Update 155
‘ badi khas pehchan hai teri is Dr se’
Dr rina se mil kar jab main aur nidhi didi ghar k liye nikle to nidhi didi ne ye bat kahi.
Amit : wo bas aise hi didi maine bataya na aapko. Unki sister Radha k sath hi padti hai.
Nidhi didi : magar unhone to saf bata diya k tum dono pehle se dost ho.
Amit : ek dost ko chot lagi thi to use isi hospital me laya tha tab pehli bar mila tha. Uske bad aise hi kai bar accident mulakat hui aur jan pehchan ho gyi.
Nidhi didi : wo jis trah bat kar rahi thi usse to bat jan pehchan se aage ki lagti hai.
Amit : are kya didi aap bhi kaun c bayen le kar baith gyi . Wo sirf dost hai meri aur jo madam mujhe padari hai na inki bua hai wo. Bas is liye ache se bat kar lete hain hum dono.
Nidhi aise sawal kar rahe hai thi jaise wo Amit aur rina k beech me chhipe rishte ko dhoondhna chahti ho. Amit chahe ise dost keh raha tha par rina ki baton aur uske dekhne se nidhi ko kuch aur hi lag raha tha. Ek ladki hone k nate use samajh aa gyi thi k rina k dil me Amit k liye kya feelings hain. Nidhi ko waise to khush hona chahiye tha k uske bhai ko itni sundar ladki chahti hai aur upar se Dr bhi. Par nidhi uske ulat apne andar jalan c mehsus karne lagi thi. Ek ghatna se hi jaise sab kuch badal kar rakh diya tha. Bhai ki tarah Amit ko chahne wali nidhi ab Amit ko lekar kuch alag hi mehsus kar rahi thi. Amit ne filhal use chup to karwa diya tha par nidhi ka man is bat se dar bhi raha tha k Amit ki zindagi me pehle se hi koi aur to nahi ?
Amit : kya hua didi aap khamosh kyun ho gyi ? Kuch to boliye ?
Nidhi didi : kuch nahi wo main bas soch rahi thi k ghar par kya kahungi? Tumhe to college hona chahiye tha aur main apni dost k ghar jane ka bol kar nikli thi. Ab hum dono sath me hai to kya jawab denge upar se tumhe chot bhi lagi hai.
Amit : to kya hua ? Aap ab bhi yehi kahna aap apni dost k ghar se aa rahi hain. Aur main college se . Nidhi hai bat chot ki to wo to jo sach hai wo hi bataunga main.
Nidhi didi : par tumne jis tarah meri jan bachai hai wo sabko pata chalna chahiye na.
Amit : didi , mere liye aap zaruri hain apka maan samman zaruri hai . Kisi ko bata kar mujhe kya lena hai ? Waise bhi main nahi chahta ye bat kisi ko pata chale. Ise bura Sapna samajh kar bhool jaiye aap.
Nidhi didi : tum bahut ache ho Amit , agar tum waqt par na aate to aaj main ......
Itna keh kar didi roti hui meri pith se chipak gyi . Maine bike ko side me roka aur bike se utar kar didi ko gale laga liya . Didi ro rahi thi aur mujhse ye bardasht nahi ho raha tha .
Amit : didi , aap janti hain ? Jab aap roti hain to mere dil me dard hota hai. Aur aap bar bar aise ro kar mujhe dukh de rahi hain. Kya aap chahti hain k aapka ye bhai bhi apke sath roye?
Nidhi didi : nahi , nahi main ye kabhi nahi chahti .
Amit : to fir ye rona band kijiye . Agar aap k sath kuch alag hi jata to main un dono kutton ko jaan se mar deta fir chahe aap kitna bhi mujhe rokti. Aap meri sabse pyari didi hain . Bachpan se ek aap hi to hain jo mujhe itna pyar karti aayi hain. Aapki taraf buri nazar se dekhne wale ki main ankhen nikal lunga .
Nidhi didi : itna pyar karte ho mujhse ?
Amit : main nahi janta k kitna par sabse jyada .
Nidhi didi : kya mujhe hamesha hi pyar karega sari zindagi??
Amit : hamesha .
Nidhi didi : main bhi yahi chahti hun tu mujhe sari zindagi pyar kare . Bhagwan har janam me mujhe teri hi banaye .
Amit : main bhi yahi chahta hun to k jab bhii janam ho to aap hi meri didi ho.
Nidhi didi ne ek bar meri ankhon me pyar se dekha aur meri peeth par unke hath kas gye . Didi shant hone tak mere gale se lagi rahi aur main unki peeth sehlata raha. Fir mere gaal ko pyar se chumti wo pyar bhari nazaron se dekhti hui boli.
Nidhi didi : main bhi chahtati hun tum har janam mujhe milo.
Didi ko Maine piche bithaya aur chal diya ghar ko. Apna to ilaj Maine karwa liya tha par bike ka bhi ilaj karwana tha to is liye hum pehle bike ko mechanic k pas chhod kar fir auto me ghar gye. Ghar aate aate 5 baj gye the. Ab to naina didi aur rajani mausi ka bhi phone aa gya tha. Magar maine bas itna hi kaha k main ghar aa raha hun. Jab hum ghar pahunche to didi k bell Bajane par darwaza naina didi ne khola . mujhe aur didi ko sath dekh kar wo hairan hui . Humen andar lete hue unhone darwaza band kiya par jaise hi unki nazar meri baju par bandhi patti par padi to wo zor se boli
Naina didi : ye chot kaise lagi tujhe ?? Kya hua hai tere sath aur teri bike kahan hai ? Accident hua hai kya tera ??
Amit : kuch nahi didi wo chhota sa accident tha bas . Mamuli si ragad lagi hai.
Didi thoda uncha boli thi to mausi bhi unki awaz sunkar hamare pas aa gyi .
Rajani mausi : hye hye ye kya ho gya tujhe ? Kahan se chot lagwa kar aa raha hai ? Dikha mujhe . Hey bhagwan , aur kahan kahan lagi hai bata mujhe .
Rajani mausi meri chot dekh kar ghabra hi gyi thi aur chinta se mujhe achi tarah khud hi check karne lagi :
Amit : main theek hun mausi ji. Bas bike slip ho gyi thi to chot lag gyi .
‘ bike chalani nahi aati to chalata kyun hai ? Cycle le le ya auto se Jaya kar. Pata nahi mana ne tujhe itni mehengi bike kaise lis di ‘
Ye bat karan bhaiya ne kahi andar aate hue. Shayad wo bhi bahar se kahin se aa rahe the. Mujhe unka is tarah se bat karna acha to nahi laga par mere bade the to main chup raha. Magar unki is bat se rajani mausi k sath naina didi aur hamesha shant rehne wali nidhi didi ko bhi gussa aa gya .
Rajani mausi : teri zuban kuchh jyada hi nahi chalne lagi aaj kal. Tera chhota bhai hai ye. Tune itni bar apni bike ka nuksan kiya tujhe to kabhi mana nahi kiya maine to fir kaise sawal utha raha hai is par.
Karan bhaiya : mujhe isse mila rahi ho aap ? Main bada hun isse aur ache se janta hun bike chalana.
Naina didi : Amit bhi ache se janta hai. Accident kisi k bhi sath ho sakta hai fir tune ise kaise itni badi bat keh di?
Karan bhaiya : o acha to tum bhi tarafadari karne lagi .
Nidhi didi : gusse me ) karan !!! Tujhe tameez bhool gyi hai bat karne ki??
Karan bhaiya : acha ab meri baten buri lagne lagi hain sabko. 2 din k liye ye mehman kya ban kar aa gya ab meri jagah ise doge aap log? Rakho is manhoos ko apne pas hi. Jo apne ma bap nana nani ko kha gya aap ko bhi kha jayega .
Rajani mausi ko ye bat bardasht nahi hui to unhone aage bad kar khinch kar ek jhannate dar thappad mar diya karan bhaiya k muh par.
Rajani mausi : itna zeher kahan se bhar gya tere andar ? Maafi mang isse abhi
Karan bhaiya : iske liye mujh par hath uthaya , ja raha hun main ghar se . Rakho isi ko apne pas .
Itna keh kar karan bhaiya ghar se nikal gye paon patakte hue. Rajani mausi ka chehra gusse se lal tha aur nidhi didi k sath naina didi bhi gusse me thi. Magar aaj karan bhaiya ne wo baat keh di thi jo main ab bhool chuka tha. K main manhoos hun aur apne mata pita k sath apne nana nani ko bhi kha gya. Apne aap hi meri ankhon me pani aa gya aur ankhen chhalak gyi. Main chup chap sidiyan charh kar apne kamre me aya aur apna bag kapdon se bhar kar kandhe par utha liya . Jaise hi main muda samne naina didi khadi thi. Unki ankhon me bhi aansoo the.
Naina didi : kahan ja rahe ho ?
Amit : mujhe jane do didi main aur bardasht nahi kar sakta. Meri manhoosiyat kahin is haste khelte ghar ki khushiyon ko aag na laga de.
‘ khabardar jo khud ko manhoos kaha toh , tu to hum sab ki aankhon ka tara hai. Wo to pagal hai . Gusse me pata nahi kya kya keh gya tu uski baton par dhyan mat de. Usko to main sidha karti hun zara use ghar to aane de. ‘ ye bat rajani mausi ne kabi thi kamre me aate hue. Aur aate hi mere hath se bag lekar wapis rakh diya.
Rajani mausi : kya apni is mausi se pyar nahi tujhe ? Tu uski baton me aakar mujhe chhod dega ? Kya meri koi keemat nahi teri nazron me ? Kya main teri ma nahi ?
Rajani mausi ki ankhen bhi bhar aayi thi ye bat karte karte . Mujhe apni galati ka ehsas ho gya. Main mausi k aansoo ponchta hua unke gale lag gya .
Amit : mujhe maaf kar do mausi. Par kya karun jab koi mujhe manhoods kehta hai to mujhse bardasht nahi hota .
Rajani mausi : tujhe kya lagta hai mujhe acha lagta hai ? Meri chhoti behan ka beta hai tu. Jitna wo mujhe pyari thi usse jyada pyar main tujhe karti hun . Tere me hi to main apni behan ko dekh leti hun. Kya tu mujhse door ja kar mujhe apni behan ka doshi banana chahta hai? Tere liye main apne bete ko chhod sakti hun par tujhe nahi. Jab tak wo tujhse mafi nahin mangta use is ghar me nahi ghusne doongi .
Amit : nahi mausi aisa mat kaho , iski zarurat nahi hai. Karan bhaiya aapke bete hain
Rajani mausi : to kya tu nahi hai ? Dikha mujhe ye chot kahan se lagwa kar aya hai.
Amit : sab theek hai mausi bas thodi si ragad lagi thi girne se. Patti karwa li hai aur dawai bhi li hai .
Rajani mausi : chal main tere liye haldi wala garam doodh le kar aayi hun. Tu aram kar.
Itna keh kar mausi niche chali gyi to meri nazar ab naina didi par padi .
Naina didi : bada gussa ata hai na tujhe , ek bar bhi mere bare me nahi socha. Bas yahi tha tera pyar ?
Naina didi ki ankhon me aansoo dekh kar aur unki in karuna bhari baton se main khud ko rok na paya aur uth kar unhe apne seene laga liya .
Amit : aisa mat kaho aap , main aap par to gussa nahi tha . Wo bat hi aisi thi k main bardasht nahi kar paya.
Naina didi : gussa karan par tha par saza to mujhe de rahe the na. Aur mere sath ma aur didi ko bhi. Pata hai didi ki ankhon me bhi aansoo aa gye the aur wo apne kamre me chali gyi thi tere upar aate hi.
Amit : kyaa ??? Didi ro rahi hain ??
Naina didi : kaun nahi to raha ?
Maine didi ki ankhon se aansoo saf kiye aur unke honthon par apne honth rakh diye . Didi k makhan se mulayam gulabi honth apne hontho me lete hi main unhe chusne laga. Didi ne bhi mere gale me bahen dal li aur kiss karne lagi . Kuch pal kiss karne k bad main kiss todi aur naina didi ki ankhon me dekha to wo Sharmane lagi .
Naina didi : aise kya dekh rahe ho ?
Amit : dekh raha hun aap pehle se bhi mithi ho gyi hain aur sundar bhi .
Naina didi : hatt badmash, rat ko bataungi tujhe . Bahut tang karne laga hai tu mujhe.
Itna keh kar mere honth chum kar didi niche bhag gyi . Main bhi unke piche piche niche aa gya. Sidiyan utarte thoda dard mehsus ho raha tha mujhe ghutne Me par maine dhyan nahi diya. Nidhi didi k kamre ka darwaza band tha. Maine darwaza khola to dekha didi takiye me muh chhupaye ulti leti hui thi. Main unke sir k pas ja ke Baith gya aur unke chehre par aaye bal ek taraf hataye to unka chehara aansuon se bhara hua tha. Didi ne nazren utha kar mujhe dekha to unki nazron me apne liye pyar aur dard dekh kar maine unke aansoo ponchte hue unhe uthaya. Didi uth kar baithi aur mujhe gale laga liya .
Nidhi didi : mujhe maaf kar do amit , karan ki taraf se main maafi mangti hun. Tu jo chahe saza mujhe de de par is ghar se Ruth kar mat jana. Agar tu aise mujhe chhod kar gya to main khud ko kabhi maf nahi kar paungi .
Amit : are didi kaisi baten kar rahi ho . Main bhala aap se naraz ho sakta hun? Aap to meri sab se pyari didi ho. Main kahin nahi ja raha . Wo to bas mujhe karan bhaiya ki bat buri lagi aur fir meri vajah se itna kuch ho gya to maine socha k ....
Nidhi didi : kya soch ?? K tu mujhe chhod kar chala jayega to sab theek ho jayega ? Khud hi to keh rahe the hamesha mere sath rahoge aur ab aise ja rahe the? Kuch hi ghanton me Umar bhar ka wada tod kar ja rahe the ?
Amit : aisa bhala ho sakta hai ? Main pas rahun yan door rahun aap hamesha mere dil me rahogi ye aap hamesha yad rakhna.
Nidhi didi : par main chahti hun tum hamesha mere pass raho . Tumne jo ehsan mujh par kiya hai uska karz main jan de kar bhi nahi chuka sakti.
Amit : aisa mat kaho didi, bhai kabhi behan par ehsan nahi karta. Agar meri jaan bhi chali jati to bhi main apko kuch .....
Nidhi didi ne mere muh par hath rakh kar meri bat beech me hi kaat di.
Nidhi didi : aisa fir mat kehna, bhagwan kare tumhe meri bhi Umar lag jaye. Tum nahi jante tum mere liye kya ho .
Nidhi didi fir se mere gale lag gyi. Ek bat par didi ne dhyan nahi diya k jab wo ghar aayi thi to sir ko ache se dupatte se Dhaka hua tha aur ab dupatta sir se utar chuka tha . Idhar naina didi pata nahi kab kamre me aa gyi thi aur Humen dekh rahi thi.
Naina didi : ab kya sab ko rulata hi rahega? Chal hat piche , meri pyari didi ko rulaye ja raha hai .
Naina didi ne ye bat kahi to mere sath nidhi didi k chehre par bhi muskan aa gyi. Didi k piche hat te hi naina didi ki nazar nidhi didi k sir k Laal hisse par pad gyi.
Naina didi ( chonkte hue ) didi ye kya ? Aapke balon me ye lal lal kya laga hai?
Nidhi didi : ku kuch nahi kuch nahi wo wo
Amit : wo mere hath se khoon beh raha tha na to wo didi k balon me lag gya .
Naina didi : par tere hath ka khoon didi ko laga kaise ? Didi to apni friend k pas gyi thi na?
Amit : han to main didi ko wahin se to lene gya tha jab mera accident hua. Mujhe to pta hi nahi tha k mere hath se khoon beh raha hai aur jaise hi maine hath didi k sir par hai rakha to didi ne hi bataya k khoon beh raha hai.
Maine didi ko hadbadate dekh khud bat ko sambhalne ki koshish ki.
Naina didi : par tum didi k sir par hath kyun rakh rahe the? Didi tumse badi hain chhoti to nahi jo tum unke sir par hath rakhoge. Bat kya hai didi ? Aap dono kuch chhupa rahe ho mujhse?
Nidhi didi : nn nahi to aisa kuch nahi hai. Tujhse bhala kya chupaungi main ?
Naina didi : ye to aise lag raha hai jaise kisi ne aapki maang bhari ho . Kahin aapne chupchap shadi to nahi kar li ?
Nidhi didi naina didi ki is bat par shocked ho gyi. Aur mera bhi is bat par matha thanka .
Amit : ye aap kya keh rahi ho didi ?
Naina didi : are mazak kar rahi thi, dekh zara didi ki halat kaisi ho gyi hai. Jaise sach me didi ne chhup kar shadi kar li ho. He he he
Naina didi itna keh kar khil khilane lagi . To nidhi didi ne bhi chain ki saans li .
Nidhi didi : ruk zara main batati hun tujhe .
Nidhi didi ne naina didi ko pakadne ki koshish ki to wo uth kar bhag gyi. Didi ab muskura rahi thi aur jaise maine unki taraf dekha to unhone ne Sharma kar nazren jhuka li.
Amit : sorry didi meri vajah se aap ko .....
Nidhi didi : sorry kyu bol rahe ho ? Tumne kuch bhi to nahi kiya . Ye to sab achanak hua na . Aur sab upar wala hi karta hai tu tension mat le main tujhse naraz nahi hun.
Amit : chaliye ab ise saaf kar lijiye warna agar mausi ne dekh liya to pakka class lag jayegi.
Nidhi didi : main kar lungi . Chal tu fresh ho k kapde badal le fir tujhe malish bhi karni hai yad hai na?
Amit : are main theek hun kuch bhi nahi hua mujhe.
Nidhi didi : tu jata hai k nahi ?
Amit : acha acha jata hun.
Tabhi mujhe yad aya meri jeb me wo patti padi thi jo didi ne apna dupatta faad kar bandhi thi .
Amit : didi ye apke dupatte ka hissa, ise main de k nahi sakta tha is liye Dr se wapis le liya tha. Waise to khoon lagne se bekar ho gya hai par fenkna mujhe acha nahi laga .
Nidhi didi ne mere hath se wo patti le li aur meri ankhon me dekhte hue boli .
Nidhi didi : ye tumne acha kiya. Ise main hamesha sambhal kar rakhungi apne pas. Ye mere liye anmol hai.
Itna keh kar didi ne us khoon se lal ho chuki patti ko choom liya. Khoon to sukh chuka tha par rangat to thi hi . Mujhe laga k shayad wo meri yad samajh kar ise rakhna chahti hain to main bhi bina kuch kahe unke kamre se nikal kar apne kamre me aa gya. Naina didi mujhe doodh ka gilas de gyi jise pikar main nahane chala gya .
Nidhi Amit k jane k bad us patti ko dekh kar wo nazar yad karne lagi jab amit usko bachane k liye wahan aya tha aur aate hi us manager ko janawaron ki tarah utha utha kar patak raha tha . Agar aaj wo amit ko na rokti to wo manager ko mar hi deta . Kaise khoon sawar tha uske sir par . Sirf nidhi k liye .
Nidhi ( man me ) kitna pyar karta hai mujhse mere bhai
Bhai shabd jaise ab bojh sa lagne laga use aur uski ankhon me apni khoon bhari mang aa gyi. Bhai se bad kar ab Amit kuch aur ho gya tha aur ye sab bhagwan ki marzi thi . Ye sab anjane me hua tha.
Nidhi ka dimag : ye tu kya soch rahi hai nidhi ? Wo tera chhota bhai hai. Bhool gyi bachpan se tu use goad me khilati rahi hai. Wo tumhe apni sabe se pyari behan manta hai aur tu use pati samajh rahi hai . Wo sirf ek accident tha. Anjane me hui ek ghatna . Bhool ja use. Aisa sochna bhi pap hai .
Nidhi ka dil : ‘ paap ‘ ? Paap to wo tha jo tere sath aaj hone ja raha tha. Kaun tha us waqt tere pas ? Apni jaan ki parwah na karte hue wo tujhe bachane wahan tak aa gya. Tune to use bataya tak nahi tha . Ghar me aur bhi to log the par Tera dard kisi aur ne mehsoos kiya ? Tere sage bhai tak ne tujhse pucha tak nahi tha. Dekha nahi tha accident hone k bawajood wo khoon se lathpath tere piche aya. Use to apni parwah hi nahi thi koi. Kya tu uska ehsan kabhi utar sakti hai? Ye bhagwan ki hi marzi thi. Bhagwan ne hi use bheja tha . Warna soch k wo kaise aa gya ? Aur fir wo khoon kaise teri maang tak pahunch gya ? Kya ye sirf accident tha ? Nahi nidhi wo tere liye wardan hai bhagwan ka. Aaj tak tune kisi ladke ko aankh utha kar bhi nahi dekha . Kis liye ? Sirf isi liye na k yahan har koi jism ka bhookha hai , teri aur teri pariwar ki izzat ko koi roll na de tu isi liye sab se bachti rahi aur aaj jab teri duniya lutne wali thi to Amit farishta ban kar tujhe bachane aa gya . Aur kya kami hai usme ? Tujhe pyar karta hai teri izzat karta hai . Dil ka saf hai aur kitna handsome bhi hai. Aisa ladka to kismat walon ko milata hai . Tu use sirf is liye chhod degi k wo rishte me tera bhai lagta hai . Mat bhool wo bhagwan ka wardan hai tere liye. Aur kaun sa saga bhai hai tera wo.
Dimag : ‘ bhai ‘ !! Bhai hi to mana hai tumne use hamesha . To fir kaise aaj use pati man legi ? Mat bhool wo tujhe sirf apni behan manta hai. Wo kabhi is rishte ko swikar nahi karega. Ye sarasar galat hai . Kya jawab degi agar kisi ne pucha k tumne apne se chhote ladke aur apne hi bhai ko pati kaise man liya ? Is rishte ki samaj me koi jagah nahi hai .
Dil : kis samaj ki bat kar rahi hai tu ? Aurton ko sirf khilauna samajhne wala ye samaj tab kahan hota hai jab kisi ladki k sath jyadati hoti hai? Aur rishte ki bat hi mat kar. Yahan sage rishtedar hi izzat taar taar kar dete hain ye to fir bhi tera cousin hai. Aur aise rishton me shadi to ho bhi sakti hai.
Dimag : kaisi shadi ? Jab wo tujhe behan manta hai to shadi ka sawal hi kahan reh jata hai?
Dil : to kya hua wo bahan manta hai ? Usi k khoon se teri maang bhari gyi hai aaj . Aur is nate wo tera pati hi hai . Agar aisa nahi hai to bata jan se usne teri maang bhari hai tu use bhai kyun nahi keh pa rahi ??
Ye bat bilkul sahi thi. Jane anjane nidhi Amit ko bhai nahi keh rahi thi jan se Amit k khoon se uski maang bhari thi ya aise keh lo jab se usne apni maang me Amit ka lahu dekha tha tab se uski zuban uska dil Amit ko bhai keh hi nahi pa raha tha. Nidhi ka dimag uske dil k aage harta hua mehsus hua use. Waise bhi nidhi dil ki achi thi aur dil se faisle leti thi personal life me .
Nidhi ( man me ) wo mane ya na mane par main use ab apna pati hi manungi par kabhi us par zahir nahi karungi. Dekhte hain bhagwan kya chahta hai? Agar ye sab uski ki marzi hai to uska pyar mujhe zarur milega agar nahi to bhi main use dil se pati manti rahungi.
Itna sochte hue nidhi ne jab sheeshe me khud ko dekha to maang me Amit k khoon se sani patti gehne ki tarah sazi hui thi. Jise dekh kar wo khud hi sharma gyi . Apne khud k vicharon me khoi jaise wo apne dil se majbur khud hi apni mang ko fir se saja rahi thi us sindoor roopi Amit k khoon se.
Nidhi : ab ise main hamesha apne pas sambhal rakhungi. Meri maang ab isi se hi sakti rahegi. Tum mano ya na mano maine tumhe apna pati man liya hai. I love you
Itna kehte hi nidhi ki dhadkan itni tez ho gyi k use apne kano me sunai dene lagi . Hasti muskurati aur sharmati wo khud hi takiye me muh chhupaye fir se bed par dhadam se gir gyi.
Main apne kamre me naha kar fresh hua aur kapde badal kar let gya pata nahi kab meri aankh lag gyi . Sheena Shivani ko sath le kar aaj apne farm house par hi rahi kal ki party ki taiyari k liye .
Rima aur Radha dono hi is bat par udas thi k aaj Amit se bat nahi hui. Halanki message to aa gya tha Amit ka k wo zaruri kam se bahar hai par dil man nahi raha tha . Rima to fir bhi khud ko kisi tarah sambhal gyi thi k chalo kal to Milna hi hai. Is liye wo kal ki taiyari me jut gyi . Radha ka dil bechain tha , uska dil bar bar amit ko yad kar raha tha. Use aisa lag raha tha jaise amit kisi mushkil me hai. Amit kahin bhi ho wo bat zarur kar leta tha Radha se chahe der se hi sahi par aaj subah se sham ho gyi na usne phone par bat ki na shakal dikhayi . Ghar par aa kar bhi jaise use karar na tha. Divya bhi apni beti ki bechaini dekh rahi thi par use pata nahi tha k bat kya hai. Radha apne kamre me bed par leti Amit k bare me hi soch rahi thi k divya uske pas aa gyi.
Divya : kya bat hai beti kis soch me gum ho ? Koi bat hui hai Kya ?
Radha : nahi ma aisi koi bat nahi hai.
Divya : to fir meri pyari beti itni udas kyun hai?
Radha : aaj Amit college nahi aya aur upar se phone par bat bhi nahi ki . Aisa wo kabhi nahi karta . Kam se kam bat to kar hi leta hai wo.
Divya : to is liye pareshan hai meri bachi. Isme kaun si badi bat hai. Abhi dekh main phone karungi to dekhna ek minute me utha lega chahe kahin bhi busy ho .
Divya ne apne phone se Amit ko phone lagaya to usne nahi uthaya. Radha ko dilasa dete hue usne fir se dial kiya par is bar bhi result wahi tha. Radha ki bechaini aur bad gyi . Ab to divya ko bhi shak hone laga k kahin kuch hua to nahi ? Divya ne ab apni badi behan ko phone laga diya . Kam se kam wo to bata hi Dengi agar kuch hua to .
Rajani : aa gyi badi behan ki yad ? Shikaar hai warna mujhe to laga tha k tu bhool gyi hai k main bhi yahin par hun.
Divya : kaisi baten karti ho didi ? Bhala aap se kabhi main door ho sakti hun ? Aap ka hi to sahara hai mujhe.
Rajani : to Milne kyun nahi aati ?
Divya : bas didi Radha ka bhi to college hota hai na to isi liye nahi aa pati. Waise didi ek bat puchni thi aapse
Rajani : puch kya bat hai ?
Divya : Amit theek to hai na? Wo phone nahi utha raha.
Rajani : wo so raha hai apne kamre me. Par tujhe kaise pata wo theek nahi hai ?
Divya : ghabrate hue ) kya hua mere bache ko ? Batao didi kya hua hai use ?
Rajani : are ghabra mat chinta wali koi bat nahi hai. Wo aaj uska chhota sa accident ho gya tha to baju par thodi si chot lagi hai. Dr ko dikha kar aya tha wo .
Divya : kya ???? Accident
Divya rajani k muh se accident sun kar jahan andar se ghabra gyi wahin Radha ka dil bhi ma k muh se accident shabd sunte hi ghabrane laga .
Divya : ye sab hua kaise didi ?
Rajani : keh raha tha bike slip ho gyi. Par sach kahun to us bat se utna dukh nahi hua hoga jitna uske bad hua.
Divya : kya hua uske bad didi ? Kya ho raha hai wahan ?
Rajani : tu jab milegi to bataungi phone par ye bat nahi karna chahti main. Tu aa jana jab tujhe time mile .
Divya ne mehsus kiya tha k didi bhi kisi bat se dukhi hain . Bat karte hue unki awaz me chhupa dard usne mehsus kiya tha. Rajani ne itna keh kar phone kat diya aur divya soch me pad gyi use Amit ki chinta hone lagi . Uska dil kehne lga k use abhi Amit k pas jana chahiye par is waqt sham k 7 bajne wale the aur is samay jana sahi nahi tha. Radha ko lekar wo is waqt kahin nahi jana chahti thi . Kal jane k bare me soch kar jab usne Radha ki taraf dekha to apne bistar par nahi thi. Tabhi batharoom ka darwaza khul aur Radha andar se nikal kar uske samne aa kar khadi ho gyi .
Radha : jaldi karo ma hath muh dholo aap bhi . Kapde yahi theek hain . 15 minutes me hum mausi k ghar pahunch jayenge .
Divya to Radha ko dekh kar hairan ho rahi thi. Kahan wo bister par udas si padi thi aur ab kaise bina puche hi khud faisla kar liya jane ka. Divya ne bhi koi bat nahi kari aur jaldi se wo bhi hath muh dho kar taiyar ho gyi jane k liye . Radha ki tarah dil to uska bhi amit ko dekhne ko machal raha tha. Pata nahi kis hal me hoga kitni chot lagi hogi use aur didi ne jo bat nahi batayi pata nahi wo kya hai . 10 minutes me dono ma beti ghar ko achi tarah lock kar k scooty par nikal gyi rajani mausi k ghar ki taraf . Radha show nahi kar rahi thi par wo dar rahi thi k kahin Amit ko jyada chot to nahi aa gyi.
Idhar main apne kamre me so raha tha k mujhe apne ghutne par dabav mehsus hua. Kuch dard hua to meri neend uchak gyi . Maine ankhen khol kar dekha to nidhi didi meri bagal me baithi mere ghutne ki malish kar rahi thi. Mai ek dam se uth gya aur unka hath pakad liya.
Amit : ye kya kar rahi ho didi ?
Nidhi didi : chup chap leta reh aram se , Dr ne kaha tha malish karni padegi warna sujan barh jayegi. Dekh ab bhi kitna suja hua lag rha hai.
Amit : aap rehne do didi main kar lunga
Nidhi didi : tumne suna nahi ya dun tere kaan k niche.
Didi ne nakali gussa dikhate hue ye bat kahi to mujhe hansi aa gyi.
Nidhi didi : hans kyu raha hai?
Amit : hasun nahi to kya karun, aap ne aaj tak kabhi kisi ko mara bhi hai ? Yad hai mujhe kabhi chot lag jati thi bachpan me to aansoo aapki ankhon me aa jate the. Aur ab bhi to waisi hi hain aap . To marengi kaise ?
Nidhi didi : jyada baten mat bana , agar bat nahi manega to maar bhi dungi keh deti hun main. Waise bhi mera hak hai tumhari sewa karna.
Amit : apna hak ? Badon ki sewa karna to chhoton ka hak hota hai aur aap ulti Ganga baha rahi hain .
Nidhi didi : ulti nahi sidhi hi hai. Dekha nahi Lakshmi ji ko bhagwan Vishnu k pain dabate hue?
Amit : par wo to unki biwi hain na . Aur aap meri behan ho.
Nidhi didi : chup karega ya nahi ab ? Mujhe mera kam karne de bas ab aur koi bat nahi .
Main chup kar gya ab didi k aage main kya kehta. Abhi didi mere ghutne ki malish kar hi rahi thi k Radha daudte hue kamre me aayi aur darwaze par hi khadi ho kar mujhe dekhne lagi. Uski saanse fooli hui thi jo bata rahi thi k wo bina ruke sidiyan daud kar charh kar ayi hai. Par ab wo bina bole bas mujhe dekh rahi thi aur ankhen dabadaba si gyi thi uski. Didi ne bhi use dekha. Main to bas Radha ko dekh kar khamosh ho gya kyunki main samajh gya tha k wo naraz hogi aur dukhi bhi .
Nidhi didi : are Radha tum ? Itni saans kyun Fula rakhi hai? Aur ye kya ? Tu ro rahi hai ?
‘ saans to foolegi hi , daud kar jo ayi hai niche se ‘ Radha k piche piche hi divya mausi aur rajani mausi bhi aa gyi.
Divya mausi : to yahan aa kar tu mujhe bhi bhool gya ? Ek phone kar k bata nahi sakta tha k tujhe chot lagi hai . Leta reh wahin.
Divya mausi ko dekh kar main bed se uthne laga to mausi khud hi mere pas aa gyi. Nidhi didi uth kar mausi se gale lag kar mili aur fir Radha se bhi .
Amit : sorry mausi par ye mamuli si chot thi to kyun pareshan karta main apni pyari mausi ko? Waise aapko kisne bataya ?
Divya mausi : chot thodi ho jyada batana to chahiye na. Aur tu nahi batayega to kya koi aur bhi nahi batayega . Didi hain meri bhi is ghar me. Dikha to zara .... ise mamuli chot kehta hai tu ? Ghutna suja hua hai aur ye patti itni badi laga rakhi hai . Tu gir kaise gya bike se ? Itna ache se to chalata hai fir kaise gir sakta hai ?
Amit : wo mausi Morh par slip ho gya tha. Aap to aise hi chinta kar rahe ho . Kuch bhi nahi hua mujhe.
Divya mausi : tu chup kar , la nidhi wo cream mujhe de main laga deti hun apne bete ko.
Nidhi didi : are mausi ji main kar rahi hun na.
Divya mausi : to ab tu bhi meri bat nahi manegi?
Divya mausi ne itna kaha to didi ne cream unke hawale kar di . Ab Mausi mere ghutne ki malish karne lagi . Maine mana karne ki koshish bhi nahi ki kahin mausi gusse me kuch aur hi na keh den. Itne me naina didi Radha aur divya mausi k liye thanda le aayi. Divya mausi ne ache se pehle malish ki aur fir mere ghutne ko cover karne k bad hi thande ka gilas pakda . Tab tak naina didi aur nidhi didi Radha se bat karne lagi par Radha bas beman se jawab de rahi thi magar uska sara dhyan meri taraf hi tha.
Rajani mausi : chal aa divya mere sath , zara tujhse bat karni hai.
Divya mausi turant uth khadi hui aur dono niche chali gyi . Ab Radha chal kar mere pas aayi .
Radha : ek phone tak nahi kar sakte the tum? Kya itna bhi zaruri nahi samjha tumne ?
Radha k is sawal par to meri bolti hi band ho gyi .
Nidhi didi : isme iska kasoor nahi hai Radha. Iska phone maine hi silent kar k alag rakh diya tha warna ye to na rest karta na Dr k pas jata. Ise kuch mat kaho .
Radha : aap iski galti par parda mat dalo didi. Ise batana chahiye tha mujhe . Kam se kam ek phone to kar hi sakta tha.
Radha khud ko sambhal kar bat kar rahi thi par uske ek ek shabd se dard jhalak raha tha.
Naina didi : o meri mom ki gudiya tu kyun tension leti hai . Main hun na tere sath . Dono mil kar iski ache se khabar lete hain . Aaj tu yahin rehna .
Radha : nahi didi ghar jana hoga . Ghar akela nahi chhod sakte na hum .
Amit : ghar kahin bhag nahi jayega , chup chap yahin ruk jao. Itne andhere me aane ki kya zarurat thi ? Ab yahin ruko rat bhar .
Radha : agar din ko bata dete to din me na aa jaye huM. Ab chinta ho rahi hai andhere ki ??
Radha ne narazagi se ye bat kabi.
Naina didi : bilkul sahi , apni galti to manta nahi ye. Par tu bhi nahi jane wali ab kahin suna.
Radha : theek hai nahi jati kahin par main naraz hun sun lo ache se.
Meri taraf dekhte hue Radha ne ye kaha aur uth kar bahar chali gyi sath hi naina didi.
Nidhi didi : Radha to sach me naraz lag rahi hai tumse .
Amit : hmmm , par jyada der rahegi nahi mujhe pata hai use kaise manana hai . Aap dekho kahin mausi jane ki zid na karen. Itni rat ko jana theek nahi hai dono ka . Agar zid karengi to keh dena ghar chhodne fir main jaunga .
Nidhi didi : jo agay maharaj .
Itna keh kar didi muskurati hui mere balon me pyar se hath chalati hui chali gyi .
Rajani divya ko sath liye apne kamre me aa gyi aur darwaza band kar diya.
Divya : kya bat hai didi ? Kuch gadbad hui hai kya ?
Rajani : kya bataun divya , ye karan ko pata nahi kya ho gya hai? Pata nahi kin ghatiya ladkon ki sangat karne laga hai. Aaj usne wo keh diya jo jise sun kar ab mujhe apne aap par sharam aa rahi hai.
Divya : kaha kaha karan ne aur kise kaha ?
Rajani : ab kaise bataun mujhe to sharam aa rahi hai . Please mujhe galat mat samajhna meri behan tu janti hai main Amit se kitna pyar karti hun.
Divya : main janti hun didi, aap ne hi to use sabse jyada pyar kiya hai hum behno me . MAin to apne gusse me apni zimmedari nibha hi na payi.
Rajani : dil chhota mat kar meri behan. Karan ne aaj Amit ko keh diya k wo manhoos hai. Aur apne ma bap ko kha gya .
Divya : kyaaaaa ???????? Karan ne aisa kaha ???
Rajani : mujhe to khud badi sharam aa rahi hai behan. Aise sanskar to na diye the Maine . Amit par kya guzari hogi ye to andaza bhi nahi lagaya ja sakta . Wo to ghar se ja raha tha badi mushkil se roka hai maine. Karan ko to laga di thi Maine aur wo bhi tab se ghar se gayab hai .
Divya : par karan aisa kyun kaha? Kya vajah hai iski ? Aapne pata nahi kiya ?
Rajani : ab kis se puchun ? Ab ayega to tange tod dungi uski .
Divya : nahi didi aise to wo apke hi khilaf ho jayega. Aur wo amit k aur bhi khilaf ho jayega. Aap kahen to main Amit ko sath le jati hun . Shayad karan ko Amit ka yahan rehna acha nahi lag raha hai .
Rajani : ye kaisi bat kar rahi hai tu divya? Kya Amit mera kuch nahi. Agar karan nahi sudhar to use ghar se nikal dungi par amit ko nahi jane dungi. Agar aaj wo chala jata to kabhi dubara nahi ata. Aur maine damini ki nishani ko aise kaise jane deti .
Divya : par didi ab kya hoga ? Kahin karan hi aake hath se nikal gya to?
Rajani : chinta to mujhe bhi hai par Amit k khilaf bhi main kuch nahi sun sakti .
‘ main andar aa sakti hun ? ‘
Nidhi ne darwaze se hi pucha to divya ne use andar aane ko kaha.
Nidhi : mausi aaj rat aap yahin rukne wali hain . Aapke bete ka Farman hai. Aur agar aap ne jane ki zid ki to wo khud apke chhodne jayega. Ye kaha hai usne .
Rajani : bilkul theek kaha hai mere bete ne. Ab tu kahin nahi ja sakti aayi bat samajh me. Chal aaja mil kar khana banati hain dono.
Nidhi : are ma aap baithiye na . Main kar lungi sab.
Divya : are beti tu apne ghar ja kar karna sab . Aaj main aur didi hamare bete k liye kahan banate hain uski pasand ka. Chalo didi ab order ho gye hain huzoor k to mana kaise kar sakti hun.
Divaya rajani ko sath liye kitchen me chali gyi apni baki ki baten wahan karne. Idhar nidhi divya mausi ki bat par Sharma rahi thi.
Nidhi ( man me ) usi ki sewa to kar rahi hun jiski karni chahiye .
Muskurati hui nidhi fir se Amit k kamre me wapis chali gyi . 2 behne kitchen me lagi thi aur do naina k kamre me. Naina aur Radha. Radha to jyada bat nahi kar rahi thi par naina adat se majboor lagi hui thi bak bak karne . Idhar nidhi fir se Amit k pas aa gyi aur uske sath baten karte hue uska sir sehlane lagi. Dupatta abhi bhi sir se lapeta hua tha nidhi ne . Jiske niche Amit ki mohar lagi hui thi.