh deti hun .

Nidhi : theek hai dadi ma , ab tumhe mana kaise kar sakti hun . Thoda sa aage ho ke mere liye bhi jagah banao.

Nidhi didi mere kareeb aa gyi aur meri side me baithi karishma didi ne thoda khisak kar jagah banai unke liye . Mere dusri taraf Mohit baitha tha . Aur mere samne Radha k sath Neha didi . Nidhi didi ghutne mod kar ek taraf paon karte hue meri side ko jhuk kar baith gyi jisse wo mere aur bhi kareeb ho gyi .

Karuna : sab pehle hi saaf saaf sun lo. Botal ka dhakkan jis taraf hoga use truth ya dare chunna hoga . Aur ek bar jo chun liya dusri turn aane par dusra chunna hoga . Agar koi mana karega to usko saza di jayegi chahe wo koi bhi ho.

Mohit : saza kya hogi ?

Naina : wo hum bad me dekhenge , filhal itna sun lo k murga bana diya jayega agar tum dono ne mana kiya to . Bakiyon ka bad me . Chal ghuma karuna .

Naina didi k kehte hi karuna didi ne botal ghuma di aur botal ka dhakkan aa kar ruka Kalpana par .

Kalpana: mar gyi !!!

Karuna : to darling kya choose karna hai tumhe ?

Kalpana karuna didi k irade ache se janti thi aur unki muskan se bhi saaf pata chal raha tha k wo kuch na kuch to karne wali hain .

Kalpna: truth .

Karuna : badi chalak banti ho , koi na . To batao lady don k tumhara koi bf hai ya nahi ?

Kalpana : no , mera koi bf nahi .

Naina : koi to pasand hoga ?

Kalpana : sorry didi ek hi sawal .

Karuna : koi na , agli bar dekhti hun tujhe .

Karuna didi ne fir se botal ghumai aur is bar aa kar ruki nidhi didi par .

Karuna : to didi aap kya karna chahengi ?

Nidhi : truth

Karuna : didi se main puchungi ,

Nidhi : kya sab tum dono hi karogi ? Baki sab nahi hain yahan ? Neha aur Radha ko bhi to mauka do.

Naina : theek hai , Neha tu hi puch le

Neha : didi aap karan aur amit me se kise jyada pyar karti hain ?

Neha didi k sawal se ek bar ko sab hairan hue k ye kaisa sawal hai . Par nidhi didi k chehre par mano koi bhaw nahi tha . Ulta wo ek pal shant hoti halki si smile chehre par le ayi

Naina : ye kaisa sawal hua Neha ?

Nidhi : koi bat nahi , main jawab dungi. Karan mera saga bhai zarur hai par sachai ye hai k Amit ne jo kuch mere liye kiya hai wo shayad koi aur kar hi na pata . Aaj main jo bhi hun isi ki vajah se hun . Main Amit ki tulna kisi se bhi nahi kar sakti . Ye mere liye jo hai ( pati ) wo koi aur nahi ho sakta .

Didi ne meri taraf pyar se dekh rahi thi aur pyar se apna hath mere balon me firaya. Main to didi k vichar sun kar hi gadgad ho gya tha andar se k wo mujhe kitna pyar karti hain .

Neha : Thanks didi . Mujhe bas yahi janna tha .

Karuna : waise isne aisa kya kar diya jo aap is bandar ki itni tareef kar rahi hain .

Nidhi : tu na mar khayegi ab ek shabd bhi aur kaha to . Chal botal ghuma .

Karuna : to ab aap bhi dhamki dene lagi ma ki tarah ? Koi bat nahi .....

is bar botal ghumi aur akar ruki Mohit par .

Mohit : fas gya yar

Naina : to , truth ya dare ?

Mohit : dare

Kalpana : is bar main batati hun didi , to miyan majnu zara majnu ki acting hi kar k dikha do .

Mohit : kuch aur bolo main ye nahi karne wala .

Kalpana : karte ho ya bataun didi ko ?

Karishma : kya batana hai .

Mohit : kuch nahi didi ye bas aise hi bolti rehti hai. ( Kalpana ko )Tujhe to main dekhta hun .

Uske bad Mohit utha aur apne sir par ek chunari bandh kar lower ko ek tang me fold kar apni T-shirt khinchta hua majnu acting karne laga .

Mohit : Lailaaaaa ,,, lailaaaaa ,, dekh dera majnu aya hai lailaaaaaa .....

Mohit ne sach me achi acting ki aur hum sab taaliyaan bajane lage .

Karuna : jiyo mere sher shabash ,,, dekha didi ( karishma ) aapka bhai kitna talented hai. Aap bhi taiyar rahiye apna talent dikhane k liye .

Kalpana : wakai yar kamal kar diya , bas nam galat le liya warna tujhe inam zarur mil jata Laila se .

Karishma : kiski bat kar rahi ho Kalpana ?

Mohit : chhodo didi tum bhi kiski baton me Lag gyi . Chalo didi botal ghumao .

Karuna ne fir se botal ghumai aur is bar karishma didi ki hi turn aa gyi.

Karuna : yea mara , chaliye didi ab aapki bari . Aap bolo kya choose karti ho .

Karishma : please ye acting vecting mujhse nahi hogi . Tum sawal puch lo jo puchna hai .

Naina : to bataiye apna koi secret jo koi nahi janta .

Karishma : mm mera koi aisa secret hai hi nahi .

Karuna : common didi , yahan hum sab hi to hain. Kya hum par bharosa nahi hai aapko ?

Karishma : aisi bat nahi hai.

Nidhi : agar tumhe theek nahi lagta to rehne do karishma .

Karishma : pata nahi aap log kya sochoge par maine zindagi me pehli bar kisi par hath uthaya aur uske liye main abhi tak khud ko maaf nahi kar pa rahi aur na hi kabhi kar paungi .

Karishma didi bhawuk ho kar ye sab keh rahi thi aur lagatar mujhe hi dekh rahi thi . Maine unhe ishare se rokne ki koshish ki par wo jaise kisi aur hi low me thi.

Karuna : kisko baja diya didi ? Kisi loafer ne chheda tha kya ?

Karishma : loafer nahi hai wo , wo to meri madad kar raha tha main hi use galat samajh baithi .

Mohit : aap kiski bat kar rahi ho didi ?

Karishma : usi ki jo tumhare sath baitha hai. Anjane me maine isi par hath utha diya ise bahut galat samajh liya tha maine . Jabki ye mujhe us narak se nikalne hi gya tha wahan. I sorrry ,,,,, I am sorry Amit ,,, i am sorry . Huhhh huhhhh huhhh

Karishma didi khud ko control nahi kar payi aur foot foot kar rone lagi. Nidhi didi ne unhe apne sath laga liya aur main unhe dilasa dene lagi . Jabki baki sab meri taraf dekh rahe the . Neha didi ki ankhon me to jaise gussa aur dard dono hi tha aur waisa hi kuch Radha ki ankhon me par uske chehre par muskan thi. Jaise use mujh par garv ho raha ho .

Amit : didi aap kab us bat ko chhodogi ? Maine kaha tha na us bat ko bhool jao. Main bhi to bhai hun na apka jaise Mohit hai

Karishma : to fir itna door door kyun rehne lag gya hai hum sab se ? Main achi tarah janti hun tum usi bat par naraz ho andar se .

Amit : kasam se didi aisa kuch bhi nahi hai . Aapke samne hi to hai sab . Aisa kyun nahi karti k aap yahin reh lo hamare sath . Tab aapko yakeen aayega meri bat par .

Karuna : ok ok , mahol kuch jyada hi serious ho gya hai . Ise change karna padega . Chalo dekhte hain ab kiski bari aati hai .

Karuna didi ne ek bar fir se sabka dhyan game ki taraf kiya aur botal ghuma di. Aur lag gyi meri bhi .

Karuna : ab bata bachu tere saath kya salook kiya jaye .

Amit : truth

Naina : dare ,, tumhe kar k dikhana padega .

Amit : par maine truth kaha tha

Karuna : didi ne bola na dare to dare , tu apna sach agli bar bata dena . Bolo didi kya karwana hai isse ?

Naina : purpose

Amit : kya ?????

Naina : suna nahi ? Purpose kar k dikhao humen .

Karuna : chal bachu shabash ho ja shuru . Aur ache se kariyo , Mohit se jyada no. ane chahiye tumhare .

Amit : par main aise kaise , maine kabhi ye nahi kiya .

Naina : tab to aur bhi maza aayega . Chal karuna iski madad kar de , akele se kahan hoga. Ye hai teri heroin aur tu ise purpose karega .

Kalpana : ye kya didi , karuna didi k sath kaise kar payega wo . Wo to behan hain na. Behan ko kaise purpose kar sakta hai?

Karuna : to kya hua ? Acting hi to karni hai. Waise bhi yahan sab behne hi to hain .

Kalpana : agar bura na mano to main Amit ki help kar deti hun waise bhi main behan thodi hun . Mere sath jyada comfortable rahega.

Karuna ( man me ) tujhe kya malum ye to meri nath bhi utar chuka hai aur tu purpose ki bat karti hai.

Naina : oye hoye , lagta hai hamari Bruce lee ko purpose karwane ki jaldi hai. Karle bhai kar le iske sath hi kar le .

Naina didi ne ye kehte hue karuna didi kk ishara kiya aur dono hasne lagi. Jabki Kalpana Sharma gyi thi .

Mohit : chal yar ab kar bhi de .

Main khada hua to Kalpana bhi mere sath khadi ho gyi . Ab Kalpana ko purpose karne ka chahe act hi karna tha par mujhe ajeeb si feeling aane lagi thi. Upar se maine kabhi purpose kiya bhi kahan tha . Fir bhi maine poori koshish ki ache se karne ki aur Kalpana ka hath apne dono hathon me pakad kar uthaya aur uski ankhon me dekh kar kaha .

Amit : Kalpana ,, I like you ,, kya tum mere sath friendship .....

Karuna : oye kya boring sa dialogue mar raha hai . Zara ache se kar , pata chalna chahiye tu apni lady don ko purpose kar raha hai . Thodi love shav wali feeling lao .

Maine fir se Kalpana ka hath pakda aur dobaara se wahi bola to karuna didi uth kar kareeb aa gyi .

Karuna : le ise pakad , man le ye rose hai aur zara ghutne par baith kar purpose kar . Aise purpose kar k Kalpana mana kar hi na paye .

Karuna didi ne mere hath me ek kangi pakda di aur mujhe direction di . Maine is bar ek ghutna zameen par tika kar us kangi ko dono hathon me pakad kar aage karte hue Kalpana ki ankhon me dekh kar kaha .

Amit : Kalpana ,, I like you . kya tum mujhe apne dil me thodi si jagah dogi ? Taki main use pyar se bhar sakun .

Kalpana : yessss

Kalpana ne itna hi kaha tha k karuna didi aur naina didi taliyan marne lagi .

Naina : jiyo mere sher , kamal kar diya . Dekh to zara is jangali billi ko kaise bhigi billi ban gyi hai ab .

Kalpana wakai me Sharma rahi thi . Sab taliyan baja rahe the . Kalpana Sharma kar dubak gyi Neha didi ki bagal me par karuna didi kahan use chhodne wali thi. Wo uske sath hi baith gyi aur use tang karne lagi .

Karuna : kyun ab kya hua darling. Badi uchal rahi thi . Pasand hai na hamara bhai ?

Kalpana : bas bhi karo didi , ye to sirf natak tha .

Karuna : han natak tha , isi liye tere gaal

Itne Laal ho rahe hain. Waise jodi achi hai , ek pehelwan dusri judo master

Main wapis nidhi didi k bagal me baitha to wo pyar bhari nazron se mujhe dekh rahi thi .

Nidhi ( man me ) how romantic it was , kash mujhe bhi isi tarah kabhi tum ......

Naina : chal yar ab next dekhte hain kiski bari ati hai .

Naina didi ne hi is bar botal ghumai aur wo akar ruki Radha par . Radha apni turn dekh kar hi thoda ghabrayi par fir shant ho kar mujhe dekha aur fir naina didi ko.

Naina : to ab aa gyi bari hamari mom ki gudiya ki .

Karuna : ise to main dekhti hun didi

Nidhi : nahi , Radha ko koi tang nahi karega , wo jo karna chahe use karne do . Bolo Radha tumhe kya karna hai .

Radha : truth

Nidhi : to khud hi bata do aisi bat jo tum batana chahti ho.

Radha ne ek bar nidhi didi ki taraf dekh kar han me sir hilaya aur mujhe dekhne lagi. Kuch der khamosh rehne k bad Radha bolne lagi .

Radha : maine kabhi bhagwan nahi dekha par ma kehti hai bhagwan kisi na kisi rup me aate hain jab hum musibat me hote hain. College me pehle hi din mere sath ragging k nam par badtameezi ki ja rahi thi . Sab the wahan magar koi kuch nahi bol raha tha. Tab bhagwan ki tarah wahan aa kar Amit ne meri izzat bachai aur akele hi un sab se bhid gya. Aur Us din jab mera kidnap kiya gya tha tab mujhe laga tha k main ab zinda nahi bachungi aur bach bhi jati to us sab k bad main khud hi apne aap ko khatam kar leti . Us waqt maine bhagwan ko yad kiya . Aur fir ek bar wahan Amit bhagwan ki tarah aya aur mujhe bacha liya . Ek ummeed si thi k Amit mujhe bachane aayega aur hua bhi waisa hi magar usme wo khud buri tarah ghayal ho gya . Us rat hospital me main pehli bar itna bebas aur majbur thi k jitna kabhi nahi hui. Mere samne mera bhagwan maut ki agosh me ja raha tha . Main upar wale se bas yahi dua kar rahi thi k chahe to meri jan lele par Amit ko kuch na ho . Agar ise kuch ho jata to main bhi zinda nahi bachti . Mere liye bhagwan agar hai to wo Amit hi hai. Main aur kuch nahi kehna chahti .

Radha ki ankhon me aansoo aa gye the bat karte karte aur uski baten sun kar mera bhi dil bhar aya tha . Agar is waqt aaspas koi na hota to main yakeenan use apne seene se laga leta . Radha ki vedna mera dil ache se mehsus kar raha tha . Aur baki bhi sab khamosh the . Tabhi nidhi didi apni jagah se uthi aur Radha k pas baith ke use gale laga liya . Neha didi bhi ek side se Radha k gale lagi hui thi .

Nidhi : mat ro Radha mat ro , main samajh sakti hun teri halat . Main bhi to guzari hun us manzar se . Ye sach me farishta hai .

Naina : aap bhi guzri hain se kya matlab didi ?

Nidhi : kuch nahi , jao pani ka gilas lekar aao Radha k liye .

Radha ko dekh kar mujhse bhi control nahi hua to main bhi uth kar kamre se bahar nikal gya . Thodi der bad baki sab bhi neeche aa gye . Kalpana ne mujhe yad dilaya k humen college jana hai to main bhi taiyar ho kar aa gya aur hum dono bike par nikal liye shehar ki taraf .



Dusri taraf Sheena subah se hi exited thi aaj Manju ko ghar lane k liye . Halanki use ummeed kam hi thi k wo wahan ayegi par apne bap ko pashchatap karta dekh uske dil me thodi ummeed to thi hi . Sheena ne Rupali aur Rima ko bhi taiyar kar liya tha . Sheena ne Manju ko surprise dene ki sochi aur ise phone tak nahi kiya aur pahunch gyi apni behan aur chachi ko sath lekar . Sheena jaise hi Manju ke

Ghar pahunchi to wahan lock dekh kar uski sari planing fail ho gyi . Manju ko phone kar k usne pata karne ki koshish ki to Manju ne use bas itna hi bataya k wo zaruri kam se out of station hai . Wo Amit k sath hai ye bat usne nahi batayi kyunki wo Amit k bare me usko batana nahi chahti thi . Sheena mayus ho kar wapis laut gyi. BALJEET rai ghar par wait kar raha tha k shayad uski beti Manju Ko lekar hi aayegi par jab usne aa kar bataya k Manju out of station hai to use ye bat ajeeb lagi. Kyunki Manju ki zindagi me aur to koi tha nahi koi rishte nate dar fir wo kahan gyi . BALJEET rai ghar se nikal gya aur apne aadmi ko Manju ka pata lagane ko kaha . BALJEET rai apne farmhouse par hi baitha tha k dopehar tak wo aadmi information le kar BALJEET rai k pas aa gya .

BALJEET: kaho kya khabar laye ho ?

Aadmi : sir ye to abhi pata nahi chala hai k wo kahan hain. Par wo bhi pata laga hi lunga sham tak . Abhi bas itna hi pata chala hai k wo kisi k saty gyi hain .

BALJEET: kiske sath gyi hai wo ?

Aadmi : ji unke pados se pata chala hai k ek aurat aur ek ladka kal subah hi unke ghar aaye the aur bad me wo unke sath hi chali gyi . Aur ladka bike par tha . Ho na ho ye ladka wahi ho sakta hai sir .

BALJEET: kyaa ????? Iska matlab koi khas hi rishta bana liya hai uske sath isne . Tumne abhi tak mujhe us ladke k bare me poori information nahi di . Kya kar rahe ho tum .

Aadmi : college me chhuttiyan hain na sir isi liye dikkat ho rahi hai . Par maine bat ki hai , kal tak uska record nikalawa kar uski family ki bhi poori detail aapko de dunga .

BALJEET: kal mujhe poori information chahiye samjhe , warna mujhe shakal na dikhana . Ab jao yahan se .


BALJEET ( man me ) ye ladka akhir hai kaun? Manju to aisi nahi thi fir wo kisi k sath aise hi kaise ja sakti hai. Kuch to zarur hai . Sheena se bhi sidha puch nahi sakta warna wo shak karegi . Jo bhi ho jald se jald is ladke ka pata chalna chahiye .
Jakash update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,008
173
Update 245



‘ tum kya aaj kal gaon me hi taiyari kar rahe ho jo yahan aana nahi hota tumhara ? Waise wo bhi theek hi hai par fir bhi thoda style aur rules ka farak hai to tumhe yahan bhi poora samay dena chahiye warna match me galati ho sakti hai . Tum jante ho na sabko kitni ummeeden hain tumse ‘ college indoor stadium me practice karte waqt coach sahab bhi aaye the to aaj mujhe wahan dekh kar unhone mujhe apne pas bulaya aur samjhane lage .

Amit : ji sir , main poori koshish karunga acha khelne ki .

Prof v : to kaisi chal rahi hai practice? Coach sahab aapka shagird theek se to kar raha hai na .

Varinder sir darwaze se andar aate hue hamare kareeb aa gye . Maine aage barh kar unke paon chhue to unhone mujhse ashirwad diya .

Coach : ye to pehle hi sab kuch sikha hua hai sir , ise to bas polishing ki ho zarurat thi jo hum kar rahe hain. Trailer to aap bhi dekh hi chuke hain.

Varinder : wo to theek hai magar is bar mukable me bahut sare competitor milne wale hain

Coach : wo to hai sir par fir bhi ye kar lega . Is category me ek to khiladi kam hi hote hain aur jo hote hain unme na itni firti hoti hai na lachak. Aur kai to galat aadaton me fans bhi jate hain. Hamara amit is mamale me heera hai. Daao pech to ise behtar aate hain , main to kayal hun un logon ka jinhonne ise sikhaya hai. Ise bas practice ki hi zarurat hai .

Varinder: to barkhurdar sun liya na apne guru ka updesh ? Ab thoda aur bhi mehnat karo is par .

Amit : ji sir , main zarur karunga .

Kuch der Varinder sir wahan rahe aur mujhe practice karte hue dekhte rahe . 2 ghante exercise aur kushti karte hue jism paseena paseena ho gya tha . Mere free hone se pehle Kalpana free ho ke hamare wali side hi aa gyi thi .

Kalpana : aaj kuch jyada hi time nahi laga diya tumne ?

Amit : itne dino bad to aaj sahi se practice ki hai . Time ka kise khayal rehta hai jab man laga ho .

Kalpana : ab jaldi se fresh ho lo fir humen chalna bhi hai .

Amit : han han , ghar hi to jana hai . Bas thodi der aur baithne do .

Kalpana : nahi , ghar to bad me jayenge pehle mere sath chalo .

Amit : kahan ?

Kalpana : bade din ho gye yar bahar kuch khaya nahi hai. Aaj dil kar raha hai kahin pizza khane ka .

Amit : tumhe apni taiyyari karne hai ya bahar ka khana kha k bimar hona hai .

Kalpana : pizza nahi khana to juice to pi hi sakte hain na ? Bas wohi pila dena . Mera mood hai aaj thoda bahar jane ka .

Amit : kyun ? Ghar par bore ho gyi ho kya ?

Kalpana : no chance , wahan to itna maza ata hai k aise lagta hai hamesha hamesha k liye wahin reh jaun .

Amit : o madam jyada sapne mat dekho. Main zara fresh ho k aya fir chalte hain .

Main ja kar fresh hua aur fir hum college se nikal pade .

Amit : ab bolo kahan chalna hai ?

Kalpana : kahin bhi , jahan hum kuch der aram se baith kar baten kar saken .

Amit : are yar baten to ghar bhi kar sakte hain na .

Kalpana : wahan time kahan milta hai fir . Tum bas chalo aur kisi ache se restaurant pe rokna .

Main college se thodi doori par bane restaurant par le gya jahan aksar college k ladke ladkiyan baithte the . Par chhuttiyon ki vajah se is waqt ikka dukka hi log the .

Amit : ab bolo kya bat karni hai tumhe .

Kalpana : Pp pehle kuch order to kar lo , aram se bat karte hain na .

Amit : tum bhi ajeeb ho , acha batao kya order karna hai .... . Bhai sahab zara suniye to ..

Maine waiter ko bulaya aur kalpana ne hum dono k liye juice order kar diya. Kalpana apne hathon ki ungaliyon ko masal rahi thi . Usko dekh kar mujhe laga k shayad wo koi bat karna to chah rahi hai par kar nahi pa rahi .

Amit : kya bat hai Kalpana , tum kisi bat se pareshan ho?

Kalpana : nahi to , tumhe aisa kyun laga ?

Amit : bewajah apne hathon ki ungaliyan daba daba k kya karne ki koshish kar rahi ho fir ?

Kalpana : ye to ,,, ye wo aaj zara practice karte waqt thoda yahan chot aa gyi thi to ,, isse acha lagta hai .

Amit : pakka koi bat nahi hai ?

Kalpna : hmmm

Amit : ab bolo bhi ,, kya bat karni thi tumhe?

Kalpana : karti hun , tumhe koi jaldi hai kya ?

Amit : humen ghar bhi jana hai .

Kalpana : han pehle juice to aane do fir bat bhi karti hun .

Amit : ajeeb ho tum bhi , huhhh .

Kalpana : ek bat puchun ?

Amit : pucho

Kalpana : kya tumne sach kabhi kisi ko purpose nahi kiya ?

Amit : ab kya likh kar dena padega ?

Kalpana: gussa kyun karte ho ? Waise laga to nahi kar tum pehli bar kar rahe ho ,,, matlab jaise tumne pucha .. sach kahun to main flat ho gyi thi .

Amit : tum bhi na ,,, wo to bas aise hi ho gya . Aur tum to meri dost ho ab dost se thoda hi dar lagega . Sach me kisi ko purpose karna hota to main kabhi kar hi na pata .

Kalpana : sach me hi to tha

Amit : sach me kahan ,,, wo to bas natak tha .

Kalpana : par bahut acha tha kash ...

‘ madam juice , sir apka ‘ Kalpana ki bat beech me hi reh gyi jab waiter ne hum dono k aage juice k gilas rakh diye .

Amit : hmmm , kash kya ?

Kalpana : wo ,, kash tum sach me aise hi purpose karte to kitne ache lagte .

Amit : chhodo yar ye sab ,, pyar vyar meri kismat me nahi hai . Main aise hi theek hun.

( man me ) pyar k nam par taqdeer bar bar mera hi mazak bana rahi hai . Shayad meri takdeer me ye sab hai hi nahi . Meri vajah se dusron ko bhi dard aur rusawai mil rahi hai. Pehle kajari aur ab Rima . Kash Rima meri behan na hoti.

Kalpana : kismat kisne dekhi hai , tumhe koshish to karni chahiye kya pta tumhari kismat tumhare ek kadam uthane se hi badal jaye .

Amit : koi bat karo yar ye sab mujhe nahi sunna . Aur sunao practice kaisi rahi aaj ?

Kalpana : sab theek tha , tim baat mat badlo . Waise tumhe kaisi ladki pasand hai . I mean sidhi sadhi ya model type ya koi sports person .

Amit : ye tum kya leke baith gyi ho yar . Chalo chalte hain . Dekho mera juice khatam bhi ho gya aur tum abhi tak hath me liye baithi ho .

Kalpana ( man me ) juice hi nazar aa raha hai aur jo dil hath pe liye baithi hun wo nahi dikh raha tumhe ? Budhu kahin ka .

Kalpana : pee rahi hun na , tumhe jaldi kis bat ki hai ?

Kalpana muh banati hui thoda thoda kar k juice pine lagi , itne me mera mobile par call aane lagi. Ye call Rupali ki thi pehle maine socha k rehne dun , kahin Rima hi na phone kar rahi ho . Fir socha ho sakta hai unhe meri zarurat ho koi help chahiye ho to Maine phone utha liya .

Amit : hello

Rupali : hello Amit , tum is waqt kahan ho ? Kya tum mujhe mil sakte ho ? Bahut zaruri hai

Rupali ki awaz se lag raha tha k jaise wo pareshan hai .

Amit : han han , aap bataiye kya kam hai ?

Rupali : tum mujhse aa kar milo main phone par nahi bata sakti .

Amit : theek hai , boliye kahan aayengi aap ?

Rupali : tum batao us waqt kahan mil sakte ho ? Kya tumhare flat par aa jaun?

Amit : nahi , hum kahin bahar mil lete hain.

Rupali : theek hai xxxx restaurant me aa jao . Wahan baith kar bat kar lenge .

Amit : theek hai main 15 minute me wahan pahunch jaunga .

Uske bad maine call cut kar di. Meri nazar Kalpana par padi to wo mujhe hi dekh rahi thi .

Kalpana : kiska phone tha?

Amit : wo meri ek Aunty ka phone tha unhe kuch kam hai mere sath . Mujhe jana hoga . Tum yahin baith kar mera wait karo tab tak .

Kalpana: ab ye kaun si Aunty aa gyi tumhari yahan ? Kahin koi gf to nahi hai ?

Amit : kya yar tum bhi ,, maine kaha na mera aisa koi chakkar nahi hai . Tum yahan ruko main aadhe ghante me wapis aa jaunga .

Kalpana : main bhi sath chalungi , aunty hi hai na to main bhi mil lungi .

Amit : nahi , unhe mujhse koi zaruri kam hai . Wo akele milna chahti hain . Tum ruko main abhii aa jaunga .

Main Kalpana ko Rupali k bare me nahi batana chahta tha . Kyunki wo janti Rupali ko , aise me ye bat Rima tak pahunch sakti thi . Waise bhi Rupali ko koi zaruri bat karni thi akele me warna wo mujhe apne ghar aane ko bhi keh sakti thi .

Kalpana ( man me ) agar aunty hoti to mujhe sath le jane me kya dikkat thi , zarur koi ladki hi hogi isi liye aise chhupa raha hai . Koi bat nahi main bhi dekhti hun kisse milne ja rahe ho .

Kalpana : par main yahan akeli bore ho jaungi .

Amit : to aise karo tum apni friend Seema ko yahan bula lo tab tak .

Kalpana : theek hai , tumhe itna zaruri jana hai to jao main adjust kar lungi .

Main Kalpana ko wahin chhod ke bike le kar nikal gya . Rupali ne jo jagah batai thi wo 10 minutes ka hi rasta tha yahan se . Main sidha wahin pahunch gya aur Rupali ka wait karne laga . Ye ek badiya restaurant tha jahan privacy k liye alag se cabin available the . Thodi der wait karne k bad wahan rupali bhi aa gyi aur hum dono ek cabin me chale gye . Rupali hamesha ki tarah sadi pehne khubsurat lg rahi thi par uske chehre par chinta ki lakeeren thi. Aaj Rupali se bat karne me bhi mujhe jijhak si ho rahi thi. Hamare beech jo kuch ho chuka tha uske bad ab mujhe unse nazren milane me jijhak mehsus ho rahi thi. Kyunki ab main janta tha k wo rishte me meri taai lagti hain .

Rupali : tum kaise ho ? Itne dino se the kahan ? Phone tak nahi utha rahe tum na rina ka Rima ka . Koi problem hai Kya ?

Amit : nahi wo bas main gaon me hi hun na aaj kal chhuttiyon ki vajah se . Aap bataiye kya kam tha ? Aap kisi tension me lag rahi hain .

Rupali : BALJEET wapis aa gya hai . Aur kal usne mere sath fir se wahi sab karne ki koshish .....

Rupali ki ankhon me aansoo aa gye aur wo bat karte karte rone lagi . Maine uske aansoo pochne ki koshish ki . Unki halat par mujhe bura bhi lag raha tha aur BALJEET rai jo mere bade taya the rishte se un par gussa bhi aa raha tha .

Amit : khud ko sambhaliye , aise rone se kya hoga . Aapko majbut banna hoga .

Rupali : mujhse ye sab nahi Saha jata , apni batiyon ki vajah se main itne sal ye sab sehti rahi hun. Par ab mujhe unka bare me bhi dar lagne lga hai . Kahin wo meri betiyon k sath bhi ..... aur agar usne Rima aur rina ko is bare me bata diya to meri izzat kya reh jayegi ? Main zinda nahi reh paungi agar usne aisa kiya to . Wo mujhe bar bar isi bat kar dar dikhata hai . Ab main kya karun ?

Amit : aao ghabraiye mat , sab theek ho jayega . Aapko majbut banna hoga tabhi aap apni aur apni betiyon ki hifazat kar paogi .

Rupali : mujhme aur himmat nahi hai , please meri madad karo . Tumne wada kiya tha na tum meri madad karoge. Please Mujhe bacha lo us darinde se .

Amit : main kaise,,,,,

Rupali : tum hi meri ummeed ho , Manju bhi pata nahi kahan chali gyi hai . Wo bechari bhi kya karegi , ab to wo Manju ko bhi ghar lane ki bat kar raha hai . Kahin wo Manju k sath bhi kuch bura ...

Amit : jaan le lunga agar usne aisi jurrat ki to .

Manju bua k bare me sun kar mujhe ek dam se gussa aa gya aur Maine gusse se table par mukka mar diya . Rupali meri taraf hairani se dekhen lagi.

Rupali : meri madad karo please . Mere liye nahi to Rima k liye hi sahi. Tum to usse pyar karte ho na ??

Amit : ye aap kya.....

Rupali : mujhe Rima ne sab bata diya hai . Aur sach kahun main bahut khush hun k tum Rima ki zindagi me aaye. Main chahti hun tum Rima ko bhi us narak se nikal kar apne sath le jao . Meri dono betiyon ko tum hi bacha sakte ho . Ab to Manju bhi meri madad nahi kar payegi

Amit : nahi ye nahi ho sakta .

Rupali : kya nahi ho sakta ?

Amit : wo ,, wo Rima ,, aap galat soch rahi hain .

Rupali : iska matlab tum Rima se pyar nahi karte ? Par wo to keh rahi thi k tum Dono ek dusre ko pyar karte ho .

Amit : wo meri ek achi dost hai bas . Isse jyada aur kuch nahi .

Rupali : nahi tum jhuth bol rahe ho . Meri beti ko main achi tarah se janti hun. Wo tumhe dil se chahti hai aur uski chahat maine uski ankhon me dekhi hai. Please meri beti k sath aisa mat karna. Wo bahut nazuk hai , agar tumne use chhod diya to wo toot jayegi .

Rima ki muhabbat main ache se janta tha aur uske dil par kya guzregi is bat ka bhi mujhe ache se ehsas tha . Kyunki main bhi to usi dard se guzar raha tha . Sachai ek na ek din to samne aani hi thi akasar .

Amit : Rima se main bat kar lunga . Filhal aap ki suraksha is waqt zaruri hai . Aap ek kam kijiye kuch din k liye aap mere usi flat par chale jaiye baki bad me dekh lenge .

Rupali : par tum Rima k sath aisa kyun kar rahe ho pehle mujhe is bat ka jawab do . Wo bechari ro ro kar pagal huyi ja rahi hai . Tum usse bat bhi nahi kar rahe ho. Akhir bat kya hui hai ?

Amit : aap chinta mat kijiye main jaldi hi usse milunga . Filhal aap wahan chale jaiye aur Rima ko bhi sath le jana aap . Ye lijiye chabi. Aapko jo bhi zarurat ho aap phone kar dijiyega mujhe .

Maine bike k key ring se flat wali chabi nikal kar Rupali ko de di .

Rupali : ek bat puchun?

Amit : kahiye

Rupali : kahin tum is wajah se Rima k sath aisa to nahi kar rahe ho hum dono k beech hua

Amit : please , main is bat k liye sharminda hun. Wo sab meri galati thi. Agar mere bas me hota to waqt ki dhara badal kar main wo sab sahi kar deta . Rima bahut achi ladki hai main usse bat karunga .

Rupali : par ....

Amit : aap ye chabi rakhiye , wahan har cheez hai . Fir bhi agar kisi cheez ki zarurat ho to bata dijiyega . Main jaldi aapse milunga aur Rima se bhi .

Rupali ko chabi pakda kar main wahan se uth kar aa gya . Rima ne Rupali ko hamare bare me bata diya tha shayad . Aur ek ma k Nate Rupali ko uski fikar ho rahi thi. Par main apne man me chal rahe dvand me fasa hua tha . Dil me Rima k liye pyar aur dimag me rishton ki parwah mujhse ye sehan nahi ho raha tha . Rima mujhse kitna pyar karti thi aur main bhi use utna hi chahta tha par is dorahe par main kis aur jaun ye faisla mujhse nahi ho pa raha tha . Ankhon me halki nami liye main wahan se bahar nikal aya aur bike utha kar wapis chal diya . Jab main restaurant wapis aya to Kalpana wahan nahi thi . Mujhe laga shayad Seema k sath chali gyi hogi. Is liye Maine use phone lagaya.

Amit : hello Kalpana , kahan ho tum ?

Kalpana : tum pahunch gye ? Main bhi bas aa rahi hun thodi der ruko .

Amit : tum kahan ho ? Main wahin se tumhe pick kar leta hun.

Kalpana : yar thoda ruko main bas aa hi rahi hun . Bye

Kalpana ( man me ) ye wapis bhi pahunch gya aur main ise yahan dhoondh rahi hun. Khair ab jaldi wapis bhi pahunchna padega . Kambakht ye auto wale ne der kar di warna dekh leti kiske sath tha .

Thodi der intzar karne k bad Kalpana wapis aa gyi par wo akeli thi .

Amit : tum akeli gyi thi? Mujhe laga shayad Seema aa gyi hogi . Par gyi kahan thi tum ?

Kalpana : kuch nahi bas yahin thi . Ab chalo der ho rahi hai .

Kalpana ne aate hi mujhe chalne ko kaha to main bhi use piche bitha kar chal diya . Raste me kalpna ne fir pucha k main kisse milne gya tha par maine use taal diya . Mere dimag me ab Rupali aur Rima ko apne bade tau se bachane k hi khayal chal rahe the . Is bare me mujhe bua se baat karne ki zarurat thi. BALJEET rai yani apne tau ji par mujhe pehle hi gussa tha aur ab to ye aur bhi jyada ho gya tha . Bua ne mana kiya tha un sab se milne aur apni asaliyat batane ko warna aaj man to ho raha tha k ja kar unse hisab chukta karun. Kaisa ghatiya aadmi hai apni hi family k sath aise aise ghatiya kam kar diye . Mere mata k marne k bad bua ki na parwah ki na bhai hone ka farz nibhaya upar se apne chhote bhai ki biwi k sath hi itna galat kar raha tha . Aur ab apni bhatijiyon par gandi nazar thi . Man me gussa dabaye main ghar pahunch gya . Sab log baton me lage hue the . Hamare aate hi girls gang humen gherne aa gyi .

Karuna : to aa gye Laila majnu ghoom k ? Kaisi rahi date ?

Kalpana: kya didi aap bhi ,,, apko pata hai na hum kahan gye the .

Naina : pata hai sab pata hai . Aur ye bhi pata hai k college se yahan aane me kitni der lagti hai. Tumhi ne bataya tha k tum free ho gye ho . Is bat ko 1:30 ghanta ho gya hai. Ab bol ,,,,, tu kahan chala , tujhse bhi humen bahut kuch puchna hai .

Amit : mera mood theek nahi hai aap lage raho

Karuna : kyun ri ise kya hua ? Ye kyun ukhada hua hai? Kahin tune kuch ......

Kalpana : chhiii aap bhi na kuch jyada hi mazak karti ho . Aap kya aisa Samjhti hain mujhe ? Aur wo to aapka bhai hai uska to pata hi hoga aapko .

Naina : bilkul , ache se pata hai hum dono ko. Lagta hai tujhe hi abhi kuch pata nahi k wo kya cheez hai . Chal zara humen bata kya kya hua aaj .

Main didi ko mana kar k bua ki taraf jane laga to wo sab k sath baithi baton me lagi thi . Is liye main apne kamre ki taraf chal diya . Deepika mami pani ka gilas liye mere piche piche aa gyi .

Deepika : kya bat hai , tum kisi bat se pareshan lag rahe ho .

Amit : kuch nahi bas aise hi .

Deepika : mujhe bhi nahi bataoge ?

Amit : ab kya bataun aapko , zindagi me kuch acha hone lagta hai to bura bhi sath hi ho jata hai .

Deepika : saf saf batao kya bat hai . Kiski bat kar rahe ho .

Fir maine Deepika mami ko apni uljhan k bare me bataya jo Rima k sath rishte ko lekar ho rahi thi. Deepika mami ne aram se sari bat suni aur boli .

Deepika : mere khyal se tumhe Rima se ek bar bat karni chahiye. Is sab me uski to galati koi nahi hai. Usne tumhe dil se chaha hai to tumhara bhi farz banta hai k uska sath do. Ek bar use apni uljhan batao to sahi . Uske bad wo jo bhi faisla le tum uska sath dena . Agar wo alag hona chahe to theek warna tumne uske liye samaj k kanoon todne honge. Sacha pyar taqdeer se hi milta hai . Use aise mat thukaro.

Amit : par bua ......

Deepika : filhal use is bare me mat batao kuch din bad wo khud hi samajh jayegi . Abhi use thoda waqt do . Ab dusri kya bat hai wo bhi bata do , main janti hun bat kuch aur bhi hai

Amit : aap ko kaise pta chal jata hai ?

Deepika : bas , chal jata hai. Ab batao bhi sara din nahi hai mere pas .

Amit : samajh nahi ata kaise bataun ,,

Deepika : itna kyun soch rahe ho ? Main koi tumse alag hun kya ? Samajh lo sheeshe samne khade ho , jo dil me aye bol do. Main tumhara aks hi hun .

Maine Deepika mami ki ankhon me apne liye umadta pyar dekha aur meri zuban apne aap sab sach sach bolne Lagi. Maine Rupali chachi k bare me unhe bata diya k kis tarah BALJEET rai unko majbur kar k apni hawas mitata aya hai aur ab uski nazar Rima rina par bhi hai . Maine ye bhi bata diya k kaise main bhi Rupali chachi k sath sab kuch kar chuka hun .

Deepika : kitna ghatiya insan hai ye BALJEET rai. Shayad isi liye bade bhaiya tumhe wahan se le aye the . Kya pata tumhare sath kitna bura karta wo . Pehle tumhare mata pita k sath galat saluk fir apni chhoti behan k sath itna bura bartav aur apne hi sage bhai ki biwi bachiyon k sath ..... chhiii ,,, aise ghatiya insan ko to insan kehna bhi insaniyat ko gali dena hai . Rupali chachi aur Rima rina ka us shaitan k sath rehna khatre se khali nahi . Kaise bhi kar k tumhe unhe wahan se nikalna hoga . Aur tum ye kya kya karte fir rahe ho ??? Beti k sath ma ko bhi lapet liya ??? Pata nahi aur kya kya dikhaoge , mami mausi chachi tayi ,, chhodna mat kisi ko tum. Baitho yahan , main bhejti hun Manju ko yahan .

Deepika mami kamre se chali gyi aur main unki kahi baton k bare me sochne laga . Unki bat sahi thi aur yahi mere dil ki awaz bhi thi. Mami mere dil ki awaz achi tarah janti thi ya ye kahun k unko jyada samajh thi to ye galat na hoga . Main ab sukoon mehsus kar raha tha . Deepika mami ne mujhe sahi rasta dikha diya tha . Halanki bua ne mujhe sakhti se mana kiya tha kisi se bhi apne rishte k bare me batane se par ab Rima ko sach batana bahut zaruri tha.

‘ tumne mujhe yahan kyun bulaya ? Wahin aa jate ‘ bua ne kamre me aate hi mujhse sawal kiya. Main apni soch se bahar aya aur uth kar pehle darwaza lock kiya . Main nahi chahta tha koi hamari bat sune . Mujhe darwaza band karte dekh bua thoda hairan thi .

Amit : aap pehle yahan baitho bua , aur meri bat zara dhyan se suno .

Manju : bat kya hai ? Iske liye darwaza kyun band kar rahe ho ? Dekho kal rat bhi tumne .....

Amit : wo sab anjane me hua , main neend me tha aur wo sab ho gya . Please maaf kar dijiye uske liye . Magar main kisi aur bare me bat karna chahta hun .

Manju : kya bat hai ?

Amit : main aaj Rupali chachi se mila tha.

Manju : Rupali bhabhi se ? Tumne unhe bataya to nahi ?

Amit : nahi , par mujhe lagta hai Rima ko sab batana padega . Wo bata rahi thin k rima upset hai meri vajah se . Main use dukhi nahi dekh sakta .

Manju : use nahi pata k tum uske bhai lagte ho par tumhe to pata hai na .

Amit : isi liye to bua use batana zaruri hai . Fir aage wo jaisa kahe waisa hi hoga .

Manju : agar Rima ne kisi ko bata diya to ?

Amit : wo aisa nahi karegi .

Manju : par fir bhi , agar usne tumhari bat ko na samjha aur wo zid karne lagi to kya tum sach me ....

Amit : maine use wada kiya tha k main use kabhi nahi chhodunga . Main use dhokha nahi dena chahta . Isme uski to galati nahi hai na bua

Manju : par ye sab sahi nahi hai .

Amit : aur wo jo Rupali chachi k sath ho raha hai uska kya ?

Manju : kya matlab ?

Fir maine BALJEET rai dwara Rupali chachi k sath kiye gye atyachar k bare me unhe bataya . Ye sab sun kar bua ki ankhon me aansoo aa gye.

Manju : kyaaa ???? Itna kuch ho raha tha bhabhi k sath ??? Wo jallad hai shaitan hai . Wo kisi ka bhai nahi hai. Main sauteli thi bhaiya sautele the par apne sage bhai ki biwi k sath . Chiii , jante ho us ghar me sirf Rupali bhabhi hi thi jo mujhse pyar se bat karti thi . Jisne mujhe pyar diya tha . Warna bakiyon k liye to main jaise ghar ki naukrani ya bojh hi thi. Sheena rina aur Rima mere pas hi rehti thi. Par Rupali bhabhi itna kuch seh rahi thi iska to mujhe andaza nahi tha . Hoga bhi kaise , main to wahan kabhi laut kar gyi hi nahi .

Amit : ab kya karna hai bua , Rupali chachi ki madad humen karni hi hogi .

Manju : tum chinta mat karo , unhe main apne sath rakhungi .

Amit : par aap to hamare sath rehne wali ho na ?

Manju : han par unko bhi to sahara dena hoga na . Agar main aisa nahi karungi to kaise unki madad hogi ? Agar unko yahan laye to tumhari asaliyat kahan chhipi rahegi fir .

Amit : par aap itna darti kyun hai akhir kya vajah hai ? Akhir ma papa k sath hua kya tha? Mujhe koi kyun nahi batata k akhir kya vajah hai ho mujhe aap sab aise chupa rahe ho ?

Manju : vajah hai wo daulat wo paisa jo pannu bhaiya ne apni mehnat se kamaya tha . Bhaiya k marte hi sab kuch unke nam ho gya . Yahi sab to wo chahte the . Daulat k nashe ne unhe andha kar diya hai . Aise me agar unhe tumhare bare me pata chala to kya wo chup baithenge ? Main nahi chahti k tumhe kuch ho . Aur isi liye tumhe maine apni kasam di hai.

Amit : par bua ...

Manju : meri kasam todna chahta hai to tod le , fir kabhi apni bua ko nahi dekh payega .

Amit : aisa mat kaho bua , aisa mat kaho .

Manju : to fir sab bhool ja , tu kisi se kuch nahi kahega .

Amit : par Rima ko to sach batana hi padega bua , main use dhokha nahi de sakta . Please aap sirf use batane ki permission de do. Main wada karta hun Rima kisi ko kuch nahi batayegi .

Manju : iska faisla tumhe karna hai , agar kisi ko pata chala to tumhe kuch hone se pehele main mar jaungi .

Manju bua apni ankhon me aaye aansoo ponchte hui darwaza khol kar kamre se bahar nikal gyi aur main unhe jata hua dekh kar sochta raha . Bua meri chinta me mujhe sach batane se rok rahi thi . Main unhe dukh nahi dena chahta tha par Rima k dukh ki vajah bhi main nahi banna chahta tha.

‘ kya soch rahe ho ? ‘ main apni soch me suba tha k nidhi didi kab mere pas aayi mujhe pata bhi nahi chala .

Amit : kuch bhi to nahi ? Aap kab aayi ?

Nidhi : jhooth , tum zarur kuch soch rhe the . Batao kya bat hai ?

Amit : nahi aisi koi bat nahi hai wo main bas soch raha tha k practice k liye mujhe ab thoda jyada time dena hoga . Aaj coach sir bhi keh rahe the mujhe is bare me .

Nidhi : to kya hua ? Kal se double time kar lena . Akhada to yahan lagta hi hai na subah sham . Ab chalo khana kha lo , maine bhi nahi khaya hai . Tumhara hi intzar kar rahi thi .

Amit : par aapne kyun nahi khaya ? Baki sab ka to ho gya hoga na .

Nidhi : man nahi tha , socha tumhare sath hi kha lungi . Waise bhi tumhe khana bhi to khilana tha na , ab har kam kya mami hi karti rahengi .

Nidhi didi mera kuch jyada hi khayal rakhti thi. Hum dono neeche aaye aur didi ne apne hathon se hum dono k liye khana lagaya . Kalpana ko to karuna didi hi shayad khila rahi thi kuch aur . Maine aur nidhi didi ne sath me khana khaya aur kuch der aram karne k liye main apne kamre me chala gya . Sham ko main akhade me jane ka soch raha tha is liye socha thoda rest kar Lun.



‘ ma aap ye kya keh rahi ho? Hum kahan jayenge ? ‘ Rima Rupali dwara saman pack karne ka kehne par hairan thi. Use samajh me nahi aa raha tha k akhir aisa kya ho gya jo uski ma ek dam se use apna zaruri saman pack karne ko keh rahi thi .

Rupali: tujhse jitna kaha hai tu utna kar . Baten bad me kar lenge

Rima : par ma batao to sahi bat kya hai ? Hum jayenge kahan ? Aur didi ko badi ma ko bade papa ko kya jawab denge ?

Rupali: tujhe apni ma par bharosa nahi hai kya ?

Rima apni ma ki is bat par niruttar ho gyi par uske man me uthal puthal ho rahi thi akhir uski ma ye sab kyun kar rahi hai ? Rima chupchap apne kamre me chali gyi saman pack karne. Kismat se BALJEET aur Megha dono hi ghar nahi the . Dono ma beti apna apna saman pack kar rahi thi . Itne me sheena apni dost se mil kar ghar wapis aa gyi aur adat mutabik pehle Rima k pas gyi aur usne saman pack karta dekh wo bhi shock ho gyi.

Sheena : ye sab kya hai Rima ? Tum Sara saman kyun pack kar rahi ho ?

Rima : pata nahi didi ma ne kaha hai . Wo keh rahi hai humen abhi jana hoga .

Sheena : par kyun ? Aur jana kahan hai?

Rima : pata nahi didi ma kuch nahi bata rahi

Sheena : aise kaise chale jaoge aap dono. Main dekhti hun chachi ko .

Sheena Rupali k kamre me gyi jahan wo bhi apna saman pack kar rahi thi . Sheena ne jakar Rupali k hath se bag chheen liya .

Sheena : ye sab kya hai chachi ? Aap kahan ja rahi hain?

Rupali : Sheena meri bachi aaj mujhe mat rok mujhe jane de . Ab main yahan aur nahi reh sakti .

Sheena : magar kyun ? Main aapko kahin nahi jane dungi .

Rupali : please sheena meri bachi , mujhe rokne ki koshish mat kar. Mujhe jane de isi me hun sab ka bhala hai .

Sheena : papa ne kuch kaha hai kya aapko ?

Rupali Sheena k is sawal se ek pal k liye ruk gyi. Sheena k is sawal ka matlab tha k shayad use kuch pata hai .

Rupali : main is bare me koi bat nahi karna chahti , please tu mujhe rokne ki koshish mat karna pleas meri bachi mujhe aaj jane de.

Sheena : nahi ,, agar aap yahan se gyi to main bhi aapke sath jaungi . Aap janti hain na mere liye aap hi meri ma ho. Agar aap yahan nahi rahengi to mera bhi yahan koi kam nahi .

Rupali : tu samajhne ki koshish kar .....


Sheena : aap samajhne ki koshish karo . Main apke bina nahi reh sakti is ghar me . Ye chardiwari mere liye ghar sirf aapki vajah se hai. Main aapko kahin jane nahi dungi . Agar aapko kisi ka dar hai to sun lijiye , mere hote koi apka baal bhi banka nahi kar sakta . Aapke liye main kisi se bhi lad sakti hun chahe wo mere ma papa hi kyu na ho .
Gajab update dost
 

Raj_Singh

Banned
709
1,658
123
Dosto mere ek close one ki corona se maut ho gyi hai . Is liye abhi likh nahi raha kuch . 2-3 din abhi update nahi de paunga .

कोई बात नही भाई,

जिंदगी के इन दुख के पलो मे सिर्फ कहानी ही नही, रिश्तों को भी समय देना जरूरी है।
 
  • Like
Reactions: Gsc and Luffy

Sharma

Active Member
501
1,242
124
Yar es corona ko v corona kyn nhi ho jata....jina haram kr rakha hai sabka....
 
Status
Not open for further replies.
Top