Fabulous fantastic update...........?Update 70
Principal ki bat sun kar police officer ne Constable ko mujhe apne sath le jane ko kaha aur shivani ko bhi apne byan darj karwane ko kaha. Sath hi uske mobile aur jo drama team k student me jo video thi usko jama karwane ko kaha. Jaise hi mujhe police wale office se bahar le jane lage tabhi manju Mam office me enter hui aur principal sir ko mujhe rokne ko kaha
Manju m : sir please amit ko rok lijiye . Ye nirdosh hai ye kabhi aisa kam nahi kar sakta . Please aap ek bar meri bat suniye
Ab aage -
Manju Mam ne principal sir ko police ko rokne k liye kaha to principal sir ne unse vajah poochi .
Principal : madam aap janti hain isne kya kiya hai ? Aur aap fir bhi police ko rokne ko keh rahi hain.
Manju m : ji sir maine sab sun liya hai magar please aap meri bhi ek bar bat sun lijiye .
Principal : kahiye aap kya kehna chahti hain.
Manju m : sir kehne se jyada main aapko kuch dikhana chahti hun.
Manju Mam ki bat par sab unki taraf gaur se dekhne lage. Mujhe bhi Mam ki bat se ummeed ki kiran nazar aayi . Manju Mam apna mobile hath me liye principal sir ki chair k pas chali gyi aur unhe kuch dikhane lagi . Principal sir gaur se dekhne lage aur madam k hath se mobile pakad liya. Pata nahi madam kya dikha rahi thi magar wo jo bhi tha use dekhte hue principal sir ko gussa aane laga . Jaise hi principal sir ne wo sab dekh liya unhone gusse se ek bar shivani ki taraf dekha aur fir situation ko dekhte hue unhone police officer ko kuch der bahar wait karne ko bola aur mujhe office me hi rehne diya. Police walon k bahar jate hi principal sir gusse se bole
Principal : tumhari himmat kaise hui ek shareef innocent ladke ko badnam karne ki. Kya yahi sanskar hain tumhare pariwar k . Tum janti bhi ho k abhi iske sath kya hone wala tha ? Iska poora carrier barbad ho jata . Ise jail bhej diya jata aur iske pariwar ki jo badnami hoti so alag. Akhir ye sab tumne kis liye kiya kiske kehne par kiya aur kaun kaun tumhare sath hai ? Agar tumne sari hakikat abhi isi waqt mujhe nahi batayi to tumhe main isi waqt college se nikal dunga . Batao sachai kya hai?
Shivani ka rang hi ud gya principal k muh se ye sab sun kar . Wahin main bhi hairan ho gya k achanak aisa kya dekh liya k sir aise change ho gye. Office me maujud har kai hairan tha magar koi unse kuch puch nahi sakta tha. Shivani ki to samajh nahi aa rha tha k wo kya bat kare
Shivani : s ss sir m mm maine ss sab sach hi bataya hai.
Principal : acha to ye sab kya hai ?
Principal sir ne mobile se wo video chala di jisme main auditorium me shivani k sath enter hue aur usne khud hi door lock kiya aur fir sab kuch jaise hua wo bhi bina editing aur cutting k . Video se saaf pata chal raha tha k shivani ne khud hi sara drama racha tha. Video dekh kar sabhi shocked ho gye . Mere pas khade prof Varinder ne mere kandhe par hath rakh kar mujhe apne sath laga liya . Unke chehare par khushi saaf jhalak rahi thi . Shivani ki to ma chud gyi dekh kar use kuch samajh nahi aa raha tha wi kya bole.
Principal : ab sach batao kyun kiya tumne ye sab ? Aur kiske kehne par kiya hai?
Shivani se jab koi bat mahi bani to usne rona shuru kar diya aur wahin zameen par baith kar rone lagi
Principal : I am not going to tolerate this nonsense thing . Tumne sab kuch jan bujh kar kiya hai aur ek shareef ladke ko barbad aur badnam karne ki koshish ki hai . Abhi k abhi mujhe ya to poori sachai batao ya fir tumhe main college se nikalta hun isi waqt .
Shivani principal sir se maafi mangne lagi .
Shivani : mujhe maaf kar dijiye sir I extremely sorry sir mera dimag kharab ho gya tha sir . Isne sab k samne meri insular ki thi sir main bas ise sabak sikhana chahti thi maine bas isi liye ye kiya sir I extremely sorry mujhe ek bar maaf kar dijiye sir
Principal : gusse me kiya ? No no shivani ye sab tumne achi tarah soch samajh kar kiya hai poore plan k sath aur mujhe poora yakeen hai tum isme akeli nahi ho . Agar isne tumhare sath koi badtameeji ki thi to tum iski shikayat karti . Magar tumne to ise rapist hi sabit kar diya . Sare college k samne tumne ise badnam kar diya. Tum janti bhi ho k izzat kya hoti hai ? Main kuch nahi sunne wala mujhe sab k nam chahiye abhi . Mam aap ise kagaz pen do aur isse confession likhwao . Jab tak ye sari sachai nahi batati ise main kisi keemat par chhodne wala nahi.
Principal sir k kehne par chandrakanta madam shivani ko lekar side me chali gyi aur uska kaagaz pen de diya likhne k liye . Shivani bar bar maafi mang rahi thi magar ab uska jhooth samne aa chuka tha.
Principal : thank you very much manju Mam aaj aapne mujhe bahut badi galati karne se bacha liya. Agar aap samay par aa kar mujhe nahi rokti to ek innocent life meri vajah se barbad ho jati. Waise aapke pas ye sab kaise aaya ? Agar aapko pehle hi oat chal gya tha to aap pehle kyun nahi aa gyi mere pas?
Manju m : sir mujhe bhi abhi kuch der pehle ye mila hai. Main staff room me baithi thi k kisi ne paper me lapet kar ek memory card meri table par rakh diya uske upar mera nam likha tha. Jab maine envelop khola to bich me memory card tha uske sath ek kagaz par likha tha k amit nirdosh hai. Maine jab memory card mobile me dalkar dekha to ye video tha .
Principal : jisne bhi ye video aap tak pahunchai hai bhagwan uska bhala kare . Mera dil andar se keh raha tha k kuch to gadbad hai magar sare saboot amit k khilaf the main bhi majboor ho gya tha.
Amit please tum mujhe maaf kardo maine tum par yakeen nahi kiya.
Amit : aap aisa mat kahiye sir . Jo kuch aap k samne pesh kiya gya use dekh kar to har koi mujhe hi doshi manega . Main to bhagwan ka shukriya ada karta hun jisne meri madad k liye kisi anjan madadgar ko bhej diya warna aaj mujhe jail jane se koi bacha nahi sakta tha. Aur manju Mam aapka bhi bahut bahut shukriya aapne samay par aakar mujhe bacha liya
Manju m : ye to mera farz tha . Mujhe to yakeen hi nahi ho raha tha k jo sab tumhare bare me bol rahe hain wo kabhi ho bhi sakta hai.
Prof Varinder : main janta tha k amit kabhi aisa galat kam kar hi nahi sakta . Aur sir agar bura na mane to mujhe lagta hai kahin na kahin is sab k piche monty aur sheena ka hath hai. Kyunki pehle din hi wo dono amit se ulajh gye the aur mere aa jane se us din wo ruk gye magar unko dekh kar lag hi raha tha k wo amit ko nuksan zarur pahunchayenge
Principal : hmmm magar bina kisi subut k kisi par ilzam nahi lagaya ja sakta . Main chaunga k aap khud iski jaanch karen aur agar unke khilaf koi sabut mile to mere pas le kar aaiyega fir main dekh loonga. Filhal aap amit ko lekar jaiye aur sab k samne sari bat bata dijiye warna sab students ise hi doshi mante rahenge. Aur han wo police walon ko bhi wapis bhej dijiye main nahi chahta k ye baat bahar nikale . Shivani ko main suspend karta hun jab tak ye apne parents ko sath lekar apna poora confession likh kar nahi deti ise college me enter nahi hone diya jaye.
Principal sir k order ko sun kar prof Varinder manju Mam aur main bhi khush ho gya. Prof mujhe bahar le aaye sare students bahar bheed laga kar khade the aur wait kar rahe the k kab police mujhe le kar jati hai. Prof ne sab k samne bata diya k mujh par lagaye gye ilzam jhuthe hain Aur ye sab k sajish thi. Prof ki bat sun kar sab khusar fusar karne lage magar sheena aur monty gang ki shaklon par 12 baj gye unko apna dar satane laga k kahin unki pole na khul jaye is liye wo chup chap khisak gye.
Prof ne sabko classes me jane ko kaha aur mujhe sath apne office me le aaye .
Prof Varinder : dekh liya ? Maine kaha tha na savdhan rehna . Agar aaj manju Mam nahi aati to tum is waqt kahan hote. Ye duniya bahut buri hai mere bache agar khud ko tum khud nahi bachaoge to dusara tumhaara gala kat kar aage nikal jayega. Jab kisi se dushmani pad jaye to hamesha alert rehna chahiye. Shivani to sirf mohara hai chaal to kisi aur ne hi chali hai aur mujhe poora yakeen hai k ye monty ka hi kam hai. Magar tumhe isse sabak lena hoga warna tum kal ko kisi aur pange me fas sakte ho aur shayad agali bar manju Mam ki tarah koi tumhari madad karne na aa paye. Tumne is sab se kya sabak sikha?
Amit : yahi k kisi par bharosa mat karo
Prof v : galat . Bharosa karna chahiye magar aankhen band kar k nahi aur jise tum achi tarah nahi jante ya jiske irade tumne nahi parkhe us par bilkul yakeen mat karo. Ab dekho tumhare phone ka istemal tumhare hi khilaf kiya gya. Tumhe usne kaise bewakoof bana kar khud ko drama team ka member bata diya jabki aise nahi tha. Tumne kabhi kisi bat par dhyan tak nahi diya. Usne tumhe auditorium me le ja kar door lock kiya tumhe to usi waqt samajh jana chahiye tha.
Amit : magar sir usne mujhse madad mangi thi aur main yahi soch raha tha k main uski madad kar raha hun mujhe kya pata tha k wo kya karna chahti hai.
Prof v : yahi to bat hai mere bache . Duniya me jo log dil k ache hote hain na unhe bewakoof banana sabse aasan hota hai. Tumne uski madad karne ka socha aur dekho tum kitni aasani se trap me fas gye . Ye to bhagwan ka shukar manao k pat nahi kiski duaaon ne tumhe aaj bacha liya aur aage se is baat ka khyal rakhna k koi bhi madad mange to pehle ek bar achi tarah us par vichar zarur kar lena . Aur ab kabhi kisi k jhanse Mat Ana . Tumhe kahin koi chot to nahi lagi jyada?
Amit : nahi sir main theek hun
Prof v : ab tum ghar jao aur aaj jo bhi hua uski tension mat lena bas jo sabak mila hai use dhyan me rakhna.
Uske bad maine sir k paon chhue aur unse mil kar bahar aa gya . Main parking ki taraf ja raha tha kyunki college ka time to khatm ho hi chuka tha tabhi mera phone bajne laga maine dekha to mohit ki hi call thi maine phone uthaya .
Mohit : kahan hai tu ? Kab se tera phone try kar raha hun ? Ye kya panga ho gya mujhe Minal ka phone aya tha . Bas aa hi raha hun wapis abhi raste me hun. Tu chinta mat karna main sidha tere pas hi aa rha hun.
Amit : are tension wali koi bat nahi hai sab theek ho gya hai. Tujhe mil kar batunga tu Aram se ghar pahunch wahin milte hain
Mohit : pakka sab theek hai na
Amit : are yar teri kasam sab theek hai mil kar batunga sab kuch
Mohit : chal fir ghar par milte hain.
Uske bad maine call cut kar di . Maine dekha k mobile par kaafi sari miss calls ati hui thi magar abhi main dekhna nahi chahta tha. Main parking se bike nikal kar bahar aya to manju Mam bhi car se wapis ja rahe the mujhe dekh kar wo ruk gye aur mujhe apne pas bulaya.
Manju Mam : main tumhe hi dhoond rahi thi mere ghar chalo mujhe tumse kuch bat karni hai
Amit : ji chaliye main apke piche piche aa raha hun.
Manju Mam aage nikal gye aur main unke piche bike par chal pada. 20 minute me main Mam k ghar par tha. Manju Mam ne darwaza khola aur mujhe apne sath andar le gye.
Manju Mam : jao pehle apni halat theek Karlo . Sara huliya bigada hua hai.
Main bathroom me gya aur hath muh dhoya. Maine sheeshe me dekha to baal bikhare hue the chehare oar nishan the T-shirt bhi gale se fat gyi thi. main thoda bahut khud ko theek kar k bahar aa gya. Thodi der me madam bhi kapde change kar k aa gye aur kitchen se kuch khane peene ko le aaye.
Manju Mam : to ab batao tum is chakkar me kaise fas gye . Wo ladki na to tumhari class ki hai aur na hi tumhare level ki fir tum kaise uske chakar me fase
Amit : main aapko sari bat shuru se batata hun
Maine shivani k bare me pehli mulakat se hi sab kuch bat diya. Manju Mam dhyan se sari bat sunti rahi .
Manju Mam : hmm to usne ye sab wakai me monty k kehne par kiya hoga . Waise tumhara uske sath kya panga hai?
Fir maine first day wala kissa bhi madam ko bata diya k kaise monty k sath mera jhagda ho gya tha.
Manju Mam : dekho amit main jyada kuch nahi kahungi bas itna samajh lo wo ameer baap ki bigadi hui aulad hai . Use padai se koi lena dena nahi hai. Uske pas bahut paisa hai magar tumhare liye padai bahut zaruri hai . Tumhe apni family k liye bahut kuch karna hai life me aage badna hai. Tum in sab se door hi raho kya pata kal koi nayi musibat khadi kar den
Amit : main to door hi rehta hun mam ye sab to unhone hi kiya dhoke se . Waise aap ne bataya nahi k aapko wo memory card kisne diya . Mujhe lagta hai aap jaan bujh kar chhupa rahi hain kyunki bina bataye koi staff room me kaise aa sakta hai . Wahan par aur teacher bhi to hote hain.
Manju Mam : main bhala kyun chhupaungi . Maine to wahi bataya jo sach hai aur tum mujh par shak kar rahe ho ?
(Man me) - sorry amit main tumhe uske bare me nahi bat sakti usne mujhse wada liya hai.
Amit : are main ap par kyun shak karne laga ? Aap na bachati to main to gya tha aaj
Manju Mam : aise kaise tumhe kuch hone deti ? Abhi abhi to mujhe chhota bhai mila hai main bhala tumhe kahin khone dungi. Tumhe to kaise bhi kar k main bacha lati. Ab pehle kuch kha pi lo aaj to bahut galiyan aur maar khayi hai tumne thoda khana bhi kha lo .
Main manju Mam k sath baten karta hua khane laga. Khane se free ho kar jab maine jane ki ijazat mangi to Mam ne mujhe aur thodi der rukne ko kaha.
Manju Mam : acha mujhe ye batao tumhari padai kaise ja rahi hai? I mean tum pehle gaon me the to wahan se yahan ki padai thodi different to hogi. Tumhe koi pareshani to nahi hoti?
Amit : pareshani bas itni c hai k main wahan hindi me sab subjects padta tha aur yahan sab English me hai.
Manju Mam : lo karlo bat mere hote hue tum English me piche reh Jao ye to buri bat hai. Koi kya kahega k badi began English teacher aur chhote bhai ko English nahi aati . Tum to mera nam badnam kar doge. Ab se tum roz sham ko mere pas padne aa jaya karo. Main tumhe English me ek dam master bana dungi.
Amit : magar sham ko to mujhe practice par jana hota hai main kaise aa sakta hun?
Manju Mam : kitne se kutne baje tak jate ho tum practice karne ?
Amit : 5 se 6:30 tak to karta hi hun
Manju Mam : to 7 baje mere pas aa jaya karo
Amit : theek hai main koshish karunga.
Manju Mam : koshish nahi tumhe Ana padega ab behan bola hai to behan ki bat bhi manni padegi.
Amit : theek hai theek hai Mam
Manju Mam : Mam ?
Amit : mera matlab hai didi
Manju Mam : ab aaj sham se hi shuru kar do tuition
Amit : waise tuition fee kitni hogi
Manju Mam : wo main khud le lungi tumhe darne ki zarurat nahi hai.
Uske bad maine Mam se ijazat li aur ghar ki taraf chal pada. Ghar par pahuncha to dekha mohit ki gaadi andar khadi thi . Maine bike andar khadi ki aur jaise hi ghar me enter hua to samne mohit aur aunty dono hi mera wait kar rahe the. Dono k chehare par pareshani saaf nazar aa rahi thi.
Mohit : kahan tha tu ab tak ? Main kab se teri wait kar raha hun.
Amit : wo zara ek kam tha wahin se aa raha hun.
Mohit : chal pehle bata ye sab kya drama hua aaj
Amit : are thehar pehle saans to lene de
Aunty mere liye pani le ayi maine pani ka gilas piya aur fir aunty aur mohit mere pas hi baith gye mujhse sara kissa sunne. Maine aaj jo kuch bhi hua sab vistar se bata diya jise sun kar mohit aur aunty dono ko hi gussa aa gya.
Mohit : mujhe pehle se hi shak tha zarur ye koi drama karne wali hai magar is had tak wo gir jayegi main soch bhi nahi sakta tha.
Aunty : aisi behuda gandi ladki ko to police k hawale kar dena chahiye tha . Mera bas chale to main uska wo hal karun k sari umar wo kabhi aisa karne ka soch bhi na sake.
Mohit : tu tension mat lena bhai abhi tera ye dost zinda hai. Tu dekhna uska kya hal karta hun main
Amit : are yar tu tension kyun leta hai. Unhone mere sath ek game khela hai na ab main bhi unko unki bhasha me hi jawab dunga. Tu bas khud ko thanda rakh . Main use aise Asani se jane to nahi doonga. Ye bata factory ka kya hal hai aur uncle kahan hain?
Mohit : factory ka masla to sort out ho gya hai . Papa kal tak aa jayenge aaj wo wahin par ruk gaye hain. Main bhi rukne wala tha magar jaise hi mujhe pata chala tere bare me main foran wapis chala aya.
Idhar main mohit aur aunty k sath baten kar raha tha aur udhar monty aur uski gang ek farm house par ek sath baithi hui thi.
Monty : pata karo bhenchod kaun hai wo jisne hamare plan par pani fer diya . Zarur koi apna hi hai jisne gaddari ki hai . Kitna full proof plan tha Aur hum to kamyab bhi ho gye the sala last me aakar sab chopat ho gya.
Shivani : tumhara kya gya mari to main principal ne saaf kaha hai main sab k nam bataun aur sab kuch confess karun warna mujhe college se nikal diya jayega
Sheena : kuch nahi hoga tumhe hum sab theek kar lenge pehle us gaddar ko dhoondhna hai jisne gaddari ki hai. Auditorium me kya hone wala hai ye sab sirf hum log hi jante the aur jisne bhi wo video banaya matlab wo us waqt wahin par maujood tha yani wo sab janta tha. Iska saaf saaf yahi matlab hai wo hum me se hi ek hai . Is liye sach sach batao ye sab kisne kiya hai.
Monty aur sheena ki poori mandali is waqt wahin maujood thi sabki nazren jhuk gyi har koi khud ko bekasoor bata raha tha. Magar koi to tha jisne madad ki thi amit ki
Rocky : monty yar hum sab to shuru se hi ek dusare k pakke sathi hain aur aaj tak humane jo bhi kiya hai mil kar kiya hai aise me tu hi bata hum me se kaun aisa kar sakta hai.
Monty : main janta hun tum log aisa nahi kar sakte magar sala hai to koi apna hi aur uska pata lagana bahut zaruri hai.
Tony : is waqt yahan par sirf ek hi shaks nahi hai aur ho sakta hai ye kam usi ka ho.
Sheena : kaun ?
Tony : Shalu
Monty : wo aisa nahi kar sakti wo janti hai agar usne aisa kiya to uske sath kya ho sakta hai.
Rocky : mujhe bhi tony ki bat sahi lagti hai . Hum me se to koi aisa nahi kar sakta . Ho sakta hai usne hi us dehati ki madad ki ho .
Monty : wo aisa nahi kar sakti magar fir bhi tum log kehte ho to usse puchtach kar hi lete hain . Jayegi kahan wo rehna to use meri juti me hi hai.
Main sham ko apne time par practice karne chala gya. Aaj Manju Mam k ghar jane ki vajah se time nahi mila rest ka is liye bas kapde badal kar hi chala gya. Wahan se free ho kar main manju Mam k ghar ki aur chal pada is dauran mujhse kai sari calls aayi magar maine kisi ki call attend nahi ki socha rat me bat karunga. Zarur neha didi se karuna didi aur naina didi ko pata chal gya hoga isi liye wo calls kar rahi thi. Main 7 manju Mam k ghar pahunch gya aur ja kar bell bajayi to Mam ne darwaza khola