• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Manhoos se mahan tak

Story kaisi lagi

  • Best

    Votes: 894 85.0%
  • Good

    Votes: 135 12.8%
  • Bad

    Votes: 23 2.2%

  • Total voters
    1,052
Status
Not open for further replies.

firefox420

Well-Known Member
3,371
13,845
143
aakhir saanp ne fan utha he diya .. aaj in dono manajer aur uske chamche ki shaamat aane wali hai .. waise bhi ab Sheena to Amit aur uski behno par fidha he hai .. ab Amit aate he in dono ki maiyaa-daiyya kar dega ...

aur sala ye Karan bhi maha chutiya nikla .. iski akal bhi ghaas charne gayi hai .. Suman darling to pehli he baar mein lattu ho gayi aur iske baap ka bhi Tax katne ka number aa chuka hai .. Shera ke roop mein Amit ko ek accha khaasa muscle power mil chuki hai .. jiski jaroorat Future mein jab bhi padegi .. wo hamesha ready milega ...
 

Monty853

Member
326
910
108
Pyaar 100 baar is one of the highest viewed and loved Story even by Raja chouhan wo story start mai aapko aise hi lagegi but beleive me jisne story abhi tk padhi hai wo 3,4 din bhi wait krta hai update ka.. I'm one of those people even you can confirm it from Raja Bhai.. That story between every update there are about 12 to 13 page filled with comments and that guy I think he's the one who gives biggest update on whole site once he gave 72k words update which is the limit. You must try reading that story even I'm reading it from start.. You'll find it time killing. Just try it
Enigma bhai ke liye comment bhi wapas aur ek bar mafi bhi chahunga
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,665
103,319
304
Update 151



‘ ab ache bachon ki tarah ye khilauna neeche fenk kar hath upar kar k sab line me khade ho jao warna tum jante ho ho k shera dusri bar bat nahi dohrata ‘

Main abhi tak usi halat me khada hairani se bas us aadmi ko dekhta ja raha tha. Maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha k main jiski jaan bacha raha hun wo ek gangster niklega. Ye wahi aadmi tha jo mujhe sadak kinare jhadiyon me ghayal awastha me mila tha . Hospital se ye aadmi gayab ho gya tha aur iske bare me kisi ko kuch pata nahi tha . Aaj mere samne wo dono hathon me pistol taane khada tha aur uske sathi bhi sab pistol liye khade the .

Shera ki ek hi warning se us gunde ne apni pistol zameen par rakhi aur hath upar kar k apne sathiyon k sath line me khada ho gya. Ab Shera ne nazar ghuma kar mujhe dekha to ek dam uske empression badal gye aur chehre par khushi aa gyi.

Shera : tum ????? Tum yahan par ?? Mujhe yakeen nahi ho raha k tum mere samne khade ho .

Itna keh kar Shera meri taraf dauda aur mujhe apne seene se laga liya.

Hey parawaradigar tera lakh lakh shukriya k tune mujhe mere nakhuda se mila diya. Our saleem oye jashan manao yar . Dekh ye apna bhai hai isi ne mujhe us din bachaya tha jab us harami wasooli ne dhokhe se mujhe mar kar fenk diya tha. Main bata nahi sakta main kitna khush hun tujhe apne samne dekh kar. Hospital se mujhe bhagna pada kyunki police ko mujh pe shak tha warna main tujhe mila bina kabhi nahi ata . Ye zindagi teri hi di hui hai mere yar bol kya khidamat karun main teri ? Tera ehsan to main jaan de kar bhi nahi chuka sakta.

Tabhi Shera ki nazar mere zakham par padi to khoon dekhte hi use gussa aa gya . Aur usne palat kar fir se pistol taan di us gunde par.

Shera : mere bhai par goli chalai tune

Itna keh kar Shera goli chalane laga to Maine use rok diya.

Amit : nahi Shera bhai , uski jan mat lo.

Shera : isne tumhari jan lene ki koshish ki aur tum keh rahe ho ise kuch na kahun .

Amit : maine kab kaha k kuch na kaho? Isne ek ladki ko kidnap kiya aur meri dost ko bhi le jana chahta tha . Ise aurat ki izzat ki kadar nahi hai. Is liye ise saza to milni chahiye par maut zaruri to nahi .

Shera : samajh gya , Kalu !! In sabko apne adde par le kar chalo aur zara inki mardangi theek karo taki fir kabhi kisi aurat ki taraf gandi nazar na dalen ye log .

Kaalu : ji bhai , chalo be gadi me baitho . Aaj tumhari kismat achi hai k bhai ko bhai mil gya aur tum logon ko bhai ne zinda chhod diya .

Kaalu nam ka wo 6 feet ka hatta katta sanvle rang ka wo aadmi jo takreeban 35 saal k aaspas hoga sabko roab se dhakke marta hua gaadi me bithane laga aur un logon k sath apne kuch aadmi bitha kar 3 gaadiyon me le gye . Ek gaadi gundo wali yahan reh gyi thi jo tooti padi thi aur 2 Shera k sath aayi gadiyan abhi bhi thi kuch aadamiyon k sath. Tabhi meri nazar us coat pent wali ladki par padi jo sadme me khadi thi aur chehre kar dar saf nazar aa raha tha. Kalpana se meri nazar mili to wo bhaag kar mere gale lag gyi.

Kalpana : itna khoon nikal raha hai chalo pehle hospital chalte hain .

Shera : main to bhool hi gya tha chalo be sab pehle chhote bhai ko hospital le kar chalo. Aur aap bhi hamare sath chaliye

Ladki : nn nahi main tum logon k sath nahi jaungi.

Shera : dariye mat , Shera aurton ki izzat par kabhi daag lagne nahi deta. Main gair kanooni kam zarur karta hun par kisi k sath galat nahi karta . Aap mujh par bharosa rakhiye main aapko sahi salamat ghar pahuncha dunga.

Shera ki is bat par wo ladki sankoch karti hamare sath hi gadi me baith gyi aur gadiyan chal padi . Kalpana mere sath chipak kar baithi thi aur mere zakham ko dabaye hue thi khoon ko rokne k liye. Uske chehre par mere liye chinta saaf jhalak rahi thi. Kuch hi minto me hum ek hospital me pahunch gye . Shera mujhe apne sath liye sidha Dr k cabin me hi ghus gya . Dr abhi kisi patient ko dekh raha tha par achanak darwaza khol kar aise hamare andar aa jane se wo chonk gya aur samne Shera aur uske aadamiyon ko dekh kar uski zuban hi band ho gyi.

Shera : Dr ye mera bhai hai jaldi se iska ilaj karo .

Dr bina ek bhi shabd bole fatafat mere pas aaya aur meri T-shirt utarawa kar zakham dekhne laga. Idhar Dr mera zakham dekh raha tha udhar Kalpana aur wo coat pent wali ladki meri chaudi chhati aur majbut kandhe dekh rahi thi. Mere is pehelvaani shareer ko Shera bhi tareefi neegahon se dekh raha tha.

Dr : bura na mano bHai kya main jan sakta hun chot kaise lagi hai?

Shera : goli lagi hai.

Dr Shera ki is bat par aur bhi dar gya aur jaldi se zakham ko saaf karne k bad dressing kardi.

Dr : goli bas chhu kar nikal gyi hai darne ki koi bat nahi. Ye kuch dawaiyan main likh deta hun ye le lena .

Shera : Dr tumhari fees?

Dr : kya bat karte hi bhai , aapse bhala main fees lunga. Aap bas kripa banaye rakhna aur kuch nahi chahiye.

Iske bad maine fir se T-shirt pehni aur hum sab bahar nikal aaye . Kalpana abhi bhi meri baju pakde thi.

Shera : tum to ache khase pehelwan ho yar . Karte kya ho?

Amit : bhai abhi to college me padta hun aur sath me wrestling ka player hun. Par aap ye sab ......

Shera : batata hun pehle mere sath chalo.

Ladki : ab main ja sakti hun?

Shera : aise nahi mere admi aapko chhod aayenge. Aap shayad mujhe nahi janti hongi par mujhe pata hai aap kaun hain. Akhbar me dekha tha maine wasooli k khilaf case aapne hi lada tha na?

Ladki : ji , aur main bhi apko janti hun. Shehar me shayad hi koi hoga jo apke nam ko nahi janta bas dekha aaj hai. Waise jaise suna tha aap waise nahi lagte.

Shera : ha ha ha , Shera ko samajhna itna asan kahan hai madam ji . Shera kanoon ki nazar me mujrim ho sakta hai par maine aaj tak aisa koi kam nahi kiya k khuda k ghar sharminda ho jaun. Main kabhi kisi mazloom k ko pareshan nahi karta aur na hi drugs ka dhandha karta hun . Mere kam k apne usool hain. Waise aapne apna nam nahi bataya .

Ladki : Suman Bajaj criminal lawyer . Bajaj solicitors k Suraj Bajaj ki beti. Mera pita ji ka nam to suna hi hoga aapne?

Shera : bilkul suna hai . Shehar k raees log unhi k pas jate hain apna paisa bachane .

Suman : sahi kaha , aur kya main aapke bare me jan sakti hun?

Kalpana : iske bare me to aapko pata chal hi gya hoga mera nam hai Kalpana aur main bhi uske sath hi padti hun. Judo ki player hun aur hum dono yahan college ki try se competition khelne k liye aaye hain.

Suman : very good, aap dono hi bahut ache hain. Agar aaj aap dono meri madad na karte to kuch bhi ho sakta tha. Thank you for saving my life. Main aapka ehsan kaise utarungi?

Amit : isme ehsan kaisa ? Insan hi insan ki madad karta hai .

Suman : tum wakai me bahut ache ho. Kya tum dono bf gf ho ?

Suman k is sawal par Kalpana Sharma gyi.

Amit : nahi hum bas sath me padte hain aur ache dost hain. Wo to hum wahan dinner k bad sair karne nikle the k ye sab ho gya .

Suman : tha k you very much Amit you are really a brave man . Tumne kitni bahaduri se unka mukabla kiya . Mujhe khushi hogi agar tum mere ghar aa sako to.

Amit : kal to hum wapis ja rahe hain . Fir kabhi aaye to zarur milunga.

Suman : waise kaun se shehar se aaye hain aap dono ?

Kalpana : xxxx shehar se

Suman : great fir to jald hi milenge. Main tumhare shehar me aati rehti hun case k silsile me. Once again thanks both of you. Aaj tum log meri madad na karte to mere sath kya kya ho sakta tha ye soch kar hi dar lag raha hai .

Kalpana : agar aap jaise sache wakeel hi darne lage to kanoon ki madad kaun karega ?

Suman : thanks meri soch bhi kuch aisi hi hai par abhi jo kuch hua usse thoda dar gyi thi. Acha ab main chalti hun. And thanks Shera bhai aap sach me ache insan hai chahe kanoon aapko galat kahe par mujh par bhi aapne ehsan kar diya hai kabhi mauka mila to zarur aapka yeh ehsan chukaungi.

Uske bad suman ne mujhse aur Kalpana se hamare no. Liye aur Shera k aadmi use ghar chhodne chale gye .

Shera : chalo ab hamein mehman nawazi ka mauka do aur hamare sath chalo .

Amit : shukriya bhai par humen wapis hostel jana hoga . Warna hamare liye mushkil ho jayegi.

Shera : aise kaise mushkil ho jayegi ? Mere hote tumhe kisi tarah ki dikkat nahi ho sakti chhote bhai

Amit : nahi bhai aisi bat nahi hai asal me hum apne teachers k sath aaye hain to main nahi chahta k wo humse kisi bat par naraz ho. Aur agar aap isme shamil hue to wo galat soch lenge.

Shera : acha theek hai bhai jaisa tum kaho par mujhe acha nahi lag raha k tum yahan aaye bhi aur aise hi chale jaoge.

Amit : main wada karta hun k agli bar jab aya to aapse zarur milunga.

Shera : chalo fir main tumhe chhod kar ata hun jahan tumhe Jana hai.

Uske bad Shera mujhe aur Kalpana ko hostel tak chhodne aya . Aur jate jate bhi kas k mujhe gale lag kar mila aur mujhse mera no . Lekar aur apna no. Mujhe dekar wapis chala gya . Hostel to ab tak band ho chuka tha par Shera k aadamiyon ne mere liye security guard se gate khulwa hi liya. Neeraj aram se soya pada tha to main bhi aram se jakar apni jagah so gya . Kandhe me kuch dard to tha par Dr ne pain killer injection lagaya tha aur dawa bhi thi to ab kuch aram tha.



Udhar Suman Bajaj jab apne ghar pahunchi to uske pita suraj Bajaj jo peshe se income tax lawyer aur shehar k namacheen aadmi the apni ikalauti beti k liye ghar me chintit baithe the. Shehar k sab se posh area me bana ye do manzila mehal andar rehne walon ki shanoshaukat ka khud hi ek udaharan tha. Bahar khade adha darjan security guard is bat ka saboot the k is ghar ka maalik kitna khas aadmi hai.

Suraj : tum aa gyi beti , kahan reh gyi thi main kab se tera phone try kar raha tha. Wasooli ne dhamki thi k wo tumhe .....

Suraj apni beti ko dekhte hi daudta hua use gale lag kar mila . Suman uske kaleje ka tukda thi chahe wo apne pita se khafa rehti thi unke raees doston cum clients ki vajah se . Isi liye usne apne papa ki line chhod criminal lawyer banna chuna.

Suman : main theek hun dad us wasooli ne aaj mujh par hamla to karwaya tha par ain mauke par kisi ne mujhe bacha liya.

Suraj : kya ??? Tum par hamla hua tha?? Main use zinda nahi chhodunga.

Suman : relax dad aap uska kuch nahi bigad sakte aakhir uske piche bhi to hath aapke unhi doston ka hai.

Suraj : beti tu ye criminal cases kyun ladti hai akhir kya kis cheez ki kami hai hamare pas ? Tu mere sath mera office kyun nahi join kar leti?

Suman : dad fir wohi bat. Maine pehle bhi kaha hai na k main in safed posh aparadhiyon ka sath nahi dene wali. Aap ko paisa pyara hai aap unke kam kariye par main apni ma k usoolon par hi chalungi . Wo hamare beech nahi hai par unki kahi har bat main hamesha yad rakhti hun. Aap ne sirf paise ko tarjeeh di hai par main sirf nyay k liye ladti hun aur ladti rahungi.

Suraj : beti ye samaj sirf takatawar logon k liye hi hai aur kamzor logon ko yahan kuchal diya jata hai. Aur main kaunsa koi crime kar raha hun. Main to bas income settlement aur legal actions me apni raay hi to deta hun.

Suman : dad galat tareeke se paise kamane wale logon ki madad karna bhi galat hi hota hai. I am sorry par main ye sab nahi kar sakti. Mujhe ho sahi lagta hai main wahi kar rahi hun.

Suraj : beti tu samajhti kyun nahi ? Meri zindagi me tumare siwa aur hai hi kya? Ye sab maine tumhare liye hi to kamaya hai.

Suman : galat dad aapne kabhi meri aur mom ki parwah hi kahan ki. Ma ne aapko kitni bar samjhaya tha par aap nahi mane aur aapki galat kamai ka bhugtan ma ko jan dekar karna pada. Kisi din aap mujhe bhi Kho denge.

Itna keh kar Suman roti hui apne kamre me bhag gyi . Aur suraj wahin khada apni beti ki baton ko sochta apni biwi ko yad karne laga. Wo kitni khuddar aurat thi jo hamesha suraj ko galat kam karne se mana karti thi. Par paisa kamane k chakkar me usne kabhi apni biwi ki bat ki parwah nahi ki aur ant me wo bechari beemari se tadap tadap kar mar gyi. Kahin kahin suraj khud ko doshi zarur manta tha par fir se khud hi apne aap ko sahi bata kar sab bhool jata . Aaj Suman par hamla hone se wo andar se dar gya tha aur ab use dar lagne laga k kahin biwi ki tarah beti ko bhi kuch ho gya to uska kya hoga ? Suraj akela baitha apni zindagi me jaane anjane me kiye gye galat kamon k bare me sochta raha aur sharab pita raha . Suman apne bed par leti kuch der roti rahi par jab use apne sath hui ghatna yad aayi to wo Amit ko yad karne lagi. Kaise usne bahaduri se sabka samna kiya tha aur jaise Shera ne bataya k usne Shera ki bhi jaan bachai thi to iska matlab wo musibat me fade logon ki madad karta rehta hai. Use Amit bilkul waisa lagne laga jaisa uski ma hamesha kehti thi k insan ko aisa hona chahiye. Apni abhi tak ki 28 saal ki Umar me suman kabhi kisi ko apne pas nahi aane diya tha kyunki ma k bad wo bilkul hi badal gyi thi aur dil me ek lakshya bana liya tha k wo samaj me faile pap k khilaf ladegi. Is liye to wasooli ne us par aaj hamla karwaya tha kyunki suman ne uske khilaf case lada tha jiski wajah se wasooli k khilaf aaj hi court ne order diya tha use arrest karne aur 10 saal jail me daalne ka . Kidnapping , firauti aur hatya ki koshish k jurm me.

Suman jab Amit k bare me sochne lagi to uski ankhon me Amit ka wo majbut jism bhi aa gya . Chahe wo Suman se kitna chhota tha par suman khud ko rok nahi pa rahi thi uske bare me sochne se. Pehli bar use koi itna pasand aya tha k sidha uske dil me hi utar gya tha . Amit k bare me harek cheez ko yad karte hue use kuch yad aaya aur chehre par badi si muskan aa gyi .

Suman : ab to tumse milna hi padega mister amit jaldi hi milte hain.

Itna keh kar muskurati hui uth kar kapade utar kar bathroom me ghus gyi sone se pehle nahane k liye.

Wahin Kalpana bhi apne bed par leti amit k bare me hi soch rahi thi. Kaise aaj Amit apni jaan ki parwah kiye bagair Kalpana ko bachane k liye aage bada tha. Samne pistol taane wo gunda khada tha fir bhi usne parwah nahi ki aur goli khane k bad fir uth khada hua tha Kalpana ki hifazat k liye. Kalpana k dil me reh reh kar Amit k liye pyar bhari umange uth rahi thi. Chahe wo khud bhi achi fighter thi aur Amit k barabar hi usne bhi samna kiya tha un gundo ka par pistol k aage jahan wo statue ban gyi thi wahin Amit ne dileri dikhai thi . Aisa to koi had se jyada chahne wala hi kar sakta hai.

Kalpana : bilkul budhu hai , apni parwah to hai hi nahi is ladke ko. Khud hi ja ghusta hai dusron k mamalon me. Jo bhi hai mera to hero hai.

Khud se baten karti wo khud hi Sharmane lagi aur meethe khwab dekhti hui so gyi

Subah mujhe Neeraj ne hi jagaya shayad pain killer khane se ya chot ki vajah se main aaj der tak sota raha.

Neeraj : kya hua bhai aaj itni der tak so raha hai ? Roz to jaldi uth jata hai.

Amit : kuch nahi bhai bas pata hi nahi chala

Neeraj : waise rat kab wapis aya tha tu ? Maine 11 baje dekha to tu yahan nahi tha.

Amit : wo time ka pata hi nahi chala bhai . Sair karne kuch jyada hi door nikal gye the dinner k bad to Aate aate der ho gyi.

Neeraj : Kalpana k sath tera koi chakkar hai kya ?

Amit : are nahi bhai ye kaisi bat kar rahe ho aap ? Wo meri achi dost hai bas.

Neeraj : hmmm chal ab taiyar hoja. 7 baj rahe hain. Match nahi to kya hua report to karna padega na.

Neeraj mujhe utha kar nahane chala gya. Main bhi utha aur nahane ki jagah bas hath muh dhokar fresh ho gya. Chot ki vajah se maine nahana cancel kar diya tha. Nashte k bad hum sab staff k sath auditorium me aa gye jahan par prize distribution hona tha. Yahan par wahi log maujood the jo jite the ya unki team se koi jeeta tha jab ki harne wale bahar se hi nikal liye. Hall me pahunchte hi Kalpana mujhe dhoondhte hue mere pas aa gyi .

Kalpana : ab kaisi tabiyat hai tumhari?

Amit : main theek hun mujhe kya hona hai ?

Kalpana : main tumari chot k bare me pooch rahi hun.

Neeraj : chot ? Kaisi chot ?

Kalpana : aapko bataya nahi isne ?

Neeraj : nahi , bat kya hai ? Kya hua hai ?

Amit : are kuch nahi bhaiya ye bas aise hi keh rahi hai

Kalpana : aise hi keh rahi hun ? Ye dekhiye

Kalpana ne meri T-shirt ko gale se khinchte hue kandhe ka bhag ujagar kiya jiske neeche patti bandhi hui thi.

Kalpana : goli chhu kar nikli hai isi kandhe se aur ye keh raha hai kuch nahi.

Neeraj : goli ??? Ye sab kya panga hai ab ? Kal kahan tha tu ? Kya kar diya tumne ab ?

Kalpana : main hi batati hun bhaiya iske karname .

Uske bad Kalpana ne sara kissa Neeraj ko suna diya kal rat jo kuch bhi hua tha. Neeraj bhi hairan pareshan tha sab sunte hue .

Neeraj : yar tujhe koi apni parwah hai ki nahi ? Har jagah tu khud hi ghus jata hai panga karne.

Amit : bhai ab mere samne kisi k sath galat ho raha ho to main kaise khud ko rokun ? Mujhse nahi ruka jata .

Kalpana : pata hai tumhari yahi bat tumhe sab se alag karti hai. Har koi pehle apne bare me sochta hai par tum hamesha dusaron k bare me sochte ho.

Neeraj : ye to sahi kaha tumne par kahin kisi din kuch galat ho gya to ? Kabhi socha hai apni family k bare me ?

Amit : kya hoga bhaiya ? Jyada se jyada mar hi jaunga na , kam se kam ye to tasalli hogi k much acha karte hue mara aur fir mar k shayad apne mata pita se mil sakun.

Main apni hi dhun me ye sab keh gya par jab meri nazar Kalpana par padi to uski ankhon me aansoo aa gye the.

Kalpana : apni parwah nahi to kya dusron ki bhi parwah nahi kar sakte tum ? Jo tumhe apna mante hain tumhe chahte hain kya unke liye jee nahi sakte tum ? Har waqt marne ki baten karte rehte ho . Tumhare bad un logon ka kya hoga jo tumhe chahte hain ?

Kalpana ki ankhon se aansoo chhalak aaye to maine jaldi se uske aansoo ponchhe.

Amit : sorry yar wo muh se nikal gya . Sach kaha tumne . Agar mujhe kuch ho gya to sab dukhi honge . Ma aur baba ne bachpan se itne pyar se pala hai k kabhi mujhe laga hi nahi tha k main unka saga beta nahi hun. Aur mausiyan bhi mujhe kitna pyar karti hain . Thanks Kalpana mujhe meri galti ka ehsas dilane k liye aur ab tum zara has kar dikhao tum roti hui bandariya lagti ho.

Kalpana : kya kaha bandariya ???? Abhi batati hun tujhe bandar kahin k .

Itna keh kar Kalpana mujhe jan bujh kar punch marne lagi aur udhar stage par function shuru ho gya kuch teachers ne sab ko welcome kiya best wishes di aur result announce kiya gya. Prize distribution k liye abhi kisi khas VIP ki wait ki ja rahi thi . Aur jaise kuch suit boot pehne log ek sath side wale darwaze se andar aa kar stage ki taraf bade to main sabse aage chal rahe shakhs ko dekh kar soch me pad gya. Mujhe itni door se sabi se pata to nahi chal raha tha par mujhe lag raha tha k shayad ye uncle hain. Khair wo VIP stage par principal k sath baith gye aur unke sathi stage k neeche front row me adjust ho gye.

Uske bad result batate hue first second aur third aane wale players ko bulaya jane laga . Jab meri bari aayi aur main stage par gya to uncle ko apne samne dekh kar main hairan ho gya. Ye sach me hi uncle the Mohit k papa . Maine sab se pehle unke paon chhue to unhone mujhe gale se laga liya.

Principal: Raghav ji aap ise jante hain ?

Uncle : aur ye mera beta hai , mere jigari yar ka beta. Amit

Amit : uncle aap yahan kaise ?

Uncle : beta ye sara program hamari company dwara hi sponcer kiya jata hai har bar. Waise to main khud yahan nahi ata par socha tumhe tumhe surprise de dun. Kaisa laga mera surprise ?

Amit : bahut hi acha uncle . Mujhe bahut acha lag raha hai apke hathon se prize lena.

‘ to ye aapka bhatija hai uncle ? ‘

Ye awaz kisi ladki ki thi . Jaise hi maine awaz ki taraf dekha to ye advocate Suman thi jise kal rat hi mila tha main . Use samne dekh kar main hairan ho gya .

Uncle : tum janti ho beta ise ?

Suman : ji kal hi mili hun isse , wakai aapka bhatija bahut hi takatawar aur diler hai aur acha insan bhi .

Uncle : par tumne kahan dekh liya ye sab ?

Suman kuch jawab deti usse pehle maine use na me ishara kiya to wo bat ko badal gyi .

Suman : wo sab hum bad me bat kar lenge uncle pehle aap sabko prize de dijiye sab intzar kar rhe hain .

Uncle fir mere gale me medal dala aur ek trophy bhi di. Main use lekar apni jagah par wapis aa gya . Aur ye prize distribution chalta raha koi 2 ghante tak. Kalpana aur Neeraj ko bhi unka prize mil gya. Last me overall winner trophy hamare college ko hi mili. Prize distribution k bad hamare staff aur poori team ne sath me group photo bhi khinchawaye . Uncle fir se hamare pas aa gye .

Uncle : profesar sahab kya main apne bete ko apne sath le ja sakta hun?

Prof v : aaiye aaiye Raghav ji bahut khushi hui aapse mil kar . College to aap aate hi nahi kabhi chalo kam se kam yahan mulakat ho gyi. Par aapka beta yahan kahan hai ?

Uncle aur prof v badi garam Joshi se mile dono pehle se hi ek dusre ko jante the.

Uncle : Amit , ye mera beta hi hai. Mere khas dost ka beta hai ye.

Prof v : are wah ye to bahut achi bat hai . Bahut hi acha ladka hai ye aur sach kahun to college me sab se acha hai ye. Principal sir aur main to iske mureed hi hain. Waise aap kahan le ja rahe hain ise ? Humko to aaj wapis jana hai abhi dedh ghante me.

Uncle : ji bas ab ye yahan hai to socha ise apna office aur factory bhi dikha dun yahan ki. Ghar to ise main apne sath hi le jaunga agar aap ijazat den to?

Prof v : are isme ijazat ki bat kaisi. Apka beta hai to le jaiye . Waise bhi yahan ka kam to khatam ho hi gya hai.

Uncle : to theek hai , chalo Amit apna saman le lo tum ab mere sath chaloge .

Amit : theek hai uncle main abhi apna saman hostel se le aata hun .

Neeraj : are yar uski tension mat le. Main le aaunga . Tu ja uncle k sath .

Uncle : ye bhi theek hai , chalo beta tumhe apna office dikhata hun.

Main Neeraj se gale lag kar mila aur use thank you kaha. Kalpana bhi pas me hi thi Maine use sab bataya to usne bhi mujhe jane ka keh diya par uske chehre ki khushi kam ho gyi thi is bat se magar usne kuch nahi kaha. Main prof v se aur coach sahab se ijazat le kar uncle k sath chal diya .

‘ excuse me , kya main bhi aapke sath chal sakti hun uncle agar aapko aitraz na ho to ? ‘

Ye awaz piche se aati Suman ki thi . Hum dono uski awaz sun kar ruk gye .

Uncle : are beta tum ? Tum hamare sath ana chahti ho ?

Suman : ji uncle , socha kuch der main bhi apke bete se bat kar lun . Kal isme meri badi madad ki thi aur abhi tak isko thank you kehne ka mauka tak nahi mila .

Uncle : aisi kaun si madad kar di isne tumne bataya nahi ?

Suman : wo uncle kal rat meri gaadi kharab ho gyi thi aur jagah sunsan thi to main dar gyi thi to isne meri madad ki thi wahan par warna pta nahi kya hota mere sath .

Uncle : sach me ? Ye to hai hi aisa bilkul apne baap par gya hai . Waise tum bahar kya kar rahe itni rat ko ?

Uncle mujhse sawal puch liya to mujhe samajh nahi aya jawab kya dun par kuch to kehna hi tha.

Amit : wo uncle bas khana khane k bad sair karne nikal gya tha wahin inse mulakat ho gyi .

Uncle : maine mana kiya tha na bahar jane se . Chalo ye bhi acha hi hua isi bahane suman beti ki madad bhi ho gyi . Waise Bajaj sahab kaise hain ? Wo nahi aaye yahan ? Unhe bhi to bulaya gya tha.

Suman : papa ache hain wo bas kisi k sath unki khas meeting thi to main unki jagah aa gyi .

Baten karte hue hum parking tak aa gye. Jahan uncle ki car khadi thi aur piche piche unke staff k log bhi the jo alag alag gadiyon me aye the. Kul 5 gaadiyaan thi jo uncle ki car k aage piche chal rahi thi. Suman bhi hamare sath hi hamari car me hi baith gyi .

Uncle : Amit , suman k pita is shehar k bahut bade wakeel hain. Aur bade bade industrialist aur raees log unse apne matter solve karwate hain . Bahut purani jan pehchan hai hamari. Pehle hamare case bhi wohi dekhte the par ab nahi .

Suman : uncle aap ne mere bare me to bata diya par abhi tak apne amit k bare me kuch nahi bataya .

Uncle : beta ye mere khas dost ka beta hai. Iske papa ka nam vijay hai aur dusre shehar k pas hi gaon me rehte hain. Achi zameen jaydad hai aur kheti me hi ruchi hain unki . Hamari tarah chust chalaki se paisa kamana unhe acha nahi lagta ha ha ha

Uncle papa ki jagah baba ka nam liya to main samajh gya k wo meri pehchan nahi batana chahte zarur koi vajah hogi. Maine jab unki taraf dekha to wo bhi samajh gye aur ishare se mujhe chup rehne ko kaha.

Suman : fir to wo bahut ache honge aur isi liye ye bhi itna acha hai. Zindagi me pehli bar itna acha insan mila hai jo bina kisi matlab k kisi ki bhi madad karta hai . Warna yahan to bas paisa aur matlab hi rishte banata hai.

Kuch der hum aise hi baten karte rahe aur aadhe ghante me hum ek badi si building me pahunch gye. Upar bade bade aksharon me P. R . Industries likha hua tha. Gate par security guards khade the jinhonne gadiyan dekhte hi gate khola aur salute karte khade ho gye. Gadiyan rukte hi jaldi se ek aadmi ne darwaza khola aur hum car se bahar nikle .

Uncle : ye hamara office beta , aur ye PR ka matlab hAi Pawan Raghav.

Uncle ne papa ka nam le kar bata diya k dono doston k nam se banai gyi company hai . Mere kandhe par hath rakh kar wo mujhe apne sath lagaye andar chal pade aur sath hi uncle staff k wo log jo dusri gadiyon me the. Har koi uncle ko dekhte hi apni jagah par khade ho kar wish kar raha tha. Chalte chalte hum ek bahut hi bade aur adhunik office k pas pahunche jiski deewaren kanch ki hi thi aur andar parde lage hue the. Andar jate hi bahut badi table jiske upar bhi janch laga tha aur piche ek badi aramadayak chair thi . Table par laptop aur kuch files padi thi samne 4 chairs aur side me sofa set laga tha. Sath me hi ek darwaza tha shayad us taraf se bhi kuch attach tha . Uncle ne mujhe table k piche le jakar us chair par bithane ko kaha

Uncle : baitho beta , is kursi par tumara hak hai .

Amit : main kaise baith sakta hun uncle ye aapki chair hai.

Uncle : meri hai tabhi keh raha hun . Tumhe pata hai na is company me tumhari kya haisiyat hai ? Yahan ki har cheez tumhari hai. Ek bar is chair par baith jao to mujhe tasalli hogi.

Uncle k itna kehne par main us chair par baith gya . Aur jaise hi meri nazar samne deewar par lagi tasveer par padi to meri ankhon me aansoo aa gye . Samne mere papa ki badi si tasveer lagi hui thi jis par har tanga hua tha .. maine uncle ki taraf dekha to unki aankh me bhi 2 boond aansoo aa gye the jise wo khud hi saf karte hue muskurane lage .

Uncle : tu nahi janta k aaj mere dil ko kitni khushi mil rahi hai. Aisa lag raha hai jaise aaj ye suna office fir se khil gya hai. Mera dost aaj bahut khush hoga tujhe yahan dekh kar .

Main uth kar uncle k gale lag gya aur wo bhi mujhe apne seene se lagaye fafak pade . Hum dono ne hi ek dusre k aansoo ponche . Suman khamoshi se ye sab dekh rahi thi .

Suman : uncle aap dono aise ? Bat kya hai ?

Uncle : muskurate hue ) are kuch nahi beta. Aaj pehli bar mera beta is office me aya hai to khushi se aansoo aa gye . Chalo ab lunch karte hain bahut der ho gyi aaj to.

Uncle mujhe aur suman ko sath liye office me hi lage us darwaaze se dusri taraf le gye jahan bahut aramadayak kamra bana hua tha . Sahuliyat ki har cheez thi yahaan aur aram karne k liye bed bhi. Ek taraf shayad washroom tha. Uncle humen baithne ka keh kar washroom me fresh hone chale gye .

Suman : bura na mano to kya main jan sakti hun uncle aur tumhari ankhon me aansoo kyun aa gye ? Bat sirf utni nahi hai jo uncle ne batayi . Agar theek lage to bata do warna koi bat nahi .

Amit : bat wo hi hai jo unhone batayi. Han uske sath ek aur bat ye hai k main is firm me hissedar bhi hun papa ki taraf se to is liye wo thoda bhawuk ho gye the kyunki papa to yahan aate nahi .

Suman : par .....

Suman beech me hi chup ho gyi kyunki washroom ka darwaza khulne ki awaz aa gyi thi. Uncle k aate main bhi hath muh dhone chala gya . Tab tak uncle ne khana lagane ko keh diya . Mere bad suman bhi washroom chali gyi.

Uncle : beta tum samajh hi gye hoge k Maine jan bujh kar tumare papa ka nam nahi bataya . Iski khas vajah hai. Yahan log jante hain tumhare papa ko aur main nahi chahta kisi ko pata chale tu unke bete ho. Filhal to nahi jaisa k sab chahte hain tumhare ghar par bhi. Magar ek din main sabko ye zarur bataunga.

Itne me khana aa gya ho shayad uncle yahan aane se pehle hi bata chuke honge k lunch humne yahin karna hai. Udhar se suman bhi wapis aa gyi aur humne khana sath me khaya . Fir uncle ne staff k bade logon ko bula kar mujhe unka malik keh kar introduce karwaya.

Uncle : Malhotra ji , ye hai mera beta Amit mere dost ka beta hai aur ab se is firm me barabar ka hissedar. Ise meri jagah hi samjhen sab log aur wahi izzat den jo mujhe dete hain. Iske liye jald hi yahan ek badiya sa office taiyar kijiye . Iski jab marzi ho ye yahan aa sakta hai. Aur amit ye hain Malhotra ji hamare bahut purane wafadar sathi. Mere bad yahi sab kuch dekhte hain. Koi bhi bat puchni ho to inse puch sakte ho ya kuch bhi kam ho to inse keh sakte ho .

Amit : namaste uncle .

Malhotra : namaste beta , tumhe dekh kar to aisa lag raha hai jaise pawan

Uncle : Malhotra ji amit ko baki staff se bhi milwa dijiye.

Uncle Malhotra ji ki bat ko beech me ho tokte hue unhe ishara kiya jise wo samajh gye aur mujhe apne sath bahar le aaye baki staff se milawane . Kuch der introduction k bad uncle mujhe factory chalne ko kehne lage.

Suman : acha uncle ab ijazat den main ab chalti hun. Aapko to samay lagega aur mujhe ek case k silsile me kisi se milna bhi hai zaruri. Acha amit main chali hun par fir tumse zarur milungi . Bye bye

Suman k jane k bad uncle mujhe apne sath car me baitha kar chal diye factory ki taraf jo shayad yahan se door thi. Pehle ki tarah hi aage piche gadiyon ka kafila waisa hi tha .

Uncle : beta Suman peshe se wakeel hai aur wo tumse shayad kabhi na kabhi zarur puchegi k hamara rishta kya hai aur kaise hai. Par meri bat yad rakhna use kabhi mat batana k sachai kya hai . Kyunki uske pita tumare papa ko achi tarah jante hain . Pawan ne hi Bajaj ko apni firm ka kano Sompa tha jab wo en anjan sa wakeel tha logon k liye. Magar usne iman ki jagah paise ko chuna

Amit : matlab ?

Uncle : ye sab chhodo bas in baton se tum door hi rehna . Chalo ab factory bhi dekh lo jiski shuruat tumare papa ne hi karwayi thi .

Thodi der me hum industrial area me aa gye jahan badi badi factories thi. Ek deewar k sath lagbhag adha kilometer chalne k bad ek gate par gaadi ruki aur security guards salute karte hue gate khol kar khade ho gye . Ye bahut badi factory thi jiska ek sira to main dekh liya tha aur dusra sira shayad utna hi aage tak tha aur chaudai ka andaza laga pana asan na tha. Badi badi machines chalne ki awaz aur dhamak bahar tak aa rahi thi. Ek side me trucks bade bade container le kar bahar nikalne k liye taiyar khade the aur kuch trucks andar ki taraf jaate hue nazar aa rahe the. Car abhi bhi andar chalti hui 5 minutes k bad ruki . Yahan par bhi ek office bana hua tha . Pehle ki taraf yahan bhi darwaza bahar se hi khola gya aur uncle k sath main utar kar andar gya .

Uncle : beta ye factory sab se pehle lagayi gyi thi . Pehle ye itni badi na thi par ab dekhlo char Guna ho chuki hai. Jyadatar saman videshon me hi bheja jata hai yahan se aur is jaisi 2 aur hain isi shehar me . Uske ilawa 4 aur hain 2 to apne usi shehar me hi hain. Par mujhe yahin ana jyada pasand hai kyunki iski shuruat hum dono doston ne mil kar ki thi .

Chalte chalte uncle mujhe factory aur kam k bare me batate gye aur beech beech me jo bhi milta wo poori izzat deta uncle ko aur sath hi mujhe bhi. Tabhi uncle ne peon ko kisi ka nam lekar use bulane ko kaha aur hum ab work area ki taraf chal pade. Tabhi ek taraf se ek 45 saal k kareeb aadmi jo ek khas uniform me tha bhagta hua hamari taraf aya aur jhuk kar uncle ko namaste kiya .

Uncle : aur ramadeen kaise ho ?

Ramdeen: theek hun maalik aapki badi kirpa hai.

Uncle : isse milo , ye hai Amit . Mere bad Mohit aur ye hi yahan k malik honge .

Ramdeen: ram ram chhote malik .

Amit : ram ram uncle .

Uncle : aur ghar par sab theek hai na?

Ramdeen : ji malik sab aapki kirpa hai .

Uncle : ye to bhagwan ki kirpa hai main kaun hota hun kuch karne wala.

Ramdeen: mere liye to aap hi mere bhagwan mere anndata hain

Uncle : tumhare bhai ka kuch pata chala fir kabhi ?

Ramdeen : nahi sarkar bahut dhoondha par wo kabhi mila hi nahi. Itne saal ho gye Pata nahi wo hai bhi ya ...

Uncle : dil chhota mat karo . Waise wo bhi tumhari tarah bada wafaadaar tha. Pata nahi aise achanak gayab kyun ho gya tha. Agar wo mil jata to bahut kuch pata chal sakta tha. Acha ab tum jao .

Uncle k chehre k bhaw kuch der k liye badal gye the ramdeen se uske bhai k bare me puchte hue par khud ko sambhalte hue wo use jane ka keh kar aage bad gye mujhe factory dikhate hue.

Amit : uncle aap kis bare me bat kar rahe the?

Uncle : kuch nahi beta , hai ek puraan kissa jo kabhi sulajh nahi paya . Jiske bare me wo hi bata sakta tha par pata nahi kahan gayab ho gya wo .

Uske bad uncle mujhe factory dikhate rahe . Uncle ne bataya k ye factory 24 ghante chalti hai alag alag shift me workers se kam lekar. Uncle ne bataya k papa workers ko naukar nahi balki barabar ka hissedar mante the aur saal me jitna bhi munafa hota tha wo aadha workers me baant diya jata tha jo aaj bhi uncle kar rahe the. Iske ilawa bahut sare benefits diye jate the jaise health ka bachon ki education ka aur ghar lene k liye byaj rahit loan. Uncle ne papa k usool abhi tak chalaye rakhe the aur isi liye unke pas kam karne wala koi bhi employees na beimaani karta tha na kahin chhod kar jata tha. Iske ilawa papa ne anath aashram aur vridh aashram bhi banwaye the jo unke dwara banaya gya trust chala rha tha. Wo trust abhi bhi kam kar raha tha jiski dekh rekh uncle hi kar rahe the kyunki papa k ilawa wo hi the is trust k karta dharta. Mujhe papa k ye ache kam jan kar un par garv ho raha tha. Kareeb 8 baje uncle mujhe sath lekar wapis apne shehar ki taraf chal diye.



Udhar aaj nidhi k office me birthday party organize ki gyi thi aaj. Baki staff to aaj ache ache dress pehan kar aya tha par nidhi aaj bhi office dress me hi thi. Lunch se kuch time pehle hi party shuru kar di gyi. Nidhi is party me shamil hona nahi chahti thi is liye apne cabin me hi wo kam kar rahi thi.

‘ kya yar nidhi aaj sab mera birthday celebrate kar rahe hain aur tum ho k aaj bhi uniform pehen kar kam kar rahi ho. Chalo utho aur chalo mere sath . Warna main cake nahi katne wali.’

Ye nidhi k sath hi job karne wali Tina nam ki ek adhunik ladki thi jo is samay ek modern short dress me thi. Jaldi tarakki karne k liye apne jism ka istemal karna is ladki ko galat nahi lagta tha is liye ye manager ki bhi khas thi aur aaj apne birthday ki party enjoy karne k nam par nidhi ko fasa rahi thi . Birthday to tha nahi par ek shadyantra zarur tha. Jo manager dwara banaya gya tha.

Nidhi : yar mera bahut sa kam pending hai please tum enjoy karo . Waise bhi mujhe ye sab acha nahi lagta .

Tina : mujhe kuch nahi sunna , bas thodi der k liye hi aja. kya ho jayega itne me ? Yahin office me hi hain sab .

Nidhi bechari ab kaise mana karti bat to theek hi thi . Use manager se parhez tha par sab office me hi the to darne wali koi bat nahi thi. Is liye usne bhi jyada mana nahi kiya aur rina k sath uth kar hall me aa gyi jahan sab jama the. Manager abhi apne cabin me hi tha jisse nidhi ko kuch rahat mili . Tina ne nidhi ko apne sath khada kiya aur cake karne lagi . Sab taliyan bajate hue use wish karne lage . Bari bari se sabne Tina ka muh mitha karwaya aur sath hi sabke liye soft drinks aur snacks serve kiye gye cake k sath . Nidhi ko khud apne hathon se Tina ne cold drink botal muh ko laga di. Nidhi ne bhi cold drink pini shuru kar di aur cake kha kar apni jagah wapis chali gyi jabki sab log ab music ki dhun par dance karne lage. 5 minutes k andar hi nidhi ka sir ghumne laga aur apni chair par baithe baithe wo behosh si hone lagi. Apni tabiyat achanak kharab hoti dekh kar usne jaldi se apni ma ko phone laga diya aur apni tabiyat ka bata kar karan ko bhej kar use le jane ko kaha. Bat karne k bad nidhi wahin files par sir rakh kar behosh ho gyi. Wahin manager ka sathi door se nidhi par nazar rakhe hue tha . Nidhi k behosh hote hi zehrili muskan uske chehre par aa gyi aur usne manager ko phone par bata diya .

Nidhi se bat hone k bad rajani ko tension ho gyi k uski beti k sath kya hua hai. Usne abhi college se ghar laute karan ko nidhi k phone k bare me bataya

Rajani : karan beta jaldi ja nidhi ki tabiyat kharab ho gyi hai abhi uska phone aya tha . Tu ja kar jaldi use le kar aa.

Karan : jhunjhalate hue ) kya ma , dekh nahi rahi abhi thaka hara college se aya hun aur aate hi tum piche pad gyi . Didi koi bachi nahi hain . Unse keh do k texi le kar ghar aa jayen. Main nahi kahin jane wala is dhoop me.

Rajani : besharam teri badi behan hai wo ja use lekar aa. Pata nahi kis hal me hogi meri bachi .

Karan : main nahi jane wala ma abhi mujhe rest karni hai . Thodi der bad jaunga .

Rajani : kaisa bhai hai nirlajj , teri behan ki koi parwah nahi tujhe ? Usse Paise mangte waqt to tu ek pal intzar nahi karta aur aaj jab use zarurat hai to ye jawab de raha hai . Ja jaldi le kar aa use.

Karan : bat bat par taane marti rehti ho agar itna hi bura lagta hun to ghar se chala jata hun main . Khud hi le ana ja kar use

Itna keh kar karan pair patakta hua ghar se bahar nikal gya. Rajani bechari chinta me mari ja rahi thi k pata nahi nidhi kis halat me hai. Rajani ne nidhi ko phone lagaya par wo phone nahi utha rahi thi. Rajani ko bahut jyada tension hone lagi . Is waqt ko kise madad k bulaye. Amit bhi to shehar me nahi tha. Aur nidhi k papa sham ko wapis aate the. Naina bhi abhi tak nahi lauti thi . Rajani ne khud hi jane ka faisla kiya . Aur ghar ko tala laga kar auto pakad kar nikal gyi nidhi k office ki taraf.

Udhar nidhi k behosh hote hi manager apne partner apne junior ko lekar sabki nazar se bachte hue nidhi k pas pahunch gya aur dono nidhi ko utha kar apne kabin me le gye . Dono k chehare ki chamak bata rahi thi k aaj wo apn plan me kamyab ho gye hain.


Udhar rajani bechari auto me pal pal bechain bar bar nidhi ko phone laga rahi thi magar koi jawab nahi . Rajani ne apne pati aur naina ko bhi nidhi k bare me bata diya . Naina jo aaj karuna k sath fir se Amit k college gyi hui thi aur sabke sath enjoy kar rahi thi. Apni ma se nidhi didi k bare me sun kar hairan ho gyi. Jaldi se wo karuna ko sath liye nidhi k office ki taraf nikal gyi.
:reading:
 

Pradeep singh

Active Member
680
2,463
138
Superb update Bhai.
Suman ek criminal vakil hai abhi iska rol kyo aaya?
Nidhi didi wala scene bhi abhi aaya. Sayad kuch to hone wala hai jisme vakil sahiba ki jarurat pade.
Dekhte hai apne raja bhai ne kya soch hai.

Waiting for next update
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top