kamdev99008
FoX - Federation of Xossipians
- 8,622
- 34,974
- 219
raja bhai...................... 800 pages complete hone par
Mujhe bhi yahi lagta hai par Raja bhai kab story ko nayi disha dede koun janta hai.Congratulations for 800 pages. Aur mujhe lagta je ki Shera wahi admi hoga jise amit ne jhadiyo ke pas se adhmari halat me uthaya tha aur dr. Riya ki gadi me use hospital le kar gya tha.
Us aadmi ke saath Amit ki koi khas pehchan nahi hai, bas ek baar ka waqya tha. Isiliye agar Shera vo aadmi hai to Amit itna chonkta nahi. Jo haalat Amit ki batayi gayi hai, vo sirf tab hi hosakti has jab koi khaas pehchan vala ho.Congratulations for 800 pages. Aur mujhe lagta je ki Shera wahi admi hoga jise amit ne jhadiyo ke pas se adhmari halat me uthaya tha aur dr. Riya ki gadi me use hospital le kar gya tha.
Nice updateUpdate 2
Amit subah ki kasrat karke aur akhade me pasina bahane k baad ghar wapis aa rha tha raste me use raju mil gya poore gaon me raju hi amit ka khas dost tha ya yun kahen eklota
Raju : janmdin bahut bahut mubarak mere yar bhagwan kare tujhe meri bhi umar lag jaye
Amit : shukriya mere yar. Saale tujhe maalum tha k aaj mera janmdin hai?
Raju : kaisi baat karta hai saale mujhe nhi pta hoga to kise pta hoga wo chhod bta aaj party kahan aur kaise dega
Amit : abe tu jo bolega jaise bolega waise party karenge magar aaj ni kal tujhe to pta hai aaj ghar pe nana nani ki barsi hoti hai to unka shok manate hain sab aise me mera janmdin manana acha ni lagta
Raju : theek hai theek hai wo main janta hun magar kal koi bahana nahi chalega
Amit : Han Han kal party pakka waise bhi abhi to chhuttian hain bol kahan karni hai party
Raju: gaon me to dhang ki koi jagah hai ni main soch rha tha kal cinema dekhne shehar chale udhar hi kha pee k mauj kar k wapis aa jayenge sham tak
Amit : abe saale marwayega kya tujhe pta hai maa mujhe kahin jaane nhi deti aur tu shehar jane ki bat karta hai
Raju: dekh bhai ab tu palti mat mar saal me ek din to ata hai uspe bhi tujh bahane sujhte hain main kuch ni sununga kal shehar chal rhe hain to bas chal rhe hain
Amit : yar tu samjhta ni, maa se kya kahunga kyu jana hai shehar
Raju : wo tu soch mujhe kuch ni pta
Amit: chal koi rasta nikalta hun magar agar maa na mani to fir main kuch ni kar sakta pehle hi bol deta hun
Raju : mujhe kuch ni sunna agar mujhe dil se dost manta hai to tu kal shehar chalega warna main samjhunga meri koi keemat ni teri nazar me
Amit : ek jhapad dunga muh pe kuch bhi bakwas karta hai chal main karta hun kuch
Raju : hihihi... kasam se yar tu jab aise gussa karta hai bda maza ata hai
Amit : dun kya kaan k niche full maza ayega
Raju : abe ni ni pehalwan mujhe abhi apne liye ladki patani hai tu to brahmchari marega magar mujhe to shadi karni hai mera itna khayal rakha kar
Amit : chal chal drama band kar ab der ho rhi hai ghar bhi jana hai maa rasta dekh rhi hogi
Raju : theek hai chal .
Fir dono ghar ki taraf chal padte hain dono k ghar pass me hi hain . Thodi der me amit ghar pahunch jata hai ghar me sab tayar baithe the aur pandit ji ka intzar kar rhe the teeno bhai safed kurte pazame me the aaj k din ghar me pandit ji se hawan karwate hain apne mata pita ki atma ki shanti k liye.
Amit chup chap ghar me ghusta hai aur jaldi se baramde se side me nikal kar sidian chad kar apne room me jata hai tayar hone abhi akhade ki miti aur pasine ki badbu uske jism se aa rhi thi. Jaldi se room me jakar kapde utar kar bathroom me ghus jata hai nahane ke liye . Nahane k baad towel bandh kar room me ata hai to samne bed par white kurta pazama dekh kar samjh jata hai k ye maa ne aj k liye rakhe hai aur jaldi se kapde pehan kar room se bahar nikalata hai sidha maa k room me jata hai
Gauri: aa gya mera laal (kehkar sidha amit ko gale laga leti hai aur apni mamta ki barish uspar karti hui uske mathe ko chumti hai )
Gauri : jug jug Jiyo mere laal hamesha khush rho tujhe meri bhi umar lag jaye janmdin mubarak ho
Amit : nhi maa apki umar nhi chahiye mujhe main to sari umar apke pass rehna chahta hun
Gauri: khush rho beta . Aaj itni der kahan laga aya main kab se tera intzar kar rhi thi tujhe to pta hi hai aaj ghar pe hawan pooja bhi hai aur bta aaj tujhe kya chahiye janmdin par
Amit : are maa mujhe sab yad hai wo bas raste me raju mil gya tha bas baron me thoda late ho gya. Aur mujhe kuch ni chahiye janmdin par sab to hai mere pass fir kya mangu
Gauri: beta tu aaj 18 saal ka ho gya hai kuch to tere dil me ata hoga koi to khwahish hogi teri bta kya chahiye tuhhe
Amit : nhi maa mujhe kuch nhi chahiye bas apka pyar chahiye hamesha hamesha
Gauri itna sunkar fir se gale lga leti hai amit ko uski aankhe nam ho jati hain aur dil me sochti hai k bhagwan ne shayad isi liye use maa nhi banaya kyunki amit mere liye hi to bheja hai bhagwan ne
Gauri: chal jaldi kar pandit ji ane wale hain aur ja kar pehle apne baba se baki sab se mil le sabka ashirwad lele
Amit : ji maa main abhi ja rha hun
Fir amit apne baba yani vijay shankar k pas jata hai
Amit : baba paon Laage,ashirwad dijiye mujhe k aap ka nam roshan karun
Vijay: aa gya mera sher jug jug jiyo khoob tarakki karo, tujhe dekhta hun to seena choda ho jata hai mera garv se poore gaon me kya aas pass k kisi bhi gaon me tumhare jaisa honhar sanskari ladka koi nhi
Amit : Baba ye sab aapka aur maa ka ashirwad hai main jo bhi hun sab apki hi tapsya aur ashirwad hai
Vijay: jeete rho beta . Bta aaj kya chahiye mere sher ko janmdin par
Amit : are nhi baba sab to hai mere pas fir kya mangu, mujhe kuch nhi chahiye bas aap mere sar par apna hath rakho aur kuch ni chahiye
Vijay : mujhe pta hai tu yahi kehta rahega magar maine jo socha hai wo main zarur dunga
Amit: Baba aap yunhi soch rhe hain mujhe kuch ni chahiye
Vijay: wo chhod ja jaldi pehle sab se mil le pandit ji bas aa rhe hain fir hawan me baithna hai tujhe hamare sath
Amit : ji Baba main abhi jata hun
Fir amit apne manjhle mama k pas jata hai jo hawan ki vyawastha kar rhe the
Amit: paon laage mama ji
Ajay: are aagya beta jite rho sada khush rho bta kya chahiye tujhe janmdin par
Amit : are mama ji bas apka ashirwad hi kaafi hai aur kuch ni chahiye
Ajay : aise kaise nhi chahiye
Itna kehkar apni jeb se kuch rupay nikal kar amit ki jeb me dal deta hai amit mana karta hai magar ajay zabardasti paise de deta hai . Fir amit apne chhote mama kamlesh k pas jata hai jo k abhi apne room me hi tha
Amit : paon lage mama ji
Kamlesh: aa gya mera sher janmdin mubarak ho bol aaj kya tohfa chahiye tujhe
Amit : are mama ji kya pehle aapne koi kami rakhi hai jo mango kuch
Kamlesh: are ab tu jawan ho gya hai aaj 18 saal ka ho gya hai bta kya chahiye kuch bhi mang le
Amit : are nhi mama ji kitna bhi bda ho jaun rahunga to apka bacha hi
Tabhi kamlesh ki biwi yani ki deepika aa jati hai aur haste hue kehti hai
Chhoti mami: aaj to gaon ki sab ladkiyan mar hi jayengi hamare hero ko dekhkar . Kher nhi kisi ki aaj, main to kehti hun aaj aap Amit ghar se bahar hi na jane dena kya pta kisiki ki ladki ise dekhkar behosh ho gyi aaj to aap ko hi bolenge sab gaon wale k bhanje ko sambhal kar rakho
Chhoti Mami : happy birthday amit many many happy returns of the day aur tu apne mama ki jeb dheeli karwa dil khol kar tujhse kharch nhi honge to main kar lungi hihihihi
Amit : thanks Mami ji magar aap aise hi meri taang khichti rehti ho ladkion ki bat kar k mujhe nhi dekhna kisi ko . Aur paise mere pas pehle hi hain aap sab dete rehte hain magar main kharch karun bhi to kahan aise hi pade rehte hain
Chhoti mami: ( hairani se ) kyaaa.. tu paise kharch nhi karta . Are budhu hum tujhe dete hain kharch karne ko aur tu aise rakhe rehta hai chal bachu ab main batati hun tujhe k kharch kaise karte hain agle hafte tu tujhe shehar lejakar shoping karwati hun
Kamlesh: le jana le jana aur jitna paisa chahiye ho meri jeb se le jana magar abhi baten chhodo pandit ji aa rhe honge chalo jaldi
Fir teeno room se nikal kar baramde me aane lagte hain to amit kamini mami se milne ka bolkar unke room ki taraf nikal jata hai
Room ka darwaza khula tha amit jaise hi room me ghusne lagta hai achanak wo kamini se takra jata hai jisse kamini gir jati hai , kamini k hath me Bartan pakde the jo kamini k upar hi gir jate hain aur uski saadi gandi ho jati hai , kamini is sab se achanak gusse me aa jati hai aur kehti hai
Kamini: andha hai kya dekhkar nhi chal sakta mere kapde kharab kar diye kitni bar kaha hai subah subah apni manhoos shakal mujhe mat dikhaya kar, jab bhi samne ata hai kuch na kuch nuksan ho jata hai. Pta nhi kab pich chhutega mahoos se
Amit ye sunakr dukhi ho jata hai wo to ashirwad lene aya tha aur ye kya ho gya uski apni galti hai kyu itni jaldi me aya kya ho jata dekhkar aram se chalna chahiye tha.
Amit : mami ji galti ho gyi maaf kar dijiye main to aapse ashirwad lene aya tha aaj janmdin hai mera
Kamini: (gussa se )galti ho gyi ... are galti to hamse hui hai k tujhe is ghar me le aye zindagi narak bna di tune meri. Aur kaun sa janmdin kaisa ashirwad apne janmdin par hi apne nana nani ko aur apne maa baap ko kha gya aur mujhse ashirwad mang rha hai manhoos kahin ka
Ye bat sunkar mano amit ka kaleja fat gya jaise uske kaano me kisi ne jalta hua tel daal diya ho uski aankhon se aansoo behne lagte hain muh se ek shabd nhi nikalta uski taange mano uska apna hi wajan uthane me nakamyab ho rhi thi uska dil kiya k abhi use dharti nigal le ye sab baten amit k ilawa kisi aur ne bhi sun li thi jo amit k piche hi aa rha tha wo thi amit ki chhoti mami deepika jo kamini ko lene hi aa rhi thi darasal use pta tha k subah subah kamini ko amit ka chehra dekhna pasand nhi aaj amit ka janmdin hai kahin kamini kuch ulta sidha na keh de aur wohi hua jo wo nhi chahti thi k ho . Deepika bhag kar kamini ko shant karwati hai
Deepika: didi shant ho jaiye please ghar me hawan hai pandit ji aa gye hain kisi ne sun liya to khamkha ghar ka mahol bigad jayega aap please shant ho jaiye. Amit to chal mere sath aur didi aap jaldi aaiye bahar
Deepika janti thi k kamini ki baten sunkar amit k dil par kya bit rahi hogi bechara bina kisi kasoor k kamini se aisi jali kati sunta rehta hai magar abhi filhal ise kisi bhi tarah sambhalna hoga. Amit ko leke apne room me jati hai
Deepika: Amit chup ho ja ab tu chhota bacha nhi poora gabhru jawan ho gya hai . Kya acha lagta hai tere jaise hatte katte pehlwan ki ankhon me aansu chup ho ja
Amit to bas aankhon se ansu bahaye ja rha tha muh se ek Shan’s nhi nikal rha tha uske kano me kamini k shabd goonj rhe the
Deepika: dekh aaj tera janmdin hai aaj k din koi rota hai kya jaldi se chup ho ja apna hulia theek kar didi ne dekh liya to pta nhi kya hoga please chup ho ja
Magar amit to jaise abhi bhi unhi shabdo k jaal me fasa hua tha use chhoti mami ki koi bat sun hi nhi rhi thi fir deepika amit ko pani ka gilas pilati hai
Chhoti mami: Amit please control yourself agar didi ne dekh liya to unke dil pe kya bitegi meri nhi to didi ki parwah karle thodi c . Kya bitegi unke dil par tujhe yun rota dekhkar tujhe didi ki kasam chup ho ja
Itna sunte hi jaise amit neend se jagta hai aur apne aansoo ponchhta hua kehta hai
Amit: nhi mami ji main bilkul nhi rounga Ma ko main dukhi nhi dekh sakta wo to mera sabkuch hain
Chhoti Mami : ( thoda haskar) achaaaa matlab main kuch nhi . Wah bhai wah hum to yunhi samjh rhe the k hum bhi unke apne hain aur wo humen ajnabi kar gye
Itna sunte hi Amit k chehre par ek smile aa jati hai wo janta tha k mami aise hi hansi mazak karti hai sab se. is liye Amit muskura k kehta hai
Amit : aise mat kaho mami ji aap to meri sab se khas hain bilkul meri dost ki tarah maa k bad aap hi to hain jo mera itna khyal rakhti hai
Chhoti mami: bas bas makhan mat lga jaldi huliya theek kar pandit ji aa gye hain jaldi chal warna tere sath mujhe bhi daant padegi chal jaldi
Fir huliya theek kar k amit aur deepika pandit ji k pas aa jate hain jahan sab pehle hi bethe the kamini ko chhod kar
Gauri: are chhoti kamini kahan reh gyi use bula to jaldi pooja shuru honewali hai
Itne me kamini bhi aa jati hai pandit ji hawan karte hain aur chale jate hain uske sath hi amit sir dard ka bahana bna kar apne room me chala jata hai sone
Rajesh bhai yahan Arjun nhi Amit hai ?????Us aadmi ke saath Arjun ki koi khas pehchan nahi hai, bas ek baar ka waqya tha. Isiliye agar Shera vo aadmi hai to Arjun itna chonkta nahi. Jo haalat Arjun ki batayi gayi hai, vo sirf tab hi hosakti has jab koi khaas pehchan vala ho.
Pyaar 100 baar ne dimag ki waat laga rakhi haiRajesh bhai yahan Arjun nhi Amit hai ?????
Ha ha ha ha sahi kaha bhai kuch chizen aise hoti hai jo apki soch se jati nhiPyaar 100 baar ne dimag ki waat laga rakhi hai