Update 161
Nidhi didi fir se matha tek kar wapis palti to sindoor abhi bhi laga hua tha. Didi k chehre par alag hi muskan thi.
Amit : didi aapne matha saaf nahi kiya . Dekho to kitna sindoor lga hua hai. Lao main saaf kar deta hun
Maine didi k mathe par lage sindoor ko saaf karne k liye hath aage kiya to wo ek dam se piche hat gyi
Nidhi didi : khabardar jo ise hath lagaya to , ye to mata ka ashirwad hai. Ise aise hi rehne do. Chalo ab ghar chalen
Didi muskurati hui bahar ko chal padi. Didi ki chal badal gyi thi . Unke chalne se hi lag raha tha k wo bahut khush hain . Bachon k jaise uchhal uchal kar wo mandir se bahar ko nikal padi.
Amit : lagta hai aap bahut khush hain . Aisa kya ho gya mandir me. Kya manga tha apne bhagwan se?
Nidhi didi : ye koi batane wali bat hai ? Bas jo manga tha wo mil gya .
Amit : itni jaldi mil gya ?
Nidhi didi : maine ma se sawal pucha tha aur usne jawab de diya. Ab der swer sahi wo mil hi jayega jo Maine manga hai par ma ne bata diya k wo milega . Mujhe us par yakeen hai .
Didi ne ye bat meri ankhon me dekhte hue kahi. Unki khushi ankhon se bhi jhalak rahi thi. Didi k mathe par sindoor aur chehre ki khushi dekh kar mujhe laga zarur unhone apne liye jiwan sathi ki mannat mangi hogi .
Amit : hmmmm main samajh gya . Aap ne bhagwan se apne liye kisi ladke ki bat ki hai na ? Tabhi aap is sindoor ki vajah se itni khush ho rahi hain aur ise hata bhi nahi rahi.
Nidhi didi : han aur bhagwan ne man bhi li hai ab khush .
Amit : kaun hai wo ladka mujhe bhi to bataiye
Nidhi ( man me ) tum hi to ho jise maine manga hai .
Amit : bataiye na aise kya dekh rahi hain
Nidhi didi : tum
Amit : main ??
Nidhi didi : maine tumhari salamti mangi hai taki tum hamesha mere sath raho aur meri hifazat karo
Amit : aap bat ko ghuma rahi hain , kya mujhe nahin batayengi
Nidhi didi : budhu
Itna keh kar didi uchalte hue aage aage chalne lagi. Main unke piche piche chal raha tha. Aaj wo bilkul alag hi lag rahi thi. Hamesha saleeke se rehne wali sabse samajhdar aaj kisi alhad ladki ki tarah muskurati uchalti chal rahi thi . Hum apne ghar wali gali me mude hi the k didi ka paon ek kankar par aa gya. Nange paon hone aur aidi k neeche pathar aane se didi ko ek dam se dard hua aur wo wahin baith gyi. Main un se 4-5 kadam k faasle par tha.
Nidhi didi : aaahhhhh aaiiii maaaaa
Amit : kya hua didi ?
Nidhi didi : aidi k neeche pathar aa gya.
Amit : (chinta se ) dikhao mujhe .
Maine didi ka komal paon apne hath me liya aur use saaf kar k dekhne laga. Khoon to nahi nikla tha par ek dam vajan padne se didi ko bahut dard ho raha tha. Maine unke paon ki malish ki.
Amit : dekha nange paon chalne ka nateeja. Maine kaha tha k jute pehen lo. Dekho kaise nishan pad gya hai dard bhi ho raha hoga. Ye sab kam aapke liye nahi hain. Aap foolon jaisi nazuk hain aur aise chal rahi hain. Ab to chala bhi nahi jayega aapse . Ghar me function hain aur aap paon pakad kar baith jayengi ab. Main kya jawab dunga ma ko. Sath bhi aya aur bhi apki ye halat ho gyi
Mujhe didi ki chinta ho rahi thi aur main paon ki malish karya pata nahi kya kya kahe ja raha tha jabki didi bas khamoshi se mujhe dekh rahi thi.
Amit : zyada dard to nahi ho raha?
Nidhi didi : tumhare hath lagate hi sara dard chala gya . Itni chinta na kar ye bas mamuli si bat hai.
Amit : pata hai mujhe kitni mamuli hai ye. Chalo utho zara chal kar dikhao.
Maine didi ko ek taraf se pakad kar khada kiya aur unhe chalne ko kaha. Didi ne jaise hi aidi niche rakhi unke muh se dard bhari aahi nikali
Nidhi didi : aaaaahhhhh
Amit : dekha ab bolo , aapse is paon se chala bhi nahi jayega ab. Ghar ja kar ache se malish karni padegi.
Nidhi didi : muskurati hui ) kitna pyara lag raha hai tu aise gussa karta hua bhi
Amit : aapko mazak sujh raha hai. Chalo main aapko utha kar le chalta hun .
Nidhi didi : main bhi to yahi chahti hun tum mujhe utha kar apne sath le chalo.
Maine didi ko apni peeth par laad liya. Ghar jyada door nahi tha waise bhi subah ka samay tha to log is waqt ya to kheton me hote hain ya ghar me. Main didi ko liye chal pada. Didi ka naram badan mujhe foolon jaisa lag raha tha . Mere gale me bahen dale didi apna sir mere sir k sath hi lagaye thi.
Nidhi ( man me ) kitni parwah hai tujhe meri. Ab to bhagwan ne bhi sehmati se di hai. Mujhe apni bana lo na . Aise hi sari zindagi mujhe apne sath rakh lo na.
Nidhi ankhen band kiye in palon ko jaise apne dil me utar rahi thi. Amit k gale me bahen dal kar uske sir se apna sir lagaye use apne pati apne premi roop me hi dekh rahi thi . Amit ne nidhi ko peeth par laad kar uski dono tangon ko sides se aage kar k uske ghutnon k neeche se apne hath aage kiye hue the jaise bache ko uthate hain aksar log. Nidhi to madhosh hui un palon ko apne andar samane me khoi thi k use badi mami ki awaz sunai di. Ankh khol kar dekha to samne badi mami khadi thi. Aur chinta se us se kuch bat kar rahi thi . Nidhi ka dimag to jaise kahin aur hi pahuncha hua tha. Hakeekat me aane me use waqt lag gya.
Gauri m : kya hua ? Main kuch puch rahi hun aur tu bas dekhe ja rahi hai ?
Nidhi didi : hh han mami ji main bilkul theek hun . Mujhe kuch nahi hua . Wo mandir gye the to wapis aate paon k neeche kankar aa gya .
Gauri m : ab bachon ki tarah peeth par hi ladi rahegi kya ? Chal neeche utar aur dikha tera paon. Kya zarurat thi nange paon jane ki aur ye mathe par itna sindoor ?? Abhi teri shadi thoda hui hai.
Nidhi didi : wo mandir me matha tekte waqt lag gya tha mami ji.
Amit : Maine kaha bhi tha saf karlo par didi ne nahi kiya.
Nidhi didi : maine socha mata ka ashirwad hai aise mandir me hi saf karna acha nahi lagta .
Gauri m : sahi kaha , chal ab neeche utar aur mere pas baith main malish kar deti hun.
Nidhi didi : aap rehne do mami main kar lungi. Aur abhi main apne kamre me jana chahti hun to isi liye apne ghode se neeche nahi utar rahi . Ye mujhe mere kamre tak le jayega . Warna main sidiyan kaise charhungi?
Didi ki is bat par ma hasne lagi aur meri ankhon me dekh kar boli
Gauri m : sahi kaha tumne ye ghoda hi hai. Lambi race ka ghoda. Chal ja didi ko kamre chhod k aa . Main doodh garam karti hun.
Main didi ko liye aise hi sidiyan charhne laga. Sidiyan charhne se didi ka badan upar niche ho kar meri peeth par ragadne laga to mujhe apne peeth par unke rui k golon ka ehsas romanchit karne laga. Khud ko kabu me rakhta main unhe unke kamre tak le jane laga to unhone mujhe mere hi kamre me chalne ko kaha to main unhe apne kamre me le aya aur apne bed par aram se bith diya.
Amit : ab aap yahan aram se baitho . Main abhi apke paon ki malish kar deta hun
Nidhi didi : main kar lungi tum rehne do
Amit : kyun rehne dun? Aap manti hain kya meri ? Khud hi zabardasti shuru ho jati hain. Ab main bhi nahi sununga aapki
Nidhi didi : par mujhe acha nahi lag raha k tum mere paon ko hath lagaye
Amit : usse kya hota hai ? Aap badi behan ho meri
Nidhi ( man me ) behan nahi patni hun tumhari aur pati patni k paon ko hath lagaye ye acha nahi lagta .
Nidhi didi : rehne do na main kar lungi .
Amit : aap bas chupchap baithiye warna main bat nahi karunga aapse.
Didi chupchap baith gyi aur main zameen par baith kar unke paon ki apne kamre me pade malish wale tel se malish karne laga. Didi bas khamoshi se mujhe dekhi ja rahi thi. Itne me ma doodh le ayi mere liye.
Gauri m : shabash badi behan ki sewa ho rahi hai.
Nidhi didi : dekhiye na mami ji ye man hi nahi raha
Gauri m : to galat kya kar raha hai wo ? Apni badi behan ki sewa hi to kar raha hai. Le doodh pile ab.
Ma mujhe doodh ka gilas pakda kar chali gyi aur main didi k sath baith kar doodh pine laga. Didi abhi bhi mujhe hi dekhe ja rahi thi .
Amit : aise kya dekh rahi ho aap ?
Nidhi didi : kuch nahi , bas dekh rahi hun tum kitni parwah karte ho meri.
Amit : sabse jyada. Ab aap aram se yahan let jao main neeche ja raha hun.
Nidhi didi : ruko, meri malish to kar di ab apni bhi karwa kar hi jana
Amit : aap rehne do
Nidhi didi : maine mani na tumhari bat ab chalo jaldi kar darwaza band kar do aur T-shirt utar kar idhar aao mere pas aur wo cream bhi do mujhe .
Maine darwaza sata diya aur cream didi ko de kar T-shirt utar kar unki taraf peeth kar k Unke pas baith gya.
Nidhi didi : abhi tak kuch farak nazar nahi aya bas ye nishan aur bhi kaale ho gye hain .
Amit : magar ab mujhe dard kam mehsus ho raha hai didi inme.
Nidhi didi : pata nahi kaise jallad log hote hai ye log bhi kuch bhi nahi dekhte.
Amit : didi chhodo wo sab ek galatafehemi thi .
Nidhi didi : galat fehmi me kisi ki jaan bhi le lenge kya? Mera bas chalo un sab ka isse bhi bura hal karun jinhone tumhare sath ye sab kiya.
Amit : jo ho gya so gya didi. Ab aap aram karo main chala neeche. Nashta yahin le aaunga apke liye.
Cream lagwane k bad main T-shirt pehn kar neeche aa gya. Subah k 7 hi baje the abhi . Baba angan me aa kar baith gye . Ajay mama aur Kamlesh mama to bahar ja chuke the. Main bhi baba k pas aa kar baith gya .
Dusri taraf Radha ka man kal rat se ashant tha. Jab use naina didi se pata chala k Amit ki bike chhodne k liye police wala aya tha Kalpana k ghar se. Kalpana ne bhi jo jawab diya usse Radha santusht nahi thi . Aisa nahi tha k use Amit par koi shak tha balki use ye bat sara rahi thi k ek to Amit sara Din gayab raha fir uski bike Kalpana k ghar kaise pahunchi aur fir agle din wo usse bina mile hi gaon chala gya . Radha ko ye bat dara rahi thi k kahin Amit k sath kuch hua to nahi hai. Aur subah subah use sapne me bhi Amit tadapta hua dikha tha . Radha kisi tarah Amit ko dekhna chahti thi par wo abhi gaon me tha. Agar shehar me hota to use bula leti ya khud milne chali jati . Divya use utha kar chali gyi thi taiyar hone ka keh kar par wo waise hi baithi thi. Kuch der bad jab divya use dekhne k liye kamre me aayi to Radha waise hi soch me gum baithi hui thi. Use apni ma k aane ka bhi pata na chala. Ye dekh kar divya bhi hairan hui.
Divya : kya hua Radha ? Kya soch rahi ho ?
Radha : kuch nahi ma
Divya : ab mujhse chupayegi tu ? Ma hun teri . Aur ma se achi saheli koi nahi hoti . Bata mujhe kya bat hai ?
Radha : ma aaj mera college jane ka man nahi hai.
Divya : college me kisi ne kuch kaha hai kya ?
Radha : nahi aisi koi bat nahi hai
Divya : to fir kya bat hai? College kyun nahi jana aaj ?
Radha : bas aise hi , ma hum gaon chalte hain na . Waise bhi kal function to hai hi hum abhi se chale jate hain.
Divya : are subah subah kya karna hai wahan ja kar? Didi se bat hui thi wo keh rahi thin k dopahar ko sab sath me chalte hain . Rita didi karuna Neha rajani mausi naina aur karan bhi chal rahe hain sath me.
Radha : abhi chalte hain na ma , mausi log baad me aa jayenge .
Divya : beti bat kya hai mujhe bata to sahi. Mujhe aisa lag raha hai tu kuch chhupa rahi hai mujhse . Dekh main teri ma bhi hun saheli bhi. Mujhe sach sach bata
Radha : ma wo naina didi bata rahi thi k ko subah Amit ki bike police wala dene aya tha ghar par jo Kalpana k ghar se hi bheji gyi thi.
Divya : to isme kya hai , ab uske papa itne bade officer hain police wale hi to binge unke ghar sab kam dekhne k liye. Par us ki bike wahan kaise gyi? Wo wahan gya tha kya?
Radha : Kalpana to yahi keh rahi thi k Amit uske papa se milne aya tha ghar par aur bike puncture hone ki vajah se amit ko wo apni car me chhod kar ayi thi.
Divya : to isme dikkat wali bat kya hai?
Radha : mujhe lag raha hai Kalpana sach nahi bata rahi. Mera matlab Kalpana to hamare sath college me thi. Aur Amit college se jaldi chala gya tha . Fir wo sara din gayab raha aur uska phone bhi nahi lag raha tha . Pehle to wo utha nahi raha tha fir phone hi band aane laga aur nidhi didi naina didi ka bhi phone aya tha puchne k liye k wo hamari taraf to nahi aya. Amit aise kabhi nahi karta. Aur fir gaon jane se pehle wo kisi se mila bhi nahi. Maine subah sapne me bhi use tadapta hua dekha hai ma. Mujhe uski chinta ho rahi hai.
Radha k is khulase se ab divya ka man bhi bechain ho utha. Use bhi Amit ki chinta hone lagi. Amit uske liye ab sabse khas ban chuka tha . Bachpan se ki gyi andekhi aur ab apne liye amit ka pyar dekh divya use sabse jyada pyar karne lagi thi . Dusra uske antarman me Amit ki ek alag hi chhavi ban chuki thi jo use Amit ki aur le ja rahi thi .
Divya : chinta me ) chal tu naha kar taiyar ho ja aur kal k liye bhi apne kapde nikal le. Main nashta banati hun fir hum nikalte hain. Didi ko main bata deti hun k hum ja rahe hain.
Itna keh kar divya kamre se nikal gyi aur Radha me bhi jaise nyi urja aa gyi. Wo jaldi se uthi aur bathroom me ghus gyi. Radha k taiyar hone tak divya ne nashta bana liya aur apni behno ko bhi bata diya k wo gaon k liye nikal rahi hai. Jyada kuch batana use theek nahi laga. Bache k liye kuchh shopping ki thi divya ne aur sath me apne kapde aur Radha k kapde rakh kar bag pack kiya. Nashta karne k bad dono ma beti ghar ko tala laga kar bus stand k liye nikal gye. Radha ne Kalpana aur Neha didi ko bata diya tha k wo gaon ja rahi hai.
Nashte k waqt nidhi didi khud hi sidiyan utar kar niche aa gyi. Ab unke paon me dard kam tha. Nasht k bad baba fir se bahar nikal gye . Main aur nidhi didi chhoti mami k kamre me munne k sath hi khel rahe the aangan me kisi k aane ka pata chala. Ma kuch keh rahi thi isse pehle k main kuch samajh pata Radha kamre me aa gyi. Nidhi didi aur Deepika mami radha ko dekh kar khush ho gyi . Main bhi itni subah use yahan dekh kar hairan ho raha tha. Radha nidhi didi aur Deepika mami se milte hue mujhe hi dekh rahi thi . Tabhi piche se divya mausi bhi andar aa gyi aur aate hi mere gale lag gyi . Divya mausi ne kuch der mujhe apne se lagaye rakha aur fir matha chum kar boli .
Divya mausi : tu theek to hai na ?
Amit : main to acha bhala hun mausi aapko kisne kaha main theek nahi ?
Divya mausi : kisi ne bhi kaha ho , tu sach sach bata kya sab theek hai ? Kuch hua to nahi na tere sath ?
Divya mausi k is sawal se ek pal ko mujhe laga k kahin kisi se unhe kuch pata to nahi chal gya par fir socha agar aisa hota to wo sidha wohi bat karti .
Amit : main bilkul theek hun mausi . Dekhiye aapke samne khada hun.
‘ are aate hi shuru ho gye, pehle bitha to ko dono ko. Fir bad me baten karte rehna. ‘
Ma dono k liye pani le kar ayi thi . Maine Radha ki taraf dekha to wo mujhe hi dekh rahi thi . Uski ankhon me narazagi saaf nazar aa rahi thi magar wo gusse k bajaye chinta me jyada dikhi.
Deepika mami : didi aap akeli aa gyi ? Rajani didi aur rita didi nahi aayi ?
Divya mausi : wo sab dopahar ko aayenge. Pehle hum bhi unke sath aane wale the . Fir Radha ne kaha k uska man nahi college jane ka to humne socha abhi gaon chale jate hain. Waise tum humse bina mile kaise aa gye ? Aur parson kaha the tum ?
Amit : wo mausi ji maine socha k ghar par kam hoga to us liye jaldi chala aya tha. Aur Parson main apne ek dost k pas gya tha usse milne .
Divya mausi : kis dost k pas gya tha? Sare dost to tere college wale hi hain .
Amit : mausi wo ...
Gauri m : ye kya tum aate hi inquiry karne lag gyi. Aram se baitho aur saans lo . Aur meri bachi kaisi hai tu ? Tu to aati nahi hamare pas .
Ma ne Radha ko gale lagate hue Radha se kaha. Mujhse to mausi ki baton ka jawab nahi diya ja raha tha shukar hai k ma ne bat badal di.
Divya mausi : inquiry nahin karun kya? Mere bete ki chinta nahi hogi kya mujhe? Ye bina mile chala aya aur upar se ek din pehle iska phone band tha.
Nidhi didi : are mausi aap aise hi chinta kar rahi hain . Hamare hi pas to tha kaun sa ye kahin bahar tha. Waise bhi sab jante hain k Amit kabhi galat kam nahi karta .
Deepika mami : bilkul sahi , ye kabhi galat kam nahi kar sakta. Dekh lena main munne ko isi k jaisa banaungi.
Divya mausi : nam kya socha hai munne ka?
Deepika mami : abhi nahi socha hai
Nidhi didi : main keh rahi thi k Amit k nam k pehle akshar se hi munne ka nam ho .
Divya mausi : ye to achi bat hai .
Gauri m : ja beta mausi ka bag upar kamre me rakh aa
Main mausi ka bag lekar upar kamre me rakhne gya to piche piche hi Radha bhi aa gyi .
Radha : kya chhupa rahe ho tum sab se ?
Amit : are Radha tum , tumhe kya zarurat thi upar aane ki . Waise aaj college kyun nahi gyi tum ?
Radha : ye mere sawal ka jawab nahi hai.
Amit : kuch bhi nahi hai aisa jo tum soch rahi ho .
Radha : main kuch nahi soch rahi mujhe bas sach sunna hai. Aur tum bhi jante ho k main tumhara jhuth pakad leti hun .
Amit : hum is bare me baad me bat karenge abhi tum aram karo.
Radha : nahi mujhe abhi batao. Pata hai kal se main kitni tension me hun . Rat bhi bure sapne aate rahe. Batao akhir hua kya hai.
‘ main batati hun Radha ‘ darwaze par nidhi didi khadi thi .
Amit : didi aap ?
Nidhi didi : main samajh gyi thi k Radha kyun yahan aayi hai. Meri tarah ise bhi tumhari chinta hai. Idhar aa meri gudiya main tujhe batati hun.
Nidhi didi ne Radha ko pas bitha liya aur use apne sath laga kar ek ek kar k wo sab kuch bata diya jo maine unhe bataya tha. Radha to pehle se hi mere bare me soch soch kar tension me thi. Aur jaise hi didi ne bataya k police walon ne mujhe mara hai Radha ki ankhon se aansoo behne lage.
Radha : itna kuch ho gya aur tumne mujhe batana theek nahi samjha . Kya itni hi kadar thi meri ?
Amit : nahi Radha aisa mat kaho . Main kisi ko pareshan nahi karna chahta tha.
Radha : aur ab jo mujh par beet rahi hai wo? Kabhi socha hai kaisa lagta hai jab tumhare ilawa sabko pata ho uske bare me jiski tum sabse jyada parwah karte ho .
Nidhi didi : are meri gudiya Maine hi ise mana kiya tha. Dekh ghar me yahan itna bada function hai khushi ka mauka hai. Aise me agar is bare me sabko pata chalega to kya koi khush ho payega? Isi liye ise maine rok diya tha warna ye to tum se mil kar hi ana chahta tha.
Nidhi didi ne mujhe bachane k liye sari bat apne upar le li .
Radha : didi aapne mana kiya par ek bar bata to sakta tha chahe phone par hi. Aur Kalpana ko Sheena didi ko bhi pata tha lekin mujhe hi nahi .
Nidhi didi : chal chhod is par gussa mat kar. Chahe to mujh se naraz ho le.
Radha : gussa to karungi na didi aur hai hi kaun jisse gussa karun ya naraz houn . Ruthun bhi to manane kaun aayega . Ek yahi to hai mere pas aur agr ye bhi aise karega dil to dukhega na didi.
Amit : mujhe maf kar do Radha tum janti ho na main tumhari angon me aansoo nahi dekh sakta .
Radha : to rulate kyun ho aise kam kar k?
Nidhi didi : are bas kar meri gudiya tu to bachon ki tarah to rahi hai . Maine kaha na isne sab kuch meri vajah se kiya . Gussa karna hai to mujhse kar par ise kuch mat keh .
Radha : aap bhi iska sath de rahi hain . Main janti hun aap ise bachane k liye ye sab keh rahi hain. Isne to aapko bhi nahi bataya hoga.
Radha ki bat ek dam sahi thi. Wo mujhe achi tarah janti thi. Nidhi didi Radha ki is bat par niruttar ho gyi .
Radha : dikhao mujhe kahan chot lagi hai tumhe
Amit : Radha mujhe kuch .....
Radha : zor se ) tumne suna nahi
Radha ro bhi rahi thi aur mujhse gussa bhi kar rahi thi. Radha ki bat na manna Matlab use aur gussa dilana. Ab sach to pata chal hi gya tha to maine bhi chup chap apni T-shirt gale tak upar uthai aur muh dusri taraf kar k khada ho gya . Meri peeth par shayad hi koi jagah khali ho jahan sujan aur police ki mar k kale nishan na bane ho . Ye sab dekhte hi Radha k aansuon ki dhara tez ho gyi. Radha ki siskiyon k sath ek aur awaz kamre me goonji
‘ ye kya hua mere bache ko kisne kiya ye ‘ main awaz sunte hi palat gya aur divya mausi ne akar mujhe gale laga liya .
Divya mausi : ye kisne kiya tere sath bata mujhe ? Ye sab kaise hua.
Divya mausi ko dekh kar mere sath sath nidhi didi aur Radha bhi shocked ho gyi.
Divya mausi : bolta kyun nahi tu ? Kisne kiya ye tere sath ? Dikha mujhe
Divya mausi ne zabardasti mujhe palat diya aur meri peeth ko hath laga kar dekhne lagi . Divya mausi khud ko rok nahi payi aur meri par jagah jagah chumne lagi . Sath me roye bhi ja rahi thi . Wo mere ghawon par apni Mamta ka lep apne honthon se aur behte aansuon se laga rahi thi. Divya mausi ko dekh kar Radha k aansoo bhi ruk nahi rahe the.
Divya mausi : kitni buri tarah mara hai , kisne kiya hai ye? Kaun the wo log ? Tumne kisi ko bataya kyu nahi ? Chal abhi bhaiya ko sath lekar hum police k pas jate hain .
Nidhi didi : police ne hi to mara hai mausi .
Divya mausi : kyaaaaa ??? Police ne ???? Kya kiya tha tumne ? Police ne tum par hath kyu uthaya ?
Amit : mausi pehle aap khud ko shant kijiye . Dekhiye Radha bhi ro rahi hai. Ye sab ek galat fehmi ka nateeja hai aur kuch nahi .
Divya mausi : mujhe poori bat batao
Fir se nidhi didi ne sari bat divya mausi ko batayi . Divya mausi to gusse me aa gyi aur police walon ko bura bhala kehne lagi .
Divya mausi : aag lage keede paden un logon ko . Unhe pata nahi chalta ache aur bure logon ka ?
Amit : mausi aap please ab khud ko shant kijiye agar ghar me kisi ko pata chala to sara mahol kharab ho jayega. Please aap is bare me kisi se koi bat mat karna.
Divya mausi : janti hun sab , bachi nahi hun par tu jo khud itni takleef jhel raha hai uska kya? Tujhe bhi to dard ho rahi hogi na?
Amit : nahi mausi ab nahi hai. Dr se dawa le li thi maine.
Divya mausi : idhar aa mere pas .
Divya mausi ne fir se mera matha chooma aur mujhe gale laga liya .
Divya mausi mujhe pyar se gale lagaye thi . Meri nazar Radha par padi to uski ankhon me abhi bhi nami thi par wo khush bhi thi is tarah mausi ko mujhe pyar karta dekh kar. Tabhi niche se ma ne mujhe pukara to main mausi ko fir aane ka keh kar niche bhag gya.
Amit k neeche jate hi divya nidhi se puchne lagi .
Divya : tumhe ye sab pehle se pata tha ?
Nidhi : nahi mausi , mujhe to bas use dekh kar andaza ho gya tha k wo kuch chhupa raha hai aur fir uske kamre me jakar usse apna wasta dekar pucha to kahin ja kar usne bataya. Aap to janti hain na usko . Wo kisi ko bhi apni vajah se takleef nahi dena chahta.
Divya :theek keh rahi ho tum. Pata nahi aur kya kya ye apne andar chhupaye hai.
Nidhi : maine bhi mehsus kiya hai mausi . Wo andar bahut akela aur udas raha hai shuru se hi aur shayad abhi bhi wo khud ko akela mehsus karta hai .
Divya : sab meri galti hai , mujhe use ma ka pyar dena chahiye tha. Maine hi hamesha usse nafrat ki jiski vajah se wo aisa mehsus karta hai
Nidhi : nahi mausi aisa nahi hai . Wo to sabse jyada aapse hi pyar karta hai . Aap aur Radha dono hi uske liye khas hain.
Radha jahan apni ma ki vyatha aur Amit ki halat par dukhi thi par nidhi k muh se ye sun kar uska dil khushi se jhoom utha k Amit uski kitni parwah karta hai . Chahe wo ye janti thi k Amit uski itni parwah karta hai par dusre k muh se sun kar jyada khushi hoti hai hamesha. Radha akele Amit se bat karna chahti par pehle nidhi didi aa gyi aur fir uski ma aur ab to Amit hi nikal gya tha. Radha Amit se akele me bat karne ka plan banane lagi. Wahin uski ma divya bhi amit k liye bhawuk ho rahi thi.
Dopehar tak chhote mote kamo me waqt nikal gya aur fir humne sath me mil kar khana khaya . Baba aur Ajay mama ghar hi aa gye the divya mausi k sath khana khane aur fir baba me bata diya k rajani mausi aur rita mausi bhi aa rahi hain. Kuch der bad bus ka time ho gya to main baba aur Ajay mama teeno hi apne apne Motorcycle le kar bus stop pahunch gye. Maine dono mausiyon k paon chhue. Aur un dono ne bhi mujhe pyar diya. Rita mausi thodi naraz lag rahi thi mujhse . Karan bhaiya ne aupacharikta vash smile dikha kar hath mila liya. Nauna didi aur Neha didi bhi mujhse mil kar khush hui par karuna didi muh Fula rahi thi . Baba ne rajani mausi aur karan bhaiya ko bitha liya aur ajay mama ne rita mausi aur Neha didi ko. Naina didi aur karuna didi dono mere peeche baith gyi. Ghar aate hi poore ghar me shor mach gya . Sab ek dusre se gale mil rahe the aur sabke chehron par khushi thi. Sabko jalpan karane k bad ma ne mujhe sabka saman upar pahunchane ko kaha. Mere kamre k sath 3 kamre the. Maine dono mausiyon ka saman ek ek kamre me rakh diya . Neeche sab munne k sath khelne aur kal k function k bare me baten karne lage. Ma ne mujhe ek do zaruri kam bataye aur mujhe bahar bhej diya.
Dusri taraf Raghav hospital se ghar aa chuka tha. Beti karishma k aane k bad dr ne raghav ko rest karne ka keh kar chhutti de di thi. Mohit aaj office chala gya tha Raghav k kehne par aur Rama ne karishma ko apne kamre me bitha kar sab sachai sunne k liye bitha liya .
Rama : karishma dekho beti main tumhari ma hun aur ma se jyada achi saheli aur koi nahi hoti . Tu har bar taal jati hai par is bar tujhe sach batana hi hoga . Akhir kya bat hai jo tujhe andar hi andar khaye ja rahi hai? Humne tumhari shadi ki hai , becha nahi hai tujhe . Agar tujhe wahan koi takleef hai to humen bata beti hum unse bat karenge . Teri ye halat mujhse dekhi nahi jati . Meri fool si bachi kaise murajha gyi hai. Apan dukh bahar nikal de beti warna ye teri jan le lega . Mujhe bata kya bat hai tu kis bat se itna dukhi rehti hai?
Karishma : main theek hun ma . Sab kuch to hai wahan . Kisi cheez ki koi kami nahi hai. Aap aise hi sochti rehti hain.
Rama : akhir bol kyun nahi deti jo bhi tujhe takleef hai? Kya tujhe apni ma par bharosa nahi hai ?
Karishma : ma aap aise hi soch rahi ho . Kuch bhi nahi hai aisa.
Rama : to tu yahan kyun nahi ati ? Kyun tera chehra bujha rehta hai ? Kyun tere chehre par pehle ki tarah khushi nazar nahi aati ?
Karishma : ma kuch bhi nahi hai aisa jo aap soch rahi hain. Main bahut khush hun . Papa ne mere liye bahut acha ghar dhoondha hai. Pati hai sas sasur hai nanad hai . Sab to hai wahan . Na paise ki koi kami hai na zameen jaydad ki. Mujhe bhala kya takleef hogi.
Rama : tujhe meri kasam sach bata k tu kyun dukhi hai? Ye jhoothi baten kisi aur ko batana main teri ma hun. Agar mujhse zara sa bhi pyar hai to sach bata warna mera mara muh dekhna .
Rama k itna kehte hi karishma ki suni aankhon me achanak barh aa gyi. Jis dard ko wo apne andar chhupaye ghut ghut kar ji rahi thi wo achaanak chhalak pada . Karishma rote hue apni ma k gale lag gyi . Dekhte hi dekhte karishma hichkiyan le le kar zor se rone lagi . Rama bhi apni beti k dard ko mehsus kar rahi thi. Rama ne karishma ko chup karwane ki koi koshish nahi ki kyunki wo janti thi k is dard ko bahut der se uski beti ne andar chhupaya hua hai.
Rama : ro le beti ro le, jee halka ho jayega. Main janti hun tu andar se kitna dukhi hai. Aaj apna sara dard bahar nikal de beti . Mujhe sab sach bata . Main tujhe aise ghut ghut kar jeete hue nahi dekh sakti.
Karishma : rote hue ) ma main jeena nahi chahti main jeena nahi chahti. Wo log mujhe jeene nahi denge . Main mar jana chahti hun ma .
Rama : mujhe sab bata beti kya kiya hai un logon ne tumhare sath ? Kyon tu jeena nahi chahti ?
Karishma : wahan bahut ghutan hai ma. Apni marzi se main saans bhi nahi le sakti wahan . Sara din apne kamre ki chardiwari me kaid rehti hun. Na koi ata hai na kisi se bat karti hun. Ab to wo deewaren bhi mujhe kaatne ko aati hain . Main jeena nahi chahti ma .
Rama : mujhe sab bata beti main sab kuch sunna chahti hun. Aaj apna dil khol de mere samne meri bachi . Apne sare dukh mujhe de de .
Karishma : ma aap janti hain main yahaan kyun nahi aati . Kyunki main nahi chahti wo log aapko aur papa ko kuch kahen. Meri saas meri nanad dono mil kar mujhe taane deti rehti hain. Main unke samne bhi aa jaun to kuch na kuch keh deti hain. Mere pati bhi unka hi sath dete hain. Sara din ghar me akeli apne kamre me band rehti hun. Pati subah k gye rat ko aate hain . Unke liye to jaise main hun hi nahi. 2 pyar ki baten kabhi nahi karte wo mere sath. Ma aap nahi janti 2 bar mera bacha pet me hi khatam ho gya depression ki vajah se. Nanad apne pati ko chhod kar wahin pakka dera jamaye baithi hai. Har bat par mere sath jhagda karti hai. Kuch na kuch kami nikal kar wo roz mere sath jhagda karti hai isi liye ab main kamre se hi nahi nikalti kyunki saas bhi hamesha usi ki side leti hai aur mere oti bhi bas apni ma behan ki hi sunte hain. Kai bar mujh par hath uthaya hai mujh par unhone .
Rama : rote hue ) meri fool si bachi k sath itna kuch hota raha aur mujhe pata tak nahi . Tune mujhe kabhi kyun nahi bataya bol ? Kya tujhe apne ma bap par bharosa nahi tha ?
Karishma : rote hue ) nahi ma aisa mat kaho . Main janti hun aap dono mujhse kitna pyar karte hain. Papa to meri ankh me aansoo tak nahi dekh sakte . Meri har wish mus se nikalne se pehle poori kar dete the wo. Unhe jab mere bare me pata chalega to kya bitegi un par? Wo to toot hi jayenge . Ye rishta unhone khud kiya tha aur ab jab meri aisi halat unhe pata chali to kya wo jee payenge ? Nahi ma nahi wo mar jayenge . Isi liye main kabhi aapko kuch batati nahi thi. Main janti thi agar aapko kuch bhi pata chala to aap mera divorce karwa dengi par kya papa ye sadma bardasht kar payenge? Nahi ma . Wo ye bardasht nahi kar sakte . Aur main apne papa ko kuch nahi hone dungi .
Rama : par tujhe kya lagta hai k unhe teri halat ka andaza nahi hai ? Wo bhi to andar se dukhi hain beti. Wo tujhe kehte nahi par wo tere dukh ko mehsus karte hain . Isi liye to hum dono ne tujhe bahane se yahan bulaya hai.
Karishma : kya ??? Bahane se ????
Rama : han ,, tere papa ko kuchh nahi hua hai. Wo bilkul theek hain . Ye sab tujhe yahan bulane ki chaal thi.
Karishma : iska matlab aap ne mujhse jhooth bola ?
Rama : to kya jhooth sirf tu akeli hi bol sakti hai ? Mujhse sari bat shuru se bata k ye sab shuru kaise hua ? Pehle to aisa nahi tha.
Karishma : ye sab meri nanad k wapis aane se hi shuru hua hai ma. Wo hi iski vajah hai. Apne pati ko chhod kar jab se wo mayke wapis aayi hai bas kisi na kisi vajah se mujhe jaleel karti rehti hai. Shuru shuru me jab maine virodh kiya to usne saas k kaan bhar diye aur wo bhi shuru ho gyi. Uske bad to ye roz ka hi kam ho gya . Dheere dheere mere pati bhi meri andekhi karne lage . Aur mere sath waqt bitana kam kar diya . Janti ho ma pehli bar mera bacha mere pati ki vajah se hi mere pet me mar gya . Gusse me mujhe zor se dhakka se diya tha aur unhone . Main pet k bal giri aur bacha pet me hi mar gya . Tab to unhone maafi mang li par fir se wohi sab shuru ho gya . Agar main kuch keh dun to aapko aur papa ko galiyan dene lagti hain . Main isi liye unke samne hi nahi jati. Main apne liye to kuch bhi bardasht kar sakti hun par koi aapko aur papa ko bura kahe to Main kaise Bardasht kar sakti hun?
Rama : tere sasur kuch nahi kehte unko ?
Karishma: wo to khud apna muh band rakhte hain saas k dar se. Ghar jamai jo thehre.
Rama : par tera pati teri side kyun nahi leta?
Karishma : unke liye unki behan aur unki ma hi sab kuch hai.
Rama : main tere papa se bat karti hun. Ab main tujhe us ghar me dobara nahi jane dungi . Wo ghar nahi jahannum hai. Main tujhe is halat me nahi dekh sakti . Main tujhe aise til til marte nahi dekh sakti . Tu meri beti hai mere dil ka tukda hai . Main aaj hi tere divorce paper taiyar karwati hun.
Karishma: nahi nahi ma . Main aisa kar k papa ko dukh nahi dena chahti. Wo ye bardasht nahi kar payenge . Aapko meri kasam aap aisa kuch bhi nahi karengi .
Rama : rote hue ) to kya tujhe marte hue dekhun ? Nahi main ye bardasht nahi kar sakti .
Karishma : ye to sab apni apni takdeer ki bat hai ma. Kya pata kal ko wo sudhar hi jayen .
Rama : aise log sudharte nahi hai beti sudharna padta hai . Aur wo tujhse nahi hoga. Tu kyun apni zindagi barbad karna chahti hain wahan reh kar . Abhi tum jawan ho , hum tumhare liye koi aur acha sa ladka dekh lenge
Karishma : ye bhi to acha ladka hi tha na ma , shadi k bad kitne ache se rakhte the mujhe aur fir achanak sab badal gya . Kal ko kya bharosa dusra bhi aisa na nikle. Ab to jo bhi hai bas yahi hai. Mera jeena marna ab wahin hai ma.
Rama : aisa mat keh beti. Main tujhe is halat me bardasht nahi kar sakti .
Karishma : ab to yehi takdeer hai ma . Aur aap papa ko kuch nahi batayengi warna main kabhi wapis nahi aaungi.
Rama : theek hai beti agar tu yahi chahti hai par main bhi teri ma hun. Wada karti hun un logon ko sudhar kar rahungi . Tere ek ek aansoo ka hisab lungi unse. Wo khud tere paon me gir k maafi mangenge.
Rama man hi man jaise koi faisla kar chuki thi k wo kaise apni beti ki madad karegi aur un sabko saza degi.