Raja chouhan भाई मेरी कही बात जो दिल से निकली थी आपने सच कर दि, अमित शेर है और चाहनेवालीयां शेरनीया , सभी आ गई मैदान में ।Update 165
Rajani aur rita time se hi uth gyi thi. Bachon ko college bhejne k liye sabko wapis jaldi pahunchna zaruri tha. Rajani jaldi se taiyar hone k liye nahane chali gyi aur rita ko keh diya k wo divya ko bhi jaga de. Rita divya ko uthane sath wale kamre me gyi to wahan naina Neha karuna so rahi thi. Fir wo agle kamre me gyi to wahan nidhi k sath Radha so rahi thi. Divya ko yahan bhi na pakar rita ko laga shayad divya uth chuki hai. Fir use Amit ka khyal aya. Wo amit ko uthane k liye uske kamre me gyi to darwaza kholte hi samne Amit k sath divya ko soyi hui dekh kar rita ka muh khula ka khula reh gya. Waise to ye itna ajeeb na tha. Kyunki divya amit ki mausi hi to thi par jis tarah wo amit se chipak kar uski aagosh me so rahi thi wo uski biwi hi lag rahi thi. Upar se Amit ka dhad poora nanga tha. Divya bhi sankuchit si uski nangi chhati se chipki padi thi aur amit ka ek hath aur poori tang divya k upar thi. Amit k vishal balishth jism me foolon so nazuk nav vivahita ki tarah samayi hui thi.
Itna to Rita ko pata hi tha k divya aisi nahi hai aur na hi dono me aisa koi rishta hai . Kapdon se bhi pata chal hi raha tha k kuch hua to hai nahi. Par Amit ki bahon me aise divya ko sukoon se soyi dekh kar rita ko bada acha lag raha tha. Rita bina awaz kiye bed k kareeb ayi aur divya ko hilaya. Divya jo rat bhar theek se soyi nahi thi Amit ki bahon me aakar hi use ache se neend aayi thi. Gehri neend me hone ki vajah se use pata bhi nahi chala rita ne jab use hilaya . Rita ne divya ko hosh me na ata dekh kar ek do bar use aur hilaya par fir bhi jab wo na hili to usne divya ko chikoti kat li . Divya ki dard se ankhen khol gyi Aur apni behan ko dekh kar uski neend ud gyi.
Divya : kya hai didi subah subah kyun tang kar rahi ho ?
Rita : dheere se ) tang kar rahi ho ki bachi . Khud ko dekh kaise so rahi hai iske sath . Beta hai pati nahi hai . Chal uth bachon ko college bhi bhejna hai. Didi dekh leti to kya kehti ?
Divya ne jab khud ko is tarah Amit k neeche paya to use bhi sharam aa gyi. Dheere se usne Amit ki tang aur baju apne upar se hatayi jisme rita ne bhi madad ki. Amit neend me hi dusri side ko palat gya to Rita ki nazar uski peeth par bane nishanon par padi.
Rita : hey bhagwan ye sab kya hai ?
Rita Amit ki ye halat dekh kar achanak hi rone ko ho gyi . Par divya ne jaldi se uth kar uske muh par hath rakh diya .
Divya : ise sone do didi . Main sab batati hun aapko . Aap mere sath chalo .
Rita Amit ko hi dekh rahi thi aur divya ne Amit par fir se chadar daal di aur rita ko lekar kamre se bahar aa kar darwaza band kar diya .
Rita : ye kya hua hai amit k sath ? Kisne kiya hai ye ? Kya kal rat .....
Divya : nahi kal rat to sabke samne hi hua tha na sab kuch. Ye sab gaon aane se pehle hi hua hai iske sath . Didi k ghar hi tha tab. Aap chalo sab batati hun main . Yahan koi sun lega . Pehle bachon ko bhej dete hain fir aram se bat karungi. Waise bhi didi se bhi bat karni hai mujhe kal jo kuch hua uske bare me.
Rita : didi se kya bat karni hai ?
Divya : aapke samne hi karungi , itna sun lo k kal Amit ko fasane ki koshish ki gyi thi aur ye karan ka hi kam hai.
Rita : kya ??? Ye kya keh rahi ho tum ?
Divya : main sahi keh rahi hun. Ab chalo pehle bachon ko jagao .
Divya aur rita ne sabko jaga diya. Aur sab uth kar jaldi se nahane k liye upar aur neeche bane bathroom me bari bari se ghusne lage . Nidhi to uthte hi pehle Amit k kamre me gyi use dekhne . Amit aram se soya pada tha . Nidhi ne pyar se Amit k gaal par kiss ki aur uski peeth se chadar hata kar wahan par hath se chukar uska dard mehsus karne ki koshish karti usne wahan bhi choom hi liya .
Nidhi ( man me ) mujhe maaf kar dena mere bhai ne hi tumare khilaf itna kuch kar diya. Mera bas chale to tumhara har dard main apne upar le lun . Tum hi mere sab kuch ho . Tumhe meri bhi Umar lag jaye .
Amit ko ek bar fir se chumne k bad nidhi wahan se hat kar bahar aane lagi to Radha bhi wahin a gyi
Nidhi : Radha tum yahan ?
Radha : Han didi wo college jana hai to sab bathroom busy hain . Maine socha Amit k kamre me bhi to hai na bathroom main isi me naha leti hun .
Nidhi : are Han mujhe to khyal hi nahi raha . Tum Naha lo main bhi apne kapde le aati hun aur yahin naha leti hun.
Nidhi jaise hi kamre se bahar nikli Radha ne darwaza band kiya aur sidha Amit k pas chali gyi . Amit ko aise sukoon se soya dekh kar Radha ko bada acha lag raha tha. Use yad aya k kaise Amit use neend se jagaya tha ghar par. Radha ne Amit par jhuk kar uske gaal par apne gulabi honth rakh kar ek kiss kiya . Radha k tan badan machal Gya itne se hi sparsh se jo usne khud hi kiya tha. Apni is harkat par khud hi Sharma gyi .
Radha : budhu kahin k , pata nahi kab samjhoge mujhe.
Pyar k is madhur ehsas aur is chumban k nashe me sharmati wo bhag kar bathroom me ghus gyi. Nahate wakt bhi wo bas sharmate ja rahi thi apni is harkat par. Jab bathroom se bahar aayi to nidhi kamre me hi thi aur amit k pas baithi hui thi.
Radha : chaliye didi aap bhi naha lijiye . Ise main jaga deti hun ab. Warna aaj bhi chhutti ho jayegi iski.
Nidhi : theek hai , waise to main ise aaj college jane nahi dena chahti par wo bhi to zaruri hai .
Nidhi uth kar bathroom me chali gyi . Radha k geele balon se abhi pani ki kuch boonde tapak rahi thi . Radha k man me ek vichar aya . Jaldi se usne darwaze ko Kundli lagayi aur Amit k pas aakar uske upar jhuk kar apne geele bal Amit k chehre par gira diye. Geeli balon se girti wo chand boonde jab amit k chehre par padi to uske jism me halchal hui. Wo neend se jagne laga. Radha ne ek do bar apne bal uske chehre se hataye aur fir giraye. Amit ki neend isse khul gyi . Amit ne ankhen kholi aur samne Radha ke chehre par muskan dekh kar wo kuch der aise hi use dekhta raha. Radha jo Amit k sath shararat kar rahi thi ab wo sharmane lagi .
Radha : aise kya dekh rahe ho ? Tumhe jagane aayi thi . Chalo uth jao colllege bhi jana hai.
Radha badi mushkil se bol rahi thi . Andar se uski dhadkane itni jyada barh gyi thi k usse wahan baithe rehna bhi mushkil ho raha tha. Kahan Amit ko soya hua dekh kar wo kisi nav vivahit yuvti ki tarah Amit ko apna pati samajh kar athkheliyan karti jaga rahi thi aur ab amit k is tarah dekhne se wo sharam se garhi ja rahi thi .
Amit : jagane aayi thi ya nehlane? Bahut khubsurat lag rahi ho tum is tarah. Aur mujhe bhi acha laga tumhara is tarah uthana.
Radha ka dil to amit ki in baton se uchhalne laga tha. Wo khud ko control nahi kar pa rahi thi .
Radha : isi tarah hamesha jagati rahungi tumhe
Itna keh kar wo hirni ki tarah uchalti hui bahar bhag gyi .
Amit ( man me ) ye bhi shararat karna seekh rahi hai . Sach me kitni bholi hai ye.
Main fresh hone k liye bathroom me jane laga to andar se kisi k nahane ki awaz aa rahi thi . Main wapis apni jagah baith gya . Kuch der bad nidhi didi bathroom se bahar nikli to wo is waqt bilkul kisi tazA khile gulab si lag rahi thi . White gulabi combination k is foolon wale suit me unka gora rang gulabi rangat hi dikh raha tha upar se balon se girti wo Aus ki bunden. Main didi ko dekh hi raha tha k wo mere pas aayi aur mujhe gale se laga liya.
Nidhi didi : tu theek to hai na ? Ab tabiyat kaisi hai tumhari ?
Amit : main bilkul theek hun didi aap chinta na karo .
Nidhi didi : chinta kyun na karun ? Kal tumhare sath itna kuch ho gya
Amit : didi main sach kehta hun maine kuch nahi kiya .
Nidhi didi : janti hun main k tune kuch nahi kiya . Tum aisa kar hi nahi sakte. Jisne bhi ye kiya hai use iski saza zarur milegi. Chal tu ab taiyar ho ja college bhi jana hai .
Nidhi didi ne mere galon par kiss kiya aur muskurati hui bahar chali gyi. Main bhi taiyar hone k liye bathroom me ghus gya .
Divya aur rita jab apne kamre me gyi to Karan soya hua tha. Karan ko dekh kar to ek bar divya ko gussa aa gya . Par khud ko kabu karti wo apna bag utha kar dusre kamre me chali gyi. Rita ne hi Karan ko jagaya aur use taiyar hone ko kaha. Saadhe saat baje tak sab ne naha liya tha. Gauri ko bukhar ho gya tha is liye rajani rita aur divya jaldi se bachon k liye khud hi nashte ki taiyari me lagi thi . Karan sabke sath nashta karne baitha tha par koi usse bat nahi kar raha tha siwaye karuna aur naina k. Ye fir uski ma rajani hi usse bat kar leti ate jate. Divya to kitchen se hi bahar nahi aa rahi thi karan ko wo dekhna bhi nahi chahti thi. Vijay bachon k sath hi maujud tha. Ajay kheton me ja chuka tha aur Kamlesh subha hi ghar aya tha jo abhi so raha tha.
Main jab taiyar ho kar neeche aya to ma ki tabiyat k bare me pata lagte hi mujhe rat ka manzar yad aa gya . Mujhe ma ki chinta hone lagi main jaldi se unke kamre me gya to bed par kambal liye leti hui thi .
Amit : ma , aap theek to hain ? Meri vajah se aaap ....
Gauri m : shhhhh , main bilkul theek hun . Bas thoda sa bukhar aa gya hai aur thakaan ho gyi hai. Isi liye dawa kha kar aram kar rahi hun . Tu meri chinta mat kar. Tu bata ab teri tabiyat kaisi hai? Ab to theek ho na ?
Amit : sorry ma mujhe pata hai nahi chal raha tha main kya kar raha hun.
Gauri m : maine kaha na main theek hun .Tune kuch nahi kiya. Aaj thoda aram karungi to theek ho jaungi . Mujhe to teri chinta thi ab to theek hai na tu ?
Amit : main bilkul theek hun . Par mujhe acha nahi lag raha hai.
Gauri m : mera pyara beta hai na tu ? Kya main tere liye itna bhi nahi kar sakti ? Agar main nahi karungi to aur kaun karega. Chal ab meri chinta na kar ja kar nashta kar le fir tujhe jana bhi hai.
Amit : main nahi jaunga aaj college . Aaj apki sewa karunga apke pas reh kar.
Gauri m : mera pyara beta , kitna pyar karta hai mujhe . Main bilkul theek hun meri chinta chhod. Chupchap college ja warna didi kya kahengi k tujhe pas bitha kar main paon dabwati rehti hun . Chal ja bhag waise bhi rat ko ache sewa kar to di thi tumne.
Ma ne jan bujh kar mujhe chedte hue ye kaha to maine bhi keh diya .
Amit : agar aap ko acha laga to fir se kar deta hun ache se .
Gauri m : itne se jee nahi bhara ya ab hospital k bed par dekhna chahta hai mujhe . Ab ja jaldi nashta karle warna der ho jayegi.
Maine ma ko gale se lagaya aur ma ne bhi mera matha chum kar pyar diya. Bahar aa kar maine sab k sath nashta kiya . Kamini mami ko main unke kamre me hi ja kar mil liya. Shayad unhe abhi rat wali ghatna pata nahi thi ya jan bujh kar unhone zikar nahi kiya . Deepika mami apne kamre se bahar nahi nikli thi is liye main unke kamre me hi unse milne chala gya. Kamlesh mama bed par so rahe the aur Deepika mami kal wale kapdon me hi ast vyast baithi hui thi . Mujhe dekhti hi unki ankhon se pani behne laga . Maine unki ye halat dekhi to jaldi se unke pas gya . Wo bhi uth kar mere gale se lag gyi . Deepika mami hichakiyan le kar rone lagi thi. Maine unhe shant kiya .
Amit : kya hua aap ro kyun rahi hain ?
Deepika m : to aur kya karun ? Tumhare sath itna kuch ho gya wo bhi meri vajah se .
Amit : aapki vajah se ? Isme aapka kya kasoor hai ? Aap khud ko sambhaliye . Mujhe to pata hai na k aap mujhse kitna pyar karti hain. Ab ye ansoo bahan band kijiye aur aarav ka dhyan rakhna. Mujhe ab college jana hai . Jane se pehele aap se milne aya tha .
Deepika m : mujhe apne sath le chalo , main is aadmi k sath nahi rehna chahti . Kitni ghatiya soch hai iski. Jisne iske mathe se napunsak ka kalank hataya hai usi par nath uth raha hai usi par ilzam laga raha hai .
Amit : shhhh . Shant ho jaiye . Unhe galat fehmi hui hai ya kisi ne unhe bhadkaya hai . Sachai to hum dono ko pata hai na . Aap chinta mat karo sab theek ho jayega. Acha ab main chalta hun
Deepika m : ruko , aise hi chale jaoge ?
Maine fir se Deepika mami ko bahon me liya aur unke honthon par apne honth Rakh kar pyar bhara chumban liya . Uske bad apne bete ko pyar dekar main bahar aa gya. Tabhi bahar ek car aa kar ruki. Main bahar jane laga k Kalpana andar aa gyi .
Kalpana : good morning, taiyar to hain sab ?
Amit : tum yahan ? Itni subah ?
Kalpana : to kya hua ? Nahi aa sakti kya ? Main to apni duty par hun . Radha aur Neha didi ko le jane aayi hun .
Kalpana bat karte hue andar aa gyi . Kalpana ko yahan dekh kar sab khush bhi the aur hairan bhi . Kalpana bari bari Sab se mili . Mausi ne use nashta karne ko kaha par usne keh diya k wo kAr k aayi hai . Neha didi aur Radha k sath karna aur naina didi ko bhi Kalpana apne sath le gyi mujhe jaldi aane ka keh kar . Main bhi ghar se nikalne laga to rajani mausi ne karan bhaiya ko apne sath le jane ko kaha .
Rajani mausi : Amit beta karan ko bhi sath le ja . Bus me kahan dhakke khata firga?
Nidhi didi : ma karna bus me chala jayega . Kaun sa koi lamba safar hai . Mujhe Amit ek zaruri kam hai office me . Bus me gyi to late ho jaungi . Amit k sath hi chali jaungi .
Divya mausi : han ye theek hai , tum amitvk sath chali jao . Karan to bus me chala hi jayega .
Karan bhaiya : didi main le jata hun aapko bike par . Amit bus me aa jayegA.
Vijay m : are beta tujhe bike chahiye to meri le ja . Waise bhi ghar me 2 aur khadi to hain
Nidhi didi : main amit k sath ja rahi hun tum ma ko le jana . chalo amit . Acha mama ji main chalti hun .
Nidhi didi baba se mili aur mera hath khinchti hui mujhe le gyi bike k pas . Maine bhi bike par didi ko bithaya aur chal pada shehar ki taraf .
Amit : didi , aapko kis office me jana hai ? Maine kaha tha na adpko k uncle k office me aapko job mil jayegi. Fir ye office ?
Nidhi didi : wo to Maine aise hi kaha tha. Mujhe bus me nahi ana tha . Is liye tumhare sath aa gyi.
Amit : karan bhaiya ko bura laga hoga na ?
Nidhi didi : tum uski parwah na karo , waise bhi wo ajkal bahut sir charha hua hai. Mujhe ghar chhod kar tum college chale jana.
Baten karte hue hum unke ghar pahunch gye. Main didi ko ghar chhod kar college chala gya . Pehla lecture Chandarkanta madam ka tha. Unhone mujhe ghar se kisi ko laane ko kaha tha aur main to itne dino bad aaj college aya tha. Mujhe dekhte hi madam ko gussa aa gya .
Chandarkanta: tum meri class me kaise aa gye ? Maine kaha tha na jab tak ghar se kisi ko lekar nahi aaoge meri class me mata ana. Nikla jao meri class se.
Maine koi bat nahi ki aur chupchap class se bahar ko jane laga to darwaze k bahar hi Ritu Singh simple se suit me khadi thi . Ritu Singh ko apne samne uniform ki jagah suit me dekh kar main thoda hairan to hua par chupchap unke pas se nikalne laga to unhonne mujhe rok liya.
SP Ritu Singh : excuse me madam , kya main jan sakti hun aap amit ko kis liye bahar nikal rahi hain ?
SP Ritu Singh pehle bhi college aa chuki thi aur Chandarkanta ne use wardi me dekha hua tha . Ritu Singh ki sadhi hui awaz ko sun kar jab Chandarkanta me Ritu Singh ki taraf dekha to ek dam se uske hawbhaw badal gye .
Chandarkanta: are madam aap !! Aaiye aaiye .
SP Ritu Singh : ji shukriya ye aapki class hai . Main janna chahti hun aap amit ko class se kyun nikal rahi hain?
Chandarkanta ko pata tha k wo amit ko arrest karne hi aayi thi pehle bhi aur shayad abhi bhi isi liye aayi hongi .
Chandarkanta: ye bahut hi irregular student hai madam . College team ka player hai to khud ko pata nahi kya samajhta hai. Maine ise ghar se kisi ko laane ko kaha tha aur ye abhi tak kisi ko nahi laya hai .
SP Ritu Singh : sirf attendance kam hone ka matlab ye to nahi k ye galat hai ? College ka nam roshan kar raha hai ise to aapko support karna chahiye . Fir bhi agar aap itna hi zaruri samajhti hain iske kisi family member ya guardian ko yahan bulana to aap mera nam likh sakti hain . Main sign kar deti hun .
Chandarkanta to shocked ho gyi Ritu Singh ki ye bat sun kar. Use to ummeed hi na thi k Chandarkanta aisa kuch keh sakti hai .
Chandarkanta : nn nahi nahi aisi koi bat nahi hai madam it’s ok . Waise ye aapka ???
SP Ritu Singh : apna hi samjhiye. Ab to aap ise bahar nahi nikalengi ?
Chandarkanta: kaisi baten kar rahi hain madam , aapka kehna bhala koi mod sakta hai . Aao amit andar aao , tumne pehle kyun nahi bataya k madam tumhari rishtedar hain ?
Maine to Ritu Singh ki baton se hi shocked me tha . Ab Chandarkanta ki bat ka main kya jawab deta .
SP Ritu Singh : agar aapko aitraz na ho to kya main kuch der Amit se bat kar sakti hun?
Chandarkanta: ji ji aap kariye bat it’s ok . Jao amit bat karlo .
Main Ritu Singh k sath class room se thoda door park me aa gya . Mujhe samajh me nahi aa rahi thi k Ritu Singh aakhir kis liye aayi hai aur kya bat karna chahti hai.
SP Ritu Singh : tum soch rahe hoge main yahan kis liye aayi hun ? Dekho us din jo bhi hua wo ek galatafehemi thi. Mauka aur halat aise the k humne tumhe galat samajh liya . Upar se tumhare khilaf 2-3 baten meri notice me aayi thi to mujhe laga tum un logon k sath hi mile hue ho. Ho jati hai kabhi kabhi galti insan se . Jab sachai mere samne aayi to mujhe khud bura laga jo bhi tumhare sath humne kiya. I hope you understand. Ye koi personal matter nahi tha . Ho sake to
SP Ritu Singh aayi to maafi mangne thi kyunki wo us din se aram se so nahi pa rahi thi . Har waqt ek guilty ki feeling uske man me use pareshan kar rahi thi . Upar se Amit ki jab achhaiyan uske samne aayi to uske liye aur bhi mushkil ho gya . Zindagi me kabhi Ritu Singh ne kisi k aage nazren nahin jhukayi thi aur marson se to uska 36 ka aankada tha . Is liye aaj maafi mangna bhi use kisi saza jaisa lag raha tha . Wo koshish to kar rahi thi maafi mangne ki par usse ho nahi raha tha.
Amit : aapki ek chhoti si galatafahami kisi ki sari zindagi tabah kar sakti hai madam aur fir us insan k sath jude uske pariwar aur uske har chahne wale ki . Itni zindagiyan tabah kar k kya maafi mang lene se sab theek ho jata hai? Agar mere liye mujhe bachane wale sahi samay par na aate to kya fir aapka maafi mangana kisi kam ata ? Meri poori zindagi ek galat fehmi se us din barbad ho gyi hoti . khair aap me sahi kaha , insan se galati ho jati hai . Par kya ek insan ki galati k liye har insan ko galat hi samajha jana chahiye ? Aap ek badi officer hain aap kuch mange aur main Inkar kar dun aisa to ho nahi sakta . Mujhe abhi padna hai aur zindagi me kuch karna hai. Aapko inkar kar k main jail nahi jana chahta. Is liye aap sab bhool jaiye , mujhe aapse koi shikayat nahi hai . Aap apni duty kariye . Main chalta hun .
Itna keh kar main wapis apni class me chala gya . Jabki Ritu Singh wahin khadi rahi .
Ritu Singh Amit ki bat se vichalit ho gyi thi. Hamesha apne hi eham jo sabse upar rakhne wali Ritu Singh ka jaise sara wajood hila diya tha amit ne. Ek to usne tanj me wo sab baten kahin aur upar se peeth dikha kar chala gya . Aisi jurrat to koi police officer bhi nahi karta tha Ritu Singh k sath . Dusra usne Amit ne jo bat kahi thi wo sidhi Ritu Singh k dil par lagi thi. ‘ kya ek insan ki galati k liye har insan ko galat samjha jana chahiye ?’ Ye bat Ritu Singh ko hila gyi thi . Aur ye sach bhi thi. Ritu Singh har mard ko nafrat ki nigah se hi dekhti thi jo k ek galat insan ki vajah se hua tha. Ritu Singh ki zindagi me bhi kisi mard ne use aisa ghaw diya tha k wo har kisi se nafrat karne lagi thi . Amit k sath pehli hi mulakat me isi liye wo aag babula ho gyi thi aur wahin se uski nazron me amit galat insan sabit hota gya aur uski nafrat badti gyi . Kisi aur ne aise peeth dikhai hoti to Ritu singh apni is insult k badle use naani yad dila deti par yahan mamala ulta tha. Ek to pehle se glani ki bhawna thi Ritu Singh k andar upar se Amit aisa pehla shakhs use mila tha jo ladkiyon ko itni izzat deta tha. Shalu ki kahani sun kar to Amit ka kad aur bhi barh gya tha uske man me. Ritu Singh andar se kamzor padne lagi thi Amit ki baton aur uske is tarah chale jane se. Use ehsas ho raha tha k wo aaj bhi apni akad me hi usse maafi nahi mang rahi thi balki police karrawahi ki galati bata rahi thi. Ritu Amit se bat karna chahti thi par ab wo ja chuka tha. Bhari man se wo wapis laut gyi par Amit se wo fir se milne ka soch chuki thi.
Chandarkanta ne mujhe class me baithne diya aur koi bat nahi ki . Agla lecture free tha kyunki Manju m aaj bhi nahin aayi thi . Manju m ki chot ka khyal aate hi mera dil kiya k main unke ghar chala jaun . Par fir socha k chhutti ki bad jaunga. Main Mohit aur kalpna canteen me chale gye .
Kalpana : to kya kehne aayi thi Ritu madam ?
Mohit : yar ye lady thi kaun ? Aise lagta hai ise kahin dekha hai pehle . Aur Chandarkanta to ek dam se badal gyi thi jab usne Amit ki side li
Kalpana : news nahi dekhte kya ? SP Ritu Singh hai wo . Hamare shehar ki SP
Mohit : o teri ki ,, tabhi main kahun use kahin dekha hai. Uski photo hamesha uniform me hi aati hai to is liye pehchan nahi sakA. Par wo tumse milne kyun aayi thi ?
Kalpana : kuch nahi , kuch din pehle ladkiyon ko kidnap karne wala gang nahi pakda tha unhone , uski information Amit ne hi di thi .
Mohit : tu kahan kahan tange fasata rehta hai yar ? Kyun dushmani le raha hai aise logon se ?
Amit : to kya chupchap dekhte rehna chahiye kya apne samne agar kisi k sath galat ho raha ho to ? Aaj dusre k sath ho raha hai kal ko apne sath bhi ho sakta hai . Aise logon ko khatam karna sirf system ki hi zimmedari nahi hai . Humen bhi madad karni chaahiye .
Mohit : sahi keh rahe ho tum . Waise wo kya keh rahi thi ?
Amit : kuch. Nahi shukriya ada karne aayi thi . Us din mil nahi paye the na . Main gaon jo chala gya tha .
Kalpana : waise yar ek kami reh gyi function me.
Amit : kya ?
Kalpana : socha tha gaon dekhenge par dekh hi nahi paye
Amit : koi bat nahi tum mere sath chalna ache se dikha dunga . Ek do din hamare ghar rehna . Waise bhi ma bahut khush hui hai tumse mil kar .
Kalpana : sach ?? Fir to main zarur aaungi . Magar jab chhuttiyan hongi ek do tab hi. Aise chhutti ki to papa naraz honge .
Udhar gaon me jab sab bache chale gye tab divya ne rita aur rajani ko upar kamre me zaruri bat karne k liye bulaya.
Rajani : kya bat hai divya ? Kaun si zaruri bat karni hai tujhe ?
Divya : didi aapko bura to lagega par ye zaruri hai. Please aap mujhe galat mat samajhna.
Rajani : bat kya hai khul k bata , tujhe pta hai na main teri kisi bat ka gussa nahi karti .
Divya : didi kal jo kuch bhi hua main usi bare me bat karna chahti hun .
Rajani : main bhi tumse is bare me puchna chahti hun. Mujhe pta hai kal tumne Amit ko bachane k liye jhooth bola hai. Tu aisi harkat kar hi nahi sakti
Divya : kya amit kar sakta hai aisi harkat ? Kya aapko lagta hai ye usne kiya hoga?
Rajani : wo phone to usi ka tha na to aur kisne khinchi hongi ?
Divya : aap aisa kaise soch sakti hain didi ? Use fasaya gya tha . Phone zarur uska tha par wo tasveeren usne nahi khinchi . Aur janti hain kisne khinchi hain wo tasveeren ? Karan ne
Rajani : shocked ) ye tu kya keh rahi hai ? Bevajah mere bete par ilzam laga rahi hai . Wo aisa kyun karega ?
Divya : to Amit hamara beta nahi hai ? Kya aap manti hain wo aisa kuch karega? Aaj tak aisi koi bat kabhi sunne ko mili kisi se? Ye sab karan ne kyun kiya ye mujhe nahi malum . Par ye usi ki harkat hai. Maine khud apne kano se Neha ko nidhi ko batate hue suna hai . Aur amit ki almari me wo kapde bhi karan ne hi rakhe the iske ilawa sharab ki botal ashleel kitaben aur goliyan bhi rakhi thi sex badane wali . Jise Neha ne hi nikal diya tha jab uski nazar padi. Aap bataiye kya ye sab Neha jhooth bolegi nidhi se ? Aur us din karan ne aapke samne hi Amit ko manhoos aur bhala bura kaha tha na ? Fir bhi apko yakeen nahi hai . Bas didi bahut ho gya . Damini nahi hai to kya hua main hun Amit ka dhyan rakhne k liye . Karan ne agar Amit k sath kuch bhi galat karne ki koshish ki to mujhse bura koi nahi hoga. Aap ka nam na kharab is liye main chup kar gyi par agar fir usne kuch kiya to main bhool jaungi wo apka beta hai . Amit par mujhe apne se jyada bharosa hai. Wo aisa kuch kar hi nahi sakta aur akhir kya kiya hai usne karan k sath jo wo aisa kar raha hai ? Aap hi bataiye.
Divya k is khulase se rajani aur rita dono hi shocked thin. Rita ko to ye bhi nahi pata tha k karan ne aisa kuch kaha hai Amit ko. Rita ko ye sab sun kar ab karan par gussa aa raha tha par rajani ki vishvas nahi ho raha tha k uska beta aisa kuch kar sakta hai .
Rajani : karan aisa nahi kar sakta , zarur Neha ko galati lagi hogi . Wo Amit se gussa zarur hai par itni giri hui harkat ? Main nahi manti
Divya : bas didi , aap badi hain main aapke khilaf nahi ja sakti par jab bat Amit par aayegi to main usi k sath hun fir chahe aap jo samjhen.
Rajani : amit mera bhi beta hai divya . Ho sakta usse galti ho gyi ho .
Divya : maaf karna didi , agar amit aapko nazron me aisa hai to aaj k bad wo aapke ghar nahi aayega . Wo mere pas ho rahega. Agar wo bura hai to bura hi sahi . Aapko apne bete par yakeel hai aur mujhe apne bete par . Sachai maine apko bata di . Ab aapki marzi ise sach mane ya na mane .
Itna keh kar divya kamre se bahar chali gyi . Rita divya k piche hi kamre se nikal gyi . Use laga k divya gusse me kahin ghar me is bat par halla na macha de. Is liye wo use rokne iske piche chali gyi. Jabki rajani wahin khade khade jaise pathar ho gyi thi. Uska dil ye bat man nahi raha tha k uska beta aisa kuch kar sakta hai . Kyunki wo gusse wala aur ziddi ho gya tha par aisi harkat to wo nahi kar sakta tha. Jabki amit aur rita ki baten sunne k bad ab amit k character rajani ki nazar me maila ho chuka tha . Khair teeno behno ka mood off ho gya tha to wo jyada der nahi ruki aur bus pakad kar wapis shehar aa gyi. Rita ne divya se Karan wali bat pata kar li thi k usne amit ko kya kya kaha tha apne ghar par aur ye bhi k Amit k peeth par wo nishan kaise hain .
Canteen me aaj sab kal k function ki hi baten karte rahe. Kalpana to apne mobile me khinchi hui mere bachpan ki tasveeren hi dikha rahi thi . Minal aur Mohit ki bhi Kalpana k khoob taang khinchi unke gayab rehne ki vajah se . Chhutti k waqt Neha didi ne ghar chalne ka pucha to Maine bata diya k mujhe kisi se milna hai is liye sham ko hi ghar aaunga . College se nikal kar main Manju m k ghar chala gya . Mera bada dil kar raha tha unse milne ko ek to unko chot lagi thi aur dusra unse bat bhi nahi ho payi thi gaon ja kar. Manju m k jab ghar pahuncha to darwaza Rupali ne hi khola.
Rupali : aa gye tum ? Manju keh hi rahi thi k tum zarur aaoge aaj.
Amit : kaisi hain aap Aunty ?
Main unke paon chune laga to unhone mujhe gale se laga liya .
Rupali : main theek hun aur tum mere paon mat chhua karo mujhe acha nahi lagta . Ab chalo andar apni mam se bhi mil lo.
Hum dono jab Manju m k kamre me aaye to wo bed se peeth laga kar baithi hui thi. Mujhe dekhte hi unke chehre par raunak aa gyi par agle hi pal muh banate hue unhone chehra dusri taraf kar liya . Unke paon me ab plaster nahi tha bad garam patti thi .
Manju m : bhabhi isse kehdo main isse naraz hun . Mujhe isse koi bat nahi karni hai .
Rupali : bhai tum dono k jhagde me main nahi bolne wali kya pata bad me tum mujhe ghar se bahar nikal do agar maine amit ko kuch kaha to .
Itna keh kar Rupali hasti hui kitchen me chali gyi . Main Manju m k pas baith gya aur unka chehra apne hathon me le kar apni taraf kiya . Mam ne ankhen ek bar meri taraf ki fir se jhuka li .
Amit : itni narazagi ki vajah jan sakta hun ?
Manju m : tumhe nahi pata main kyun naraz hun ? Ek bar bhi phone uthaya tumne mera? Kitne phone kiye the maine.
Amit : oh to is liye naraz hain aap . I am sorry . Waise mera phone us din mere pas nahi tha. Aur kam kaaj ki bhagdaud me yad hi nahi raha .
Manju m : Han ab mujhe yad kyun rakhoge ? Main hun hi kaun .
Manju m ne jab ye bat kahi to mujhe bilkul bhi acha nahi laga aur main khamosh ho gya . Jab maine koi harkat nahi ki to mam ne meri taraf dekha aur wo samajh gyi k mujhe unki ye bat buri lagi hai . Mam khud hi jaldi se mere gale lag gyi .
Manju m : I am sorry wo galati se muh se nikal gya . Main aisa kehna nahi chahti thi please naraz mat hona . Main janti hun tum mujhe kitna pyar karte ho . Please .....
Amit : main kabhi aisa soch bhi nahi sakta jo aap keh rahi thi. Aapko maine dil se apna mana hai aur pata nahi kyun jab bhi apke bare me sochta hun to aise lagta hai jaise aap hamesha se hi meri thi . Maine aapko kitna miss kiya mere dil se puchiye .
Manju m : mere dil se nahi puchoge k mera kya hal hai itne dino se tumse door reh kar? Bas isi liye gussa kar rahi thi . Ab tum naraz mat hona kisi bat pe.
Amit : apse naraz ho kar jaunga kahan .
Mam ne mere honthon par halke se apne honth rakh kar kiss kiya aur unke chehre aur ankhon me khushi nazar aane lagi.
Amit : itne dino bad bas itna hi ? Lagta hai aapne mujhe jyada miss nahi kiya
Manju m : acha !!! Bhabhi yahan na hoti to tumhe batati .
‘ kya batati ? Abhi batado . Kaho to main bahar chali jati hun .’ Hath me juice ka gilas le kar ati hui Rupali ne kaha to Manju m Sharma gyi .
Manju m : dekho na bhabhi ye keh raha hai k maine ise yad hi nahi kya . Ab aap hi batao ise
Rupali: tum yad karne ki bat karte ho ? Yahan to koi bhi bat ho to tumhara zikar ho hi jata hai usme. Manju to karti hi hai meri teeno betiyan bhi har bat me tumhe yad karti hain . Sach me tumne jo khushiyan humen de di hain wo to jaise kahin Kho si gyi thi. Ab to dar lagta hain kahin fir se ye sab humse koi chin na le.
Amit : aisa kyun sochti hain aap ? Bhagwan sab acha hi karega . Main hamesha aapka sath dunga.
Rupali : ab to tum hi ek ho jisse Manju k sath sath mujhe bhi ummeeden hain. Acha tum dono bayen karo main khana bana kar ati hun .
Rupali kamre se nikal kar kitchen me chali gyi aur main fir se Manju m k sath bath gya .
Manju m : ab pata chala k main yad karti hun ya nahi ? Fir bhi yakeen na ho to is dil se puch lo jis ki har dhadkan tumhara nam leti hai.
Amit : kisi se puchne ki zarurat nahi hai mujhe . Sab janta hun main . Main to bas mazak kar raha tha. Chaliye ab zara aap kehti hai to apke dil se bhi bat ke hi leta hun
Itna keh kar maine Manju m k gulabi honthon ko apne honth me jakad liya aur unhe kiss karne laga . Mam ne bhi mera poora sath diya .
Manju m : ummmmaahhh bahut tadpate ho mujhe tum . Apni adat laga kar ab khud door door rehte ho. Kya tum mujhe apne sath nahi rakh sakte ? Tumse door rehna mujhe acha nahi lagta .
Amit : aap hamesha mere dil me hain . Rahi bat sath rehne ki to wo din bhi aayega jab I’m sath honge . Par abhi usme samay hai .
Manju m . Janti hun par is dil ko kaise samjhaun ? Tumhe siwa aur kuch nahi sochta ye. Meri sooni zindagi me ye rang tumne hi bhare hain . Tumhare siwa main aur kuch nahi chahti . Itne dino se main tumhare pyar ko taras rahi hun kuch kar nahi sakte kya ?
Amit : pehle aap theek ho jaiye fir main aapko khoob pyar karunga . Hum dono kahin bahar chalenge yahan to humen mauka milne se raha ab .
Manju m : main ab theek hun , kal se to college bhi shuru kar dungi . Tum dekho kab aur kahan chalna hai .
Amit : theek hai jaldi hi main apko lekar chalunga jahan apko ji bhar k pyar kar sakun . Ummmm
Maine fir se Manju m ko kiss karna shuru kar diya aur unhone bhi garam Joshi se jawab diya. Kuch der aur baten karne k bad humne sath me khana khaya . Rupali ne jate jate mujhse akele me milne ko kaha to maine unhe ek do din me milne ka keh diya kyunki abhi mujhe uncle aunty se bhi milna tha.
Manju m k ghar se nikal kar main Mohit k ghar chal gya. Rita mausi ka is dauran phone bhi aya to mainne unhe bata diya k main Mohit k ghar se hokar hi aunga . Uske bad main sidha Mohit k ghar pahunch gya. Aunty to mujhe dekh kar khush ho gyi . Karishma didi apne kamre me khane k bad aram kar rahi thi. Aunty ko mujhse kuch zaruri bat karni thi isi liye maine yahan aya tha.
Aunty : mil gya time ? Kitne dino bad ho yahan .
Amit : aap ka hukam tha to ana hi tha. Aap jab bhi kahengi main aa hi jaunga ab din ka hisab mat rakha kijiye waise bhi agle hafte to apke pas hi hun main .
Aunty : kya is hafte nahi ruk sakte yahan ? Karishma bhi yahin hai. Wo bhi khush hogi agar tum pas rahoge to. Pata hai kitne dino bad uske chehre par khushi dekhi hai maine . Wo bahut khush hai tumse mil kar aur fir gaon me jab sab se mili to ghar aa kar bhi bas wahin baten karti rahi. Ek pal ko to laga k mujhe meri beti wapis mil gyi par ab fir se waisi hi ho gyi hai yahan aa kar.
Amit : Aunty bat kya hai ? Didi ko kya problem hai? Aapko kuch bataya unhone ne ?
Aunty : isi liye to tumhe bulaya hai . Chalo mere kamre me wahin bat karte hain . Mohit aur karishma apne kamre me hain . Tere uncle bhi rat tak hi wapis aayenge .
Aunty mujhe apne sath apne kamre me le gyi . Darwaza band karne k bad mujhe apne sath bed par bithaya aur karishma didi ki sair batane lagi . Main bhi sunta raha . Aunty karishma didi k bare me batate batate rone hi lagi thi . Unhe apni beti ki halat par bahut dukh tha.
Aunty : rote hue ) meri fool si bachi ki zindagi narak bana di hai un logon ne.
Amit : uncle ne kuch nahi kaha ?
Aunty : karishma ne apni kasam di hai mujhse k main unhe kuch na bataun . Main use un narak me nahi dekh sakti .
Amit : ek bar unse bat to karni chahiye na . Uncle nahi to aap bat karlo unki saas se
Aunty : nahi wo log to karishma me hi dosh nikalenge na . Waise bhi karishma ki baton se itna to pata chal hi gya hai k wo sab mile hue hain apas me. Sasur to kuch bolta nahi hai aur ghar me bas uski saas aur nanad ki hi chalti hai. Pati bhi un dono ki hi manta hai.
Amit : didi kya kehti hai ?
Aunty : wo to kehti hai k ye rishta uske papa ne karwaya tha is liye ise wo tootne nahi degi aur sab kuch chupchap sehti rahegi.
Amit : agar wo log is kadar tak ghatiya hai to unke sath rehna kahan tak sahi hai ? Aise to wo ghut te ghut te ek din khud hi ..... jab uncle ye sab pata chalega to un par kya bitegi?
Aunty : bahut samjhaya hai maine par wo nahi man rahi aur manegi bhi nahi. Isi liye tumse bat kar rahi hun. Mohit ko bhi nahi bataya maine. Sirf tum hi kuch kar sakte ho .
Amit : main ?? Main kya kar sakta hun isme?
Aunty : tumhe karishma k sath uske sasural jana hoga .
Amit : main wahan kya karunga jakar ?
Aunty : tum hi kar sakte ho ab jo bhi karna hai aur mujhe pura yakeen hai k ye tareeka kam kar sakta hai. Asal me karishma ki nanad hai asli jad hai uski takleefon ki . Khud to apne pati ko chhod aayi hai aur ab meri beti ka ghar barbad kar rahi hai. Uski ma usi ki side leti hai aur karishma ka pati bhi wohi karta hai jo dono kehti hain . Maine dekha hai wo kuch jyada hi garam hai . Modern kapde pehanti hai . Itni garam larki apne pati se door reh kar khud ko thanda kaise karti hogi ? Kuch to wo zarur karti hogi . Ya ho sakta hai k wo kisi ko dhoond rahi ho. Tum agar use kabu karlo to karishma ki zindagi sudhar jayegi .
Amit : nahi Aunty main ye sab nahi kar sakta. Zara sochiye agar maine koi harkat ki aur usne meri shikayat kar di to didi k sath wahan kya hoga ? Kya tab aap sambhal payengi is bat ko ? Waise bhi mujhe ye sab nahi ata .
Aunty : dekho main ek aurat hun aur dusri aurat ko ache se samajh sakti hun. WAise bhi tumhe kuch karne ki zarurat nahi padegi. Ek to tumhari personality se waise hi wo impress ho jayegi , dusra tumhare pas jo jadu ki chhadi hai na wo kisi ko bhi tumhara gulam bana sakti hai .
Amit : per aunty
Aunty : par war kuch nahi, agar karishma ko apni behan mante ho to kya uske liye itna bhi nahi kar sakte ?
Amit : theek hai, ek bhai hone k nate main unke liye jo kar sakta hun wo karunga par agar bat bigad gyi to ? Agar didi ko is bat ka pata chal gya to ?
Aunty : wo sab main dekh lungi . Tum bas ye kam kar do. Uski nanad agar tumhare neeche aa gyi to fir samjho uski saas bhi fir hamari muthi me hogi . Fir karishma ko koi pareshan nahi rahega.
Amit : theek hai Aunty par ab ye sab kaise hoga ?
Aunty : karishma ko mayke chhodne tum jaoge aur kuch din wahin ruk jana.
Amit : jana kab hai ?
Aunty : jab tum kaho
Amit : didi ko aap kuch din yahin rehne do. Yahan rahengi to unhe bhi acha lagega.
Aunty : main bhi yahi soch rahi hun . Main karishma se bat kar k tumhe bata dungi .
Amit : uncle kab aayenge Aunty mujhe unse kam hai .
Aunty : waise to wo sham ko ayenge , agar kam zaruri hai to phone kar lo unhe.
Maine uncle ko phone laga diya . Uncle ne teesri bell par phone utha liya .
Uncle : aur kaise ho bete , aa gye gaon se ?
Amit : ji uncle main theek hun aur abhi apke ghar par hi hun.
Uncle : wo tumhara hi ghar hai bete. Ab batao kya kam hai ?
Amit : wo maine didi ki bat ki thi apse job k liye.
Uncle : acha acha , isme puchne ki kya zarurat hai. Sab kuch tumhara hi hai. Tum jab chaho use bhej do.
Amit : par main chahta hun k unhe ye na lage k ye job unhe meri vajah se mili hai.
Uncle : theek hai samajh gya. Aisa karo kal tum use office me le ana. Main sab dekh lunga.
Amit : theek hai main unko bhej dunga.
Uncle : bhejna nahi tumhe khud ana padega.
Amit : theek hai uncle main aa jaunga.
Uncle : theek hai beta tum ghar par baitho apni Aunty aur didi se baten karo main bhi jaldi aa jaunga .
Amit : theek hai uncle .
Uske bad uncle ne call cut kar di
Aunty : to ab kya irada hai ?
Amit : kaisa iraada ?
Aunty : kitne din ho gye humne kuch kiya nahi
Amit : didi ghar par hain Aunty humen risk nahi lena chahiye. Ab mujhe chalna chahiye.
Aunty : ruk to jao thodi der karishma se to mil lo .
Amit : main kal mil lunga unse. Aaj mausi k ghar bhi jana hai .
Uske bad Aunty ne ek bar mujhe gale laga kar ache se kiss kiya aur main rita mausi k ghar aa gya.
Rajani divya ki baton se ahat jab ghar pahunchi to ghar par sirf nidhi thi. Rajani ko abhi bhi yakeen nahi ho raha tha k karan ne aisa kuch kiya hoga. Use to Amit par hi shak tha rita k sath uski baton k karan. Rajani ne nidhi se hi puchna behtar sAmjha.
Rajani : nidhi mujhe tumse ek zaruri bat karni hai .
Nidhi : kahiye ma .
Rajani : kal ghar par jo kuch hua tumhe uske bare me kuch pata hai ?
Nidhi : aap kis bare me puch rahi hain ma?
Rajani : main amit ki bat kar rahi hun . Uske jo kuch kiya hai uske bare me tumhe kuch kehna hai ?
Nidhi : Amit ne aisa kuchh bhi nahi kiya hai . Aur wo aisa kuch kar bhi nahi sakta . Aapko jan kar dukh hoga ma. Mujhe bhi hua tha par ye sab karan ne kiya hai.
Rajani : tumhe Karan par kise ilzam laga sakti ho ? Wo bhala aisa kyun karega ? Usne kabhi aisi koi harkat ki hai aaj tak ?
Nidhi : to kya Amit ne kabhi aisa kuch kiya hai ? Neha ne khud khud dekha hai karan ko Amit k kamre me wo sab saman rakhte hue jo usne hata diya tha samay par. Warna bechara Amit apni begunahi bhi sabit na kar pata ? Mujhe to sharam aa rahi hai k karan mera bhai hai.
Rajani : sharam aa rahi hai ? Apne bhai par sharam aa rahi hai tujhe ? Kya ho agar Neha se hi galati hui ho ?
Nidhi : agar Neha se galati hui bhi hogi to tab bhi wo sab Amit k kamre me kaise aya ma ? Aap hi batao ? Karan hi tha na uske kamre me. Aur yahan itne din tak wo raha kya aapko kabhi uski koi harkat galat lagi ? Jabki karan ne to apke samne hi use kya kya nahi kaha.
Rajani : ho sakta hai wo sab wo sirf apne kamre me hi rakhta ho ?
Rajani ( man me ) jo ladka apni mausi k sath wo sab kar sakta hai wo bhala kisi ko chhodega?
Nidhi : ye aap kya keh rahi hain ma? Aap Amit par shak kar rahi hain ?? Aap janti hain wo kya hai ?? Agar amit na hota to aaj aapki beti aapko muh dikhane k layak nahi rehti .
Rajani : shocked ) ye tu kya keh rahi hai ?
Nidhi : rote hue ) main sach keh rahi hun ma . Janti hain us din Amit ki bike accident kaise hua tha? Kyunki wo mujhe bachane aa raha tha. Agar us din wo samay par na pahunchta to meri izzat lut chuki hoti. Aur use kya sila mila ? Aapke samne hi use kya kuch nahi kaha karan ne .
Ye sab sun kar rajani ki ankhon me bhi aansoo aa gye .
Rajani : tere sath itna kuch ho gya aur tune mujhe bataya bhi nahi . Apni ma se itni badi bat chhipa hi tumne?
Nidhi : Amit ne hi mana kiya tha ma. Aur aap keh rahi hain na k Amit aisa kar sakta hai to suniye . Us din main uske samne bina kapdon k thi magar usne ek bar bhi mujhe nahi dekha . Sochiye kya wo aisa kuch kar sakta hai? Are uske to paon dhokar pine chahiye aur karan ne itni giri hui harkat kar di uske sath . Radha ki izzat bhi Amit ne hi bachai thi kya wo bhool gyi aap ? Apni jaan par khel Kar usne Radha aur Sheena ko bachaya tha. Uske ilawa usne to jane kitni ladkiyon ko bachaya us ladkiyon ko kidnap karne wale giroh ko pakadwakar . Us din wo police wala wo bike isi liye chhodne aya tha kyunki wo bike wahin reh gyi thi aur is dauran use bahut chot bhi lagi thi. Aise ladke k bare me aap aisa soch rahi hain ? Aur ab karan ki bhi sun lo ma. Kalpana k sath badtameezi kar chuka hai aapka ladla. Wo bechari Amit ki vajah se chup hai warna ab tak pata nahi kya hota apke bete kA . Aap Neha par shak karne lagi jab maine uska nam liya to . Ye nahi socha k Neha k liye to dono hi ek jaise hain ? Mujhe to sharam aa rahi hai k jab Amit ko pata chalega k ye sab karan ne kiya tha to main usse nazren kaise milaungi .
Itna kuch sunne k bad rajani ka to dil hi baith gya. Jahan ek taraf amit k bare me itna kuch samne aaya tha aaj uske wahin dusri taraf apne bete ki asaliyat samne aane par ab uski ankhon se aansoo apne aap behne lage the. Usse kuch bola hi nahi ja raha tha. Nidhi apne aansoo ponch kar apne kamre me chali gyi . Rajani ko apni galati ka ehsas ho rha tha k wo putr moh me Amit ko hi galat samajh rahi thi jabki usne uski beti ki izzat bachai . Rajani ab khud par hi sharminda ho rahi thi . Rajani kitni hi der tak akele ansoo bahati rahi . Dopehar ko jab karan wapis aaya to rajani hall me hi baithi thi . Jaise hi karan andar aya rajani ne karan ko tabadtod thappar marne shuru kar diye . Karan ko to sambhalne ka mauka hi na mila . Rajani ne bhi koi reham na kiya aur apne dil ki aag shant karne k liye karan ko jute se dande se achi tarah pita nidhi ne bhi apni ma ko rokne ki ek bar bhi koshish na ki.
भाई Your actions are like a boomerang, they will turn back and have a good or bad effect on you, it depends on your actions, what you get.