Update 257
‘ tu kahan gayab hai 2 din se ? Rat ko bhi late ata hai , bat kya hai ? Kuch batayega ‘ Rama aur karishma k sath Mohit jab aa kar baitha to Rama thoda gusse se bol rahi thi Mohit ko. Mohit bas nazren hi chura raha tha. Uske chehre par udasi aur gambheerta karishma ko pareshan kar rahi thi magar Rama ka is bat par dhyan nahi gya tha abhi.
Mohit : chhuttiyan khatam hone wali hain to dosto k sath thoda bahar gya tha
Rama : tu aur tere dost , ab kaun se dost aa gye tere ? Amit se to milne gya nahi tu fir kin logon se mil raha hai ? Kahin fir se un lafantar doston se to nahi milne lag gya ? Maine pehle bhi kaha tha un logon se tera milna mujhe pasand nahi . Lagta hai tere papa ko bolna padega
Mohit : aap ko jo acha lage aap karo main ja raha hun.
Mohit gusse se khada hua aur ma ko jawab dekar jane laga to karishma ne uth kar uska hath pakad liya . Jabki Rama to Mohit k is rawaiye se aur jyada bhadak gyi .
Karishma : khan ja raha hai ? Mujhe tere se bat karni hai
Rama : jane de ise jahan jana hai ise . Apne unhe ghatiya doston k pas hi jayega jinhe chhote badon ka lihaz nahi aur na hi sharam . Unke sath reh kar unke jaisa hi ho jayega .
Mohit : han ho jaunga unke jaisa , aapko acha nahi lagta to chala jata hun hamesha k liye .
Mohit karishma ka hath jhatak kar gusse se apni ma ko bolta hua nikal gya ghar se. Karishma use pukarti rahi par wo bina sune bahar nikal gya. Rama ko Mohit k aise behavior ki ummeed nahi thi wo to bas stabdh thi Mohit ka ye roop dekh kar. Karishma bhi dukhi ho rahi thi Mohit k aise jane se .
Karishma : ye aap ne kya kiya ma , aapko nazar nahi aa raha wo kisi bat se ukhada hua hai aur aap us par aise chilla rahi thi. Aapko usse bat to karni chahiye thi ache se
Rama : tumne dekha kaise bat ki usne mere sath. Agar koi problem hai to bata nahi sakta . Aise bat karega ab apni ma se. Ye sab galat sangat ka natija hai . Acha bhala Amit k sath ab khush rehne laga tha pata nahi fir se kaise un logon k pas pahunch gya hai ye. Dekh lena ye fir se bigad jayega .
Karishma : nahi aisa nahi hoga , main usse bat karungi aur fir Amit bhi to hai na . Mohit Amit ko bahut manta hai. Bas usko samjhane ki der hai fir sab theek ho jayega
Dono ma beti Mohit ki vajah se tension me aa gyi thi. Karishma ko to andaza tha k bat kya hai . Is liye wo ek bar Mohit se is matter par bat karna chahti thi tabhi iska hal nikal sakta tha .
Udhar gaon me billa aur uske sathi taiyar the hamle k liye . Sham ka waqt ho chuka tha aur sardiyon ki vajah se andhera bhi ho raha tha . Vijay jo gaon se bahar tha uska aane ka waqt ho chala tha . Idhar Amit ghar par hi tha . Billa gaon se bahar jo team baithi thi unke pas hi chala gya tha aur khet me chhip kar sadak par nazar gadaye baithe the . Wahin teen log ishara milne k intzar me the k wo Amit ko ghar se bula kar hamla kar sake . Dono jagah ek hi time par kam karna tha taki bhag kar nikal sake . Agar waqt aage piche hota to baad wali team pakdi ja sakti thi logon ko pata lagne par .
‘ kyun bhai kiske ghar aaye ho ? Badi der se bahar hi ghoom rahe ho . ‘ billa k jo teen sathi Amit k ghar k pas hi gali me dehati ban kar baithe bidi sulga rahe the unhe rah chalte ek buzurg vyakti ne puch hi liya. Ab shehar to tha nahi k kisi se koi matlab na rakhta ho. Gaon me to log ek dusre ko ache se jante the pariwar ki tarah aur unke rishtedaron tak ki khabar rakhte the . Aise hi is buzurg ne in logon ko notice kar liya tha jab wo dusri bar is gali se guzarte hue in logon ko wahin dekh kar ruk gya .
‘ are tau bas vijay bhaiya se milne aye the . Ooh ghar ma nahi hai to inha baith unki rah dekhar rahe ‘ dehati lehje me bat karne ki koshish karte hue ek ne jawab diya .
‘ apne vijay k ghar aaye ho ?? To bahar kahe baithe ho . Chalo hamar sath , baith kar chai nashta karwate hain . Waise oo log to kisi pardesi aur mehman ko aise ghar se bahar nahi bithate fir tum log kaisan bahar baithe rahe . Kono bat nahi aawa hamar sath ‘ buzurg to gaon ki udar manasikta wala insan tha aur wo ache se janta tha k vijay ka pariwar kaisa hai . Is liye use un logon ka aisa bahar baithna kuch jancha nahi
‘ are tau kahe dikkat den un logon ka , bas vijay babu se kam hai to bahar hi se mil kar nikal lenge . Aap jaiye andhera bahut ho raha hai ‘ ek bar fir se buzurg se picha chhudane k liye us gunde ne koshish ki par buzurg to jaise ise tauheen samajh raha tha gaon ki.
‘ are aise kaise tum logon ka ihan rehne dayi, jaade ka mausam hai aur andhera bhi ho gya hai. Chalo hamare sath ‘
‘ are jao na tau kahe sardi me aap bahar thithur rahe ho. Hum chale jayi abhi vijay babu se mil kar ‘
Is bar lehja thoda sakht sa tha us gunde ka jisse buzurg ko aur jyada shak ho gya . Baki dono ki nazren bhi buzurg ne dekh li thi is liye wo chupchap wahan se nikal liya . Magar ghar jane ki bajaye wo dusri taraf se chaurahe ki taraf ho liya jahan is waqt gaon k kuch log abhi maujood ho sakte the .
‘ ye sala budauuu mujhe kuch theek nahi lag raha . Main to kehta hun abhi ja kar kam shuru kar de . Khun ye sala kisi ko bata na de ‘
‘ ustad ne kaha tha k ek waqt par hi kam karna hai . Abhi unki taraf se khabar nahi aayi hai ‘
Itne me uske hath me pakda mobile baj utha aur usne turant phone utha liya .
‘ han ustad ,,,,,,, theek hai ,,,,,,, hum bhi ja rahe hain ,,,,,,.. Theek hai . Ustad ne kaha hai k kam shuru kar do ‘
Itna sunte hi baki dono ne jo badi si shawl aaod rakhi thi use nikal kar apne hathiyar durust kiye . Ek k hath me hockey aur dusre k hath me loge ki road thi. Teesra tez kadmo se vijay k ghar ki taraf bhaga aur zor zor se darwaza peetne laga . Darwaza Ajay ne khola jo abhi abhi ghar lauta tha .
Ajay : kya bat hai kaun ho aap ? Kisse milna hai ?
‘ ji wo ,,, wo wahan vijay babu ka accident ho gya hai . Wo amit ko bula rahe hain .’
Ajay : kyaaaaaa ??? Bhaiya ka accident ??? Kahan hua hai ? Kaise hua hai ? Kahan hain wo ?
‘ hi wo gaon se door hain. Aap Amit ko bula dijiye . Wo amit ko bula rahe hain ‘
Ajay : han han , main chalta hun , tum mujhe batao wo kahan hain
Ajay mama ki awaz thodi unchi aayi thi jab wo us aadmi se bat kar rahe the jisse hum sab ko ye ajeeb laga aur main jaldi se uth kar unki taraf tez kadmo se barha .
Amit : kya bat hai mama ji ??
Ajay : ye keh raha hai bhaiya ka accident ho gya hai . Chal jaldi chal .
Amit : kya ????? Baba ka accident ??? Kahan hain wo ? Chalo jaldi batao mujhe
‘ aaiye mere sath , main batata hun ‘ main us aadmi k sath bahar nikla aur Ajay mama bhi mere sath hi chal pade. Hum dono ko baba ki chinta ho rahi thi. Ajay mama aur main dono hi tension me aa gye the ye bat sun kar . Hum us aadmi k sath tezi se lagbhag bhagte hue chale ja rahe the . Gali k Mod se mudte hi aage khade do log jaise hamare hi intazar me the aur unhone hum par hamla kiya . Ajay mama sambhal nahi paye aur unke sir par hockey ka war ho gya . Mujh par dusre ne hamla kiya par maine hawa me is lohe ki road ko rok liya . Jo aadmi humen ghar se bula kar laya tha usne bhi palat jhapakte apni shawl girayi aur tej dhar hathiyar se mujh par jhapta . Isse pehle ki wo mujh par war karta uska haath hawa me hi ruk gya . Maine dekh to uske hath ko rokne wala koi aur nahi dara bhaiya the aur unke sath kuch aur log bhi the jinhonne aate hi teeno ko pakad kar marna pitna shuru kar diya . Maine jaldi se Ajay mama ko sambhala .
Amit : aap theek to hain mama ?
Ajay : han main theek hun .
Dara : maro in kutton ko . Tum chinta mat karo chhote bhai . Hum dekh lenge in logon ko.
Amit : kaun hain ye log aur aap yahan kaise pahunche ?
Dara : Tau ne abhi bataya tha k teen ajnani log yahan baithe hain aur inke irade theek nahi. Tumhare baba ka nam liya tha inhone bas janne k liye aa gye . Waise tumhare baba hain kahan ?
Amit : baba to abhi tak aaye nahi aur ye log yahi keh kar humen yahan laye the k unka accident ho gya hai gaon k bahar . Kahin unke sath …….
Baba k bare me dimag me bat aate hi main gusse se bhar gya aur ek k pet me zor se ghutna mara jisse wo Dohra ho gya dard se. Dahine hath se zor dar punch uske muh par marte hue Maine use zameen par gira diya aur uske pet me zor zor se thokar marne laga . Fir maine uski baju ghuma kar peeth par lagate hue aur jyada marod di to wo dard se tadap kar cheekhne laga . Uski baju toot sakti thi jisse bachne k liye wo chhat pata raha tha
‘ aaaaahhhh chhod ,,, chhhoad do mujhe aaaaahhhh ‘
Amit : bata kisne bheja hai tum logon ko yahan ? Mere baba kahan hain ? Bata nahi to abhi k abhi cheer dunga tum logon ko
‘ aaaaahhhhh chhod do mujhe aaaaahhhhhiiiii batata hun batata hun pehle chhodo ‘
Maine uske hath ko thoda dheela kiya to wo bola .
‘ tumhare baap par hamla hone wala hai . Shayad ho chuka hoga gaon k bahar ‘
Itna sunte hi main gusse se bhar gya aur uski baju zor se jhatak kar marod di jisse uski kalai aur kandha apne jod se khisak gye aur wo zor se chillane laga . Main tez kadmo se wahan se gaon k bahar wale raste ki taraf bhaga aur mere peeche dara bhaiya bhi doad laga diye . Unke piche baki sab bhi bhag pade . Mujhe chinta ho rahi thi k kahin baba k sath kuch galat na ho jaye . Main tez kadmo se bas bhagta hi ja raha tha. Baki sab to peeche reh gye the bas dara bhaiya hi mere kareeb the . Gaon k bahar wale raste k kareeb jaise hi hum pahunche to kuch logon k aks nazar aaye . Andhere me saaf nazar nahi aa raha tha. Par kisi k karahne ki awaz aa rahi thi . Mujhe samajhte der na lagi k ye baba hi hain.
Amit : babaaaaaaaaa
Main bade kadmo se uchal kar un logon par gir pada jo log baba ko mar rahe the . Do logon ko apne neeche liye main gir pada . Do aur log wahan the . Jinhonne mujh par hamla karne ki koshish ki to piche se dara bhaiya ne dono ko apni dayin aur bayin baju me gardan se kas liya. Main jaldi se utha aur ek k hath me pakda basebat chheen kar usi se dono ki zor zor se dhunai karne laga . Dara bhaiya ne bhi dono ko apni baglon ke itna zor se jakad rakha tha k unki saanse band hone lagi thi . Wo dono zor zor se chhatpata rahe the dara bhaiya ki pakad se chhutne k liye par dara bhaiya ki pakad se bhala wo kaise chhoot sakte the . Idhar dono ko main paglon ki tarah bas marta hi ja raha tha . Aur itna mara k dono bheekh mangne lage k main unhe chhod dun . Tabhi baki log bhi pahunch gye aur dara bhaiya ne bhi dono ko zor se patak diya. Baba ne karahte hue mera nam pukara to mera dhyan un ki taraf gya . Sadak ki ek taraf uska scooter gira pada tha . Maine jaldi se unko uthane ki koshish ki to dekha unke sir se bahut jyada khoon nikal raha tha .
Amit : baba ,,, baba ,,,, apko kuch nahi hoga ,,, kuch nahi hoga aapko .
Vijay : main,,,,, theek hun ,,,,
Amit : dara bhaiya aap scooter uthao
Baba ki halat theek nahi thi is liye maine unhe jaldi se uthaya aur dara bhaiya ne baba ka scooter utha kar use start kiya aur main baba ko beech me bitha kar piche baith gya . Dara bhaiya tezi se scooter chalane lage aur hum nikal gye shehar ki tarah kyunki gaon me bas ek chhoti si dispensary thi jo sham ko band ho jati thi aur is waqt baba ki halat achi nahi thi . Mujhe baba ki halat dekh kar chinta hone lagi thi. Unke sir se lagatar khoon beh raha tha jise main hathon se daba kar rokne ki koshish kar raha tha .
Amit : baba aapko kuch nahi hoga ,, kuch nahi hoga aapko. Himmat rakhiye .
Vijay : mmm main theeeekkk hunnnnnn main theee ,,,,,,,
Baba ki awaz bahut kamzor si nikal rahi thi aur ab jaise un par behoshi chha gyi thi. Main baba ko hosh me lane ki koshish kar raha tha par baba bol nahi rahe the . Dara bhaiya bhi scooter ko poori gati se dauda rahe the. Par shehar gaon se door tha . Magar fir bhi samay se pehel hi dara bhaiya ne humen shehar pahuncha diya aur hospital pahunchte hi main baba ko bahon me uthaye sidha andar ko bhaga . Turant compounder aur nurse ne baba ko strature par dala aur icu me le gye. Ek dr jo wahin maujood tha usne jaldi se baba ka ilaj shuru kiya aur humen bahar rukne ko kaha .
Dara : sab theek ho jayega chhote tum chinta mat karo. Par ye mamala kya hai ? Wo log the kaun ?
Amit : pata nahi bhaiya mujhe to kuch samajh me nahi aa raha .
Dara : kahin ye us sundar pehelwan ka kam to nahi ??? Suna hai us din wo daant peesta hua gya tha gaon se .
Amit : ye to wo log hi bata sakte hain jo hamla karne aaye the . Aap phone laga ke pata karo unhone kuch bataya ya nahi . Agar ye sundar ka kam hai to usko aur uske bete ko main zinda nahi chhodunga .
Dara : shanti rakh bhai , jab tak sachai pta nahi chalti tab tak kuch nahi karna . Mera phone to ghar par hi reh gya , kya tere pas hai phone ?
Maine apni jeb check ki to mera phone bhi ghar par hi reh gya tha . Asal me bachon ki tasveeren kheench rahe the hum is liye phone mere hath me nahi tha .
Amit : nahi bhai mera bhi pas nahi hai .
Dara : tu yahin ruk main dekhta hun.
Dara bhaiya bahar chale gye aur main wahin khada bas bhagwan k aage hath jod raha tha k baba theek ho jayen.
Udhar gaon me Ajay mama k sir par chot lagne k bad 2 log unhe ghar le gye the . Ghar jate hi jab Ajay mama ki halat dekhi to sab chinta me pad gye .
Gauri : ye kya hua devar ji ye chot kaise lag gyi ?
Ajay : kuch nahi hua bhabhi main theek hun
Gauri : kahan theek ho , ye sir se khoon nikal raha hai. Ye chot kaise lagi hai tumhe ?
Ajay : wo paon fisal gya tha bhabhi main theek hun aap sab chinta mat karo
Divya : chinta kaise na kare ? Ye chot girne se to lagi nahi lagti . Amit kahan hai ? Wo to apke sath gya tha na .
Ajay : wo ,,, wo bhaiya ko lene gya hai
Gauri : jhooth bol rahe ho tum Ajay , sach sach batao kya hua hai . Aur tere bhaiya kidhar hain . Tum batao kya bat hai ?
Ajay ko jo ghar chhodne aya tha ladka Gauri ne use hi gher liya . Ab tak kamini bhi Ajay k pas aa gyi thi aur chinta se uski ankhon se aansoo nikal aaye the . Deepika halat ko dekhte hue garam pani aur malham patti ka saman le ayi thi . Jisme Radha aur Neha uski madad kar rahe the .
‘ wo pata nahi kaun log the taai un log ne hamla kiya hai chacha aur Amit par . Amit theek hai par wo bade tau ji ki taraf gya hai . Wo log un par bhi hamla karne wale the . ‘ ye sunte hi Gauri k paon k neeche se zameen hi nikal gyi. Aur aisa hi kuch hal divya ka bhi tha. Deepika ko bhi ab chinta ho rahi thi magar wo himmat se kam le rahi thi .
Gauri : kyaa ? Kaun hain wo log ? Akhir hamari kya dushmani hai un logon se ? Hat bhagwan raksha karna , pata nahi kise hain wo .
Deepika : didi chinta mat karo sab theek hoga , Amit gya hai ja . Wo sab sambhal lega
Divya : kya sambhal lega wo , abhi wo itna bhi bada nahi hua , kahin use kuch ho gya to? Wo apni bilkul bhi parwah nahi karta. Akela bhid jata hai har jagah agar use kuch…….
Gauri : nahi nahi ,,, use kuch nahi hoga . Kamlesh kahan hai ? Wo abhi tak ay kyun nahi. Jaldi se use phone lagao aur bolo k jakar dekhe . Main bhi inhe phone lagati hun.
Deepika ne jaldi se Kamlesh ko phone kar k halat k bare me bataya . Gauri ne vijay ko phone kiya to uska phone nahi lag raha tha jab amit ka no. Lagaya to wo pas me hi pada tha .
Radha : mami amit ka phone to galati se yahin reh gya .
Divya : ye ladka bahut laparwah hai , keh deti hun agar use kuch hua to main ,,,,,, main yahan kabhi dubara nahi aaungi .
Divya to rone hi lagi thi uske man me ulte sidhe vichar aane lage the . Ajay k sir par lagi chot se chahe khoon thoda hi baha tha par uska asar divya par jyada hi ho gya tha . Wo darne lagi thi k kahin amit ko kuch na ho jaye .
Gauri : ye tum kaisi baten kar rahi ho divya . Kuch nahi hoga use .
Ek dusre ko chahe sab haunsala de rahe the par andar se dil sabka ghabra raha tha . Aur thodi der me hi Kamlesh ghar aa gya bhagta hua sath hi ye khabar bhi ghar pahunch gyi k vijay buri tarah se zakhmi hua hai aur amit dara use lekar shehar chale gye hain. Amit k theek hone ki khabar sun kar jahan kuch rahat mili thi sabko wahin vijay ki halat ne chinta barha di thi. Kamlesh ne jaldi se apni motorcycle nikali aur Ajay ko sath bitha kar nikal liya shehar ki taraf . Udhar Deepika ne jaldi se phone ghuma diya Manju aur Raghav ki taraf
Manju ne jab ye bat suni k vijay par hamla hua hai uska to dil hi dar se baith gya . Kal hi to dhamki di thi BALJEET rai ne aur aaj hamla bhi ho gya . Manju bhi bahut ghabra gyi aur turant Ritu ko phone laga kar sari jankari di. Amit kahan hai kis hospital gya hai ye abhi tak kisi ko nahi pata tha . Par Ritu ne foran wireless par order kar diya tha k sab hospital me pata karo ladai jhagde me koi ghayal ho kar aya hai to jaldi bataye .
Udhar Raghav to shehar se bahar tha par Rama ko jab is bat ka pata chala to wo bhi chinta me pad gyi aur taiyaar ho gyi ghr se nikalne k liye par jana kahan hai use bhi kahan pata tha .
Idhar hospital me aadhe ghante baad Dr bahar aya to main daud kar uske pas gya .
Amit : ab baba ki tabiyat kaisi hai Dr sahab
Dr : ghabrane ki bat nahi hai , khoon jyada behne se behosh ho gye the . Abhi unhe glucose laga diya hai aur kuch injection laga diye hain. Zarurat padi to blood bhi charha denge . Inhe abhi yahin rakhna padega . Dekhiye ye ladai jhagde ka case hai is liye police case banta hai. Wo thodi der me aa jayenge . Tab tak aap paison ka intzam kar lijiye .
Dr mujhe ye sab keh kar apne cabin ki taraf chala gya aur ek nurse mere pas aayi aur mujhe 10000 jama karwane ko kaha . Kismat se is waqt jeb me na paisa tha na purse . Maine nurse se kaha k thodi der me paise jama karwa dunga aap ilaj karo . Udhar se dara bhaiya bhi aa gye .
Dara : gaon me khabar kar di hai tumhare ghar bhi bata denge . Par ek gadbad ho gyi .
Amit : Kya hua ?
Dara : wo log bhag nikle , ab ye pata nahi chalega k kisne ye sab kiya hai .
Amit : wo log bhag kaise gye ? Itne logon k beech se .
Dara : wahan hum dono k pi he sab bhag liye do log reh gye the jinhe dhakka dekar wo andhere me kahin gayab ho gye . Udhar sadak par jo char log the unme se shayad ek kabu me aa jaye , kyunki wo kheton k beech kahin bhaga hai baki teen to gadi se bhag liye . Ab wo chautha kabu me aa jaye to shayad kuch pata chale .
Amit : Ajay mama to theek hai na ?
Dara : han unhe jyada chot nahi ayi hai aur maine kehalwa diya hai k idhar bhi sab theek hai . Abhi Dr ne kya bola ?
Amit : dr ne kaha hai k sab theek hai . Police ko shayad bulawa liya hai unhone ne .
Dara : ye bhi zaruri hai , akhir pata to chale k is sab k piche kaun hai .
Thodi der me nurse ne akar fir se paison ka pucha to main aur dara ek dusre ko dekhne lage .
Dara : main jakar gaon se le kar ata hun .
Amit : nahi bhai aap yahin ruko , madam thodi der me paise jama karwa denge ghar se koi na koi abhi aa jayega .
‘ kidhar hai wo patient jo ladai jhagde me ghayal hua hai ? ‘ ek sakht awaz ko sun kar Maine us taraf dekha to ek police inspector nurse se ye sawal pooch raha tha. Uske sath hawaldar bhi the.
Nurse : sir wo abhi hosh me nahi hai. Ye unke sath hain .
Inspector: tum log xxxxx gaon se aaye ho ?
Inspector ne hamare gaon ka nam liya to main aur dara bhaiya dono hi chaunk gye .
Amit : ji sir par aapko kaise pata ?
Inspector: tum dono me se Amit kaun hai ?
Hum dono hi ek bar fir se hairan the k inspector ko mera nam tak pata hai .
Amit : ji sir main hi hun par aapko kaise pata ?
Inspector : batata hun ,
Hamari bat ka jawab dene ki bajaye inspector ne apne hath me pakde wireless par bat karni shuru ki aur bat diya k use dono mil gye hain aur hospital ka nam bhi bata diya . Mujhe samajhte der nahi lagi k ye sab Ritu ki vajah se ho raha hai. Jabki dara bhai aur wo nurse abhi bhi hairan the
Inspector: nurse dr ko jaldi se bulao , aur aapko pareshan hone ki zarurat nahi hai. Humen SP sahab ne bheja hai . Aap unhe jante hain na ? Abhi thodi der me wo bhi aa rahi hain yahin . Aap kisi bat ki chinta mat kariye .
Amit : thank you inspector sahab
Itne me nurse k sath Dr bhi wahan aa gya .
Inspector : dr kaisi tabiyat hai mareez ki ?
Dr : behosh hai par khatre wali bat nahi .
Inspector: dekhiye Dr sahab ye log SP sahib k khas hain . Is liye ache se ilaj kijiyega , thodi der me wo bhi yahin aa rahi hain. Aap dono ko kuch chahiye to bata dijiye abhi hazir ho jayega .
Amit : nahi inspector sahab ham theek hain shukriya .
Dara bhaiya aur main wahin baithe the aur police wale hamare sath . Ab to dr bhi bar bar baba ko check karne aa raha tha aur dobara nurse ne bhi paison ka nahi poocha. Koi aadhe ghante bad hi Siren bajta sunai diya aur police wale fatafat bahar ko daude . Main aur dara bhaiya wahin the aur Dr bhi bhag kar hamare sath khada ho gya. Tabhi gate Manju bua aur Ritu andar aati hui dikhayi di. Unke sath kai police wale the . Manju bua to lagbhag daudte hue hi aayi. Unki aankhon se aansoo lagatar beh rahe the . Mujhe dekhte hi unhone mera chehra dono hathon me thaam kar chumna shuru kar diya. Wo sath me roye ja rahi thi.
Manju : tu theek to hai na tujhe kuch hua to nahi ??? Tere kahin chot to nahi aayi .
Bua mujhe ache se check kar rahi thi k kahin mujhe chot to nahi lagi.
Amit : main theek hun bua par baba ko bahut chot aayi hai wo abhi bhi behosh hain .
Manju : bhaiya behosh hain ??? Ye sab meri vajah se hua hai . Sab meri vajah se hua hai
Amit : ye aap kya keh rahi ho bua ? Aapki vajah se kaise kuch ho sakta hai . Aap kaisi baten kar rahi ho .
Ritu : Manju khud ko sambhalo , sab theek hai . Tumhe kuch hua to nahi na ?
Amit : nahi main bilkul theek hun
Ritu : kaun the wo log ? Ye sab kise hua mujhe theek se batao .
Dara : main batata hun , wo log kahin bahar se aaye the . Amit to ghar par tha aur tau ji to gaon me the hi nahi . Wo 7-8 log rahe honge jo bhesh badal kar gaon dehat k ban kar hi gaon me aaye the . In ke ghar k pas hamare gaon k hi ek buzurag ne jab 3-4 anjan logon ko dekha aur unse sahi jawab na mila to unhone aakar chaupal par bataya . Kismat main aur 3-4 ladke wahan maujood the to hum turant wahan pahunche . Samay rehte hum pahunch gye warna wo log amit aur ajay chacha ko thik hi dete . Tau ji ko un logon ne gaon se bahar hi gher liya aur zara der ho gyi humen wahan pahunchte . Bas fir yahan aa gye un logon ki pitai k bad
Ritu : ab wo log kahan hain ?
Dara : maine phone par pata kiya tha to wo log bata rahe the k wo sab mauka dekh kar nikal liye jab hum tau ji ko bachane me lage the . Han ek abhi bhi shayad wahan kahin chhupa hai kheton me .
Ritu : Pandey ji fauran wahan jo thana lagta hai uske incharge ko khabar kar do k wo aadmi bachna nahi chahiye . Chahe sari rat lag jaye par use pakad kar mere samne pesh karo .
Ritu ki bat sunte hi Pandey nam ka inspector use salute kar k bahar nikal gya . Itne me bahar se ajay mama aur Kamlesh mama bhagte hue aaye . Ajay mama ki shirt par khoon ki kuch bunde gir kar daag bana chuki thi. Main jaldi se unki taraf barha
Amit : mama aap theek to hain na , aapko jyada to nahi lagi
Ajay : mujhe kuch nahi hua bas zara si chot hai. Tu to theek hai na , tujhe to kahin chot nahi lagi. Aur bhaiya kaise hain ab ?
Amit : main theek hun , baba ko abhi hosh nahi aya hai . Par wo khatre se bahar hain
Kamlesh : akhir ye sab ho kya raha hai ? Kisse jhagda kiya hai tune jo bat ghar tak pahunch gyi hai .
Amit : maine kuch nahi kiya mama ji
Ajay : isme iski kya galati hai jo tu usse puch raha hai . Shayad bhaiya ko kuch pata ho . Jab tak sach pata na ho aise ungali mat uthaya karo .
Kamlesh : bhaiya ka kisi se kya bair , kya aap nahi jante wo kaise hain. Zarur isi ne kuch kiya hoga .
Ritu : excuse me mr Kamlesh , aap kya jante hain ? ye sab kaise hua hai ? Aap jaise bat kar rahe hain aise lag raha hai aapko kuch pata hai . Kya batayenge k kya bat hai
Kamlesh : mm mujhe kya pata , isi ne kiya hoga kuch
Ritu : agar pta nahi hai to chup rahiye , hum pata laga lenge . Aise kisi par ungali mat uthaiye .
Kamlesh : main kuch bhi kahun ye mere ghar ka mamala hai . Aap beech me mat boliye
Ritu : for your kind information ye mere bhi ghar ka mamala hai isi liye samjha rahi hun . Warna main jyada bat nahi karti .
Kamlesh mama to Ritu ki is bat par jalbhun gye par Ajay mama ne bat ko sambhala aur Kamlesh mama ko paise jama karwane ko bhej diya .
Ajay : ye bhi hamari behan hai samjhe , Manju ki tarah ise bhi humne behan banaya hai to iska bhi hak hai . Ab tu ja jakar paise dekh Dr ko kitne dene hai.
Ajay : Ritu behan gussa mat karo tum wo aisa hi hai .
Ritu : are nahi bhaiya main gussa nahi kar rahi . Aap to theek hain na .
Ajay : main bilkul theek hun bas zara si chot hai , sir par lagi thi na to thoda khoon nikal aya tha . Manju tum zara ghar par bat kar lo . Bhabhi pareshan hogi aur divya bhi bahut chinta kar rahi thi Amit ki .
Manju bua ne jaldi se gaon phone laga diya aur fir meri bat karwayi pehle ma aur fir divya mausi se bat karne k bad kamini mami aur Deepika mami se bat hui . Ma aur divya mausi ko mujhse bat kar k ab chain mila tha . Dara bhaiya Kamlesh mama aur Ajay mama ko Ritu ne police ki gadi ne gaon bhijawa diya kyunki baba ko rat yahin rehna tha to unke pas Maine rukne ki zid ki jiske chalte baki sab ko jana pada. Manju bua bhi zid kar k wahin ruk gyi mere sath. Ritu bhi rukna chahti thi par maine unhe mana kar diya . Warna unke sath police walon ko bhi rukna padta . Fir bhi 2 police wale hamari suraksha me khade kar hi gyi wo. Dr to Ritu k aane se hi badal gya tha . Usne khud hi ek private room me baba ko shift kar diya aur unke pas hi main aur bua ruk gye . Is beech Rama aunty ka phone bhi aya Manju bua k phone pe par maine unhe aane se mana kar diya . Wo bhi zid kar rahi thi aur badi mushkil se unhe manaya . Abhi to Rita mausi aur rajani mausi ko pata nahi chala tha pata nahi wo kya kahengi jab pata chalega .
‘ ye sala bindu kahan mar gya ? Gaadi me charha nahi tha kya ? ‘ gaon k bahar jo char log the Amit aur dara k nikalne k bad andhere ka fayda uthate hue bhage the unme billa bhi tha . Jo ab apne ek sathi k kam hone par puch raha tha . Badi mushkil se aaj jan bachi thi. Gaon wale peet peet kar mar hi daalte . Ye to ganimat rahi k gaon k bahar the aur roshni bhi koi nahi thi aaspas . Kareeb hi chhupai hui gair ka kisi ko andaza nahi tha jis me sawar ho kar ye log bhaaa nikle par ek sathi utna kismat wala nahi nikala. Gaadi me sawar hone se pehle hi wo gir gya tha aur andhere me jaldabazi ki vajah se ye log use wahin chhod kar bhag nikle .
‘ meri to fati padi thi ustad mujhe kuch samajh nahi aa raha tha . Behenchod aaj to marte marte bache hain. Sale wo dono the kaun. Mar mar kar sale ne bura hal kar diya hai . Maut samne dekh kar kisi tarah gadi tak pahunchne ki himmat jutai hai. Bindu bhi mere sath hi tha aur wo sala hum dono ko aise mar raha tha k maar hi daalega . ‘ jin do logon ko Amit ne buri tarah mara tha ye unme se ek tha aur jo piche reh gya tha wo bhi uske sath hi amit k bathe charha tha .
Billa : kam poora ho hi gya tha k wo sale pata nahi kahan se aa gye . Behenchod sala itna tagda tha k hil hi nahi raha tha . Hum do the aur wo akela hi aise dabaye tha kaach me k hum koi bache hain . Baki sab kahan hain unki koi khabar mili ?
‘ nahi ustad abhi tak to koi khabar nahi . Mujhe to lagta hai sale wo bhi kabu aa gye hain warna ye log kaise hum tak pahunche . Galat jagah panga le liya ustad . Hamare log unke hath aa gye to pehle ye sale pit pit kar adhmara karenge aur fir police alag se khaal udhedegi. Sali wo Ritu singh jallad hai , jan se hi mar degi encounter kar k. Main to kehta hun ustad ab shehar wapis jane ka sochna bhi mat kahin door nikal jate hain. Wo humen zarur dhoondh legi kahin na kahin se .
Billa : chup saale fattu , itna dar lagta hai to ja jake majboori kar is dhandhe me kya gaand marane aya hai . Un logon ka phone try karo dekho sala koi uthata hai k nahi. Unko wahan se nikalna padega warna hum sab pakde jayenge .
Billa bhi andar se dar to raha tha Ritu k nam se par apna dar dikha nahi raha tha . Use chinta thi k koi police k hath zinda kabu aa gya to Ritu un tak pahunch hi jayegi . Dusre sathi ne jaldi se phone lagana shuru kiya to kisi ka to pehle to do logon ka phone laga hi nahi par teesre ka lag gya . Usse pta chala k teeno wahan se bhag nikle hain. Andhere ki vajah se wo bhi gaon se nikal to gye the par pta nahi tha k wo hain kahan. Billa ne unhe shehar wapis na aane ka keh kar dusre thikane par aane ka bol diya . Ab unme se sirf ek hi sathi kam tha jiske bare me kisi pata nahi tha bas itna hi pata tha k wo bhi buri taraf zakhmi hai . Andar hi andar billa dar raha tha kyunki ab use Ritu ka chehra dikhai de raha tha kaal k roop me .