Update 253
‘ Kya bat hai maa aap aise kyun chal rahi hain? Koi problem hai Kya ? ‘ Rama Aunty thoda dheeme chal rahi thi aur unke chehre par dard k bhaw bhi ubhar rahe the jinhe wo chhupane ki koshish kar rahi thi .
Rama : nahi nahi aisi koi bat nahi , wo subah bathroom me paon fisal gya tha to lagta hai thodi moch aa gyi hai .
Karishma : muskura kar ) is Umar me moch ana achi bat nahi ma , thoda dhyan rakha kariye kam karte waqt .
Karishma ne apni ma k maze lete hue ye bat kahi . Wo to janti hi thi k uski ma ki chal kyun bigadi hui hai . Man me kasak si thi k paon me moch ka bahana kunwari ladkiyon ko karna padta hai aur yahan uski ma kar rahi hai . Sach me kitna damdar hathiyar hai jisne do bachon ki ma aur itni paripak aurat ki aisi halat kar di .
Rama : ho jata hai beta kabhi kabhi control se bahar.
Rama Aunty ne ye bat meri taraf dekhte hue kahi . Main to unko dekh kar bas muskura diya. Hum dono ko karishma didi ne bhi dekha aur muskura kar kitchen me chali gyi . Kuch der me nashta ban gya aur hum sab ne milkar nashta kiya . Mohit ne sir dard ka bahana bana diya tha karishma didi jab usse puchne gyi thi. Isi tarah nashta kiya aur main Mohit k pas uske kamre me gya .
Amit : nashta karne kyun nahi aya tu niche ?
Mohit : yahan mera dimag fata ja raha hai aur tujhe nashte ki padi hai .
Amit : maze bhi to tu hi kar raha tha na uske sath , wo kya nam tha uska ,, han rosy . Kafi maze kiye tumne to . Waise thi to mast item
Mohit : hansi aa rahi hai tujhe ? Yahan meri gand fati padi hai . Pata nahi minal ko ab kaise manaun .
Amit : ab badi chinta ho rahi hai tujhe uski . Agar Teri tarah wo bhi kal rat kisi k sath …..
Mohit : gusse me ) bakwas band kar , ,,,,, wo aisi nahi hai. Wo aisa kabhi nahi kar sakti . Sorry ,, minal k bare me aisi bat mujhe bardasht nahi
Mohit ne gusse me mera color pakad liya tha. Mujhe pata tha wo minal se kitna pyar karta hai. Main bhi jan bujh kar use kured raha tha.
Amit : itni parwah thi to pehle sochna tha na. Soch uspar kya biti hogi. Gussa to use bhi aya hoga na aur gusse me insan kuch bhi kar sakta hai
Mohit : yahi soch soch kar to dimag fata ja raha hai. Main uska samna kaise karunga .
Amit : sochna band kar aur usse ja kar bat kar . Aise door rehne se to bat sahi nahi hogi na. Wo gussa hogi ladegi bura bhala kahegi par bat karne se hi to hal niklega .
Rima k mamale me maine yahi galati ki thi . Usi ko yad karte hue maine Mohit ko ye bat kahi.
Mohit : wo mujhse bat nahi karegi yar
Amit : galati tune ki hai is liye tujhe hi sudhar karna hai ab. Wo gussa hai par tu agar use manayega nahi to wo aur bhi gussa karegi. Tu agar aise hi dar k baitha raha to kahin wo tujhe chhod kar ….
Mohit : nahi nahi , aisa mat bol yar. Minal k bina main nahi reh sakta . Main usse bahut pyar karta hun.
Amit : to fir use ja kar mana pehle . Isse pehle k der ho jaye
Mohit : tu bhi sath chal na , wo teri bat zarur sunegi. Tu use batana k isme meri galati nahi hai .
Amit : pehle tu ja kar usse bat kar , ye tum dono ka mamala hai . Isme kisi teesre ka koi kam nahi hai. Main bhi usse bat karunga par pehle tu ja
Mujhe to pata tha k minal ab shayad meri bat bhi na sune . Maine bhi to kal rat use thappad mara tha . Uske bad to wo ab meri shakal bhi shayad na dekhe .
Mohit : mujhe nahi lagta wo meri bat bhi sunegi
Amit : ab yahan baitha bakchodi hi karta rahega ya use manayega ? Yahan baithe rehne se kuch nahi hone wala . Chal ja ab aur pehle apna huliya theek kar . Majnu bana hua hai .
Mohit ko maine zabardasti utha kar bathroom me dhakel diya aur khud bahar aa gya . Waise to ab yahan mera koi kam nahi tha par college practice karne ka soch kar maine sham ko gaon wapis jane ka socha . Main neeche haal me sofe par baitha tha aur Aunty shayad apne room me gyi thi aram karne . Itne me karishma didi taiyar ho kar aa gyi. Ghutno tak ki short aur upar shirt pehne shayad wo office jane k liye nikal rahi thi. Mujhe dekh kar wo mere pas hi aa gyi .
Karishma : chalo chale
Amit : main ? Kahan ?
Karishma : han tum , aise hairan kyun ho rahe ho ? Tumhe kisi se milawana hai .
Amit : kisse ?
Karishma : tum jante ho unko , ja kar dekhoge to pata chal jayega . Ye surprise hai tum dono k liye .
Amit : par mera dil nahi hai .
Karishma : mujhe kuch nahi pata ab chup chap chalo warna main nidhi didi ko phone kar k bata dungi tum meri bat nahi mante .
Karishma didi ne nakli gussa dikhate hue kaha to main muskura kar chup chap uth gya .
Amit : are unhe kyun aap pareshan karti hain. Main chal raha hun na . Chaliye kahan chalna hai . Par main pehle hi keh deta hun , dopehar ko mujhe college jana hai.
Karishma : acha acha , wo bad me dekhenge pehle chalo .
Krishma didi k sath unki car me sawar ho kar main chal diya . Karishma didi drive karte hue bar bar mujhe dekh rahi thi aur muskura rahi thi . Hum uncle k office me me pahunch gye . Receptionist hum dono ko dekh kar khadi ho gyi aur wish kiya .
Receptionist: madam maine unhe aapke office me bitha diya hai .
Karishma : theek hai , tum coffee order kar do aur abhi kisi ko mat bhejna office me .
Itna keh kar krishma didi aage barh gyi aur main unke sath lift me pahunch gya .
Amit : hun kisse milne wale hain ?
Karishma : abhi pta chal jayega . Tum bas chup rehna aur piche rehna .
Main fir khamosh ho gya pata nahi kisse milaane wali thi didi jo office me mujhe sath lekar aayi thi . Khair hum lift se nikal kar karishma didi k office me pahunche . Kanch ka darwaza khol kar didi aage barhi aur main unke piche . Chir par koi lady baithi thi jo formal dress me hi thi. Isse pehle k wo khadi hoti karishma didi ne unhe baithe baithe hi piche se hug kar liya .
Karishma : kaisi ho didi ? Akhir aap ko time mil hi gya yahan ane ka.
‘ aana to tha hi , tum to aane se rahi . Waise bhi aaj kal office bhi off hai to soch khud hi mil aaun . ‘ us ladki ne baithe baithe hi kaha . Jis tarah dono mil rahi thi mujhe laga k zarur koi jan pehchan wali hongi par kaun? Awaz to mujhe jani pehchani lagi par samajh nahi aa raha tha .
Karishma : to , kisi aur se bhi milna chahogi aap ?
‘ sab se milna chahungi , par uncle to yahan hain nahi. Ab tu hi bata kisse milawaogi ‘
Karishma : agar main aapko usse milwa dun jisse milne aap yahan aayi hain to ?
‘ kiski bat kar rahi ho tum ?’
Karishma : ab jyada mat baniye , wahi jiski vajah se aap naraz ho rahi thi k ache se bat nahi ki aur chala bhi gya .
‘ Amit ki bat kar rahi ho ? Par uske to college off hain na . Aur tumne khud hi bataya tha k wo gaon gya hua hai ‘
Karishma : agar milwa dun to ?
Karishma didi ne mujhe ankhon se hi ishara kiya aage aane ka to main dusri taraf se ghum kar samne aa gya . Ab tak to andaza mujhe ho chuka tha k ye koi aur nahi suman Bajaj hai . Jaise hi main samne aaya to mujhe dekh kar unki ankhen badi ho gyi aur chehre par khushi aa gyi . Fir unhone ek bar karishma didi ki taraf dekha jo muskura rahi thi .
Karishma : dekha , kaha tha na maine . Ab khud hi shikayat kar lo aur jo bhi galiyan deni hai de lo
Suman : karishma didi ko Marte hue ) maine kab galiyan di jo ab dungi . Kaise ho Amit ? Tum us din kahan gayab ho gye the ? Ache se bat bhi nahi ho payi apni . Maine kitni der intzar kiya tha tumhara . Par tum to aise gye jaise lautoge hi nahi . Kam se kam aane se pehle ek bar mil lete .
Karishma : are bas bas didi , use bhi to bolne do kuch .
Suman : han to maine kab mana kiya hai. Tum bhi bolo Kuch aise dekhte hi rahoge kya ?
Amit : kaisi hain aap ?
Suman : achi hun
Karishma : aur ab to aur bhi achi ho gyi hain. Pata hai us din k bad se jitni bar bhi bat hui har bar ek hi bat k us din tum kahan chale gye the aur aane se pehle mile kyun nahi . Ye to mere sath naraz ho ho gyi thi jab maine bataya k main gaon gyi thi aur tumse bat nahi karwayi .
Suman : bas bas jyada baten na bana aisa kuch nahi hai . Tum bhi to kuch bolo ye to aise hi keh rahi hai .
Amit : ab main kya kahun , waise aapke pas bhi to mera no. Tha na ? aap khud hi bat kar leti .
Suman : mujhe laga tum busy hoge gaon me to is liye nahi kiya .
Itne me coffee liye peon aa gya aur hum coffee pine baith gye . Karishma didi khub hansi mazak kar rahi thi jisme suman bhi unka sath de rahi thi aur kahin kahin wo jhuthi narazagi bhi dikha deti . Main college jana chahta tha par karishma didi aur suman dono ne hi jane na diya . Uske bad lunch ka plan bana aur mujhe unke sath jana pada . Suman ji ne bataya ki wo yahan apna ek office kholne ki taiyari kar rahi hain jisme karishma didi unki madad kar rahi thi . 4 baje tak to main in dono k sath hi busy raha .
Udhar Mohit kal rat ki vajah se pareshan tha . Anjane me hi usne bahut badi galati ke di thi . Wo janta tha k minal kaisi hai aur wo minal k isi nature se darta bhi tha . Wo pyar bhi bahut karti thi par jab gussa karti thi to Mohit k paseene chhut jate the use manane me. Mohit ki himmat nahi ho rahi thi minal ka samna karne ki par jana to tha hi . Himmat kar k usne minal se milne ka socha aur ghar se nikal gya . Usne kai bar minal ka phone try kiya par wo switch off aa raha tha . Ghar k no. Par bhi usne try kiya magar phone uski ma ne uthaya jis vajah se Mohit ne bina bat kiye hi phone kat diya. Minal se bat karne ki jab koi Surat nazar na aayi to usne apni dost ka sahara liya jo school se hi dono ki dost thi par kal rat wali party me wo nahi thi aur na hi un logon se uska koi wasta tha . Use dono ki friendship k bare me pata tha . Mohit ne use bataya k minal usse naraz ho gyi hai aur ab wo use manana chahta hai . Is bat par wo bhi razi ho gyi aur minal ko milne k liye bulaya par minal k mood to kal rat se hi off tha is liye usne mana kar diya . Jab wo aane ko mana kar di to Mohit me uski minnat kar k minal ko kisi tarah lekar aane ko kaha . Mohit ki halat dekh usne bhi hami bhar di aur minal ko lene uske ghar chali gyi . Minal ne to saaf mana kar diya uske sath kahin jane ko par ghar par kisi majburi ka hawala dekar wi minal ko kisi tarah le ayi. Mohit dono ka intzar kar raha tha apne dost k band pade flat par jiski chabi uske pas hoti thi . Waise to uska apna bhi flat tha par uski chabi uske pas nahi uski ma k pas thi jo ki aage Amit k pas pahunch chuki thi jiska use pta nahi tha .
Khair Mohit flat par minal ka wait kar raha tha . Chalne se pehle us ladki ne Mohit ko bata diya tha k wo aa rahe hain . Minal jab us flat par pahunchi to use pata chal gya k ye sab Mohit ki chal hai . Kyunki wo Mohit k sath pehle bhi yahan aa chuki thi kai bar .
Minal : tumne mujhse jhooth bola ? Ye sab Mohit k kehne par kar rahi hai na tu ?
‘ sorry yar par tum dono hi mere dost ho . Tum dono k beech jo bhi misunderstanding hui hai ek bar bat kar k use solve kar lo na ‘
Minal : tu janti bhi hai kya kiya hai use dhokhebaz ne ?
‘ please yar tu ek bar usse bat kar le . Wo bechara bahut upset hai ‘
Minal : hone do , mujhe usse kya .
‘ please yar ek bar usse bat kar le . Dekh meri khatir ek bar bat kar le usse ‘
Minal : fine , agar use apni bezati hi karwani hai to theek hai .
Itna keh kar minal gusse me funkarti flat ka darwaza khol kar andar ghus gyi. Jahan Mohit uska intzar kar raha tha . Wo ladki to minal k tevar dekh kar bahar hi ruk gyi. Use andaza ho gya tha k mamala gambheer hai aur kahin minal use hi na pel de . Flat me Mohit jo kab se besabara ho kar minal ka intzar kar raha tha . Minal k aate hi wo uth kar khada ho gya aur minal ki taraf dekha . Minal k chehre par aaj pyar ya smile ki jagah gussa tha. Uski ankhen gusse se dehat rahi thi . Aisa lag raha tha k minal Mohit ka sir hi fod degi .
Mohit : minal I am so……..
Minal : gusse me ) bat mat karo mujhse , khud ko samajhte kya ho tum ? Kuch bhi karoge aur main chup rahungi ? Kisi k bhi sath gulchharre udaaoge ?
Minal : meri baa…….
Minal : muh band rakho apna , aaj main bolungi tum sunoge . Mujhe bewakoof bana rahe the itne dino se ? Sunil me sach hi kaha tha k tum dono ka aaj bhi chakkar chal raha hai . Mere sath pyar ka natak kar rahe the aur meri peeth peeche rosy k sath maze kar rahe the . Acha hua kal tumhara asli chehra samne aa gya . Warna mujhe pata hi nahi chalta k tumhara asli roop kya hai . Tum jaisa kamina maine aaj tak nahi dekha . Mere sath jhoothi kasme khate rahe pyar k jhoothe wade karte rahe . Aur ek pal bhi nahi socha uske sath maze karte hue k mere upar kya beetegi ?
Mohit : minal please meri ……
Minal : mujhe nahi Sunni tumari koi bakwas , tumhari har ek bat jhuthi hai tum jhuthe ho . Paise ka ghamand hai na tumhe ? Main thukti hun tumhare paise par . Maine socha tha k tum ek ache ladke ho par tum bhi bakiyon jaise nikle .
Mohit : tum galat samajh rahi ho main ….
Minal : mujhe kuch nahi sunna , agar ye hi sab maine kisi k sath kiya hota to tum kya karte ? Kya dekh pate mujhe kisi aur ki bahon me wo sab karte ho tum kal kar rahe the ? Tumne mera istemal kiya hai . Main sirf istemal ki cheez hun tumhare liye . Aaj k bad mujhe kabhi apni shakal mat dikhana . Tum jao apni us rosy k pas . Mujhe tumhari zarurat nahi . Main apne liye koi aur dhoondh lungi . Go to hell
Itna keh kar minal paon patakti gusse me flat ka darwaza zor se maarti hui nikal gyi . Mohit ki to himmat bhi nahi hui k wo aage barh kar minal ko rok le. Minal ki kadwi baten sun kar uski ankhon me aansoo aa gye the . Wo minal se pyar karta tha aur minal ne use itna kuch suna diya . Ab wo khud ko kos raha tha k usne akhir rosy k sath wo sab kyun kiya . Minal , jise wo apni zindagi janta tha aur usi k sath tamam Umar bitana chahta tha wo aaj use chhod kar chali gyi. Mohit apne sir dono hathon me pakde wahin baith gya aur apne aapko galiyan dene lga .
Udhar gaon me dopehar k khane k bad kuch waqt khali hota tha to sab apne apne kamron me aram kar rahe the . Radha aur Neha ko arav k sath bitha kar Deepika Manju k kamre me chali gyi .
Deepika : so to nahi rahi thi ?
Manju : are aap , aao aao , main bas abhi letne hi wali thi .
Deepika : main bhi aram karne wali thi par fir socha abhi free time hai to apni nayi dost k sath thodi bahut baten kar lun . Isi bahane ek dusre k bare me kuch aur pata chalega .
Manju : bilkul sahi , main bhi bat karna chahti thi aapse .
Deepika : ye aap aap kehna chhodo dost bola hai to dost ki tarah hi bat karo . Waise bhi hum dono ki age me jyada farak nahi hai aur main itni jaldi budhi nahi hona chahti .
Manju : haste hue ) kya aap bhi ,,,,, sorry , tum ,, ab theek hai na ?
Deepika : han ab bat bhi karo kuch .
Manju : tum kahan se budhi ho gyi bhala ? Achi bhali jawan ho . Bhaiya to abhi bhi tumhara picha nahi chhodte honge . Isi liye to itne salon bad bhi bacha paida kar liya .
Manju ki bat sun kar Deepika k chehre par aayi hansi ek pal ruki par agle hi pal usne chehre par fir se muskan saza li.
Deepika : bacha to tum bhi paida karne k liye poori tarah taiyar ho. Main to kehti hun ek aadh tum bhi kar hi lo.
Manju : ye aap kya keh rahi hain , main kaise , matlab ,,,,,,
Deepika : kyun isme itna ghabrane wali kaun si bat hai ? Yahi soch rahi ho na k pati k bina kaise ? To dhoondh lo apne liye ek . Abhi tumhari Umar hi kya hai . Waise bhi itni jawan dikhti ho k college jane wale ladke bhi aahen bharte honge . Amit jaisa koi dekh lo apne liye .
Deepika ne jan bujh kar Amit ka nam liya tha aur ab wo Manju k chehre par aate bhaw dekhne lagi .
Manju : mujhe zarurat nahi hai , main aise hi theek hun . Waise bhi ab amit to hai hi mere pas
Deepika : han han wo to hai hi par itne bade bache ko goad me to nahi khila sakti na . Ulta wo tumhe goad me khila sakta hai .
Deepika ne ek aur war kar diya tha Manju par aur Manju bhi is bat se asehej ho gyi thi . Uske man me Amit ki wahi chhawi aa gyi jab usne sach me Manju ko apni goad me utha kar uski damdar chudai ki thi .
Manju : arav bhi to hai na aur chhotu bhi aur thode dino me ek aur aa jayega badi bhabhi ka bhi .
Deepika : wo to hai , fir to 3-3 ho jayenge . Waise apni kokh se aulad paida karne ka apna hi ek khas ehsas hota hai jo aur kahin se nahi mil sakta . Tumhe is bare me sochna chahiye .
Manju : chhodiye na is bat ka koi aur bat kijiye .
Deepika : to tu hi bata kya bat karni hai tujhe .
Manju : main kuch puchun to kya aap mujhe sach sach batayengi ?
Deepika : abhi tak bharosa nahi hua kya mujh par ?
Manju : nahi matlab bharosa to hai par pat nahi aap batana chahe ya na
Deepika : Amit k bare me kuch puchna hai tumhe ? Pucho jo puchna chahti ho. Main jo bhi janti hun bata dungi .
Manju : wo main janna chahti thi k ,,,,, aap ne to use bachpan se dekha hai na . Aisi kaun si vajah thi k use manhoos kaha jata tha ?
Manju ne rukte rukte soch soch kar akhir sawal puch hi liya jo use pareshan kar raha tha. Magar usne kisi ka nam nahi liya tha . Shayad wo Deepika k samne is bat ko kholna nahi chahti thi k use pata hai kamini aur divya ki nafrat k bare me
Deepika : to tumhe pata chal gya is bare me , achi bat hai . Waise aisi baten jan kar koi fayda nahi hota par pariwar me ache aur bure dono hi pehlu hote hain hain jo pariwar k har sadasya ko pata hone chahiye . Isi se to unhe ehsas hota hai k wo pariwar ka atoot hissa hain . Aksar burai bahar walon se hi chhupai jati hai . Par tum is pariwar ka eham hissa ho ab . Amit to bachpan se hi bahut pyara raha hai samajhdar , shant , agay kari aur sabse pyar karne wala . Aise bache se bhala koi pyar kaise na karega? Main khud uske sath bahut khela karti thi . Didi ne use bahut pyar diya jisse use kabhi laga hi nahi k wo unka beta nahi. Aur mujhe bhi didi usi k sath lagaye rakhti thi chhoti thi na sabse. Par ye uski badkismati hi thi k kuch log usse kate Kate se rehte the par isme us masoom ka to koi kasoor tha hi nahi. Kasoor tha to kismat ka jo wo anjane hi ye sab jhelta raha. Tum kamini didi aur divya didi k bare me hi bat kar rahi ho na? Magar unka nam nahi liya tumne . Waise bhi aaj agar koi use sabse jyada manti hain to wo ye dono hi hain. Agar jarurat padi to wo dono jan bhi de dengi uske liye .
Manju jo nam nahi le rahi thi wo khud Deepika ne hi bata diye to Manju uska chehra gaur se dekhne lagi
Manju : to aisi kya vajah thi jo wo dono usse nafrat karti thi pehle ?
Deepika : maine kaha na , kismat . Kismat ka hi khel tha sara jo us accident me tumhare bhaiya bhabhi aur Amit k nana nani chal base . Magar wo akela bach gya . Us din uska janmdin tha bas yahi bat divya didi k man me baith gyi aur wo use iske liye jimmedar manti rahi itne baras .
Manju : aur kamini bhabhi ?
Deepika : unka alag kissa hai par usse pehle tumne aur bahut kuch janna hai . Bas itna samajh lo k is ghar me jo aaj itni khushiyan hain na . Wo sab Amit ki vajah se hain . Aur usne hi apne pyar se sabko badal diya hai . Jahan pehle nafrat thi aaj wahan uske liye pyar hi pyar hai . Waise tum batao , Amit tumhara bhatija hai ye bat janne se pehle Amit ki kya jagah thi tumhari zindagi me ?
Deepika ne ab ek aisa sawal puch liya tha jisne Manju k dil ki dhadakne ek pal me hi tez kar di . Ab Manju kaise batati k Amit uski zindagi ban chuka tha isse pehle . Wo to Amit ko apna sab kuch man chuki thi aur use apna sab kuch somp chuki thi . Ek premi ek pati ya yun kaho jine ki chah .
Manju : main to bahut khush hun k wo mera apna hi nikla . Hamesha hi use dekh kar dil se awaz aati thi k wo mera apna hi hai . Magar sachai der se samne aayi .
Deepika : kitni der se ?
Deepika k is sawal se Manju andar se hil gyi . Manju k chehre par badle bhaw Deepika ne bhi dekhe . Wo janti to sab kuch thi par wo Manju ka man kured rahi thi .
Manju : kk k kya matlab kitni der se ?? Abhi to pata chala na .
Deepika : mere puchne ka matlab k isse pehle Amit ki kya jagah ban chuki thi tumhare man me ? Dekho mujhe dost mana hai to sach batana .
Manju : maine bataya to , iske ilawa aur kuch nahi hai .
Deepika : iska matlab tum mujhe abhi tak apna dost nahi man rahi warna tum aise sachaI nahi chhupati . Tumhe mujh par bharosa ho na ho par mujhe tum par hai . Aur isi liye main tumhe kuch batana chahti hun .
Manju to bas Deepika ka chehra dekhe ja rahi thi. Deepika ki bat sahi thi isi liye Manju man me khud ko dosh bhi de rahi thi aur ye bhi soch rahi thi k agar uski zuban par sachai aayi to pta nahi Deepika uske bare me kya sochegi .
Deepika : janti ho Manju Amit ki meri zindagi me kya jagah hai ? Shayad main theek se samjha bhi na paun par itna samajh lo k mer jeene ki vajah wo hi hai . Ya yun kaho k meri zindagi usi ki di hui hai .
Manju : hairan hote hue ) kya matlab ???
Deepika : matlab ye k agar aaj main zinda hun to usi ki vajah se aur meri khushi meri hansi sab usi ki di hui hai . Tumne abhi zikar kiya tha na inka ( Kamlesh ) to uske jawab bhi sun lo. Unhone khud mujhe mar pit kar ghar se nikal diya tha ye keh kar k main kahin ja kar mar jaun . Mujhe chhod kar bahar bazaru aurton k sath aur na jane kis kis k sath muh kala kar rahe the . Main to bas yahan jaise saza hi kaat rahi thi. Dikhawe k liye hans leti thi taki kisi ko pata na chale meri halat ka . Mera aur koi thikana bhi to nahin jahan main chali jaun . Gareeb mata pita khud kaise jiwan kat rahe hain aise me unke sir par bojh ban jati kya ? Aur wo kaise zinda rehte apni beti ko apne apna sasural chhod kar mayke rehti dekh kar ? Is ghar ki izzat bachane ki khatir main sab kuch chupchap sehti rahi . Is ghar me sab ache hain to bhala ek ki galati ki saza sabko kaise deti main ? Mera kasoor hi kya tha ? Mujhe tana dete the k main unhe ek bacha nahi de pyi . Jabki kami khud me thi . Magar main fir bhi chup rahi . Aur jab maine unke najayaz sambandhon k bare me sawal uthaya to sharab k nashe me mujhe mara pita zaleel kiya aur dhakke mar kar adhi rat ko ghar se nikal diya . Main to marne hi ja rahi thi pata nahi Amit ko kaise pata chal gya shayad usne sab kuch dekh liya tha . Us din usne mujhe na sirf marne se bachaya balki nayi zindagi bhi di . Aur aaj mere pas jo bhi khushiyan hain wo sab usi ki den hain . Main mar kar bhi uska ye karz nahi utar sakti . Ye samaj ye rishte kuch mayne nahi rakhta Manju . Zindagi jeene k liye pyar ki zarurat hoti hai . Wo pyar ho humen jine ki chah de sake fir chahe wo insan rishte me aapka kuch bhi lagta ho usse farak nahi padta . Samaj k niyamo ki chakki me khud ko piste dekhne se acha hai us pyar ko apna kar har saans me poori zindagi ji lena . Kya pata kismat us pyar ka sath kab tak naseeb kare
Deepika ki ankhen nam ho chuki thi . Gambheer chehre par bhi muskan thi jo Amit ki vajah se hi thi . Apni zindagi k is kadwe sach ko bayan karte karte Deepika aur hi kisi duniya me pahunch gyi thi .
‘ mami wo arav to raha hai shayad use bhookh lagi hai ‘ abhi kamre me ek khamoshi so chhati thi Deepika k rukte hi aur Manju bhi jaise kahin Kho si gyi thi . Radha ne darwaze par aa kar arav k bare me bataya to Deepika chehre par muskan sajaye uske sath hi uth kar chal di . Jate jate Manju ko fir aane ka keh kar muskurati hui wo chali gyi . Manju to bas use dekhti hi reh gyi . Abhi abhi Deepika kitni gambheer aur kitni dukhi lag rahi thi apne dukhi zindagi k bare me batate hue aur ab kaise achanak se wo chehre par muskan le ayi . Sach me ek daksh abhinetri hi thi wo jo chehre se kahin se bhi zahir nahi hone deti thi kuch bhi . Manju to samajhti thi k wo bahut sukhi hai . Har waqt uske chehre par khushi hi to dekhi thi muskan k roop me . Par ab jaise Manju wo har pal yad karne lagi thi jab jab usne Deepika ko muskurate dekha . Pata nahi kitni hi bar wo dukhi hogi magar uske kabhi ye bat zahir nahi hone di . Manju khud dard bhari zindagi ji kar aayi thi kuch samay pehle tak is liye use Deepika k sath kuch jyada hi sahanubhuti hone lagi thi ek pal me hi. Aur sath hi uski baten sun kar use Amit par maan bhi ho raha tha . Deepika k mutabik Amit uske jeene ki vajah tha aur uski har khushi ka karan bhi . Aisa hi kuch to khud Manju bhi feel karti thi kuch din pehle hi . Sochte sochte Manju k dimag me Deepika ki ek bat yad aayi aur uski ankhen badi ho gyi . Deepika ne kaha tha ki kami Kamlesh me thi jo wo ma nahi ban payi to fir wo ma bani kaise ????
‘ sheena beta tum aaj kal kahin ghumne nahi ja rahi kya bat hai ? Aaj kal to college bhi band hai tumara ‘ BALJEET rai ghar aaya to ek bar fir use Sheena Rupali k pas mili. Andar se to jhunjhala hi gya par zahir nahi kiya .
Sheena : mera kahin jane ka man nahi hai papa . Waise bhi chachi aur Rima k sath acha lagta hai mujhe .
BALJEET rai : beta yahi to din hain tumhare mauj masti karne k aur tum aise ghar par baithi rehti ho . Mujhe acha nahi lagta , akhir is daulat shoharat ka kya fayda jab mere bache hi iska maza nahi le sakte .
Sheena : daulat shauhrat se kya hota hai papa , insan ki pehchan uske karmo se hi to hoti hai . rahi bat maze ki to wo yahin hai apni k sath .
BALJEET rai : agar tumhe bahar kisi k sath jana acha nahi lagta to kam se kam Rima ko hi kahin ghuma le aao . Wo to tumhari chhoti behan hai . Uska hi khyal kar lo
Sheena : usse puch lijiye papa par wo bhi yahi jawab degi .
BALJEET rai : ye to koi bat nahi hui , tum use lekar jao kahin bahar ghoom aao kisi hill station par ya kahin bahar .
Sheena : aap hi keh kar dekh lo papa aur agar aap itna hi zor de rahe hain to fir mere sath Rima k sath chachi bhi jayengi .
BALJEET rai andar se poora gusse se pagal ho raha tha par fir bhi control kar raha tha . Rupali to bas man hi man Sheena ka dhanyawad de rahi thi .
BALJEET rai : kabhi apni ma k sath bhi to thoda time spend kiya karo . Kya uske sath tumhe acha nahi lagta ?
Sheena : unko fursat hi kahan hai papa . Unki kitty parties hi bahut hain. Waise bhi bachapan se chachi ne hi to ma ka pyar diya hai mujhe aur dusri bua .
BALJEET rai : to fir apni bua ko kyun nahi le aati ? Maine tumhe pehle bhi kaha tha.
Manju : bua yahan nahi hain , aur wo khush hain jahan bhi hain. Wo yahan ana hi nahi chahti to koi kya kar sakta hai .
BALJEET rai : fir bhi , hum uske apne hain . Kya hum se pehle bhi koi hai uske liye ? Tum use lekar nahi aa sakti kya ?
Sheena : main koshish kar chuki hun papa . Wo nahi ayengi aur ab aapko kaise yad aa gya k hum unke apne hain ? Agar is bat ka apko khyaal hota to wo aaj hamare sath hoti .
BALJEET rai : sheeenaaaaa ,,,,,, tum apne baap se bat kar rahi ho itna bhi yad nahi .
Sheena : sorry papa , par sach yahi hai . Aapki vajah se hi wo yahan nahi ana chahti . Agar aap ab bhi nahi badle to shayad aap ek din akele reh jayenge .
BALJEET rai : dimag kharab ho gya hai tumhara . Mere laad pyar ka galat fayda utha rahi ho tum . Manju ko yahan ana hi hoga , main use yahan lakar dikhaunga tumhe . Aur tum ( Rupali) ye sab baten tum hi dal rahi ho na iske dimag me. Iska anjam acha nahi hoga .
Sheena : chachi ko kuch mat kahiye papa warna acha nahi hoga . Agar chachi ko apne kuch bhi kaha to inke sath main bhi apka ye mehel chhod kar chali jaungi . Fir le ana apne paison se ek beti .
BALJEET rai Sheena ki bat sun kar gusse me pagal ho gya . Par Sheena k tevar dekh kar wo bina kuch kahe gusse se kamre se bahar nikal gya . BALJEET rai k jate hi Rupali aur Sheena dono ki hi ankhen nam ho gyi .
Rupali : Sheena mere liye tum ……
Sheena : kuch mat kahiye chachi , mere hote koi apka kuch nahi bigad sakta . Agar kisi ne aapko kuch bhi kaha to apke sath main bhi hamesha k liye ye ghar chhod dungi . Waise bhi ye ghar sirf apki vajah se hi hai . Warna yahan daulat ka ghamand aur sone chandi ki khanak hi hai . Pathar ki ye diwaren ghar nahi ek kaid khana hai . Jahan pyar aur emotions hai hi nahi .
Rupali : Sheenaaaa meri bachi ,,,,,, tu meri kokh se paida kyun nahi hui . Meri bachi
Rupali ne rote hue Sheena ko gale se laga liya aur Sheena bhi uske seene se lag gyi .