JABRDUST STORY BHAI
AAP MUZE "AVI" BHAI KI YAAD DILA TE HO
AAP MUZE "AVI" BHAI KI YAAD DILA TE HO
Sahi bola yrJABRDUST STORY BHAI
AAP MUZE "AVI" BHAI KI YAAD DILA TE HO
Update 86
Ghar aate hi Aunty ne naraz hone lagi ki Main roz hi dinner bahar karne laga hun
Aunty : tum meri kisi bat par naraz ho ? Agar ho to bata do. Magar mujhe acha nahi lagta k tum ab zyada samay bahar hi rehne lago ho aur mere pas baithte bhi nahi
Amit : aisa nahi hai Aunty wo main tuition me kai bar late ho jata hun to mam zabardasti khana khila kar bhejti hai
Aunty : hai kaun ye tumhari tuition wali Mam jo itni khatirdari karne lagi hai. Kya mujhse bhi achi hai jo tum ab uske pas hi jyada time lagate ho?
Amit : ye aap kaisi bat kar rahi hain Aunty ? Wo meri college professor hain aur wo mujhe apne chhota Bhai manti hain. Par mujhe lag raha hai aapko jalan ho rahi hai
Aunty : jalan kyun na ho ? Pehle tum mujhe gf ki tarah pyar karte the aur ab tum aise picha chhudate ho jaise main koi ajnabi hun. Zarur mujhme me hi koi kami hai tabhi ragbav bhi mere pas nahi aate aur ab tum bhi wahi kar rahe ho.
Aunty mujhse gila kar rahi thi. Is waqt Aunty aur main hall me akele hi the. Mujhse Aunty ki ye dasha Dekhi nahi ja rahi thi to Maine Aunty ko gale se laga liya.
Amit : aapne ye socha bhi kaise k main apse picha chuda raha hun. Aap to kudrat ki karigiri ka wo karishma ho k jisko pa kar koi bhi khud ko kismat Wala samjhega. Main practice aur tuition me late ho jata hun is liye apko waqt nahi de pata magar mere dil me aapki jo jagah hai wo ab bhi wahi hai. Pata hai Rama agle hafte mera competition hai aur mujhe takat bacha kar rakhni hai isi liye main tumhare sath pyar nahi kar raha fir bhi agar tum kahogi to Main taiyar hun. Chalo chalte hain tumhare kamre me.
Aunty : tum sach keh rahe ho? Aur main kya kya soch rahi thi. Main hi pagal thi jo kuch bhi soche ja rahi thi. Itni si bat tum pehle hi bata dete . Itna to Main khud par control kar hi sakti hun.
Amit : o my darling tum kitni achi ho
Maine Aunty k hontho par apne honth chipka diye aur kiss karne laga. Aunty bhi mera sath dene lagi . Kuch girne ki awaz se Maine kiss karna band kar diya. Maine awaz ki disha me dekha to rani jaldi se kitchen me ghus gyi.
Aunty : kya hua?
Amit : kuch nahi
Aunty : tension mat lo tumhare uncle kal ya parson aayenge aur Mohit bhi abhi ghar nahi hai. Waise ye gift kis k liye laye ho?
Amit : kal meri cousin ka birthday hai uske liye hi laya hun
Aunty : iska matlab kal tum birthday party me busy rehne wale ho. Aur do do gift lagta hai tum apni is cousin k kafi close ho.
Amit : main sab k sath hi close hun koi kisi k sath alag nahi. Waise Mohit kahan hai
Aunty : wo apne kisi dost se Milne gya hai uska phone aya tha.
Aunty ko ek bar fir se kiss kar k main apne kamre me chala gya aur kal k bare me sochne laga . Tabhi Naina didi ka phone aa gya
Naina : lagta hai tumhe meri yad nahi ati ? Milna to door ek phone tak nahi karte khud se
Amit : na hi na hello direct taane. Kya kisi se milkar hi pyar ka saboot diya ja sakta hai? Kya phone karne se hi pata chalta hai koi kitna yad karta hai? Mere se puchiye k ye aapko yad karta hai k nahi ? Aur aap ho k mujhe ye sab suna rahi ho.
Naina : I am sorry par main kya karun mera dil nahi lagta kisi kam me tumhare bagair . Har waqt bas tumse bat karne ko tumhe dekhne ko tumhe gale lagane ko hi dil karta hai
Amit : kiss karne ko dil nahi karta ?
Naina : sharmate hue) hat badmash maze le rahe ho . Ab koi kiss viss nahi Milne wali
Amit : soch lo agar kiss nahi karogi to Main Milne bhi nahi aaunga
Naina : badmash mujhe blackmail kar raha hai. Kal mil to sahi fir batati hun tujhe
Amit : kal kahan ?
Naina : tujhe kisi ne bataya nahi abhi tak ? Kal Radha ka birthday hai aur mausi me sabko invite kiya hai ghar par sham ko party hai.
Amit : birthday ka to mujhe pta hai magar ye party ka kisi ne nahi bola. Main to bas itna janta hun k kal ma aur baba bhi aane wale hain.
Naina : to fir tumhe bhi aana padega Main tumhara wait karungi. Mujhse to intzar karna mushkil ho raha hai Sunday k bad kal tumhe dekhungi kitne din ho gye.
Amit : lo abhi to 2 hi din hue hain aur aap keh rahi hain kitne din ho gye.
Naina : tum chup raho . Tumhe kya pata mujh par kya bit rahi hai . Ek ek din saal jitna bada lagta hai.
Amit : yad aya ! Aapne karuna didi ko kya bataya tha ? Neha didi keh rahi thi k wo mujh par naraz hain k main apse Milne gya tha aur unse nahi milta.
Naina : jyada kuch nhi maine to bas itna hi kaha tha k main tumhe bf bana kar apni friends k sath milane le gyi thi.
Amit : ho gya kalyan
Naina : kya hua?
Amit : aapko kya zarurat thi ye sab batane ki?
Naina : wo meri beat friend hai is liye bata diya
Amit : ab wo meri jaan le lengi aur pta nahi kya kya kahengi.
Naina : tum uski tension mat lo main use dekh lungi .
Thodi der Naina didi se bat karne k bad maine call cut kar di. Tabhi Mohit mere room me aa gya.
Mohit : Abe kahan gayab rehta hai ? Tujhe apne sath lekar jana tha aur tu hai k itna late aane laga hai. Kaisa raha aaj shivani k sath tune bataya nahi?
Amit : sab theek raha Aunty se Mila wo bahut achi hain aur mujhe lagta hai shivani bhi dil ki achi hai magar usne monty aur sheena k kehne par wo sab kyun kiya ye samajh nahi aa rahi.
Mohit : tune kya socha hai ab kya karna hai. Kahin fir se kisi pange me na fas jana
Amit : wo aisa nahi karegi itna to mujhe yakeen hai. Wo sab chhod kal radha ka birthday hai aur main soch raha hun kal ek chhoti c surprise party rakhte hain college k bahar. Tu kya kehta hai?
Mohit : ye to bahut achi bat hai .
Amit : to aisa kar tu Minal ko bata de kal humne surprise dena hai radha ko is bat ka dhyan rakhen aur jo bhi radha ki aur uski frnds hain unko bhi invite kar le kal.
Mohit : main abhi use batata hun aur surprise rakhne ka bhi keh dunga. Waise pichle bar jahan gye the wahi restaurant sahi rahega tum kya kehte ho?
Amit : han wo hi theek hai . Kal third lecture me chalenge tu pehle nikal jana cake ka dekh lena.
Mohit : tu tension na le ab main bhi chalta hun Minal se bat kar lun tu bhi rest kar. Good night
Agle din subah main college k gate par khada ho kar radha aur neha didi ka intzar karne laga tabhi wo dono aa gyi. Mujhe yun khade intzar karta dekh kar radhauskura rahi thi to neha didi hairan ho rahi thi.
Neha : tu yahan kya kar raha hai gate par khada ho kar?
Amit : aap ka hi intzar kar raha tha.
Neha : kya bat hai? Koi kam tha kya? Phone kar leta
Radha aaj khili khili lag rahi thi aaj uska janmdin jo tha. Aaj wo pink suit pehen kar aayi thi aur bilkul pink rose ki tarah lag rahi thi. Kyunki uska dudhiya rang bhi sharmane se pink hi lag raha tha. Radha bar bar mujhe dekh kar nazren jhuka leti aur muskurane lagti jaise use pata tha ki main usko birthday wish karne k liye hi yahan khada unka intzar kar raha tha.
Amit : wo didi aapse ek kam tha zara idhar aayengi.
Radha meri is bat se hairan ho kar mujhe dekhne lagi. Aur main neha didi ko side me le gya.
Neha : kya bat hai?
Amit : didi aapko to pata hi hoga radha ka aaj birthday hai. Main soch raha hun use ek surprise party dete hain. Maine sab arrangements kar liye hain aap third lecture me use lekar canteen me aa jana bas aur han use pata na chale k mujhe pata hai uske birthday ka.
Neha : magar tu use abhi wish to kar sakta hai na use bura lagega agar tune wish nahi kiya to.
Amit : zara sochiye jab use surprise party dunga to wo kitna khush hogi
Neha : bat to teri sahi hai. Radha ne shayad kisi ko bataya bhi nahi hoga k uska birthday hai aaj bechari kabhi manati bhi to nahi apna birthday.
Amit : isi liye to main ye sab kar raha hun. Ab aapko kaise bhi kar k radha ko le ke aana hai.
Neha : theek hai .
Neha didi radha k sath chali gyi aur main apni class ki taraf. Radha ko ab mujh par gussa aa raha hoga k maine use wish nahi kiya magar jab surprise party dekhegi to uska gussa furrr ho jayega. Yahi sochta hua main class me chala gya. Chandrakanta Mam class me aa gyi aur main hamesha ki tarah mohit k sath last bench par baitha tha.
Chandrakanta : you stand up . Maine tumse hi kaha hai.
Chandrakanta m ne mujhe khada hone k liye keh diya . Main pareshan ho gya k ab maine kya kar diya ab ye kis bat par gussa hai.
Chandrakanta : tum yahan padne aate ho ya aashiki karne ?
Amit : maine kya kiya Mam?
Chandrakanta : kya kiya? Gate par ladki ko rok kar kya baten kar rahe the tum ? Yahan padne aate ho to padai par dhyan do. Har bar principal tumhe bachane nahi aayenge
Amit : Mam wo meri
Chandrakanta : chupchap meri bat suno meri bat abhi khatam nahi hui. Pehle bhi tumne us ladki k sath badtameezi ki thi . Ab agar koi aisi waisi tumhare khilaf complaint aayi to college se bahar jaoge sidha ab baith jao
Amit : Mam wo meri
Chandrakanta : tumne suna nahi chupchap baith jao
‘Iski ma ki ‘ man me galiyan deta hua main apni jagah par baith gya .
Mohit : kya chakkar hai bhai kon thi wo ?
Amit : kuch nahi yar neha didi se bat kar raha tha radha ki birthday party k bare me
Mohit : ye madam ko problem kya hai tumse . Tune bataya kyun nahi wo teri cousin hai
Amit : mauka hi kahan diya mujhe kuch bolne ka. Chal ab chup baith kahin bahar na nikal de.
Jaise taise chandrakanta ka lecture khatam hua aur manju m class me chali aayi. Hamesha ki tarah muskurati hui . Unki muskurahat dekh kar main chandrakanta m k sath hui kadwahat bhool gya. Manju m aate hi pehle meri taraf zarur dekhti thi aur ankhon se hi ishara kar diya karti thi magar is tarah k kisi ko pata bhi na chale. Mam ka lecture khatam hone se pehle hi peon principal k message lekar aa gya aur Mam lecture beech me hi chhod kar chali gyi. Main mohit ko lekar canteen ki taraf chal diya. Lecture ki bell bajte hi Minal Rima aur radha canteen me aati hui nazar aayi. Radha k chehare par gussa aur narazagi saag jhalak rahe the. Mujhe canteen me baitha dekh kar wo library jane ka bolne lagi magar Minal use jane Nahi de rahi thi tabhi neha didi bhi aa gyi.
Minal : to chalo ab wait kis ka hai?
Mohit : chalo chalo bas neha didi ka hi intzar tha
Radha : kahan jana hai ? Mujhe kahin Nahi jana main library ja rahi hun.
Neha : tu kahin nahi ja rahi. Chup chap hamare sath chal tu bhi .
Radha : didi aap bhi ? Aapko to pata hai na ? Mera mood theek nahi hai. Aapko jana hai to jao.
Amit : ye kya radha ? Aaj mere dost ka birthday aur tum aise mana kar rahi ho. Tumhe bhi sath chalna hoga warna main kabhi tumse bat nahi karunga.
Maine bat karte hue mohit k kandhe par hath rakh kar use khud se chipka liya . Radha ye samjhi shayad mohit ka birthday hai.
Radha : ( dusaron ka birthday yad hai aur mera nahi. Subah se ek bar bhi wish nahi ki . Upar se dhamki deta hai k bat nahi karunga. Tumhe to main dekh lungi. Magar ab kya karun agar maine mana kiya to iski insult ho jayegi. Han kar deti hun bad me dekha jayega ) theek hai . Happy birthday mohit par mere pas koi gift nahi hai. Mujhe pata nahi tha main kal le aaungi.
Mohit radha ki bat par hasne laga magar maine uske pet me kohni mar kar use control karne ko kaha.
Mohit : koi bat nahi gift zaruri Nahi hota. Zaruri hota hai celebration me shamil hona. Ab chalo jaldi warna der ho jayegi.
Hum sab parking ki taraf chal diye. Radha meri taraf dekh bhi nahi rahi thi aur main man hi man has raha tha. Radha neha didi ko lekar Minal aur mohit k sath uski car me baith gyi. Aur main akela reh gya Rima k sath . Rima roz ki tarah aaj bhi simple White suit me bahut khubsurat dikh rahi thi. Kandhe se thoda neeche tak khule curly baal jo halke brownish look dete the. Rima bar bar muskurati hui mujhe kanakhiyon se dekh rahi thi .
Rima : aap bahut dhyan rakhte hain apni cousins ka . Radha ko jab jab pata chalega k uske birthday ki party hai to kitni khush hogi wo .
Amit : mujhe uske chehare par wahi khushi to dekhni hai . Us khushi ki koi keemat nahi lagai ja sakti jab aapko unexpected kuch acha milta hai to aapke chehare par jo us waqt khushi hoti hai uska to varnan bhi nahi kiya ja sakta. Waise hum dono same hi batch me hain to formality band kar deni chahiye warna aise lagta hai k jaise ajanabi ho. Tum mujhe aap mat kaha karo sidha tum hi kaho
Rima : jaise aap ko theek lage matlab tumko
Amit : waise ek bat to manni padegi tum is White suit me bilkul apsara lag rahi ho. Tum par college k sab ladke marte honge . Kitne purpose aa gye ab tak?
Rima : ( dusaron ki mujhe parwah nahi main to bas tumhe pana chahti hun ) blushing . Wo to ladkon ka kam hi hai jahan koi ladki dekhi uske piche lag jate hain. Main koi utni bhi sundar nahi jitni tum tareef kar rahe ho. Radha to mujhse bhi sundar hai. Waise thanks tareef k liye
Amit : har sundar ladki khud ko kam aur dusaron ka jyada sundar samajhti hai jab tak ki usme ghamand na ho. Aur tumne radha ki tareef kar k ye bata diya k tum me ghamand nahi hai. Ye achi bat hai. Main khush hun k mujhe ek achi dost mili hai tumhare roop me
Rima : thanks tumne mujhe is kabil samjha. Waise ek bat puchun agar bura na mano to?
Amit : agar dost aise takalluf karenge to bura to lagega hi. Tum sidha sawal pucho aise formality mat karo
Rima : tumne koi gf nahi banai abhi tak ? Mere matlab hai maine kabhi tumhe kisi k sath dekha nahi aur Minal bhi bata rahi thi k tumne gf nahi banai. Iski koi khas vajah?
Amit : mujhe interest nahi in sab baton me. Waise bhi yahan par log char din ki chandani wala rishta hi rakhte hain. Pyar bhari baten ki maze liye aur aage hue. Main to sache pyar me yakeen rakhta hun jo kahin nazar nahi ata.
Rima : ( main bhi to aisa hi insan dhoond rahi thi jo pyar ko samjhe , lagta hai tum hi meri manzil ho . Isi liye tumhe dekhte hi main tum par fida ho gyi thi ) insan jise bahar dhoond raha hota hai kai bar wo uski bagal me hi hota hai bas use ehsas nahi hota . Kya pata aapko sacha pyar apke aaspas hi mil jaye.
Rima ki bat sun kar jab maine uski taraf dekha to wo meri hi taraf dekh rahi thi magar driving karne ki vajah se wo jaldi hi samne dekhne lagi. Rima ki ankhon me kuch tha jo wo kehna chahti thi magar kehte kehte ruk gyi. Mujhe bhi ehsas hone laga k wo kis taraf ishara kar rahi hai. Magar main use dukh nahi dena chahta tha .
Amit : pyar khushi de ya na de gum zarur deta hai . Is kiye isse to Bach kar hi rehna chahiye
Rima : pyar to ek jua hai sahab kiske hisse me kya aya ye taqdeer ki bat hai. Magar main to kahungi ek bar zindagi me pyar zarur karna chahiye. Marte waqt ye to pachtawa na ho k khuda ki Sabse Anmol cheez ko humne mehsus hi nahi kiya.
Rima ki itni gehri bat sun kar main soch me pad gya. Rima jitni khubsurat thi usse kahin jyada uske shabdon me gehrai thi. Rima ki ek ek bat sahi thi magar main to apne hisse ka jua khel chuka tha aur us jue ne mujhe umar bhar ka dard bhi de diya tha. Eka ek meri ankhon k aage manjari ka chehara ghumne laga aur mujhe Rima me bhi manjari nazar aane lagi. Isse pehle k main uski taraf hath badhata Rima ne gaadi rok di aur main bhi hosh me aa gya.
Rima : lijiye pahunch gye.
Main Rima k sath gadi se utar gya mohit ki car samne khadi thi aur wo log shayad andar ja chuke the. Is liye main bhi andar chala gya. Mohit ne pehle hi restaurant wale se setting kar k rakhi thi . 2 table ko jod kar unhone party k liye jagah bana rakhi thi. Mohit ne waiter ko ishara kiya to wo cake le aya . Cake ke upar apna nam dekh kar radha khushi se uchhal padi.
Radha : ye sab mere liye hai ? Tum logon ko pata tha k aaj mera birthday hai? Maine to kisi ko bataya nahi tha fir kise ?
Neha : tumhe kya laga tha k amit ko yad nahi hai tumhara birthday ? Ye sab isi ka plan tha aur subah ye mujhe ye hi sab bata raha tha.
Neha didi k bat se radha ki ankhon me khushi k aansoo aa gye aur wo apni chair se uth kar mere pas gyi . Main bhi apni jagah se khada ho gya.
Amit : happy birthday radha. Tumne socha bhi kaise k main tumhara birthday bhool jaunga. Aaj se pehle kabhi mujhe moka nahi milta tha is liye main kabhi tumhare sath tumhara birthday mana Nahi pya magar aaj to hum sath hain na.
Radha ne mujhe kass k gale laga liya. Uski ankhon me khushi k aansoo the . Radha ko itna khush dekh kar mere dil ko bhi bahut khushi mil rahi thi. Radha sab ke samne mujhe aise lipti padi thi jaise ped k sath wail chipki rehti hai. Hum dono aise gale lage hue the jaise k do premi barson bad mile hon.
Radha : thank you thank you very much . Aaj tak mujhe itni khushi kabhi nahi hui. Thank you very very much . Tum bahut ache ho mujhe to laga tha k tumhe yad bhi nahi hoga magar tumne mere liye ye sab kiya. Main bahut bahut bahut khush hun.
Minal : bas bhi karo madam ab cake katogi ya hum khud hi nipat len
Minal ki bat sun kar radha mujhse alag hui sur sath me hi sharmane lagi k abhi abhi wo kaise mere sath gale lagi hui thi. Radha ka aise sharmana aur mujhe dekh dekh kar muskurana mujhe bahut acha lagta tha. Sach me kitni cute thi radha bilkul masoom bachi ki tarah uski hansi dil me utar jati thi .
Radha ne cake k upar lagi candle bujhai aur cake katne k bad pehla piece mere muh me dala . Radha k chehare par ek alag hi noor nazar aa raha tha maine bhi ek tukada utha kar radha k muh me dala to radha ne meri ungali par halka sa bite kar diya. Bari bari se sabne radha ka muh mitha karwaya aur fir gift dene lage . Mohit aur Minal k sath Rima ne bhi radha ko gift diya .
Radha : iski kya zarurat thi maine to aap logon ko bola bhi nahi tha. Itni jaldi apne kaise ye sab?
Minal : to kya hua ? Mohit ne mujhe rat ko hi bata diya tha. Is liye maine Rima ko bhi bata diya aur Rima mere aur apne liye bhi gift le aayi
Minal ki bat sun kar main radha Rima ki taraf dekhne lage .
Rima : aise kya dekh rahi ho ? Main kya apni friend ko gift bhi nahi de sakti? Wo bat alag hai k jayda samay mahi mila warna kuch acha sa plan kar k lati.
Rima ne radha k liye gift la kar mere radha k man me apni jagah pakki kar li thi.
Neha : bhai main to bad me hi dungi wo ghar par rakh hai .
Radha : maine apse manga hai kya?
Neha : gift mange nahi jate radha ki bachi . Maine pehle hi le rakha hai wo sham ko tumhe mil jayega.
Maine mohit ko ishara kiya aur wo apni car ki dikki se gift nikal kar le aya . Maine dono gift radha ko de diye.
Radha : iski kya zarurat thi tumne pehle hi itna sab kiya hai . Ab ye gift ?
Amit : chup chap rakhlo maine tumhare liye hi liye hain
Bag wala gift thoda bada dikh raha tha is liye radha ne mujhse pucha
Radha : isme kya hai?
Amit : khud hi dekh lo
Radha ne jaldi se wrap khol diya to bich me sundar sa lethre ka bag dekh kar wo khush ho gyi . Ladkiyon ko in sab cheezon ki khas samajh hoti hai is liye Minal Rima aur neha didi bhi bag ko check karne lagin.
Minal : bag to bahut acha hai aur ise college me bhi use kar sakte hain bahar bhi . Jyada bada bhi nahi aur chhota bhi nahi. Quality bhi achi hai.
Rima : aur dekho ye brand bhi kitna famous hai leather quality me ye no.1 hai.
Neha : tumhe itni samajh kahan se aa gyi ladkiyon k bare me ? Sach sach batao kahan se liya ye?
Amit : didi aam khane chahiye ped Nahi puchna chahiye. Maine kitni mehnat se ye dhoond kar liya hai wo aapko nazar nahi aya .
Radha : thanks again mujhe ye bahut pasand aya ab se maine yahi bag lekar college aya karungi.
Amit : bar bar thanks mat bolo ab dusra gift bhi kholo
Radha ne dusra gift bhi open kiya to usme branded mobile dekh kar wi meri taraf dekhne lagi.
Amit : kya hua ? Aise kya dekh rahi ho?
Radha : ye to bahut mehenga hoga na ? Tumne kyun liya itna mehenga ? Mujhe iski zarurat Nahi hai ye main nahi lungi.
Amit : gift dene wale ki niyat dekhi jati hai kimat nahi . Agar tumne inkar kiya to fir mujhse bat mat karna kabhi. Aur tumhe iski kitni zarurat hai ye mujhe pata hai.
Radha : magar main ma ko kya kahungi?
Amit : abhi mausi ko mat dikhana bad me keh dena k mama ne diya hai. Mera nam logi to wo kabhi nahi manengi aur bag ka bhi mat batana.
Radha ki ankhon me jo khushi jo pyar aaj main apne liye dekh raha tha usse mujhe k ajeeb sa sukoon mil raha tha jo bayan nahi kiya ja sakta. Khair uske bad baki gift bhi radha ne open kiye Minal aur Rima k gift me bracelet aur watch thi . Mohit k gift me showpiece tha . Uske bad humne pizza noodle colddrink ka maza liya. Bill pay karne k time jab main counter par gya to radha neha didi ko lekar mere pas aa gyi.
Radha : amit ye lo paise hamare pas abhi itne hai hain baki bad me de dungi main.
Amit : tum khud ko samajhti kya ho?
Radha : kya hua? Aise kyun keh rahe ho?
Amit : kya ye party tumne rakhi thi ? Kya tumne sabko bulaya tha? Apne paise apne pas rakh warna lagaunga ek kan k niche badi aaye paise wali. Ye sab meri zimmedari hai.
Radha : par tum bhi to apni pocket money se hi doge na ? Tumhe mushkil hogi
Amit : jyada dimag mat chalao apna . Mere pas meri pocket money aise hi padi rehti hai maine kaun sa kharach karni hoti hai. Ab apne paise apne pas rakho warna mujhse bura koi nahi hoga.
Radha ne paise wapis rakh liye. Uske bad hum sab college wapis aa gye . Chhutti ka time ho raha tha is liye sidha parking se Rima humen drop karne k bad bye bye karti nikal gyi. Radha aur neha didi bhi jab wapis jane lage to radha ne mujhe pas bulaya .
Radha : sham ko ghar jaldi aa jana . Ma ne sabko 6 baje ka bola hai. Bade mama aur mami shayad aa bhi chuke honge.
Amit : magar mujhe to kisi ne nahi bulaya . Aur tum janti ho mausi mujhe pasand nahi karti aise me main nahi chahta k tumhari party ka maza kirkira ho. Meri vajah se sabka maza main kharab nahi hone dunga. Maine isi liye yahan kar li na party . Tum meri chinta mat karo
Radha : mujhe kuch nahi sunna agar tum na aaye to main bhi cake nahi katungi keh deti hun pehle hi. Fir dete rehna sabko jawab khud hi.
Amit : acha meri ma main aa jaunga magar mausi ne kuch kaha to fir main wapis aa jaunga .
Radha : ma kuch nahi kahegi mujhe pata hai. And thanks again
Amit : marunga ab agar fir thanks bola to
Radha : sorry .
Uske bad radha aur neha didi scooty par nikal gyi main bhi mohit aur Minal k sath chal diya. Aaj sham ko maine practice se chhutti kar li aur taiyar ho kar sidha divya mausi k ghar ki traf nikal liya. Main jan bujh kar thoda deri se gya taki sab taiyari ho jaye mausi ka kya pata hai mujhe dekh kar garam hi na ho jayen. Baba aur ma se meri bat ho gyi thi wo aa chuke the aur Naina didi ne bhi bata diya tha k wo bhi pahunch gye hain. Rita mausi bhi karuna aur neha didi sang pahunch chuki thi gaon se sirf baba aur ma hi aye the deepika mami aur Kamini mami ki pregnancy ki vajah se. Mohit ko sath le jana mujhe theek nahi laga kyunki ek to ye sirf family gathering thi dusra pata nahi tha mausi kaise behave karengi aise me kahin beizzati na ho jaye. Khair main 7 baje se kuch der pehle mausi k ghar pahunch gya. Maine jaise hi bell bajai to darwaza radha ne khola. Radha is waqt red suit me thi aur gulab ki tarah Mehak rahi thi. Waise to wo pehle hi bahut khubsurat thi magar halka sa makeup karne k karan wo aur bhi haseen lag rahi thi. Kajal lage hone k karan uski wo hirni jaisi ankhen apni nazar k ek war se hi katal kar dene k liye kafi thi. Kano me jhumke galon par halki lali gale me necklace ek chhoti si bindi mathe par jaise uski shobha bada rahi thi.
Radha : kab se tumhara intzar kar rahi hun aur tum ab aa rahe ho. Ab yahi khade rahoge kya jaldi andar chalo sab intzar kar rahe hain.
Amit : tum bahut khubsurat lag rahi ho radha . Ek kala teeka laga lo kahin tumhe meri nazar na lag jaye.
Radha mere muh se apni tareef sun kar sharma gyi aur uske galon ki lali aur bhi gehri ho gyi.
Radha : tumhari nazar bhala kaise lag sakti hai mujhe ? Tum to .....
Divya mausi : kaun hai bahar ? Itna time kyun laga rahi ho chalo jaldi aa kar cake kato.
Divya mausi ki aawaz sunte hi radha mera hath pakad kar kheenchte hue andar le gyi jahan sab maujood the aur table par cake saja hua tha. Sabse aage divya mausi hi khadi thi aur mujhe dekhte hi unke chehare par gussa aa gya.
Great.....
Ab dhekte hai yaha divya mousi kaisa behave karti hai Amit k sath or radha kaise Amit ko bachati hai.....
Mujhe lagta hai Mohit ka family or Amit ka family dono ek dusre ko jante hai.....
Waiting for next one....