Update 88
Main aur mohit ma baba ko ko jab ghar lekar aaye to itne bade ghar ko dekh kar dono khush ho rahe the. Mohit ne darwaza khola to uncle aunty hal me hi sofe par baithe hue the. Humen ata dekh kar dono apne jagah PR khade ho gye ma baba ka swagat karne k liye . Hum jaise hi uncle k pas pahunche to wo baba ko bade gaur se dekhne lage jaise k pehchanne ki koshish kar rahe ho.
Uncle : vijay bhaiya ?
Vijay mama : aap ?
Uncle ne aage bad kar baba k paon chhu liye aur baba ne unko pakad kar uthaya.
Vijay mama : aap kaun hain ? Maine aapko kahin dekha hai magar yad nahi aa raha?
Uncle : kaise yad aayega ? Itne saalon bad to dekh rahe hain . Main raghav hun pawan ka dost ‘ raghu ‘
Baba ne uncle ko gale laga liya. Main uncle k muh se papa ka nam sun kar hairan ho raha tha . Iska matlab uncle papa k dost hain. Dono bhaiyon ki tarah gale mil rahe the aur uncle ki ankhon me khushi k aansoo aa gye. Aunty ne bhi uncle ki bat se pehchan liya aur aage bad kar baba k paon chhue aur fir dono ne ma k bhi paon chhue. Ma aur baba me ab unhe pehchan liya tha.
Uncle : socha nahi tha itne salon bad fir aap se mulakat hogi.
Vijay mama : tum kahan the itne sal ek bar bhi tumne milne aane ki koshish nahi ki .
Uncle : kis muh se ata aapke pas main to usko aakhiri bar dekh bhi na paya tha jisne hamesha ek bhai ki tarah mujhe zindagi me aage badne me madad ki. Main to sharminda hun aap se bhi aur apne dost se bhi k main usko aakhiri bar kandha bhi na de paya . Main jab tour se lauta to dusaron se hi pata chala tha k kya hua. Mujhe kisi ne khabar tak nahi ki thi. Aaj bhi main khud ko kausta hun k kash main tour par na gya hota.
Vijay mama : isme tumhari koi galati nahi hai. Jab jo hona hai ho k rehta hai. Agar hamare bas me hota to kya hum wo sab hone dete?
Uncle : aap nahi jante bhaiya aaj bhi dil is bat par sharminda hai k jisne mujhe itna kuch diya main uske liye kuch nahi kar paya. Aakhiri bar usko dekh tak nahi paya. Kya muh le kar uske pas jaunga main ? Jab wo puchega k aakhiri bar mujhe kandha tak na dene aaye to kya kahunga?
Uncle ne bat karte karte rona shuru kar diya aur baba unhe chup karwane lage. Uncle ki vajah se aunty ki ankhon me bhi aansoo aa gye the aur ma bhi aunty ko gale lagaye hue thi.
Vijay mama : khud ko sambhalo ab tum bache nahi ho. Waise bhi tumhari to isme koi galati nahi hai. Rahi bat pawan se milne ki to wo main abhi mila deta hun.
Baba ki bat sunte uncle aunty samet main aur mohit bhi hairan ho gye k baba ye kya keh rahe hain.
Vijay mama : amit idhar aao
Main baba k pas chala gya.
Vijay mama : dekho ise , kya tumhe pawan nazar nahi aa raha ?
Uncle mujhe hairani se dekhne lage . Wo kabhi mujhe kabhi baba ko dekhte.
Vijay mama : ab bhi nahi pehchana? Ye amit hai pawan aur damini ka beta .
Itna sunte hi uncle jhatke se khade ho gye aur mujhe kas ke apne seene se laga liya. Uncle ki ankhon se aansoo lagatar behte ja rahe the aur wo mujhe bar bar chumte hue apne seene me kas lete.
Uncle : tu mere yar ka beta hai ? Tu mere yar ki nishani hai ? Maine tujhe pehchana kyun nahi ? Tumhe dekhte hi mujhe laga tha k mera yar mere samne aa gya aur main samajh hi nahi paya k tu usi ka ansh hai. Tu kahan tha ab tak ? Bhagwan tera lakh lakh shukriya tune mere dost ki amanat lauta kar mujh par ehsan kiya hai. Main apni sari daulat dekar bhi iska maul nahi chuka sakta. Dekh pawan dekh tera beta kitna bada ho gya. Bilkul tere jaisa dikhta hai . Main kitna nasamajh tha jo ise pehchan nahi paya . Mujhe maaf karna mere yar main teri dosti ka farz ada nahi kar paya . Main tere bete ko pyar nahi de paya. Magar ab main ise wo sab dunga jo ise milna chahiye tha . Aaj se ye sab tera hai mere bete . Mera sab kuch tera hai. Vijay bhaiya aap ne mujh par bahut bada ehsan kiya hai. Mere yar ki amanat ko aap ne aaj mujhe lauta kar mujhe khareed liya hai khareed liya hai aapne mujhe. O mere bete tu mere saamne tha aur main tujhe pehchan hi nahi paya.
Vijay mama : hausala kar raghav hausala kar dekh zara ise gaur se hai k nahi pawan aur damini ki jhalak isme ? Ab dil chhota mat karna . Amit k roop me wo dono aaj bhi hamare beech hain. Ye tera pawan bhi hai aur meri damini bhi .
Uncle : main aapka ehsan kaise utarunga bhaiya. Ye bilkul mere yar jaisa hi hai bilkul pawan ki jawani ki hubuhu tasveer. Magar ankhen
Amit : ma jaisi hain
Uncle : mera beta
Aunty : mujhe nahi milne denge mere bete se ?
Uncle aunty ki bat sunkar mujhe apne seene se alag kiya aur fir aunty ne mujhe mujhe mathe par chumte hue gale se laga liya. Dil hamesha yahi kehta tha k tumse hamara koi purana sambandh hai magar hum hi samajh nahi paye. Bilkul damini jaisi hi ankhen hain teri. Wo meri behan jaisi thi bahut pyar tha hum dono me.
Uncle : bhaiya maine to suna tha k koi nahi bacha tha us accident me.
Vijay bhaiya: asal me humne kisi ko nahi bataya tha. Jab main accident wali jagah par pahuncha tha to ek admi ne amit ko meri god me sompa tha. Usne bataya k accident me amit Bach gya tha kyunki damini ne ise apni god me le rakha tha. Aur usne ise kuch nahi hone diya. Gadi me aag lagane pehle us Aadmi ne amit ko bahar nikal liya. Aur tum to jante hi ho wo log pawan k sath kaise the ? Aakhiri bar bas shakal dikhane hi aye the shamshan me . Main bhala kaise un logon k hath somp deta is nanhi si jan ko?
Uncle : kash wo Aadmi mujhe mil jaye main use sar ankhon par bitha lun. Acha kiya aapne jo amit k bare me kisi ko nahi bataya . Wo log to insan kehlane k layak nahi hain. Main to
Vijay mama : raghav mujhe tumse kuch bat karni hai.
Uncle ki bat beech me hi kat kar baba uncle ko side me le gye.
Vijay mama: dekh raghav main nahi chahta k un logon k bare me amit ko kuch bhi pata chale . Un ghatiya logon ka saya bhi main apne bete par nahi padne dunga. Tu meri vinti man lena ise kabhi unke bare me nahi batana .
Uncle : par bhaiya wo kamine log pawan ki mehnat ki kamai par saanp ban kar kundali mare baithe hain aur gulchharre uda rahe hain . Kya aap nahi chahte amit ko uske pita ki virasat mile. Jis cheez par iska hak hai uspar wo mauj uda rahe hain.
Vijay mama : dekh raghav mere liye ye hi pawan aur damini ki daulat aur jaydad hai. Paise ki hamen koi zarurat nahi hai bhagwan ka diya sab hai. Tu kya chahta hai jis daulat ki vajah se unhone pawan k sath itna galat kiya fir usi daulat k chakkar me wo amit k sath bhi wo sab karen? Dekh tu samajhdar hai meri bat ko samajh . Amit hi hamare liye sab kuch hai. Humen kya lena un ghatiya logon se jinhone ye bhi janne ki koshish nahi ki k koi zinda bhi bacha ya nahi.
Uncle : theek hai bhaiya jaisa aap chahe . Main ise kabhi unke bare me nahi bataunga aur na hi unke pas jane dunga.
Idhar aunty mujhe gale lagati mujhse baten karti mujhe chumti . Mohit jo kab se ye sab drama dekh raha tha usne bhi aunty ko piche hatakar mujhe gale laga liya. Halanki use bhi meri tarah kuch yad Nahi hoga par use itna to pata chal gya tha k main uske dad k sabse khas dost ka beta hun aur uska to khas dost main pehle hi tha to ab hamari dosti double pakki ho gyi thi. Ma aur aunty ne apni geeli ankhen saaf ki aur shuru ho gya purani barin ka silsila. Isi beech rani ne hi sabke liye khana lagaya. Khana table par lagte hi aunty aur ma ne sabko khana parosa. Uncle ne mujhe apne pas bitha liya to dusari taraf aunty baith gyi . Dono bari bari se mujhe apne hathon se nivala khilate. Khana khane k bad baton ka silsila yun hi chalta raha. Fir chai peene k bad ma baba ne jane ki ijazat mangi to uncle aunty unhe rokne lage . Magar baba ne bata diya k unhe badi mausi k yahan jana hai
Uncle : bhaiya aisa nahi ho sakta k aap sabko yahin bula len ? Hum bhi sab se mil lenge.
Vijay mama: teeno behne isi shehar me hain jab chaho mil lena amit tumhe unse milwa dega. Rahi bat hum bhaiyon ki to uske liye gaon Ana padega kyunki hun abhi yahan nahi aa sakte dono bahuyen ( mamiyan ) ma banne wali hain.
Uncle : ye bahut achi bat hai . Fir to sab ek sath ikathe honge is khushi k mauke par . Pata nahi koi muje pehchanega bhi ya nahi?
Vijay mama : kaise nahi pehchanega? Ek tu hi tha jo pawan k itna kareeb tha. Chal tu bhi tumhe mila deta hun rajani aur uski family se.
Aunty : aise nahi bhaiya . Hum sabko yahin par invite karenge . Ek chhota sa function organise kar k sab ko invite karte hain kisi din.
Uncle : rama bilkul theek keh rahi hai . Hum sabko yahin par bula lenge magar ajay aur kamlesh to abhi aa nahi payenge na ?
Aunty : bhabhi kitni der khushkhabri me?
Gauri mami : deepika ko ek mahina aur Kamini k abhi hain 3 mahine.
Aunty : to aisa karte hain deepika k bad hi function rakh lenge Kamini ko to der lagegi.
Vijay mama : are tum log khamkha chinta kar rahe ho. Us sab me time hai . Hamari behne to yahin hain na jab chaho unse mil lo.
Uncle : theek hai bhaiya par hum khali hath nahi milenge kisi se is liye aaj ka rehne dete hain. Aap unse mil lijiye hum bad me mil lenge. Aaj main apne bete se dil khol kar baten karna chahta hun. Itne salon bad mila hai aaj to main ise apni dosti k kisse sunaunga.
Vijay mama : theek hai to ab humen ijazat do
Uncle ne fir ek bar baba ko rokne ki koshish ki magar baba ne mana kar diya to uncle ne mohit ko bhej diya ma aur baba ko rajani mausi k ghar chhodne k liye. Idhar uncle mujhe le kar baith gye . Kabhi mujhse mere Bachan k bare me puchte kabhi apni aur papa ki baten karne lagte kabhi aunty apni aur ma ki baten karti . Baton baton me aaj ki practice se bhi chhutti ho gyi aur tuition se bhi. Mam ka phone aaya to maine uthaya nahi kyunki mujhe to apne ma bap k bare me hi baten sun kar acha lag raha tha. Uncle ne mujhe unki shadi tasveeren dikhayi. Aur bhi bahut sari tasveeren jo unki aur papa ki yaden thi. Dono best friend the. Uncle aunty ne bataya k kaise unki shadi bhi papa ne hi karwayi thi . Uncle k family me koi Nahi tha aur aunty ki family se bat karne papa hi gye the dada ji ko lekar. Dono ki love marriage thi aur marriage se pehle bhi papa dono ko milwaya karte the. Meri ma se bhi aunty ki bahut achi dosti thi aur dono behno ki tarah hi rehti thi. Uncle ne bataya k wo pehle naukari kiya karte the aur mere papa ne hi unko khud se paise dekar ye business shuru karwaya tha. Aur aaj uncle unhi ki badolat bulandiyon par hain. Uncle ne aur bhi bahut sare kisse sunaye aur main bas man lagakar sunta raha . Mujhe aise lag raha tha k jaise sab kuch meri ankhon k samne hi film ki tarah chal raha ho. Uncle ki baton se itna to pata chal gya k mere papa bahut ache insan the aur dusaron ki hamesha madad kiya karte the. Mujhe garv ho raha tha k mere ma bap itne ache the jo har koi unki tareef karta hai.
Mohit ma baba ko mausi k ghar chhod kar aa gya. Uncle aunty der rat tak mujhse baten karte rahe is beech mujhe ek unknown no. Se call aa rahi thi magar maine attend nahi ki. Rat 11 baje jakar uncle aunty ne mujhe sone ki ijazat di magar mera dil to abhi bhi bhara mahi tha unki baton se . Par ab wo bhi thak chuke the aur mujhe bhi subah college jana tha to main apne kamre me chala gya. Aaj mere dil ko bahut sukoon mil raha tha. Aisa lag raha tha k main apnon me hi hun. Jaise main apne hi ghar me hun. Main bed oar leta ma papa k bare me hi soch raha tha k ek bar fir se us unknown no. Se phone aya . Main kitni bar pehle bhi use ignore kar chuka tha to socha utha kar dekh hi lun k kaun hai.
Amit : hello . Kaun hai?
???? : itni der phone uthane me ? Kahan busy the ?
Amit : radha tum ? Ye kis no. Se call kar rahi ho?
Radha : tumhare gift kiye phone se pehla phone to tumhe karna tha na. Is liye kab se phone kar rahi hun aur wk tum ho k phone hi nahi utha rahe.
Amit : sorry main uncle aunty k sath unki baten sun raha tha is liye phone nahi utha raha tha. Tumhe pata hai mohit k papa mere papa k best friend nikle . Aaj baba jab ghar aaye to uncle ne unhe pehchan liya aur fir uncle aunty ne mujhe kitna pyar kiya mujhe dher sari baten ki. Mere papa k bare me ma k bare me. Main aaj bahut khush hun . Aisa lag raha hai jaise main aaj apne ghar aa gya hun. Main bata nahi sakta radha k mujhe kaisa feel ho raha hai.
Radha : sach !! Ye to bahut achi bat hai . Main samajh sakti hun tumhe kitni khushi ho rahi hai main feel kar sakti hun. Shayad isi liye mera dil bar bar tumse bat karne ko raha tha magar lagta hai maine tumhe disturb kar diya
Amit : are aisa nahi hai . Main ab apne kamre me hun
Radha : to tum ab hostel me ho ?
Amit : ( kya karun sach bataun k nahi ) wo aaj late ho gya tha to mohit k ghar hi ruk gya tha. Waise thanks
Radha : wo kis liye?
Amit : tumne sabse pehle mujhe call kiya.
Radha : tha ka to mujhe kehna chahiye jo tumne mera liye itna kuch kiya . Waise maine to soch liya tha k jab tak tumse bat mahi kar leti main kisi aur ko phone nahi karungi.
Amit : acha ye bat hai ? Magar aisa kyun ? Agar main phone hi na uthata to tum kisi ko phone karti?
Radha : bilkul bhi nahi. Sabse pehle main tumse hi bat karna chahti thi . Kyunki ye mera pehla phone hai aur ( main sirf tumse hi bat karna chahti hun . Pata nahi kyun par mera tumhare ilawa kisi se bat karne ko dil hi nahi karta )
Amit : aur ?
Radha : aur ye k ye tumne gift kiya hai is kiye pehla phone to tumhe hi karna tha na.
Amit : radha ek bat maine sab se chhupai hai par aaj main tumhe batana chahta hun bura to nahi manogi?
Radha k dil ki dhadakne tez ho gyi k amit kya kehne ja raha hai ? Kahin ye usi k bare me to nahi ? Amit kya kahega ? Yahi soch kar radha soch me pad gyi aur bat ka jawab bhi mahi diya
Amit : radha ?
Radha : hmmm kaho kya kehna hai
Amit :maine sab se jhooth kaha tha k main hostel me rehta hun. Asal me main mohit k ghar hi rehta hun. Wo mujhe hostel se apne ghar le aya tha apni kasam de kar. Main uski bat taal nahi saka aur kisi ko is liye nahi bataya k sab bura mante k unke hote hue main mohit k ghar kyun reh raha hun.
Radha : ohhhhh ye bat thi. Maine samjha tum
Amit : tumne kya samjha?
Radha : kuch nahi. Waise ye to tumne sahi kiya k tumne mohit ki kasam ka maan rakha par tum mujhe pehle bhi to bata sakte the to ab kyun bata rahe ho?
Amit : pata nahi par mujhe acha nahi lag raha tha k main tumse ye bat chhuapun . Isi liye bata diya. Kal ko tumhe kisi aur se pata chalta to tumhe bura lagta.
Radha : hmm tumne sahi kaha. Aur mujhe khushi hai k tumne mujhe is kabil samjha jo sabse pehle mujhe bata rahe ho.
Amit : waise tumhe mera no. Kahan se mila?
Radha : didi se liya tha. Acha ab mujhe phone band karna hoga warna ma gussa karengi wo abhi kamre me aane wali hain . Good night
Amit : good night sweet dreams
Radha : you too
Radha se bat kar k mujhe acha lag raha tha. Pata mahi kyun par maine use sachai bata di jo abhi tak maine kisi ko nahi batayi thi siwaye ma baba aur deepika mami Kamini mami k. Shayad ma baba ab sab ko bata hi denge. Ab main ye soch hi raha tha k Naina didi ka phone aa gya.
Amit : lagta hai neend nahi aa rahi thi jo itni rat ko phone kiya.
Naina : mujhe tumse bat nahi karni main tumse gussa hun
Amit : are ye kya bat hui ? ( khud hi phone kar rahi hai aur khud hi keh rahi hai bat nahi kar I ) Maina aisa kya kiya jo aao gussa ho rahi hain.
Naina : tum mohit k ghar par reh rahe the itne dino se aur bataya bhi nahi. Tum hamare sath bhi to reh sakte the.
Amit : wo main batane wala tha bas samajh nahi aa raha tha kaise bataun . Mujhe pata tha aap gussa karengi . Isi liye himmat nahi ho rahi thi. Main to hostel me hi reh raha tha magar mohit mujhe apni kasam dekar apne ghar le aya . Ab aap hi batao k aap ye chahti hain k main dosto ki nazar me jhutha ban jaun? Kya aap chahengi sab mujhe jhutha kahen?
Naina : maine aisa kab kaha ? Koi tumhe jhutha kahe ye main kabhi bardasht nahi kar sakti. Mujhe kal mausi par bhi gussa aa gya tha kab unhone tumhe aise gusse se bola tha.
Amit : mausi to apni hain mujhe unki bat k gussa nahi hai aur aap bhi mat karo. Mujhe pata tha aur koi meri bat samjhe na samjhe par aap samajh jayengi.
Naina : main to samajh gyi par baki sabko kya samjhaoge ? Sab ko gussa hai jab se mama ne bataya k tum mohit k sath rehte ho. Waise mujhe is bat ki bahut khushi hai k mohit k papa tumhare papa k best friend hain. Mama bata rahe the kaise uncle aunty ne tumhe pyar diya jab unhe pata chala k tum unke best friend k bete ho.
Amit : ab aap gussa to nahi hain na?
Naina : gussa to main fir bhi hun. Kal tumne chhat par kya kiya mere sath? Aur uske bad ek bar bhi bat nahi ki phone par
Amit : maine kya kiya ? Wo to aap hi ne kiya jo kiya
Naina : jyada bano mat. Maine to sirf kiss kiya tha wo bhi is liye k tumne kaha tha.
Amit : maine bhi to kiss hi kiya tha
Naina : aur jo tumhare hath mere yahan wahan ghum rahe the wo ? Tumhe zara bhi sharam Nahi aayi wo sab karte hue
( Naina didi jan bujh kar mujhe ye sab keh rahi thi warna maza to wo bhi le rahi thi )
Amit : acha galti se ho gya . Aaj k bad kabhi nahi karunga aur kiss bhi nahi karunga aapko.
Naina : maine aisa kab kaha ?
Amit : matlab aapko wo sab karne me maza aya aur aap chahti hain main fir se karun.
Naina : mera matlab hai tum kiss kar sakte ho magar aur kahin hath nahi lagaoge.
Amit : main to kuch bhi nahi karunga jo karengi aap hi karengi.
Nana : tum bade gande ho . Tum chahte ho main ladki ho k sab karun aur tum sirf maze lo.
Amit : agar maine kuch kiya to aap fir se naraz ho jayengi.
Naina : main kab naraz hui thi?
Amit : to fir ye sab drama kis liye?
Naina : jao main tumse bat Nahi karti .
Didi se kuch der aisi hi pyar bhari nok jhok chalti rahi . Wo mujhse gussa thi magar unhe pata bhi nahi chala kab unka gussa gayab ho gya. Chalo inka to khatam hua ab mujhe chinta ho rahi the baki sab kaise react karenge sabse jyada to karuna didi hi thi jo gussa dikha sakti hain . Khair unko bhi mana hi lunga . Main sone ki koshish me tha k mere room ka darwaza kisi ne ahiste se khola aur mere nazdeek aa kar khada ho gya. Maine andhere me pehchanne ki koshish ki to mujhe laga k shayad ye aunty hain. Magar aaj jo kuch hua uske bad unka is tarah Ana main expect nahi kar raha tha. Mujhe laga tha k shayad wo ab mere sath pehle jaise relation rakhna nahi chahengi. Aur aaj to uncle bhi ghar par hi hain. Ab jab aunty ko pata hai k main unke pati k best friend ka beta hun , unki behan jaisi saheli ka beta hun , unke bete jaisa hi hun to wo kaise mere sath wo sab karengi.
Aunty : amit kya tum jag rahe ho?
Amit : aunty aap us waqt ? Aaiye baithiye . Main light jalata hun.
Aunty : nahi light mat jalao aise hi rehne do. Main tumse kuch bat karna chahti hun magar samajh nahi aa raha kaise kahun?
Amit : please aunty ! Main koi paraya to Nahi . Ab to aap mere liye pehle se bhi khas ho gyi hain is liye jo bhi kehna hai bejijhak kahiye.
Aunty : ab jab pata chal gya hai tum pawan aur damini k bete ho to mujhe khud par ghin aa rahi hai k maine tumhare sath kaise wo sab
Itna kehte hue hi aunty ki rulaai chhut gyi. Aur maine unhe apne gale se laga liya. Main unko chup karwane laga. Aunty mere sine se lagi dheemi aawaz me ro rahi thi.
Aunty : main bahut buri hun . Ye maine kya kar diya. Main sharam se mari ja rahi hun . Tum kya sochte hoge k tumhari aunty kaisi hai.
Amit : chup ! Chup ho jaiye . Aisa waisa kuch nahi sochunga main. Aap pehle bhi meri aunty thi aur ab bhi meri aunty hain. Pehle aap mere best friend ki ma thi is liye main aapki dil se izzat karta tha aur mera yakeen kariye maine sirf aap ki khushi k liye wo sab kiya tha kyunki aap ko zarurat thi pyar ki aur sahare ki warna aap shayad galat rasta ikhtiyar karti. Aur main aisa hargiz nahi chahta tha . Aap ne ku h galat nahi kiya aunty aurat ki apni zaruraten hoti hain jinka poora hona zaruri hota hai. Main apse bilkul bhi naraz nahi aur na hi apko galat samajh sakta hun balki ab to aap mere liye aur bhi jyada khas ho gyi hain kyunki aap meri ma ki saheli hain , mere papa k best friend ki wife hain. Main aapke dukh me aapka sath de saka ye to mere liye fakhr ki bat hai. Mujhe parwah nahi k duniya ki nazar me ye sahi hai ya galat par mujhe itna pata hain maine aapke zakhmi dil par pyar ka jo malham lagaya hai wo kisi punya se kam nahi hai. Meri nazar me aapki respect pehle se bhi bad gyi hai kam nahi hui. Aur rahi bat hamare bich k rishte ki wo sab waise hi rahega jab tak aap chahengi.
Aunty : tum sach keh rahe ho ? Tumhe bura nahi laga meri vajah se ?
Amit : pehle to nahi laga magar ab lag raha hai.
Aunty : ????
Amit : kyunki aap k is pyare se chehare par main ye dukh dard ki tasveer nahi dekhna chahta. Ab aap apne aansoo ponchiye . Aur agar izazat ho to aapko thoda pyar bhi kar lun?
Maine aunty ki thodi par hath laga kar unka chehara upar uthate hue pucha to aunty k chehare par muskan aa gyi.
Aunty : bilkul nahi . Jab tak tumhara competition nahi ho jata main wait karungi . Tab tak tum bhi khud par kabu rakhna .
Aunty ne order dete hue kaha aur mujhe kiss kar kamre se bahar chali gyi. Main aunty k bare me sochne laga . Akhir unka isme kasoor hi kya hai ? Koi bhi aurat apne pati se pyar hi to chahti hai. Agar Pati use waqt nahi dega to bechari kahan jayegi? Uncle ko aunty ko waqt dena chahiye tabhi aunty ko sahi mayne me santushti mil sakti hai. Mere sath sex kar k unko sharirik sukh to milta hai magar ek aurat ko asali mansik sukh uske pati k pyar se hi kilta hai warna ek apradh ki bhawna hamesha man me rehti hai . Agar wo aurat charitraheen ho to use koi farak nahi padta aur wo ek se anek mardon k sath sex kar k apni hawas shant karti hai magar ek charitrawaan aurat kabhi kisi paraya mard ki taraf nahi dekhti. Aunty ek charitrawan aurat thi is kiye unhone chup chap apne pati ki berukhi ko bardasht kiya magar kabhi kisi dusare mard se rishta nahi rakha. Ye to rani aur Loku ki vajah se aunty ki bhawanayen bhadak gyi aur wo khud par kabu nahi rakh payi. Mujhe yakeen hai agar wo kisi bahri mard ya loku k sath hi wo sab kar leti to shayad andar se toot kar bikhar jati magar maine unhe kabhi aisa feel nahi hone diya k wo sirf zarurat ki vastu hain . Maine unke dil par apne pyar aur sneh se malham lagaya is liye wo ab mujhe itna chahne lagi hain. Aunty k bare me sochte sochte main kab so gya pata hi Nahi chala .
Agle din manju m jab class me aayi to mujhe dekhte hi unke chehare par gussa aur narazagi jhalkne lagi. Main samajh gya k kal maine unki call attend nahi ki is liye gussa hongi . mujhe unko wapis call karni chahiye thi. Main Mam ki taraf pehle smile karte hue dekha magar unhone nazren fer lin fir maine apne kaan pakadte hue sorry kaha to Mam ne fir bhi gussa nahi choda . Main samajh gya k mam kuch jyada hi gussa hain ab to kuch special karna hoga unka gussa khatam karne k liye. Lecture khatam hone k bad main Mam k piche gaya unse bat karne k liye magar unhone meri koi bat nahi suni. Ab to tuition par ja kar hi manana padega. Khair main mohit k sath canteen me chala gya. Rima hamesha ki tarah apni khubsurati se sabki nazron ko roshan karti hui Minal k sath mere pas aa kar baith gyi.
Rima : hi . Kaise ho aap ?
Amit : aap ?
Rima : sorry . Kaise ho tum ?
Amit : main acha hun magar lagta nahi k jyada der acha reh paunga .
Rima : wo kyun ?
Amit : ab roz roz tum aise bijaliyan girati hui mere samne aa kar baithogi to main kab tak Bach paunga?
Ruma : ( main to chahti hun k tum mujhe apne dil me thodi si jagah de do taki mujhe bhi wo jannat naseeb ho jise log muhabbat kehte hain. Pata nahi tum kab samjhoge mere jazbat . Zindagi me pehli bar kisi ko dekh kar is dil ne bagawat ki hai mujhse aur ab main apne dil k hathon majbur hui jati hun)
Amit : pata hai Rima tumhari ankhen itni khubsurat hain k dekhne wala bas inme dekhte hue hi khud ko kho baithe. Aisa lagta hai k tum muh se kam ankhon se jyada bolti ho.
Rima : ( to samajh lo na jo main kehna chahti hun. Tumhare samne meri zuban to mera sath de hi nahi pati kam se kam meri ankhon ki hi iltija kabool karlo )
Minal : kya bat hai ? Aaj bade romantic ho rahe ho ? Irade to theek hain na ? Mujhe lagta hai uncle aunty ne kal tumhe kuch jyada hi pyar de diya hai jo aaj tum lutate hi fir rahe ho . Magar meri friend ka dhyan rakhna kahin bechari ka dil mat tod dena.
Amit : are ye tum kya keh rahi ho ? Koi pagal hi hoga jo itni haseen ladki ka dil todega . Dekh lena ise iska perfect match milega .
Rima : ( mere liye to tum hi mere perfect match ho . Please mujhe apna lo mera dil ab sirf tumhara hai. )
Amit : waise lagta hai aaj tumhari friend ki tabiyat theek nahi ya fir ise meri bat achi Nahi lag rahi. Itni der se main bat kar raha hun aur ye hai k kuch bol hi nahi rahi .
Rima : main kab naraz hun main bat kar to rahi hun .
Menka : o madam lagta hai khayalon me hi bat kar rahi thi tum hamne to koi aawaz nahi suni.
Rima ko menka ki bat se yad aya k wo to apne dil me hi amit se bat kar rahi thi aur zuban se khamosh thi. Rima ko is bat par hasin aa gyi aur fir ek bar usne amit ki nazar se nazar milayi.
Amit : sach sach kehna tumhe meri baton ka bura to nahi lagta na? Dekho agar gussa karti ho to bata dena main dobara tumhe tang nahi karunga.
Rima : mujhe to tumhari baten bahut achi lagti hain . Bilkul Sachi aur achi baten karte ho tum waise tareef k liye shukriya .
Hum baten kar rahe the k radha aur neha didi bhi aa gye aur hamare sath baith gye. Radha ne mujhse hath milaya aur ek dil kash muskan uske chehare par thi.
Neha : congratulations amit tumhe itne salon bad tumhare khoye hue uncle mil gye.
Mohit : khoye hue uncle nahi khoya hua eta mil gya papa ko . Ab to ye meri jagah le lega ha ha ha
Mohit ki bat oar sabke chehare par hasin aa gyi.
Amit : thanks didi main wakai bahut khush hun. Aao gussa to nahi hain na ?
Neha : main kyun gussa hungi?
Amit : wo hostel wali bat par
Neha : nahi main gussa nahi hun . Main samajhti hun aur radha ne bhi mujhe bata diya hai. Magar is bat par naraz zarur hun k yahan hote hue bhi tum hamare yahan mahi aate . Meri chhodo ghar aaoge to pata chalega karuna tumhe chhodne wali nahi aur ma bhi naraz hain.
Amit : is bat par main bhi soch raha hun k kya karun.
Radha : jyada sochne ki zarurat nahi hai . Koi bhi tumse jyada der naraz nahi reh sakta . Main janti hun wo jald hi man jayengi.
Neha : tumhe bada pata hai ? Batao wo kaise man jayengi jaldi ?
Radha : bas aise hi . Amit se koi jayda der naraz reh hi nahi sakta . Dekha nahi ma bhi kise
Amit : kash wo bhi man jayen.
Radha : wo bhi man jayengi . Isi liye to us din wo sab hua . Mujhe pata hai unke dil me tumhare liye pyar hai
Mohit : ye sab kya chal raha hai koi hamen bhi batao hum bhi yahin hain.
Amit : kuch nahi yar ab sabko pata chal gya hai k main hostel me nahi tumhare sath reh raha hun to sab gussa ho rahe hain k main unke pas kyu nahi raha .
Mohit : ye to teri apni khadi ki hui problem hai kisne kaha tha hostel me jane ko.
Amit : chup dramebaj teri vajah se main is chakkar me fasa hun . Acha bhala hostel me rehne aaya tha.
Radha : tum aise hi chinta kar rahe ho maine kaha na koi tumse zyada der naraz reh hi nahi sakta .
Baten karte hue lecture samapti ki bell baj gyi aur sab apni apni class me chale gye. Sham ko aaj fir practice se late hi free hua kyunki ab sab jayda paseena bahane lage the. Paseene ki vajah se aaj main kuch jyada hi bheeg gya tha kyunki barish ka season shuru ho chuka tha jiski vajah se humidity bad gyi thi aur aise mausam me kya hal hota hai aap jante hi honge. Practice k bad jab main Mam k ghar pahuncha to mera welcome unke gusse ne hi kiya.